Pages

Tuesday, February 19, 2013

Black Horseshoe Talisman


Bachpan say he mujay rohaniyat say kafi lagao raha hai, purisrar chezay on mein ghor wa fikar aur tehkek karna yeh aadat muj mein bachpan say he hai, bachpan mein jab bhi mein istarah ki ajeeb cheezain dekhta to meray bachkana zehan mein kai sawalat ajatay thay aur mein apnay ustad yehni meray walid par sawalat ki bochar kar deta aur woh meray har sawal ka jawab to day detay thay magar phir bhi meray andar ajeeb kash ma kash rehti kay os cheez par mazeed malumat hasil karon, wesay to kai rohaniyat say bhari purisrar cheezon nay bachpan mein meray bachkana zehan par asar dalay magar sab say ziada jis cheez nay meray zehan par asar dala woh "HORSESHOE" ya ghoray ki "NAAL" hai, aap sab soch rahai hongay kay ghoray ki naal mein akhir aysi kya khobi hai jis nay bachpan mein kafi mujay mutasir kia, iskay mutalik mein kuch yahan aap sab say share karta hon:
Har suba meri amee hum behan bhaio ko school janay kay liay neend say othati hum sab jaldi jaldi taiyar hotay aur school lay janay wali gari suzuki humaray ghar kay darwazay par akar haroon bajati hum gari mein jaldi ready hokar beth jatay, meray behan bhai gari mein bethay aur bachon say batain aur hasi mazak kartay aur mein khamosh betha gari mein lagi "U" shape wali ghoray ki naal ko dekhta rehta aur jab hum school pohanchtay to wahan kai aur gario mein meri nazarain is horseshoe ko dhondti thi aur 10 gario mein say 1 ya 2 garia aysi mil jati jin par ghoray ki naal lagi hoti thi, jab school ki choti hoti to school kay bahir khanay ki cheezay baychanay walay thaylon par bhi ghoray kay naal lagay nazar aatay thay, sham ko jab hum sab bhai behan tuition center jatay to jo rikshaw humay tuition center lay janay kay liay aata os par bhi ghoray ka naal laga hota tha, yahan tak kay apnay parents kay sath shopping center ya market jata to wahan kai shops par mujay ghoray kay naal lagay nazar aatay thay aur kai relatives aur friends kay gharon kay darwazon par bhi yahi horseshoe lagay mujay nazar aatay, mera chota bachkana zehan is raaz say bay khabar tha kay akhir log isay kuo lagatay hain aur iskay laganay ki akhir kya waja hai, mein har baat note to karta tha magar har baat apnay dil mein he rakhta aur kisi say share na karta tha, khamosh aur har waqat chop chap sa rehta tha, aak din meray walid achay mode mein thay aur meinay moka dekh kar on say poch he lia kay abu log abc kay alphabet "U" shape walay metal kay piece ko log gharon kay darwazon par, shops par, thaylon par aur gario par kuo lagatay hain?, meray walid nay has kar jawab dia kay beta log isay nazar e bad, nahosat aur har boray asrat say mehfoz rehnay kay liay lagatay hain, jab meinay mazeed sawalat ki bochar kardi to meray walid nay taang akar gusay mein kaha kay beta tum abhi chotay ho inpar apna zehan abhi mat lagao abhi sirf apna pura dhian apni studies par lagao in sab ko abhi chor do, meray walid nay gusay mein jawab day kar baat khatam to kardi magar dil he dil mein bohat khush bhi hoay kay rohaniat meray betay yehni mujay apni taraf attaract kar rahi hai, jistarah meinay horseshoe par ghor kia istarah aur bhi kai log meri tarah note kartay hongay jab onko yeh har jaga lagi nazar aati hogi, kuch log to dekh kar isay dhian nahi detay hongay magar kuch log jinko rohaniat apni taraf attaract karti hai woh zaror ispar ghor kartay hongay,
 
 Yeh kuch images mein yahan share kar raha hon in images par banay circles mein aap ko horseshoe ya ghoray kay naal dikhai day gay aur aap ko andaza hogaya hoga kay logon ko is par kitna yakin hai, aap Pakistan kay kisi bhi sobay kay kisi bhi shehar kay town mein rehtay hon aap agar apnay aaspas ghor karain gay to aap ko kai ghar, shops ya gario par ghoray kay naal lagay dikhai day gay, 
Pakistan kya aap dunia kay kisi bhi momalik mein chalay jao aap ko wahan bhi ghoray kay naal ghar ya shops par lagay nazar ay gay woh ghar ya shops chahai muslim ka ho ya yahodi ka, christian ka ho ya hindu ka sabi is par yakin rakhtay hain aur baray shok say apnay ghar kay darwazay par ya shops par lagatay hain,
 Horseshoe ya ghoray ki naal aysa taweez ya tilsim hai jisay dunia ka har mazhab wa nasal ka shaks zamana e qadeem say manta aur yakin rakhta aya hai aur iski rohaniat ka kael raha hai, akhir aysa kya hai is mein jo itna logon ko ispar yakin hai yeh aak raaz hai jiskay mutalik kuch mein yahan share karon ga,

History of Horseshoe Talisman:
 Horseshoe goodluck talisman ki tarikh bohat he qadeem hai aur yeh aaj tak kisi ko malum nahi kay is talisman ko ayjad kis nay kia tha iski waja yeh hai kay yeh talisman zamana e qadeem say har mazhab aur culture mein raha hai aur har mazhab aur culture mein iski tarikh muktalif hai, magar sab say ziada humaray muslim olma e rohaniat nay is talisman par kafi tehkek ki aur iskay mokhfi asrat say kis tarah kam lia ja sakta hai iskay mutalik kai books arabic aur farsi zeban mein likhi gai onkay mutalik mein yahan kuch share karon ga agay,  dunia mein kai qadeem jagahon mein aaj bhi aap ko horseshoe lagay nazar ay ghay zaman e qadeem say olma e rohaniat ko ilm tha kay horseshoe mein aysay mokhfi asrat hotay hain jo insan ki bad kismati ko khush kismati mein badalnay ki zabardast taseer rakhtay hain,
Yeh qadeem door horseshoe lagay aap ko aaj bhi fatehpur sikri, india mein dekhnay ko milay gay,
 Iskay ilawa aur bhi kai istarah kay qadeem darwazay horseshoe lagay kai momalik mein hain jesay yeh kela e halb(citadel of aleppo) ka main darwaza hai jis par horseshoe lagay hain yeh kela molk sham mein hai, is say yeh sabit hota hai kay zamana e qadeem say lekar aab tak badshah ho ya fakir, gareeb ho ya ameer har koi shaks jo rohaniat ko samajta hai iskay asrat ka kael raha hai,

