Pages

Friday, July 17, 2015

The Wish Bones


 
"Wish" yehni khuwaish jo har insan kay dil mein peda hoti hai, khuwaish chahai jo bhi ho, insan apni khuwaish puri karnay kay liay har mumkin kam karta hai jo oskay bas mein ho jis say kai insan to apni manzil tak pohanch he jatay hain lekin kai nahi pohanch patay har bar koi andekhi kowat rikawat ban kar samnay khari hojati hai, har insan ki sab say bari khuwaish yahi hoti hai kay achi job ho, thek thak pesay hon, acha ghar ho, achi pyar karnay wali khubsurat biwi ho takay oski zindagi oski family kay sath khushali mein guzray, magar woh jitni lagan aur apni zahanat say mehnat karta hai otna he woh kai masael kay daldal mein phansta chala jata hai, har kam mein rikawat hona, bandish, nahosat, sakti istarah kay kai masael deewar ban kar oski kamiabi kay rastay mein ajatay hain, thak har kar oskay dil mein yahi soch peda hoti hai kay shayad khuda nay meri taqdeer he aysi likhi hai, meri taqdeer mein bas yahi likha hai jo badal nahi sakta aur meri wish kabhi puri nahi hogi, magar aysa sochna galat hai, Amal insan ki taqdeer ko badal sakta hai, aak healthy insan achanak kisi bimari ki waja say bimar hojay aur yeh kahai kay yeh to meri taqdeer mein likha tha aur haath par haath rakh kar beth jay aur doctor say ilaj he na karway to nateja yahi hoga kay marz oska shidat akhtiar karta jay ga aur aak waqat ay ga woh osi bimari mein mar jay ga, same isitarah jis shaks ki zindagi mein jo kamiab honay kay rastay hain on mein rikawat honay lagay to iska matlab kay woh shaks rohani tor par bimar hai osay rohani doctor yehni aamil say apna ilaj karway, oskay mashoray aur oski di medicine yehni tawez ya tilsim ko use karay jis say yeh andekhi rikawatay dor hosakain jo kisi ki nazar e bad, hasad, jadu, saaya ya sitaron kay bad asrat say lagti hain,

"Luck" agar jis insan ka acha ho woh martay hoay bhi mot kay mo say nikal aata hai, agar luck acha nahi to kitna bhi insan healthy ho apni protection khob karta ho magar phir bhi mot kay mo mein chala jata hai, Luck he say insan ki khuwaish puri hosakti hai, luck agar acha nahi to chahai jitna zor laga lay oski khuwaish kabhi puri nahi hosakti, Woh Amliyat kay kam he hain jo kisi bhi insan kay luck ko acha ya kharab kar saktay hain, Hum mein say kai insano ka luck shoro mein to kafi acha hota hai lekin baad mein woh bohat unlucky hojatay hain jis say onki khushal zindagi tabha wa barbad hokar reh jati hai aur kai log shoro mein unlucky hotay hain lekin baad mein lucky hojatay hain jis say onki tabha wa barbad zindagi jannat jesi haseen hojati hai woh isliay kay onki zindagi mein kisi kay mubarak kadam partay hain jesay acha lucky dost, partner ya lucky biwi ya lucky bacha etc, aur kai to aysay insan bhi hain jo shoro say he unlucky rahai hain aur baad mein bhi unlucky he rahai, iski wajohat sitaron ki gardish hoti hai ya jinnati asrat, jesay insan ki zindagi ki DNA chain hoti hai is chain mein zara bhi noks hojay to insani ki body mein bhi kahi na kahi ayb ya noks par jata hai aur yeh ayb ya noks sari zindagi oskay jism mein rehta hai, same isitarah insan ki Rohani DNA chain bhi hoti hai jis mein agar noks par jay to oski sari zindagi bad luck mein guzarti hai, insan ki Rohani DNA chain mein noks sitaron kay bad asrat say bhi parta hai, jinnat kay asrat say, jadu kay asrat say ya phir nazar e bad ya hasad kay bad asrat say bhi, is Rohani DNA chain ki kari ko agar kalay jadu say tora jasakta hai to isay rohani amliyat say jora bhi jasakta hai jis say aak unlucky insan ka badluck tabeel hokar goodluck mein hojata hai aur oska luck aysa chamakta hai kay woh kamiabi ki onchaiyo tak pohanch jata hai,
Jistarah aak mahir doctor ya scientist insan kay jismani DNA chain say wakif hota hai same isitarah aak mahir Aamil bhi insan kay rohani DNA chain say wakif hota hai, zamana e qadeem say he olma e rohaniat nay kai taweez wa tilsim banae jis say insan kay bad luck ko good luck mein tabdeel kia jasakta hai, kai tilsim wa taweez to aysay hotay hain jo kisi na kisi mazhab ya deen say attached hotay hain aur osi deen wa mazhab kay asool wa kawaid kay mutabik use kia jata hai zara bhi galti hoi to woh taweez ya tilsim olta asar dalnay lagtay hain jis say badluck aur ziada bad hojata hai, jesay humaray deen islam mein kai aysay naqsh aur tilsim hotay hain jis mein kai sharaet hoti hain jesay apnay aap ko pak rakhna, nimaz ki pabandi aur har os kam say parhayz karna jo islam mein haram hain, magar afsos kai log galay mein pak tawez dalay na pak kam kartay nazar aatay hain aur phir kehtay hain kay yeh taweez to bay asar hai ya phir aamil fraud hai humaray to masael khatam nahi hoay khud mazeed barh ghay hain,
Isi liay meri yahi koshish rehti hai kay mein aysay tilsim kay mutalik bataon jo har insan ko chahai woh kisi bhi deen wa mazhab ka ho, pak ya na pak rehta ho faida day, jesay honey yehni shehad har insan ko faida deti hai, pani jo har insan ki pyas bojhata hai, dawa har tarah kay insan ki bimari ko dor karti hai same isitarah jo nature kay qudrati tilsim hotay hain woh sabi ko faida detay hain,
Jistarah medical ki field mein labortary mein medicines banatay hain plants, herbs aur animals kay organs say, same isitarah amliyat ki dunia mein bhi plants, herbs aur animals kay organs use kiay jatay hain, jistarah medical science mein jahan plants wa herbs use hon os ilm ko Botany kehtay hain same isitarah amliyat ki dunia mein jahan plants wa herbs use hon os ilm ko ilm Al Limiya kaha jata hai, medical science mein jahan animals use hon os ilm ko Zoology kehtay hain same isitarah Amliyat ki dunia mein jahan animals use hon os ilm ko ilm Al Simiya kehtay hain,
Meinay pehlay ilm limiya aur ilm simiya par kai blog likhay hain jis mein plants, herbs, animals aur onkay organs wa bones kay mukhfi asrat kay mutalik bata choka hon, mera aaj ka yeh blog bhi ilm al simiya kay mutalik hai lekin yeh birds par hai, mein birds kay topic par pehli bar likh raha hon is say pehlay mein Horse, Cat, Dog, Snake wagayra par likh choka hon, meray puranay likhay blogs aap ko passand ay yeh mera blog bhi aap ko zaror passand ay ga,

The Wish Bone:
Meinay kuch arsa pehlay ilm Al Kat Bini Scapulimancy par blog likha tha jis mein bakray kay shanay ki hadi kay mukhfi ilm kay mutalik kafi kuch share kia tha, isitarah ki aak aur khas hadi kay ilm ko mein yahan share raha hon, is ilm ko Arabic mein Ilm Azam Al-Tarkot aur english mein furculamancy or Alectryomancy kehtay hain, Yeh aak khas hadi ghoray kay nal ya "U" kay shape jesi hoti hai jo morgi aur morgay kay neck ki taraf hoti hai, is hadi ko furcula bone kehtay hain,
Bakray kay shanay ki hadi ki tarah he is khas hadi say kismat ka hal yehni istakhara bhi kia jata hai aur is hadi say kai amliyat jo hob wa taskheer aur muhabat kay hon kiay jatay hain aur bhi kai amlitay jo luck kay hawalay say hon ya khushali kay liay woh bhi kiay jatay hain, 
Allah pak nay dunia mein koi bhi chez bay maksad ya baykar peda nahi ki har chez mein Allah pak nay hikmat rakhi hai aur iska ilm khuda apnay khas bandon ko he deta hai aur inhe khas bandon say yeh ilm hum jesay gunahgaron ko milta hai, 
Hum mein say kai logon kay gharon mein aksar chicken biryani, chicken korma, chicken roast wagayray banatay rehtay hain aur hum mazay say sab kha kar chicken ki hadio ko chaba kar phank detay hain, hum mein say bohat kam log aysay hain jo yeh jantay hon kay chicken ki in hadio mein aak khas hadi bhi hai jisay "wish bone" kehtay hain jo aap ki khuwaish puri karnay ki salahiat rakhti hai, kai baray bozrog kehtay hain kay aap rastay mein kahin jarahai hon aur kala ghora aap kay samnay say guzray aur os ghoray ki U shape wali naal oskay pao say nikal jay aur rastay mein aap ko pari mil jay to woh aysi lucky hoti hai kay osay patay he aap ki kismat chamak othay ghi, same isitarah chicken food khatay hoay chahai woh ghar ho ya restaurant achanak aap ko U shape wali yeh khas bone fresh bina toti hoi mil jay to aap bohat lucky hain, is bone ko aap agar apnay pas rakhay ghay to aap ka luck har kam mein aysa lagay ga kay jis kam mein aap haath dalay ghay os mein aap ko kamiabi milay ghi, hum mein say pata nahi kitnay logon ko khanay mein aysi bones mili hongi magar hum onko chaba kar phank detay hongay, jesay aak shaks ko kalay ghoray ki lucky naal rastay mein mili aur woh tanghay walay ko pukarnay laga kay bhai jan aap kay ghoray ka saman tot kar nikal gaya hai isay to letay jaiyeh magar tanghay wala oski awaz nahi sonta aur woh shaks os naal ko kichray kay dhayr mein bekar samaj kar phank deta hai lekin aak din jab woh baray bozrogon ki mehfil mein bethta hai tab ghoray ki naal kay ilm ka tazkira hota hai tab oskay zehan mein ghanti bhajti hai woh osi waqat bhagta hoa os kichray kay dhayr mein paglon ki tarah os naal ko talash karta hai magar siwa kichray ki gandagi kay osay kuch nahi milta, koi gaybi kowat har shaks ko guide karti ya hint deti hai aysay taweez deti hai jo dawa ki tarah kam kartay hain jo kisi bhi shaks ki parayshanio ko thek kar deti hain, magar hum mein say kai log ilm na honay ki waja say in nayab taweez ko hasil karnay say mehrom hojatay hain, isi liay to humaray baray kehtay hain kay bozrogon ki sobat mein raho onsay seekho onhonay apni zindagi is dunia mein guzari hai aur omar kay akhri dor mein say gozar rahai hain onko kafi tajorba aur ilm hai, yeh tajorba aur ilm ki batain onsay seekhni chahehai humay takay hum apni life is dunia mein behtar tarikay say guzar sakain, meinay apnay walid say kafi ilm seekha hai, aab woh meray sath nahi hain onka intakal hogaya hai, onki kami humaisha rahai ghi, woh sirf meray walid he nahi meray ustad aur meray dost bhi thay jinsay har baat mein share karta tha, kabi onko gusa dilata kabi jan bojh kar onki bataon ki hasi orata kabi onko bohat taang karta, kuo kay onki har baat mein hikmat thi mein kafi kuch onki har baat say seekh lia karta tha, aaj jo kuch bhi ilm hai meray pas inhe ki waja say hai aur meri yahi koshish rehti hai kay in oloom ko mein aap sab say share karta rahon, agar aap ko meray blogs passand hon to zaror mujay apni duaon mein yaad rakha karain kay Allah pak mujay sehat aur himat dain takay mein isitarah in oloom ko aap sab say share karta rahon, 

 Janwar aur onki Rohaniat:

Wish bone kay mutalik mazid likhnay say pehlay mein kuch janwaron ki rohaniat kay mutalik yahan kuch share karta hon jis say aap ki knowledge mein izafa hoga aur aap wish bone kay mukhfi asrat ko bhi samaj pay ghay,
Jesa kay meinay pehlay bataya kay Allah pak nay koi bhi chez dunia mein bekar peda nahi ki, har chez kay apnay alag khuwas, israr wa rohaniat hoti hai,
Arab mein deen Islam say pehlay sirf jahalat thi wahan kay log har tarah kay janwar ka jo mil jay oska shikar kar kay kha jatay thay jesay kuta, bandar, gadha jo bhi mila paka kar kha ghay, onka nazria yeh hua karta tha kay bai gosht he to hai kya fark parta hai kisi ka bhi ho payt he to bharna hai, jab deen Islam ka zahoor hua arab mein tab jahalat on logon mein say khatam hui, Nabi pak s.a.w nay onko bataya kay yeh janwar tumharay liay khuda nay halal rakhay hain inko tum kha saktay ho aur yeh janwar haram hain inhai tum nahi kha saktay, kuo kay halal janwar khanay say sehat thek rehti hai aur insan healthy rehta hai aur kai bimario say mehfoz rehta hai, haram janwar khanay say sehat par bora asar parta hai aur tarah tarah ki bimaria jism mein peda hojati hain, har janwar ka gosht aak jesa nahi hota yeh baat arab kay jahil logon ko pehlay malum nahi thi, 
Jistarah Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya janwaron kay mutalik kay konsay halal hain aur konsay haram isitarah Nabi pak s.a.w nay kai janwaron kay batni asrat wa rohaniat kay mutalik bhi irshad farmaya kay konsay janwar barkat walay hain aur konsay manhos hotay hain, barkat walay janwar gharon mein rakhnay say ghar ki hifazat hoti hai aur ghar khushal rehta hai, manhos janwar honay say ghar mein tarah tarah kay masael aur nahosat peda hojati hai, 
janwaron kay mukhfi asrat wa rohaniat kay ilm ko ilm al-simiya kay nam say jana jata hai, mera yeh blog bhi isi ilm par hai aur abhi mein parindon ki rohaniat kay mutalik share kar raha hon,

Murg:
Sab say pehlay mein Murg ki rohaniat kay mutalik share karta hon takay aap ko wish bone jo murg mein hoti hai oskay raaz wa israr ko thek say samaj sakain, mein yahan murg aur oski rohaniat kay hawalay say kuch ahadees share kar raha hon,
Is hadees e pak say yeh baat sabit hai kay murg mein aysi rohaniat mojod hai jis say insan abhi wakif nahi, agar wakif hojay to sonay aur chandi kay badlay isay woh khariday ga, iski awaz say jinnat bhag jatay hain,
Isitarah ki aur bhi kai ahadees hain jo safed rang kay murg kay mutalik hain, kuch ahadees mein yahan share kar raha hon,
 
