Pages

Thursday, September 22, 2016

The Sacred Seeds

Ilm Limiya kay topic par meinay pehlay bhi kai postings apni blog site par share kar choka hon jo Sacred Trees, Sacred Plants & Roots kay mutalik thi aur aaj mein Sacred Seeds kay mutalik yeh khas post share kar raha hon jo bohat he khas hai aur aap sab ko meri yeh post bhi passand ay gi,
Sacred seeds par jab meri soch jati hai to mujay bachpan ki woh kahani yaad ajati hai jis mein aak gareeb maa gorbat say tang akar apni cow apnay chotay betay ko deti hai market mein sell karnay kay liay takay kuch pesay milay jis say ghar ka nizam chal sakay, larka bhola sa masom hota hai, osay rastay mein aak shaks milta hai larkay say pochta hai kay yeh cow kahan lekar jarahai ho, larka kehta hai hum bohat gareeb hain ghar mein khanay ko kuch nahi meri maa nay yeh cow di hai mujay takay mein isay market mein sell kar kay pesay lakar apni maa ko don takay woh ghar ka nizam chala sakay, woh shaks hasnay laga aur masom say bholay larkay ko kaha kay woh pesay phir khatam hojay ghay phir kya karo ghay? aur kuch hai tumharay ghar mein sell karnay kay liay? larkay nay kaha nahi bas yahi aak cow he bachi hai aur to kuch bhi nahi ghar mein, os shaks nay kaha kay cow sell karnay kay baad pesay to tum ko milay ghay lekin jald he kharch hojay ghay aur tumhari maa kay halat pehlay jesay hojay ghay isliay tum yeh cow mujay day do iskay badlay mein yeh khas sacred seeds lay jao yeh tumharay halat ko thek kar day ghay aur tumhari gorbat khushali mein badal jay gi aur tum humaisha khushal raho ghay gorbat kay din kabi tumhari taraf lot kar nahi ay ghay, larka yeh son kar khush hogaya aur cow os shaks ko day kar woh khas sacred seeds os say lay liay, jab woh ghar aya to maa nay larkay ko dekh kar khush hoi aur kaha kay beta cow sell kardi aab lao pesay mujay do aur larkay nay woh chand seeds maa ko diay aur sari baat os shaks ki osay batai, oski maa bohat gusa hoi kay woh shaks thag fraud nosar baz tha osnay tum ko bewakof bana kar tum say cow li aur yeh bekar seeds tumko day kar chala gaya, larkay ki maa ronay lagi kay muj say galti hoi kay meinay apnay betay ko bheja yeh akhri asra tha yeh bhi gaya, oski maa nay gusay mein woh seeds window say bahir phank diay dosray din wahan aak bohat bara tree ogh aya jo asman ki taraf jaraha tha, larka os tree par charh kar opar janay laga aur wahan osay khazana haath laga jis say oski aur oski maa ki kismat he badal ghai, gorbat humaisha kay liay onki life say khatam hogai.
 One morning, Jack's mother told Jack to take their cow to market and sell her.
 On the way Jack met a man who offered to buy the cow for some magic seeds.


Khair yeh to aak fairy tale bachon ki kahani hai lekin kya haqeqat mein aysay seeds hain jiskay mukhfi asrat say insan ki life khushal hojay? is sawal ka jawab aap ko olma e rohaniat wa mukhfiat dain ghay onki likhi sadion purani nayab kitabon mein aysay aymal aur amliat apko likhay milay ghay jo in khas seeds kay mukhfi asrat kay mutalik hon ghay, sacred seeds ka ilm rakhnay walay log apko dunia mein bohat kam milay ghay is ilm ko log seriously nahi letay, agar aap kisi ko kuch sacred seeds dain aur osay kahain kay yeh seeds tumhari bad hali ko khush hali mein badal dain ghay to os shaks ko yakin nahi ay ga aur yeh sochay ga kay yeh seeds akhir kistarah meray masael say mujay nejad day saktay hain,
Opar jo meinay bachon ki fairy tale story Jack and the beanstalk kay mutalik bataya hai is story say milta jolta aak wakia mein yahan share karta hon,
Kuch arsa pehlay ki baat hai meray walid ka aak purana client jamshaid muj say milnay aya aur kaha kay Ali bhai aap kay walid nay meri family ki bohat help ki thi apnay ilm say aab to woh hayat nahi isliay aap ki taraf aya hon takay aap apnay ilm say meri help karain, meinay pichlay saal shaadi karli osi larki say jis say pyar karta tha aur aap kay walid nay he apnay ilm say meri madad ki warna yeh possible nahi tha, meri biwi ghar mein bohat khafa rehti hai har waqat gusa karti hai oski maa ki bimari ki waja say jo aak pur israr bimari mein mobtala hai sham hotay he onkay haath pao mor jatay hain aur saray jism mein dard hona shoro hojata hai jo bardash say bahir hota hai doctors sab ko dikhaya har test normal ata hai malum nahi kya bimari hai onko, aak baray hakim sahab ko dikhaya onhonay kaha kay inko suba kay waqat taza desi morghi ka anda khilaya jay to onko shifa milay gi shayad weakness ki waja say aysa horaha ho, lekin Ali bhai kuch fark nahi par raha hai, Ali bhai mein onka rohani ilaj aap say shoro karwao ga lekin pehlay aap meri madad karain mein kafi dino say parayshan hon apni job ko lekar, qarza bhi logon say bohat lay choka hon woh bhi apnay pesay mangtay rehtay hain, apki blog site dekhi aap nay kai tilsim kay mutalik bataya hai mujay bhi koi khas chez dain takay meray halat thek hon, meinay jamshaid ka hisab bana kar dekha to malum hoa kay sacred seeds onkay liay best rahai ghay, meinay osay sacred seeds diay aur kaha kay isay apnay ghar mein chopa kar rakhna, Jamshaid nay woh seeds apni wife ko dikhae woh in seeds ko dekh kar bohat gusa hoi kay 10,000/- rupay mein yeh chand bekar seeds tumko osnay diay tum phir dobara in fraud aamilo kay chakar mein par ghay ho jo logon ko bewakof bana kar aysi bekar chezain day detay hain, jamshaid ki wife bohat gusa hoi aur bar bar jamshaid ko kehti rahi kay yeh seeds wapis osay day ao aur pesay lekar ao lekin jamshaid inkar karta raha aur oski wife nay gusay mein seeds ghar kay konay mein rakhay kicharay mein phank diay, jamshed ki wife apni maa ka rohani ilaj kafi aamilo say karwaya tha lekin onki maa ko koi faida nahi hua isliay oski wife ka yakin aur aitebar in chezon par say khatam hochoka tha, jamshaid ki wife nay gusay mein akar jo sacred seeds kicharay mein phankay thay wahan morgio nay woh seeds kha liay aur on mein aysi taseer peda hogai kay kuch dino baad jo anda on morgio nay dia woh jamshaid ki saas ko jab khilaya gaya to onki woh bimari khatam hogai aur woh puri tarah sehatyab hogai, jamshaid ki wife apni maa ko dekh kar bohat khush hoi aur jamshaid ko kaha kay hum hakim sahab kay pas chalay ghay mithai lekar, jamshaid kay ghar mein saaf safai krnay wali masi nay bataya kay yeh hakim sahab ka kamal nahi on seeds ka kamal hai behan jo aap nay bekar samaj kar kicharay mein phank diay thay, jab aap dono ka jhagra horaha tha to mein bartan dho rahi thi aur sab aap dono ki batain sun rahi thi, 10,000/- rupay kay seeds ki baat hoi to mein samaj ghai kay itnay ziada peson kay seeds hain zaror koi to baat hogi on mein, jab aap nay on seeds ko phanka to thori dayr baad mein wahan on seeds ko lenay ghai to morgia on seeds ko kha choki thi aur on karamti seeds ki taseer say jo anda morgi nay dia woh aap nay apni maa ko khilaya to woh thek hogai, in seeds say pehlay kitnay arsay tak aap inhe morgio ka anda apni maa ko khilati rahi hain lekin koi shifa onko nahi mili, jamshaid ki wife nay jab yeh baat suni aur ghor kia to samaj ghai kay in sacred seeds kay asrat ki waja say he aysa hua hai, osnay jamshaid say maafi mangi aur jamshaid kay sath mithai lekar meray ghar ai aur yeh sari batain jhagray ki aur seeds kay asrat ki batai aur mujay bhi sorry kaha kay gusay mein na janay aap kay mutalik bohat kuch galat kaha aap mujay maaf kardain, seeds ki yeh anokhi taseer ka ilm mujay bhi nahi tha meinay to isay jamshaid ko sirf ghar mein rakhnay kay liay diay thay lekin isay morgi ko khilaya jay to os morgi kay anday mein zabardast taseer peda hojati hai iskay mutalik mujay koi ilm na tha, sacred seeds say na sirf jamshaid kay ghar kay halat thek hoay balkay mujay bhi aak naya ilm naseeb hua aab mein in sacred seeds ko apnay gao mein morgio ko khilata hon aur onkay anday bimar logon ko deta hon aur onko shifa mil jati hai, kabi kisi chez ko bekar samaj kar nazar andaz nahi krna chahehai har chez mein Allah pak nay taseer rakhi hai aur yeh moshaiday say malum parta hai,
Sacred seeds kai tarah kay aur kai sizes kay hosaktay hain, chotay say chotay rai jitnay size say lekar baray size aur muktalif rang aur shape kay hotay hain, sabi sacred seeds kay mutalik yahan sab kuch likhna ya share karna possible nahi, isliay mein yahan kuch khas chand seeds kay mutalik he share karta hon,