The Luck of Horseshoe:
Science aur technology nay yeh sabit kardia hai kay insan par tarah tarah ki muktalif bimaria germs, bacteria, virus, jarasim wagayra say hoti hain jo kabhi bhi insan par lagnay say insan par bimario ka hamla hota hai aur insani jism mafloj sa hojata hai, germs, bacteria ya virus dikhai to nahi detay magar jab insan par lagtay hain to iska reaction insani jism par dekha aur mehsos kia jasakta hai, dunia ka koi bhi insan in say safe nahi woh apni life mein zaror bimar hojata hai aur sahi doctor kay mashoray say sahi medicine khanay aur perhaiz say jald theek hojata haisame isitarah insan par manhos aur shaitan sefat logon ki nazar e bad, hasad, jalan, jaadu kay asrat, jinat, asayb, saaya ya bad rooh kay asrat ya sitaron kay boray asrat bhi virus ki tarah lagtay hain yeh bad asrat bhi dikhai to nahi detay magar inka reaction dekha aur mehsos kia jasakta hai, inhe bad asrat say mehfoz rehnay kay liay he spiritual ya rohani doctors zaman e qadeem say tawezat ya tilsim ghar mein laganay ka mashora detay ay hain aur samajdar log jo iska ilm rakhtay hain woh apnay gharon mein in tawezat ya tilsim ko rakhtay hain, wesay to kai tawezat aur tilsim hain lekin sab say ziada jo tilsim puri dunia aur dunia kay har culture wa mazhab mein famous hai woh Horseshoe ya ghoray ki naal hai yeh aysa tilsim hai jesay zamana e qadeem say har mazhab wa culture ka shaks yakin rakhta hai kay is mein woh ability hai kay yeh boray asrat ko apnay andar absorb karta hai tabhi samajdar log isay apnay gharon mein, shops mein aur gario mein lagatay hain kuo kay in boray asrat ka hamla kabhi bhi kisi waqat bhi hosatka hai virus ya germs ki tarah, jesay manhos log jo kisi ka bhala nahi chahatay kisi ki khushi dekh kar jealious hotay hain hasad kartay hain zahir mein to baray meethay aur pyar karnay walay aur izat karnay walay hotay hain magar andar say shaitan sefat hotay hain yeh manhos log har insan ki family, relatives, friends ya paros mein hotay hain, jesay koi shaks apna ghar banwata hai ya koi naya furniture ya gari leta hai to jo manhos log paros mein hotay hain os shaks ki taraqi dekh kar hasad kartay hain aur onki nazar e bad kay boray asrat os shaks ko tarah tarah kay masail mein mobtala kar detay hain aur woh shaks yahi kehta sonnay ko milay ga kay pehlay to mera luck bohat acha tha magar achanak pata nahi kya hogaya hai bohat unlucky hogaya hon har jaga bandish see par gai hai, ya kai log dushmani mein ya apnay kisi mofad kay liay kisi bhi ghar par kala jaadu karnay kay liay moktalif cheezay ghar mein phank jatay hain ya kuch mantar ya wazaif parh kar ghar mein phonk detay hain jis say ghar mein nahosat ajati hai jis say sabi family members boray asrat ki lapait mein ajatay hain ya phir ghar mein saaya, jinat ya bad ruh kay asrat bhi hotay hain os say bhi ghar mein kafi problems honay lagti hain, isi liay jo log rohani ilm ki thori bohat jankari rakhtay hain woh apnay gharon kay darwazon par ghoray ki nal lagatay hain takay in boray asrat say bacha jasakay, 
Jahan horseshoe har kisam kay boray asrat ko apnay andar absorb karnay ki salahiat rakhti hai wahan is mein yeh bhi ability hai kay yeh money ko apni taraf attaract bhi karti hai,
 Money ko apni taraf attaract karnay ki salahiat honay ki waja say kai log isay apni shops ya jahan woh karobar ya business kartay hain wahan isay rakhtay hain,
Meray pas kai log apni problems share kartay hain koi kehta hai Ali bhai kafi log bohat lucky hotay hain har mamlay mein onka luck acha hota hai mera bad luck kuo hai mein kuo har mamlay mein unlucky hon, to koi kehta muj say kay Ali bhai meray pas Allah pak ka dia sab kuch hai lekin jismani sehat theek nahi rehti sehat ko lekar mein kafi unlucky hon, to koi kehta hai kay sab kuch hai magar love kay mamlay mein bohat unlucky hon koi sacha pyar karnay wala nahi milta, to koi kehta hai kay peson mein mera bohat bad luck hai acha khasa kama leta hon magar barkat he nahi sab kharch hojata hai koi saving nahi hoti, har banda kisi na kisi baat ko lekar unlucky hota hai, jab mein aysay logon ka istakhara karta hon to boray asrat ka pata chalta hai aur jab mein onko luck acha karnay kay liay lucky horseshoe use karnay ka mashora deta hon to kafi log hastay hain kay is metal kay tokray ko laganay say kya hoga, humaray itnay baray masail is say kesay solve hongay meray mashoray ko kafi log serious nahi letay magar jo log rohaniat ko thora bohat samajtay hain woh meray mashoray par amal kartay hain aur onki life mein khushali ana shoro hojati hai aur jis kam mein onka badluck hota hai woh goodluck mein tabdeel hojata hai,