Is hadees e pak mein yeh likha hai kay jiskay ghar mein safed murg hoga oski 3 chezon say hifazat hogi, shaitan kay shar say, jadugar kay shar say aur kahin kay shar say, humaray baray bozrogon ka kehna hai kay ghar mein murg, totay ya kabotar rakhnay chahehai kuo kay jab bhi koi nahosat ya bad asrat ghar mein partay hain to pehlay in janwaro par aatay hain jin say woh bimar hokar mar jatay hain, woh apnay malik ki saktia apnay opar letay hain,
safed murg mein Allah pak nay aysay asrat rakhain hain jis say jinnat dor bhagtay hain, aak wakia safed murg aur jinnat ka jo imam ibn jozi ki kitab "kitab Al Arais" mein likha hai mein osay yahan share karta hon:
Imam jozi farmatay hain kay talib e ilm yehni student larka akela  safar kar raha tha aur safar kartay hoay woh bhatak gaya aur veeran jaga mein agaya jahan osay aak shaks mila jisnay rasta batanay mein os larkay ki madad ki aur oskay sath chalnay laga, jab woh dono shehar kay karib pohanchay to os shaks nay larkay ko kaha kay mera tujh par aak haq aur zima hai, mein jinn hon meinay tumhari madad ki tumko rasta dikhaya aab tumko mera aak kam karna hai, larkay nay pocha kay woh kya kam hai? jinn nay kaha kay tum falan ghar mein jana wahan murgio kay darmian aak safed murg hoga, tum iskay malik say yeh murg kharid kar zibah kar dena bas yahi mamoli kam hai, larkay nay kaha kay yeh kam to mein tumhara kardon ga lekin mujay aak raaz ki baat batao kay agar kis shaks par jinnat ajay to iska kya ilaj hai? mein aak talib e ilm hon ilm say muhabat rakhta hon aap mujay is ilm ki taleem dain kay mein kisi shaks ka ilaj kistarah karon jis par jinnati asrat hon aur jhar phonk, dam ya tawez say os shaks ko koi faida na pohanch raha ho aur woh shaks bohat parayshan hoto aysay shaks ka ilaj kistarah kia jay, jinn nay woh khas tarika os larkay ko bata dia, phir osnay larka ko pesay dekar os ghar ki taraf bheja jahan safed murg tha, larkay ko wahan malum hoa kay woh murga aak borhi aurat ka hai, larkay nay os borhi aurat ko kaha kay mein yeh murga aap say kharidna chahata hon aap jo pesay bolay ghi donga, os aurat nay os murg ko denay say inkar kardia, jab larkay nay apni pocket say bohat saray pesay nikal kar os aurat kay agay rakh diay to os aurat nay murga os larkay ko day dia, jinn nay dor say larkay ko apni shikal dikhai aur isharay say kaha kay murg ko zibah kardo foran,
Borhi aurat kay ghar jatay he larkay nay foran murg ko zibah kia aur dor kharay jinn ko dikhanay laga aur jinn wahan say foran kahin ghom hogaya, larka abhi kuch he dor gaya tha kay borhi aurat kay ghar say kai aurtain aur mard bahir nikal ay aur larkay ko marnay lag ghay aur kehnay lagay kay tum jadugar ho, tum nay jesay he murga zibah kia humari aak jawan larki par jinn nay hamla kardia hai, larkay nay kaha kay mein jadugar nahi hon mein aak talib e ilm hon aur meray pas ilm hai jis say mein aap ki larki ko thek kar sakta hon, phir os larkay nay wahi tarika use kia jo jinn nay osay bataya tha, doran e ilaj jinn jo os larki mein tha chekh para kay meinay jo tumko amal bataya tum osay meray he khilaf use kar rahai ho? larkay nay kaha kay mujay nahi malum tha kay tum mujay dhokay say murg ko zibah karwa kar is masom larki par hamla karo ghay agar mujay malum hota to mein tumhara yeh kam kabhi na karta, phir larkay nay osi jinn kay diay amal say os jinn ko mar dala, os larki ko shifa mili aur koi shaitan phir os larki kay nazdek na gaya, (kitab al arais, imam ibn e jozi).
Ahadees aur yeh wakia parhnay kay baad aap ko malum hogaya hoga kay murg mein kesi zabardast rohaniat Allah pak nay rakhi hai, kai log murg ka sadqa bhi kartay hain,
Murg ka sadqa denay ka tarika yeh hai kay 7 bar sar par say ghoma kar kahin abadi say dor murg ko azad chor dia jay, lekin kai log aysa nahi kartay woh murg ko sadqa kar kay zibah kar detay hain ya kisi gareb ko day detay hain, mein inshAllah bohat jald murg aur oskay amliyat kay mutalik alag tafseel say blog likhon ga jis mein safed aur kalay murg aur onkay eggs kay amliyat share karon ga, abhi mein wapis apnay osi wish bone kay topic par aata hon, murg kay mutalik jo meinay share kia iska maksad aap sab ko yeh batana tha kay aam say is bay zar janwar mein kesi rohaniat poshida hai jis say hum mein say kai log na wakif hain,

Wish Bone Anatomy:
Murg ki rohaniat kay mutalik to aap opar parh chokay hongay, aab mein os khas bone kay mutalik tafseel batata hon jo murg mein hoti hai, opar image murg kay skeleton ki hai is mein aap ko wishbone jisay furcula bone kehtay hain isay red colour kia gaya hai takay aap jan sakain yeh kis hisay mein pai jati hai, mazeed tafeel say aap meri in photos mein dekht saktay hain,

Opar jo meinay photos share kia hain in photos ko dekhnay kay baad aap ko malum hogaya hoga kay yeh khas bone murg ki sabi bones say alag aur munfard hai aur yeh murg kay galay mein keemati har yehni necklace ki tarah hai, yek khas 2 shakha bone har parinday kay galay mein hoti hai aur yeh onkay puray jism ko balance mein rakhti hai, agar yeh bone parinday mein na ho to parinda ochal ya oor nahi sakta, yahi hadi parinday ko ochalnay aur ornay mein madad karti hai, murg ki puri body ka tawazon is hadi par kaim hai yeh to batain hoi science kay view say kay, aab rohaniat kay view say mazeed is khas bone kay mutalik israr batata hon,
Murg ki yeh khas 2 shakha hadi jisay wish bone kay nam say jana jata hai yeh amliyat ka khas tool ki tarah hai, is aak hadi say kai amliyat kiay jasaktay hain, is mein bohat zabardast rohaniat hai aur jo shaks is rohaniat ka ilm rakhta ho woh is aak hadi say kai amal kar kay logon kay masael ka ilaj kar sakta hai, is hadi say kismat ka hal yehni istakhara kia jata hai, muhabat, hob wa taskheer kay kam kiay jatay hain, is hadi kay amal say mia biwi kay darmian nafrat khatam hosakti hai, 2 muhabat karnay walon kay darmian judai par ghai hoto is hadi kay amal say onko phir say milaya jasakta hai, is hadi kay ghar mein ya shop, factory ya office mein honay say sabi bad asrat jesay jadu, jinnati asrat, nazar e bad wa hasad say protection milti hai aur is hadi ki barkat say ghar ya karobar ki jaga mein khushali aati hai, is hadi kay hazaron aymal hain jisay sab kay sab yahan likhna possible nahi, mein kuch khas aymal he yahan share karta hon jo asan hon, kai aysay amal bhi hain is hadi kay jo bohat moshkil hain jisay yahan share karna thek nahi, kuch aymal aysay hain jisay share karnay ki ijazat meray ustad nay nahi di hai, 
mein sab say pehlay is hadi kay zariay jo istakhara kia jata hai oskay mutalik detail share karta hon,

WishBone Divination:
 Make a wish – the Wishbone 
The wishbone tradition is said to date back millenniums, carried from one culture to another in a attempt to bring luck to those areas in life where they long for thro greater abundance through some mysterious source.
We are familiar with drying the unbroken wishbone from a chicken or turkey and allowing it to dry. The tips of the wishbone were then held by two prosperity-seekers, each with their own wish, and they both pull to break the wishbone in two.  The person holding the larger portion of the wishbone was believed to be granted their wish. The more commonly known two-person breaking of a wishbone, is preceded by an ancient ritual that if two girls break the wishbone the one who gets the shorter piece will get married, the one receiving the longer piece will remain unmarried. These days some might see this as the opposite of our current day belief that the longer end is good luck, given the revolving door attitude of some marriages!


Wishbone divination, yehni wish bone say kismat ka hal ya istakhara karna, janwaron ki muktalif hadio kay zariay kismat ka haal dekhnay wala ilm bohat he qadeem hai aur dunia mein har culture apnay maksos tor tarikon say is ilm ko karta hai, wish bone say istakhara karnay kay kai tarikay hain, agar kisi ghar mein 2 jawan larkia hon onkay rishtay kahin say bhi na aatay hon to wishbone say istakhara kar kay malum kia ja sakta hai, iska tarika yeh hai kay dono behanay jomay kay din chicken ki koi bhi aysi dish banae jesay biryani ya korma jo sabi ghar walon ko passand ho, khana pakanay kay baad aak plate fakir kay liay alag nikal li jay, oskay baad ghar walon ko khana khilanay kay baad dono behnay sath alag khana khay, dono behnay jis plate mein khana khay os plate mein chicken ka woh piece ho jis mein wishbone ho, dono behnay ahtiat say khana khay istarah kay wishbone totay nahi, khana khanay kay baad wishbone ko alag kar kay baqi hadio ko billi ya kutay ko khilanay kay liay dia jay phir wishbone ko pani say achi tarah dho kar saaf kar kay mehfoz rakha phir jomay ki sham ko dono behnay alag room mein jahan koi dosra na ho wahan wishbone ki dono shakon ko pakar lain aur dono behnay shaadi ka soch kar ahista ahista dono shakhon ko khinchay lagain, khinchnay say koi aak shak tot jati hai, jis behan kay haath mein pakri shakh khinchnay say tot jay to oski shaadi hojay ghi aur woh khushal rahai ghi, jo wish hai oskay dil mein woh puri hogi, agar opari hisa totay to bohat jald an kareeb oska rishta ay ga aur husband ya to mazhabi hoga ya kafi rich aur khuhal hoga osay out of country lay jay ga, agar bone darmian say totay to shaadi kuch arsay baad achay karobari shaks say hogi jiski family bohat achi hogi aur larki ki zindagi susral mein khuhal guzray ghi, agar bone ki shakh puri he tot jay to shadi hogi lekin kuch arsay baad hogi kafi maslay masael honay kay baad lekin woh shadi bohat kamiab rahai ghi, husband bohat acha pyar karnay wala naseeb hoga, jis behan kay hath mein sabit wishbone ki shakh reh jay khinchnay kay doran to iska matlab yeh hua kay oski shadi mein bandish hai, agar yeh ritual 3 bar karnay kay baad bhi os behan kay hath sabit bone ay to sakt jadu ya jinnati asrat ki waja say os par bandish hai jiski waja say oski shaadi nahi ho pay ghi,
Aur bhi kai tarah say is bone say istakhata kia jata hai agar yeh malum karna ho kay mariz ki bimari jismani hai ya jadu kay asrat hain to kali murgi ko mariz kay bedroom mein sari raat rakha jata hai, dosray din suba ko murgi ko 7 bar mariz kay sar par say ghoma kar zibah kar kay os murgi ki wishbone nikal li jati hai aur murgi kay gosht ko ghar say dor kahin janwaron ko khila dia jata hai, wishbone ko achi tarah saaf karnay kay baad jomayrat ki sham magrib kay waqat mariz ghar ki chaat par wishbone haath mein lekar dil mein sochay kay meri bimari jadu ya bad asrat ki waja say hai ya yeh jismani bimari hai, yeh sochnay kay baad 2 shakha wishbone ki aak shakh mariz seedhay haath ki fingers say pakar lay aur dosri shakh apnay bhai, behan, maa ya baap ya koi dosra family member jiskay sath mariz ka khoon ka rishta ho woh osay pakarnay ko kahai, phir dono ahista ahista wishbone ki shakh ko khinchay, khinchnay kay doran wishbone ki aak shakh tot jati hai, woh shakh jo mariz nay pakar rakhi ho woh agar khinchnay kay doran tot jay to mariz par jadu kay asrat hain, agar family member kay haath mein pakri shakh tot jay aur mariz ki sabit rahai to mariz par koi bhi jadu kay asrat nahi osay jismani bimari hai, agar mariz kay hath mein pakri hoi shakh ka opari chota tokra tot jay to yeh sitaron kay bad asrat hain jo kuch arsa rahai ghay lekin ziada parayshani ki baat nahi mariz ko shifa milay ghi, agar woh shakh darmian say tot jay to mariz par jadu kay asrat hain aur sehat yab honay kay 50 50 chances hain, agar woh shakh puri he tot jay to mariz par sakt jadu ya jinnati asrat hain aur mariz ki jan ko khatra hai oski mot hosakti hai,
Puranay dor mein badshah kai shadia kartay thay onko apni biwio par shak bhi hota tha kay kis biwi ki muhabat ziada hai kon ziada sincere hai kon nahi to yeh malum karnay kay liay woh wishbone say istakhara karwatay thay, wishbone ka ilm rakhnay wala aamil badshah kay samnay khas amal karnay kay baad murgi ko zibah kar kay wishbone oski nikal kar badshah ki dono biwio ko deta woh dono wishbone ki dono shakhon ko pakar kar ahista ahista khinchti to jiskay haath mein pakri hoi shakh agar tot jati to woh biwi sincere nahi osay badshah say muhabat nahi, jis biwi kay hath mein shakh sabit rehti to oskay dil mein koi khot nahi oska dil saaf hai aur osay badshah say muhabat hai aur onka rishta apas mein mazbot rahai ga,
Isi tarah jung kay doran bhi wishbone kay zariay istakhara kia jata tha kay jung kay maydan mein kon galib rahai ga kon jeetay ga kis kay naseeb mein jeet aur kiskay naseeb mein shikast hogi,
The custom of snapping these bones in two after dinner came to us from the English, who got it from the Romans, who got it from the Etruscans, an ancient Italian civilization. As far as historians and archaeologists can tell, the Etruscans were really into their chickens, and believed that the birds were oracles and could predict the future.When a chicken was killed, the furcula was laid out in the sun to dry so that it could be preserved and so people would still have access to the oracle's power even after eating it. People would pick up the bone, stroke it, and make wishes on it.

Is khas 2 shakha bone say kai aymal kiay jatay hain, is khas bone kay mukhfi asrat ka har koi kael raha hai zamana e qadeem say lekar aaj bhi is bone say kai tarah kay aymal kiay jatay hain,
LUCKY WISHBONE
The wishbone is the third member of the great Euro-American lucky charm triumvirate. Sometimes called the "merrythought" in the British Isles, the wishbone is a bone of fowl. It is the custom to save this bone intact and to dry it over the stove or by the fire (or, sometimes, to dry it for three days in the air, three being a fortuitous magical number) until it is brittle. Carry the Wishbone with you or put it in special place in your home as an amulet to attract good luck and to make wishes and dreams come true.