Sacred Castor Seeds (Amal Hob Al Khuru):
Amliyat ki dunia mein erandi kay seeds bohat ahmiat kay hamil hain, kai amliyat mein yeh khas seeds use kiay jatay hain, erandi kay seeds jisay Arabic mein Hob Al Khuru aur english mein castor seeds kehtay hain in seeds ka khas amal jo aymal e akbar mein shumar kia jata hai arabic ki qadeem wa nayab kitab "Sehar Al Eyoun" aur "Harmis Ahramisa" mein olma e rohaniat nay is khas amal ki bohat tarif ki hai aur is amal ko aur bhi kai nayab kitabon mein likha gaya hai, yeh khas amal istarah hai:
Saturday ki suba saweray jab suraj nikalna shoro ho halka andhera ho os waqat Black colour ki cat kay skull ki eye sockets mein matti bhar kar os mein erandi kay seeds boay jay aur os skull ko kisi mehfoz jaga mein dafan kia jay aysi jaga jahan aspas koi dosra plant na ho aur kholi maydani zameen ho jahan suraj, chand aur sitaron ki roshni ospar par parti rahai,
Seeds zameen mein bonay kay baad aamil apna thora sa khoon barish kay pani mein shamil kar kay woh khas pani on seeds par dalay zohal sitaray ka wazifa aur dawat parhnay kay baad phir zohal say mansob dhoni wahan denay kay baad ghar wapis ajay, phir dosray din Sunday ko same suba saweray same time par isitarah khoon mila pani on seeds par dala jay shams ka wazifa aur dawat parhtay hoay oskay baad shams say mansob dhoni day kar wapis ghar ajay phir Monday ko jay same waqat par aur yahi pani dalay kamar ka wazifa aur dawat parhtay hoay aur kamar say mansob dhoni wahan day phir Tuesday ki suba jay same time aur yahi pani day marikh ka wazifa aur dawat parhtay hoay aur marikh say mansob dhoni day, phir Wednesday ki suba same time yahi pani day itard ka wazifa aur dawat parhtay hoay aur itard say mansob dhoni day, phir Thursday ki suba same time jay aur mushtari ka wazifa aur dawat parhtay hoay yahi pani ka amal karay aur mushtari say mansob dhoni day, phir Friday ki suba jay same time aur zohra say mansob wazifa aur dawat parhtay hoay khoon mila pani day aur zohra say mansob dhoni day aur phir wapis ghar ajay, 
7 dino tak yeh amal krna hai phir 7 dino baad seeds ko pani bilkol bhi na day aur seeds mein say plant peda honay ka wait karay, jab seeds phot kar plant zameen say nikal ay to kuch din baad os cat ki skull ko os zameen mein say ahtiat say bahir nikalay aur skull par eye sockets ko chor kar baqi lagi matti ahtiat say water spray bottle ki madad say saaf ki jay takay aur koi ghas ya plants wagayra ogh kar on seeds kay plant say na shamil ho,
Oskay baad is skull aur plant ko kisi nehar kay kinaray aysi mehfoz jaga zameen par lagaya jay jahan isay naturally apnay aap pani milta rahai,
Nehar kay kinaray is khas plant ko laganay kay baad oskay darakt bannay tak iska khyal rakha jata hai, mein yeh amal apnay village yehni apnay gao mein karta hon aur wahan kisan ko keh deta hon kay woh is plant ka khyal rakhay takay koi janwar wagayra isay koi noksan na pohancha sakain,
Darakt bannay kay baad jab in mein phal kay khushay peda hojay to in sabi phalon kay khushon par thaylia charhani chahehai takay koi bhi seeds is darakt ka zaya na ho,
Kuch arsay baad phalon kay yeh khushay khushk hona shoro hojay ghay,
Jab tamam khushay khushk hojay to on sab ko ahtiat say darakt mein say tor kar chilkay saaf kar kay seeds liay jay,
Phir in seeds ko kisi baray pani bharay bowl mein mothi bhar dala jata hai,
Seeds pani mein dalnay kay baad har seed par dhian dia jay in mein kuch seeds dob kar pani ki teh mein beth jay ghay, kuch seeds pani ki teh aur satay kay darmian tayrnay lagay ghay aur kuch seeds pani kay opar satay par tayrnay lagay ghay,
Iskay ilawa seeds par yeh bhi ghor kia jata hai kay in seeds mein konsay seeds apas mein group ki tarah pani ki satay mein tayr rahai hain aur kuch pair yehni jori mein hain aur kuch alag thalag sab say tanha hokar tayr rahai hain, in sabi seeds ki apni alag khususiat hain jo mein yahan share kar raha hon,


The Seeds of Fame:
Woh khas seeds jo pani ki opari satay par group bana kar tayrtay hain in seeds ka taluk fame yehni shohrat, izat wa dolat say hota hai, yeh seeds onkay liay best hain jo log social hotay hain logon mein othna bethna onka ziada rehta hai ya politics yehni siasat mein dilchaspi rakhtay hain aur yeh chahatay hain kay humara har jaga nam wa dabdaba ho aur hum say opar jo bari post par afsar hain woh humari taraf attaract hon jo hum baat ya kam onsay karwana chahai woh humari baat sunay aur humaray kam karain, 
Pani ki opari satay par group ki sorat mein tayrnay walay seeds mein say 7 seeds liay jatay hain aur in mein 7 safed joo kay seeds, 7 rai kay aur 7 safed mirch kay seeds aur 7 namak ki choti kankeria shamil kar kay pak lal kapray mein bandh kar apnay pas rakha jata hai jis say izat shohrat wa dolat hasil hoti hai aur baray baray logon mein dabdaba rehta hai aur har shaks oski taraf attaract honay lagta hai,
Yeh khas seeds ka tilsim meinay apnay aak client ko dia tha jo politics mein tha jo bohat zaheen tha lekin woh apni sharmili tabiat aur kam baat karnay ki waja say maqbol na ho paraha tha aur dosray jo oskay sathi thay onko batain karnay ki tricks thi aur woh isi say advise lay kar baray afsar jo politics mein thay on mein maqbol hogay lekin woh wahin ka wahin raha, is tilsim kay asar say os mein zabardast baat karnay ka talent peda hua aur politics mein osay bohat faida hua, aaj oski life khushal guzar rahi hai, seeds of fame istarah kay kai masael mein faida deta hai, koi bhi kam jis mein taraqi honay mein rikawat peda horahi ho in seeds kay tilsim say har tarah ki rikawat khatam hojati hai,

The Seeds of Stability:
Woh seeds jo pani ki teh mein beth ghay thay yeh seeds emarton aur zameen kay masael kay liay bohat faida mand hain, in seeds ko emarton ki boniad mein rakhnay say emarat har tarah ki afaat say mehfoz rehti hai aak hisar ya rohani shield sa ban jata hai jis say woh emarat har kisam kay bad asrat say mehfoz rehti hai, kai meray clients jo builders hain yeh seeds muj say lay jatay hain jis say onko kafi faida hasil hota hai, zamindar logon kay liay bhi yeh seeds bohat best hain zameen aur fasal say joray har kisam kay masael in seeds ko zameen mein dafan karnay say thek hojatay hain, kai meray clients jo zamindar hain onkay apnay he dushman hotay hain zameen ko lekar khandani purani dushmani honay ki waja say zameen par aysi chezain jadu ki phank detay hain jis say fasal zameen par achi nahi ogti chahai zamindar kitna bhi kharcha karay ya kisano say mehnat karwai lekin fasal say koi faida hasil nahi hota olta noksan hota hai, aysay masael kay hal kay liay in khas seeds ko zameen mein dafan karnay say zameen par say nahosat khatam hojati hai aur fasal bohat achi peda hoti hai, factory ho ya dokan ya kisi bhi jaga ko bad asrat say mehfoz rakhnay kay liay yeh khas seeds wahan rakhnay say woh jaga bad asrat say pak hojati hai,