Choosing The Right Horseshoe For Good Luck: 
 Horseshoe ya ghoray ki naal ka intakhab bhi soch samaj kar dhian say kia jata hai aysa nahi kay kisi bhi horse ya ghoray ki naal li aur ghar kay darwazay par laga di
Rohaniat say jori kafi cheezon mein aysay jalali asrat, jinat ya khodam moakil hotay hain onko pehlay taskheer karna hota hai bina taskheer kiay onko use karnay say insan sakt kisam ki bandish ya masail mein ghir jata hai, jesay kahan koi qadeem khazana dafan hota hai aur khazanay par jinat saanp ki shikal mein os par betha rakhwali karta hai jab tak koi os saanp jinat ko amliyat say taskheer nahi kar leta koi bhi dunia ka shaks os khazanay ko nahi hasil kar sakta, same isitarah jo khas horseshoe ya ghoray ki naal hotay hain on par bhi jinnat hotay hain aur onko pehlay taskheer karna aur onko luck kay kam kay liay razi karna zarori hota hai, har mazhab wa culture ka apna alag tarika hota hai horseshoe kay mokhfi asrat ko ritualized taskheer karnay ka, europe aur america mein christian aur wiccan log apnay mazhab kay tarikon say ritualized charged kartay hain aur wahan kai spiritual ya occult shops par horseshoe miltay hain saath mein use karnay ka instruction bhi dia hota hai,
 In images mein aap ko horseshoe kay saath keelay aur yellow powder bhi nazar araha hoga, yeh powder horseshoe par laga par saath bhi di hoi khas keelon ki madad say horseshoe ko darwazay par lagaya jata hai, yeh khas keelay aur yellow powder horseshoe kay mokhfi asrat ko taskheer karnay kay liay hai, 
Isitarah india mein log ghoray ki naal par mantar phonk kar, khas dhagay lapait kar sindoor wagayra laga kar naal kay mokhfi asrat ko sidh kartay hain,
Arab kay olma e rohaniat ka tariqa ghoray ki naal ki rohaniat ko taskheer karnay ka moshkil aur mehanat talab hai aur yeh tarikay kafi qadeem arabic amliyat ki books mein likhay hotay hain agar koi shaks arabic tarikay say ghoray ki naal ko taskheer karay ga to luck say mansob jinnat, khodams wa moakil ghoray ki naal mein ajay gay aur jo shaks is khas naal ko apnay ghar, shop ya gari mein laga kar rakhay ga har kisam kay boray asrat say bacha rahai ga aur oski maali parayshani bhi khatam hokar oski life khushal hojay gi,
Horseshoe kay saath kafi kahania aur totkay joray hain jesay alchemy mein hai kay falan totka karo to sona ban jay ga etc, isitarah ghoray ki naal kay mutalik bhi kai log kehtay hain kay best ghoray ki naal woh hai jo ghoray kay pechlay pao ki ho, to koi kehta hai kay front yehni aglay pao ki ho, to koi kehta hai kay ghoray kay chaltay waqat oskay pao say tot kar juda hokar milay woh best hai luck kay liay, to koi kehta hai kay ghora chaltay waqat achanak mar jay oski naal best hoti hai etc..., jitnay logon kay mo otni batain magar jo sahi tarika aur raaz hai osay poshida rakha jata hai aur is poshida raaz ko mein aap sab say yahan share karta hon,
Horseshoe mein jo keelon kay holes hotay hain on par bhi dhian dia jata hai kisi mein 10 holes hotay hain to kisi mein 6 to kisi mein 8 bhi hotay hain magar jo goodluck kay liay khas ghoray ki naal li jay os mein 7 holes honay chahehai, 7 number ya aadad lucky hota hai aur jis ghoray ki naal mein 7 holes hongay wahi lucky hogi,
 7 holes wali naal milna koi bari baat nahi, bari baat to yeh hai kay woh naal bhi khas kalay rang kay ghoray ki ho, langray, zakhmi ya bimari lagay ghoray ki na ho aur woh ghora har nahosat say pak ho, aap soch mein par ghay hongay kay akhir aysa horse kahan talash kia jay, mein kuch details istarah kay khas sacred horse kay mutalik yahan share karta hon takay aap rohaniat kay system ko samaj sakain aur aap ki rohani knowledge mein bhi izafa ho,

Sacred Black Horse:
  