Wishbone say istakhara karnay kay ilm kay mutalik to aap nay jan lia, aab mein is khas bone kay amliyat kay mutalik yahan share karta hon, is khas 2 shakha bone say hazaron amliyat kiay jasaktay hain,

Wishbone Kay Amliyat: 
Murg ki is 2 shakha hadi mein aysay zabardast asrat wa rohaniat hai jis say har kisam kay kam liay jasaktay hain lekin iska matlab yeh hargiz nahi kay kisi bhi murgi ko zibah kar kay yeh hadi nikal kar apnay pas rakhli jay is maksad kay liay kay aap ki wishes is say asani say puri hojay gi, dunia mein peda honay wali har shay kay sath oski khas rohaniat bhi hoti hai, humay yeh to asani say baray bozrogon ki zibani malum hojata hai kay is chez mein asrat wa rohaniat hai lekin os rohaniat ko kis tarah taskheer kar kay os say kam liay jay yeh bohat kam logon ko malum hota hai aur jinko malum hota hai woh is raaz ko apnay seenay mein he dafan kar kay rakhtay hain, wishbone ki khas rohaniat ko bhi taskheer kar kay is bone ko use kia jata hai tabhi aap ki har wish is bone ki rohaniat kay zariay puri hosakti hai, bina taskheer ki hoi ya bina amal ki hoi bone kisi kam ki nahi hoti osay apnay pas rakhna bekar hai,
Wishbone ki rohaniat ko kistarah taskheer kar kay is bone say kam lia jay yeh sab mein yahan share karta hon,
Wishbone 2 aksam kay murg say li jati hai safed rang kay murg aur kalay rang kay murg say, jo safed rang kay murg ki wishbone hoti hai woh har jaiz wish puri karnay ki salahiat rakhti hai iskay saat yeh goodluck, karobar, rupay peson ki problem khatam karnay kay kam kay liay aur dushmano say hifazat kay aymal mein use ki jati hai,
Kalay rang kay murg ki wishbone har kisam kay na jaiz wish puri karnay ki salahiat rakhti hai iskay sath safli aymal jesay kisi ko muhabat mein dewana karna, kisi ko apnay bas mein karna, bimar karna, 2 jano mein judai karwana wagayra jesay kamo mein use hoti hai,
Aab mein yahan safed rang kay murg ki wishbone hasil karnay ka tarika batata hon,

Safed rang kay murg ka amal orooj e mah yehni mahinay ki shorowat mein jab kamar zaid al noor ho yehni jab raat mein chand ki roshni tez ho aur jomay ki suba kay waqat iska amal kia jata hai aur aamil amal kay waqat kalay rang ka libas pehanta hai,
Kalay rang kay murg ka amal mahinay ki akhri tarikhon mein jab kamar nakis al noor ho yehni chand ki akhri tarikhay hon ya chand asman mein zahir na ho raat ko ghop andhera sa ho os waqat saturday ki raat ko amal kia jata hai safed rang ka libas pehan kar,

Ritualized Knife Athame:
Amliyati dunia mein har amal ka apna alag asool wa qawaid hota hai, Amliyat mein jo bhi chezain use hoti hain woh agar amal kay asool wa qawaid kay mutabik na ho to amal mein noks hojata hai aur sara amal kharab hokar olta hojata hai, jistarah khanay mein agar namak ya mirchi ziada hojay to umda say umda khana bhi bay maza hojata hai, same isitarah amliyat mein bhi har bareek chez par ghor kia jata hai kisi chez ko bhi mamoli samaj kar ignore nahi kia jata, jo bhi apnay kam mein dil say mehnat karta hai osay oski mehnat ka phal zaror milta hai dil tabhi lagta hai kam mein jab os kam say ishq ho, bohat kam aamil aysay hain jo aysa kartay hon aaj kal shortcut tarikay say kam karnay walay har jaga aap ko milay ghay koi ilaj kay liay aya to bhari keemat os say lekar kisi book say tawez dekh kar aam pen say paper par naqsh bana kar mariz ko chopka detay hain kay bhai jao sab thek hojay ga, mariz bhi ankhain band kar kay os par bharosa kar kay naqsh rakh letay hain magar jab faida nahi hota to apni kismat ko kosnay lagtay hain, inhe jahil behoda aamil logon ki waja say he rohani oloom badnam hogay hain, yeh jahil fraud aamil aab net par bhi har jaga agay hain aur meri site say sab photos aur texts copy kar kay apnay nam say alag website bana rahai aur facebook par bhi share kar rahai hain khud ko Ali pirzada keh kar logon ko fool bana rahai hain, magar aab Government nay yeh acha system bana dia hai phone ki sim kay biomatric ka, aab in fraud aamils ko easily pakra jasakta hai onkay diay phone numbers ki madad say, aab yeh jali fake log apnay phone numbers site par denay say daray ghay kay kahin pakray na jay, jo bora karay ga oska phal osay bora he milay ga, Allah pak inko hidayat dain,
Ritualized knife woh khas chori hoti hai jo amliyat kay kamo mein use hoti hai yeh 2 types ki hoti hain aak woh khas chori jis say zameen par hisar banaya jata hai protection kay liay ya agar kisi darakt par amal kia jata hai to yeh khas chori os darakt par lagai jati hai takay is darakt kay jinnat, asyab, badruh ya saaya say protection hosakay doran e amal, yeh chori istarah hoti hai,
Yeh khas chori 2 dhari hoti hai aur is say hisar ya protection kay kam kiay jatay hain amliyat kay doran,
Jo 2nd type ki chori hoti hai woh alag tarah ki hoti hai os say janwar zibah kartay hain amliyat kay doran, woh khas chori copper yehni tanbay ki banai jati hai jo istarah ki hoti hai
Amliyat kay doran jo janwar zibah kiay jatay hain woh isi khas chori say zibah kartay hain takay janwar mein mojod jinnati asrat aamil ko noksan na pohancha sakay ya amal ko kharab na kar sakain is chori ko bananay ka tarikay istarah hai kay Atard yehni planet mercury jab 11 darja(degrees) borj hamal yehni Aries mein pohanchay os waqat surakh tanbay ki chori yehni knife banwa kar oskay dastay mein atard ki dawat ka wazaif konda yehni engraved kia jay aur chori par aak khas tilsim konda kia jay, phir raat kay waqat jab asman mein chand na ho bilkol andhera ho os waqat kokab e suraiya yehni pleiades jo 7 sitaron ka jhond raat ko asman mein nazar aata hai oskay zamnay is knife ko istarah rakha jay kay kokab e suraiya kay jhond kay beech kay sitaray par knife ki nok ka rokh ho yahan yeh amal bohat hoshiari say karna hota hai agar zara bhi galti hoi to amal kharab hokar olta hosakta hai, puranay dor mein Arab kay astrologer aak khas device use kartay thay jisay astrolabe kehtay hain,
Astrolabe ki madad say arab kay olma e rohaniat wa aamil asani say sitaron kay aymal kia kartay thay jesay sitaron kay darjat malum karna ya sitaron ki seedh(angles) malum karna, is device say sitaron ki seedh ya angle bilkol accurate malum hojatay hain is device ki madad say calculation say najom kay aymal asani say kiay jasaktay hain, aab zamanay nay bohat taraqi karli hai aab astrolabe ki jaga laser pointer nay lay li hai, aab hum easily laser pointer ki madad say kisi bhi sitaray ki seedh mein amal e tanjim kar saktay hain,
Aab mein wapis osi ritualized knife kay topic par aata hon, bina chand ki ghop andheri raat mein pehlay binoculars yehni dorbeen ki madad say kokab e suraiya talash kia jay,
Oskay baad knife ki nok ka rokh kokab e suraiya ki taraf kar kay rakha jay,
Kokab e suraiya ki direction mein knife rakhnay kay baad oski nok ka rokh suraiya kay 7 sitaron kay jhond kay beech kay star par rakha jay, beech kay star ki bilkol accurate direction mein knife ki nok ko rakhnay kay liay astronomical laser pointer use kia jay,
Dorbeen aur laser pointer ki madad say hum easily kokab e suraiya kay center walay star par knife ki nok ka sira bilkol accurate direction mein rakh saktay hain, 
knife ko sahi direction mein rakhnay kay baad kokab e suraiya ki rohaniat ko invoke karnay ka amal kia jata hai, oskay liay pehlay khas dhoni jalai jati hai, dhoni mein loban, mustagi romi, sokhay ganay ki lakri aur chandan ki lakri jala kar iski dhoni di jati hai,
Dhoni denay kay baad aak khas wazaif kokab e suraiya ki rohaniat ko taskher karnay ka parha jata hai, is khas wazaif ko yahan share karnay ki mujay ijazat nahi mili isliay isay yahan share nahi kar raha, yeh wazaif 190 bar 30 mintues mein he parhna parta hai kuo kay jesay jesay waqat gozarta jay ga knife ki nok ki direction os star say hat jay ghi, asman mein stars to apni jaga fixed hain lekin dunia gol ghomti hai aur humay stars aak jaga say dosri jaga asman mein dikhai detay hai, kokab e suraiya ka wazaif bohat jalali hai iskay parhnay say jism mein ajeeb see bechani honay lagti hai, sab kuch bhol kar apnay hawaas ko apnay kabo mein kar kay jaldi yeh wazaif 30 minutes kay andar parhna hota hai oskay baad kokab e suraiya ki rohaniat wa moakil is knife mein ajatay hain aur yeh knife har tarah kay aymal e simiya mein kam aata hai,

The White Wishbone (Amal Murg Safed):
White wishbone yehni woh farcula bone jo safed murg say hasil ki jay yeh bone bohat lucky hoti hai, jiskay pas ho oska luck har kam mein acha rehta hai, dushmano say mehfoz rehta hai, dolat aur rupay peson ki kabhi kami oski life mein nahi hoti aur oski zindagi khushal rehti hai, safed murg ki wishbone hasil karnay ka tarika istarah hai kay orooj e mah yehni chand ki shoro ki tarikhon mein kamar zaid al noor ho yehni chand ki roshni tez os waqat jomay kay din kala libas pehan kar safed murg ko ahtiat say kisi bartan mein osi khas ritualized knife say zibah kia jay,
 Murg ko ahtiat say zibah karnay kay baad pehlay oska sar aur gardan ka hisa kat kar alag bartan mein rakha jay oskay baad oskay panjay kat kar woh bhi alag kisi bartan mein rakhay jay, oskay baad khal aur par woh bhi achi tarah juda kar kay kisi bartan mein rakhay jay, phir wishbone ko bohat ahtiat aur hoshiari say os mein say nikali jay istarah kay woh bilkol bhi na totay, yeh bone bohat nazok hoti hai zara sa bhi zor dalnay say tot jati hai isliay kafi ahtiat say isay nikal kar achi tarah saaf kar kay dho kar kapray mein lapait kar mehfoz rakh li jati hai, oskay baad murg ki dono raan kay kay meat ko kat kar alag bartan mein rakha jay oskay baad beech wala seenay ka hisab bina oskay organs nikalay kisi matti kay bartan mein rakh kar opar say dosra matti ka bartan rakh kar gol e hikmat kia jay yehni naram matti say osay achi tarah seal kardia jay istarah,
Gol e hikmat yehni achi tarah bartan ko matti say seal karnay kay baad zameen mein garha khod kar koilay dal kar is bartan ko onkay center mein rakha jay istarah,
3 dino tak is bartan ko lagatar koilay ki aag ki heat mein rakhna hai takay bartan kay andar jo bhi organ hain woh andar he sab jal kar rakh hojay, koilon ki aag mein bartan rakhnay kay baad dosra amal karna hota hai, murg ka sar wa gardan, oski khal wa par, panjay aur raan ka gosht jo alag kar kay bartan mein rakha tha onko dunia mein rehnay wali 4 khas makhlokat ko khilaya jay woh makhlokat hain Insan, Darinday, Parinday aur Machlia,
Sab say pehlay murg ki dono raano kay meat ka korma banwa kar kisi gareeb zaef mia biwi ko khilaya jay, oskay baad murg kay panjo ko kalay rang kay kotay ya billi ko khilaya jay, oskay baad murg kay sar wa gardan kay meat ko tokray kar kay cheel ya kaway ko khilaya jay, murg ki khal wa paron ko daria ya nehar mein baha dia jay jahan fishes hon,
Is kam say farikh honay kay 3 din baad jo bartan koilon ki aag mein rakha tha osay wahan say nikala jay,
3 dino tak heat denay say matti kay bartan mein murg kay organs jal kar raakh hojatay hain aur sirf hadia baqi reh jati hain, is sabi raak wa hadion ko ahtiat say bartan say nikal kar haon dastay say pees kar sab ko powder ki tarah banaya jay, is powder ko ramad ya masan kaha jata hai, is powder mein black colour ki ink shamil ki jay,
Phir is powder mili ink mein chand katray ittar kay shamil kar kay is khas ink aur osi zibah kiay murg kay par ki kalam say wishbone par os shaks ka nam oski walda kay nam kay sath likha jay jiskay liay yeh amal kia gaya hai,

Yeh safed murg ki amal ki hoi wishbone bohat he lucky hoti hai yeh jiskay pas ho woh shaks har dil aziz hota hai, har koi is say muhabat say paysh ata hai, dushman kabi os par hawi nahi hotay, woh jis karobar mein haath dalay ga osay kamiabi naseeb hogi, rupay peson ki kabhi kami osay nahi hogi aur oski zindagi humaisha khushali mein guzarti hai, la ilaj bimario aur hadson say woh shaks humaisha mehfoz rehta hai yeh khas bone jis ghar, shop wagayra mein ho to woh jaga har kisam ki nahosat wa jadu kay bad asrat say mehfoz rehti hai, is bone kay khas moakil wa khodam os shaks ki hifazat kartay hain jis kay pas yeh bone ho aur oski har wish puri kartay hain, is bone kay hazaron khuwas hain jinhai sab yahan batana munasib nahi, jis kay pas yeh bone ho osay iskay khuwas kisi ko nahi batanay chahehai, is bone say har jaiz khuwaish puri ki jasakti hai,