The Seeds of Blockness:
Woh seeds jo pani ki satay aur teh kay darmian tayr rahai thay yeh khas seeds kisi bhi boray kam ko roknay kay liay use hotay hain ya kisi shaks ki bori adat ko block karna hoto yeh seeds bohat faida mand hotay hain, 
Shadi kay baad larki ka sab kuch oska shohar hota hai aur shohar ka ghar oska apna hota hai lekin kai larkia apnay shohar aur oskay ghar ko apna samaj kar serious nahi leti aur apnay ma bap kay ghar kay sath he sari omar jori rehti hain aysa he aak case meray pas aya tha, 
Yeh 3 saal pehlay ki baat hai aak shaks jiska nam waqas tha meray pas aya aur apni wife ki problem batai kay Ali bhai meri shadi ko 5 saal honay ko hai lekin meri wife ko na meri qadar hai na bachon ka khyal hai na meray ghar ko apna ghar samajti hai bas sara din osay apnay ma bap apnay behan bhaion ki tention rehti hai jab dekho koi na koi bahana kar kay apnay ma bap kay ghar chali jati hai aur kai dino tak wahin rehti hai jis say meray ghar aur meray bachon par iska kafi bora asar par raha hai, meinay bohat samjhaya osay pyar say aur aak bar gusa bhi kia lekin gusa karna bhi azab ban gaya meray liay woh naraz hokar wahin beth ghai aur bohat koshishon say razi kar kay ghar apnay lekar aya lekin phir bhi koi na koi bahana kar kay apnay ma bap kay ghar chali jati hai, Ali bhai meray ghar chal kar dekho dunia ki har nehmat aysh wa aram hai sukon hai, bohat khyal rakhta hon jo chez kehti hai lekar deta hon phir bhi aysa feel hota hai jesay mera ghar oskay liay qaid khana ho meray ghar mein woh khud ko qaidi feel karti hai osay meray ghar mein ghutan hoti hai aur apnay ma bap kay ghar mein bohat khush rehti hai, pata nahi Ali bhai oskay zehan mein aysi kya soch agai hai ya kisi nay jadu karwa dia hai kuch malum nahi parta, meinay waqas ka hisab dekha aur bataya kay hisab mein jadu ka nahi araha aap ki wife ko aak rohani bimari hai oski rooh ko apkay ghar mein sukon nahi milta apnay ma bap kay ghar mein osay sukon milta hai kuo kay oska bachpan wahin guzra hai kai larkia kafi hisas tabiat ki hoti hain jo sara din gharon mein band rehti hain on mein aysi kayfiat peda hojati hai naya ghar apnanay mein onko kafi moshkil pesh aati hai, waqas nay kaha Ali bhai mein apni wife say bohat pyar karta hon bas aap kuch aysa karain kay oska dhian sirf muj par apni ulad aur apnay ghar par ho, meinay waqas ko seeds of blockness diay aur kaha kay in seeds ko wife kay used pasenay walay kapray kay tokray mein lapait kar bedroom mein kisi andheri jaga chopa dena, waqas nay aysa he kia aur kuch arsay baad kuch aysa scene hoa kay waqas achanak muj say milnay aya aur baray joshilay andaz mein galay milnay laga meray hathon ko chomnay laga aur oski ankhon mein anso aghay aur kaha kay Ali bhai aap ko bohat duain deta hon har nimaz mein aap ko yaad rakhta hon aap ki waja say mera ghar khushal hoa hai, meri wife par aap nay pata nahi kya kardia hai kay ghar say bahir nikalnay ka nam he nahi leti shopping karnay tak nahi nikalti mein zabardasti lekar jata hon bahir jesay osay ghutan honay lagti hai aur meray ghar mein osay sukon milta hai sara din ghar ki safai ghar ki banawat aur bachon ko parhana onsay khelna bas khud ko ghar mein mehdod kardia hai ma bap kay ghar jana bilkol band kardia hai bas phone par onsay sara din baat kar leti hai, Ali bhai aap nay kesay kia yeh sab, meinay waqas ko bataya kay yeh kamal in khas seeds ka hai, in seeds ki mukhfi rohaniat nay aap ki wife ko aap kay ghar tak he mehdod kardia hai aak kara ya hisar sa ban gaya hai ospar, aab agar woh ghar say dor jay gi to osay bechani see hogi aur jaldi ghar janay ki soch oskay zehan mein ay gi aab aap bilkol parayshan na hona bas apnay is bhai ko humaisha duaon mein yaad rakhna, waqas aaj bohat khush hai, 
Yeh khas seeds sirf is aak problem kay liay he nahi kai aur bhi kai problems is say solve hosakti hain jesay kisi aurat ka husband sara din ghar say bahir doston kay sath ayashia karta ho pesay pani ki tarah apnay barbad karta ho aur biwi, bachon aur ghar ka osay zara bhi khyal na ho to aysay shaks ko ghar tak mehdod rakhnay kay liay yeh seeds use kiay jay takay har jaga say osay block kar kay sirf ghar tak mehdod rakha jasakay, iskay ilawa kisi ki aulad na farman ho ghar mein sukon na milta ho awara doston kay sath sara din ghar say bahir hoto osay sab say block kar kay ghar tak mehdod rakhnay kay liay yeh seeds use kiay jatay hain, iskay ilawa koi nokar chori kar kay bhag gaya ho, ya koi shaks dokha ya ferayb dekar pesay lekar bhag gaya ho ya kisi ki aulad na farmani kar kay ghar say bhag ghai hoto in seeds ko sandras ki dhoni ghar mein day kar in seeds ko jalaya jay aur os shaks ka nam lia jay jo bhaga hoto woh kahin bhi hoga har jaga aysi oski blockness hogi kay woh wapis osi shaks ki taraf mehdod hokar reh jay ga aur maafi manghay ga, seeds of blockness bohat zabardast tilsim hai iskay aur bhi kai fawaid hain jisay sab ka sab yahan share nahi kia jasakta, meinay bohat kuch muktasir sa bataya hai samajdar ko ishara he kafi hota hai,

The Seeds of Love:
Woh khas 2 seeds jo apas mein milay hoay thay, yeh seeds muhabat kay aymal mein use hotay hain, in dono khas seeds ko pees kar powder bana kar cheni mein mix kardia jay phir jin 2 logon mein muhabat peda karni hoto onka nam lekar onko kisi chez mein dal kar khila ya pila dia jay to on dono mein zabardast muhabat peda hojay gi, in seeds say kai logon kay meinay kam kiay hain jo log apas mein jani dushman thay woh bhi aak dosray say muhabat karnay lag ghay in khas seeds kay asar say, har woh kam jo pyar muhabat aur melap ka ho woh kam in seeds kay zariay hosaktay hain,

The Seeds of Hate:  
Woh seeds jo pani mein sab say joda hokar tanha tayr rahai thay yeh seeds nafrat aur bogaz kay aymal mein use kiay jatay hain, jin 2 shaks mein nafrat ya judai karwani hoto seed kay 2 tokray kar kay roti mein rakh kar roti ko pakaya jay, roti kay adhay side aak seed ka tokra ho dosray adhay side mein dosra seed ka tokra ho, phir is ka aak side jis mein seed ka adha tokra hai woh male dog ko khila dia jay aur dosra roti ka tokra female dog ko khila dia jay in 2 shaks ka nam lekar jin mein nafrat ya judai karwani ho, in khas seeds say kisi bhi dushman jo apas mein mil kar galat kam kartay hon onko juda kia jasakta hai,
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hob Al khuru yehni erandi kay seeds kay amliyat kay mutalik kai olma e rohaniat nay apni nayab kitabon mein likha hai, opar jo amal meinay share kia hai os say milta jolta aak aur amal hob al khuru ka yahan share kar raha hon,
Hob wa taskheer kay is amal e kabeer ko jazb al kalob ka nam dia jata hai, insani kalob wa khayalat ko tabdeel kar kay inko taskheer kar lena aur onpar kabu pa lena yeh sab sacred erandi kay seeds aur haikal e sulaymani kay khas wazaif say ba asani kia jasakta hai, is amal ka aamil taskheer mard wa zan kay ilawa omra wa ahal e dolat aur hakam wa salateen tak ko apna tabay farman bana sakta hai, hob wa taskheer kay is erandi kay seeds kay amal ko olma e rohaniat Qazi saad nay apni kitab "Yenabeh Al Tilsimat" mein tehrer kia hai, Qazi saab nay is amal ki tarkeb istarah likhi hai kay,
40 adad erandi kay seeds lay kar onko aak chilay tak ababeel parinday kay khoon mein beghoy rakhain, is amal kay baad in seeds ko zameen mein dafan kardain aur hasab e dastor adab e zaraet kay mutabik hifazat kartay rahain, 3 mah kay arsay kay baad yeh seeds phot kar plant ban jay ghay aur ainda 3 mahino kay andar andar in mein phal bhi ajay ghay, jab yeh phal pukta hokar sokh jay to on sab ko otar kar aak jaga jamah kar kay rakh lain, phir in seeds ko aak aak kar kay dekhtay jay in seeds mein say kuch seeds aysay hon ghay jo char char, teen teen aur do do ki tadad mein apas mein aak dosray kay sath motio ki tarah joray hoay hon ghay,
Jo 4 seeds aak dosray say apas mein milay hon onko 4 mukhi kaha jata hai, jo 3 seeds apas mein milay hon onko 3 mukhi aur jo do seeds apas mein milay hon onko 2 mukhi kaha jata hai, in khas sacred seeds ko hifazat say rakh kar baqi tamam seeds ko jala kar onki rakh ko sunbhal kar rakh lain is rakh ko amliyat ki dunia mein samsaan kaha jata hai, iski khasiat yeh hai kay is mein say aak rati bhar rakh lekar tilsim haikal e sulaimani ka amal 40 bar parh kar ispar phonkay phir kisi meethi chez jesay sharbat, tea ya milk mein mix kar kay kisi ko bhi khila ya pila dain to woh shaks taskheer hokar farmabirdar ban jay ga, jo khas seeds apas mein milay hoay hotay hain 4, 3 ya 2 mukhi walay woh apni taseer say hob wa taskheer kay amal ki asal hotay hain, in khas sacred seeds ki tarkeb istarah hai kay kisi bhi mukhi kay apas mein joray 2 seeds lay kar onpar haikal e sulaimani ka aml 101 bar parh kar aak seed ko apnay pas rakha jay aur dosra seed os shaks ka nam lekar jala dia jay jisay taskheer karna ho, is amal say ba hokam e khuda woh shaks jahan bhi hoga tamam rikawatay dor kar kay apkay kadmo mein akar giray ga, yeh amal azmoda aur mujrab hai.