Kafi logon ko jinko rohaniat kay mutalik jankari kam hoti hai woh bina kuch sochay samjhay ya ghor kiay aysay aymal aur kam kar bethtay hain kay onka result onkay liay bohat khatarnak ya noksan da sabit hota hai, meray kai jannay walay aur friends nay apnay gharon kay darwazon par luck kay liay ghoray ki naal lagai to kisi nay apni shops par lagai magar koi faida to na hua olta aysa noksan hua kay pehlay jo acha khasa luck tha woh bhi khatam hokay reh gaya ghar mein bimaria honay lagi, aak theek hota to dosra family member bimar par jata, pesay pani ki tarah zaya honay lagay koi bachat ya saving nahi rahi, karz logon say lay lay kar karz ka pahar jesa boj par gaya, job mein problems honay lagi banda bimari say thek hoto job thek say karay istarah ki kai problems ka achanak aak sath ajana jis say acha khasa insan bokhla jata hai oski himat jawab day jati hai aur pagal hojata hai apni biwi aur masom bachon ko mar deta hai aur khud bhi suiside kar leta hai, meray pas bhi aak aysa banda aya tha jo apnay sakt halat kay hathon bohat majbor tha meinay oska istakhara kar kay dekha to malum hua kay oskay ghar mein kuch hai jis kay boray asrat kay jaal mein sabi ghar walay jakray hoay hain meinay jab os banday ko yeh sab bataya to osay aak tarah say yakin na araha tha kay oskay ghar mein kuch hai woh yahi kehta raha kay meray ghar mein kisi ka ana jana nahi aur na meri kisi say dushmani hai kay koi muj par jaadu karay, mujay feel hota hai kay muj par jinnat ka saaya hai magar meray istakhara mein jinnat ka nahi araha tha yahi araha tha kay ghar mein kuch hai, meinay jab mazeed os say pocha kay yeh boray halat kab say shoro hoay to osnay bataya kay 1 saal hua hai aur jab meinay os say pocha kay kya aap nay ghar mein kisi wazifay ka chila kata tha ya koi taweez bana kar rakha to osnay soch kar bataya kay aysa to koi kam nahi kia magar han meinay kisi kay kehnay par ghoray ki naal apnay ghar par lagai takay mera luck acha ho, bas oska yeh kehna tha meinay aak nazar istakhara par dali to puri story samaj gaya meinay osay kaha kay foran os manhos naal ko apnay ghar say hatao aur kisi daria ya nehar mein phank do, osnay meray kehnay par yeh kam kia aur oski nahosat kay asrat khatam hona shoro hogay aur aab mashAllah oski life achi guzar rahi hai,
Aap yeh sab parhnay kay baad soch rahai hongay kay ghoray ki naal to luck kay liay hoti hai yeh kesay manhos hosakti hai?? 
Ghoray ki naal jahan luck kay liay best mani jati hai wahan yeh manhos bhi hosakti hai aur apnay nahosat kay asrat dal sakti hai iski waja ghora ka manhos hona hai, ghora agar manhos hoga to oski naal bhi nahosat say bhari hogi, jistarah aak bimar shaks kay ghar meinay anay y par oski bimari kay virus ghar mein mojod sabi family members ko lag jatay hain aur woh bhi bimar par jatay hain same isitarah nahosat walay ghoray ki naal ghar mein laganay say saray ghar mein nahosat virus ki tarah phel jati hai aur ghar mein mojod har shay nahosat kay asrat mein ajati hai, ghoray ki nahosat kay mutalik kafi ahadees e pak bhi hain, mein yahan kitabb sahi bukhari sharif ki aak hadees share kar raha hon,
 Is Hadees e pak say yeh sabit hai kay ghoray mein nahosat hoti hai,
isliay ghoray ki naal gharon mein laganay mein ahtiat karni   chahehai aur jis ghoray ki naal ho woh khas nasal kay black horse ki ho, agar black horse arabic nasal ka hoto oski naal bohat powerful hogi, arbi nasal ka ghora puri dunia mein best mana jata hai, arbi nasal kay ghoray mein kafi achay asrat hotay hain iskay mutalik aak hadees yahan share kar raha hon,
 Naal Black colour kay horse he ki ho iski akhir kya waja hai? is sawal ka jawab yeh hai kay black colour kay horse mein rohaniat aur mokhfi asrat hotay hain jesay meinay apnay pichlay blog posts mein bataya tha kay black cobra snake mein jinat hotay hain, Black cat's chord bhi bohat asar wali hoti hai, Kalay bakray kaay shanay ki hadi bhi kafi asar wali hoti hai same isitarah kalay ghoray ki naal apnay andar bohat powerful asrat rakhti hai, kalay rang kay ghoray par aak hekayat yahan share kar raha hon,
 Aap mein say kafi log yeh sab parh kar khush ho rahai hongay kay Ali bhai nay bohat kam ki baat batai hai aur woh apnay gharon mein lagi ghoray ki naal ko badalnay ka soch rahai hongay kay oski jaga arabic nasal kay kalay ghoray ki naal laga di jay, magar meri baat abhi yahin khatam nahi hoti, zarori nahi kay sabi black horse khas hon on mein nahosat na ho, kai black horse nahosat lagay bhi hotay hain,
Kalay rang ka ghora pura kala ho agar os par safaidi kay nishan hon jesay payt par ya payt kay nichlay hisay par ya pao par to aysa ghora bhi nahosat wala hota hai, iskay mutalik aak hadees e pak yahan share karta hon,
 Aysa kala ghora jo pura kala ho aur oskay mathay ya payshani par safaidi ya safaid nishan ho woh hota hai asal sacred horse jis mein zabardast mokhfi asrat hotay hain aur oski naal mein woh taseer hoti hai kay sakt say sakt halaat insan kay theek kar kay osay khushal bana deti hai, aysay khas ghoray ko arabic mein "Al-yasoob" kaha jata hai,
Mujay aysay khas ghoray al-yasoob ki kai arsay say talash thi,  jo pura black ho sirf oski payshani par safaid nishan ho, isay talash karna aladdin kay chirakh ko talash karnay jesay hai, aur akhir kar mujay aysa khas horse mil he gaya, yeh hai meri photo os khas horse kay saath,                ,
Yeh khas horse mujay aak imam bargah mein mila wahan kay molai shaks jo is horse ka malik hai os say rabta rakh lia hai aur osay yeh mashora dia kay woh is horse kay naal 7 keelon walay use karay aur meray mashoray par os nay amal kia aur har saal jab woh naal change karta hai to mein os say old naal lay leta hon aur niaz kay liay kafi osay pesay bhi day deta hon jo woh aksar imam bargah mein karta rehta hai,
Imam bargahon mein jo khas sacred horse hotay hain onki naal luck kay liay best hoti hain, yeh khas horse jinko pyar, izat wa ahtaram say pala jata hai aur inpar koi sawari bhi nahi kar sakta yahi hain woh khas horse jo har kisam ki nahosat say pak hain sirf inhe ki naal ko luck kay liay ghar wa shop par lagani chahehai baqi aam horses ki naal lagana theek nahi on mein bad asrat bhi hosaktay hain, sacred horse kay mutalik mein yahan aak hadees share kar raha hon,
 Nabi pak(s.a.w) ki is hadees mein 3 kisam kay horses ka bayan hai, pehli kisam horse ki woh jo rehman kay liay hai, dosri kisam woh jo insan kay liay hai jis say insan apnay kam mein use karta hai, ghora gari wagayra mein, 3rd kisam shaitan kay liay hai jisay shaitan use karta hai apnay boray kamo mein, aaj kay is scientific dor mein aap ko woh ghora asani say mil jay ga jo insan use kartay hain aur woh ghora bhi dekhnay ko milay ga jo shaitan kay liay hai lekin kya woh ghora jo rehman kay liay hai aaj kay is dor mein mil sakta hai?
Aaj kay is dor mein aap ko Rehmani ghora sirf or sirf imam bargahon mein milay ga aur kahin bhi nahi, inke naal best hain luck kay liay baqi aur ghoron ki naal meri nazar mein raadi hain,  

Sacred Black Horseshoe:
   
