Pages

Friday, August 1, 2014

The Gidar Singhi Talisman

Gidar singhi ya jackal horn talisman woh khas mashor aur qadim tilsim hai jiskay mutalik pakistan aur hindustan mein rehnay wala har dosra shaks iski jankari rakhta hai, aysa kya raaz chopa hai in baalon kay gochon mein jisay hasil karnay ki shedad wa khuwaish har shaks ko rehti hai kay bas gidar singhi kahin say mil jay takay humaray boray haalat khushali mein badal jaen, gidar singhi hasil karnay ki koshish mein osko kuch aysay shaitan log mil jatay hain jinka koi deen wa eeman nahi hota jo jhoti kasmay kha kar aur bataon ki tricks say osay kael kar kay asal gidar singhi ki jaga nakli bhari keemat mein day detay hain aur kharidnay wala shaks isi umeed par khush hota hai kay oskay pas asal gidar singhi hai, isitarah kai log gidar singhi on bhikari logon say letay hain jo dar dar bheek mang kar apna guzara kartay hain, agar onkay pas asal gidar singhi hoti to onhai kya zarorat thi suba say sham tak dar dar bheek mangnay ki? kai log is baat par ghor nahi kartay aur woh bhikari logon say nakli fake gidar singhi letay rehtay hain jo bakri ki khal say bani hoti hai, meinay kai logon kay pas gidar singhi dekhi hain jo ziada tar nakli he hoti hain, kuch logon kay pas asal hoti hain, jinkay pas asal hoti hain woh khushal hotay hain, Gidar singhi kya chez hai? iski kya haqeqat hai? yeh kis tarah wajod mein ai? iski kitni aksam hain? asal aur nakal ki kya pechan hai? isay kistarah use kia jay etc..in sab sawalat kay jawab aap ko yahan meri isi posting mein milay ghay.

Ilm Al-Simiya:
Kuch arsa pehlay meinay ilm al-limiya kay mutalik postings ki thi yeh ilm darakt aur jari botio kay mukhfi rohani asrat kay mutalik hai aur aab mein ilm al-simiya kay mutalik yahan share kar raha hon, amliyat kay yeh total 5 mukhfi oloom hain, in par jisko abhor hasil hojay wahi aamil kamil hota hai, jisko in oloom ki abc bhi nahi malum woh aamil nahi ban sakta,
Ilm simiya woh ilm hai jis mein janwaron mein mojod mukhfi rohani asrat ko rohani ilaj mein use karna,
Allah pak nay jistarah dunia mein kai payr poday, phal, sabzi aur jari botia peda ki jo insan kay liay ghiza bhi hain aur dawa bhi, same isitarah kai janwar peda kiay, in janwaron mein kai janwar insan kay liay halal hain, kuch haram hain, kuch manhos hain aur kuch mubarak hain, ilm al simiya ki jhalak kai ahadees e pak mein humay milti hai jesay aak hadees mein Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya kay kala kutta agar kisi nimazi kay samnay say guzar jay to oski nimaz tot jati hai, aur jahan kutta hoga wahan rehmat kay farishtay nahi ay ghay, isitarah aak hadees mein Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya kay ghar mein safaid morga rakhna mubarak hai, jis ghar mein safaid morga hoga os ghar kay afrad shiateen say mehfoz rahai ghay, istarah ki kai ahadees hain jo ilm al-simiya ki taraf ishara karti hain, kay kai janwaron mein achay asrat hotay hain aur kai janwaron mein boray asrat hotay hain,
Jistarah Allah pak nay dunia mein mojod jari botio mein khuwasiat rakhi jo kai amraz aur bimario kay liay shifa hain aur iska ilm hakim ko dia aur hakim is ilm say dawai banata hai jiskay istamal say insan ki jismani bimaria ko shifa milti hai, same isitarah kai janwaron mein bhi Allah pak nay aysay mukhfi rohani asrat rakhay hain aur iska ilm aamil ko dia aur aamil is ilm say tilsim banata hai jiskay istamal say insan ki rohani bimario say shifa milti hai,
Kai log jinkay pas ilm nahi woh janwaron kay organs ya hadio kay banay tilsimat ya tawez ko kala jadu samaj letay hain aur inhai haram kam kehtay hain, magar woh yeh nahi sochtay kay jo ilm insan aur insaniyat ki bhalai kay liay ho, jis ilm say insan ko shifa milay woh ilm haram nahi hosakta,

Ilm Al-Simiya Aur Gidar Singhi: 
Olma e rohaniat aur ilm al-simiya kay mahir logon kay mutabik gidar singhi aak aysa zabardast tilsim hai jis par kisi kisam kay amal ya chila katnay ki zarorat he nahi parti, yeh wesay he qudrati aak aysi anmol chez hai jis mein bohat he powerful mukhfi asrat hain jo har jaga say mayous aur apni bad kismati par anso bahanay walay insan ko khushal aur kamiab tarin insan bana detay hain, isi waja say ilm al-simiya janay walon nay is tilsim ko bohat passand kia aur iska raaz apnay tak mehdod rakha aur is par aaj tak kisi nay koi kitab nahi likhi,

Rohani Bimaria, Mukfi Virus aur Bad Asrat:
Rohani bimaria woh hoti hain jis say kisi insan ki ruh par attack hota hai, jiski ruh khush nahi hogi osay chahai dunia ki har nehmat kuo na mil jay magar woh phir bhi udas aur bechain sa rahai ga, kahin dil nahi lagay ga, aak ajeeb bechani aur ghutan see mehsos hogi, jab sonay ki koshish karay ga neend nahi ay ghi aur jab neend ay gi to aysay feel hoga jesay koi oska gala daba raha ho, dam ghutnay lagay ga, mazhab kay mutalik galat sochain anay lagay gi osay, oska dil karay ga kay bohat roay, to kabhi dil karay ga chezain phankay tor phor karay ya deewaron par punch maray ya apnay aap ko aziat day ya maray aur kabhi suiside karnay ko dil karnay lagta hai, yeh rohani bimari jis say oski ruh bechain aur qaidi see feel karti hai oskay jism mein aur azad hona chahati hai akhir aysa kya hota hai akhir insan kay sath jis say insan ko yeh bimari lag jati hai?
Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya hai "nahosat agar jis chez mein agar hoti hai to woh aurat mein, ghar mein aur ghoray mein hoti hai".
Kai ghar aysay hotay hain jis mein bad asrat hotay hain os ghar mein rehnay walay afrad mein jo sensitive hotay hain oski ruh par yeh bad asrat attack kartay hain jis say osay yeh bimari lag jati hai aur woh chop chap say rehtay hain aur tanha rehna onhai passand hota hai, yeh bimari chotay bachon say lekar borhai bozrogon ko bhi lag jati hai, is bimari ka behtarin ilaj gidar singhi hai, aysi rohani bimari mein mobtala shaks apnay room mein agar gidar singhi rakh lay to oskay room ya ghar mein mojod nahosat gidar singhi apnay andar absorb kar kay achay asrat kharij karti hai, bad asrat gidar singhi ki ghiza hai, jistarah plants carbon dioxide gas ko apnay andar absorb kar kay oxygen kharij kartay hain same isitarah gidar singhi ghar mein mojod har kisam kay bad asrat ko apnay andar absorb kar kay achay asrat kharij karti hai,
Aurat ki nahosat jis say oskay husband ko rohani bimari lag jati hai jis say oski ruh mutasir hojati hai, roz roz ki kir kir kabi kis maslay par to kabhi kis maslay par jis say os shaks ko apna he ghar jehnom sa lagta hai, manhos asrat wali aurat ki waja say woh apni zindagi say itna bayzar hojata hai kay apnay aap ko mar dena he sab say chotkaray ka hal osay dikhai deta hai, aurat par nahosat kay asrat khatam karnay kay liay gidar singhi aak best tilsim hai isay aurat kay bedroom mein rakhnay say os aurat mein mojod bad nahosat bharay asrat khatam hojay ghay aur os aurat mein aysi ability peda hojay gi kay woh ghar ko jannat jesa bana day gi aur oskay husband ki ruh pur mutamin aur khush rahai gi,
Ghoray ki nahosat, pehlay dor mein ghoray mein sawari hoti thi lekin aaj kay dor mein bike aur car hai, aur nahosat bike aur car mein bhi hoti hai, aap nay news mein dekha ya parha hoga kay 2 dost bike par jarahai thay kay accident hoa aur mar ghay, isitarah car kay accident mein aak he family kay tamam afrad mar ghay, in bad asrat ko khatam karnay kay liay bhi gidar singhi use ki jati hai,
Virus bhi aak mukhfi bimari hai, jesay koi shaks kisi par hasad karay to osay aysay virus lag jatay hain kay oski khushal zindagi tabha barbad hojati hai, hasad aaj kal family mein bhai apnay bhai say karta hai, hasad aaj kal aak behan apni dosri behan say karti hai, hasad kay bad asrat walay virus say insan par aak bandish see par jati hai har oska seedha kam olta honay lag jata hai, isitarah nazar e bad kay alag virus hotay hain jo insan ko tabahi ki taraf lay jatay hain, kaburistan, hospital kay emergancy ward, jail jahan phansi de jati hai ya veeran jaga par janay say wahan alag virus lag jatay hain jis say tarah tarah ki rohani bimari insan ko hojati hai jesay bandish, har kam mein rikawat etc,
Bad asrat woh jo sitaron ki gardish, kalay jadu, jinnati asrat wagayra say kisi insan par lag jatay hain, in sabi problems ko sirf yeh aak tilsim gidar singhi theek kar sakta hai, isi waja say jo iski jankari rakhta hai woh deewano ki tarah is tilsim ki talash mein rehta hai,


What is Gidar Singhi?
Gidar Singhi aak seengh(horn) hota hai jo kai gidaron mein say aak khas gidar kay sar mein baray danay ki tarah obhar aata hai aur waqat kay sath barhnay lagta hai,
Ilm e simiya jannay walay log ahtiat say isay gidar kay sar mein say kat kar nikaltay hain istarah kay sirf seeng nahi nikaltay woh obhara hoa dana bhi saath mein nikaltay hain, agar aap sirf plant ko zameen say torkay nikalo aur oski jarain zameen mein he reh jay to plant kisi kam ka nahi woh bina jarh kay dosri zameen mein nahi ogh sakay ga same isitarah gidar kay khas seengh ko bhi gidar kay sar mein say jarh kay sath he nikal kar osay alag kia jata hai, phir isay amal e hanot yehni mummfied kar kay rakha jata hai, khas kar sindoor mein,
Sindoor aak chemical hai jis say os mein bacteria, keeray wagayra nahi lagtay, yeh khas seengh apni jarh kay saath he hota hai aur khuda ki qudrat dekhiay kay gidar kay sar mein say juda honay kay baad bhi yeh zinda rehta hai aur iskay baal barhtay rehtay hain,
Kai khas Gidar kay sar mein sirf dana sa obhar aata hai magar os mein seengh nahi hota, yeh bhi ilm e simiya jannay walay log kat kar mummfied kar kay rakhtay hain aur isay female gidar singhi kaha jata hai, male gidar singhi mein seengh hota hai aur female gidar singhi mein nahi hota,
An excrescence is sometimes found on the head of the jackal, consisting of a small horny cone about half an inch in length, and concealed by a tuft of hair. This the natives call narrie-comboo or gidar singhi; and they aver that this "Jackal's Horn" only grows on the head of the leader of the pack. Both the Singhalese and the indians regard it as a talisman, and believe that its fortunate possessor can command by its instrumentality the realisation of every wish, and that if stolen or lost by him, it will invariably return of its own accord. Those who have jewels to conceal rest in perfect security if along with them they can deposit a narri-comboo, fully convinced that its presence is an effectual safeguard against robbers.
One fabulous virtue ascribed to the narrie-comboo by the Singhalese is absurdly characteristic of their passion for litigation, as well as of their perceptions of the "glorious uncertainty of the law." It is the popular belief that the fortunate discoverer of a jackal's horn becomes thereby invincible in every lawsuit, and must irresistibly triumph over every opponent. A gentleman connected "with the Supreme Court of Colombo has repeated to me a circumstance, within his own knowledge, of a plaintiff who, after numerous defeats, eventually succeeded against his opponent by the timely acquisition of this invaluable charm. Before the final hearing of the cause, the mysterious horn was duly exhibited to his friends; and the consequence was, that the adverse witnesses, appalled by the belief that no one could possibly give judgment against a person so endowed, suddenly modified their previous evidence, and secured an unforeseen victory for the happy owner of the narrie-comboo!