How Sacred Seeds Work?
Opar jo meinay hub al khuru yehni erandi kay seeds kay amliyat share kiay hain osay dekh kar aur parhnay kay baad kai sawalat logon kay zehan mein ay ghay kay is ilm ki haqeqat kya hai? kya yeh seeds wakai asar kartay hain ya mangherat kisay kahanio ki tarah hai? kya yeh kala jadu ya kala ilm hai? istarah kay kai sawal logon kay zehan mein zaror ay ghay meri yeh posting parhnay kay baad, in sabi sawalat kay jawabat yeh hain,
Pehlay mein is ilm ki haqeqat kay mutalik batata hon, agar aap parhay likhay well educated hain to aap ko "Genetic Engineering" kay mutalik zaror malum hoga ya thora bohat iskay mutalik suna ya parha hoga yeh science ka woh khas ilm hai jis mein kisi bhi jandar jesay plant ya animal kay cells ya DNA mein aysa badlao kia jata hai kay woh nai species ka alag tarah ka nayab plant ya janwar ban jata hai, yeh ilm bohat qadeem hai jisay science nay aaj serious lia hai, mujay aaj bhi yaad hai woh wakia jab meri dawat meray aak dost nay apnay gao mein ki thi, hum aam yehni mango kay baagh mein bethay thay, aam kay baagh ka malik meray dost ka jannay wala tha mera onsay tarof karwaya osnay bataya kay Ali bhai hum nay aap ki tarif aap kay dost ki zibani bari sunni thi aur aap ki blog site par aap ki postings parh kar hayrat say mera sar chakaranay laga kay Allah pak nay aap ko bohat olom say nawaza hai aab humari bari hai aap kay sar ko chakarnay ki phir onhonay aam mangwaya aur kaha Ali bhai is aam ko kha kar batao kesa hai, mein daway say kehta hon aap nay aysa aam kabi nahi khaya hoga, jab meinay woh aam khaya to os mein gulab kay phol ki mehak anay lagi, meinay kaha kay kya aap nay gulab kay essence ko aam mein inject kia hai? to woh hasnay lagay kay nahi Ali bhai yeh aam hai he aysa agar aap ko yakin nahi ata to darakt mein say koi bhi aam tor kar kha kar dekhain sabi mein say gulab kay phol ki mehak ay gi, oskay baad onhonay papeta mangwaya aur kaha kay aab aap iska test kar kay dekhay yeh bohat acha mango hai to meinay onsay kaha kay bhai yeh mango nahi papeta hai, onhonay has kar kaha pehlay aap kha kar to dekho, meinay thora kha kar dekha to papetay ka taste mango jesa tha jesay mango kha raha hon, mera sar wakai hayrat say chakra gaya, onhonay kaha kuo Ali bhai sar chakra gaya na, jistara aap ko apnay ilm mein maharat hasil hai wesay humay bhi apnay ilm mein maharat hasil hai, meinay onsay pocha kay yeh kesay aap nay kia to onhonay bataya kay jab hum mango kay plant ko ogatay hain to aak khas tarikay say gulab kay plant ki kalam os mein shamil kar detay hain jis say mango aur gulab dono plants kay cells aur dna apas mein mil kar aak nai species ka tress ban jata hai jis mein mango aur gulab dono ki khobia is tree mein ajati hai, is ilm say hum kisi bhi tree mein badlao la saktay hain, onhonay bataya kay yeh ilm hum nay apnay baray bozrogon say sekha tha lekin iska raaz kisi ko nahi batatay, yeh ilm bahir mumalik mein bohat phel gaya hai aur is ilm ko genetic engineering ka nam dia gaya hai, is ilm ki madad say aysa khas apple ka tree banaya hai jiska apple agar koi kha lay to jism mein sabi zarori proteins aur vitamins mil jatay hain jis say insan ko sara din khanay ki zaorat paysh he nahi ay gi, is ilm kay zariay khas aysay powders bhi banae ghay hain jisay pani mein mix kar kay pia jay to sabi proteins aur vitamins jo humay fish, cow, chicken, mutton, vegittables ya fruits say miltay hain woh sabi aak glass yeh khas powder mila pani say mil jatay hain, jo bimar patients khana nahi kha saktay onko yeh liquid powder pilaya jata hai jis say onki body mein energy ajati hai jo sara din khana khanay say milti hai, genetic engineering ka scientific ilm medical ki dunia mein bohat faiday mand raha hai aur is ilm say aur bhi kai tajorbat hotay rehtay hain jesay aak yeh amal abhi hali mein hoa hai,
Glow in the dark plant yehni aysa plant jo raat mein chamaknay lagta hai, aysa plant aap nay kahin nahi dekha hoga jo raat mein roshni day lekin aysa plant banana ilm kay zariay mumkin hai, jugno aak chota sa insect hai jiski dom raat ko chamakti hai yeh aak khas chemical kay reaction ki waja say aysa hota hai agar is chemical ka dna aak khas plant kay dna say mila dia jay to aak nai species ka plant ban sakta hai jis mein jugno ki khobia bhi hongi yehni woh plant bhi raat ko jugno ki tarah glow karay ga andheray mein aur is plant kay seeds bhi khas sacred hongay agar dosri kisi jaga oghae jay to humay kisi bhi jaga asani say glowing plant mil sakta hai, scientist abhi is project par kam kar rahai hain aur bohat jald future mein aysay trees foot path aur gardens par humay dikhai day ghay jo raat ko apnay aap roshni dain ghay jis say street lights laganay ki zarorat bhi paysh nahi ai gi aur bijli ki bhi bachat hogi,
Yeh to hoi baat science aur genetic engineering ki aab mein aap ko rohaniat ki taraf lata hon, jistarah science ka apna alag aak topic hai same isitarah Rohaniat ka apna alag topic hai genetic engineering ka ilm sirf science ka hisa nahi yeh rohaniat ka bhi hisa hai, Rohani genetic engineering aak alag ilm hai jiski detail mein yahan share kar raha hon,

Rohani Genetic Engineering:
Education mein mujay shoro say he koi dilchaspi nahi thi isi waja say exam mein humaisha fail ata tha, meri sari soch mera sara zehan bas rohaniat mein hota tha, rohani olom ko junon ki had tak chaha aur seekha, Science mein jistarah Biology, Zoology aur Cosmology subjects hotay hain same isitarah Rohaniat mein bhi ilm limiya, ilm simiya aur ilm himiya subjects hotay hain,
Science mein subject Biology mein plants aur tress par research ki jati hai, Zoology mein janwaron par research ki jati hai aur Cosmology mein chand, sitaron wagayra ki reasearch hoti hai,
Same isitarah he Rohaniat mein Ilm limiya biology hai jis mein payr, podon aur seeds kay mukhfi asrat par research ki jati hai, ilm simiya zoology hai jis mein janwaron ki hadia onkay organs kay mukhfi asrat par research hoti hai, ilm himiya cosmology hai jis mein chand aur sitaron ki mukhfi asrat par research hoti hai,
Opar jo meinay erandi ka amal share kia hai jis mein billi ki skull mein seed dal kar tree peda karna is tamam ritual mein 3 olom shamil hain woh olom hai ilm limiya, ilm simiya aur ilm himiya, teeno olom kay mixture say rohani genetic engineering hoi aur os khas species kay tree kay seeds sacred seeds ban ghay jis mein aysay zabardast asrat poshida hai jiska moshaida wahi banda kar sakta hai jiskay pas yeh seeds hon,

Ilm Al Limiya wa Simiya fe Al Himiya:
Opar image mein jo geometric figures bani hai yeh kisi science kay project ki image nahi os khas ritual kay mutalik hai jo meinay opar share kia hai, isay samajna har kis kay bas ki baat nahi isay sirf rohani genetic engineer he samaj sakta hai aur is geometric figures kay zariay sacred seeds hasil kar sakta hai, qadeem dor mein olma e rohaniat aysi he ajeeb see figures ban kar apnay khas amliyat ko na ahal logon say poshida rakhtay thay sirf ilm wala banda he in figures ko samaj kar amal kar sakta tha, aaj bhi chemistry mein formulas ko khas equation mein batatay hain takay os equation ko aak chemist he samaj sakay, same isitarah rohani oloom ko bhi chopaya jata hai,
Mein aak aamil hon meray saray amliyat aur kam nature aur oski rohaniat say joray hain, meray gao mein jahan mera outdoor altar yehni astana hai wahan aak chota garden banaya hoa hai wahin mein rohani genetic engineering say khas species kay tree ogata hon aur onkay sacred seeds muktalif masael mein phansay logon ko deta hon jis say onko faida hasil hota hai yeh aak natural ilm hai iska taluk kisi bhi deen ya mazhab say nahi hota na he yeh ilm kala jadu hai, jo log is ilm ko kala jadu samajtay hain onka koi fault nahi kuo kay onki zahanat he aysi hoti hai woh janwaron ki hadia, khoon aur ajeeb jari botia dekh kar achay khasay ilm ko kala jadu bana detay hain, aak ilm rakhnay wala well educated banda agar hoga jisay khuda nay ilm say nawaza hoga woh samaj jay ga kay yeh bhi science he ki tarah aak natural ilm hai, natural ilm kay zariay bannay walay tilsim doctor ya hakim ki dawa ki tarah hotay hain jo sabi ko faida detay hain chahai oska taluk kisi bhi deen wa mazhab say ho, 
Meinay muktasir see baat mein bohat kuch share kia hai samajdar banda samaj jay ga kay in sacred seeds ki haqeqat kya hai, yeh kistarah kam kartay hain aur yeh kala ilm nahi aak natural ilm hai,
Allah pak nay har chez mein rohaniat rakhi hai aur yeh sacred seeds muktalif rohaniat ka majmoa hotay hain yahi mixed rohaniat in aam say ordinary seeds ko khas "Sacred" bana deti hai aur yeh rohaniat in seeds ko mili hai علم الليمياء و السيمياء في الهيمياء ki madad say, khuda jisay ilm day woh pathar ko bhi sona bana sakta hai.