Amliyat Naal e Asap:  
Tawezat hon ya Tilsim onki rohaniat ko taskheer karnay kay kai muktalif rituals hotay hain, jesay tawezat kay ritual mein taweez khas waqat mein moshk wa zafran ki ink bana kar os ink say likhay jatay hain, kuch tawezat kay rituals mein tawezat ko jalaya jata hai to kuch aysay hotay hain jinko pani mein dala jata hai to kai tawezat ko onchi jaga par bandha jata to kai ko zameen mein dafan kia jata hai, isitarah tilsim bhi khas astrological system say bantay hain, aysa nahi kay koi bhi tawez kisi book say dekh lia aur kisi bhi pen say likh kar pocket mein rakh lia aur yeh soch lia kay yeh asar karay ga, kai jali fake aamil yahi tarika kartay hain onsay rituals nahi ho patay kuo kay rituals mein kafi mehnat aur zehan lagana hota hai woh fake aamil kisi bhi book say taweez dekh kar likh kar day detay hain jis say koi asar nahi hota inhe fake aamilon ki waja say rohaniat aur rohani oloom say logon ka aitebar oth sa jata hai,
"Ritual" agar na hoga to tawez ho ya tilsim woh bay asar hotay hain ritual say he onki rohaniat ko taskheer kar kay onsay kam lia jasakta hai, Black horse ki naal bhi aak tilsim hai aur iska bhi apna aak alag maksos ritual hota hai, khas sacred black horse ki naal milnay kay baad osay ritualized charge karna zarori hota hai tabhi os mein mojod jinat, khodam wa moakil taskheer hokar achay asrat ghar wa shop par daltay hain, guard ki tarah ghar wa shop ki protection kartay hain aur boray shaitani asrat say lartay hain, mein yahan kuch apni photos share kar raha hon jis mein black horse ki naal ko mein ritualized charge kar raha hon,
 Opar image mein aap ko wooden tray par banay naqsh, horof aur symbols likhay dikhai day rahai hongay yahi sab likha jata hai horse kay naal ki rohaniat ko invoke kar kay onko taskheer karnay kay liay, oskay baad khas ingredients ko incense burner mein dal kar dhoni de jati hai aur glass kay banay bartan ya bowl ko incense smoke say bhar kar naal par rakh dia jata hai,
Glass dome ko incense smoke say bhar kar istarah ahtiat say naal par rakh kar dhakna hota hai kay smoke glass dome kay andar he rahai oskay baad is tray ko aysi jaga par raat ko rakha jay jahan chand ki roshni ospar parti rahai, yeh ritual ya amal qamar zaid al-noor kay dino mein kia jata hai yehni jab raat ko chand ki roshni ziada ho, sari raat chand ki roshni mein rakhnay kay baad suba suraj nikalnay say pehlay otha lia jata hai aur kisi black kapray mein lapait kar rakha jata hai istarah yeh ritualized charged hojata hai, oskay baad saturday ki suba ghar ya shop kay darwazay par isay lagana hota hai, 
Black horse ki naal good luck, nahosat kay asrat wagayra khatam karnay kay ilawa aur bhi kai amliyat mein use ki jati hai yeh aak bohat khas aur powerful chez hai iski khas rohaniat aur mokhfi asrat say har kisam kay kam liay jasaktay hain, zamana e qadeem mein Arab kay olma e rohaniat wa mokhfiat ghoray ki naal kay mokhfi asrat kay bohat kael thay onhonay is ilm par kai books bhi likhi arabic aur farsi ziban mein bhi, ghoray ki naal ki rohaniat par jitni research arab kay olma e rohaniat nay ki oskay mokablay mein aaj tak kisi nay na ki, kafi qadeem arabic wa farsi books amliyat ki zaya hochoki hain onka nam wa nishan aab dunia mein nahi magar kuch books aaj bhi aysi hain jin mein humay ghoray ki naal kay amliyat likhay miltay hain, kafi aamil hazrat aysay aymal baray shok say parhtay hain magar novel ya story ki tarah magar amal koi nahi karta, agar woh amal dil say karain to rohaniat kay kafi chopay raaz say wakif hongay, amliyat ki qadeem aur mashor kitab jo farsi zeban mein hai os mein ghoray ki naal kay kai amliyat hain, os book kay kuch pages mein yahan share kar raha hon,
Farsi ki is qadeem tarin book mein jo ghoray ki naal kay aymal hain yeh sabi ishq, muhabat, hob wa taskheer kay hain,
Black horse ki naal jahan luck kay liay hazaron saalon say lekar aab tak use hoti ai hai wahan is mein yeh bhi taseer hai kay yeh muhabat karnay walon ko aak dosray say mila deti hai jin kay darmian judai par gai ho kisi bhi waja say, mia aur biwi ka agar ghar mein aksar jhagra rehta ho aur talak honay ka dar ho aysay mia biwi ko apnay ghar mein black horse ki naal lagani chahehai, on mein kabhi judai na ho pay gi aur woh apnay ghar mein khushal rahai ghay,
Europe aur america mein aaj bhi kai jaga shaadia hoti hain to jo rohaniat ko mantay hain woh ghoray ki naal say ritual kartay hain takay dulha aur dulhan par kisi ki nazar bad ya boray asrat na lagay aur onki shaadi lucky rahai kabhi judai na ho, ritual karnay kay baad new shaadi walay joray apnay new ghar mein dakhil honay say pehlay ghoray ki naal ko darwazay par laga detay hain,
 Kai logon ka muhabat, love aur shaadi mein luck bilkol bhi nahi hota aur is mamlay mein woh unlucky hotay hain jis say bhi muhabat ya love hota hai humaysha judai par jati hai chahai woh kitnay bhi achay banay rahai mehbob kay liay magar phir bhi koi na koi aysi rikawat par he jati hai kay on mein judai par jati hai aur woh khud is baat ko mehsos bhi kar letay hain kay kisi undekhi kowat ki nahosat ya bad asrat say aysa horaha hai aur woh aamil logon say contact kartay hain, ya phir woh log jinka muhabat ya love mein luck nahi hota sabi rikawat aur bandish say lartay hoay shaadi kar to letay hain magar onki shaadi kamiab nahi jati kuch arsay baad judai par jati hai ya kisi na kisi masail mein aysay phans jatay hain kay iska hal sirf divorce say he mumkin hota hai, 
Har kisam kay bad luck ko dor karnay kay liay jahan horse kay naal ko zamana e qadeem say use kartay ay hain wahan love kay badluck ko dor karnay kay liay bhi isay use kia jata raha hai, 
Farsi ki qadeem kitab jiskay mutalik meinay share kia os kitab mein bohat he best aymal ghoray kay naal kay hain jo hob wa muhabat mein parnay wali bandish, judai ya badluck ko khatam kar detay hain yeh aymal meray azmoda hain aur mein kai logon ki madad in aymal kay zariay karta rehta hon,