Gidar Singhi aak aysa zabardast qudrati tilsim hai jiskay mukhfi asrat say dunia ka har woh shaks kael hai jiskay pas yeh tilsim hai, yeh tilsim jis kay pas hoga oski har khuwaish puri hogi, jis chez ki chahat osay hogi woh osay milay gi, agar koi kemati chez iski ghom hojay ya chori hojay to woh bhi osay gidar singhi kay mukhfi asrat say wapis mil sakti hai, jahan rupay pesay ya kemati jewellery rakhi jati hai wahan isay rakhnay say woh chezain mehfoz rahai gi chori honay say aur aysi barkat hogi on mein kay cash ya zaywarat aur ziada barhtay rahai ghay, nai nai zariay banay ghay amdani kay job mein taraqi hogi, lottery lag jay ghi ya bond khol jay ghay, matlab kay koi na koi aysa zaria ho he jay ga jis say cash aur zaywarat barhtay rahai ghay aur gidar singhi rakhnay wala kabhi kisi ka mohtaj nahi rahai ga, woh apni family mein khushal zindagi guzarta hai,

What Science Said About Gidar Singhi?
Scientist aur zoologist gidar singhi kay mukhfi asrat ko nahi mantay, onkay mutabik gidar singhi ki koi haqeqat nahi, jo obhar ya dana gidar kay sar mein peda hota hai woh aak bimari ki waja say hota hai, aur yeh tumor hai jisay agar gidar kay sar mein say kat kar juda kia jay phir bhi woh tumar kai arsay tak zinda rehta hai os mein kai bacteria hotay hain jo apas mein aak dosray ko kha kar zinda rehtay hain aur tumar barhta rehta hai aur logon ko yeh feel hota hai kay gidar singhi bari horahi hai, 
Magar scientist aur zoologist ko shayad yeh baat malum nahi kay zamana e qadeem say log iskay mukhfi asrat kay kael rahai hain, agar yeh tumor hai to tumor to aur janwaron ko bhi peda hota hai phir woh kuon khas nahi? science gidar singhi kay mukhfi asrat ko kabi samaj nahi sakay ghi, sirf wahi iskay mukhfi asrat ki samaj rakhta hai jisay khuda nay rohaniat ata ki ho,

History of Gidar Singhi:
Zamana e qadeem say he gidar singhi aam shaks say lekar badshahon mein sab mein yeh pasandeda tilsim raha hai, Hindustan mein kai badshah aur raja is tilsim ko apnay pas rakhtay thay jis say dushmano say mehfoz aur khushal rehtay thay aur kabi dolat ki kami nahi hoti thi onkay khazanay mein, opar image mein ilm e simiya jannay wala ak shaks gidar singhi ko amal e hanot yehni mummified kar kay preserved kar kay matkon mein dal raha hai aur in matkon ko shahi khazanay mein rakha jata tha,
Kai log yeh samajtay hain kay gidar singhi ka taluk hindustan say hai aur yeh hinduon ka tilsim hai jisay hinduon kay tantric logon nay ayjad kia, lekin yeh sab galat hai, jo log aysa sochtay hain woh galat hain, is tilsim ka taluk hindustan say nahi qadeem misar yehni ancient egypt say hai, gidar singhi aksar sindoor mein rakhi jati hai isliay isay hinduon ka tilsim mana jata hai, lekin hindu mazhab ki kisi bhi kitab ya tarikh mein iska zikar mojod nahi hai, iska zikar sirf qadeem misar mein aap ko milay ga, 
Qadeem misar mein gidar ko bohat khas aur muqadas janwar samja jata tha kuo kay onkay aak devta jisay woh anubis kehtay thay oska sar gidar ka aur baqi jism insan jesa tha, qadeem misri logon kay mutabik yeh devta insan kay marnay kay baad oski ruh ka hisab leta jo nayk hota osay jannat ki taraf bhej deta aur jo gunnah gar hota osay jehnom mein,
 Qadeem misri log seengh walay gidar ko bohat muqadas mantay thay aur os seengh ko anubis ka taj kehtay thay, seengh walay gidar kay marnay kay baad woh os mein say gidar singhi hasil kar kay osay mummified kar kay khas jar mein band kar kay apnay pas mehfoz rakhtay thay,
 
 
Qadeem misar mein gidar singhi kay tilsim ko bohat muqadas mana jata tha, iskay mukhfi zabardast asrat say har koi kael tha aur woh log yeh samajtay thay kay gidar singhi mein onkay devta anubis ki mukhfi kowat mojod hai wahi sab os shaks ko khushal kar deti hai jiskay pas anubis devta ka taj mojod ho, janwaron kay organs ko mummified kar kay onkay tilsim banana yeh kam sirf qadeem misar mein hota tha aur gidar singhi bhi aak misri tilsim he hai,
misar kay baad is tilsim ka raaz dunia kay kai mumalik aur culture mein phayl gaya aur har culture aur mazhab mein gidar singhi ki alag kahani aur mythology parhnay aur sunnay ko milti hai jo onkay mazhab aur culture ki hoti hain, lekin haqeqat to yeh hai kay gidar singhi ka taluk kisi bhi mazhab ya culture say nahi hai, yeh aak natural ya qudari tilsim hai jisay qudrat nay banaya aur peda kia, yeh tilsim har insan ko faida deta hai chahai woh insan mosalman ho, hindu ho, christian ya yahodi ho har mazhab kay insan ko yeh faida zamana e qadeem say lekar aaj bhe deta raha hai isliay dawat e rohaniat apko dawat deta hai kay is qudrat kay banay is nayab tilsim ko aap zaror apnay pas rakh kar daykhain aap ki bigri kismat inshAllah zaror sawar jay ghi.


Gidar Singhi ki Aksam:
Yeh to aap sab ko aab malum hogaya kay gidar singhi kya chez hoti hai aur wesay bhi hum mein say kai logon ko iskay mutalik malum hai lekin yeh logon ko malum nahi kay gidar singhi ki kitni kismay hain aur har kisam ki gidar singhi ka apna alag asar aur taseer hai, kai kisam gidar singhi ki aysi hain jiska asani say hasil hona na mumkin hai yeh nayab gidar singhia kismat say haath aati hain, baqi jo asani say hasil hojati hain onkay mutalik detail mein yahan share kar raha hon,
*Saam: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai aur iskay baal tezi say baray hotay hain.
*Chopa: yeh gidar singhi chotay ya baray size ki hoti hai iskay baal kam baray hotay hain.
*Ling: yeh gidar singhi choti hoti hai iskay baal bhi kam baray hotay hain lekin iska seengh bara honay lagta hai. 
*Kama: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai oskay baal slowly baray hotay hain lekin oska shape jesa hota hai wesa he rehta hai, yeh box mein move karti rehti hai, yehni agar aap isko box mein aak side rakhay ghay to woh os jaga say hati hoi aap ko milay ghi, woh direction change karti rehti hai. 
*Bayz: yeh gidar singhi chotay aur baray size ki hoti hai, is mein new baal jo peda hotay hain woh safaid hotay hain. 
*Seham: yeh gidar singhi bhi chotay aur baray size mein hoti hai, is gidar singhi kay baal kalay hotay hain.
*Habsh: yeh gidar singhi normal size ki hoti hai, iskay baal light yellow colour kay hotay hain.

*Mata: Yeh gidar singhi bachay deti hai, yehni os mein say baal jo jhartay hain woh apas mein mil kar chotay chotay ball ki tarah ban jatay hain jinko gidar singhi kay bachay kaha jata hai. 
*Mohini: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai jis mein sirf 2 ya 3 baal baray hotay hain. 
*Moch: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai jis mein sirf 2 baal lambay hotay hain mochon ki tarah isliay isay moch wali singhi kehtay hain. 
*Nakeli: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai jiska seengh nak ki shape jesa hota hai isliay isay nakeli kehtay hain. 
*Sadukari: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai jis mein koi changing nahi hoti aak he jaga pari hoti hai isliay isay sadu ya sadukari kehtay hain.
Meinay yahan 12 aksam ki gidar singhi kay mutalik bataya hai jo easily mil jati hain baqi aksam kay mutalik yahan batana fazol hai kuo kay onka milna na mumkin hai, aab mein yahan gidar singhi ki batai aksam kay mutalik mazeed details, photos aur onkay fawaid  share karta hon, 

Saam Gidar Singhi:
Yeh Gidar singhi chotay size ki hoti hai aur iskay baal tezi say baray hotay rehtay hain, kuch kay golai mein baray hotay hain aur kuch sirf aak side say baray hotay hain jis say lambi chotia see ban jati hai aur yeh baal baray hokar itnay phayl jatay hain kay pura daba, jar ya box baalon say bhar jata hai aur kenchi say iskay baal chotay kar kay dobara osi same box mein he rakha jata hai, saam gidar singhi ko bina pair kay akela bhi rakha ja sakta hai aur agar iska pair rakhna hai to isay mata ya bayz gidar singhi kay saath rakha jata hai yeh dono apas mein muhabat say rahai ghay magar isay kama gidar singhi kay saath rakhnay say kama isay mar day ghi ya yeh kama ko mar day ga,
Fawaid: is gidar singhi kay fawaid beshumar hain, yeh jiskay pas hogi osay dolat, shohrat aur izat aur khushali milay ghi, is gidar singhi ka taluk dolat say hai, yeh jitni bari hogi otni dolat ziada os shaks ko milay ghi, is gidar singhi ko wahan rakha jay jahan pesay ya sonay ki jewellry rakhi jati hai, yeh peson ko apni taraf khinchti hai, jiskay pas yeh hogi osay job mein taraqi hogi, agar woh shaks lottery khelta hai ya satta lagata hai to os mein oska luck aysa lag jay ga kay kabhi na kami ka mo dekhna na paray ga, jis shaks par kisi kisam ki bhi bandish hogi rupay peson kay hawalay jis say oskay pesay zaya hotay hongay aur koi bhi bachat ya saving nahi hoti hogi ya karz, bank loan itna ho kay otarnay ka koi zaria osay nazar na aata ho ya shop, factory mein amdani kam aur kharch ziada ho istarah ki kai problems jo rupay peson say jori hon tamam solve hosakti hai is gidar singhi kay asrat say, oski har kisam ki bandish khatam hojay ghi aur nai nai zariay aur ideas zehan mein anay lagay ghay jis say woh apni zindagi khushali mein guzaray ga.
Ahtiat: is gidar singhi ki ahtiat yeh karni hoti hai kay iskay mutalik kisi ko bhi nahi bataya jay kay meray pas gidar singhi rakhi hai ya meri kamiabi ka raaz gidar singhi hai, aysa karnay say gidar singhi kay asrat khatam hojay ghay aur jis box ya dabay mein gidar singhi hogi os mein bad bo hojay ghi aur gidar singhi kay baal jharna shoro hojay ghay aur woh mar jay ghi, sindoor ko yeh khati hai isliay sindoor is mein ziada dalna parta hai agar kam hojay to dobara dalna parta hai, oska box change nahi kia jata jis mein oskay baal barhnay lagay agar jis box mein oskay baal na barh rahai hon to woh box oskay liay moafik nahi aur box ko badal lena chahehai, jis box mein rakhi jay os box ko bar bar khol kar nahi dekha jay, osay cash rakhnay wali jaga par rakh dia jay aysi jaga jahan yeh box hilay nahi.

Chopa Gidar Singhi:
Is Gidar singhi ka pair rakha jata hai, iskay baal slowly baray hotay rehtay hain yeh jis shape mein hoti hai osi mein rehti hai, is mein koi badlao ya changing nahi aati,
Fawaid: yeh jiskay pas hogi woh apnay dushmano par hawi hoga, jo oska dushman chopa hoga woh zahir hojay ga, oski sazish bay niqab hojay ghi, agar kisi kanoni maslay mein woh phasa hoga ya case har raha hoga to is gidar singhi kay asrat say woh case jeet jay ga, yeh gidar singhi jiskay pas hogi woh khatarnak la ilaj ya chopay amraz wa bimario say mehfoz rahai ga, kala jadu ospar asar na karay ga, jis shaks kay pas yeh hogi to oska servant, friend, wife ya family member oskay khilaf koi sazish kar raha hoga to woh osay malum hojay ga, is gidar singhi ka nam he "chopa" hai yehni chopi hoi batain ya raaz is gidar singhi kay rakhnay say malum hojatay hain, rohaniat aur mukhfi oloom ka shok rakhnay walon kay liay yeh gidar singhi bohat best hai
Ahtiat: iskay mutalik kisi ko bhi na bataya jay, isay andheri jaga mein rakha jay aur dhoop ki roshni say bachaya jay, iska humaysha pair rakha jata hai male aur female aur sindoor kay sath loong aur ilaichi bhi rakhi jati hai, yeh gidar singhi friendly nature ki hai isay aur gidar singhion kay saath rakha jasakta hai saam, bayz ya mata gidar singhion kay saath.

Ling Gidar Singhi:
Is gidar singhi kay baal bhi slowly baray hotay hain lekin iska seeng pehlay kafi chota danay ki tarah obhara hota hai lekin waqat guzarnay kay saath yeh bara hokar nokila sa ban jata hai,
Fawaid: iskay fawaid bhi beshumar hain, yeh onkay liay best hai jo khofzada rehtay hon ya ehsas e kamtari ka shikar hotay hon, kai logon ko anjana khof aur wiswisay aatay hain kay aysa na hojay wesa na hojay, kisi ko mot say khof hota hai, kisi ko dushmano say, kisi ko biwi say etc yeh gidar singhi rakhnay say har kisam ka khof dor hojata hai, ehsas e kamtari ka shikar log jo kisi say thek say baat nahi kar patay hon ya aurton ko kael nahi kar patay jis say shaadi say bhagtay hain, agar shaadi ho bhi jati hai to biwi ko mutamin nahi kar patay aysi tamam problems ko yeh gidar singhi solve kar sakti hai, isay rakhnay say os shaks mein himat, khud aetmadi ya will power barhnay lagta hai osay kisi chez say khof nahi hota aur baray say baray shaks ko kael kar sakta hai, haseen say haseen aurton ko dekh kar ehsas e kamtari osay nahi hoti aur woh onsay pur mutamin hokar baat kar pata hai, agar os shaks mein zanana pan ziada hai ya na mard hai ya koi jinsi problem ya bimari hai yeh sab problems is gidar singhi kay rakhnay say solve hosakti hain, jadu ki bandish ki waja say woh shaks apni biwi say hum bistari na kar pa sakta ho ya iskay kabil na ho jis say oski biwi os say nafrat karti ho ya na mard honay ka tana deti hoto os shaks ko yeh gidar singhi rakhni chahehai jo istarah ki kai problems khatam hokar oski life khushal ban sakti hai,
Ahtiat: iskay mutalik kisi ko kuch bataya na jay na dikhaya jay, iska behtarin jor ya pair mata gidar singhi hai, in dono ko sath rakha jay, tanha rakhnay say yeh mar jati hai, seeng totnay say bhi iskay sab asrat khatam hojatay hain, isay bedroom mein andheri kisi jaga mein rakha jay aur sindoor ziada ho box mein.

Kama Gidar Singhi:

Kama gidar singhi ka apna alag aak maksos pair hota hai yeh kafi active aur agreessive hoti hain, inhai aur gidar singhion kay saath nahi rakha jata, yeh pair humaysha apas mein aak dosray say chopka rehta hai, isay agar box mein alag alag kar kay rakhain ghay to dosray din box mein dekhay ghay to yeh apas mein chopkay hoay hongay, isi liay isay kama ya lovers gidar singhi kehtay hain,
Fawaid: is gidar singhi ka taluk pyar, muhabat, ishq wa romance say hai, yeh jiskay pas hogi osay muhabat kay mamlat mein kabhi na kami nahi hogi, jis say osay chahat hogi woh osay mil jay ghi, jis say ishq aur muhabat ho aur oskay sath shaadi possible na hoto yeh gidar singhi os shaadi ko possible bana deti hai, har rikawat sakti wa bandish ko khatam kar deti hai, mia biwi mein agar muhabat na ho dono roz jhagra kartay hon to yeh gidar singhi rakhnay say dono shadeed aak dosray say muhabat karnay lag jay ghay, kisi ki shaadi mein bandish ho, shaadi na hoti ho ya rishtay kahin say na aatay hon to is gidar singhi ko pas rakhnay say rishtay anay lagtay hain aur shaadi man passand jaga par hojati hai,
Ahtiat: iska apna alag maksos pair hota hai isay kabhi bhi dosri kisi bhi type ki gidar singhi kay sath nahi rakha jata, aysa karnay say yeh bay asar hokar mar jay ghi, isay loong aur ilaichi kay saath sindoor mein rakha jata hai aur box chandi ya silver metal ya steel ka ho, plastic kay box mein isay nahi rakha jata, isay bedroom wali jaga par rakha jata hai, aur iskay mutalik kisi ko kuch nahi bataya jata na dikhaya jata hai.

Bayz Gidar Singhi:
Is gidar singhi kay new baal tezi say oghnay lagtay hain jo safaid yehni white colour kay hotay hain jis say kuch arsay baad gidar singhi puri white hojati hai,
Fawaid: is gidar singhi ka taluk noori rohaniat say hai, jiskay pas yeh hogi os mein rohaniat ajay ghi aur mazhab say lagao oska barh jay ga, jo shaks ibadat wa nimaz na parh pata ho ya mazhab ko lekar galat sochain aur shaitani behoda khayalat aatay hon os shaks ko yeh gidar singhi apnay pas rakhni chahehai jis say os par say behodgi khatam hokar os mein norani kowat ajay ghi aur mazhab say lagao oska barh jay ga, isay ghar mein rakhnay say kafi khushali aati hai, ghar mein mojod nahosat khatam hojati hai, ghar mein mojod jawan larkia aur larkay behoda kam chor kar mazhabi pak saaf ban jatay hain aur galat rah par nahi jatay,
Ahtiat: is gidar singhi ko bina pair tanha bhi rakha jasakta hai, aur pair kay saath rakhna hoto saam gidar singhi ya mata gidar singhi best rehti hai, isay ibadat walay room mein rakha jata hai, jis box mein rakha jay woh sirf chandi ka he ho aur box mein ilaichi, loong aur gulab aur motia kay phool ki patia dal kar rakha jay, na paki ki halat mein box ko haath na lagaya jay, jis jaga isay rakha jay woh jaga pak saaf ho, isay kisi bhi shaks ko dikhaya ya bataya na jay.

Seham Gidar Singhi:
Is gidar singhi kay baal kalay hotay hain, jitnay ziada is mein baal kalay peda hongay otna ziada yeh faida deti hai,
Fawaid: is gidar singhi ka taluk safli rohaniat say hai, yeh jiskay pas hogi woh planet zohal kay bad asrat say mehfoz rahai ga aur sarh satti ki nahosat ki waja say oski zindagi mein peda honi wali moshkilat is gidar singhi rakhnay say thek hongi, safli rohaniat aur safli amliyat mein dilchaspi rakhnay walay logon kay liay is gidar singhi ko apnay pas rakhna chahehai, iskay mukhfi asrat say kisi bhi kisam kay safli amal mein kamiabi hasil hoti hai,
Ahtiat: is gidar singhi ko bhi bina pair tanha bhi rakha jasakta hai, aur pair kay saath rakhna hoto saam gidar singhi best rehti hai,
jis box mein rakha jay woh lakri ka hoto ziada behtar hai, box mein sindoor kay sath loong, kali mirch, bari ilaichi bhi dali jay aur box ko andheri jaga mein kalay kapray mein lapait kar rakhna chahehai, dhop say isay bilkol bacha kar rakha jata hai.

Habsh Gidar Singhi:
Is gidar singhi kay baal bhi saam gidar singhi ki tarah tezi say baray hotay hain aur iska seengh nokila hota hai,
Fawaid: Jis ghar mein afrad aksar bimar rehtay hon kisi na kisi bimari ya amraz mein humaisha mobtala rehtay hon os ghar mein yeh khas gidar singhi rakhni chahehai, is gidar singhi kay mukhfi asrat say ghar mein rehnay walay sabi afrad bimario say mehfoz rahai ghay aur ghar ka koi bhi shaks kisi bimari mein mobtala ho aur ilaj os bimari ka kisi doctor ko samaj na araha ho aur os shaks ko bimari say shifa na mil rahi hoto aysay shaks ko apnay ghar mein kay bedroom mein yeh gidar singhi rakhni chahai, iskay mukhfi asrat say os shaks ko os bimari say shifa mil jay gi,
Ahtiat: is gidar singhi ko bhi bina pair tanha bhi rakha jasakta hai, aur pair kay saath rakhna hoto saam gidar singhi best rehti hai,
jis box mein rakha jay woh lakri ka hoto ziada behtar hai, box mein sindoor kay sath ilaichi, loong, gandom(wheat) aur chawal kay chand danay dalnay chahehai, agar ghar mein koi marez kisi bimari mein mobtala hoto oskay sedhay hath ki choti finger ka nakhon kat kar dalna chahehai, isay ghar kay bahir rehnay walay kisi bhi shaks chahai rishtaydar he kuo na ho osay nahi dikhana chahehai aur iskay fawaid bhi kisi ko nahi batanay chahehai.

Mata Gidar Singhi: 
Is gidar singhi kay new baal tezi say baray hotay hain aur kai puranay baal jhartay hain aur jo baal jhartay hain woh apas mein mil kar chotay chotay balls ban jatay hain yeh is gidar singhi kay bachay kehlatay hain isiliay isay mata ya mother gidar singhi kaha jata hai,
Fawaid: yeh gidar singhi onkay liay best hai jinki aulad na hoti ho ya hokar mar jati ho, ya jiskay bachay humaysha bimar ya saktio mein rehtay hon, ya kisi ki aulad na farman ho, aysi har problems jo aulad ya bachon say jori ho osay yeh gidar singhi solve kar sakti hai, is mein aysay asrat hain jo mumta say joray hain,
Ahtiat: is gidar singhi ko oskay bachon say kabhi juda na kia jay aur isay kisi bhi box mein rakha ja sakta hai, box mein sindoor ziada ho aur loong wa ilaichi bhi saath mein rakhi jay, isay pair ya bina pair kay bhi rakha jata hai, iska behtarin jor ling gidar singhi ya saam gidar singhi hai,

Mohini Gidar Singhi:
Is chotay size ki khubsurat gidar singhi ko mohini ya man mohini kaha jata hai, is gidar singhi mein phool ki tarah sirf 3 ya 4 baal he ogh kar lambay hotay hain, jis say dikhnay mein yeh kafi khubsurat lagti hai,
Fawaid: Man mohini gidar singhi ka taluk hosan aur attaraction say hai, yeh jis kay pas hogi log oski taraf attaract kartay hain aur woh shaks har dil aziz ban jata hai, har shaks osay passand karnay lag jata hai, aurtay os shaks par aashiq hojati hain jiskay pas yeh gidar singhi ho,
Ahtiat: is gidar singhi ko bhi sirf chandi kay box mein rakha jata hai, iska behtarin jor ling, nakeli ya sadukari gidar singhi hai, in mein say kisi aak gidar singhi kay saath rakha jata hai, isay kisi ko bhi na dikhaya jata hai na bataya jata hai, sindoor kay sath loong aur ilaichi bhi saath rakhi jati hai,

Moch Gidar Singhi:
Yeh gidar singhi bhi same man mohini ki tarah he hai iskay fawaid aur ahtiat bhi wahi same hai jo man mohini gidar singhi ki hai, fark sirf yeh hai kay is mein sirf 2 baal lambay moch ki tarah oghtay hain isliay isay moch ya mochon wali gidar singhi kaha jata hai.

Nakeli Gidar Singhi: 
Yeh chotay size ki gidar singhi hoti hai jiskay seengh ka shape nak yehni nose ki tarah hota hai, isiliay isay nakeli gidar singhi kaha jata hai,
Fawaid: yeh gidar singhi jiskay pas hogi woh har kisam kay kalay jadu, bad asrat, nazar e bad, hasad, saaya wa jinnati asrat say mehfoz rahai ga aur jo bhi jistarah ki bhi os par bandish ya rikawat hogi woh khatam hojay ghi aur oski zindagi khushali mein gozray gi,
Ahtiat: isay kisi bhi box mein moch gidar singhi kay saath rakha jata hai, aur isay bedroom wali jaga par rakha jata hai, kisi ko dikhaya ya bataya nahi jata iskay mutalik.

Sadukari Gidar Singhi:
Yeh bhi chotay size ki gidar singhi hoti hai, iskay fawaid aur ahtiat wahi same hain jo nakeli gidar singhi kay hain.

Real ya Fake?
Gidar Singhi ki Pehchan ka Tarika:
Aaj kay dor mein real yehni asal gidar singhi milna kafi moshkil hogaya hai, kai log muj say gidar singhi kay mutalik pochtay hain aur jo onkay pas rakhi hoti hai woh mujay dikhatay hain aur woh nakli hoti hai, meinay kai logon kay pas sirf nakli he gidar singhi dekhi hain, gidar singhi 500/- rupay say lekar 50,000/- rupay tak mein bhi sell hoti hain magar afsos jo log itna kharch kar kay gidar singhi letay hain magar asal milna onko naseeb he nahi hoti, aaj kal online kafi shops par gidar singhi sell hoti hain aur sell karnay walon ko khud iskay mutalik kuch malum nahi hota kay konsi aksam hai etc, onko bas peson say matlab hota hai aur customer ko fake gidar singhi day deta hain bhari keemat mein, aaj tak yeh baat kisi nay share na ki kay asal gidar singhi ki pehchan ka kya tarika hota hai, aaj mein yahan share karta hon kay kistarah gidar singhi ka test kia jay takay oskay asal honay ka malum ho, takay customers fraud logon say bach sakain aur real gidar singhi he khariday aur apnay pas rakhain,
Gidar singhi ki chahai koi see bhi kisam ho oskay asal honay ki pehchan oskay baal barhnay say hai, jis gidar singhi kay baal barhay ghay woh asal hoti hai, jiskay nahi barahai ghay woh nakal ya morda hoti hai, Gidar singhi kay asal ya nakal honay ki pehchan kay liay aak saaf shifaf sheshay ka jar lia jay os mein itna sindoor dala jay kay gidar singhi os mein dafan hojay,
Adhay sindoor say bharay jar mein gidar singhi rakh kar osay softly finger say daba kar sindoor mein dafan kardia jay,
Dafan karnay kay baad isay airtight cork ya dhakan say mazboti say band kardia jay takay hawa jar mein bilkol bhi na jasakay,
Oskay baad jar ko kisi mehfoz jaga par rakh dia jay, aysi jaga jahan jar bilkol bhi hil na sakay aur aak he jaga para rahai, oskay baad every week aap jar ko check kartay rahain,
Kuch arsa guzarnay kay baad jar mein gidar singhi kay barhtay hoay baal ghas(grass) ki tarah sindoor mein oghay hoay aap ko dikhai denghay,
Gidar singhi kay baal sindoor mein aap ko ghas ki tarah oghay hoay dikhai day to aap samaj jao aap kay pas 100% real asal aur zinda gidar singhi mojod hai, zarori nahi kay gochon ki shikal mein baal oghay hoay dikhai dain, sirf 1 baal bhi ogha hoa dikhai day to woh asal aur zinda hoti hai, kai gidar singhio kay baal tezi say baray hotay hain aur kai kay kafi slow, is test say 1 haftay kay doran baal oghay dikhai detay hain ya phir 1 month baad, agar kafi arsa guzarnay kay baad 1 bhi baal ogha hoa dikhai na day to iska matlab ya to gidar singhi nakli fake hai ya phir morda mari hoi hai jo kisi kam ki nahi hoti, aap is asan test say asal gidar singhi ki pehchan kar saktay hain aur fraud logon ki banai fake nakli gidar singhi lenay say bach saktay hain,

Morda(Dead) Gidar Singhi:
Jo Gidar singhi mar jati hai to oski pehchan yeh hai kay oskay baal jharnay lag jatay hain aur jis box mein yeh hoti hai os mein shadeed gandi bo hojati hai, gidar singhi kay marnay ki kai wajohat hoti hain, iska jor apas mein agar match na ho tab bhi on mein say aak mar jati hai, jis box mein isay rakha jata hai woh agar thek na ho tab bhi mar jati hai, box mein sindoor kam honay say bhi mar jati hai, kisi shaks ya ghar mein had say ziada nahosat ho tab bhi yeh mar jati hai, gidar singhi kay marnay kay baad isay foran ghar say nikal kar kisi daria ya behtay pani ki nehar mein dal dena chahehai, agar morda gidar singhi kisi kay ghar mein hoto sakt kisam ki nahosat ghar mein phel jati hai, kai logon ko malum he nahi hota kay onkay pas rakhi gidar singhi mari hoi hai aur woh sakt kisam ki gardish mein ajatay hain, isliay gidar singhi humaysha sahi jor ki li jay aur osay kisi achay jar ya box mein kafi sara sindoor dal kar rakha jay.