Ilm Al Limiya wa Himiya fe Al Kimiya:
Hob al khuru kay khas sacred seeds kay amliyat jo opar meinay share kiay os mein ilm al simiya shamil tha aur aab mein jo khas amal hob al khuru ka share karnay wala hon is mein ilm simiya ki bajae ilm kimiya shamil hai, hob al khuru ka yeh kimiya wala amal bohat khas hai, ilm kimiya jisay scientific ziban mein chemistry kaha jata hai amliyat ki dunia mein is ilm kay zariay bohat see khas chezain banai jati hain, olma e hikmat jistarah ilm kimiya ki madad say khas koshtay, akseer ya khas dawaiya banatay hain same isitarah olma e mukhfiat wa tilsimat is ilm kay zariay khas tilsim wa rohaniat say bhari chezain banatay ay hain, hob al khuru ka aak amal e khas mein yahan paysh kar raha hon,
Arabic ki qadeem wa nayab kitab "Al Nawat wa Al Aghan" mein olma e rohaniat ibn abad abu al qasim talqani likhtay hain jab zohra borj hamal kay 25 darjay par nazrol karay to hob al khuru ka ark nikal kar mehfoz rakhain, iskay baad jab qamar wa zohra kowi al hal aur sahadat kay darjat mein taleh hon to hob Al Aas seeds ka ark nikal kar mehfoz rakhain, jab moshtari borj sartan kay 15 darjay par nazrol karay to os waqat Hob Al ward seeds lekar iska ark nikal kar mehfoz karay,

Hob Al Khuru, Hob Al Aas aur Hob Al Ward in teeno khas seeds ko pees kar ilm himiya kay zariay khas astrological maksos time mein in pesay hoay seeds ka ark nikala jata hai, ark jis tool say nikala jata hai osay arabic mein Qura Anbik aur english mein Retort kehtay hain,
Is khas tool retort kay zariay mein easily ark nikal kar isay kai amliyat mein use karta rehta hon,
Sahab e kitab ibn abad abu al qasim talqani Hub al khuru kay ark ka yeh khas amal aqaqeri surmay kay nam say mosom kartay hoay iski tarqeb kay mutalik tehrer kartay hain kay in khas 3 seeds ko inkay mansoba astro timing wa okat kay mutabik alheda alheda kot pees kar inka ark hasil kar kay apas mein mix kar lain,
Is amal kay baad surma lekar kharal mein dalain aur seeds ka pani thora thora surmay mein daltay jay aur kharal kartay jaen, jab tamam pani surmay kay hamrah kharal kartay kartay khushk hojay aur surma gobar ki tarah barek hojay to is surmay ko chandi ki surmay dani mein dal kar mehfoz kar lain,
Is surmay ko jo bhi shaks apni ankh mein laga kar apnay jis bhi matlob kay samnay jay ga woh matlob os shaks ka talib ban jay ga, is surmay ko istamal kar kay jis mehfil mein woh shaks jay ga to ahal e mehfil oski taraf attaract hogi, kitab al nawat wa al agan kay mutabik yeh khas seeds ka surma taskher e khuwaten kay liay bator e karamd khas tilsim hai, is surmay ko istamal kar kay jis bhi aurat kay robaro hoga woh dekhtay he ospar fida hojay gi, yeh surma on logon kay liay best hai jin kay pas dunia ki har nehmat to hoti hai lekin attaraction nahi hoti, log onko haqeer samajtay hain aur kisi bhi mehfil mein agar aysa shaks jay to log oski taraf tawaja nahi detay agar kisi shaks say batain bhi horahi hon to os shaks ki taraf nigah kar kay log baat nahi kartay balkay jo oskay sath oska dost ya koi dosra shaks khara ho to oski taraf nigah kar kay tawaja say baatain kartay hain, attaraction kay na honay say har koi ignore karta hai os shaks ko jis say woh shaks ehsas e kamtari ki bimari ka shikar hokar logon say milna jolna khatam kar deta hai, attaraction kay na honay ki waja say os shaks ki shadi bhi nahi hopati kahin bhi aur rishtay agar atay bhi hain to baad mein osay reject kardia jata hai aur shadi agar ho bhi ghai to oski biwi oski taraf attaract nahi hoti, kisi shaks mein attaraction na honay ki wajohad bohat see hoti hai yeh aak spiritual bimari hai jisay olma e rohaniat nay dekha, samja aur ghor kia aur kai aysay tilsim banai jiskay istamal say aam sa dikhnay wala shaks ya woh shaks jisay har koi heqarat ki nazar say dekhta ho ya maskhara samaj kar oski mazak orata ho ya zalel karta hoto aysay shaks mein aysi attaraction peda hojati hai kay logon mein woh shaks har dil aziz ban jata hai, har koi muhabat wa chahat ki nazar say osay dekha hai, yeh spiritual bimari jism mein mojod rohani haywalay jisay Aura kaha jata hai oskay kharab honay ki waja say hota hai, aysay khas attaraction walay tilsim ya surmay say woh rohani haywala ya rohani shield aysi ban jati hai body mein jis say jism aur ruh dono balance mein hojatay hain aur face par aak noor sa ajata hai jisay dekh kar har koi oski taraf attaract honay lagta hai, salam hai olma e rohaniat ko jinhonay aysay kai khas tilsim apni omar bhar ki mehnat wa tajorbat say banai jis say hum aaj faida hasil kar rahai hain aur dosron ko bhi is amal ki dawat day rahai hain takay jiskay sath bhi aysa masla hai woh is amal say apna masla thek kar sakta hai, agar aap ko yeh khas surma chahehai to aap muj say rabta kar kay yeh khas surma hasil kar saktay hain.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sacred Croton Seeds (Amal Hob Al Malok):
Hob Al khuru seeds ki tarah Hob Al Malok seeds ka bhi mukhfi olom aur amliyat ki dunia mein aak khas makam hai, Olma e hikmat kay mutabik hob al malok seeds 266 amraz payt, mada wa jigar kay liay behad wa hisab mofed wa muasir hai, payt wa mada kay amraz kay ilawa sozish, ikhtalaj kalab, nasor, sil dik, jarian khoon, boaser reyahi, reyah shaded, motapa, tahal, dard dandan, kowat bah, masana wa gorday kay amraz, dama wa ishal jesay awarzat kay liay bohat faiday mand hai, Hob Al Malok jahan hikmat ki dunia mein jismani amraz wa awarzat mein adwiati ijza kay tor par behad faida mand hai wahan tilsimati aymal wa mojarbat mein bhi aak aham ansar kay tor par maqbol wa mostamal hai, olma e rohaniat wa mukhfiat farmatay hain kay hob al malok seeds limiya aymal wa mojarbat kay bab mein amor e ajeba wa gareba kay moshaida wa zahor kay liay bamanzala ruh kay shomar kia jata hai, Hob Al Malok seeds ka aak khas wazifa hota hai jisay falqetar kehtay hain is khas wazifay kay zariay hob al malok kay amliyat wa tilsimat banae jatay hain, mein yahan hob al malok ka khas wazifa share nahi kar raha takay koi na ahal shaks jo ilm ki jankari nahi rakhta kisi par galat ya na jaiz koi amal na kar sakay, mujay iski ijazat nahi mili isi liay mein yahan iska wazifa share nahi kar raha baqi iskay khas amal wa tilsimat yahan share kar raha hon,
Arabic ki qadeem wa nayab kitab "Makashifat" mein olma e rohaniat Akhzar Marjani likhtay hain kay Hob Al Malok kay seeds lekar onko hamar dashti kay khoon mein tar kar kay kisi bartan mein dal kar is bartan ko zabal e hamar yehni donkey kay gobar mein he 3 months tak dafan kiay rakhain, jab 3 months ka arsa guzar jay to is bartan ko nikal kar dekhain to os mein black colour kay scorpions peda hochokay hon ghay,
 In Scorpions ko munasib tarikay say mar kar ahtiat kay sath roghani matti ki handi mein band kar kay gol e hikmat kar kay achi tarah matti say handi ko seal kar kay in scorpions ko jalaya jay takay yeh jal kar karak hojay,
 Phir in sab ko pees kar powder ki tarah bana kar subhal kar rakha jay, is khas powder ko arabic mein "Ramad Al Aqrab" kaha jata hai, is khas powder mein ark e gulab aur moshk shamil kar kay ink banai jati hai aur is khas ink say kai tawezat wa tilsim likhay jatay hain, hob wa taskher kay amliyat mein yeh rakh bohat use ki jati hai, friday kay din agar koi shaks apnay nakhon dono hathon aur payron kay kat kar in nakhon ko jala kar oski rakh banai jay aur os rakh ko ramad al aqrab mein shamil kar kay kisi tez khushbodar ittar mein shamil kar kay ittar par hob al malok ka wazifa 11 bar parh kar phonka jay phir is ittar ko laga kar apnay kisi bhi mehbob ki taraf jay to jesay he mehbob khushbo songhay ga woh taskheer hojay ga, is khas ittar ko use kar kay kisi ko bhi taskheer kia jasakta hai, 
Yeh khas ittar kai logon ko meinay taiyar kar kay diay, is khas ittar say kai logon kay bigray hoay kam wa masael asani say thek hogay, kai aysi larkia wa khuwaten apnay mehbob par bharosa kar kay sab tarah ka relation rakh leti hain isi soch mein kay humara mehbob sacha hai aur shadi karay ga lekin woh dhoka dekar dosri jaga shadi ka sochnay lagta hai aur bahana yeh karta hai kay apnay ghar walon ki waja say majbor hon lekin hum sari omar dost ki tarah rahai ghay, yeh alfaz mard to asani say apni ziban say keh deta hai lekin aurat yeh alfaz bardash nahi kar pati jo apna sab kuch ospar qurban kardeti hai woh bech mein latak jati hai na apnay mehbob ki rehti hai na husband ki kuo kay shadi ki raat to husband ko malum hojay ga kay iska relation pehlay he reh choka hai aur woh bhi ya to os say jan choranay ki karay ga ya sari omar nafrat karay ga kay yeh baat kuo chopai, yeh problem kai larkio kay sath hojati hai jo jazbat mein akar galat kadam otha leti hai jiska result oskay liay, oski family kay liay, oskay mehbob kay liay, oskay husband kay liay bohat galat milta hai, istarah ki problem ka shikar larkion ki meinay isi khas ramad al aqrab kay powder say madad ki hai aur onka ghar abad kia onki tabha hoti zindagi abad ki aur onki duaon say meri har murad puri hoi,  
Kuch arsa pehlay ki baat hai aak larki kisi aurat kay sath jo oski servant thi karachi say meray pas ai, osnay pehlay apnay ghar kay kuch masael kay mutalik muj say pocha meinay ilm ramal kay zariay hisab laga kar osay guide kia lekin mein mehsos kar raha tha kay osay kuch aur malum karna tha aur woh bechain see horahi thi, akhir kar osnay os aurat ko jo oskay sath ai thi dosray room mein bheja aur kaha osay kay mein kuch private baat pochna chahati hon, jab woh aurat dosray room ghai tab osnay rona shoro kardia aur sari kahani batai kay woh ak larkay say muhabat karti hai os say shadi karna chahati hai lekin os larkay say bohat arsay tak oska physical relation bhi raha aur aab woh larka uk country chala gaya hai aur wahin apni cousin say shadi kar raha hai, Ali bhai meri zindagi tabha hojay gi, meinay ghar mein na apni kisi friend ko kuch aysa bataya hai sirf apko bata rahi hon meri eid kay baad shadi ghar walay kar rahai hain mein shadi bhi nahi kar sakti kuo kay husband ko relation ki baat chopai bhi to shadi ki raat to osay malum hojay gha, mein har jaga say Ali bhai phas choki hon agar os larkay nay uk mein shadi karli to mein suiside kar lon gi aur phir osnay rona shoro kardia, meinay oska hisab dobara bana kar dekha aur calculation say malum hoa kay larki ka star scorpio hai aur nam ka horof bhi nun say shoro hota hai aur abhi ak haftay baad oska star orooj mein araha hai bas mujay hint mil gaya kay ramad al aqrab yehni scorpion powder wala ittar iskay liay bohat faida mand rahai ga, meinay larki ko kaha kay aap apnay nakhon kat kar ak haftay baad lekar ana lekin larki nay kaha kay mein bohat moshkil say ai hon apkay pas dobara nahi asako gi please aap ko jo bhi tilsim dena hai abhi dain jo pesay aap kahai ghay mein abhi atm machine say nikalwa kar apko day deti hon please abhi mujay chahehai, meinay osay kaha thek hai aap khair say karachi jao aur aak haftay baad mujay nakhon Tcs courier karwa dena aur phir woh chali ghai aur ak haftay baad osnay nakhon tcs courier karwa diay meinay on nakhono ko jala kar oski rakh ko ramad al aqrab mein shamil kar kay ittar taiyar kia aur osay woh khas ittar tcs courier karwa dia, 
meinay os larki ko kaha kay uk mein jo larka hai os say contact mein rahai aur osay koi greeting card ya koi gift post karday card par ittar laga kar ya kisi gift mein laga kar takay jesay he woh envelop ya parcel kholay to ittar ki khusbu songhay takay ilm oskay jism mein nak kay zariay dakhil hojay, os larki nay chota sa teddy bear lia aur ospar ittar laga kar greeting card eid ka ospar bhi ittar laga kar dhl courier kay thru osay post kardia, os larkay ko woh chezain mil ghai aur osnay ittar kay khushbu ki taref bhi ki kay bohat achi khushbu thi bas phir kya tha woh larka os larki kay pyar mein aysa dewana honay laga kay bar bar larki ko webcam to kabi skype ya imo par video chat karnay lag gaya aur daily batain karnay laga, larki bohat khush hoi osnay mujay sari batain batai kay Ali bhai ospar asar hona shoro hogaya hai lekin woh mujay bar bar aak baat par force karta hai kay video chat par naked ho meinay osay sakti say mana kia kay khabardar aysa kia to, agar aysa kia to sara kam olta hojay ga woh hath say nikal jay ga aur woh amal bay asar hojay ga, os larki nay meri har advise par amal kia aur woh larka pyar ki shedat mein aysa ghir gaya kay uk chor kar pakistan agaya rishta lekar larki kay ghar aur shadi karli os say, aaj woh larki apnay mehbob kay sath bohat khush hai aur mujay har nimaz mein duain deti rehti hai, aak chutki bhar powder nay oski tabha hoti zindagi ko abad kardia, istarah kay kai masael logon kay meinay  hob al malok kay sacred seed kay zariay ilm limia ko ilm simiya kay sath shamil kar kay rohani genetic engineering say khas scorpions banae aur onkay powder ko use kar kay logon kay masael hal kar kay onki madad ki aur onki duain humaisha meray kam ati hain,
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 
Hob Al Malok bohat zabardast israri seeds hain yeh kai amliyat mein use kiay jatay hain aur in seeds say kai tilsim banae jatay hain,
agar mein yahan hob al malok kay sabi amliyat wa tilsimat share karon to achi khasi kitab ban jay gi isliay sab yahan share karna mumkin nahi mein yahan kuch khas aymal hob al malok kay share kar raha hon jo meray bhi azoda aur mojrab hain,