Farsi kitab kay kuch pages jo meinay share kiay hain opar aap ko on photos mein ghoray kay naal baray aur phaylay hoay choray dikhai day ghay puranay dor mein arab kay log aysay he naal banatay thay magar aaj aysay naal nahi banatay, aaj kay dor kay naal patlay hotay hain magar phaylay hoay nahi hotay isi waja say on par naqsh aur tilsim likhna possible nahi hota, iska tarika yeh hai kay khas kalay ghoray kay naal hasil karnay kay baad muhabat kay aymal say mansob khas astrological waqat aur time kay doran in naal ko furnace ya bhati mein garam kar kay hathoray say chipta kia jay tabi os par likhai ki jasakti hai yeh kam aamil ko khud karna hota hai tabhi amal mein taseer peda hogi, is kam mein bohat mehnat karna parti hai aur mehnat say he insan ko phal acha milta hai,
Mein yeh aymal aksar karta rehta hon, ghoray ki naal ko kistarah mein chipta kar kay likhai kay kabil banata hon aap meri in photos mein dekh saktay hain,
 Naal par engarving yehni konda huay naqsh aatishi hain yehni inka taluk element fire say hai, khas naqsh konda karnay kay baad isay aysi jaga dafan karna hota hai jahan 24 hours har waqat aag jalti rehti ho, isay aag mein dalnay say jesay jesay isay heat milay gi is mein mojod aatishi khodam, moakil wa jinat invoke hona shoro hojay gay aur ospar apnay asrat dalay gay jiskay liay yeh amal kia gaya ho, kitni bhi sakt nafrat ho ya judai hogai ho 2 muhabat karnay walon mein is amal say on dono mein shadeed muhabat peda hojay gi, jesay jesay naal par tez aag ki heat lagti jay gi wesay muhabat mein sheedad ay gi agar aag bojh gai aur naal thandi par gai to os mein mojod jinnat, khodams ya moakil azad hojay gay aur sara kam kharab hojay ga aur 2 muhabat karnay walon mein phir say nafrat aur judai hojay gi aysa isliay hota hai kay jab horse kay naal par jo khas naqsh aur symbols konda kar kay likhay jatay hain oskay baad aag mein naal ko dalnay say aag kay moakil, jinat wa khodams invoke hona yehni onki hazri hona shoro hojati hai aur naal par likhay naqsh aur khas symbols on rohani kowaton ko 2 muhabat karnay walon ko jinkay nam naal par likhay hotay hain onko apas mein milanay kay kam ko karnay kay liay force kartay hain ya paband bana detay hain, woh rohani kowatain aatishi yehni aag ki hain, aag onki khorak hai jinsay onko power milta hai agar aag milna onko band hogai to woh naqsh aur symbols kay asar say azad hojay gay aur sara kam kharab hojay ga isliay yeh dhian rakhna hota hai kay aak maksos chilay ya waqat tak os aag ko jala kay rakhna hota hai aur phir osay khas tarikay say bojhana bhi hota hai takay amal kharab na hosakay, 
Aap sab logon kay zehan mein yeh sawal zaror peda hota hoga kay akhir aysi konsi jaga par dafan kar kay rakha jay jahan aag har waqat 24 hours jalti rehti ho bina bojhay aur Ali bhai kahan isay dafan kartay hongay??, aap ko in sawalat kay jawab meri in photos ko dekhnay par mil jay gay,
 Mein apnay amliyat aur rituals wagayra ziada tar apnay gao(village) mein he karta hon, meray gao say kuch he dor coal making furnace hain jahan log lakrio ko jala kar koilay banatay hain aur on koilon ko market mein sell kartay hain, matti say bani is furnace ya bhati mein lakria dali jati hain aur kai hours baad woh lakria koilay ban jatay hain onko nikala jata hai aur phir dosri lakrio ko furnace mein dal dia jata hai yeh amal isitarah jari rehta hai furnace ki zameen 24 hours har waqar bohat garam rehti hai, is furnace mein 2 banday kam kartay hai aur negrani kartay hain, aak banda suba say sham tak negrani karta hai 2nd banda sham say lekar suba tak negrani karta hai aur furnace par banay holes jis mein say smoke nikalta rehta hai os mein bar bar dekhta rehta hai kay kahin aag bharak na jay, agar aag bharak othi to sara koila bhi jal jay ga aur siwa raakh kay kuch hasil na hoga, meray aatishi aymal kay liay yeh jaga best hai,
Meray gao say kuch he dor jahan yeh furnace bani hain wahan mein apnay amliyat kay liay alag chotay size ki furnace banwata hon, aur naal ko wahin dafan karta hon,
 Furnace mein naal ko dafan karnay kay baad lakria dal kar onko  kerosene oil mein bhego kar asmani aag jo asman say nazil ho yehni suraj say li jati hai woh lagai jati hai khas magnifying glass kay zariay,
Meray is khas special magnifying glass mein aap ko aak wazaif engraved kia hua nazar aya hoga, yeh wazaif suraj kay khodam wa moakil ki invocation ka hai, suraj ki dhop jab is khas wazaif walay magnifying glass mein say par hokar furnace mein mojod lakrio ko aag laga ay gi to aatishi suraj kay moakil, jinnat wa khodams ki is mein hazri hojati hai aur is aag ko bina bojhay aak maksos waqat tak jala kay rakhna hota hai, aur chila complete honay kay baad isay aak maksos tarikay say bojhana hota hai,
 Ritual karnay kay baad mein 2 bandon ko apni is special furnace ki rakhwali kay liay rakh leta hon daily 200/ rupay kay hisab say aur jo lakria is mein jalatay rehtay hain onkay pesay alag say deta hon, yeh 2 banday koilay bananay wali furnace kay sath meri is furnace ki bhi 24 hours negrani kartay rehtay hain aur aag ko bojhnay nahi detay aur yeh aag lagatar 21 days tak jalti rehti hai ya phir 42 days tak ya is say bhi ziada 72 days tak bhi jab tak kay amal ka chila complete nahi hojata aag ko jala kay rakhna hota hai, amal ki kamiabi kay baad isay aak khas maksos tarikay say bojha kar aatishi moakil, jinnat wa khodam ko is chilay say azad kardia jata hai,