Need Gidar Singhi Talisman?
Agar aap ko real asal gidar singhi sahi jor ki chahehai hoto aap muj say rabta kar kay lay saktay hain, aap apnay masail muj say share kar kay osi aksam ki gidar singhi lay saktay hain jo is masail ko thek karnay ki salahiat rakhti ho, inshAllah yeh qudrati tilsim aap kay har kisam kay masail ko thek kar sakta hai,
Aap jab chahain mujay e-mail kar kay gidar singhi ka order day saktay hain, 
Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165


Apnay bhai, apni behno, apnay doston, apnay students aur customers ki farmaish par meinay gidar singhi ka yeh topic share kia,  InshAllah bohat jald new topic kay saath hazir honga,
Mujay apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                      Ali. 





 
 






  
  


Tuesday, July 15, 2014

Black Dog Talisman

"Khas Kaali Raat" jis mein safli rohaniat nazil hoti hai to woh insan ho ya janwar jab os mein dakhil hoti hai to insan ya janwar mein aak badlao sa ajata hai, yeh aak mukhfi astro chemistry hai jisay rohani oloom walay samajtay hain,
khas raat mein nazil honay wali rohaniat say insan ya janwar mein aak ajeeb mukhfi kowat ajati hai yeh kowat achi bhi hosakti hai aur buri shaitani bhi, kai log yeh kehtay hain kay raat aur din to sabi aak jesay hotay hain inka kuch asar nahi hota na acha na bora, jo aysa kehtay hain woh log galat hain,
Jesay Raat har din ki aak jesi he hoti hai magar kuch raat khas bhi hoti hain jisay "Fazilat ki raatain" kaha jata hai, in khas raat mein ibadat ki jati hai aur rehmat kay farishtay nazil hotay hain dunia mein, isitarah aak raat jisay lelat al-jinn kaha jata hai jis mein jinnat nazil hotay hain, Kai ahadees ki motabar kitabon jesay sahi bukhari sharif mein lelat al-jinn yehni jinnat ki raat ka wakia likha hai jis mein Nabi pak(s.a.w) ki molakat jinnat say hoi thi, 
Khas jinnati raat ka zikar Quran e pak ki surah falaq mein bhi hai jo istarah likha hai:
"Tum kaho mein panah leta hon suba kay Rab ki, oski tamam makhlokat kay shar say aur Raat kay andheray kay shar say jab woh cha jay aur gandon par phonknay walio kay shar say aur hasid kay shar say jab woh hasad karay".
Surah Falaq ki ayat mein Raat kay andheray ka shar aur os mein nazil honay wali makhlok ka shar aur raat kay andheray mein jadu karnay walon ka shar aur hasad karnay walon kay shar kay mutalik bataya gaya hai kay in say bachnay kay liay humay noor bhari suba kay Rab say panah leni chahehai aur har din dua aur ibadat karni chahehai takay hum kali raat, kali makhlokat, kala jaadu, kala dil rakhnay walay hasid logon kay hasad say bach sakain,
Nabi pak(s.a.w) nay irshad farmaya hai kay "Jab sham ko andhera chanay lagay to apnay bachon ko ghar say bahir mat nikalnay do".
Raat ka kala andhera kisi par bhi bora sabit hosakta hai aur os waqat jinnat wa shiateen bhi nazil hotay hain, kali andheri raat ki kali makhlokat to kai hain magar mein jis kali raat ki kali makhlok kay mutalik batanay jaraha hon woh makhlok puri dunia mein famous hai yeh makhlok sirf dunia kay aak hisay mein he dikhai nahi deti balkay har jaga raat kay waqat dikhai deti hai, is makhlok kay kai nam hain, yeh makhlok aak kalay rang ka kutta hai jo raat kay andheray mein achanak veeran jaga par dikhai deta hai aur insano ko cher phar kar mar deta hai, 
Is ajeeb jinnati makhlok kay kisay, wakiat aur kahania dunia mein har jaga humay miltay hain, olma e rohaniat  is makhlok ko aaj tak samaj nhi sakay yeh akhir janwar hai ya jinnat ya kuch aur? yeh ajeeb makhlok achay nayki walay kam aur boray shaytani kam dono karti hai, is makhlok kay mutalik olma e rohaniat nay apni books mein kuch nhi detail say likha magar ahadees ki kitabon aur tarikh ki kitabon mein aur dunia kay muktalif jagaon par honay walay wakiat say humay is makhlok kay mutalik kuch details milti hain, 
Kuch olma e rohaniat kay mutabik kalay raang kay kuttay jinnat hotay hain aur kuch olma yeh kehtay hain kay khas raat mein jinnat kalay rang kay kuttay par nazil hotay hain,
Opar hadees mein likha hai kay jinnat ki aak kisam saanp ki shikal mein hoti hai aur dosri kisam kalay kutton ki shikal ki hoti hai,
 Jistarah kali billi safar kay doran kisi shaks ka rasta kat lay to os par sakt nahosat par jati hai same isitarah kisi nimazi kay samnay say kala kutta guzar jay to oski ibadat ya nimaz tot jati hai.
Aur aab mein yahan is ajeeb jinnati kalay kuttay kay tarikhi wakiat share karta hon,

~*~ Jinnati Black Dog kay Tarikhi Wakiat ~*~
Is ajeeb jinnati black dog kay kai tarikhi wakiat hain mein yahan 
kuch iskay wakiat share kar raha hon jo meray ilm mein hain jo meinay tarikhi kitabon mein parhai hain,
Zamana e jahaliat kay is wakiay mein deen e islam ka jab zahoor hua to kai jinnat bhi mosalman hogay lekin jahalat kay kalay andheray mein ghiray log phir bhi kalay kuttay jaysay jinnat aur boton ki puja kartay rahai,
Jo jinnati black dog mosalman hoay woh nayk kam karnay lagay jesay gunahgar logon ki kabaron mein ghos kar onko azab dena ya aysay boray shaytani sifat kay logon ko cher phar kar mar detay thay in mosalman jinnati black dog kay wakiat mein yahan share kar raha hon,


Aaj bhi dunia kay aksar kabaristano mein yeh jinnati kalay kuttay khas raat kay doran dikhai detay hain jo gunahgar logon ki hadia chaba kar onki ruh ko aziat detay hain, aur kai gunahgar logon ko cher phar kar martay bhi hain,
Jesay aak wakia mein yahan share kar raha hon,
Ashab e kehaf ka khas kutta katmeer bhi jinnati kala kutta tha is khas kalay kuttay ka zikar Quran e pak mein istarah aya hai,

Yeh khas jinnati kala kutta ashab e kehaf ko kistarah mila oskay mutalik wakia mein yahan share kar raha hon,
 Opar jo wakia hai oskay mutabik ashab e kehaf ko yeh khas jinnati kala kutta rastay mein safar kay doran mila aur onko dekh kar bhonknay laga, ashab e kehaf nay os kuttay ko bhaga dia,lekin woh jab osay bhagatay to chala jata magar chalna shoro kartay to dobara lot aata aur onkay sath chalnay lagta, jab ashab e kehaf nay osay bhaganay kay liay sakti ki to kutta apnay pichlay paon par khara hokar asman ki taraf apnay aglay paon otha kar dua mangnay laga, aur ashab e kehaf ko kaha kay tum log muj say khof na khao kuon kay mein Allah pak say muhabat rakhnay walon say muhabat rakhta hon, tum log mujay apnay sath lay chalo jab tum aram karo gay to mein tumhari hifazat karon ga,
 Yeh to thay islami tarikh kay wakiat aur aab mein woh wakiat share kar raha hon jo europe kay muktalif ilakon mein hoay, yeh wakiat mujay aak site mein say milay jisay mein yahan copypaste kar raha hon yeh sab parhnay kay baad aap ko malum hoga kay yeh jinnati kuttay har jaga hain kuch nayk hain jo naiki kay kam kartay hain aur kuch bad hain jo shaytani kam kartay hain,
Red Eyed Black Dog
Location: Beckingham (Nottinghamshire) - Old Trent Road
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: This large black dog with glowing eyes is said to have driven a local farmer mad after the man tried to block the creature's path. The farmer was also left almost completely paralysed. The dog is said to walk from the churchyard to nearby marshland before fading from view.

Headless Black Dog
Location: Beetham (Cumbria) - Between village and Milnthrope, and surrounding countryside
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: It is said that if this large creature follows you, death is not far behind.

Black Dog
Location: Belchalwell (Dorset) - Unnamed gate in the area (still standing?)
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: A particular gate in the area was said to be home to a black dog once the sun went down.

Glowing Mouthed Black dogs
Location: Birstall (Leicestershire) - General Area
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: The locals here say their devil dogs, known as Shag Dogs, have a glow that emanates from the inside of their mouths.

Large Black Dog
Location: Blairgowrie (Perth and Kinross) - A93 north of the town
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: This phantom dog, said to be huge, patrols the road. Its presence makes normal dogs nervous and horses shy.

Hunt
Location: Blandford (Dorset) - Woods in the area
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: Thought to be part of a phantom hunt, these ghostly dogs have been heard running and yelping through woodland. It is also thought that a headless shuck haunts the area, though it is less sure whether the entity is connected to the hunt pack.

Following Dog
Location: Blyborough (Lincolnshire) - Road by village pond, leading to Grayingham
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: As this creature followed a woman, she turned and lashed out with her umbrella - only for it to pass straight through the creature.

Shuck
Location: Blythburgh (Suffolk) - Church
Type: Shuck
Date / Time: 04 August 1577, and 1973
Further Comments: During a church service in 1577, a large black dog burst in and created havoc. Blackened scorch marks said to be caused by the creature still exist today on the church door. Many years later, in 1973, a man working in the marshes near the church reporting hearing a panting dog standing besides him, though nothing could be seen.

Watcher Shuck
Location: Bourne (Lincolnshire) - Bourne Wood
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: The large black dog here would observe people while they were in the wood, though the creature would never leave the protective tree line. The site may also be the haunt of a grey woman and a grey man.

Shadows
Location: Bournemouth (Dorset) - Talbot Woods
Type: Shuck
Date / Time: 2000s
Further Comments: A shadowy black dog, said to be slightly larger than a Saint Bernard dog, was reported to haunt this area. The creature has never seen directly, but only from the corner of the eye. Scraping sounds resembling claws on concrete can also be heard, always behind the witness.

Country Dog
Location: Boxford (Suffolk) - Between village and Middleston (Essex)
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: The area between these two villages is reportedly patrolled by a black dog.

Grave Hound
Location: Bradnop (Staffordshire) - Road behind Oxhay Farm
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: The site where a Jacobite was murdered by a companion is now haunted by a phantom black dog.

Invisible to Some
Location: Bradwell (Derbyshire) - Town gates?
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: Only one of the two lead miners playing cards at the gates to the town could see a large black dog as it approached them. The man tried to point the creature out to his co-worker, but his friend was completely obvious to the phantom hound which then disappeared. Shaken, the witness refused to go to work the following day, and later heard his co-worker and several others had been killed when a shaft collapsed.

Bedroom Shuck
Location: Bredon (Hereford & Worcester) - Cottage, exact location not known
Type: Shuck
Date / Time: During World War 2
Further Comments: Appearing in a bedroom, this dog had glowing red eyes and warm breath - it disappeared as it approached the bedroom door to leave.

Hound with Pointed Ears
Location: Brereton (Staffordshire) - Coal Pit Lane, and roads leading to Brereton
Type: Shuck
Date / Time: 1972, 1985
Further Comments: This large black dog, with pointed ears and glowing eyes, is said to haunt the area. In 1972, one witness watched a large ball of light crash into the ground, and the hound appeared soon after.

Sitting Shuck
Location: Bridport (Dorset) - St Mary's Church
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: This black dog is said to sit inside the church, and to see it will quickly bring ill-fortune.
   
One of Three Shucks
Location: Brigg (Lincolnshire) - Bridge along Wrawby road
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: One of three bridges in Lincolnshire that is said to be a haunt of the black dog, this one normally manifesting on a Saturday night.

Morphing Shuck
Location: Bristol (Somerset) - Dead end lane in Hallen Bristol, next to the M49 bridge
Type: Shuck
Date / Time: 1908 and December 2004
Further Comments: The large black dog seen here in 1908 was seen to climb out from a hedge, before transforming into a donkey and standing on its hind legs. A very similar creature was seen in 2004, as it passed through a car, shaking the occupant.

Black Dog
Location: Broomfield (Shropshire) - General area
Type: Shuck
Date / Time: Unknown
Further Comments: A gentleman who committed suicide in the village is said to have returned in the form of a large black dog.
                                                                                                      Source: www.paranormaldatabase.com/

Yeh sab parhnay kay baad aap ko malum hogaya hoga kay yeh jinnati black dog dunia kay kai ilakon mein dikhai detay rehtay hain aur yahan pakistan kay deehat ya gao(village) kay veeran ilakon mein bhi dikhai detay hain, mein bhi khud inki talash mein rehta hon takay inko amal kay zariay taskheer kar sakon aur inki talash mein muktalif gao ki veeran jagaon par jata rehta ho,
Jinnati dog veeran jagaon mein honay walay puranay ya qadeem trees ki jarh ya on mein bani surang mein hotay hain,
 
Jinnati black dog ki search kay doran mein muktalif gaon(villages) gaya aur wahan kay logon say wakiat malum kiay aur sabi nay aak he baat batai kay os dog ka size bari bakri jitna bara rang bohat dark black oski tangay patli see ankhain red blub ki tarah roshan aur oski raftar bohat tez aur oskay mo say jhag sa nikalta hai aur yeh veeran jagaon par jahan koi nahi aata jata wahan puranay trees ki jarh mein banay holes mein rehta hai, meinay kai puranay darakht mein bani kafi gehri tunnels dekhi,
Gaon kay logon kay mutabik jinnati black dog inhe tunnels mein say raat kay waqat zahir hota hai phir wapis isi mein jakar ghom hojata hai, in ajeeb tunnels ko dekhnay kay baad meinay faysla karlia kay mein in mein jakar malum karon ga aur is jinnati janwar kay kya israr wa raaz hain woh malum karon ga,
Meinay aak darakt par amal karna shoro kia jiskay mutalik kafi mashor hai kay is mein wahi jinnati janwar zahir hota hai, meinay os darakt par pehlay protection ka amal kia apnay khas ritual knife kay zariay takay darakt mein mojod bad asrat say bacha jasakay,
 
Puranay darakt jis mein jinnati asrat hotay hain os par amal kay doran aak khas double blade wala knife use kia jata hai apni hifazat
ya protection kay amal kay liay, yeh khas knife jinnati asrat ko osi darakt mein he mehdod rakhta hai onko darakt mein say nikalnay nahi deta jab tak yeh knife laga rehta hai, mein aksar yeh amal darakt par karta hon apni protection kay liay,
 Darakt par protection ka amal karnay kay baad meinay apnay sathi gao kay larkay ko guide kia kay jab mein darakt kay andar jakar amal karon to osay kya karna hai,

 Meinay darakt mein mojod surang ka jaiza lia jo andar bohat he gehri thi aur kafi andhera tha, surang chopkali, makrio aur kero makaron say bhari hoi dikhai di,
Darakt mein mojod surang kafi gehri honay ki waja say meinay rasi(rope) ko apni body par bandh kar janay ka irada kia takay meray sathi mujay khinch kar bahir nikal sakain, surang andar kafi taang thi agar mein bina rasi kay andar jata to mera bahir nikalna moshkil hojata,
Surang bohat he ziada gehri aur taang thi mera jism phans sa gaya aur aysa feel horaha tha kay kisi andekhi kowat nay mujay mazboti say jakar lia ho mein apnay jism ko bilkol move nahi kar paraha tha na agay ki taraf na pechay ki taraf, aysa feel honay laga jesay jism paralyzed hogaya ho aur mein aak andheri kabar mein hon, phir mujay feel hoa jesay mera jism garam horaha hai aur koi chez meray nazdeek arahi hai, phir meinay apna khas wazaif wird karnay laga takay os jinnati makhlok ko taskheer karon magar afsos os say pehlay he meray jism nay mera saath nahi dia, mujay chakar anay lagay dam ghotnay laga aur behoshi honay lagi meinay rasi ko hilaya aur meray saathi samaj ghay aur mujay khinchnay lagay,
Surang say bahir nikalnay kay baad jism normal hogaya, magar kafi kuch israr os jinnati janwar kay malum hogay, woh jinnati makhlok bohat kowat wali hai osay taskheer karna asan nahi, yeh aak test tha oski kowat ko observe karnay ka, darakt ki jaron nay mujay jakar lia mujay agay janay say rok dia, test nay sabit kardia kay woh makhlok bohat khatarnak hai os say zid ya fight kar kay nahi taskheer kia jasakta,

The Twin Black Dogs of Harut and Marut:
Jinnati black dog jiskay mutalik meinay opar bataya woh dog achay aur boray dono kam karta hain lekin jo twins yehni jorwa kalay shaitan kuttay hain woh kabhi bhi nayki ka kam nahi kartay yeh bohat he khatarnak hotay hain, in dogs ko kala jadu karnay walay log passand hotay hain aur yeh onki taraf attaract hotay hain, kala jadu karnay walay log inko taskheer kar kay kai shaitani kam insay karwatay hain, in twin dogs ka taluk twin fallen angels harut aur marut say hai, harut aur marut kon hain inkay mutalik detail mein yahan share kar raha hon,
Harut aur Marut iblees ki tarah Allah pak ki ibadat karnay wali makhlok thi, yeh 2 farishtay thay aur Allah pak ki khob ibadat kia kartay thay aur apni ibadat par onka bara naz wa guror tha aur dosray farishton ki ibadat par khamkhuwa aytraz othatay aur jab zameen par rehnay walay insano ko dekhtay to bar bar Allah pak say shikaet kar kay aytrazat kartay, Allah pak onko kehtay kay tum farishtay ho aur woh insan, onkay pas jo hai woh tumharay pas nahi, farishton nay sawal kia kay ay humaray rab onkay pas aysi konsi chez hai jiski waja say to onki thori ibadat ko bhi hum par fazilat deta hai, jab kay hum shab wa roz teri ibadat mein masrof rehtay hain aur yeh insan raat ko aram say sota hai aur din mein humari nasbat nehaet kam ibadat karta hai?
Khuda nay kaha kay insan kay pas nafs hai aur yeh nafs shaitan kay rehnay ki jaga hai isliay insan say kasoor hota hai aur woh galtia karta hai, oski thori ibadat bhi mein kabool karta hon,
Lekin harut aur marut is baat ko mannay kay liay bilkol taiyar na thay onhonay kaha, "ay humaray khaliq agar aap humay nafs laga dain to hum phir bhi teri ibadat aysay he karay ghay jesa kay humaysha say kartay rahai hain aur kabhi gunnah nahi karain ghay",
Khuda nay onki baat suni aur farmaya "ay farishton kuon khud ko imtehan mein daltay ho, agar tumhai nafs laga dia gaya to tum itni ibadat bhi nahi karo ghay jitni kay yeh meray banday, nafs, shaitan ki madakhalat kay bawajod kartay hain",
Lekin woh nahi manay apni zid par aray rahai, khuda nay onki zid ko kabool farmaya aur 3 bataon ko rok kar yehni gunnah karar dekar onkay nafs laga dia gaya aur onko aak mulk ka badshah bana dia gaya, meray Allah pak ki shan e karimi to dekhiay kay woh apni makhlok ki zid ko bhi kesay nawazta hai, onki khuwaish ko kesay pura karta hai aur saath mein hidayat bhi farmata hai takay woh gunnah say bachay rahain aur onki khuwaish kay mutabik moka ata farmata hai,
Jab harut aur marut ko zameen par badshah bana dia gaya aur saath he yeh hokam irshad farmaya kay din bhar tum is dunia mein raho aur sham hotay he ism e azam ki kowat aur barkat say apni jaga apnay makam par ajao, jin 3 bataon, amal say onhai roknay ka hokam farmaya woh yeh hain,
1, sharab hargiz na pena yeh gunahon ki jarh hai,
2, Kisi ko jazbat mein ya gusay mein ya jan bojh kar katal na karna, yeh khuda ki emarat hai isay kabhi na dhana,
3, Kisi aurat say rokbat na karna yeh azab mein mobtala karday gi yehni zehar e katal hai,
Allah pak nay apnay hokam, gunnah aur azab say agahi farma di, oskay baad woh aak takht par beth kar zameen par aatay aur sham ko ism e azam ki barkat say apnay mokam asman par pohanch jatay, zameen par sara din takht par bethay logon ki shekaet sontay aur fayslay kartay yeh silsila jari tha aur isitarah waqat guzarta raha,
aak roz aak bohat he haseen aurat harut aur marut kay darbar mein hazir hoi aur faryad ki kay aak mard nay mujay bohat tang wa parayshan kia hua hai aap oskay katal ka hokam farmay takay mein sukon say reh sakon, jis lamhai woh khubsurat aurat darbar mein hazir hoi osi lamhai shaitan nay jaal bichaya aur phanda harut aur marut kay galay mein pehna dia,
Harut wa marut nay foran os shaks ko bolaya aur os say pocha kay kya yeh aurat tumharay zolam say parayshan hai? os shaks nay jab yeh suna to nehaet adab say harut marut yeh aurat jiska nam zohra hai jhot bolti hai, kafi behas hoi phir harut marut nay osay katal ka hokam nahi dia magar zohra kay hosan aur jismani tarash kharash nay onkay wajod mein ajeeb halchal see peda kardi, tabiat mein bechani, nafs onka solagnay laga, woh oskay baad jo bhi kam kar rahai thay woh kharab he horaha tha,
Zohra nay jab dekha kay fesla oskay haq mein nahi horaha to woh khamoshi say apnay ghar chali gai, oskay jatay he harut marut mein bechani barh gai, shaitan nay onkay nafs mein beth kar onhai gumrahi kay daldal mein otarna shoro kia, bechani had say onki itni barh gai kay onhonay zohra kay ghar ka address malum kar kay oskay ghar pohanch ghay, dono jab oskay ghar pohanchay to woh leti hoi thi onhai dekh kar adab say salam kia aur ahtaram kay sath bethaya, lekin woh sirf zohra ko dekhay jarahai thay osay dekh kar onka nafs dewana hoa jaraha tha, zohra nay onki khob khatir madarat ki, osay apnay hosan ki sehar kari ka ilm tha, osay malum tha qudrat nay oskay wajod ko nehaet dilkash wa khubsurat banaya hai jisay panay kay liay insan apni hawas kay hathon shaitan ban jata hai,
Zohra dosray kamray mein gai aur harut marut ko wahan bolanay lagi, jab harut marut os kamray mein ghay to dekha kay zohra apnay haath mein sharab ka jam liay onko apnay nazdeek baray pyar aur mastana chal say bolanay lagi,
Oskay baad os iblees ki beti nay apnay nazok haath say woh sharab ka jam onkay honton say laga aur woh dono dewano ki tarah osay pee ghay aur phir jam par jam peetay ghay aur onkay jazbat rangeen say rangeen tar bantay chalay ghay, jab suror had say ziada onpar agaya to onhonay zohra ki khubsurat kalai pakar li, zohra nay baray adab wa pyar say kaha kay mein tumharay jazbat ko samajti hon aur tumhari khuwaish ko puri karnay kay liay bilkol razi hon lekin pehlay aap apna tarof to karwao kay aap dono kon ho aur kahan say roz aatay ho aur kahan chalay jatay ho?
Harut marut sharab wa shabab kay nashay mein sab zahir kardia zohra par kay woh farishtay hain, zohra nay kaha mein kesay yakin kar lon kay aap dono farishtay ho rozana asman say nechay aatay ho aur sham ko wapis chalay jatay ho?
Harut marut nay osay samjhaya kay onkay pas Allah pak ka aak aysa ism pak hai jiski barkat say woh opar chalay jatay hain aur zameen par dobara ajatay hain, Harut marut kay nafs par puri tarah shaitan hawi tha, woh sharab kay nashay mein apni asal kho chokay thay os waqat onhai sirf zohra ka jism apni arzo ka markaz nazar araha tha, aysay mein zohra nehaet naz wa pyar say kehnay lagi agar koi aysa ism hai to mujay batao warna mein aap ki bataon par yakin nahi karti,
Majboran harut marut nay sharab ki madhoshi mein osay woh ism pak bata dia, woh nehaet chalak aurat thi osnay woh ism pak yaad karlia, jesay he osay woh ism e pak yaad hua woh onkay pas say othnay lagi, harut marut nay oski kalai par zor dia to woh boli mein aap ki khuwaish puri kardon gi agar aap os mard ko katal kardain jiski shekaet mein lekar ai thi aap kay pas, harut marut nay foran os shaks ko hazir kia aur katal kardia,
Ism e azam zohra ko achi tarah yaad hochoka tha jesay he harut marut os shaks ko katal karnay kay baad apni khuwaish puri karnay kay liay zohra ki taraf barhai to zohra nay ism e pak parha aur asman ki taraf boland hoti chali gai, harut marut nay foran ism e pak parhna chaha lekin zehan nay saath na dia, onkay zehan say woh alfaz mit chokay thay, onhonay bohat koshish ki kay zohra ko rokain lekin woh ism e azam bhool chokay thay woh osay kesay roktay, onhonay jesay he ism e azam ka raaz afshan kia to Allah pak nay onkay zehan ko os mubarak ism e pak say shifaf farma dia,
Odhar zohra is qadar boland hoi kay dosray asman ko par karlia to khuda nay sitara zohra(planet venus) kay mokil ko hokam dia kay aak aurat zameen say arahi hai jesay he woh tesray asman par qadam rakhay osay sitara apnay mein salab kar lay.....pas ba hokam khuda aysa he hua,
Akhir kar jab harut marut ka nasha otra to woh apni bewakofi par afsos karnay lagay aur girgira kar rotay hoay dua karnay lagay, bohat koshish ki kay maafi mil jay, khuda onkay gunnahon ko baksh day lekin onki dua aur koshish kam na ai, onki khata maaf na hoi, Hazrat sulaiman a.s osi zamanay mein faraiz nabowat anjam day rahai thay, woh dono aap a.s kay pas ghay aur kaha kay aap a.s bargah e khuda mein humari sifarish farmay kay humara rab humari khata maaf farma day, aap a.s nay tawaja na farmai to yeh dono hazrat hod a.s kay pas pohanchay, hazrat hod a.s nay dua farmai aur khuda kay hokam say hazrat Jibrael a.s hazir hoay aur sawal kia kay harut marut say pochay kay onko dunia ki saza kabol hai ya akhrat ki? 
Hazrat Hod a.s nay hazrat jibrael a.s ka sawal harut marut kay samnay dohraya, pas harut marut nay socha kay dunia to fani hai aak din fana hojay gi aur iskay saath saza bhi khatam hojay gi, onhonay dunia ki saza ko kabol karlia aur khuda kay hokam say onhai aak konway mein zanjeeron say bandh kar olta latka dia gaya aur konway ko garam dhonway say bhar dia gaya,
Olma e rohaniat kehtay hain kay dono harut wa marut mein aak ko  aurat say muhabat hai aur dosray ko aurat say sakt nafrat dono konway mein sara din isi topic par behas kartay rehtay hain, aak kehta hai kay aurat na hoti to dunia mein mard ka wajod na hota, aurat say haseen dunia mein koi makhlok nahi, dosra kehta hai kay aurat shaitan ka hathiar hai osi waja say humara aaj yeh hal hai osay dunia say fana kardena chahehai, mard ki tabahi kay pechay aurat ka haath hota hai,
Logon ka aak group jo jadu ko passand karta tha inhai jab malum hua kay harut marut babul kay aak konway mein qaid hain aur onko jadu aata hai to woh wahan pohanch ghay aur harut marut say jadu sekhnay ki darkhuwast ki, pehlay to harut marut inkar kartay rahai aur koshish ki kay woh yahan say chalay jay, lekin woh log zid par aray rahai, majboran harut marut nay nay hami bhartay hoay kaha thek hai lekin aak baat yaad rakho, agar tum nay yeh ilm seekha to eeman nahi rahai ga, tumhara shumar kafaro mein hoga, yeh sunnay kay baad bhi on logon nay zid ki aur harut marut say jadu seekha, Quran e pak mein surah al-baqra mein harut marut kay mutalik istarah likha hai:
"Aur woh (jadu) jo babul mein do farishton harut wa marut par otra aur woh dono kisi ko kuch na sikhatay jab tak yeh na keh letay kay humara wajod to aak fitna hai, lekin tum apna eeman na kho, pas woh log onsay woh chez seekh letay jiskay zariay mard aur oski biwi kay darmian judai kar detay thay".
Harut wa Marut do mia biwi mein judai wa nafrat kay aymal sikhatay thay aur kisi aurat ko kabu mein karnay ya phasanay kay aymal bhi sikhatay thay, 
Aab mein yahan aak hadees share kar raha hon isay aap tawaja say parhna, is hadees mein harut marut kay twin black dogs ka bhi zikar hai,
Is Hadees mein aak aurat hazrat bibi Ayesha r.s kay pas ai aur apna masla bataya kay oska husband kahin chala gaya tha aur osay laga kay oskay husband nay osay chor kar kahin dosri aurat kay pas chala gaya hai tabhi osnay aak borhi aurat say rabta kia jo kala ilm janti thi, os borhi aurat nay osay kaha kay tumhara masla kalay jadu say hal hosakta hai, tumhai kala jadu seekhna hoga, jab aurat nay kaha kay mein yeh ilm seekhon gi to os borhi aurat nay raat kay waqat osay 2 kalay kuttay diay aur kaha kay aak kutay par beth jao yeh tumhai aak jaga lekar jay ghay wahan tum jadu ka ilm seekh jao gi,
Woh aurat aak kalay kuttay par beth gai aur dosra kuta agay ki taraf tez dornay laga raat kay andheray mein, dono jinnati black twin dogs nay aurat ko os konway mein lay ghay jahan harut wa marut hain, harut wa marut nay jab aurat ko dekha to pocha tum yahan kuon ai ho? aurat nay kaha kay mujay jadu seekhna hai, harut wa marut nay kaha kay hum to yahan azmaish mein hain lekin tum jadu seekh kar gunnah mat karo to woh aurat ronay lagi aur kaha kay mujay apnay husband ko wapis apni taraf karnay kay har gunnah kabol hai magar yeh kabol nahi kay meray hotay hoay woh dosri aurat kay pas rahai, harut wa marut nay kaha kay thek hai tum jadu seekh jao gi yahan say thori dor aak tandor hai wahan jao aur peshab kar kay yahan wapis ao, woh aurat os tandor kay pas ghai to tandor ko dekh kar osay bohat khof hua,
woh aurat bina peshab kiay os tandor mein wapis harut marut kay pas agai, jab harut marut nay pocha kay kya tum nay os mein peshab kia to aurat nay jhoot bola han meinay kia phir harut marut nay pocha kay os waqat tumko kuch dikhai dia? aurat nay kaha kuch dikhai na dia to harut marut nay kaha kay wapis chali jao tum jadu nahi seekh sako gi, aurat phir ronay lagi kay bina jadu seekhay mein yahan say nahi jao gi tab harut marut nay kaha kay dobara jao osi tandor mein aur wahan peshab kar kay ao, aurat dobara wahan gai magar kai koshish kay bawajod woh peshab na kar saki, tandor andar bohat he gehra aur os mein lava ki tarah aag thi oski tapish he itni thi kay wahan khara rehna bhi moshkil tha aur woh aurat kistarah beth kar os mein peshab karti, woh na kar saki aur dobara wahin harut marut kay pas ai aur kaha kay mein peshab wahan kar kay ai hon, harut marut nay kaha kay tumnay kuch dekha? aurat nay kaha kuch nahi, harut marut nay kaha kay chali jao tum kabhi nahi seekh sakti, is bar aurat nay ro kar kaha kay meinay aap say 2 bar jhoot bola tha aab ki bar mein jhoot nahi bolon gi kuch bhi ho peshab kar kay ao gi aur woh aurat wahan gai aur himat kar kay wahan tandor mein peshab karlia aur osi waqat aurat nay dekha kay koi noorani kowat os mein say nikal kar asman ki taraf chali gai, aurat nay akar bataya harut marut ko kay mein aab ki bar peshab kar kay ai hon, harut marut nay pocha kay kuch nazar aya? aurat nay kaha han koi noorani kowat thi jo meray jism say nikal kar asman ki taraf chali gai, harut marut nay kaha kay woh tumhara eeman tha jo nikal gaya, aab tum jaadu ka ilm seekh sakti ho, os aurat nay woh jadu seekha aur jadu say apnay husband ko golam bana lia lekin oska zameer khush na tha kay osnay jo kia galat kia tabhi woh hazrat bibi ayesha r.a kay pas ai kay meinay jo kam kia woh wakai galat tha magar meinay yeh sab apnay husband ko panay kay liay kia aur woh wapis meray pas agaya hai hum bohat khush hain, aab mein toba karna chahati hon jo meinay kala jadu kia kya meri toba kabool hogi? aur jo noorani kowat meray jism say nikal gai kya woh dobara meray jism mein wapis ay gi?
Hazrat Bibi Ayesha r.a nay bhi wahi jawab dia jo sahaba karam r.a nay aurat ko dia kay iska fatwa siwa Nabi s.a.w kay aur koi nahi day sakta.

Kuon kay jadu karna sakt gunnah hai lekin agar koi aysa masla ajay jiska hal sirf jadu kay zariay mumkin hoto kya majbori mein banda is par amal kar sakta hai? Jistarah Quran e pak mein likha hai kay koi insan sakt bhok ki halat mein ho aur marnay kay qareeb hoto aysi halat mein woh sowar ka gosht kha kar apni bhok ya khoon pee kar apni pias bojha sakta hai, to kya jadu kay zariay kisi insan ki zindagi tabahi say bachai ja sakti hai? yeh aysay sawal hain jis mein kai olma e deen nay khamoshi akhtiar ki hai magar kai olma e deen nay isay haram keh kar is topic par mazeed baat karna passand nahi kartay, lekin olma e rohaniat ki soch muktalif hai onkay nazdeek jadu aak ilm hai aur ilm achai kay liay bhi use hota hai aur borai kay liay bhi, agar jadu kay ilm ko borai kay liay use kia jay jesay kisi insan ko takleef dena, 2 shaks mein judai dalna to yeh galat aur haram hai, har woh ilm haram hai jis say insan aur insaniat ko noksan pohanchay, lekin agar jadu kay ilm say kisi insan ki madad ki jay oski zindagi bachai jay to phir iska kya hokam hai? kya yeh tab bhi haram hua? koi bhi ilm jo insan aur insaniat ki bhalai kay liay ho woh haram nahi hosakta.
opar jo aurat ka wakia hai jis mein osnay apna masla hazrat bibi Ayesha(r.a) ko bataya aysay kai masail aaj bhi logon kay sath hotay hain jiska hal jadu kay zariay mumkin hota hai, meray pas bhi aysay kai cases achokay hain,
Meray pas aak larki ai thi jisnay bataya kay oska aak larkay kay sath 8 saal affair raha aur os larkay kay sath physical relation bhi tha aur 2 bar woh larki pregnant bhi hoi aur osnay abortion karwaya aur yeh baat oski family ko bilkol malum nahi thi, aab woh larka dosri jaga shaadi karnay laga, larkay nay os larki ko kaha kay mein majbor hon ghar walon nay mera rishta family mein tay kardia hai, aab woh bichari larki bori tarah phans ghai, larkay ka os mein interest khatam hogaya tha oska matlab pura hogaya physical relation rakh lia aab kahan woh shaadi karta woh to aab new virgin larki say shaadi karna passand karay ga yeh har mard ki nature hoti hai jab tak osay larki hasil nahi hoti woh larki mein kafi interest leta hai magar jab osay woh asani say hasil hojati hai oska matlab aur hawas puri hojati hai to oska interest bilkol khatam hojata hai aur jan choranay ki koshish karta hai nay nay bahanay bana kar ya osay kehta hai kay hum dost hain aur sari omar dost ban kar rahai ghay yehni osay rakhail bana kar rakhnay ka sochta hai kay jab dil kia use karlia aur os larki ka kya jo oskay sath shaadi karnay ki khuwaish dil mein liay hoay hai aur isi khuwaish ko pura karnay kay liay apna sab kuch larkay par qurban kardia isi umeed par kay larka oskay sath shaadi kar kay humaysha kay liay apna bana dayga magar afsos larkay ki soch to kuch aur he nikli,
Larki nay mujay kaha kay meinay itni nimazay parhi har wazifa jo mila parha takay meri shaadi os larkay say ho magar os larkay nay baat karna tak khatam kardi hai aab, meinay ghusay mein larki ko kaha kay kya zarorat thi tumko oskay sath zina karnay ki? tumnay itna bara gunnah kia aur tum kya samajti ho kay tum nimaz aur wazaif parh kar osay hasil karlo ghi? woh larki ronay lagi aur osnay bataya kay os larkay nay Quran sar par rakh kar kasam khai, apnay parents ki kasam khai kay woh zaror shaadi karay ga tum meri biwi ho abhi aur raho gi, istarah ki batain keh kar osnay meray sath physical relation rakh lia aur mein oski bataon mein akar apna mo kala kar bethi, aab mein osay chor bhi nahi sakti kal agar meray ghar walay meri kahin aur shaadi karwatay hain to meray husband ko sab malum par jay ga, na woh kabi mera hosakay ga na mein oski hum dono ki zindagi he tabha hojay gi, isliay please Ali bhai aap meri help karo, mein mar jao gi agar osnay shaadi karli to, meinay os larki ko mana kardia kay yeh masla kalay safli ilm say mumkin hai lekin yeh galat hai gunnah hoga mein yeh nahi karon ga os par larki girgara kar ronay lagi meray paon pakar liay mujay os par taras bhi bohat araha tha aur bohat afsos hua kay kitni majbor hogai hai bichari, osnay kaha kay mein jehnomi to wesay he hogai hon zina kar kay aak gunnah mujay aur kardenay do aur yeh gunnah meray mazi kay gunnahon ko thek karday ga mein sachay dil say tooba karlo gi, meinay osay saaf inkar kardia aur janay laga aur woh bohat ziada ronay lagi, humaray ghar mein os waqat deewaron par colour ka kam chal raha tha, samnay bottle mein matti ka tel(kerosene oil) rakha tha, os larki nay foran woh bottle li aur khol kar penay lagi meinay osi waqat tezi say oskay haath say bottle cheni magar kuch woh pee gai thi aur oltia karnay lagi aur apnay dono hathon say apna mo peetnay lagi aur kehnay lagi kuo bacha rahai ho mujay, marnay do, agar bachana he hai mujay to woh larka mujay lakar do, mujay aak sufi fakir ki baat yaad agai jisnay kaha tha kay afzal kam hai woh jo insan apni jan dekar dosray insan ki jan bacha ay, to shayad yeh bhi afzal kam hai kay khud gunah gar hokar dosray ki jan bacha ay, meinay faysla karlia kay mein is larki ki help karon ga, meinay oska safli kam kia jo harut wa marut say mansob hai, in safli kamo ko "Aymal e harut wa marut" ya "sehar al-harut wa al-marut" kay nam say jana jata hai aur yeh raaz kisi say share nahi kiay jatay na books mein likhay jatay hain, meinay aak khas powder os larki ko bana kar dia aur kaha kay yeh os larkay ko kisi chez mein khila dena, lekin larki nay kaha kay woh rabtay mein nahi hai meinay osay kaha kay os larkay ko kisi bhi tarah dating kay bahanay bolao woh zaror ay ga, os larki nay aysay he kia apni dost ki madad say os larkay say contact kia aur osay kaha kay meri shaadi honay wali hai mein akhri bar tum say milna chahati hon takay hum khob pyar karain oskay baad hum dost ban kar rahai ghay tum bhi jahan chahai shaadi kar lena, larka is baat say bara khush hua aur milnay kay liay razi hogaya, pizza hut mein larki nay pizza par woh powder charak kar os larkay ko khila dia aur larki nay khush hokar baray joshilay andaz mein mujay phone par bataya kay Ali bhai meinay osay powder khila dia aab to hojay ga na mera kam? meinay kaha han zaror hoga inshAllah, magar aak hafta guzar gaya nahi hua, dosra hafta bhi guzar gaya magar kuch asar na hua, larki mayous hogai magar 3rd week guzarnay kay baad larkay nay call ki larki ko kay tum nay kaha kay akhri bar tum muj say khob pyar karna chahati ho to kab karain pyar? mujay tumharay khoab arahai hain, larki nay mujay jab yeh sab bataya to meinay osay samjhaya kay kuch bhi hojay os say bilkol bhi na milna aur woh meri advise par amal karti rahi, larka daily osay call karnay laga aur aak he baat karta raha kay muj say milo magar larki har bar koi na koi bahana kar kay osay tal deti akhir kar larkay bardash say bahir hogaya aur larki ko khob galia di phone par aur wasta khatam karnay ko kaha, larki parayshan hokar mujay phone par bataya kay ali bhai baat bohat barh gai aab woh kabhi rabta na karay ga mein jarahi hon milnay os say, meinay larki ko sakti say mana kia bilkol nahi jana, larki ronay lagi kay mujay bhi aab bardash nahi horaha mujay woh bohat yaad araha hai mein milay bina nahi reh sakti meinay osay bohat samjhaya kay apni tawaja oski taraf hata do dosri city chali jao aur bharosa rakho kamiabi nazdeek hai, aur os larki nay himat dikhai aur sabar kia bohat akhir kar larkay nay phone kia aur larki ko kaha kay mein apnay parents ko razi kar lia hai aur tumharay ghar lekar ao ga tum say shaadi karni hai mujay, woh din os larki kay liay itna khushi bhara tha kay meray ghar ai mujay mithai khilai meray paon par apna sar rakhnay lagi meinay osay mana kia aysa mat karo, osnay rotay hoay kaha kay aap meray murshid ho aap na hotay woh larka mujay kabi na milta, meinay oskay sar par haath rakh kar dua di kay jao khush wa abad raho, aab woh larki os larkay kay sath bohat khush hai aur woh larka had say ziada os say pyar karta hai, yeh tha os harut wa marut kay jadu ka kamal.


Black Dogs & Aymal e Harut wa Marut:
Aap nay opar harut wa marut ka wakia parha os wakiay mein pyar, sharab wa shabab, dhoka, judai wa nafrat jesay material apko milay ghay, harut wa marut mein say aak pyar wa muhabat kay safli aymal say mansob hai aur dosra nafrat aur judai kay safli aymal say mansob hai, aymal e harut wa marut mein mia biwi ki apas mein muhabat kay kam kay sath larka aur larki jinhonay chop kar zina kia ho aur dono mein say aak shaadi karna chahata ho aur dosra inkar kar raha hoto osko razi karnay kay liay kam kia jata hai, isitarah 2 muhabat karnay walay mia biwi kay darmian sakt nafrat aur judai jesay aymal bhi hotay hain aur 2 pyar karnay walay larka aur larki mein judai aur nafrat kay aymal bhi,
Aymal e harut wa marut mein jo ingredients use hotay hain on mein kalay kuttay ki hadia aur organs use hotay hain, puranay dor mein log aak aurat kay sath kai aurton say shaadia kartay thay, kai auraton ko apna husband dosri aurat say share karnay mein problem nahi hoti thi magar kai aurton ko yeh problem hoti thi woh yeh chahati thi kay mera husband sirf mera ho aur meri mothi mein ho mein jesay chahon woh wesa karay, os dor mein yahodi log harut wa marut kay safli aymal kartay thay aur kai aurtay onsay isitarah kay kam karwati thi jesay onka husband dosri aurat ko chorday ya sirf mera ban kar rahai etc, yahodi log jo harut wa marut kay aymal kartay thay onko yahan detail say likhna munasib nahi magar aak qadem amal onka mein yahan muktasir batata hon,
woh log aak baray pahar par jatay raat kay waqat aur zohra sitaray ki direction par rakha bara pathar jispar qudrati tor par round khada sa ho osay woh apnay sath lekar aatay aur os round khaday mein woh log tandor banatay aur os tandor mein kuch khas ingredients kay sath kalay kuttay ki dom ki hadia daltay jab kala kutta mating kay doran female kutia say chopa hua ho os doran kalay kuttay ki dom kat kar dom ki hadia os tandor mein jalai jati thi aur phir aurat jo apnay husband ko apni mothi mein karnay ka amal karna chahati thi woh os tandor mein peshab karti thi, magar peshab karnay say pehlay woh husband ka tasawar kar kay feelings lati jis say woh wet hojati oskay baad woh peshab karti thi tandor mein, yahodi log tandor mein paray sab ingredients ko jala kar khak kar detay thay aur phir woh khak aurat ko detay thay, aurat woh khak apnay husband ko khila deti jis say oska husband kuttay ki tarah aysa wafadar ban jata, aak pal juda hona osay pasand nahi hota, jahan bhi kam karnay jay ga osay apni biwi ki yaad ay gi osay bechani hogi aur jald bhag kar ghar ajay ga aur sab dolat osay day ga, jesa oski biwi kehti woh gulam ya palto kuttay ki tarah oski har baat manta, magar aysay kam karna sakt gunnah hai, kisi insan ki ilm kay zariay apnay khud kay maksad kay liay os mein genetic tabdeli karna kay jis say woh apni khud ki zaat ko bhol kar dosray ki zaat ko apni zaat samaj kar oski payrwi karay yeh kisi ko apahij bananay jesa kam hai aur aysa karna sakt gunnah hai,
Yeh khak aysi asar wali hoti hai jiska tor aam ilm wala aamil nahi kar sakta sirf wahi kar sakta hai jo aymal e harut wa marut ki wakfiat rakhta ho, aaj bhi kai auratain aysay kam karwati hain jis say onka husband onki mothi mein ya gulam ki tarah oski har baat manta hai aur aurat kay kehnay par apnay ma bap, bhai, behan sab ko chor kar joda hojata hai aur aysa hojata hai jesay woh sab apnay oskay ajnabi hon kabhi milay he na hon, kuch ahsas nahi rehta oskay dil mein, woh bas pujari ban jata hai apni wife ka oski puja karna he oski zindagi ka maksad ban jata hai,
Aysa kya hai os khak mein jo thori chutki jitni khila denay say insan aysa hojata hai? khair yeh koi hayrat ki baat nahi aaj kay is dor mein, medical science nay bohat taraqi karli hai aak choti tablet khanay say insan kay jism ki genetic tabdeli mumkin hosakti hai os tablet mein aysay khas ingredients hotay hain jo khoon mein shamil hokar ya jism kay atoms mein mix hokar os mein aak badlao sa latay hain, same isitarah safli ilm ki khak mein bhi kuch aysay he ingredients hotay hain jo insan ki soch aur zehan par asar daltay hain aur oski soch aur zehan tabdel hokar wesay kam karnay lagti hai jesa jadu karnay walay chahatay hain, yeh asar aak khas mudat tak rehta hai phir khatam hona shoro hojata hai, jesay insan nashay ki halat mein hota hai nasha khatam hotay he hosh mein ajata hai same isitarah os khak ka asar bhi ahista ahista khatam hona shoro hojata hai, safli kam karnay walay mudat bata detay hain kay 5 saal ya 7 saal baad iska asar khatam hona shoro hoga, magar chalak aurat dobara osay wahi khak kila kar time barha deti hain aur osay hosh mein anay he nahi deti,

Kuttay ki Masan aur La Ilaj Jadu aur Bimaria:
Harut wa Marut kay safli aymal mein kuttay kay organ ya hadio ko jala kar oski khak ko "Masan" aur arabic mein "Ramad" kaha jata hai, masan aak powder sa hota hai jab kisi par jadu kia jata hai to osay khilaya jata hai, masan ka powder kai tarah ka hota hain jesay jahan hindu murdon ko jalatay hain wahan ki khak ko bhi masan kehtay hain, ullu kay gosht kay powder ko bhi masan kehtay hain etc, har masan ka rohani ilaj hai lekin kuttay ki masan itni khatarnak hai jiska rohani ilaj mumkin nahi, iskay mutalik detail mein agay share karon ga,
Kuttay ki masan jo sab say khatarnak mani jati hai woh kuttay kay chotay bachon ko jala kar banai jati hai, yehni kali kuttia kay aysay chotay bachay jinhonay ankhain bhi na kholi hon onko kisi matti kay bartan mein jala kar rakh kia jata hai aur yeh rakh dosray kuch khas herbs mein mix kar kay masan banai jati hai yeh masan har kisam kay kam mein use hoti hai jesay kisi ko bimar karna, kisi par jinnat lagana, kisi ko apna gulam banana, 2 logon mein nafrat wa judai karwana, kisi pak saaf parhayzgar ko bay haya wa besharam kardena, kisi ki nafs bandi kardena jesay na mard bana dena kay shadi kay laik na ho ya kisi aurat par aysi bandish kay oski shadi na ho agar hoto tot jay ya osay kabhi aulad na ho agar hoto baad mein mar jay etc.., istarah kay bohat khatarnak kam isi aak masan kay powder say kiay jatay hain,
Kuttay kay chotay bachay mein aysay kya asrat hain jo iski masan say itnay khatarnak kam hotay hain? yeh sawal zaror apkay zehan mein aya hoga, iskay mutalik mein yahan detail aap ko batata hon,
kuttay kay chotay bachay mein bohat sakt kisam kay nahosat kay asrat hotay hain jiska ilm safli kam karnay walon ko hota hai aur woh inkay zariay khatarnak kam sar anjam detay hain, kuttay kay chotay bachay ki sakt nahosat kay asrat kay mutalik aap ko is hadees ko parhnay kay baad andaza hoga,

Aap ko yeh hadees parhnay kay baad malum hogaya hoga kay kuttay kay chotay bachay ki kitni sakt nahosat hai kay oski waja say Nabi pak s.a.w par wahi ka silsila rok gaya, Farishton kay azeem sardar Hazrat Jibrael a.s chotay kuttay ki waja say Nabi pak s.a.w say mil nahi sakay, kitni sakt nahosat hai is janwar mein jo kisi aur janwar mein nahi, farishtay os ghar mein nahi jatay jis ghar mein kutta mojod ho aur koi banda kitni bhi ibadat karta ho ya nimaz parh raha ho oski ibadat aur nimaz tot jati hai agar kala kutta oskay samnay say gozar jay, itni sakt nahosat kay asrat hain is mein isiliay Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya hai kay:
Yeh Raaz harut wa marut ko malum tha kay farishtay os jaga nahi aatay jahan kutta mojod ho, woh pehlay khud bhi farishtay thay onko farishton ki nature malum thi, isiliay harut wa marut nay jo bhi jadu sikhaya os mein kuttay kay organs aur hadia on ingredients mein shamil hoti thi takay onkay jadu ka koi tor na hosakay, kuon kay jo bhi shaks kuttay ki masan ka jadu kha gaya os par norani amal asar nahi karay ga, woh rehmat kay farishtay ya mokil kuttay ki nahosat ki waja say os mein dakhil nahi hongay jo osay shifa day sakay, itnay baray farishton kay sardar hazrat Jibrael a.s Nabi pak s.a.w par kuttay ki nahosat ki waja say hazir na hosakay to phir kesay os masan payt mein liay shaks par rehmat kay farishtay ya noori mokil hazir hongay jo osay shifa day sakain? isi waja say kai log jo noori qurani ilaj karwatay hain magar phir bhi onko shifa nahi milti, kai log yeh kehtay hain kay hum nay kai aamil hazrat par itnay pesay kharch kiay magar humara koi masla hal na hua, hum itni ibadat kartay hain tab bhi humara masla hal na hua, in sab ki waja yahi nahosat bhari kuttay ki masan hoti hai, jesay khilaya bhi jata hai, kisi ittar ya perfume mein mix kar kay songaya jata hai ya ghar kay rooms mein phanka jata hai etc, jis say insan sakt nahosat ka shikar hojata hai, agar iska noori ilm say ilaj mumkin nahi to phir iska ilaj kistarah mumkin hai?
Harut wa marut nay jis chalaki say apnay jadu mein woh khas ingredients shamil kiay jis say noori mokil nazdeek bhi nahi asaktay jis say kisi ko shifa day sakain to iska hal olma e rohaniat nay bhi bohat chalaki say nikal lia, Bhayria aur Gidar jo kuttay jesay he 2 janwar hain lekin kuttay jesi nahosat nahi rakhtay khud yeh 2 janwar kutton kay sakt dushman hain, jis shaks ko agar kuttay ki masan khilai gai ho to osay thek karnay kay liay bhayriay ki khal ya skin ka tilsim pehnaya jata hai, os skin mein yeh ability hai kay yeh kuttay ki nahosat ko apnay andar absorb kar letay hain, yeh tilsim kuch waqat pehna kar oskay baad oska rohani ilaj kia jata hai tab osay shifa milti hai, isitarah agar kisi ghar mein kuttay ka masan phanka gaya ho os ghar mein asal gidar singhi rakhi hoto woh sab asrat kuttay kay os ghar say khatam hojatay hain, bhairiay ki skin ka tilsim aur gidar singhi kay mutalik mein detail apnay next blog post mein inshAllah share karon ga,
Dua bhi insan ki taqdeer badal sakti hai agar koi sufi, dervaish, pir ya fakir aysay shaks ko dua day jis par kuttay ki masan kay bad asrat hon to osay shifa mil sakti hai, Nabi pak s.a.w nay dua say aak bachay mein say yeh bad asrat nikalay yeh hadees mein yahan share kar raha hon,
 Bahir mumalik mein aaj bhi yahodi log harut wa marut kay aymal kartay hain aur onko wahan witchcraft shops par easily kuttay kay ingredients mil jatay hain jesay yeh kalay kuttay kay baalon ka sachet jo wahan shops par milta hai, is mein use karnay ka tarika bhi likha hota hai, iski image mein yahan share kar raha hon,

 Jinnat Kuttay:
 Aap nay kabi ghor kia hoga kay din kay waqat kuttay baray sharif masom aur darpok say hotay hain lekin aadhi raat guzarnay kay baad bohat khofnak hojatay hain aur group bana kar raat kay waqat cycle ya bike chalatay waqat logon ko katnay kay liay dortay hain, aysa kuo hota hai? is sawal ka jawab yeh hai kay raat kay doran kutton par jinnat aatay hain aur woh khatarnak hojatay hain, kuch arsa pehlay news paper mein aak khabar ai thi kay aak shaks raat ko apni duty say farikh hokar pedal tanha ghar ki taraf jaraha tha rastay mein aak veeran kaboristan say gozartay hoay kai kutton nay os par hamla kardia aur cheer phar kar mar dala aur suba wahi same kuttay alag alag hokar masom bay zar janwar ki tarah idhar odhar ghom rahai thay, istarah kay wakiat city mein kam hotay hain lekin deehat ya gao(villages) mein ziada hotay hain khas kar india aur pakistan mein, india mein kai aysay wakiat hoay hain, jesay aak shaks nay 2 kutton ko buri tarah pathar mar mar kar on dono ko mar kar onki bodies darakt par taang di jis say shaks ka jism raat ko paralysed hojata aur aak kan say sonai dena band hogaya, osnay bohat ilaj karwaya doctors say magar theek na hosaka phir aak astrologer nay osay bataya kay tumko on kutton ki bad dua lagi hai aur kutton kay jinnat kay asrat tum par hain iska hal yeh hai kay tum kuch aysa kam karo jis say kutton kay jinnat khush hokar tumko maaf kar dain aur onko khush karnay ka tarika yeh hai kay tum kisi kuttia say shaadi karo istarah shaadi ho jesay dhom dham say kisi larki say ki jati hai, tab jakar tum par say woh jinnati asrat khatam hongay, os shaks nay aysa he kia aur os par say woh asrat khatam hogay aur woh bilkol thek hogaya,
An Indian man who believed he had been cursed for stoning to death two dogs has atoned for his sin by marrying another dog in a traditional Hindu wedding ceremony.
P. Selvakumar, a 33-year-old farm labourer from the southern state of Tamil Nadu, married the four-year-old stray bitch after it was bathed and processed to his village temple dressed in an orange sari and garlanded with flowers.The marriage took place on the advice of the man's astrologer who said it was the only way to atone for his actions of more than 20 years ago.He was reported to have suffered a series of physical ailments after stoning the dogs to death and hanging their bodies from a tree.
“After that my legs and hands got paralysed and I lost hearing in one ear,” said Mr Selvakumar after the ceremony with his new "bride", whose name is Selvi. A reception attended by some 200 guests was held for the newlyweds in the groom's house during which Selvi grew restless and ran away.
However she was subsequently recaptured and returned to her husband who gave her milk and a bun to eat. 
Jinnat kutton kay kai anokhay wakiat gao mein hotay rehtay hain, pakistan mein bhi aak gao ka wakia hai kay aak kisan ko raat kay waqat aak kuttay nay kat lia oska ilaj doctors say karwaya woh bilkol thek hogaya lekin raat hotay he woh kutton jesi harkatay karnay lag jata jesay raat ko kuttay bhonktay hain woh shaks raat hotay he sabi ko gandi gandi galia dena shoro kar deta aur suba ko normal hojata, phir yeh silsila barhta chala gaya raat hotay he woh ghar say bahir nikal jata aur jo rastay mein milta osay lanat dena galia dena shoro kar deta aur koi osay daykh kar bhagnay lagta to woh shaks bhi osay bhag kar kat leta, istarah gao mein kai bachon ko aur logon ko osnay kata, jinko osnay katta onko ajeeb bimaria hogai onko apnay aap doray parnay lagtay, woh shaks aak din suba morda paya gaya, kai logon nay bataya kay oskay ghar walon nay he osay mar dia tha, 
Raat kay doran kutton par jab jinnat aatay hain tab on mein aysay asrat ajatay hain aur jab woh kisi insan ko kattay hain to aak virus sa oskay jism mein ajata hai jis say insan werewolf ki tarah adha insan adha kutta ban jata hai aur kutton jesi harkatay karta hai,
Veeran Kaboristan mein rehnay walay kutton par bhi bad ruh dakhil hojati hai aur yeh bhi khatarnak hotay hain bohat, inkay kattnay say wahi same problem hoti hai jo jinnati kutton kay katnay say hoti hai, jinnat kutton kay mutalik kuch ahadees mein yahan share kar raha hon,
Kuttay ki nazar e bad bhi kali billi ki tarah khatarnak hai, khanay kay doran agar yeh ajay to osay kuch khana day dia jay ya wahan say bhaga dia jay, onki nazar e bad say la ilaj cancer jesi bimari peda hosakti hain,

Jinnati Kutton kay Katnay say honay wali bimario ka ilaj:
Jinnati kutton kay kat lenay kay baad insan ka bach jana na mumkin hai agar woh insan katnay kay baad deewangi ya pagal pan jesay marz mein mobtala hokar last stage mein pohanch jay tab, bachpan mein aak aamil ko meinay aak gao mein dekha tha jiskay pas aak choti larki ko oskay parents lekar ay aur aamil ko bataya kay isay aak kuttay nay kat lia tha, iska ilaj karwaya yeh thek to hogai hai magar chop chop see rehti hai kisi say baat nahi karti aur khanay mein sirf gosht wali chezain khati hai, salan aur roti nahi khati sirf botia khati hai aur pani say isay khof aata hai aur bilkol bhi nahi nahati, woh pehlay aysi nahi thi kuttay kay katnay kay baad aysi hogai hai, aamil nay samnay rakhay pani kay glass mein apni aunglia bhego kar larki kay face par pani kay cheentay maray to larki aysay face ko jhataknay lagi jesay kutta karta hai jab os par pani parta hai, aamil nay larki kay walid kay kan mein kuch kaha aur woh udas hogaya aur woh log chalay ghay, woh larki kuch din baad apnay aap mar gai, aamil nay larki kay walid ko kan mein bata dia hoga kay larki ka last stage hai oskay bachnay ki koi umeed nahi,
Olma e rohaniat nay jinnati kutton kay katnay say honay wali ajeeb pur israr bimari ka ilaj bataya hai, is bimari ka aak khas naqsh hai jiski image mein yahan share kar raha hon,
Yeh Ashab e kehaf ka naqsh hai jiskay beech mein onkay khas kuttay katmeer ka nam likha hai, yeh katmeer ka naqsh jinnati kutton ki bimari ko dor karnay kay liay akseer hai, isay zafaran say likh kar phir dhok kar marez ko pilaya jay aur aak iska tawez oskay galay mein pehna dia jay inshAllah shifa hogi, katmeer sabi jinnati kuton ka sardar hai aur yeh khas tawez katmeer say mansob hai, jinnati kutton say hifazat kay liay bhi isay pehna jata hai,
isitarah olma e rohaniat nay kai aysay tilsim aur tawez banae jesa kay aak yeh hai,
Yeh khas naqsh wa tilsim kisi bowl mein likh kar ya konda(engraved) kar kay os mein pani dal kar pia jata hai jis say jo jinnat saanp, bicho ya kutton kay rop mein akar kisi ko kat letay hain to onkay bad asrat foran khatam hojatay hain, yeh tilsim wa naqsh bohat he zabardast asar wala aur azmoda hai,

Amal Taskheer Jinnat Al-Kalab: 
Amliyat ki dunia mein jinnati kutton ki taskheer kay aymal bohat kam humay parhnay ko miltay hain, kai books mein inkay mutalik koi bhi amliyat ya information likhi nahi milti, aak amal mujay aak qadeem arabic book jiska nam "Kitab Al-Bilnias" hai os mein say mila jo mein yahan share kar raha hon,
 Opar jo amal hai jinnati kutton ko taskheer karnay ka bohat he asan aur best hai iskay zariay na sirf zameen mein dafenay ka malum parta hai balkay aur bhi kai aymal kiay jasaktay hain, meinay haikal e sulaymani ka wazaif aur kalmat share nahi kiay takay koi na ahal yeh amal kar kay noksan na otha ay khazanay ki lalach mein akar, kuo kay yeh amal bohat khatarnak hai, zara see galti hoi amal mein to jinnati kuttay amal karnay walay ko cheer phar kar mar daltay hain, mujay meray ustad nay yeh amal karnay ki abhi ijazat nahi di kuo kay amal kay baad bhi jinnati kuttay bar bar aamil kay pas khanay ki dawat par anay lag jatay hain aur agar aamil nay onko khana na khilaya to woh oskay dushman hojatay hain aur oski family kay members aak kay baad aak marnay lag jatay hain, meray ustad mohtaram nay bataya kay khazanay ki lalach mein kai logon nay yeh amal kia jis par onko khazana to mila magar apnay pyaron say humaysha kay liay bichar ghay, jinnati kutton nay onko mar dala aur raat ko onki kabaron mein onko khanay lagay, isliay yeh safli amal bohat khatarnak hai aur woh shaks bilkol na karay jiskay sath family ho,

Amliyat Kalab Al-Aswad:
Jesa kay meinay opar bataya kay kalay kutton kay amliyat 2 logon mein muhabat ya 2 logon mein judai kay mutalik kiay jatay hain aur in sabi amliyat ka taluk "Aymal e Harut wa Marut" ya Kitab "Sehar al harut wa marut" say hai, 
Agar kisi larki ko kisi larkay say muhabat ho aur larka os say muhabat na karta hoto larki apnay haath say aata gondh kar 5 rotia paka kar on rotio par apna nam walda ka nam, larkay ka nam aur oski walda ka nam aur phir yeh likhay "muhabat wa shadi peda shod" oskay baad roti kay bilkol center mein "Qatmeer" likhay oskay baad woh rotia kisi bhokay male kalay kuttay ko khila day to behtar hai warna jis rang ka bhi ho osay khila day, inshAllah woh larka os larki say muhabat karnay lagay ga aur shaadi karay ga, isitarah agar larka kisi larki say muhabat karta aur larki na karti ho to larka kisi konwari larki say 5 rotia pakwa kar woh sab likay jo opar bataya oskay baad kisi female bhoki kuttia ko woh rotia khila day inshAllah woh larki bohat muhabat karnay lagay gi, yeh aymal azmoda hain meray is say kai logon ki meinay madad ki hai,


Opar jo amal hai yeh 2 logon mein nafrat aur judai ka hai, meinay yeh amal complete share nahi kia, waqat, din aur saayt aur kis khas jaga say matti leni hai yeh sab image mein meinay hide kardia hai takay na jaiz koi kisi par yeh amal na kar sakay, yeh amal masan wala hai jiskay mutalik meinay opar bataya tha, yeh masan bhi kafi khatarnak hoti hai jis say 2 logon mein judai hojati hai, isitarah ka aak amal qadeem arabic book "kitab al-ajaib al-makhlokat" mein bhi likha hai,
Is kitab mein "Hajar Al-Kalab" kay mutalik likha hai yehni aysa khas pathar jo kisi kalay kuttay ko mara jay aur woh kutta os pathar ko gusay mein mo mein daboj kar phank day to woh pathar bohat asar wala ban jata hai jisay kai amliyat mein use kia jata hai, inshAllah bohat jald mein is khas pathar kay mutalik bohat kuch share karon ga, jab patharon kay topic par likhon ga,
Aur bhi bohat kuch likhna chahata hon magar ijazat nahi isliay is Black Dog kay topic ko yahin complete karta hon, inshAllah bohat jald new topic kay sath hazir honga,
Apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,
Allah pak aap sab ko sada khush wa abad rakhay (ameen).

              Ali. 
  +92 03003799165