La Ilaj Bimaria aur Amal e Wishbone:
La ilaj bimaria jo achanak kisi bhi shaks par attack kar sakti hain, aysi bimaria jiska ilaj doctors kay pas nahi hota, yeh bimaria insan ko oskay aymalo ki waja say hoti hain ya phir kalay jadu, jinati asrat, saaya, sitaron ki gardish, kisi ki bad dua, nazar e bad, kisi manhos jaga, manhos janwar ya insan ki nahosat ki waja say bhi hoti hain, agar kisi gareeb gharanay kay shaks ko la ilaj bimari hojay to os bicharay ki zindagi bhar ki kamai bimari kay ilaj mein kharch hojati hai aur phir bhi osay shifa nahi milti aur woh mar jata hai apni biwi aur masom bachon ko tanha gorbat aur karz kay daldal kay hawalay kar kay, aur agar woh shaks dolat mand aur ameer hai bohat say oskay guards hain jo 24 hours oski hifazat kay liay duty detay hain, pyar karnay walay aziz aur yar hain lekin jab la ilaj bimari honay say honay wali mot say oski dolat aur ameeri osay bacha nahi sakti, na oskay guards jo 24 hours oski hifazat kartay hain osay bacha nahi saktay aur na he pyar karnay walay aziz jan nichawar karnay walay yar wa dost osay bacha saktay hain aur woh sab ko tanha chor kar is dunia say roksat hojay ga aur oskay dushman aziz oskay baad oski dolat wa malkiat par aysh karain ghay jinhonay kala jadu karwa kar osay la ilaj bimari mein mobtala kar kay mot kay hawalay kardia, 
Kuch arsa pehlay ki baat hai meray pas aak zamindar shaks aata tha jiskay pas dolat ki koi kami nahi thi, mein istakharay ka hadia 200 rupay leta hon magar woh mujay 2000/- rupay day jata tha, meinay iskay kai masael apnay ilm say thek kiay aur as a family physician mein onki family member kay masael bhi apnay ilm say thek karta tha, aak din meinay os zamindar shaks ka hisab ilm ramal say banaya to bohat he sakt oska hisab aya meinay osay kaha kay apka hisab kafi sakt araha hai aap kay dushman aap kay apnay aap par sakt kisam ka kala jadu karwa rahai hain aap please apni protection ka bara amal muj say karwa lo, magar woh os waqat aak young larki par aashiq tha, kehnay laga kay abhi sab kuch thek hai mein bhi fit hon aap ko bara amal karna hai to pehlay is larki ka karo kay meray kabo mein ajay meri dewani hojay jitna kharcha hoga os say double donga new car bhi aap ko gift karon ga, meinay osay bohat samjhaya kay aap pehlay protection ka amal karwao jan hai to jahan hai larkia to aap ko bohat aur bhi mil jay ghi magar osnay meri kisi advise par dhian nahi dia, larki kay ishq nay oskay zehan ko bandh dia, khair meinay oska kam lia jo osnay mujay dia aur woh meinay pura kia aur woh os larki mein busy hogaya muj say rabta na rakha kai arsay tak, phir 6 months baad os zamindar ki wife nay muj say rabta kia aur apnay ghar bolaya jahan sab oskay aur bhi aziz bethay thay oski wife nay bataya kay onkay husband ko cancer ki bimari hogai woh hospital kay icu mein hain please aap onka rohani ilaj karain, meinay onko kaha kay mein siwa dua kay aur kuch nahi kar sakta, woh sab ronay lag ghay oski wife nay apnay saray sonay kay zewar meray pao par rakh diay aur kaha kay please yeh zewar lay lo hum aap ko new gari aur bungalow bhi dain ghay please jistarah ka bhi ilm karain onko bacha lain hum nay to aap ki bohat tarif soni hai kay aap apnay ilm say kuch bhi kar saktay hain, meinay onko kaha kay mein onki help kar sakta tha lekin aab nahi kar sakta kuo kay woh last stage par aghay hain meinay onko kaha tha kay protection ka amal karwa lain magar onhonay meri baat par dhian nahi dia, aap sab onkay liay dua karain mein bhi onkay liay dua karon ga,
Mujay malum tha aysa hona tha magar os waqat jab oska hisab sakt aya tha agar woh protection ka amal karwa leta to kalay jadu ki waja say honay wali cancer ki bimari say bach jata, kuch arsa baad mujay malum hoa kay os zamindar ki death hogai aur bhai nay oski sari dolat, zameeno aur ghar par kabza kar lia aur os zamindar ki biwi apnay bachon kay sath alag aak chotay say makan mein reh rahi hai jisay zamindar kay bhai nay har chez say osay bay dakhal kardia, yeh hasad aur nafrat ki aag hoti jo aak choti see chingari ki tarah hoti hai jo barhtay barhtay khatarnak aag ki shikal lay leti hai aur yeh aag sab ko jala deti hai, yeh hasad aur nafrat ki chingari meinay bohat pehlay ilm ramal kay hisab mein dekh li thi mujay malum tha kay yeh bhayanak aag ki shikal lay gi aak din aur wahi hoa, agar zamindar os waqat muj say protection ka amal karwata to mein osay yahi wishbone deta, yeh aam see dikhnay wali murg ki hadi osay tabahi say bacha sakti thi, rohani ilaj karnay walay aur doctors jab kisi patient ka maina kartay hain to onko zahiri aur chop hoi har patient ki takleef malum hojati hai aur woh patient ko advise kartay hain lekin bohat kam log os advise par amal kartay hain, jesay for example aak patient ko fever hai woh doctor kay pas jata hai kay doctor sahab mujay fever ki medicine dijiay to doctor oska maena karnay kay baad osay fever ki medicine denay kay sath payt kay dard ki bhi medicine deta hai, patient doctor ko yahi kahai ga kay bhai mujay to fever hai aap sirf fever ki medicine dain yeh payt kay dard ki medicine kuo day rahai hain? patient yahi samajta hai kay doctor apni fees barhanay kay liay ziada medicine day raha hai jo fazol hain aur woh sirf fever ki he medicine khata hai lekin jab payt ka bard osay honay lagta hai to dobara doctor kay pas bhagta hai aur ziada fees day kar apna dobara ilaj karwata hai agar woh pehlay fever ki medicine kay sath payt kay dard ki bhi medicine kha leta to osi mein sab thek hojata,
Same isitarah hum bhi jab kisi ko advise kartay hain kay bhai yeh khatra hai aap yeh bhi amal bara amal karwa lo to samnay wala yahi sochta hai kay pesay lenay kay liay wazol mein bara kam karnay ka keh raha hai aur woh yahi kehtay hain kay aap osay abhi rehnay do pehlay yeh karo, aab hum zabardasti to osay force nahi kar saktay isliay hum phir wahi kartay hain jo woh kehtay hain, jo humari advise par amal kartay hain woh kamiab rehtay hain, wishbone ka protection kay hawalay say jo amal hota hai woh bohat best rehta hai, meray pas istarah kay kai cases atay rehtay hain aur meinay isi bone kay amal say onki help ki hai aur dushmano say woh mehfoz hokar apni family kay sath khushal zindagi gozar rahai hain,
Kalay jadu say honay wali la ilaj bimario mein aak bimari shehwat ki hai, jab kalay jadu say kisi mard ki shehwat bandh detay hain to woh apni biwi kay sath hum bistar nahi hopata, kisi bhi doctor ya hakim ki dawa osay is bimari say nejat nahi day sakti, biwi osay na mard samajnay lagti hai aur osay apnay husband say sakt nafrat hojati hai aur woh dosray mardon mein invole hojati hai jis say os shaks ka khushal gharana tabha wa barbad hojata hai, istarah kay kai cases meray pas aatay rehtay hain jisko yeh bimari hoti hai woh dosri aurton say jab hum bistar hotay hain to normal hotay hain lekin apni wife kay sath hum bistar honay say koi an dekhi force onko aysa jakar leti hai jis say lakh koshish karnay par bhi feelings nahi aati is say yeh baat clear sabit hoti hai kay osay os maksos aurat jo oski biwi hai osi say jadu karkay bandh dia gaya hai takay oski aulad ya waris peda na hosakay ya osay divorce day kar dosri jaga shadi kar lay kai wajohat hoti hain, iska tor wishbone kay amal say kia jata hai, amal ki hoi wishbone ko bedroom mein bed kay kareeb rakhnay say yeh bandish khatam hojati hai aur husband aur wife kay darmian shaded muhabat peda hojati hai aur bhi bad asrat jo onko apas mein judai dalwanay kay liay hongay woh asrat khatam hojay ghay,
Shehwat ki yeh bimari aurton ko bhi hoti hai jinnat wa asayb jab kisi aurat par aashiq hojatay hain to woh osay oskay husband say dor kar detay hain, hum bistar kay doran aurat ko apnay husband say sakt nafrat aur ghin see honay lagti hai jis say osay koi feelings nahi aati lekin jab woh tanhai mein bistar par hoti hai to kisi an dekhi kowat kay haath osay apnay jism par touch hotay mehsos hotay hain jis say osay bohat feelings anay lagti hain, yeh bimari bohat khatarnak hai is say aurat bohat kamzor hojati hai ya pagal hokar nafsiati marez ban jati hai, is bimari ka ilaj bhi safed murgi ki amal ki hoi wishbone say kia jata hai, yeh wishbone aurat kay bedroom mein honay say jinnati asrat os aurat say dor hojatay hain,
kai aysay ghatia log bhi hain jo kisi dushmani ki waja say nimazi parhayzgar, pak saaf rehnay wali ba parda aurat par kala jadu kar kay behoda bana detay hain aur woh aurat har mard mein interest lenay lagti hai jis bhi mard ko dekh lay osay shaded feelings aur behoda khayalat anay lag jatay hain jab tak woh os mard say hum bistar na hojay woh khayalat bar bar oskay zehan mein anay lag jatay hain, is bimari ki waja say kai aurtay apni izat ghar sab kuch tabha barbad kar deti hain, is bimari ka ilaj bhi isi wishbone say kia jata hai, hum jins parasti ki bimari bhi isi wishbone say thek hosakti hai, istarah ki kai bimarion ko meinay is wishbone kay amal say thek kia hai aur kai log is bone kay mukhfi asrat say faida hasil kar kay khushali mein zindagi guzar rahai hain,

Taskheer wa Muhabat aur Amal e Wishbone:
Achay Luck aur Protection kay ilawa Wishbone yehni murg ki 2 shakha farcula bone hob wa taskher yehni aymal e muhabat jesay kamo kay sath bhi iska gehra taluk hai,
Yeh bone husband aur wife kay darmian nafrat khatam kar kay on mein muhabat peda karti hai, yeh nafrat chahai kisi bhi waja say kuo na ho khatam hojati hai, aab mein yahan kuch amal share karta hon,
*Amal 1:
Agar koi aurat yeh chahai kay oska husband os say muhabat karay dosri aurton ki taraf na jay apnay ghar walon say ziada ospar dhian day oski har baat manay to aurat amal ki hoi murgi ki wishbone ki dono shakhon mein apnay baal lapait kar bone kay aak taraf apna nam dosri taraf husband ka nam likhay oskay baad husband kay pasenay walay kapray kay tokray mein lapait kar aysay cup ya glass mein osko rakhay jis mein dono husband wife tea ya pani peetay hon, phir is cup ya glass ko bedroom mein chopa kay aysi jaga rakh day kay koi dekh na sakay, is amal say husband apni wife ki muthi mein ajata hai jesa woh kehti hai wesa karta hai, yeh amal on husbands kay  liay best hai jo apni biwi ko martay hon, shak kartay hon aur kharcha na detay hon, 

*Amal 2:
Agar koi mard kisi aurat ko passand karta ho osay hasil karna chahata ho lekin aurat osay passand na karti hoto mard amal ki hoi kalay rang kay murg ki wishbone hasil karay phir oski aak taraf apna nam dosri taraf aurat ka nam likhay phir os aurat kay pasenay wala kapra ya oska used tissue paper hasil karay phir kisi air tight jar mein wishbone dal kar mard apnay pasenay walay kapray kay tokray ko aurat kay kapray kay tokray kay sath mila kar pani mein on kapron ko wet yehni gila kar kay jar mein pari wishbone par woh pani nichor kar dalay oskay baad in kapron kay tokron ko bhi jar mein dal kar airtight dhakan say achi tarah band kar kay jar ko kalay kapray mein lapait kar andheri jaga mein kahin rakh day, is amal say aurat ko khoab anay lagay ghay os mard kay woh oski taraf aysi attaract hogi kay siwa oskay aur koi mard osay passand he nahi ay ga,

*Amal 3:
Amal ki hoi Wishbone ki 2 shakhon mein say jo right side ki shakh hai woh agar kisi ko pees kar khila dain woh muhabat karnay lagay aur jo bhi kam osko kaha jay foran karday, dosri shakh dushmani kay aymal kay liay khilai jati hai jesay 2 logon mein judai aur nafrat karwana etc,

Wishbone kay aur bhi kai amliyat hain in sab amliyat ko yahan share karna posible nahi yeh sabi amliyat amal ki hoi wishbone say he hotay hain, agar aap ko amal ki hoi wishbone chahehai aur oskay amliyat to aap muj say rabta kar kay lay saktay hain,
Murg kay wishbone kay is topic ko yahin tak complete karta hon, wishbone sirf murg mein nahi hoti aur bhi kai birds yehni parindon mein hoti hain jis kay apnay alag khuwas hotay hain, aab mein yahan kuch aur birds ki wishbone kay mutalik kai raaz share karta hon,