Horseshoe & Alchemy:
 Alchemy yehni ilm kemiya ka nam sontay he kafi log yahi sochtay hain kay yeh ilm sona chandi bananay ka hai ya phir koshtay wagayra bananay ka aur jo books is ilm par market mein milti hain in mein bas yahi topic he hotay hain, Alchemy bhi aak bohat waseh ilm hai is ilm mein rohaniat ki bhi kafi chezay banai jati hain jiskay mutalik mein kuch yahan share kar raha hon,
7 holes wali horse ki naal jahan goodluck kay liay use hoti hain wahin 6 holes wali naal healing kay liay use ki jati hai aur isay rohani ilaj mein kistarah use kartay hain oskay mutalik mein yahan share karta hon aap sab say,
Black horse kay aglay dono pao ki naal ko melt kar kay khas waqat mein aak nail ya keel banai jati hai jo muktalif rohani ilaj amliyat wa rituals mein use ki jati hai, is nail ko muhram kay month mein jab chand borj fars al-azam mein ho os waqat naal ko melt kar kay nail banai jati hai, Is khas nail ko kafi healing kay aymal yehni rohani ilaj mein use kia jata hai, iska aak healing ka amal mein yahan share karta hon,
 Opar image mein aak zaef aurat kay paon par mein circle cast kar raha hon is aurat ka bara beta koi kam ya job nahi karta tha aur sara din ghar mein sota rehta tha aur bina waja ghar mein jhagra karna oski aadat hogai thi, kam ya job milti thi to kuch din kam karta tha phir koi na koi bahana bana kar chor deta tha, ghar mein sabi say larna baron say batmizi, waldain ki izat na karna har kisam ki borai os mein peda hoti jarahi thi aur oskay ghar walon ko darr tha kay kahin woh nasha na karnay lag jay ya koi jaraim pesha kam kar kay kanoni mojrim na ban jay woh pehlay aysa nahi tha, pehlay woh nimaz pabandani say parhta tha sab ki izat karna aur hasmokh tha, meinay jab oska istakhara dekha to mujay kuch asrat ka malum hua jiska tor isi khas nail say mumkin tha,
is problem kay tor ka amal istarah hota hai kay mariz ki mother ko matti wali zameen par seedha khara kia jay aur oskay seedhay paon kay anghotay say daira shoro hokar phir isi jaga stop ho,
Oskay baad dono kadmo kay darmian aak dosri lakeer banai jay phir dono paon kay talway ki matti li jay pehlay seedhay poan kay talway say opari jaga say phir oltay paon kay talway say 2 chotki bhar matti li jay phir osay kisi aysay bartan mein dala jay jo kisi metal ka na ho, agar siah ya black kashkol ho purana fakir ka to woh best rehta hai,
Kashkol mein matti dalnay kay baad keel ko kashkol mein khara kar kay konway ya daria ka pani wooden ya lakari kay bartan say os keel kay opar 3 bar dala jay aak khas wazaif os waqat parha jata hai istarah kay pani ki dhar khatam hotay he wazaif pura parh lia jay,  
Oskay baad matti walay pani ko amal e tanjim kay zariay tanjim kia jay yehni taron bhari raat mein rakha jay os waqat jab chand borj al-fars mein ho, is waqat ko manzil e kamri "SHARTEEN" kehtay hain, borj fars yeh nam shayad aap nay pehli bar sona ho kay borj fars kya hai, fars arabic word hai jiska matlab "Horse" hai, is borj ko english mein "Constellation Pegasus" kehtay hain, is borj mein sirf chand jata hai aur isay maznil e sharteen kaha jata hai, tanjim kay waqat keel ki nok ka rokh isi borj ki taraf rahai, suba honay say pehlay isay raat ko otha lia jay aur is matti walay pani ko dosray pani say mixed kia jay aur mariz is pani say ghosal karay tab oskay jism mein woh asrat dor hongay aur woh active hojay ga har kam karnay mein oska dil lagay ga, agar woh aak waqat mein 10 kam bhi karay tab bhi oskay liay kam hain, aak josh sa os mein peda hojata hai, yeh amal bohat asar wala hai meinay is amal say kai istarah kay logon ki problems solve ki hain jin mein aysay bad asrat ajatay hain. 

Healing Ritual for remove black magick:
Agar kisi mariz par kalay jaadu ki waja say oskay har kam aur mamlat mein bandish par gai ho, ganday aur safli ilm kay zariay osay baybas kardia gaya hoto aysay mariz ka ilaj ya kat horseshoe wali sacred nail ya keel say kia jata hai, oska tarika yeh hai kay mariz ko saaf matti wali jaga par letaya jay aur siwa oskay jism kay kapron kay koi dosra kapra na zameen par bicha ho na oskay opar ho aur mariz kay jism kay kapray black ya gehray rang kay na hon, iskay baad keel par Quran pak ki akhri dono suratain 7 bar parh kar dam kia jay aur phir mariz kay sar say pao ki taraf keel otar kar left say right zameen par lakeer ya line khinchi jati hai,
7 lines zameen par ban janay kay baad mariz ko olta letaya jata hai phir yahi same amal keel say kar kay 7 lines par opar say neechay 3 aur lines khinchi jati hain, yeh amal 7 dino tak karna hota hai, lagatar 7 roz tak kat karni hoti hai aur yeh kat asar aur magrib kay darmian ki jati hai, is kat say kitna bhi safli aur ganda jaadu ho kat jata hai aur mariz aak he haftay mein Allah pak kay hokam say theek hojata hai.