*Amal Hob Al Malok 1: 
Hob al malok kay seeds pees kar rasas yehni neel kay sath mila kar ink taiyar ki jay, is ink say hob al malok say mansob khas wazifa likh kar apnay pas rakhnay say hasad karnay walay log aur dushmano ki zaban bandi hojay gi woh job wali jaga ho ya family mein kabi kuch galat bayani nahi karain ghay aur kabhi apni harkaton say osay noksan nahi pohancha sakay ghay, yeh amal mein kai logon ko taiyar kar kay deta rehta hon.


*Amal Hob Al Malok 2:
Fiqar wa faka, tang dasti wa gorbat ka sataya hoa 40 seeds hob al malok par 40 bar hob al malok say mansob wazifay kay amal ko parh kar phonkay aur in seeds ko apnay pas sanbhal kay rakhay ya gidar singhi kay sath rakhay ya wahan rakhay jahan apni zati khas chezain rakhta hai to khuda kay fazal wa karam say oski mohtaji maldari mein badal jay gi, yeh seeds mein amal kar kay kai logon ko deta hon, iska double asar tab hota hai jab isay gidar singhi kay sath rakha jay ya billi ki anol kay sath to zabardast mukhfi asrat peda hotay hain jis say oski gorbat foran khatam hona shoro hojati hai aur yeh meinay khud moshaida kia hai jisay bhi yeh amal taiyar kar kay dia osay faida hasil hoa.


*Amal Hob Al Malok 3:
Arabic ki qadem kitab "Makashifat" mein likha hai kay aysi athra zada aurat jiskay bachay pedaish kay baad martay jatay hon aur koi bhi zinda na rehta hoto aysi aurat ko hob al malok kay 21 seeds par 21 bar hob al malok say mansob wazifay kay amal ki ibarat ko tilawat kar kay dam karday, aurat in seeds ko bachay ki pedaish kay doran oski anol hasil kar kay in seeds ko anol kay sath zameen mein daba day to na sirf woh bacha he zinda bach rahai ga balkay iskay baad jo bhi aulad peda hogi woh zinda wa salamat rahai gi aur athra ki bimari hamaisha kay liay khatam hojay gi, kitab makashifat kay mutabik agar bachay ki anol na mil sakti hoto to nomolod bachay kay sar kay baal otarwa kar in baalon mein hob al malok kay seeds rakh kar ghar kay sehan mein daba day to bhi athra ka marz jata rahai ga.

*Amal Hob Al Malok 4:
Arabic ki qadem kitab "Makashifat" mein sheikh shahab ulddin kalyobi say manqol hai kay Hob Al Malok kay 1 seed ko lekar os say mansob khas wazifay ka amal ki tilawat kar kay phonkay aur is seed ko chandi kay tawez mein momjama kar kay is tawez ko bachay kay galay mein dal denay say is tilsim ki taseer say bachay ka rona aur khoab mein dar kar chonk jana khatam hojay ga, aysa bacha jo khoab mein bistar par peshab karnay kay arzay ka shikar hochoka ho oskay liay yeh tilsim bohat faida deta hai.

*Amal Hob Al Malok 5:
Arabic ki qadem kitab "Makashifat" mein olma e rohniat hob al malok ka amal jo dushman ki tabahi wa barbadi kay mutalik hai woh amal istarah hai kay 12 hob al malok kay seeds lekar in seeds par 408 maratab hob al malok say mansob wazifa parh kar in seeds par phonkay oskay baad in seeds ko kisi tang mo ki choti see mazbot bottle mein dal kar is bottle ko dushman kay ghar mein kahin rakhwa dain ya oskay ghar kay qareeb ya sehan ya oskay garden mein daba denay say oskay ghar mein mojod tamam afrad la ilaj kisam kay amraz ka shikar hojay ghay aur onpar aysa azab nazil hoga kay bahir say jo koi bhi in afrad say milnay ay ga ya is ghar mein jay ga to woh shaks bhi bimar hojay ga, yeh amal kisi bay gunnah par karna jaiz nahi isi waja say mein hob al malok ka wazifa share nahi kar raha takay koi kisi par na jaiz amal na kar sakay.

*Amal Hob Al Malok 6:
Jo mard kisi boray fayl mein mobatal ho yehni bori aurton kay pas jana, sharab pena ya har kisam ka nasha ya boray kam karna, ya koi aurat kisi boray fayl mein mobtala ho jiski waja say oskay ghar walon ko har oski waja say parayshani hoti hoto aur woh yeh chahatay hon kay onka beta ya beti bori adat say nikal kar nayki wa parhayzgari aur deen ki taraf mael hoto hob al malok kay seeds ki ink jiskay mutalik meinay opar likha hai is khas ink say hob malok ka wazifa bori adat mein mobtala mard ya aurat kay pehnay hoay kapray kay tokray par likh kar is kapray ko kisi purani toti photi kabar mein daba denay say is amal ki barkat say haram karon ki aadat e bad jati rahai gi.

Hob al malok kay khas sacred seeds ka topic mein yahin tak complete karta hon, agar aap ko hob al malok kay khas amal kiay hoay seeds ki zarorat hoto aap muj say rabta kar kay lay saktay hain, mein yahan aab kuch mazeed khas sacred seeds kay mutalik aymal share karta hon,
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 

Sacred Harmal Seeds (Aymal e Harmal):
Harmal aak aysi jari hai jo abad wa gayr abad har jaga peda hoti hai aur yeh aak aysi jari hai jo dunia kay har khatay mein pai jati hai, otba e pak wa hind nay harmal kay paton, shakhon, iski jaron aur iskay seeds sab ko jismani amraz wa awarzat kay ilaj kay liay shifa baksh tehrer kia hai, pak wa hind mein he nahi aur bhi kai mumalik mein bhi harmal ko aak nafah baksh jari kay tor par istamal mein laya jaraha hai, tibi makasad wa zaroriat kay ilawa harmal ko tilsimat mein bhi muktalif kisam ki bimario kay ilaj aur hal talb amor wa mamlat kay rohani hal kay liay mufed tarin rohani jari kay tor par zaman e qadeem say lekar aaj bhi istamal mein laya jaraha hai, harmal kay seeds aur sacred seeds ki tarah he zahiri wa batni dono asrat pae jatay hain, zahiri asrat ka taluk jismani amraz wa bimario kay ilaj say hai, batni asrat tilsimati ajaibat wa garaibat kay mutalik hain,
Aur sacred seeds ki tarah harmal kay seeds ka bhi aak maksos wazaif hota hai oskay asol wa kawaid kay mutabik amal karnay say he harmal kay seeds ko sacred banaya jasakta hai, kutab e tilsimat wa rohaniat mein likha hai kay harmal ko jab oskay phal yehni khoshay jat oskay seeds kay pukhta honay kay baad phot parain os waqat aamil apna saaya ki chaon say bacha kar harmal say mansob wazifay ki tilawat kartay hoay in seeds ko lia jay aur aysi jaga dry krnay kay liay rakha jay jahan kisi bhi mard ya aurat ka saaya ospar na par sakay, is tarikay say hasil karda harmal kay seeds he sacred hotay hain jinko amliyat mein use kia jasakta hai, 
Deeni wa mazhabi nokta e nazar say bhi harmal kay seeds mutabrik wa muqadas chez hai, ahadees e mubarka kay mutabik harmal aak aysi jari hai jiskay aak aak seed par aak malk ya moakil muqarir hai, kitab Al Atqan mein likha hai kay harmal kay aak aak seed kay liay malaika ki aak aak jamaet khair wa barkat kay liay mojod rehti hai, 

Akabar sahaba karam ka farman hai kay jis ghar mein har roz harmal ki dhoni di jay to os ghar kay afrad humaisha sehat mand, dolat mand aur sahadat mand rahai ghay, zilat wa bad bakhti os ghar say dor hojay gi, mein yahan kuch amliyat sacred harmal seeds kay share kar raha hon,
Sacred harmal seeds ziada tar dhoni kay amliyat mein use kiay jatay hain, harmal kay seeds ki dhoni say har kisam kay bad asrat khatam hojatay hain, sacred harmal seeds ki dhoni kay kuch khas amliyat yeh hain,

*Amal e Harmal 1:
 Kitab Sharah Isma e Elahi mein likha hai kay fiqar wa faka aur gorbat ka sataya hoa shaks suba suraj nikalnay say pehlay apnay ghar kay sehan kay charon kono mein bari bari kharay hokar har konay mein 11 bar harmal seeds say mansob wazifay ki tilawat karay aur iskay sath harmal kay sacred seeds ki dhoni bhi deta jay har konay mein, is amal say mohtaji khatam hojay gi aur khair wa barkat say woh shaks bay niaz hojay ga.

*Amal e Harmal 2:
Sacred Harmal seeds say mansob wazifay ko harmal ki dhoni jala kar 700 dafa har roz nimaz e esha kay baad parhna aur 40 din tak is amal ko pura karnay say is amal ka aamil muhabat wa taskheer ka mahir ban jata hai, is amal kay aamil ko agar manzor ho kay oska matlob shaks os say rabta karay aur khud chal kar oskay qadmo mein ay to harmal say mansob wazifay ko kisi paper par likh kar oskay nechay os matlob ka nam oski walda kay nam kay sath likhay aur aamil apna khud ka nam aur walda ka nam likhay phir is paper ko harmal ki dhoni day kar sokta karay to ba hokam e khuda aamil ka matlob os say rabta karay ga aur bay tab hokar oskay qadmo par ghir jay ga.


*Amal e Harmal 3:
Husband aur wife ki apas mein muhabat kay liay harmal seeds say mansob wazifay ko ark e gulab wa zaffaran ki ink say paper par likh kar sacred harmal seeds ki dhoni de jay, is amal kay baad is paper ko barish kay pani ya phir aam pani say dho kar husband aur wife dono ko pila dia jay ya is tawez ko mard ya aurat apnay bazo mein bandh day, is amal say mia aur biwi kay darmian nafrat wa kashedgi khatam hojay gi aur aak dosray say shaded muhabat on mein peda hojay gi.


*Amal e Harmal 4:
Harmal say mansob wazifay ko khur khud ki skin par likh kar sacred harmal seeds ki dhoni day kar apnay pas rakhain, gorbat aur tang dasti dor hokar khushali naseb hogi, dafa e iflas kay liay zohar wa asar kay okat mein karobari jaga, factory, shop ya office jahan bhi sacred harmal seeds ki dhoni jala kar oskay wazifay ki tilawat hogi to kuch dino mein he karobar koshada hojay ga aur gayb say rozi wa rizaq kay darwazay khol jay ghay.
  
*Amal e Harmal 5:

Agar kisi aurat ya mard ki shadi na hoti ho kisi nay jadu karwa kar oska naseb bandh dia ho ya koi aur bad asrat ki waja say shadi na horahi hoto Harmal kay sacred seeds lekar onko pani mein dal kar aag par rakhain aur khob boil karain, jab seeds paktay paktay ghol jay to aag par say otar lain aur pani thanda honay par os pani ko achi tarah chaan kar is pani say mard ya aurat jiski shadi ko bandh dia gaya ho is pani say ghosal karwaen oskay baad harmal seeds say mansob wazifay kay tawez ko galay mein dal denay say khuda kay fazal wa karam say shadi mein bandish jo bhi hogi khatam hojay gi aur naseb wa muqadar os aurat wa mard ka khol jay ga, yeh aak aysa amal hai jis par amal karnay say aqad bandi kay azab say yakini tor par nejat hasil ki jasakti hai.