Three Wishes Three Bones:
Yeh aaj say 14 saal pehlay ki baat hai mein os waqat kafi rohani oloom apnay walid say seekh raha tha aur kai kitabain bhi parh raha tha, meray walid kay pas bohat purani kitabon ka zakhira tha, on nayab purani kitabon kay pages kharab hogay thay mein in books ki photocopy karwanay kay liay aak shop par gaya jahan meri molakat aak shaks jiska nam Yasir tha os hoi jo shop par photocopy ka kam karta tha, mein ghanton tak oskay sath betha aak aak purani book ki photocopy karwata aur saath mein batain bhi hoti rehti, istarah hum dono mein achi dosti hogai, woh aak gareeb shaks tha jo apni walda aur apnay behan bhaion kay sath rent par aak chotay say makan mein rehta tha, oska walid pehlay punjab kay aak gao mein rehta tha wahan kuch khandani iktalafat ki waja say woh wahan say apni family ko lay kar hyderabad agaya aur yahin mazdori kar kay guzara karta tha, onki death kay baad Yasir photocopy ka kam karnay laga aur dosray bhai aak hotel mein kam par jatay thay, behan bachon ko tuition parhati thi, Yasir ko bhi rohani oloom seekhnay mein kafi dilchaspi thi, osnay aak din mujay bataya kay woh aak amal karna chahata hai jo nazar bandi ka hai jis mein Hudhud parinday ki 3 khas bones use hoti hain, Yasir nay muj say pocha kay Ali bhai aap kya kehtay ho yeh amal sahi hai? aur kya mujay iskay karnay say kamiabi milay gi? meinay os say pocha kay aap nay yeh he amal kuo lia baqi itnay saray asan amal chor kar? to osnay bataya kay osnay kuch arsa pehlay market say 2 books li thi Tilsimat Samri aur aak Sehar Aswad in dono he books mein yahi amal likha tha aur aap ki purani books ki photocopy karnay kay doran bhi mujay yahi same amal kai books mein likhay milay, meray dil mein yeh baat ai kay zaror is amal mein sachai hogi tabi to itni sari books mein iskay mutalik likha gaya hai, Ali bhai mera dil kehta hai kay mein is amal ko karon, meinay osay kaha kay agar aap ko yeh amal karna sahi lagta hai, aap kay andar ki rohaniat is amal ko karnay ka bar bar kehti hai to phir zaror karo, meri duain apkay sath hai inshAllah aap ko kamiabi milay gi, Yasir bohat khush hoa osnay kaha kay woh kuch din baad is amal ko zaror karay ga, 
Phir mein apnay gao chala gaya wahan kuch apni masrofiat mein busy hogaya aur kai arsay tak Yasir say mera koi rabta na raha, kuch arsay baad woh achanak meray ghar aya, mujay os say mil kar bohat khushi hoi aur baychani see bhi horahi thi kay pochon os amal ka jo osnay kia aur oska kya result nikla, akhir idhar odhar ki batain karnay kay baad meinay os say hudhud ki hadion kay amal ka pocha to osnay bataya Yar woh sab bakwas tha, kitabon mein sab bakwas likhtay hain, meinay itna kharcha kar kay itni mehnat say amal kia par kuch hasil na hua, meinay sab amal thek say kia tha jesay book mein likha tha koi galti nahi ki phir bhi mujay kamiabi kuo na mili? phir osnay apni pocket say kagaz ki aak choti puria nikali jis mein hudhud ki 3 hadia pari thi, osnay kaha kay Ali bhai aab in hadio ka kya karon socha aap ko day don takay aap kay kisi amal mein yeh apkay kam ajay, mera to aab in kamo say yakin oth sa gaya hai, meinay Yasir ko kaha kay bhai dekho kitabon mein jo amal likhtay hain to har amal ki kahani aak zahiri hoti hai aur aak batni, aap nay jo amal ki batain jo kitab mein parhi woh zahiri thi, batni kahani par to aap nay ghor wa fikar he nahi kia aur puranay dor kay aamil jo hotay thay woh amal ko likhtay he istarah thay kay na ahal say is amal kay raaz poshida rahain, aamil jo ilm rakhtay hain wahi is amal ki chopi bariki ko samaj kar amal karain, Yasir nay kaha kay Ali bhai yeh batain meri samaj say bahir hain aap yeh hadia apnay he pas rakh lain, meinay Yasir ko kaha kay mein yeh nahi lay sakta yeh aap ki mehnat ka phal hai jo zaya nahi jay ga, is say aap ki 3 bari Khuwaishay puri hosakti hain, Yasir nay mayous hokar kaha kay yeh hadia kya meri khuwaish puri karay gi, walid mehnat mazdori kar kay is dunia say ruksat hogay, hum bhi onki tarah he mazdori kar kay aak din is dunia say ruksat hojay ghay, parhay likhay to hai nahi kay achi job mil sakay aur na he aysa koi zaria jis say pesay kahin say mil sakain kay humaray halat thek hon apna ghar ho behan ki achay ghar shadi ho, Yasir baat kartay kartay achanak ro para meinay osay galay lagaya oskay mathay ko choma, meinay osay kaha kay mera dil meray andar ki rohaniat kehti hai kay apkay halaat zaror badlay ghay aur jo amal aap nay kia hai isi amal say phiray ghay aur inhe khas 3 bones say yeh sab kuch hoga,
Meinay Yasir ko kaha kay Raat mein jab chand ki roshni tez ho os waqat Isha ki nimaz parhnay kay baad in 3 bones ko apnay haath mein lay kar in bones kay moakilon ko hazrat Sulaiman a.s ki kasam day kar yeh khas wazaif parhna oskay baad kehna kay woh 3 aap ki khuwaishay puri karain oskay baad in bones ko ittar laga kar sabz pak kapray mein lapaet kar apnay ghar mein kisi pak saaf jaga par chopa kar rakh dena, Yasir nay hayran hokar pocha kay Ali bhai yeh amal kis kitab mein likha hai? meinay osay kaha kay kitab ko choro jo meinay apko kaha hai wesa karo, Yasir nay kaha kay Ali bhai meri apni zati khuwaish yahi hai kay apna zati ghar ho, jis larki say muhabat hai osi say shadi ho aur England mein job ho, meinay osay kaha kay yeh teeno wishes aap in bones ko haath mein lekar kehna meray batae khas din, waqat aur amal kay baad aur inshAllah aap ki zaror yeh 3 wishes puri hongi, Yasir nay muskara kar kaha kay Ali bhai yeh wishes puri hona na mumkin hain mujay in bones par to yakin nahi lekin aap par yakin hai aur aab ki bar aap kay batae amal ko zaror karon ga,
Yasir nay meray batae khas amal ko kia lekin osay kuch result nazar nahi aya oska dil rohaniat say bilkol tot sa gaya phir achanak aak mahinay baad punjab say oskay chacha ay aur yasir ko bataya kay zameen ka masla jo gao mein chal raha tha hum woh case akhir jeet ghay, humay humaray hisay ki zameen mil ghai hai, tumharay walid ka bhi is zameen mein kafi hisa hai, Yasir ki kismat nay achanak palta khaya, yasir nay woh zameen sell kardi jis say osay kafi rakam mili, abhi is baat ko 2 haftay he guzray thay kay prize bond jo ghar mein rakhay thay woh bhi khol ghay jis say wahan say bhi achi khasi rakam mil ghai, behan ko b.c kay pesay bhi milay, aysa lag raha tha jesay Yasir par peson ki barish baras pari ho har jaga say pesay milnay shoro hogay, Yasir bohat khush tha osnay mujay bataya kay Ali bhai yeh sab meri ma ki duaon ki waja say hua hai, osay aab bhi on bones kay amal aur onki taseer par yakin na tha, Yasir nay kaha kay woh in peson say England jay ga wahan achi job karay ga lekin meinay osay samjhaya kay pehlay in peson say apna zati ghar lo, osnay meri advise par amal kia aur apna zati ghar lay lia, aur aak mobile phone ki apni zati shop khol li aur apnay chotay bhaion say mil kar shop chalata, meinay osay kaha kay yeh sab in khas 3 bones kay asrat ki wajas say hua hai to osnay kaha kay yeh khuwaish to asan thi dosri na mumkin hai agar dosri wish puri hogi tab mujay in par yakin ajay ga, dosri wish na mumkin istarah hai kay jis larki say muhabat hai meri woh humaray rent walay makan ki beti hai oski mangni bachpan mein he oskay ghar walon nay oskay cousin kay sath kardi thi isliay mujay hasil nahi hosakti kuo kay woh taiyari kar rahai hain eid kay baad shaadi hai oski, meinay kaha kay kuch na mumkin nahi inshAllah yeh bhi khuwaish zaror puri hogi aur phir yeh hua kay os larki kay cousin nay ghar walon say saaf inkar kardia kay woh apni cousin say shaadi nahi karay ga woh kisi aur larki say muhabat karta hai kafi larai jhagray onki family mein hoay lekin woh larka na mana aur wahin shaadi kardi jis say osay muhabat thi, larki walon nay dekha kay Yasir aab khushal hogaya hai apna zati ghar hai dokan hai to woh shaadi kay liay razi hogay aur yasir bohat he ziada khush tha oski akhir yeh na mumkin khuwasih bhi puri hogai, osnay mujay bataya meinay osay yahi kaha kay yeh in hadion ka kamal hai lekin osay yakin na aya osnay kaha kay Ali bhai larki kay cousin nay reject kia larki ko tabi onhonay mujay dia warna kabi na detay, Yasir nay kaha kay aab oski yeh khuwaish hai kay woh England jay wahan job karay, meinay osay kaha kay tumharay yeh 2 wishes puri hoi aab yeh bhi zaror hogi, kuch arsay baad yasir ki shaadi hogai osi larki say jis say osay muhabat thi aur phir oskay England janay ka aysa system bana kay woh hayran reh gaya osay malum hogaya kay koi gaybi taqat oski madad kar rahi hai, Yasir ki biwi kay bhai ka aak friend England mein tha jahan osnay aak choti restaurant kholi thi osay aak kabil aur sincere shaks ki zarorat thi jo oski restaurant mein kam karay, yasir kay salay nay jab yeh baat yasir ko batai to yasir nay kaha kay yeh kam mein karon ga aur akhir kar woh England chala gaya jahan woh bohat khush hai aur oski family bhi khushal hogai, kafi arsay baad jab mera yasir say rabta hoa to osnay bataya kay Ali bhai mujay aab yakin agaya hai yeh onhe 3 bones kay mukhfi asrat ki waja say hua mujay feel hua jab meinay ghor kia kay koi andekhi kowat meri madad kar rahi hai, woh kowat kya thi? meinay osay kaha kay isi kowat ko jinnat ya moakil kehtay hain aur inhe 3 bones kay jinnat wa moakil nay aap ki madad ki.
Amliat ki dunia mein aysa he hota hai kabi bhi asar hosakta hai, jis chez ya amal ko hum mamoli samaj kar nazar andaz kar detay hain wahi chez ya amal humaray masael ko hal kar deta hai, yasir kay sath bhi yahi hua osnay in khas 3 bones ko mamoli samaj kar nazar andaz kia lekin inhe bones ki waja say woh aaj khushal hai, 
hudhud ki yeh khas bones kistarah hasil ki jati hain iska kya amal hai woh sab aab mein yahan share karta hon,

Hoopoe Bird Wish Bones: 
Hoopoe yehni Hudhud woh mubarak parinda hai jiska zikar Quran pak mein bari tafseel say aya hai aur iski tareef Torayt say bhi sabit hai isay Tair e Sulaymani bhi kehtay hain kuo kay Hazrat Sulayman a.s kay kai wakiat is parinday kay sath humay tarikh ki kitabon mein parhnay ko miltay hain, Kitab e muqadas Torayt mein aak wakia istarah hai kay aak roz Hazrat Sulayman a.s apnay Takht e Shahi par bethay hokomat kar rahai thay kay Hazrat Jibrael a.s achanak zahir hoay aur Aap a.s nay Salam kehnay kay baad farmaya kay "Ay Sulayman a.s khush khabri ho jo tum ko Allah pak nay apni qudrat say aak tair ata kia hai nam iska hudhud hai, is mein bohat see khasiatay hain, kisi shaks ko iski khasiaton par shak nahi karna chahehai",
Rohani oloom jannay walay sabi yeh jantay hain kay Allah pak nay is khas parinday mein hazaron khasiatay rakhi hain, iskay nakhon say lekar sar ki choti kay baal tak har chez ka apna alag asar hai,
Nabi pak s.a.w ki aak rawaet hai kay aak din Aap s.a.w sahaba karam r kay sath jungle mein tashref rakhtay thay, sahaba ko farmaya kay hudhud lao aur oskay paron jo jalao, sahaba jungle mein hudhud ko talash kar kay lay ay aur oskay paron ko jalaya gaya aur oskay dhonway say jungle mein mojod saanp, bicho aur kai zehrilay keeray wagayra bhag ghay jahan jahan in paron ka dhonwa pohancha, yeh ajeeb taseer hudhud kay paron mein hai,
Arab kay kai olma e rohaniat nay apni kitabon mein hudhud kay khuwas wa amliyat kay mutalik bohat kuch likha hai, Hazrat imam Jalaluddin seoti nay apni kitab "Mojarbat e Seoti" mein aur aak qadeem arabic kitab "Taj Al-Malok" mein bhi kai amliyat hudhud kay humay miltay hain, Hudhud mein noori rohaniat hoti hai iskay ziada tar amliyat hub wa muhabat kay hotay hain, olma e rohaniat kay mutabik is khas parinday mein moakil wa jinnat hotay hain aur yahi amal ki kowat say taskher hokar kam kartay hain, hudhud kay amliyat to hazaron ki tadad mein hai jisay yahan share karna posible nahi mein hudhud parinday par inshAllah apna alag blog likh kar share karon ga, abhi mera topic wish bones par hai, aur hudhud ki wishbones bohat he khas hoti hain aur in wishbones kay mutalik mein yahan batata hon,
Hudhud ki wishbones hasil karnay say pehlay aak khas amal say hudhud aur oski rohaniat ko taskheer karna parta hai aur taskheer karnay kay baad he oski rohaniat say faida pohanch sakta hai, jo bina taskheer kiay Hudhud ka amal karta hai woh kamiab nahi hota aur Hudhud kay mohafiz jinnat wa moakil os shaks ko aur sath mein oski family ko bhi tabha wa barbad kar kay rakh detay hain, Hudhud ki taskheer ka khas amal mein yahan share nahi kar raha isliay kay koi kisi par na jaiz amal na kar sakay, mein apnay khas amal sirf apnay students say share karta ho,
Hudhud ki taskheer kay amal ka chila 24 dino tak karna hota hai, yehni nai chand ki 1st date say shoro karna hota hai, chand ki 25th date ko Hudhud ko khas tanbay ki chori jiska zikar mein pehlay opar kar choka hon os chori say zibah kia jata hai istarah kay aak khon ka katra bhi zameen par na giray na he koi hadi totay, oskay baad hudhud ko kisi bartan mein dal kar pani os bartan mein dal kar osay boil kia jata hai takay gosht wagayra hadio mein say alag hojay,
Hudhud ki sabi bones ko ahtiat say alag alag kia jay takay koi bhi hadi na totay na zaya ho,
Aur phir onko achi tarah saaf karnay kay baad pani kay bharay bartan ya Aquarium mein dala jay,

Bones pani mein dalnay kay baad sari bones neechay teh mein beth jay gi lekin on mein aak bone pani kay center mein tayrnay lagay ghi aur aak bone opar pani kay satay par ajay ghi,
Jo Bone pani kay satay kay opar akar tayrnay lagti hai is bone ka taluk ansar aag yehni element fire say hota hai, Jo bone Pani kay center mein tayrnay lagay is bone ka taluk ansar hawa yehni element air say hota hai, jo bones pani kay teh mein beth jay on mein say jo sab say choti bone hoti hai oska taluk ansar matti yehni element earth say hota hai, 
Yahi woh teeno khas wishbones hain jisay hasil karnay ka yahi tariqa hai warna wesay humay kabi malum nahi par sakta kay sari bones mein say konsi wish bones hain, 
Yeh teeno khas bones hasil karnay kay baad inpar khusbodar ittar laga kar kisi saaf kapray mein lapait kar rakh dia jay, baqi hadia kisi kam ki nahi onko daria ya nehar mein dal dia jay, aab mein in khas teeno wishbone kay khuwas share karta hon,