Alchemy Horseshoe Rings & Talismans:
Black Horse ki naal jahan luck kay liay good hai, jaadu, aur har kisam kay boray asrat dor karnay kay liay best hai wahan yeh sitaron ki nahosat ko bhi khatam karnay ki salahiat rakhti hai, Astrology mein planet saturn yehni zohal bohat nehas asrat rakhta hai aur kisi shaks ki life kay zaichay mein kisi bhi house mein apna nehas bora asar dalay to woh shaks muktalif kisam kay masail aur parayshanio mein jakar sa jata hai jesay agar zohal kisi shaks kay zaichay mein 1st house mein apna bora asar dalay to woh shaks humaysha apni zaat ko lekar parayshan rehta hai woh ehsas kamtari ka shikar rehta hai, sab kuch honay kay bawajod bhi mayous aur udas sa rehta hai, confidence os mein khatam hojata hai, woh shaks aysa nafsiati marez sa ban jata hai kay agar woh kisi mehfil ya rah chaltay hoay kisi logon ko hasta hua dekhay to osay feel hoga jesay log os par has rahai hain, isitarah log apas mein mazak mein kuch aak dosray ko kahain to osay feel hoga jesay oski mazak orai jarahi hai, tarah tarah kay boray khyalat ana kay mein khobsurat nahi mein strong nahi mein aam sa kuo hon mein ameer kuo nahi hon sab aysh ki zindagi gozar rahai hain mein ghatia see zindagi gozar raha hon, istarah kay hazaron boray khayalat, sochay, bori feelings os shaks mein peda hoti rehti hain jiskay 1st house mein zohal apna bora asar dalay, isitarah agar kisi shaks kay 2nd house mein zohal apna bora asar dalay to woh shaks maali parayshanio mein oljha rehta hai, jitna bhi kama lay magar bilkol bachat nahi hoti sab pesay oskay zaya hona shoro hojatay hain, agar zohal kisi shaks kay 3rd house mein bora asar dala to woh behan bhai ya relatives ki taraf say osay aziat milti hai chahai woh on say kitna bhi pyar aur izat say kuo na paysh ay, agar zohal kisi kay 4th house mein bora asar dalay to woh shaks ghar, zameen, khayt, shop ya plot kay masail mein phansa rehta hai, agar zohal kisi shaks kay 5th house mein apna bora asar dalay to woh shaks doston, mehbob ya aulad ki taraf say aziat mein mobtala rehta hai, agar zohal kay boray asrat kisi kay 6th house mein hoto woh shaks humaysha bimar rehta hai jitna bhi ilaj karwa lay magar oski health thek nahi rehti kisi na kisi bimari mein mobtala rehta hai, agar 7th house mein boray asrat hon zohal kay to os shaks ki shaadi mein bandish hoti hai ya phir oski wife osay dhoka deti hai ya job mein koi partner osay dhoka deta hai, 8th house mein agar boray asrat hon zohal kay to os shaks ki nafs bandi hojati hai woh shaadi kay kabil nahi rehta aur har waqat khof mein zindagi guzarta hai aur kanoni masail mein phansa rehta hai, 9th house mein boray asrat parnay say os shaks kay safar aur taleem mein bandish see par jati hai, 10th house mein zohal kay boray asrat say job mein bandish aur boss ki taraf say humaysha narazgi ka samna karna parta hai aur mazhab kay mutalik boray khayalat peda hotay hain, 11th house mein zohal kay asrat paray to os shaks ki har khuwaish mein bandish see par jati hai aur puranay rishtay dar aur doston say judai hojati hai, 12th house mein agar zohal kay boray asrat ajay to os shaks kay kai dushman peda hojatay hain jo osay kabhi bhi noksan pohancha saktay hain,
Dunia mein har insan kabhi bhi zohal kay boray asrat mein asakta hai aur yeh boray asrat kisi insan ki life mein kam waqat hotay hain jesay 6 months ya 1 year to kisi insan ki life mein ziada waqat tak bhi reh saktay hain jesay 7 saal ya 12 tak bhi, Black horse ki naal zohal say mansob hai aur yeh zohal kay boray asrat khatam karnay ki zabardast taqat rakti hai, isi liay kai log jo rohani ilm jantay hain woh black horse ki naal ki rings, karay aur loh banwa kar apnay pas har waqat rakhtay hain,
 Horseshoe rings rough

Horseshoe ring polished with engraved talisman of saturn,

 Black horse ki naal say bani loh e zohal jo zohal ki nahosat khatam karnay kay liay apnay pas rakhi jati hai,

 Black horseshoe foundation nails, yeh kalay ghoray ki naal say bani khas keelay hain jo os zameen kay charon kono mein gari jati hain jahan koi ghar, shop, building wagayra banai jati hai takay woh jaga os zameen mein mojod har kisam ki nahosat say mehfoz rahai, aaj kal aysay lalchi builder hain jo kaboristan ya kabaron par buildozer chala kar os zameen par ghar ya building khari kar detay hain aur os jaga mein rehnay walay log muktalif kisam kay masail, bimaria, nahosat aur bandisho mein kay jal mein phans jatay hain, istarah ki nahosat khatam karnay kay liay yeh foundation nails best hoti hain.

Black Horse ki naal aak bohat he powerful talisman hain iskay mutalik meinay bohat kuch share kia hai jiski mujay ijazat mili thi aur kafi kuch meinay share nahi kia oski ijazat mujay nahi mili osay na ahal logon say poshida rakhna zarori hai, jis shaks mein rohaniat hogi ya rohani oloom ki jankari hogi woh meri is postings say kafi kuch seekh gaya hoga aur bohat say rohaniat kay poshida raaz osay malum paray hongay, mein apni yeh posting yahin tak complete karta hon, likhna to bohat kuch chahata hon magar kisi andekhi taqat nay mujay mazeed likhnay say rok dia hai,
Agar aap ko lucky black horse naal ki zarorat hai, ya naal ki rings, nails aur talisman ki zarorat hai to aap muj say rabta kar kay mangwa saktay hain, 
Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165

Apnay is bhai ko apni duaon mein yaad rakhiay ga,
InshAllah bohat jald aur rohani oloom kay topic par postings karon ga, Allah pak aap sab kay ilm mein izafa karay aur aap sab ko sada khush wa abad rakhay (ameen).
                                  
                                                     Ali.