Sacred Harmal seeds kay aymal mein yahin tak complete karta hon mazeed malumat kay liay aap muj say rabta kar kay in khas seeds kay mutalik muj say poch saktay hain.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 

Sacred Grain Seeds (Aymal e Anaj):
Amliyat ki kai nayab books mein aap nay aysay amal bhi parhain hongay jis mein Anaj kay seeds ko amal kar kay sacred banaya jata hai aur onko muktalif masael kay hal kay liay use kia jata hai, kai log aysay amliyat jin mein anaj kay danay use kiay jatay hain onko mamoli samaj kar nazar andaz kar detay hain, onko pata nahi hota kay har amal apnay andar zabardast taseer samae hoay hota hai, anay kay seeds kay kuch amliyat mein yahan share kar raha hon,
Arabic ki qadeem wa nayab kitab "Al Dawair" mein Shiekh Muhammad Mansur Sanhaji likhtay hain kay taskher e khalak kay liay thoray barnaj kay chawal lekar khas haikal e sulaimani ka wazifa 40 bar har chawal kay danay par parh kar phonkay oskay baad in chawalon ko jis bhi majlis ya mehfil mein hazren par phank denay say ahal e majlis taskheer hojati hai, isitarah agar kisi zalim ko saza dena chahai to kamar dar aqrab kay khas okat mein barnaj kay 40 chawal lekar on mein aak aak chawal par zohal wa marikh ka khas wazifa 40 bar parh kar dam kia jay is amal kay baad in chawalon ko dushman kay ghar mein phank denay say ba hokam e khuda dushman tabha wa barbad hojay ga,
Qadem Arabic Rasael wa sahaef tilsimat mein akabar olma e rohaniat nay farmaya hai kay jab mushtari zohra kay sath nazar e tasdles rakhta ho istarah par kay etard os say sakat ho aur marikh ba halat rejat hoto os waqat mothi bhar anaj jesay chawal ya gandom lekar onpar tilsim isma e barhita ko dawat kay khas wazifay kay sath 784 martaba tilawat kar kay phonk dain, is amal kay baad in khas sacred grain seeds ko suraj ki dhop say mehfoz rakhain aur phir munasib okat mein in anaj ko kisi pak kapray mein bandh kar apnay makan mein dafan kar dain, taseer in sacred grain seeds ki yeh hai kay yeh jis makan mein bhi gar dia jay ga oskay tamam afrad zar wa mal say mala mal hojay ghay, agar in sacred seeds ko karobari jaga jesay dokan, office ya factory mein dafan karnay say os jaga par oskay matalqa amor wa mamlat, lain dain ya ayshia ki khared wa farokat kay liay anay walon ka rash lag jay ga aur kabhi bhi kami wakay nahi ho pay gi.
yeh khas anay kay sacred seeds meray pas taiyar rakhay hotay hain aap muj say rabta kar kay lay saktay hain aur apnay ghar aur karobar ko khushal bana saktay hain.
Akabar olma e mukhfiat wa rohaniat say mankol hai kay marikh kay din marik ki sayt mein jab marikh apnay borj hamal kay sath talah hoto marikh say mansob wazifa rai kay seeds par 8 bar parh kar phonk kar dam karay phir jab bhi moka milay in seeds ko dushman ki karobari jaga, dokan, office ya factory mein phanknay say oska karobar tabha wa barbad hojay ga, aysa khalal paray ga aysi kharabi wa barbadi amal mein ay gi kay dushman ki khak oor jay gi, khushali bad hali mein aur aysh wa ishrat gorbat wa aflas mein badal jay gi.

Sacred Micro Seeds:
Kuch plants kay seeds itnay chotay bareek say hotay hain jesay ghor say dekhnay par onka moshaida kia jasakta hai, rai kay seeds to hum sab nay dekhay hain jo bohat chotay hotay is say bhi ziada chotay seeds khas akash bael kay hotay hain, akash bael kay mutalik pehlay bhi mein posting kar choka hon aab yahan oskay khas sacred seeds kay mutalik batata hon,
Akash bael kay khas sacred micro seeds jo rai kay dano say bhi ziada barek hotay hain on seeds ko lekar akash bael say mansob khas wazifa 307 bar parh kar onpar dam kar kay rakhay, phir in seeds ko kisi lal rang kay kapray mein lapaet kar apnay pas rakhnay say chand roz baad surat e haal tabdel hoti chali jay gi, kai arsay ki karobari bandish dekhtay he dekhtay khatam hojay gi, yeh seeds karobari koshaidi kay liay behtareen tilsim hai, in khas seeds ko har woh shaks apnay pas rakhay jiska karobar kisi waja say bilkol barbad ho choka ho onko in seeds ki barkat say bohat faida hasil hoga.

Sacred Seeds of Jogi:
Jogi yehni snake charmer saperon ko sacred seeds ka bohat acha ilm hota hai jo kisi kabil hakim ko bhi nahi hota, agar aap kisi baray kabil hakim say seeds kay mukhfi rohani asrat kay mutalik pochay ghay to woh apko sirf kalonji kay seeds kay mutalik he batai ghay yeh khas mukhfi ilm sirf jogion tak mehdod hokar reh gaya hai aaj bohat kam logon ko sacred seeds ka ilm hai, jali fake fraud peer wa aamil ki tarah aaj humay har jaga jali, fake aur fraud scammer nosar baz saperay har jaga har gali mein ghomtay phirtay bheek mangtay dikhai day ghay jo fake chezain logon ko dekar logon ko fool bana kar onsay pesay lekar rafu chakar hojatay hain, in fake saperon ki waja say jo asli real saperay hain woh bhi badnam hojatay hain, real saperay bohat kismat say hath atay hain onkay pas real asal tilsimati chezain hoti hain, aaj kay dor mein real jogi dhondna aysa hai jesay koilay ki kan mein say hera talash karna, on kalay kalay koilay jesay fake jogion mein talash kartay kartay akhir kar mujay aak real jogi mil gaya, yeh kuch arsa pehlay ki baat hai mein onsay milnay omar kott kay ilakay mein gaya osnay mujay aak ajeeb sa box dikhaya jis mein gidar singhi, haath jori kay ilawa aur bhi kai chezain box mein mojod thi meinay woh sara box onsay lay lia aur kuch khas sacred seeds ka ilm bhi onsay sekha woh khas sacred seeds yeh hain,
Inko chirmi seeds kaha jata hai, yeh seeds mutalif colour red, black, white, yellow, brown aur green colour mein hotay hain,
Jo green colour kay hotay hain woh bohat he nayab hotay hain aur yeh moshkil say miltay hain baqi colour kay seeds easily mil jatay hain, in seeds ka taluk astrology yehni ilm e najom say hai, red colour kay seeds ka taluk planet mars yehni marikh say hai, white seeds ka taluk planet jupiter aur moon yehni mushtari aur kamar say hai, yellow seeds ka taluk planet mercury yehni etard say hai, black aur brown seeds ka taluk planet saturn yehni zohal say hai, green seeds ka taluk planet venus yehni zohra say hai, jis seeds ka taluk kisi bhi planet ya star say hai os star ki dawat aur os say mansob wazifa parh kar os seeds par phonka jata hai aur os star say mansob khas amal kar kay on seeds ko sacred banaya jata hai,
Chirmi seeds star aur nam kay horof kay mutabik liay jatay hain,
Jinkay nam ka pehla horof aalif, lam, aien, nun aur ya hoga onkay liay red colour kay seeds lenay chahehai,
Jinkay nam ka pehla horof bay ya wao hoga onko green colour kay seeds lenay chahehai,
Jinkay nam ka pehla horof kaf hoga onko yellow colour kay seeds lenay chahehai,
Jinkay nam ka pehla horof hai hoga onko white colour kay seeds lenay chahehai,
Jinkay nam ka pehla horof pay say hoga onko brown colour kay seeds lenay chahehai,
Jinkay nam ka pehla horof Ray, tay ya toay hoga onko green colour kay seeds lenay chahehai,
Jinkay nam ka pehla horof fay say hoga onko white colour kay seeds lenay chahehai,
Jinkay nam ka pehla horof jem, khay, soad, zoad, sheen, seen, say, zoay say hoga onko black colour kay seeds lenay chahehai,
Jinkay nam ka pehla horof dal say hoga onko white colour kay seeds lenay chahehai,
Aab mein yahan chirmi seeds ko use karnay ka tarika share karta hon,
For example aak shaks ka nam Javaid hai aur date of birth say oska star Scorpio hai aab javaid kay liay black aur red dono colour kay chirmi seeds best rahai ghay, 21 chirmi seeds lekar zohal ya marikh kay khas okat mein seeds par zohal ya marikh say mansob wazifa parh kar phonka jay aur zohal ya marikh say mansob dhoni dekar in sacred seeds ko chandi ki kisi dabia mein dal kar ghar mein aysi jaga rakha jay jahan cash, jewellry ya prize bonds rakhay jatay hain ya agar shop hai ya factory to wahan bhi cash rakhnay wali jaga par in seeds ko rakha jay, gidar singhi kay sath rakhnay say is aur ziada double faida hasil hota hai, kisi kisam ki bhi sakti jo bhi hogi in seeds ki barkat say khatam hojati hai,
Agar aap ko sacred chirmi seeds ki need hoto aap muj say rabta kar kay apnay nam aur star say mansob khas amal kiay hoay seeds hasil kar saktay hain,

Sacred seeds ki yeh meri posting mein yahin tak complete karta hon, inshAllah is ilm kay mutalik mazeed likhon ga is posting kay dosray part mein kalonji aur bhi kai sacred seeds kay mutalik bohat kuch ilm aap sab say share karon ga bohat jald,

Need Sacred Seeds? 
Agar aap ko sacred seeds ki ya sacred seeds say banay kisi bhi tilsim ki zarorat hai to aap muj say rabta kar kay jab chahai hasil kar saktay hain,
Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165
InshAllah bohat jald new posting kay sath jald hazir hon ga, apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga.

                              Ali