The First Bone, (The Bone of Insight):
First yehni pehli hudhud ki bone jo pani kay opar satay par tayrnay lagti hai iska taluk element fire say hai, opar image dekhnay par aap ko malum hojay ga kay yeh patli see yellow colour ki bone hoti hai aur iska taluk aalam e safli say hai, iska mizaj garam hai is bone kay moakil wa jinnat safli hain inka taluk aag say hai, is bone ko thora aag mein garam karnay kay baad tez khushbodar ittar laga kar apnay pas rakha jay, is bone kay khuwas yeh hain,
Har woh khuwaish jiska taluk dolat say ho, khushal zindagi say ho, rishtaydaron say ho, dosti yari ya muhabat say ho, achi sehat say ho, police ya kanoni masael say nejat say ho, achi job say ho, dushmano say mehfoz rehnay say ho wagayra to is bone say oski yeh khuwaish puri hosakti hai,
Yeh bone jis shaks kay pas ho os shaks mein josh aur himmat peda karti hai jis say woh shaks baray say bara kam bhi asani say kar leta hai, mayousi, udasi, ranj,dokh wa sadma, ehsas e kamtari, bozdili, darr wa khoff ko khatam kar deti hai, is bone kay asrat say os shaks ki jismani batni kowat harkat mein ajati hai aur oski zindagi mein jo masael wa moshkilat hoti hain onko woh thek kar leta hai, oskay dushman ospar hawi nahi hotay kabhi, dost, yar ya mehbob say osay koi noksan ya dokha nahi milta sabi os say muhabat karnay lag jatay hain, naraz rishtaydar, dost ya mehbob jo naraz hogaya ho ya nafrat karta ho ya kisi waja say judai hogai hoto to dobara wapis os shaks ki taraf palat atay hain jiskay pas yeh khas wishbone ho, sard mizaji yehni coldness jis shaks mein hoto os shaks ko kisi kam karnay mein dil nahi lagta bas dil karta hai kay parsukon jaga par aram karta rahon koi disturb na karay osay, aysay kai log hain jo koi bhi mazdori ya job nahi kar patay aur ghar walon say kehtay hain kay humay koi job milti he nahi kya karain, ya bimari ka bahana bana kar ghar mein bethay rehtay hain, isitarah kai ameer aur rich log jinki bari hotels hoti hain, factories, gas stations ya zameen wa builder ka kam kartay hain on mein bhi sard mizaji yehni coldness ki bimari lag jati hai jis say woh bhi ghar beth jatay hain aur sara kam kisi aur shaks ya partner kay haath mein day detay hain jo onka apna khas banda hota hai aur woh shaks shoro mein to sahi hota hai lekin baad mein galat kam aur dokhay bazi karnay lag jata hai jis say os shaks kay businness mein noksan hojata hai aur deemak ki tarah woh shaks osay andar he andar khokhala karta rehta hai, coldness ki yeh bimari agay chal kar mazeed khatarnak rop akhtiar kar leti hai, sard mizaji say woh shaks kisi aurat kay kabil nahi rehta hai os mein woh josh he nahi rehta hai kay aurat say hum bistari kar sakay, oska dil karta hai kay woh bas bed par para rahai aur aurat khud os say humbistar ho, is bimari say woh na mard ban jata hai aur bhi kai bimari oskay jism mein peda honay lagti hai jesay jism aur hadio mein dard wagayra rehna, os shaks ka room medical store ki tarah ban jata hai jahan har taraf medicines pari nazar aati hain aur akhir kar waqat say pehlay he mot ki aghosh mein chala jata hai,
Sard Mizaj ya coldness ki bimari akhir kistarah insan ko lagti hai? is sawal ka jawab yeh hai kay medical science to jismani bimario ki dawai bana kar kisi bhi insan kay jism ki bimari ko dor kar sakti hai lekin medical science ko abhi aysi bimario ka ilm he nahi jo rohani bimaria hoti hain jo direct insan ki ruh ko mutasir karti hain aur coldness bhi rohani bimari hai aur yeh bimari kisi bhi shaks ki nazar e bad, hasad, jaadu, saaya ya sitaron ki gardish say lagti hai, coldness ki bimari say os shaks kay jism mein aysay jinnat wa moakil virus ki tarah dakhil hojatay hain jo oski himmat, josh, taqat sab ko khatam kar kay rakh detay hain, in jinnat wa moakil ka taluk pani say hota hai, 
Agar jis shaks kay pas yeh khas hudhud ki ansar aag wali wishbone hoto is bone kay jinnat wa moakil on asrat ko nikal bahir kartay hain jiski waja say os shaks ko coldness ki bimari hoti hai, aur os shaks mein aak josh sa peda hojata hai aur mazdori ka kam ho ya job ka woh himmat wa josh aur mehnat say karnay lag jata hai, os mein itna power ajata hai kay oska dil karta hai kay aak din mein woh kai kam karay aur osay thakan mehsos he nahi hoti kam kay doran, aur jo shaks rich hon aur on mein coldness ki bimari hoto is bone kay asrat say woh bimari khatam hojati hai aur woh apnay har bussiness ko apnay control mein rakhtay hain jis say onko double faida honay lagta hai, jismani thakawat aur bimaria khatam hojati hain, dushmano say mehfoz rehtay hain, aur josh aur power itna peda hojata hai kay apni 4 biwion ko humbistar kar saktay hain,
Is bone say insan kay andar ki batni kowat active hojati hai aur is bone kay jinnat wa moakil os shaks ki har waqat rakhwali kartay hain, kuch agar bora honay wala hoto os shaks ko pehlay he malum hojata hai kay kuch bora honay wala hai jis say bachao kay tarikay bhi apnay aap oskay zehan mein anay lag jatay hain,
aur bhi kai is bone kay chopay khuwas hain jisay yahan share nahi kia jasakta lekin jiskay pas yeh bone ho osay he iskay batni asrat malum hosaktay hain jo oski zindagi mein osay faida detay hain.

The Second Bone (The Bone of Mind): 
Second yehni dosri bone jo pani kay beech mein tayrnay lagti hai, iska taluk ansar hawa yehni element Air say hai, opar image dekhnay par aap ko malum hoga kay yeh moti see safed rang ki bone hai, iska taluk aalam e norani say hai iskay jinnat wa moakil norani hain aur inka taluk bhi hawa say hai, is bone ko loban ki dhoni day kar pehli wali bone kay sath he apnay pas rakha jata hai, is bone kay fawaid yeh hain,
Har woh khuwaish jiska taluk deen wa mazhab, bimari say shifa, taleem, ilm wa amal say ho, dosray mulk kay safar say ho os mein osay kamiabi milti hai,
Yeh bone jiskay pas ho to os shaks kay zehan par apna asar dalti hai jis say os shaks kay zehan mein nai nai ideas peda honay lagtay hain jis say woh apni zindagi ko khushal bana sakta hai, insan kay jism mein mind yehni zehan he woh khas machinery hai jo osay abad ya barbad kar sakti hai, insan ka faysalay he osay aur oski family ko abad kar saktay hain ya phir barbad,
Shaitan jab kisi insan kay zehan par hawi hojata hai to woh insan bhi shaitani harkatay karnay lag jata hai, shaitan kay chailay har jaga har waqat mojod rehtay hain aur virus ki tarah kabhi bhi insan par attack kar kay oskay zehan aur oski soch ko apnay control mein lay letay hain aur aak acha nayk insan boray kam karnay lag jata hai, humaray beech kai aysay log hain jinki soch aur zehan par shaitan ka kabza hai onkay zehan mein deen wa mazhab ko lekar galat sochain peda hoti hain, wiswisay hotay hain, woh nimaz nahi parh patay, ibadat nahi kar saktay bas har waqat fazol, ghatia aur behoda soch aur behoda kam karnay ko onka dil karta hai, aysay shaks kay pas agar yeh khas bone hoto is bone kay khas noorani moakil os shaitan ko os shaks kay dimakh wa soch say nikal bahir kartay hain jis say woh shaks normal hojata hai aur aak noorani power oskay zehan mein sama jata hai aur woh shaks pak saaf rehnay lag jata hai, behoda kam aur soch kabhi oskay zehan mein nahi aati, osay mazhab say lagao peda hojata hai aur ibadat karnay say osay bayzari ya thakawat nahi balkay aak suror aur sukon sa milnay lagta hai,
Isitarah bimari say shifa kay liay bhi yeh bone kafi faiday mand hai, yeh bone jiskay pas hogi woh khatarnak la ilaj bimario say mehfoz rehta hai aur agar osay koi bimari hai jo kai arsay say thek na ho parahi hoto is bone kay mukhfi asrat say osay shifa mil jati hai,
Isitarah study kay liay bhi yeh bone bohat best hai, kai students bohat mehnat kartay hain study mein lekin jab exam denay kay liay room mein bethtay hain to sab bhool jatay hain kuch bhi yaad nahi aata jesay kisi andekhi kowat nay sab kuch onkay zehan say remove kardia ho, woh bohat ghor kartay hain sochtay hain lekin kuch yaad nahi rehta, yahi woh bandish hoti hai jis say zehan mafloj hokar reh jata hai aur natija yeh nikalta hai kay exam mein fail hojatay hain aur woh study jo onhonay sari raat jag kar ki oska onhai koi phal nahi milta, istarah ki problems ko dor karnay kay liay yeh bone apnay pas rakhnay say student ko exam mein kamiabi milti hai aur jo students study nahi kartay ya humaisha exam mein fail aatay hain to onkay liay yeh bone bohat best hai, is bone kay mukhfi asrat onkay zehan par asar daltay hain jis say student ka zehan tezi say kam karnay lag jata hai,
Agar koi shaks engineer ho ya doctor ya phir scientist oskay pas yeh khas bone hoto iskay mukhfi asrat say osay apnay kam mein kamiabi milti hai, har woh kam jiska taluk soch wa zehan say ho os kam mein taraqi naseeb hoti hai aur oska zehan update hota rehta hai jis say nai nai soch say woh kamiabio ki onchi manzil tak rasai hasil kar leta hai,
kai log amliyat ka bohat shok rakhtay hain wazaif parhtay hain chilay kattay hain lekin onko kuch hasil nahi hota, aysay logon kay pas agar yeh bone hoto onko wazaif kay amal mein kamiabi naseeb hoti hai,
Kai logon ki khuwaish bahir mumalik mein job karnay ki hoti hai onki khushali kay sab rastay kholay hotay hain onko malum hota hai kay agar woh os country mein chalay ghay to onko 100% sure kamiabi milay ghi jis say sari zindagi onki khushali mein guzray gi lekin jo meinay problem aur rikawat aati hai woh "visa" ki hoti hai, onko visa nahi mil pata woh bohat koshish kartay hain lekin kamiab nahi hopatay, istarah ki problem aur rikawat ko dornay karnay kay liay agar yeh bone os shaks kay pas hoto oska visa jaldi lag jata hai aur woh easily bina kisi problem aur rikawat kay apnay manpasand mulk mein pohanch kar khushal hojata hai,
Safar chahai kesa bhi ho har safar mein peda honay wali gardish, rikawat, problems ko is bone kay khas moakil dor kar detay hain, jo log humaisha halat e safar mein rehtay hon onko apnay pas yeh khas bone rakhni chahehai takay doran e safar woh har tarah kay khatrat, hadsay aur jan wa mal kay noksan say mehfoz reh sakay,
Aur bhi kai is bone kay fawaid hain, sab kay sab fawaid yahan likhna possible nahi, mazeed malumat kay liay aap muj say rabta kar kay iskay fawaid malum kar saktay hain.

The Third Bone (The Bone of Stability): 
Third yehni teesari bone jo pani ki teh mein jam par beth jati hai, iska taluk ansar matti yehni element earth say hai, opar image dekhnay par aap ko malum hoga kay yeh chotay size ki bone hai jiska adha rang yellow adha white hai, is bone mein dono asrat hain yehni safli aur norani aur is mein dono safli aur norani moakil wa jinnat hain is bone kay khas jinnat wa moakil ka taluk bhi zameen say hai, is bone ko ittar laga kar baqi dono 1st and 2nd bones kay sath he rakha jata hai, is bone kay fawaid yeh hain,
Har woh khuwaish jiska taluk zameen say ho jesay ghar, khayt, plot, shop, factory ya hotel wa restaurant wagayra is bone kay mukhfi asrat say puri hosakti hai,
Har insan ki sab say bari khuwaish yahi hoti hai kay oska gharana khushal rahai, har maslay masael aur bimario say mehfoz rahai, ghar mein honay wali har kisam ki nahosat aur masael ko dor karnay kay liay is khas bone ko ghar mein rekhnay say is bone kay khas moakil ghar mein honay walay har kisam kay bad asrat ko khatam kar detay hain, 
Agar koi shaks rent kay ghar mein rehta ho aur lakh koshishon kay ba wajod osay apna man pasand zati ghar na mil paraha ho to is bone ko apnay pas rakhnay say osay zati ghar lenay kay doran honay wali parayshani aur har kisam ki sakti aur rikawat ko is bone kay asrat dor kar detay hain aur os shaks ko apna ideal zati ghar mil jata hai jo oskay aur oski family kay liay mubarak hota hai,
Gaon kay ilakon mein aye din khayt ki zameen kay mamlay mein aksar larai jhagray hotay rehtay hain jis mein bohat khoon kharaba hota hai, dushmani kabi itni barh jati hai kay puray khandan ko katal kardia jata hai, khayt wa zameen kay har maslay chahai woh masla gao mein dushman ki taraf say ho ya qanoni case ho woh sab asani say hal hosakta hai is bone kay khas asrat say zameen hasil hona jo na mumkin nazar araha ho lekin is bone kay asrat say zameen hasil hona mumkin hojata hai,
Isitarah kai log itna kharcha kar kay khayti ka kam kartay hain lekin onko zameen ki peda war say koi faida hasil nahi hota humaisha noksan othana parta hoto aysay shaks ko yeh bone apnay pas rakhni chahehai, iskay mukfhi asrat say oski yeh problem dor hojati hai aur osay zameen ki peda war say kafi faida hasil hota hai,
Kai builders ya petrol pump walay achi location ki zameen hasil nahi kar patay aur agar onki manpasand jaga par zameen milti bhi hai to kai maslay masael aur rikawat pesh aati hai, istarah ki har rikawat aur problems ko is bone kay khas moakil dor kar detay hain,
Kai log itna kharcha kar kay shop open kartay hain lekin onki shop nahi chalti, customers onki shop par aatay he nahi aur agar aatay bhi hain to bohat he kam, jis say onka bohat noksan hojata hai, agar koi shaks bank say loan lekar shop kholta hai woh to bilkol he tabha hokar reh jata hai jab oski shop bilkol bhi nahi chalti, istarah ki problems dor karnay kay liay agar is bone ko apnay pas rakha jay to iskay moakil oski madad kartay hain jis say customers oski shop ki taraf attaract hotay hain aur shop par customers ka rush sa lag jata hai,
Same isitarah factory mein problems hon ya hotel wa restaurant mein to is bone kay mukhfi asrat say har kisam kay masael dor hosaktay hain,
Is bone kay aur bhi hazaron fawaid hain, mazeed malumat kay liay aap muj say rabta kar kay malum kar saktay hain.

Past, Present, Future: 
In teeno wish bones ka taluk past, present aur future say hai yehni,
1st bone ka taluk present yehni abhi kay halat say hai,
2nd bone ka taluk future yehni mostakbil kay halat say hai,
3rd bone ka taluk past yehni maazi kay halat say hai,
Jis shaks kay maazi mein agar koi masla raha ho woh hal na horaha ho jiski waja say oskay abhi kay halaat aur mostakbil kay haalat kharab honay ka dar hoto 3rd bone kay mukhfi asrat say oskay maazi kay halat thek hosaktay hain, jesay kisi shaks ko maazi mein koi bimari hogai ho jiska asar abhi bhi ho ospar to osay os bimari say nejat mil sakti hai, ya kisi shaks ki maazi mein kisi say narazgi hogai ho jis say on mein judai par ghai ho aur woh shaks lakh koshishon kay bawajod raazi na hota ho to is bone kay asrat say woh shaks maazi ki batain bhol kar razi hojata hai,
1st bone present yehni abhi kay bigray hoay boray haalat ko thek karti hai chahai woh haalat kisi bhi waja say kharab kuo na hon os mein behtari ani shoro hojati hai,
Same isitarah 2nd bone future yehni anay walay khatrat, hadsay, bimaria, maslay masael say mehfoz rakhti hai aur banday ka future acha rehta hai, in teeno khas bones kay bohat ziada fawaid hain yeh osi ko malum par saktay hain jiskay pas yeh teeno bones hon.
 
In teeno hudhud ki khas bones ko aak saath he kisi dabia mein dal kar ghar mein kisi mehfoz jaga rakha jata hai, yeh ghar kay sabi afrad kay liay faidamand hai in bones kay khas moakil ghar kay sabi afrad ki madad kartay hain, in bones aap agar hasil karna chahatay hain to muj say rabta kar kay yeh bones lay saktay hain.

The Owl Wishbone (The Bone of Attaraction):
Amliyat ki dunia mein noori aymal mein jahan hudhud parinda use hota hai same isitarah safli amliyat kay har kam mein ullu ko use kia jata hai, hudhud aak noori parinda hai aur ullu aak safli parinda hai, hudhud he ki tarah ullu kay pao kay nakhon say lekar iskay sar ki choti kay balon tak har chez amliyat mein use ki jati hai, is aak parinday say hazaron amliyat kay kam kiay jasaktay hain,
Hudhud he ki tarah is parinday ko bhi pehlay amal kar kay taskheer kia jata hai oskay baad iski har chez mein taseer peda hoti hai oskay baad kisi bhi shaks ko os chez say faida hasil hosakta hai,
Ullu aak bohat he hoshiar parinda hai, isay insano say sakt nafrat hoti hai aur jinnat say shaded pyar hota hai isliay yeh insano ki abadi say dor veeran jagahon mein rehta hai,
Olma e rohaniat kehtay hain kay yeh apna ashiana aksar wahin banata hai jahan jinnat hotay hotay hain yeh parinda humaisha veeran jagahon mein halat e ibadat mein rehta hai ullu asani say haath nahi ata aur bina apna hisar kiay jo ullu ko amliyat kay liay pakarnay ki koshish karta hai to yeh aak ajeeb see awaz ya chekh nikalta hai aur yeh chekh oski bad dua hoti hai jo os shaks aur oski family ko tabha wa barbad kar deti hai, zara see galti aamil ki zindagi ko is dunia mein jehnom bana sakti hai, isliay aamil isay pakartay waqat apnay hosh wa hawas ko kabu mein rakhtay hoay bari hoshiari say pakray aur apni protection ka amal hisar ka pehlay say kar kay rakhay takay ullu kay mohafiz jinnat wa moakil ya ullu ki bad dua osay noksan na pohancha sakay,
Ullu kay kai amliyat hain jo mein apnay alag blog mein likh kar share karon ga, abhi mera topic wishbone kay mutalik hai aur aab mein ullu ki woh khas wishbone kay mutalik likh raha hon jiskay mutalik bohat kam log jantay hain, aur jo log jantay hain to woh yeh kay ullu ki ankhon ka surma bohat zabardast chez hai jo ankhon mein laga kar kisi ki bhi nazaron mein thori dayr kay liay dekho woh aap ki taraf attaract hokar aap ka hojata hai, lekin jo chez mein share karnay wala hon yahan woh ullu ki ankhon kay surmay say kai guna ziada power wali chez hai aur is khas chez say jani dushman bhi dost ban jatay hain, woh khas chez ullu ki wishbone hai jiska amal mein yahan share kar raha hon,
Ullu ko hasil karnay kay baad ospar 40 dino tak aak khas amal kar kay taskheer kia jata hai, 40 dino kay amal kay baad ullu mein mojod rohaniat taskheer hojati hai aur iski har chez ki apni alag taseer wa asrat hain, 40 dino tak aak khas room ullu ki taskheer ka amal karnay kay baad ghop andheri raat jab chand asman mein mojod na ho os waqat osi khas amal ki hoi tanbay ki chori say zibah kia jata hai aur iski har chez sanbhal kar mehfoz rakhi jati hai, ullu ki chezon mein sab say khas jo chez hai woh iski wishbone hai, jo ullu ki kamar kay mohray ki hadi hoti hai,
Is khas hadi yehni wishbone ko hasil karnay kay baad khas sayet wa waqat mein tuesday kay din jab chand borj akrab yehni scorpio mein ho aur planet zohal yehni saturn ba nazar tasdes ya tasles mein ho os waqat is khas bone ko kisi chandi ki ring mein naginay ki tarah ring mein laga dia jay, 
Yeh khas ring jiskay pas hogi log oski taraf attaract kartay hain aur dushman tak dost ban jatay hain, is ring mein aysay khas jinnati asrat wa taseer hai kay sakt say sakt nafrat karnay wala dost ya mehbob bhi dil wa jan say muhabat karnay lag jata hai, yeh ring meinay kai logon ko taiyar kar kay di aur onko is ring say bohat faiday hasil hoay, kuch arsa pehlay ki baat hai aak shaks meray pas aya tha jo aak larki say bohat muhabat karta tha jo oskay sath aak office mein job karti thi lekin os shaks kay face ka rang kala honay ki waja say woh larki oski taraf dekhti tak nahi thi, os shaks nay har aamil say kam karwaya pani ki tarah pesay zaya kiay lekin 1% bhi oska kam nahi hua, yahan tak kay osnay ullu ki ankhon ka sorma tak use kia lekin koi faida nahi hua, meinay os shaks ko yeh khas ring bana kar di aur is khas ring ki taseer say woh larki oski taraf attaract honay lagi aur larki nay khud osay bataya kay malum nahi kuo mujay aap ko dekh kar aur aap say batain kar kay aak sukoon sa milta hai, dil karta hai har baat aap say share karon, aap ki personality mujay aur logon say change nazar aati hai, os shaks nay mujay bataya kay Ali bhai jab say meinay yeh ring pehni hai mein apnay jism mein tabdeli mehsos kar raha hon, mujay mera face pehlay acha nahi lagta tha jab bhi ainay mein dekhta tha lekin aab mein apnay face mein aak kashish see dekhta aur feel karta hon, 
os shaks ki wish is khas wishbone say puri hogai aur osnay os larki say shaadi karli, os larki say jo oska face dekhna bhi passand nahi karti thi osay ghin aati thi lekin aab woh is say bay intaha pyar karti hai, is ring kay asrat nay os shaks kay jism say woh ghinoni chez nikal bahir ki jisay sab dekh kar nafrat kartay thay, woh shaks aab bohat khush hai apni khubsurat biwi aur bachon kay sath aur mujay bhi apni duaon mein yaad rakhta hai, Allah pak sada khush wa abad rakhay osko (ameen),
Ullu ki is khas wishbone kay itnay ziada fawaid hain jisay tehrer karna sab yahan mumkin nahi, yeh ring lakhon rupay kay nayab diamond ring say bhi ziada nayab hai, diamond ring say to bas oski chamak aur khubsorti humay naseeb hoti hai lekin wishbone ki is khas ring say woh log humaray kareeb ajatay hain jiska kabi humnay tasawar tak na kia hota hai kay woh istarah kareeb bhi asaktay hain, woh log chahai officer ho ya boss, naraz rishtaydar ho ya dushman, naraz dost ho ya mehbob koi bhi ho woh is ring kay khas jinnati asrat say aap ki taraf attaract hokar aap ka hojay ga,
Is khas ullu ki wishbone ki banawat dekhnay say he malum hojata hai kay qudrat nay is mein kaysay zabardast asrat poshida rakhay hain,
Is bone kay front side ki banawat paron walay jinnat ya vampire jesi hai aur is bone ki back side ki banawat seeng walay jinnat kay sar ya cow kay sar jesi hai, yahi side opar ki taraf rakha jata hai ring mein, aap ko agar yeh khas ring muj say banwani hoto aap muj say rabta kar kay banwa saktay hain,

The Bat Wishbone (The Bone of Love):
Murg aur Hudhud Noor bhari suba kay raja hain, same isitarah Ullu aur Chimgadar Andheri Raat kay raja hain, 
Chimgadar sab say ajeeb dunia ki makhlok mein say aak hai yeh ajeeb istarah hai kay yeh parindon ki tarah hawa mein orta hai lekin kisi bhi angle say parinda nahi lagta kuo kay iskay par nahi hain jesay parindon kay hotay hain na he iski chonch hai jesay parindon ki hoti hain aur na he yeh parindon ki tarah anday deta hai, agar yeh zameeni janwar hai to phir yeh parindon ki tarah kuo orta hai?
Is makhlok ko dekhnay say yahi feel hota hai kay iski chemistry jinnat say kafi milti hai yeh makhlok adhi zameeni janwar ki tarah hai adhi parinday ki tarah hai, na he yeh complete zamini janwar hai na he yeh complete parinda hai, yeh makhlok he ajeeb hai, aur jo makhlok ajeeb ho bay shak oska taluk jinnat say hota hai,
Jistarah shehad ki makhio kay jhond mein aak rani makhi hoti hai same isitarah chimgadar kay baray jhond mein bhi aak rani chimgadar hoti hai aur isi ki wishbone bohat zabardast asrat ki hoti hai lekin rani chimgadar hasil karna bohat moshkil hota hai kuo kay yeh bohat kam dikhai deti hai,
Arabic ki qadeem kitab "Kasaid e Tilsimat" mein olma e rohaniat Kanian bin Anosh nay rani chimgadar ko hasil karnay ka tarika istarah likha hai kay chand girhan kay okat mein rani chimgadar jo sabi chimgadaron ki hokmaran aur mohafiz hoti hai woh chand girhan kay shoro honay kay waqat say lay kar oskay khatam honay tak apnay basera karda darakt kay charon taraf mosalsal hifazati parwaz karti rehti hai jab kay baqi tamam chimgadar hasb e mamol apni apni jaga par oltay latkay rehtay hain, yahi woh waqat hota hai jab hum is rani chimgadar ko pakar saktay hain lekin osay pakar pana bohat moshkil hota hai kuo kay agar osnay pakarnay walay shaks ko dor say dekh lia ya oski ahat suni to woh apno mo say aak maksos awaz nikalti hai jis say saray chimgadar jo oltay latkay hotay hain darakt par woh sab active hokar ornay lag jatay hain aur rani chimgadar onkay jhond mein mil jati hai aur phir malum nahi par sakta kay chimgadaron kay in baray jhond mein rani chimgadar konsi hai kuo kay sabi chimgadar aak he shape wa colour kay hotay hain aur rani chimgadar bhi aam chimgadar ki tarah he hoti hai, isliay yeh kam bari hoshiari say karna hota hai, meinay kai bar rani chimgadar ko hasil karnay ki koshish ki lekin har bar nakami ka mo dekhna para lekin aak din jab chand girhan lagnay wala tha to mein ak kam kay silsilay mein Baluchistan gaya wahan raat ko meinay aak veeran jaga par mojod darakt par chimgadaron ka bara jhond dekha, mein khamoshi say wapis apnay doston kay sath akar beth gaya, raat ko jab sab so ghay to mein os darakt kay pas gaya aur dor jhario mein chop kar beth gaya, mein kafi dayr tak betha raha lekin koi bhi chimgadar apni jaga say nahi nikal raha tha sab oltay latkay hoay thay, mujay bethay bethay neend see anay lagi ankhain band honay lagi aur meinay wapis janay ka faysla karlia lekin phir achanak meinay aak chimgadar ko dekha jo tezi say aak jaga say dosri jaga darakt kay charon taraf ornay laga, oski raftar ornay ki bohat tez thi, palak jhapaktay he woh aak jaga say dosri jaga pohanch jata mein bohat dayr tak oski harkat ko observe kar raha tha yahan tak kay suba honay lagi aur mujay suba ka he intazar tha kay suba ko yeh kya karti hai, meinay dekha kay jesay he asman mein roshni hoi oski raftar ornay ki slow hogai mein ahista ahista darakt kay nazdek gaya lekin rani chimgadar nay koi notice nahi lia iska matlab ya to roshni ki waja say oski ankhain kam nahi kar rahi thi ya mein osay nazar nahi araha tha ya koi dosri waja hogi khair jab asman mein suraj ki kirnay kafi nikal ghai jis say har taraf tez roshni hogai to woh chimgadar apni jaga par olti latak kar beth ghai aur sabi nay apna mo apnay paron say chopa rakhay thay kay roshni na lag sakay meray Baloch dost mahir shikari thay woh riffle ki aak goli say osay mar kar zameen par gira saktay thay lekin mujay oski wishbone hasil karnay kay liay osay zinda pakarna tha, khair os waqat mein wapis agaya lekin is khoj mein lag gaya kay isay kistarah pakra jay, mein kai parindon kay shikar kay mahir logon say mila onsay baat cheet ki lekin onka jo tarika tha parinday pakarnay ka os say to woh kabhi haath nahi asakta tha, aak din meinay yahan Hyderabad kay pakay kilay ground mein aak borhai shaks ko dekha jo har friday ko yahan lagnay wali pet market mein parinday sell karta tha, meinay kafi dayr tak os say baat chet ki aur pocha kay aap to itnay zaef hain aap kistarah in parindon ko pakartay hain pehlay to osnay kuch nahi bataya lekin meinay jab osay kuch pesay diay to phir osnay bataya kay woh aak khas jari botio ki dawa bana kar os dawa kay pani mein parindon ka dana bhigo par woh dana sokha kar parindon ko khilatay hain jis say parinday osay kha kar behosh hojatay hain or nahi patay aur woh onko asani say pakar leta hai, meinay pocha kay baaz aur shaheen jo asman par kafi onchai mein parwaz kartay hain aur ashiana bhi kafi onchi jagahon mein banatay hain onko pakarnay ka kya tarika hai agar hum onko ya onkay bachay othanay kay liay onchi jaga par banay onkay ghonsalay ki taraf charhai ghay to baaz ya shaheen hum par hamla kar kay onchi jaga say gira sakta hai, to osnay bataya kay onko raat kay waqat pakra ja sakta hai aak khas dhoni jo jari botio say banai jati hai woh darakt kay neechay jalai jati hai jis say oska dhonwa jab baaz ya shaheen ko lagta hai to woh behosh hokar zameen par gir parta hai aur hum osay asani say pakar saktay hain bas phir kya tha meinay os say os dhoni kay bananay ka tarika pocha osnay oskay badlay mein bohat ziada keemat mangi, meinay osay mo mangay pesay dekar os dhoni ka tarika os say malum kia,
bas aab mujay jiska intazar tha woh chand girhan ka waqat tha, akhir woh waqat bhi agaya jiska mujay bay sabri say intazar tha, mein baluchistan gaya aur osi darakt kay pas gaya lekin afsos wahan to koi bhi chimgadar na tha, chimgadaron nay woh darakt chor kar dosray kisi darakt mein apna basera kar lea tha aur woh darakt mujay dhondna tha, kafi talash kay baad akhir woh darakt mil he gaya jis par chimgadaron ka jhond tha,
 Meinay woh dhoni raat ko jalana munasib nahi samja kuo kay oska dhonwa dekhtay he sab chimgadar active hojatay aur wahan say oor jatay isliay meinay suba saweray jalana thek samja kuo kay woh suba ki roshni partay he apna mo chopa letay hain apnay paron say yahi woh sahi waqat hai rani chimgadar ko pakarnay ka, 
suba fajar kay waqat halki halki roshni asman mein hotay he rani chimgadar ki ornay ki raftar slow honay lagi mein samaj gaya kay aab iskay bethnay ka time hai, meinay foran darakt say kuch dor dhoni jalai aur oska dhona asman mein phayl gaya, jesay he rani chimgadar dhonway mein say guzri osay chakar say anay lagay aur woh idhar odhar ornay kay baad nechay zameen par gir pari aur meinay foran osay pakar lia,
Os waqat pehli bar meinay chimgadar ko apnay haath mein lia aur osay kareeb say dekha, meray sath ay meray sathi is khofnak janwar ko dekh kar muj say kafi dor kharay hogay,

Is chimgadar ki rani ka sar kuttay ya gidar jesa lagta hai, aur dant wa baal bhi onhe janwaron jesay hain, meray sath ay meray sathio nay pehli par aysa janwar dekha, onhonay kaha kay Ali bhai hum nay chimgadar apnay gao mein dekhay hain woh chotay size kay alag tarah kay hotay hain lekin yeh to koi aur makhlok hai, ornay wala kutta ya gidar lagta hai, yeh janwar dikhnay mein jitna ajeeb hai otnay os mein kai israr poshida hain, iski wishbone bohat he zabardast nayab chez hai, aur aab mein iski wishbone kay mutalik detail share karta hon,
Rani chimgadar hasil honay kay baad apni protection ka hisar kia jay takay is janwar kay jinnati asrat say mehfoz rahai, oskay baad osi khas amal ki hoi tanbay ki chori say isay zibah kia jay istarah kay aak khon ka katra bhi zameen par gir kar zaya na ho phir isay matti kay matkay mein dal kar osi darakt kay neechay dafan kardia jay jahan oska jhond hai, is amal kay baad ghar wapis ajay, yeh amal karnay kay baad aamil ko har raat khofnak ajeeb say visions nazar atay hain aur ajeeb ajeeb khoab atay hain lekin aamil ko apna dil mazbot rakhna hai kuo kay yeh sirf visions hotay hain is say koi khatra nahi hota, 42 days baad os matkay ko zameen say nikala jay os matkay mein chimgadar ka sheleton hoga os skeleton kay kamar ki mohray ki hadio ko ghor say dekhnay par aak hadi dark colour ki sab say alag hogi baqi sab same colour ki hadia hongi, os dark colour ki hadi ko nikal kar saaf kar kay apnay pas mehfoz rakh lia jay, yahi hai wishbone, baqi hadio ko kisi nehar ya daria mein dal dia jay,
Is bone ka taluk pyar, ishq wa muhabat aur romance say hai, yeh bone jiskay pas ho woh mehbob e khuwateen hota hai, koi aurat os shaks par hawi ya hokam nahi chala sakti woh shaks khud aurat par hawi hojata hai, yeh bone jiskay pas ho oski shaadi mein honay wali har rikawat aur sakti wa bandish ko khatam kardeti hai,
Kisi shaks ki biwi naraz hokar apnay maa bap kay ghar beth gai ho aur lakh koshishon kay ba wajod bhi apnay shohar kay ghar wapis na arahi hoto is bone kay amal say woh apnay shohar kay pas wapis asakti hai chahai woh dosri city mein ho ya dosri country mein woh wapis razi khushi ajati hai,
Agar koi larka kisi larki say muhabat karta ho aur kisi baat say on dono mein judai par ghai ho aur larki dosri city ya dosri country chali ghai ho aur larkay say rabta puri tarah khatam hochoka ho aur larkay ki khuwaish ho kay woh larki dobara oski life mein phir say ajay to is bone kay amal say oski yeh khuwaish puri hosakti hai,
is bone say hazaron aymal jo hub wa muhabat wa taskheer kay hotay hain kiay jasaktay hain,
Is bone ka kisi shaks kay pas honay say ospar kisi tarah ka bhi koi bhi jadu, jinnati asrat ya saaya noksan nahi pohancha saktay,
Is khas wishbone mein kafi jinnati asrat poshida hain jis say har shaks ki wish puri hosakti hai, mujay ijazat nahi kay mein iskay poshida israr ko yahan share karon, agar ijazat hoti to sab ka sab yahan share karta lekin jinko khuda nay rohaniat di hogi woh is bone ki image dekhnay say he kafi kuch samaj jay ga,
Is bone ka aak khas amal jiski mujay ijazat mili hai woh yahan share kar raha hon,
Agar kisi shaks ko kisi larki say shadeed muhabat ho os say shadi karna chahata ho aur woh lakh koshishon kay ba wajod osay hasil na kar paraha hoto is bone kay amal say oski yeh wish puri hosakti hai, os larki kay agar baal is bone mein banay hole mein bandh kar is bone ko dark kalay kapray mein lapait kar raat ko woh shaks apnay takiay kay neechay rakh kar room mein andhera kar kay sojay to oski sari feelings aur muhabat jo oskay zehan mein hogi woh os larki kay zehan mein chali jay gi, larki ko os larkay kay romance walay khoab nazar anay lag jay ghay aur osay wesi he tarap hogi jesay shaks ko larki dekh kar hoti hai, is amal say larkay ki muhabat ki shedad kam hojati hai aur larki ki had say ziada barh jati hai aur larki chahai kitni bhi dor ho chahai dosri city mein ho ya dosri country mein woh os shaks say rabtay mein ajati hai aur osi ki humaisha kay liay ban jati hai,
Agar baal hasil karna possible na hoto to oska used kapra ya photo ko lapait kar ciggrette ki tarah bana kar is bone kay hole mein dal kar rakhnay say bhi is bone kay jinnati asrat madad kartay hain,
jis shaks ki biwi oskay control mein na ho woh is bone kay amal say apni biwi ko apnay control mein rakh sakta hai,
Amliyat ka shok rakhnay walay logon kay liay yeh wishbone aladdin kay chirag ki tarah hai, is bone say har kisam kay amliyat hosaktay hain, agar aap ko yeh wishbone chahehai ya mazeed iski malumat ya aymal chahehai hon aap muj say rabta kar kay malum kar saktay hain.

The Vulture Wishbone (The Bone of Death): 
 
Vulture yehni gidh aak mashor mordar khor parinda hai, yeh parinda kabhi bhi shikar nahi karta, jahan kahin bhi morda paray janwar ko dekhta hai wahan pohanch jata hai aur noch noch kar osay kha jata hai, gidh ko olma e rohaniat nay mot ka parinda kaha hai parsi mazhab mein is parinday ko bohat muqadas mana jata hai yeh mot say mansob hai, iski wishbone bohat kam he hoti hai, iski wishbone achanak he meray haath lagi thi lekin phir kahin muj say kho ghai, gidh ki wishbone hasil karnay ka wakia mein yahan share karta hon,
yeh 11 saal pehlay ki baat hai kay sardion ki aak suba mein gao apnay doston kay sath chae pee raha tha, bachay khayt mein khel rahai thay kay achanak sab bachay dortay hoay humaray pas ay aur bataya kay khayt mein bohat bara sa parinda mara hoa para hai, hum sab dekhay wahan ghay to woh gidh tha shaid raat ko sakt sardi ki waja say mar gaya tha, meray gao kay doston nay kaha kay Ali bhai aap ko iskay kisi organ ki zarorat ho jo aap kay amliyat mein kam ata ho to aap batae hum abhi woh organ is mein say nikal letay hain, meinay mana kia kay rehnay do aur hum sab wapis apni jaga akar beth kar gidh kay topic par batain karnay lagay os waqat achanak meray zehan mein Alama Rafique zahid ka woh amal wishbone ka yaad agaya jo onhonay apni kitab mein likha tha, meinay foran apnay gao kay doston ko kaha kay gidh ki kamar kay mohray wali sabi bones saaf kar kay meray pas lekar ay, meinay on sabi bones ko dekha os mein aak bone ka colour sabi bones say alag sa tha bas wahi thi wishbone baqi sab hadia meinay wapis osi jaga phank di, is khas wishbone ka amal istarah hai,
Arabic ki qadeem kitab "Anwar Al Jaleel" jisay shaikh abdul jaleel sarkhasi nay likha hai aur kitab "Shamael Al Sehar" jisay Burhanulddin barbari nay likha hai in dono books mein gidh ki wishbone ka amal istarah likha hai kay gidh parinday kay kamar kay mohray par moshtamil hadi ko osi janwar ki daba kar preserved ki hoi khal mein lapait kar apnay pas mehfoz rakhay,
Koi marez agar kisi khatarnak la ilaj bimari mein mobtala ho aur doctors ko bhi oski bimari samaj na arahi hoto yeh dekhna ho kay kya marez ko is bimari say shifa milay gi ya mot say he osay is marz say nejat milay gi to is khas hadi ko marez kay jism par phayr kar oskay sarhanay rakh day aur marez kay face ko dekhay to os waqat marez kay sirhanay insani face ka aak haywala sa dikhai day ga, agar yeh dikhai day to yeh ilamat hai kay marez ki zindagi ko koi khatra nahi hai woh jaldi thek hojay ga,
Meinay yeh khas amal taiyar kia tha aur kai gao mein marezon par iska asar dekha, hadi ko marez kay sirhanay rakh kar marez kay face mein bina ankhain jhapkay dekha jata hai to os waqat aak  badal ya dhonway ki tarah insani face ka haywala sa dikhai deta hai, jo kuch seconds tak hota hai phir ghom hojata hai, ankh jhapaknay say bhi ghom hojata hai ya marez kay face ko dekhtay hoay haywalay ki taraf nigah karnay say bhi ghom hojata hai, yeh haywala shaid marez ki koi rohaniat ho ya guardian angel yehni hifazat karnay wala moakil ho jo oskay sath hota hai, yeh haywala dikhai na day iska matlab kay os rohaniat nay ya hifazat karnay walay moakil nay jism ka sath chor kar dia hai aur phir yeh paka malum hojata hai kay mariz kabhi bhi mar sakta hai,
yeh bone kai arsay tak meray pas gao kay makan mein rakhi thi lekin wahan aak din kafi barish hoi jis say barish ka pani meray gao kay makan mein dakhil hogaya aur kafi saman wahan kharab hogaya meray makan kay ilawa aur bhi kai logon kay gharon mein pani agaya, afra tafri ka aalam tha os waqat, saman hum mehfoz jaga shift kar rahai thay os doran kafi mera saman chori hogaya kafi lapata hogaya on saman mein yeh khas gidh ki wishbone bhi thi jisay bohat talash kia lekin kahin na mil saki, 
InshAllah jesay mujay dobara moka mila mein yeh bone zaror hasil karon ga.

The See-see Bird Wishbone (The Bone of Money):
Taywar e khamsa yehni woh khas 5 birds Murg, Hudhud, Ullu, Chimgadar aur Gidh in panchon paridon kay khuwas, israr aur amliyat kay mutalik hum sabi jantay hain, in 5 birds kay ilawa humaray darmian kai aysay birds rehtay hain jinkay poshida israr ka humay koi ilm nahi hota, hum on aam birds ko dekh kar nazar andaz kardetay hain lekin "ilm" in aam birds ko bhi khas al khas bana deta hai aur jisay pehlay hum aam sa parinda samaj kar osay ignore kar detay hain lekin jab oski khuwasiat ka ilm hota hai to hum osi aam parinday ko pagalon ki tarah talash karnay lag jatay hain,
Gao wa dehat mein kay ilakon mein aak aam sa parinda jo shikal wa surat say Tetar parinday jesa khubsurat parinda hota hai jo pakistan mein har mosam aur har jaga paya jata hai is parinday ko See-see kaha jata hai, yeh parinda to aam sa hai lekin iski wishbone bohat he nayab hai yeh bone jisko mil jay osay dolat ki kabhi kami nahi hoti, See-see bird ki wishbone ka amal mein yahan share kar raha hon,
Arabic ki Qadeem kitab "Firdos Al Aymal" jisay olma e rohaniat Hakim Dared ibn Kehtan hamasai nay likha hai, is kitab mein hasol e dolat ka amal istarah likha hai kay:
Suraj Girhan lagnay say pehlay see-see parinday ko pakar kar pinjaray mein band rakhain phir jab girhan lagay to amal ki hoi tanbay ki chori jiska zikar mein opar kar choka hon os say is parinday ko tanbay he kay kisi bartan mein zibah kia jay, is amal kay baad is parinday ko isi bartan mein rakh kar pani dalain aur cholhai par rakh kar nechay aag roshan karain, aag yahan tak jalti rahai kay is parinday ki hadia oskay gosht say alag ho jay,
Jab parinday ki sari hadia gosht say alag hojay to bartan otar kar pani mein mojod tamam hadio ko ahtiat kay sath nikal kar sheshay kay kisi bartan mein pani dal kar rakhain, amal kay doran is baat ka khayal rahai kay koi hadi totnay na pai, sheshay kay pani bharay bartan mein in hadion ko dal kar on sab ko ghor say dakhain on mein say aak hadi harkat karti nazar ay gi, oski harkat mein tezi ajay gi aur woh bartan say bahir nikal kay liay ochlay gi, yeh hadi jesay harkat mein ay osay zameen par girnay say pehlay he kabo mein kar lia jay, phir isay achi taraf saaf kar kay ittar lagay surakh reshmi kapray mein lapait kar apnay pas mehfoz rakhain, yahi hai woh khas see-see bird ki wishbone,



Is khas see-see bird ki wishbone ka taluk dolat say hai, kitab firdos al aymal mein likha hai kay olma e rohaniat kay nazdeek koi tilsim aur amal maal wa zar kay hasol aur kashaish e rizaq kay liay is tilsim say behtar nahi hai, jo shaks is bone ko apnay pas rakhay ga woh jis karobar mein haath dalay ga os mein kamiab rahai ga, rizaq kay zahiri wa batni darwazay oskay liay khol jay ghay, yahan tak kay kuch he arsay mein oskay pas rizaq halal aur maal kay anbar lag jay ghay, hakim dared ibn kehtan farmatay hain kay is hadi kay hamil shaks ka sitara is tarah chamak othta hai kay woh matti mein bhi haath dalay day ga to woh oskay liay sona ban jay gi yehni kehna ka matlab yeh kay har kam chahai jo bhi ho os mein oska aysa luck chamak othta hai kay dolat ki osay kabhi kami nahi rehti, yeh khas bone rupay pesay mein barhao aur dolat kay hasol kay liay karamati fawaid ki mazhar tasleem ki jati hai,
Yeh tilsim tilsimati amliyat mein say akseer al asar hakaik ka hamil aak nehaet e mufeed wa mojrib amal hai jis kay bay khata fawaid ki tareef jitni ki jay kam hai, yeh tilsim tilsimat kay zakhira e mojarbat mein say aak mumtaz tilsim hai jis say har shaks ko zaror faida othana chahehai, agar aap ko is tilsim ki zarorat hoto aap muj say rabta kar kay isay hasil kar saktay hain, iskay mazeed khuwas wa malumat kay liay aap muj say phone par jab chahain poch saktay hain.

The Bone Collector: 
Medical science mein jistarah Osteology aak ilm hai jis mein osteologist hadio kay ilm ka mahir hota hai same isitarah Mukhfi oloom mein hadio kay ilm ko ilm Al Azaam kaha jata hai, is ilm ka mahir is ilm kay zariay hadio say zaicha bana kar kismat ka hal bhi malum kar sakta hai, hadio say amliyat bhi kar sakta hai aur hadio say tilsim bhi bana sakta hai, yeh ilm bhi dosray oloom ki tarah apnay aap mein bohat gehra ilm hai, Allah pak jisay yeh ilm atta karta hai woh bekar see bones kay dhayr mein say khas bone ko parakh leta hai, kehtay hai na kay heeray ki pehchan sirf aak johri he kar sakta hai same isitarah ilm al azam ka mahir wishbone kisi bhi janwar kay skeleton say easily hasil kar sakta hai, wishbone khud he osay apni taraf attaract kar leti hai,
Meinay khud ko kabhi ilm al azam ka ustad nahi samja kuo kay yeh ilm bohat he gehra hai aur mein isay hasil kartay kartay meri omar khatam hojay gi isliay mein khud abhi student hon, parindon ki wishbones kay mutalik meinay yahan kafi kuch share kia hai aur ilm al kat bini kay mutalik bhi pehlay kafi kuch share kar choka hon, hadio kay is ilm kay mutalik mein inshAllah bohat kuch aur bhi oloom share karo ga, mujay ilm al azam mein kafi dilchaspi rahi hai aur mein kafi wishbones collect karta rehta hon, gao jatay waqat rastay mein agar kisi janwar ka sheleton mila mil jay to os mein say wishbone nikal kar apnay pas rakh leta hon jo mujay meray amliyat mein aur tilsim bananay mein kam aati hai,
Ilm Azam Al Tair yehni Birds ki wishbones ki yeh posting yahi tak complete karta hon, agar aap ko kisi bhi bird ki wishbone kay tilsim ki zarorat hoto aap muj say rabta kar kay hasil kar saktay hain,

Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165
Apnay is Bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga, InshAllah jald he new topic kay sath dobara hazir hon ga,

                                         Ali.

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman