Pages

Monday, January 26, 2015

Elemental Geomancy (Ansari Ramal)


Ilm Ramal kay mutalik meinay kuch arsa pehlay iski tarikh apni blog site par share ki thi kay ilm ramal aak alhami ilm hai jo Nabion par nazil hoa tha, yeh muqadas ilm jis Nabi par bhi nazil hoa ho magar yeh sabit hogaya kay ilm ramal aak manzil min Allah ilm hai,
Hazrat Ibn Abas (r) farmatay hain kay meinay aak din Nabi pak s.a.w say arz ki kay meinay aak shaks ko dekha hai kay woh betha hoa rayt par lakeeray khinch kar logon ki kismat kay halaat bata raha hai aur log osay jhotlatay hain, Aap s.a.w nay irshad farmaya kay yeh aak ilm aak Nabi par nazil hoa tha, pas jo shaks os nabi kay amal kay moafik is ilm ka istamal karay to mojab e sawab hai, 
Aur khud Nabi pak s.a.w ki aak aur hadees bhi is ilm par mojod hai,
Yeh ilm kai paygambaron par nazil hoa tha jiski tarikh mein pehlay share kar choka hon, Hazrat Danial (a.s) ko yeh ilm bator e mojaza ata hoa tha, jab Hazrat Danial (a.s) nay is ilm ko hazrat Jibrael a.s say seekha to phir rayt ko apnay daman mein lay kar misar ki bazar kay aak konay mein ja bethay, os waqat aak shaks nay akar aap a.s say apna haal dariaft farmaya, aap a.s nay rayt par ramal ka hisab bana kar oska nam surkhab batlaya aur farmaya kay aak hazar satar bakrion ka tu malik hai aur tera bhai safar mein hai aur os jaga woh aak khatai larki par ashiq hai aur os larki ka nam tabak hai, istarah aap a.s nay oskay bohat say halaat bayan farmay jinko surkhab nay tasleem kia jis say aap a.s ki misar mein shohrat hoi aur log apnay masael kay hal kay liay aap a.s ki khidmat mein hazir honay aur aap a.s par eeman lanay laghay,
Kuch tarikh main olmao nay istarah likha hai kay jab Hazrat Danial(a.s) apni kom ki mukhalfat ki waja say shar say bahir ghay tab yeh ilm bator e mojaza ata hoa tha, Aap (a.s) nay is ilm kay zariay logon kay dilon ka hal bayan kia is say kom main hazrat Danial(a.s) ki izat aur aytmad payda hogaya, ortay ortay yeh khabar os waqat kay badshah ko pohanchi to osnay hazrat Danial(a.s) ko bolwa bhayja aur imtehan laynay kay liay chand batain pochi jin ka Aap (a.s) nay dorast jawab dia jis say badshah bohat mutasir hoa osnay hazrat Danial(a.s) say kaha kay aap meray betay ko ilm Ramal ki taleem dain,
Hazrat Danial(a.s) nay shezaday ko bari dil jami kay sath ilm ramal ki taleem dena shoro ki aur is ilm main mahir kardia, jab shezada ilm ramal main kamil hogaya to badshah bohat khush hoa, Badshah nay akaylay main hazrat Danial(a.s) ko bolaya wahan par shezada bhi mojod tha kol 3 afrad wahan par mojod thay, bataon bataon main hazrat Danial(a.s) nay shezaday say farmaya kay humaysha say yeh mamol chala araha hai kay har aak zamanay main Allah pak nay logon ki hidayat aur rehnomai kay liay aak paygambar ko bhayja hai, tum ilm ramal kay zariay malum karo kay is zamanay main koi paygambar mojod hai kay nahi?, chinachay shezaday nay khat ramal khincha aur hisab laga kar kaha kay is zamanay main paygambar mojod hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir pocha kay agar paygambar hai to is waqat kis shehar main hai?, shezaday nay hisab laga kar bataya kay isi shehar main hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir dariafat kia kay isi shehar main kis mokam par hai?, shezaday nay jawab dia isi mokam par hai, Tab Hazrat Danial (a.s) nay pocha kay agar paygambar is jaga par hai to woh kon hai? shezaday nay phir hisab laga kar kaha is jaga par hum 3 shaks hain na to main paygambar hon na mera baap paygambar hai beshak aap paygambar bar haq hain, Badshah yeh giftago son raha tha woh aur shehzada osi waqat hazrat Danial(a.s) par eeman lay ay oskay baad baki tamam kom bhi gomrahi say tayb hokar hazrat Danial (a.s) par eeman lay ai.
Yeh Wakia Hazrat Danial a.s ka hai, istarah aur bhi ilm ramal say joray kai Nabion kay wakiat humay tarikh ki kitabon mein miltay hain, yeh ilm jis Nabi par bhi nazil hoa sab say pehlay Hazrat Jibrael a.s nay rayt par apni charon fingers say nishan laga kar is ilm ki taleem di, in 4 nokton kay nishan ko Tareek kaha jata hai,
Aur phir Hazrat Jibrael a.s nay in char nokton kay barabar mein aur 8 noktay bana kar rayt par aak aur figure banai jiska nam Jamaet hai,
4 nokton wali figure jiska nam tareek hai is figure kay charon noktay 4 elements yehni ansaron say mansob hain, tareek ka pehla nokta element fire ka hai, dosra element air ka, tesra element water ka aur chohta element earth ka hai,
Isitarah 8 nokton wali figure jamaet mein bhi pehlay 2 noktay fire, dosray air kay, tesray water kay aur chohtay element earth kay hain, aab mein jo baat batanay jaraha hon woh aap ghor say parhna,
tareek figure mein charon element open aur active hain aur jamaet figure mein charon element closed yehni band hain,
aak noktay ko "fard" kaha jata hai aur 2 nokton ko "zoj" kehtay hain,
Tareek figure mein charon noktay fard kay hain aur jamaet figure kay charon jori dar noktay zoj kay hain,
tareek figure kay element fire kay fard kay noktay ko jamaet figure kay element fire kay zoj kay noktay par rakha aur jamaet kay element fire kay zoj kay noktay ko tareek ki figure par rakha jis say humay 2 aur new figures mili,
5 nokton wali figure ko "otba al dakhil" kehtay hain aur 7 nokton wali figure ko "lehan" kehtay hain, otba dakhil figure mein element fire closed yehni band hai baqi teeno elements open hain, lehan figure mein element fire open hai baqi teeno elements band hain,
aab figure tareek kay element air kay fard ko humnay figure jamaet kay element air par rakha aur jamaet figure kay element air kay zoj kay noktay ko tareek figure kay element air par rakha jis say humay do aur new figures bani mili,
Is image mein jo 5 nokton wali figure hai isay "naqi" kehtay hain is mein element air zoj anay say band hai, baqi elements open hain, 
jo 7 nokton wali figure hai isay "hamrah" kehtay hain is mein fard anay say element air open hai baqi teeno elements band hain is figure mein, 
aab figure tareek kay element water kay fard ko humnay figure jamaet kay element water par rakha aur jamaet figure kay element water kay zoj kay noktay ko tareek figure kay element water par rakha jis say humay do aur new figures bani mili istarah,
Is image mein jo 5 nokton wali figure hai isay "farah" kehtay hain aur 7 nokton wali figure ko "bayaz" kehtay hain, farah figure mein zoj anay say element water is figure mein band hai, bayaz figure mein fard anay say element water is figure mein open hai,
aab figure tareek kay element earth kay fard ko humnay figure jamaet kay element earth par rakha aur jamaet figure kay element earth kay zoj kay noktay ko tareek figure kay element earth par rakha jis say humay do aur new figures bani mili istarah,
Is image mein jo 5 nokton wali figure hai isay "otba al kharij" kehtay hain aur 7 nokton wali figure ko "inkees" kehtay hain, otba kharij figure mein zoj anay say is figure ka element earth band hai aur inkees mein fard anay say element earth is figure ka open hai,
aab figure tareek kay element fire aur air kay fard ko humnay figure jamaet kay element fire aur air par rakha aur jamaet figure kay element fire aur air kay zoj kay nokton ko tareek figure kay element fire aur air par rakha jis say humay do aur new figures bani mili istarah,
Is image mein yeh dono figures 6 nokton par hain, jis figure mein pehlay 2 zoj aur 2 fard hain is figure ko "nasra dakhil" kehtay hain aur dosri figure jis mein pehlay 2 fard aur 2 zoj hain isay "nasra kharij" kehtay hain, figure nasra dakhil mein element fire aur air band hain zoj anay say aur figure nasra khari mein element fire aur air open hain fard anay say,
aab figure tareek kay element fire aur earth kay fard ko humnay figure jamaet kay element fire aur earth par rakha aur jamaet figure kay element fire aur earth kay zoj kay nokton ko tareek figure kay element fire aur earth par rakha jis say humay do aur new figures bani mili istarah,


Is image mein bhi yeh dono figures 6 nokton par hai, jis figure mein element fire aur earth mein zoj hai is figure ko "ijtama" kehtay hain, aur dosri figure ka nam "aqla" hai is mein element fire aur earth open hain fard ki waja say,
aab figure tareek kay element fire aur water kay fard ko humnay figure jamaet kay element fire aur water par rakha aur jamaet figure kay element fire aur water kay zoj kay nokton ko tareek figure kay element fire aur water par rakha jis say humay do aur new figures bani mili istarah,
Is image mein bhi yeh dono figures 6 nokton par hai, jis figure mein element fire aur water mein zoj hai is figure ko "Qabz dakhil" kehtay hain is figure mein element fire aur water band hain, dosri figure jis mein fard anay say element fire aur water open hain is figure ko "Qabz kharij" kehtay hain,
Figure Tareek kay noktay fard aur figure Jamaet kay noktay zoj ki apas mein mixing say total 14 figures he ban sakti hai is say agay aur koi figure nahi ban sakti, tareek aur jamaet ko 14 figures mein shamil karnay say humay total 16 figures milti hain, inhe 16 figures say ramal ka hisab banaya jata hai,
Ramal ki in 16 figures mein jo figure 4 nokton ki hai osay "Rabai" kehtay hain aur 4 nokton wali figure sirf aak Tareek he hai,
jo figure 8 nokton ki hai osay "Samani" kehtay hain aur yeh figure bhi aak Jamaet he hai,
Jo figures 5 nokton ki hain onko "khamasi" kehtay hain woh total 4 figures hain jinkay nam yeh hain: Naqi, Farah, Otba dakhil aur Otba kharij,
Jo figures 7 nokton par hain in figures ko "Sabai" kehtay hain aur woh bhi total 4 figures hain jinkay nam yeh hain: Lehan, Inkees, Hamrah aur Bayaz,
Jo Figures 6 nokton par hain in figures ko "Sadasi" kehtay hain aur yeh total 6 figures hain jinkay nam yeh hain: Qabz kharij, Qabz dakhil, Ijtama, Nasra kharij, Nasra Dakhil aur Aqla,
In sabi 16 figures ki apas mein calculation say hisab banaya jata hai, mein aab aap ko ramal ki figures ki apas mein calculation ka tarika batata hon,

Geomantic Calculation:
Mein opar bata choka hon kay 1 noktay ko fard aur 2 nokton ko zoj kehtay hain, fard aur zoj ki apas mein calculation say ramal ka hisab yehni zaicha banta hai, opar image mein meinay fard aur zoj ki calculation ka tarika bataya hai, 
fard + fard = zoj hoga,
fard + zoj = fard hoga,
zoj + fard = fard hoga,
zoj + zoj = zoj hoga,
isi nokton ki apas mein calculation say 2 figures say hum 3rd figure
ramal ki bana saktay hain jesay opar image mein figure kabz dakhil aur figure farah ki apas mein calculation say figure lehan bani isitarah har ramal ki 2 figures ki apas mein calculation say 3rd figure hum bana saktay hain,

Zaicha e Ramal:
Ramal ki figures kay mutalik meinay opar bataya kay kistarah fard aur zoj ki apas mein calculation say ramal ki figures banai jati hain, aur aab mein ramal ka zaicha bananay ka tarika yahan share karta hon, opar image mein meinay rayt par zaicha banaya hai aur rayt par banay is zaichay ko samajna aap kay liay thora moshkil hoga, isliay mein yahan easy tarikay say zaicha bananay ka tarika aap sab say share karta hon,
Opar image osi zaichay ki hai jo rayt par bana hai, is image mein meinay har figure kay opar numbers diay hoay hain jo 1 say 16 tak hain, yeh numbers jahan diay hain inhay "Al Beot Al Ramal" yehni inhai ramal kay houses kaha jata hai, jistarah astrology mein 12 houses hotay hain same isitarah ramal kay zaichay mein 16 houses hotay hain, in houses kay mutalik mein agay share karo ga abhi mein zaichay ko bananay ka tarika aap ko batata hon, ramal kay zaichay mein jo 1 2 3 4 houses hain inhai "Amhat" kaha jata hai, amhat arabic word hai jiski meaning hai "mothers", zaichay mein jo 5 6 7 8 houses ko "Binat" kaha jata hai aur yeh arabic word hai jiski meaning hai "daughters", zaichay mein 9 10 11 12 houses ko"Matuldat" kehtay hain jiski meaning "nephews" hai, zaichay mein 13 14 15 16 houses ko "Zawaidat" kehtay hain jiski meaning "judges" hai,
Ramal kay zaichay mein sab say pehlay 4 figures amhat kay 4 houses mein banai jati hain aur inhe 4 figures say baqi tamam houses ki figures calculation say ban jati hain, shoro ki 4 figures bananay kay kai tarikay hain jin mein say kuch tarikay mein yahan share karta hon,

The Ritual Of Geomancy:

Ilm Ramal par kai muslim olmao nay kitabay likhi yeh nayab kitabay kai to aab zaya hochoki hain aur chand kitabay he humay parhna naseeb hoi hain aur yeh kitabay bhi aab market mein say ghom hoti jarahi hain kuo kay jo baray bozrog thay woh in arabic nayab kitabon ka tarjoma urdu mein kar kay in books ko publish kartay thay lekin afsos aaj kay dor kay nojawan log cricket sport ya games khelnay mein apna waqat gozartay nazar aatay hain to kuch fahash movies dekhtay aur songs sontay nazar aatay hain aur har mohalay ka har dosra nojawan kisi na kisi larki kay ishq mein majno bana hota hai jo apna kemati waqat, apna pesa aur apni sari energy osi par kharch karta hai, aaj kay dor mein kisi kay pas time he nahi books parhnay ka aur aaj kay dor kay log rohaniat say dor bhagtay hain, is dor mein jo rohaniat ya rohani olom ki baat karta hai osay log gao ka jahil samajtay hain jisay bahiri dunia ka kuch ilm nahi ya phir fraud samaj letay hain aur kuch nojawan log aysay hain jinko deen say bohat lagao peda hojata hai aur nimaz ki pabandi aur rozay rakhtay hain in logon mein rohaniat peda hona shoro hojati hai aur woh in rohani oloom par ghor kartay hain aur inhai seekhnay ki jistajo onkay andar peda hoti hai magar afsos humaray deen islam mein aysay firkay ban chokay hain jo rohaniat say aysay logon ko dor kar daytay hain in oloom ko haram keh kar, 
pichlay dor kay olma jesay Hazrat Imam Ghazali, Hazrat Imam Razi aur Hazrat Ibn arabi jinhonay deen par, rohaniat par, tasawof par aur rohani oloom par kai kitabay likhi aur inhi ki kitabay parh kar aaj kay dor kay log olma banay hain, rohani oloom on bari hastio kay nazdeek haram nahi thay onhonay to in oloom par kitabay likhi lekin aaj kay olma kay nazdeek kesay yeh oloom haram hoghay?
Yahi woh wajohat hain jis say in oloom say aaj kal ka nojawan dor hota jaraha hai, mein aab ramal ka hisab bananay kay topic par aata hon aur is topic ko mein yahin stop karta hon is Quran e pak ki ayat kay sath, "Allah pak bhed ki baat apnay hokam say apnay bandon mein say jis par chahai otaray". (surah al momin)

Hazrat Imam Fakharulldin Razi woh azeem hasti hain jinhonay kai oloom par kitabay likhi, inki ilm ramal kay topic par bhi aak kitab hai jiska nam "Kitab Al Ramal" hai, is kitab mein jo ramal ka hisab bananay ka islamic ritual yehni amal hai woh bohat nayab hai jo aur kisi kitab mein humay nahi milta hai, woh ritual yehni amal mein yahan share kar raha hon,
Ilm Ramal rayt par nazil hoa tha aur iska taluk bhi rayt say he hai isliay ramal ka hisab rayt par banana ziada behtar rehta hai, jo rayt par ramal ka hisab banata hai ospar khas rohaniat nazil hoti hai aur isi khas rohaniat say ramal ka hisab bananay wala ramal kay israr ko samaj pata hai, ramal kay liay jo rayt use ki jay woh jis makam say lai jay woh jaga bhi pak ho aur os makam par kisi ka qadam na para ho aur agar woh rayt koi na balik bacha lekar ay to behtar hai, 
is rayt ko kisi pak saaf chadar ya kisi wooden box par dal kar phela day istarah kay ramal ki ashkal ospar asani kay sath otari ja sakain,
ilm e ramal ka khas box jo meinay apnay liay banaya hai is par ramal ka pura zaicha asani say ban sakta hai, meray is box ki image yeh hai,
Yeh mera khas ramal ka box sirf ramal kay hisab mein he nahi balkay ramal kay khas amliyat mein bhi kam aata hai,
Rayt kisi chadar ya wooden box mein phela kar oskay baad rayt par Ayat al kursi aur 4 kol parh kar dam kar kay yeh dua parhai:
الاهم انى اسلك بكل اسم دعاك به احد من خلقك قايما او قاعدا اور اكعا اوساجد افى السموات اوفى الارض اوفى البر اوفى الجروبين منى و عرفات عندالمقام و بيتك الحرام دعاك به مجملا اوفى ملاء خاليا فى ظلمة اليل اوفى ضوء النهار فسمعت دعاء وهو كشفت بلاىه اسلك ان ترينى حاجتى فى هذه النقاط الرمل بحول منك و قوة انك على كل شئ قدير. 
aak dosri rawaet mein hai kay jis waqat ramal rayt par khinchay to Bismillah parh kar surah fateha aur kol parhay aur tamam anbia e karam, aulia e karam aur hazrat Danial a.s ko tohfatan wa hadiatan pesh karay aur yeh dua parhai:
وعنده مفاتح الغيب لايعلمها الاهو ويعلم مافى البروالبحرومايسقط من ورقة الايعلمها ولاجة فى ظلمات الارض ولارطب ولايابس الافى كتاب مبين اللهم كشف من خطوط هذه الرمل بحق آدم و شيث و ادريس و دانيال و ارميا و شعيا و داود و خضر صلوات الله تعالى عليهم اجمعين    
Dua rayt par parhnay kay baad rayt par apni finger say sans rok kar noktay dalta jay aur nokton ko ginta na jay aur aak line nokton ki bana kar phir sans choray phir sans rok kar dosri line noktay ki banata jay istarah 4 lines nokton ki bana lay, agar noktay rayt dalnay say rayt par noktay zahir na horahai hon ya halkay dikhai denay lagay to dobara rayt ko apnay haath say barabar kar kay dobara noktay dalay, iska sabab ya to rayt na pak hogi ya jiskay liay amal kar rahai hain woh na pak, zina karnay wala ya kafir hoga ya agar aurat hai to osay periods hongay, agar rayt par noktay daltay hoay agar finger mein koi kankar lagay to iska matlab yeh hota hai kay jiskay liay amal kar rahai hain osko koi zakham hoga,
jis waqat sakht hawa chal rahi ho, toofan ya andhi ho ya barish horahi ho to rayt par amal na karna chahehai aur is amal ka waqat suba say lekar zohar ki nimaz tak hai oskay baad asar ki nimaz tak na karna chahehai aur agar zarorat ziada hoto sham ki nimaz tak jaiz hai,
Rayt par ramal ka zaicha bananay kay baad jab ospar koi israr mukhfi zahir hoto woh osko apni taraf say gaman na karay, oskay liay yeh bhi zarori hai kay woh har baat mein inshAllah kahai aur jo malumat ilm ramal kay zariay say osko hasil hon os say ziada hargiz na kahai kuo kay koi hokam izhar kay laik hota hai aur koi izhar kay laik nahi hota, isliay is baat ka lehaz rakhna aur ahtiat karna zarori hota hai aur yeh bhi khyal rakhay kay aysa koi hokam he na karay jis say fasad honay ka khatra ho, agar koi sael ya sawali kay apka hisab aur zaicha bilkol sacha aur dorast hai to is baat par naaz ya guror na karay aur na he yeh kahai kay meray kabzay mein jinnat ya moakil hain balkay yeh kahai kay yeh to aak hisab aur calculation hai agar aap bhi seekh jao to aap bhi meri tarah sab bata pao ghay, agar koi sael ya sawali zid karay aur inkar karay kay aap nay jo bhi batain kahi sab galat aur jhot hain to ospar ghamghen nahi hona chahehai balkay Allah pak ki taraf apna dhian lagana chahehai, ramal ka hisab bananay walay ko yeh bhi chahehai kay apni khushi say woh kisi ka hisab rayt par na banae aur jis bhed ya raaz say wakif hojay aur dosra os baat par monkir ho yehni bagarz imtehan mosalsal inkar karay to osko ilamat ya nishanio say samjha day aur os baat ka ghosa hargiz na karay,
Jo khat bhi rayt par khinchay to yeh khyal karain kay jistarah Hazrat Danial a.s kay samnay khinchay ghay osi tarah khinchnay ki koshish karain kay jesay lafz ghaib say otaray hain yehni tamam noktay barabar hon, nokton ki line mein seedhi ho, is baat ka khyal rakhain kay agar suba kay waqat nokton ki line rayt par dalain to line lambi ho agar din yehni dopahar ko dalain to line darmiani ho aur agar sham kay waqat dalain to line choti ho,

Nokton ko do do tarah dain jo akhir mein bachay osko fard wa zoj say shomar karain, 4 nokton ki lines say 1 ramal ki figure banti hai, isi tarikay say 4 figures ramal ki banai jati hain aur in 4 figures ko amhat ki figures kaha jata hai jis say baqi pura zaicha banaya jata hai yahi tarika aam aur mashor hai,
Opar image dekhnay say aap easily samaj ghay hongay kay kistarah ramal kay zaichay mein 4 amhat ki figures banai jasakti hain,
Ramal ki qadeem kitab "Jameh Al Israr" mein imam rasheduldin mianji say rawaet hai kay ahal e barbar ramal ki figures istarah hasil kartay hain kay aak nokton ka khat kaman ki tarah khinch kar osko sulan sulan(16 & 16) tarah dekar jo baqi rahai osko "Daira Sakan" mein talash kartay hain aur jahan woh adad khatam ho wahi figure awal amhat hai phir wahan say 7th figure ko 4th figure amhat hasil kartay hain, iskay mutalik asan tarikay say aap ko agay samjata hon, kaman ki shikal ka nokton ka khat jisay "khatt e kosi" kehtay hain woh istarah rayt par banaya jata hai,
Aur yeh daira e sakan hai,
Rayt par dua karnay kay baad sans rok kar nokton ka khat e kosi
banaya jay bina noktay ginay, jab khatt e kosi ban jay to oskay baad on nokton mein say 16 noktay gin kar onko minus yehni kat kar baqi kay nokton ko count kia jay,
Opar image mein khat e kosi mein total 25 noktay hain jin mein say 16 nokton ko tarah di yehni minus kia to baqi 9 noktay bachay, aab daira sakan mein dekha to 9 number wali figure Bayaz hai,
Aab is figure bayaz ko zaicha e ramal kay 1st house mein rakha istarah,
Ramal kay zaichay mein humay pehlay house ki figure bayaz mil gai aab 2nd house ki figure istarah banay ghi kay zaichay mein bayaz figure say aghay hum 7 count karay ghay jo satway number ki figure hogi osay 2nd house mein rakhay ghay,
Daira sakan mein bayaz figure say 7 count karnay par humay figure Ijtama mili jisay humnay zaicha kay dosray ghar mein rakha istarah,
Aab zaichay mein 3rd house ki figure bhi same isitarah hasil hogi yehni Ijtama figure say 7 count karnay par jo figure milay ghi osay 3rd house mein rakhay ghay,
 
Daira sakan mein ijtama figure say count karnay par humay figure farah mili jisay zaichay mein 3rd house mein rakha istarah,
Aab zaichay ki 4th figure bhi same isitarah hasil hogi yehni daira sakan mein figure farah say 7 count karnay par jo figure milay ghi osay 4th house mein rakhay ghay,
Daira sakan mein figure farah say 7 count karnay par humay figure Nasra al dakhil mili jisay humnay 4th house mein rakha istarah,
Istarah humay zaichay mein Amhat ki charon figures mil ghai aur inhe charon figures say baqaya houses ki sabi figures banay ghi, aak ramali yehni ramal kay ilm rakhnay walay ko daira sakan achi tarah yaad hota hai aur woh khatt e kosi rayt par bana kar aak figure hasil karta hai aur isi figure ko daira sakan kay hisab say teen aur figures hasil kar kay khatt e kosi ko rayt par mitta kar zaicha bana leta hai 16 houses ka, 
Aab mein zaicha mein houses 5 6 7 aur 8 ki figures bananay ka tarika share karta hon, in charon houses ko binat kehtay hain,
Binat kay 5th house ki figure istarah banti hai kay amhat kay houses 1 2 3 aur 4 ki figures kay element fire say fard aur zoj say binat ki 5th house ki figure banai jati hai, is image ko dekh kar aap easily samaj jao ghay,
Opar image dekhnay say aap easily samaj ghay hongay kay binat kay 5th house ki figure bayaz kistarah bani, amhat kay 1 house ki figure bayaz kay element fire kay zoj ko lia phir 2nd house ki figure ijatama kay element fire kay zoj ko lia, phir 3rd house ki figure farah kay element fire kay fard ko lia aur phir 4th house ki figure nasra dakhil kay element fire kay zoj ko lia istarah humay bayaz figure mili binat kay house 5th ki, same isi tarikay say phir amhat ki charon houses ki figures kay element air say bhi aak aak fard aur zoj say binat ki 6th house ki figure banay ghi, yeh sab aap yeh image dekhnay kay baad samaj jay ghay,
Opar image mein meinay figures ko colours say highlight kar kay samjhaya hai, binat ki 5th house ki figure amhat kay houses 1 2 3 aur 4 ki figures kay element fard aur zoj say bayaz figure bani, isitarah amhat kay charon houses ki figures kay element air kay fard aur zoj say binat kay 6th house ki figure ijtama bani, isitarah amhat kay charon houses kay element water kay fard aur zoj say binat ki 7th house ki figure farah bani, isitarah amhat kay charon houses kay element earth kay fard aur zoj say binat ki 8th house ki figure nasra dakhil bani, 
istarah humain binat ki charon figures mil ghai,
Aab matuldat kay houses 9 10 11 aur 12 mein kistarah figures banay ghi oskay mutalik share karta hon, 9th house mein figure house 1 aur 2 ki figures ki apas mein calculation say banti hai istarah,
1st house mein figure bayaz hai aur 2nd house mein figure ijtama hai dono ki apas mein calculation say humain figure hamrah mili jisay 9th house mein rakha, istarah 3rd aur 4th house ki figures ki apas mein calcultaion say humay figure otba kharij mili jisay humay 10th house mein rakha, house 5th aur 6th ki figures calculation karnay say humay figure hamrah mili jesay 11th house mein rakha aur 7th aur 8th houses ki figures ko calculation karnay say humay figure otba kharij mili jisay 12th house mein rakha,
Istarah matuldat kay houses 9 10 11 aur 12 ki figures banai jati hain amhat aur binat ki figures ki apas mein calculation say, aab mein zawaidat kay houses 13 14 15 16 ki figures bananay ka tarika share karta hon,
zawaidat kay charon houses ki figures bhi isitarah banti hain jistarah matuldat kay houses ki bani, zawaidat kay 13th house ki figure 9th aur 10th house ki figures ki apas mein calculation say banti hai, 9th house mein figure hamrah hai aur 10th house mein figure otba dakhil hai in dono ko apas mein calculate kia to kabz kharij figure mili jisay 13th house mein rakha, isitarah house 11th aur 12th ki figures ko apas mein calculate karnay say bhi humay kabz kharij figure mili jisay humnay 14th house mein rakha, isitarah 13th aur 14th figures kabz kharij ki calculation say humay figure jamaet mili jisay 15th house mein rakha aur phir 15th house ki figure jamaet ko 1st house ki figure bayaz say calculation karnay say humay figure bayaz he mili jisay 16th house mein rakha,
Istarah matuldat ki charon figures ki calculation say zawaidat ki figures banti hain, aab jo mein baat batanay jaraha hon woh bohat khas hai, zaichay mein 15th house mein anay wali figure par humaisha ghor kia jata hai kuon kay 15th house mein jo bhi figure ay ghi os mein 2 fard aur 2 zoj zaror hotay hain, agar is mein aysi figure ajay jis mein 3 fard aur 1 zoj ho ya 3 zoj ya 1 fard hoto iska matlab aap nay zaichay bananay mein ya calculation karnay mein kahin galti ki hai, agar 15th house mein figure jamaet ajay ya tareek to yeh hisab band kehlata hai yehni is hisab ko parha nahi jata phir dosra hisab banaya jata hai, aysa tab hota hai jab woh banda kisi sakti mein hota hai jiska hisab banaya jata hai ya phir din sakt hotay hain tabhi bhi aysa hota hai, opar image mein 15th house mein jamaet figure ai hai yeh hisab band hai isay parhna manah hai,

Beot Al Ramal:
Ilm e ramal ka zaichay bananay ka tarika to meinay opar share kar lia aab mein ramal kay zaichay mein jo 16 ghar ya houses hotay hain jinhai arabic mein "Baet" kehtay hain onkay mutalik yahan batata hon, ramali osay kehtay hain jo ramal ka hisab banata hai aur sael osay kehtay hain jo ramal ka hisab banwata hai, ramal kay zaichay mein pehla house sael ki zindagi kay mutalik hota hai dosra oskay rupay peson ka, teesra house oskay behan bhaion ka, chotha oskay ghar ka etc..., opar image mein meinay har ghar ka nam arabic mein likha hai kay konsa ghar kiskay mutalik hai, iski mazeed detail yahan likh raha hon,
1 Baet Al Sael:
Sael jo ramal ka hisab banwanay aata hai yeh house oskay nafs, ruh, tan wa jan, zindagi, naseeb, sitaray, kayfiat wa mazaj aur zaat kay mutalik hai.
2 Baet Al Maal:
Yeh house mansob hai maal, rupay pesay, tijarat, rizaq, khazana, ghiza, karz lena wa dena, kharid wa farokhat, faida wa noksan, amanat sonpn, khana peena, mehman wa mehman nawazi aur dawa e mariz ka etc...
3 Baet Al Aqarab:
Yeh House mansob hai saath bhaion, behno, azizon, parosion, ghar mein anay janay walon kay, nazdek safar kay, aak makan say dosray makan janay kay, tabeer e khoab din, madaras wa masajid ka abad karna, hasool e ilm wa taleem, ilmi behas etc...
4 Baet Al Arz:
Yeh House mansob hai riasat, makam, ghar, zameen, baag, khayt, dokan, karkhana, flat, waldain, walid, amlak, dafina aur har woh chiz jo zameen say taluk rakhti hai.
5 Baet Al Ishq:
Yeh house mansob hai mashokon say, ishq wa muhabat say, ashiq say, aulad say, khat wa khabar kay, tohfay wa tawaif kay, har jeet wa nateja e imtehan, hamla aurat kay bachay ka hal malum karna etc...
6 Baet Al Amraz:
Yeh house mansob hai haal jismani sehat wa bimari, marz, marez, tashkhez amarz e marez, sehar wa jadu, nokar, haal ghomshoda chez, palto janwar, poshida raaz, chor jo chori kar kay bhaga ho etc...  
7 Baet Al Nisa:
Yeh House mansob hai nikah, shaadi, biwi, har woh shaks jo shareek ho jesay biwi ya koi partner job ka, haalat e ghaib jo ghar say bhag gaya ho, chor kay mutalik etc...
8 Baet Al Khof:
Yeh house mansob hai mot, khatrat e mot, khof, ahwal mot e mariz, katal, khon rezi, police, larai jhagra etc...
 9 Baet Al Safar:
Yeh house mansob hai safar, ilm, al ham, deen, ibadat, haal e musafir, sadqa wa khayrat, hajj wa ziarat, tabeer e khoab shab etc...
10 Baet Al Rizaq:
Yeh house mansob hai talab molazamat, boss, shogal, ziarat, walda, murshid, ostad, doctor, aamil etc...
11 Baet Al Malik:
Yeh house mansob hai umeed war, kayfiat shifa e bimar, hamsaya, tehmeer e emarat, kayfiat natija e amliyat wa naqsh, puranay dost wa yaar, khuwaishat, etc...
12 Baet Al Ayda:
Yeh house mansob hai dushmano, hasad karnay walon say, haal e qaidion kay aur maazi kay halaat etc....
13 Baet Al Saei:
Yeh house mansob hai saei wa tadbeer, talab talib, koshish, daway karna aur hokam house 1st kay karta hai, houses 1st, 5th aur 9th ka gawah hai.
14 Baet Al Matlob:
Yeh house mansob hai saath matlob, nafs e ghayr kay aur jo chez kay sael say sawal ki jay aur hokam house 4th ka rakhta hai, houses 2nd, 6th aur 10th ka gawah hai.
15 Baet Al Meezan:
Yeh ilm e ramal kay zaichay ka bohat aham house hota hai isay meezan e ramal ya aina e ramal bhi kehtay hain, agar koi sawal karay kay yeh kam karon ya na karon ya yeh mashora karon ya na karon to is khanay mein anay wali figure ko dekh kar bataya jata hai, iskay mansobat house 7th kay mutabik hain, houses 3rd, 7th aur 11th ka yeh gawah hai.
16 Baet Al Aqbat:
Yeh house mansob hai saath anjam kamo kay, is house kay tamam mansobat house 10th kay mutabik hain, houses 4th, 8th aur 12th ka yeh gawah hai.
16 houses aur onkay mansobat meinay share kar liay aab mein 4 ansaron kay mutalik batata hon,

The Four Sacred Elements:
Aag, hawa, pani aur matti inhe char anasir say humari zindagi morkab hai, is haqeqat ko aak shaeir nay youn bayan kia hai:
 "Zindagi kya hai? anasir ka zahor tarteb
          Mot kya hai? inhe anasir ka parayshan hona" 
Hum khayt mein bej botay hain is bej kay ognay kay liay pani, matti, hawa aur hararat ki zarorat hai, in mein say kisi aak ansar ki adam mojodgi hayat ko khatam kar day ghi, iskay baad jab poda nikal ata hai tab is nanhay say poday ko bara karnay phool aur phal say arasta karnay kay liay fitrat kay sabi anasir tawon kartay hain, bas yahi misal humari zindagi ki hai, humay bhi dhop, pani, hawa, aur matti ki zarorat hoti hai,
Jism mein hadi, gosht aur charbi aur dosri ayshia jo hum apni khorak mein bator e ghiza istamal kartay hain woh humaray jism kay andar matti ki shikal hai, khoon ki shikal mein pani humari rag rag mein rawa hai, jism ki hararat aag ki shikal mein hai humaray andar jo humari ghiza ko pakati aur hazam karti hai aur humaray jism ko sardi say mehfoz rakhti hai, saans ki shikal mein hawa humaray muh aur nathno kay zariay andar bahir aati jati hai, agar yeh sans aak lamhai kay liay bhi rok jay to mot yakini hojati hai, 
Inhe char anasir ki kami bayshi humari bimario ka sabab hoa karti hai aur jab in anasir ka tawazan thek hojata hai to hum phir say healthy hojatay hain, yeh baat to hoi char anasir aur humaray jism ki aab mein aak aur baat share karta hon kay 4 anasir hum insano ki nature aur tabiat mein bhi asar daltay hain, hazrat imam jalaluddin seoti ki qadeem arabic kitab "mojarbat e Imam seoti" mein Nabi pak s.a.w ki aak hadees isi kay mutalik hai jo mein yahan share kar raha hon,
Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya hai kay Allah pak nay insan ko char chezon pani, matti, aag aur hawa say peda kia hai, lekin jab pani ka hisa ziada hojata hai to insan hafiz aur aalim aur faqia aur sharif hojata hai aur jab matti ka hisa barh jata hai to khoonrez, khabiz, bakheel hojata hai aur jab aag kay ijza barh jatay hain to zalim aur bahadur ban jata hai aur jab hawa ka hisa barh jata hai to kazab ban jata hai. is hadees say yeh baat sabit hai kay insan ki nature wa tabiat anasir kay kam ya barhnay say hoti hai tabhi hum insano mein kuch sharif tabiat kuch zalim tabiat kay, kuch akalmand zaheen aur kuch baywakof kam akal hotay hain, 
Isitarah humaray ird gird mahool mein bhi inhe 4 anasir ka asar humain nazar aata hai, sakt garmi ka mosam, tez hawa ka mosam, tez barish ka mosam aur matti kay tofan ka mosam,
Same isitarah humari kismat mein jesay good luck hona ya bad luck hona, sakti, gardish, bandish, achay log milna, boray log milna, achi job milna bori job milna, kamiabi, na kami, har ya jeet etc yeh sabi bhi humari zindagi mein inhe 4 anasir ki kami ya ziadati say hota hai aur yeh sab ilm e ramal ka jab hisab banatay hain os mein malum hota hai kay konsa ansar sael ya sawali ki zindagi mein unbalance hai jiski waja say osko problems horahi hain aur aghay bhi osay problems hongi, inhe char ansaro ki chemistry ramal kay hisab mein dekh kar ramali sael ko guide karta hai kay osay kya karna chahehai jis say oski problems theek hon ya agar ramal ka hisab karnay wala aamil bhi hai to osay tawez deta hai jo anasir kay mutabik he hotay hain jesay agar oski problems ka taluk ansar aag say hai to osay jalanay walay taweez day ga, agar oski problems ka taluk ansar hawa say hai to latkanay walay tawez day ga, agar oski problems ka taluk ansar pani say hai to nehar ya daria mein dalnay walay tawez day ga aur agar oski problems ka taluk ansar matti say hai to osay zameen mein daffan karnay walay tawez day ga, aak kabil aamil ko ansaron ka ilm hota hai aur woh inhe char ansaron ki chemistry ko parh kar sael ka rohani ilaj karta hai, hum mein kai logon ki tabiat aur star alag hota hai aur har star ka apna alag element hota hai, mera abhi jo topic hai woh ansari ramal par hai isliay mein abhi isi topic likh raha hon,
Yeh baat to aab aap sab samaj chokay hongay kay char anasir humari zindagi par he nahi balkay puri kainat mein inka asar hai aur ilm e ramal mein inhe anasir ki chemistry ko parh aur samaj kar kisi bhi shaks ka hal, mazi aur mostaqbil jan saktay hain aur oski parayshani dor kar saktay hain, aab mein in char anasir ki chemistry yahan share karta hon jis say aap ansari ramal ka hisab ya zaicha easily parh aur samaj sakain ghay,

The Geomantic Chemistry of Four Elements:
Four elements yehni char anasir ki chemistry yeh hai kay in charon anasir mein kuch anasir apas mein dost hain aur kuch apas mein dushman, element fire aur air ki apas mein dosti hai, aur yeh nature hum sab jantay hain kay aag ko hawa aur ziada tez kar kay ziada bharka deti hai aur aag say dhonwa janam leta hai isliay in dono anasir ki apas mein dosti gehri hai, element fire aur water ki apas mein dushmani hai aur yeh nature bhi hum jantay hain kay pani aag ko bojha deta hai, inhe anasir ki apas mein dosti wa dushmani say he dunia ka nizam chalta hai, hum mein kai logon kay star, nature aur anasir dosray shaks say muktalif hota hai, jesay aak shaks kay star ka element fire hai aur osnay aysi aurat say shaadi ki jiskay star ka element water hai to in dono ki shaadi kabhi kamiab nahi jay ghi humaisha on dono mein larai jharay hotay rahai ghay mamoli bataon say bhi, aurat jiskay star ka element water hoga woh apnay husband ko humaisha galat samjhay ghi aur neecha dikhay ghi jistarah pani aag ko daba deta hai istarah apnay husband ko daba kar rakhay ghi aur oska husband apnay aap mein obalta rahai ga kay kisitarah is say jan choraon, isitarah agar kisi shaks kay star ka element fire hai aur oski biwi kay star ka element air to in dono ki khom jamay ghi, apas mein khob muhabat hogi, ghar bananay mein ya kisi bhi kam mein dono kay ideas sath hongay, aak dosray ki baat par amal karna aak dosray say guide lena dono ko acha lagay gha jistarah aag ko kowat milti hai air say aur air ko kowat milti hai fire say same isitarah dono mia biwi ko aak dosray bataon say aur pyar say kowat milay ghi jinsay onki zindagi khushal gozarti hai, yahi nature hai anasir ki chemistry ki jo samaj gaya woh ilm ramal seekh gaya, aab mein ilm e ramal mein charon anasir ki chemistry kay mutalik batata hon,
Ilm e ramal mein total 16 figures hoti hain, opar daira sakan ki image mein sabi 16 figures aur onkay nam likhay hain, in figures mein kuch figures element fire ki hain kuch element air ki, kuch element water ki aur kuch element earth ki hain,
Fire Figures: Lehan, Kabz kharij, Nasra kharij, Otba kharij yeh charon element fire ki hain,
Air Figures: Ijtama, Hamrah, Otba dakhil, Farah yeh charon element air ki hain,
Water Figures: Tareek, Bayaz, Nasra dakhil, Naqi yeh charon element water ki hain,
Earth Figures: Inkees, Aqla, Kabz dakhil, Jamaet yeh charon element earth ki hain,
Ramal ki 16 figures mein kuch figures achi aur nayk hoti hain aysi figures ko "Sayd" kehtay hain aur kuch figure bori aur bad hoti hain onko "Nehas" kaha jata hai, jo figures ziada achi hain onko "Sayd Akbar" kehtay hain jo kam achi hain onko "Sayd Asghar" kehtay hain jo ziada bori hain onko "Nehas Akbar" kehtay hain jo kam bori hain onko "Nehas Asghar" kehtay hain, mein yahan sabi figures ki detail share karta hon:
Sayd Akbar figures yeh hain: Lehan, Kabz dakhil, Nasra kharij, Otba dakhil,
Sayd Asghar figures yeh hain: Farah, Bayaz, Nasra dakhil, Tareek,
Nehas Akbar figures yeh hain: Kabz kharij, Aqla, Inkees, Otba kharij,
Nehas Asghar Figures yeh hain: Hamrah, Naqi,
Aur yeh figures Jamaet aur Ijtama darmiani hoti hain yehni achi bhi aur bori bhi,
Isitarah ramal ki kuch figures ka mizaj dakhil hota hai, kuch ka kharij, kuch ka sabit aur kuch ka munkalib, misal kay tor par agar sawal shaadi kay mutalik hai to zaicha mein 7th house shaadi ka hai agar os mein ramal ki sayd figure jiska mizaj dakhil ho woh 7th house mein ho to shaadi kamiabi say hojay ghi, agar sayd kharij hoto shaadi kuch arsay baad hogi, agar nehas dakhil figure hoto shaadi nahi hogi, agar nehas kharij hoto larai jhagray kay baad shaadi ka mamla khatam hojay ga, isitarah agar sawal saffar kay baray mein hoto 9th house mein figure sayd kharij hoto safar mein kamiabi hogi, nehas kharij figure anay say saffar na karna chahehai warna noksan hoga etc, isitarah jo sawal jis mizaj ka ho jesay shirkat ka to yeh sawal mizal dakhlay ka yehni dakhil hai to osi hisab say figure ka bhi mizaj dekh kar bataya jata hai, sawal agar kharij honay ka hai jesay saffar kar kay kahin dor jana to os hisab say ramal ki figure ka mizaj dekh kar bataya jata hai, yeh sab mein aghay easily tarikay say share karon ga, abhi mein yahan figures kay mizaj ka batata hon,
Dakhil Figures yeh hain: Kabz dakhil, Inkees, Nasra dakhil, Otba dakhil,
Kharij Figures yeh hain: Lehan, Kabz Kharij, Nasra kharij, Otba kharij,
Munkalib Figures yeh hain: Farah, Naqi, Aqla, Tareek,
Sabit Figures yeh hain: Jamaet, Hamrah, Bayaz, Ijtama,

Yeh to baat hoi ramal ki 16 figures kay anasir ki chemistry ki aab mein ramal kay zaichay kay houses aur anasir kay mutalik batata hon,
Opar image ko dekhnay say aap ko malum hogaya hoga kay zaichay kay houses kis element say mansob hain, 
zaichay kay 1st, 5th 9th aur 13th houses element fire kay hain,
zaichay kay 2nd, 6th, 10th aur 14th houses element air kay hain,
zaichay kay 3rd, 7th, 11th, aur 15th houses element water kay hain,
zaichay kay 4th, 8th, 12th aur 16th houses element earth kay hain,
Zaichay mein element fire ki figure agar element fire kay house mein hogi to woh figure powerful keh lay ghi, agar element air kay house mein hogi tab bhi power mein hogi lekin agar element fire ki figure dushman element water kay house mein hogi to weak hojay ghi, misal kay tor par figure nasra kharij mein 2 fard hain aak fard element fire ka aur dosra element air ka hai, agar yeh figure zaichay kay houses 1, 5, 9 aur 13 mein hoto yeh figure apnay markaz mein bakowat hogi aur air fard bhi figure mein honay say dost element ki madad bhi is mein shamil hogi, aur agar yahi figure element air kay houses 2, 6, 10 aur 14 mein hoto yeh figure dost element air mein bhi bakowat hogi aur element air kay fard ko apnay markaz kay houses mein honay say alag kowat milay ghi,
Figure kabz kharij mein 2 fard hain aak fard fire ka aur dosra water ka, agar zaichay mein yeh figure element fire kay house mein hogi to fard water ka apna asar karay ga yehni fire ko kamzor kar kay kuch na kuch kar kay maksad barari kar day gha, agar yeh figure element water kay houses 3, 7, 11 ya 15 mein hogi to phir bhi figure ka fard element water ka apnay markaz kay house mein honay say powerful hokar asar karay ga, elements ki nature par humay ghor karna chahehai kay water fire ko bojha deta hai aur fire water ko garam kar kay ora deti hai isi nature ko samajtay hoay hum ansari ramal ko samaj saktay hain,
Figure Otba kharij mein 3 fard hain aak fire ka fard, aak air ka fard aur aak water ka fard, element fire aur air mein dosti hai, isitarah air aur water mein bhi dosti hai, is figure mein 2 dost aur 2 dushman akhtay hogay hain, jis element kay house mein yeh figure ay ghi osi kay mutabik asar karay ghi,
Aab mein zaichay ko parhnay ka tarika yahan share karta hon,

Geomantic Questions and Answers: 
Sael osay kaha jata hai jo apnay maslay kay hal kay liay ramal ka hisab banwata hai aur Ramali osay kaha jata hai jo ramal ka hisab bana kar sael ko guide karta hai, mein yahan kuch sawalat share karta hon jo sael aksar ramali say pochtay hain aur ramali kistarah onka hisab bana kar onko onkay maslay ka hal batata hai, yeh sab parhnay kay baad aap ansari ramal kay zaichay ko parhnay ka tarika seekh jay ghay,

Sawalat Ahkam e khana 1: 
Sael jo bhi sawal karta hai os sawal ka taluk ramal kay hisab kay kisi na kisi house say hota hai aur ramali hisab par apna focus bhi osi house par rakhta hai aur jo ramal ki figure os house mein hoti hai osi kay mutabik batata hai, ramal kay houses aur oskay mansobat mein opar batata choka hon, aab yahan sawalat jo sael aksar pochtay hain onkay mutalik share kar raha hon, abhi woh sawalat jo ho ramal kay zaichay kay house 1st say mansob hain woh share kar raha hon, yeh house sael kay luck, oskay nafs, ruh, tan wa jan, zindagi, naseeb, sitaray, kayfiat wa mazaj aur zaat kay mutalik hai,
 
Question: Sael nay sawal kia kay mera luck abhi acha hai ya bora?
Yeh sawal aksar log muj say poch kar naya kam shoro kartay hain,
Is sawal kay liay ramal ka hisab bananay kay baad 1st house ki figure par ghor karna chahehai kay os mein konsi figure ai hai aur yeh figure is house mein power rakhti hai ya weak hai, sayd hai ya nehas hai aur figure ka taluk daira sakan kay hisab say kis house say oska taluk hai, agar figure sayd hoi to sael ka abhi luck acha hai, agar nehas hoi to oska luck acha nahi abhi,
Answer:
Jawab kay liay sael ka zaicha banaya,
Opar zaichay ki image dekhain, sael kay is hisab mein 1st house mein figure Aqla ai hai jo kay nehas figure hai aur is figure ka taluk element earth say hai aur yeh element fire kay 1st house mein kowat mein hai, is say malum hoa kay sael kafi parayshan aur takleef mein hai aur kisi sadmay ya dokh mein mobtala hai, oska luck abhi acha nahi hai, osay sadqa apna dena chahehai.

Sawalat Ahkam e khana 2:
Yeh house sael kay maal, rupay pesay, tijarat, rizaq, khazana, ghiza, karz lena wa dena, kharid wa farokhat, faida wa noksan, amanat sonpn, khana peena, mehman wa mehman nawazi aur dawa e mariz wagayra ka hota hai, sael aksar sawalat jo pochtay hain woh isi khanay say mansob hotay hain,

Question: Sael nay sawal kia kay meri maali halat kesi rahai ghi?
Yeh sawal har shaks muj say aksar pochtay hain jab bhi muj say ramal ka hisab banwatay hain,
Zaichay kay 2nd house mein agar figure ka mizaj kharij hoga to yeh maal kharch honay ki daleel hai, sayd kharij figure say maal apni marzi say kharch hoga, nehas kharij say maal bay akhtiar kharch hoga, agar figure dakhil hogi to maal aur ziada barhai ga, figure sayd say ba khushi aur nehas say bad dushwari hasil ho, agar figure mukalib hai to kabhi amdani ho kabhi na ho, agar figure sabit hoto maal aur dayr say milay aur kharch bhi dayr say ho, sayd say ba akhtiari aur nehas say bay akhtiar,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya aur 2nd house mein anay wali figure par ghor kia,
Opar image mein sael kay hisab kay 2nd house mein figure Kabz kharij ai hai, yeh figure nehas hai aur mizaj kharij hai, figure ka taluk element fire say hai aur apnay dost element air kay house mein hai, is say malum hoa kay sael ka maal bay marzi wa bay akhtiar kharch hoga.

Question: Sael nay sawal kia kay mein jis aadmi say shirkat karna chahata hon woh kesa hai?
Yeh sawal aksar muj say zamindar jo khayti bari ya zameeno ka kam kartay hain woh pochtay hain gao mein kay falan zamindar kay sath mil kar kam kia jay ya osay partner banaya jay to theek hoga meray liay ya nahi,
Zaichay mein houses 2nd aur 8th mein anay wali figures par ghor karain agar woh figures sayd dakhil hon aur apnay houses mein kowat mein hon to faida hoga shirkat say, zaichay mein 2nd house sael kay maal ka hota hai aur 8th house partner kay maal ka hota hai, agar 1st house mein figure sayd ho aur 7th house mein bhi figure sayd hoto sael aur partner dono ki nature achi hai, agar 7th house mein figure nehas hoto partner ki nature achi nahi, agar 1st house mein figure nehas ho aur 7th mein sayd to sael ki neyat thek nahi,
Answer: 
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay 2nd house mein tarik figure hai jo sayd hai, aur house 8th mein sayd kharij figure hai, figure tareek element water ki figure hai jo element air kay 2nd house mein hai jo ba kowat hai aur nasra kharij figure element fire ki hai jo element earth kay house mein power rakhti hai, fisrt house sael ka hai jis mein figure kabz dakhil sayd hai jo element fire ki hai aur element fire he kay house mein ba kowat hai, 7th house jo partner ka hai os mein hamrah figure hai jo nehas sabit element air ki figure hai jo element water kay house mein kowat mein hai, isliay is hisab ka hokam yeh hua kay shirkat to ki jasakti hai lekin ahtiat rahai, partner ki nature thek nahi hai.

Question: Saela nay sawal kia kay yeh dawa mujh mariz kay moafik hogi ya nahi?
Aaj kal aysi antibiotics medicines agai hain jo kai marizon ko faida to deti hain lekin sath mein noksan bhi deti hain, har insan kay jism ki apni alag chemistry hoti hai aur kai marez sensitive hotay hain, medicines khanay say aksar onko reaction hojata hai tabiat aur ziada bigar jati hai, isliay aksar logon ko parayshani hoti hai kay kahin yeh dawa khanay say kuch reaction na hojay,
Zaichay kay house 2nd ki figure mein nokta fard fire ka hoto dawa garam khushk moafik aati hai, agar water ki hoto sard tar, agar air ki hoto garam tar, agar earth hoto sard khushk dawa mofeed hoti hai, agar is figure mein kai elements ko noktay hon to mixed anasir kay lehaz say hokam bayan kia jata hai, is sorat mein agar figure 4th house ki sayd hogi to dawa asar karti hai, agar yeh figure nehas hogi to dawa asar na karay ghi,
Answer: 
Saela nay apni ma kay mutalik zaicha banwaya to yeh hisab bana,
Saela ka sawal apni ma kay liay tha, 10th house sael ki ma ka hota hai aur 11th house oski dawa ka hota hai kuo kay jistarah sael ka apna house 1st hota hai 2nd sael ki dawa aur rupay pesay ka 3rd relatives ka and so on....., isitarah 10th house oski ma ka hoa to 11th house oski ma ki dawa ka hoa, sael ki ma ka hisab dekhnay say malum hoa kay 11th house mein figure tareek ai hai, yeh figure element water ki hai aur element water he kay house mein ba kowat bethi hai aur sabi anasir kay noktay is mein active hain, isiliay hokam kia kay oski ma ko medicine mein garam mizaj ki tablets nahi khani chahehai os say ziada faida injection ya syrup say hoga aur syrup ka mizaj thanda hoto behtar hai,
Sawalat Ahkam e khana 3:
Yeh House sael kay bhaion, behno, azizon, parosion, ghar mein anay janay walon kay, nazdek safar kay, aak makan say dosray makan janay kay, tabeer e khoab din, madaras wa masajid ka abad karna, hasool e ilm wa taleem, ilmi behas wagayra ka hai,
Question: Sael nay sawal kia kay kya meray bhai kay dil mein meri muhabat mojod hai?


Zaichay kay house 1st aur 3rd dono sayd hon aur ba kowat hon to dono mein ikhlas wa muhabat hoti hai, in do houses mein say jiski figure kamzor aur bay kowat hogi to osi taraf say muhabat kam ho aur sincere na ho,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay mei house 1st jo sael ka hai is mein figure naqi nehas hai, yeh figure element water ki hai jo weak hogai element fire kay 1st house mein, 3rd house jo sael kay bhai ka hai is mein figure otba dakhil ai hai jo sayd hai aur element air ki hai jo kowat mein hai element water kay house 3rd mein, is hisab ka nateja yeh nikla kay muhabat to hogi dono mein magar kabhi adawat bhi hoti rahai ghi khud sael ki taraf say.

Sawalat Ahkam e khana 4:
Yeh House mansob hai riasat, makam, ghar, zameen, baag, khayt, dokan, karkhana, flat, waldain, walid, amlak, dafina aur har woh chiz jo zameen say taluk rakhti hai.

Question: Sael nay sawal kia kay kya mein khayti kay liay zameen kharidon ya nahi?

Zaichay kay house 4th aur 5th mein agar figures sayd hon to zameen kharidna behtar hai, figure sayd hai to is zameen say munafa ziada hoga, agar 4th house mein figure nehas ay aur 5th mein sayd to zameen kharab hai lekin kuch na kuch munafa zaror hasil hoga, agar 4th house ki figure sayd aur 5th ki nehas hoto zameen achi hai lekin fasal say faida na hoga, 
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay 4th house mein figure otba dakhi sayd ai hai aur 5th house mein figure hamrah hai jo nehas sabit hai, lehaza abhi zameen kay kharidnay mein jaldi na ki jay dayr karni chahehai, zaichay mein 4th house ki figure sayd aur 5th ki nehas hai isliay zameen to achi hai lekin sael ko is zameen say koi munafa ya faida hasil na hoga olta noksan othana paray ga.

Question: Sael nay sawal kia kay falan zameen meray haath ay ghi ya nahi?
Zaichay kay house 4th mein agar sayd dakhil figure hoto zameen haath mein ajay ghi, agar 4th house ki figure ansari tor par kowat mein hoto tab bhi zameen mil janay kay amkan hotay hain,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay mein 4th house ki figure kabz dakhil ai hai jo sayd hai, is figure ka element earth hai aur 4th house bhi element earth ka hai isliay yeh figure yahan power mein hai, isliay kaha kay zameen mil janay ki puri umeed hai.

Sawalat Ahkam e khana 5:
Yeh house mansob hai mashokon say, ishq wa muhabat say, ashiq say, aulad say, khat wa khabar kay, tohfay wa tawaif kay, har jeet wa nateja e imtehan, hamla aurat kay bachay ka hal malum karna etc...

Question: Sael nay sawal kia kay bacha halal zada hoga ya na?
Zaichay mein house 1st aur 5th ki figures same aak he element ki hon to bacha halal zada hota hai, agar mukhalif ansar ki figures hon to haram zada hoga.
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay mein 1st house aur 5th house dono ki figures same aak he element earth ki hain isliay sael ko bataya gaya kay bacha halal zada hai.

Question: Sael nay sawal kia kay larki jis say mein muhabat karta hon meri dost hai ya meri dushman kya woh muj say sincere hai?
Zaichay kay houses 1st aur 5th ki dono figures agar sayd hon to apas mein onki dosti achi hai aur woh sincere hai, agar dono figures kay elements bhi same hon to dono mein muhabat bhi khob hogi, agar dono figures kay elements aak dosray say mokhalif hon to larki dushman hogi woh sincere na hogi, agar elements dono figures kay same na hon aur alag alag hon aur elements ki bhi apas mein dushmani na hoto yeh na dosti aur na adawat hogi, isay hum timepass dosti keh saktay hain,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay mein 1st house ki figure aqla hai jo nehas hai aur 5th house ki figure nasra kharij sayd hai, sael ki figure nehas aur larki ki sayd hai, isliay bayan kia kay dono mein muhabat puri nahi hai, apas mein na gehray dost hain na he adawat hai, sirf timepass wali dosti hai.

Question: Sael nay sawal kia kay mein jis larki say pyar karta hon kya woh mujay hasil hogi?
Zaichay mein 1st aur 5th house ki figures ko apas mein calculate kar kay new figure li jay aur is new figure ko 4th house ki figure say calculate kar kay aak aur figure li jay agar yeh figure sayd ho ya sayd sabit to mehbob hasil hoga, larki muhabat mein sincere hogi, agar woh figure sayd kharij hoi to muhabat paidar nahi kabhi bhi khatam hosakti hai, agar figure nehas ay to mehbob hasil na hoga,
elemental system say agar element fard ka nokta 1st aur 5th house mein hoto sael aur larki nay sirf aak dosray ko dekha hai, agar element air ka nokta hoto dono mein baat hoi hai, agar element water ka nokta hoto wasal bhi hua hai, element earth kay noktay honay say judai hogai hai,
Agar fire ka nokta 1st house mein ho aur 5th mein na hoto sirf sael nay larki ko dekha hai, agar element air ka nokta sirf 1st house mein ho aur 5th mein na hoto baat dosron ki marfat hoi hogi,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,

Zaichay kay 1st house ki figure kabz dakhil ko 5th house ki figure otba dakhil say calculate kia jis say figure bayaz bani, bayaz figure ko 4th house ki figure farah say calculate kia to figure tareek bani, yeh figure sayd munkalib hai isliay bayan kia kay larki hasil to hojay ghi magar kuch arsay baad oska dil badal jay ga, tareek figure element water ki hai aur yeh figure ferayb wali hai, isliay larki ferayb karay ghi.

Sawalat Ahkam e khana 6:
Yeh house mansob hai haal jismani sehat wa bimari, marz, marez, tashkhez amarz e marez, sehar wa jadu, nokar, haal ghomshoda chez, palto janwar, poshida raaz, chor jo chori kar kay bhaga ho etc...  

Question: Sael nay sawal kia kay mera marz kis wajohat say hoa hai?
Agar zaichay kay 6th house mein figure element fire ki hoto fever aur jism mein ziada garmaish ya garam masalay wali chezon say hoa hai, agar figure element air ki hai to marz nazar e bad, asayb ya saaya say hoa hai, element water say koi pani wali chez peenay say hoa hai, element earth ki figure say dhool ya matti ki allergy say hoa hai ya koi chez khanay say hoa hai,
Agar 6th house ki figure ka mizaj dakhil hoto marz ranj ya dokh say hoa hai, kharij say kisi noksan ya sadmay say hoa hai, munkalib say tabiat kabhi behtar ho kabhi kharab rahai, sabit say marz dayr tak rehnay ki ilamat hai, agar figure sayd hai to ilaj say shifa ho,
Zaichay mein 6th house ki figure mariz kay marz ka abhi ka haal batati hai, 5th house ki figure mariz kay marz ka mazi batati hai aur 7th house ki figure mariz kay marz ka mustakbil ka batati hai kay marz rahai ga ya thek hojay ga, 4th house ki figure mariz ki dawai kay mutalik batati hai kay maazi mein jo dawa khai os say faida hoa ya nahi, figure sayd hoto faida hoa hai, nehas say nahi hoa, 7th house ki figure agar sayd hogi to mariz ko anay walay dino mein shifa mil jay ghi, nehas figure say mariz ko shifa nahi milay ghi, agar doctor ya aamil ka haal dekhna ho kay os say faida horaha hai ya nahi to doctor ya aamil ka house 10th hota hai wahan agar figure sayd hoto doctor ya aamil mahir hai apnay kam mein, agar figure nehas hoto doctor ya aamil mahir nahi, doctor ya aamil kay ilaj ka house 11th hota hai, agar wahan figure sayd hoto doctor ya aamil kay ilaj say faida horaha hai mariz ko, agar wahan nehas figure ay to doctor ya aamil kay ilaj say koi faida nahi horaha,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay 6th house mein figure farah ai hai, yeh figure sayd munkalib hai is say yeh baat malum hoi kay mariz ka marz kabhi barh jata hai kabhi kam hojata hai, is figure ka taluk element air say hai is say yeh baat malum hoi kay mariz ka marz nazar e bad, asayb ya saaya say hoa hai, osay rohani ilaj say shifa hasil hogi.

Question: Sael nay sawal kia kay mujh par sehar wa jadu hai ya nahi?
Agar zaichay kay house 6th mein figure jamaet, tareek ya ijtama in teeno mein say koi aak figure ay to mariz ki bimari sehar wa jadu ki waja say hai, dosri figures 6th house mein anay say mariz ko sehar wa jadu nahi osay jismani bimari hai,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay 6th house mein tareek figure ai hai, malum hoa kay mariz ko jadu ya sehar hai.

Question: Sael nay dobara sawal kia kay sehar wa jadu kis waja say mujh par kia gaya hai?
Zaichay kay 6th house mein agar figure otba kharij, kabz kharij, tareek, inkees, hamrah, aqla mein say koi figure hoto sehar wa jadu kisi dushmani ki waja say kia gaya hai, agar ijtama, otba dakhil, kabz dakhil, farah figure hoto sehar wa jadu muhabat ya taskheer karnay kay liay kia gaya hai,


Question: Sael nay dobara sawal kia kay mujh par sehar wa jadu kis nay kia hai?
Zaichay mein 7th house mein anay wali figure par ghor kia jata hai kay wahan jo figure bethi hai woh kis say mansob hai, agar wahan anay wali figure ka taluk 3rd house say hai to sehar wa jadu behan, bhai, rishtaydar, kareebi aziz ya parosi nay kia hai, agar 4th house ki figure ay to jadu baap nay kia hai, 5th house ki figure ay to jadu kisi dost ya mehbob nay kia hai etc, istarah jis house ki figure 7th mein ay ghi osi say mansob logon nay kia hoga,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay 7th house mein otba dakhil figure ai hai aur yahi same figure 3rd house mein bhi hai isliay bayan kia kay sehar wa jadu rishtaydaron ya karebi azizon nay kia hai.

Question: Sael nay dobara sawal kia kay mujh par sehar wa jadu kis chez par ya kistarah kia gaya hai?
Zaichay mein house 6th aur 12th ki figures agar element fire ki hon to koi taweez jalaya gaya hai, ya aag mein kahin dafan kia gaya hai, agar woh figure element air ki hoto koi wazaif parh kar phonka gaya hai ya koi tawez kisi jaga bandha gaya hai ya janwaron ki hadio wagayra par kia gaya hai ya dhoni di ghai hai, agar figure element water ki hai to kisi chez mein pilaya gaya hai ya pani wali jaga par dafan kia gaya hai, agar woh figure element earth ki hoto putla ya taweez kaboristan mein dafan kia gaya hai aur jadu sakt tarin hai, yehni jis element ki figure hogi osi element say mansob sehar wa jadu kia gaya hoga,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay mein 6th house mein figure bayaz ai hai jo element water ki hai, 12th house mein bhi element water ki figure naqi ai hai aur yahi same figure 2nd house mein bhi ai hai, is say yeh malum hoa kay sehar wa jadu pilaya gaya hai.

Sawalat Ahkam e khana 7:
Yeh House mansob hai nikah, shaadi, biwi, har woh shaks jo sharek ho jesay biwi ya koi partner job ka, haalat e ghaib jo ghar say bhag gaya ho, chor kay mutalik etc...

Question: Saela nay sawal kia kay meri shaadi jis mard say hogi woh kesa hoga?
Zaichay mein 7th house ki figure jis element ki hogi osi say mansob shaks ki nature, holiya aur oska pesha bataya jata hai, jesay agar 7th house mein figure element fire ki hogi to mard ki nature ghosay wali hogi aur woh police mein hoga ya army mein ya aysa koi kam karta hoga jiska taluk fire say ho, agar 7th house ki figure element air ki hogi to woh mard ganay bajanay ka shokeen hoga ya shair hoga aur romantic nature ka hoga, agar 7th house ki figure element water ki hogi to woh mard mazhabi nimaz ka paband ya molana hoga, agar 7th house ki figure element earth ki hogi to mard zamindar hoga ya builder hoga yehni aysay kam karta hoga jiska taluk zameen say ho agar gareeb hoa to kisan hoga ya mazdor.
Answer:
Jawab kay liay saela ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay 7th house mein figure kabz kharij ai hai jo element fire ki hai is say malum hoa kay mard ki nature ghosay wali hogi aur oska kam aysa hoga jiska taluk aag say hoga.

Question: Sael nay sawal kia kay jis aurat say nikah karta hon woh kesi nature ki hai aur oski family kesi hogi?
Zaichay kay 7th house mein agar achi sayd figures hon to aurat achi nature aur achay khandan ki hoti hai, agar nehas bad figures hon to aurat ki nature achi nahi hoti aur achay khandan ki nahi hoti, agar 7th house mein figure lehan ya nasra dakhil ay to aurat mazhabi, nimaz wa rozay ki paband, sharif parday wali pak saaf nature ki hoti hai aur oski family bhi achi hoti hai, agar figure kabz dakhil ya nasra kharij ay to aurat dolat wali ameer khatay petay gharanay ki achi tabiat ki aur ghar ko mehal ki tarah khubsurat bana kay rakhnay wali hoti hai, agar 7th house mein inkees ya aqla figure ay to aurat jhagralo tabiat ya humaisha bimar rehnay wali, na shukari aur har waqat kisi na kisi baat kar shuhar ka sukoon barbad kar kay rakhnay wali manhos hoti hai, agar naqi figure ay to aysi aurat call girl ki tarah hoti hai har mard kay sath taluk rakhnay wali bori nature ki aurat hoti hai,
Answer:
Jawab kay liay saela ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay 7th house mein figure jamaet ai hai, yeh figure ferayb wali hai, jis aurat say sael nikah karna chahata hai woh aurat achi nature ki nahi woh ferayb karay ghi aur jhooti nature ki aur kabhi sincere na honay wali aurat hogi.

Question: Sael nay sawal kia kay kya janwar chori hoa hai ya kahin chala gaya hai ya kahin shikar hogaya hai?
Zaichay kay house 12th mein agar sayd kharij figure hoto janwar chori nahi hua balkay khud farar hua hai, nehas kharij figure hoto chori hua hai moshkil say milay, sayd dakhil say kisi jaga phansa hua hai talash say mil jay ga, nehas dakhil say shikar hogaya hai dhondnay say mara hua milay ga, sayd munkalib say kisi shaks nay janwar ko awara samaj kar apnay ghar mein band kar kay rakha hai dhondnay say os shaks kay zariay mil jay ga warna woh shaks osay kahin sell bhi kar sakta hai, figures sabit say apni marzi say kahin chala gaya hai aur wapis ajay ga osi apni jaga etc..
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay mein 12th house ki figure bayaz hai jo sayd sabit hai, janwar chori nahi hua balkay khud kahin chala gaya hai, talash say mil jay gha.

Sawalat Ahkam e khana 8:
Yeh house mansob hai mot, khatrat e mot, khof, ahwal mot e mariz, katal, khon rezi, police, larai jhagra etc...

Question: Sael nay sawal khof wa khatrat mulk mein lashkar e taliban kay mutalik kia kay kya woh mulk mein dakhil hoay hain?
Zaichay mein house 1st, 4th, 5th, 7th, 12th ya 13th mein in figures mein say koi figure ay to yeh daleel lashkar kay anay ki hai, woh figures yeh hain: hamrah, jamaet, ijtama, inkees, aqla, naqi, otba kharij, in figures anay kay sath agar zaichay mein 1st, 2nd,3rd aur 4th house ki figures nehas hon to lashkar mulk mein bohat zolam aur khoon rayzi karay ga jaga jaga bomb pathay ghay, mulk ko tabha barbad kar kay rakh dain ghay, agar zaichay mein 4th, 5th aur 1st house mein yeh figures hon bayaz, aqla, inkees, otba kharij aur jamaet to lashkar mulk mein bohat phayl jay ga aur kai ilakay oskay kabzay mein ajay ghay, agar houses 4th, 5th, 11th aur 14th mein yeh figures hon inkees, kabz dakhil, otba kharij, naqi, aqla to lashkar wapis apnay mumalik wapis jakar phir ay, agar house 12th mein hamrah ya jamaet figure hoto mulk mein lashkar dakhil hochoka hai,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay mein 8th house mein figure naqi ai hai iski yeh daleel hai kay lashkar ay ga aur 5th house mein figure kabz kharij hai aur 1st, 2nd, 3rd aur 4th houses mein figures sayd hain isliay bayan kia kay army ki strong security ki waja say lashkar wapis jakar dobara ay ga, 12th house mein figure jamaet hai iski daeel hai kay lashkar kay kai afrad mulk mein pehlay he dakhil hochokay hain.

Question: Sael nay sawal kia kay mera khof bay boniad to nahi?
Zaichay kay house 8th mein agar sayd kharij figure ho aur house 13th mein bhi sayd figure hoto khof bay boniad haih khatray ki koi baat nahi, agar 8th house mein figure nehas ay to khof wa khatray ki baat hoti hai,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,

Zaichay mein 8th house mein figure hamrah ai hai jo nehas sabit hai, isliay khatra to hai lekin 13th house mein figure farah ai hai jo sayd munkalib hai, isliay bayan kia kay khatray ki baat to hai lekin security theek rahai ghi jis say koi problem na hogi.

Sawalat Ahkam e khana 9:
Yeh house mansob hai safar, ilm, al ham, deen, ibadat, haal e musafir, sadqa wa khayrat, hajj wa ziarat, tabeer e khoab shab etc...

Question: Sael nay sawal kia kay mulk say bahir safar karna chahata hon kesa hoga?
Zaichay mein house 9th ki figure agar sayd kharij hoto safar karna behtar hai,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay 9th house mein figure hamrah ai hai jo nehas sabit hai aur yahi same figure 10th house mein bhi hai, isliay bayan kia kay safar karna abhi bilkol bhi munasib nahi.

Question: Sael nay dobara sawal kia kay mein safar kis direction par karon jahan mujay faida ho?
Zaichay kay house 1st aur 3rd ki figures ko apas mein calculate kar kay new figure hasil ki jay aur is figure ko 9th house ki figure say calculate kia jay agar yeh figure element fire ki milay to mashrik ki janib safar karay, element air ki hoto magrib ki janib safar karay, agar element water ki hoto shomal ki janib safar karay aur agar element earth ki hoto junob ka safar behtar hoga,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay mein 1st aur 3rd ki figures ko apas mein calculate kia to figure otba kharij mili aur is figure ko 9th house ki figure say calculate karnay par figure kabz kharij mili jo element fire ki hai isliay bayan kia kay mashrik ki direction ka safar behtar hai.

Sawalat Ahkam e khana 10:
Yeh house mansob hai talab molazamat, boss, shogal, ziarat, walda, murshid, ostad, doctor, aamil etc...

Question: Sael nay sawal kia kay humaray mulk mein falan wazir ya saddar ki hokomat kaim rahai ghi ya nahi?
Zaichay mein 1st, 10th aur 11th houses ki figures sayd aur elements kay hisab say power mein hon to hokomat kaim rahai ghi warna nahi, zaichay mein house 1st, 4th, 7th aur 10th wazir kay hal say mansob hain agar in houses mein nehas figures ay to mulk wazir kay hathon say nikal jay aur oski hokomat na rahai ghi,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,

Zaichay mein 1st, 4th, 7th aur 10th house wazir say mansob hain,
1st house mein figure otba kharij ai hai jo element fire ki figure hai aur element fire kay 1st house mein strong position mein hai, figure kabz dakhil element earth ki apnay same element kay house 4th mein powerful hai, figure nasra kharij jo element fire ki hai woh 7th house jo element water ka hai os mein weak hogai hai, figure nasra kharij 10th house mein jo element air ka hai os mein strong position mein hai, is say yeh bayan kia kay hokomat kaim rahai ghi lekin kuch hisa kamzor hokar kaim na karay, 7th house mein figure weak hai iska matlab kay hokomat mein jo oskay sath shareek hain onhe mein iktalafat hongay.

Question: Sael nay sawal kia kay pakistan aur india kay cricket match mein jeet kis ki hogi?
Zaichay mein house 1st aur 10th ki figures ko apas mein calculate kia jay aur new figure banai jay aur is figure ko phir 11th house ki figure say calculate kia jay, phir house 1st aur 10th ki figures ki apas mein calculation say bananay wali figure ko 2nd house ki figure say calculate kia jay, pehla jo nateja hoga woh pakistan ka hai, 2nd nateja india ka hoga, agar in dono figures mein jo figure nehas hogi woh haray ga, nehas munkalib figure say jeeti hoi match har jay, nehas dakhil say bohat kam score lekar haray etc.
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay ki opar image mein jo arrow green hain woh pakistan say mansob hain aur blue india say, zaichay ki 1st house ki figure lehan ko 10th house ki figure say calculate kia to otba dakhil figure mili is figure ko 11th house ki figure lehan say calculate kia to figure tareek mili, yeh figure pakistan ki hai,
aab india ki figure hasil karnay kay liay 1st house ki figure ko 10th ki figure say calculate kia to otba dakhil figure mili is figure ko 2nd house ki figure jamaet say calculate kia to wahi same figure otba dakhil mili yeh india ki figure hai, dono taraf figures strong position mein hain, isliay bayan kia kay match ka hisab dono taraf barabar rahai ga.

Sawalat Ahkam e khana 11:
Yeh house mansob hai umeedwar, kayfiat shifa e bimar, hamsaya, tehmeer e emarat, kayfiat natija e amliyat wa naqsh, puranay dost wa yaar, khuwaishat, etc...

Question: Sael nay sawal kia kay falan aadmi zahir wa batin mujh say kesa hai?
Zaichay mein 11th house ki figure par ghor karna chaehai agar is house mein figure element fire ka nokta fard hoto zahir oska acha hai lekin batin iska bad hai, agar os figure mein nokta e fard element fire aur air dono hon to sael kay dost ka zahir wa batin acha hai aur sael ki zaat kay mutalik osay koi shak ya shoba nahi hai, element water ka agar fard hoto woh ba zahir to acha nahi lekin batin mein woh sael ka khair khuwa hai, agar is figure mein sirf element earth ka fard hoto zahir wa batin dono bad hain woh har halat mein dushman hai,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
 Zaichay kay 11th house mein kabz kharij figure ai hai, is figure mein element fire aur water kay fard hain, os shaks ka zahir dikhnay mein acha hai lekin batin bad hai, woh sirf sael ka khair khuwah apnay matlab ki waja say hai.

Sawalat Ahkam e khana 12:
Yeh house mansob hai dushmano, hasad karnay walon say, haal e qaidion kay aur maazi kay halaat etc....

Question: Sael nay sawal kia kay meray kis qadar dushman hain?
Zaichay mein house 12th ki figure par ghor kia jata hai kay is mein anay wali figure mein kis element kay noktay hain aur inkay adad abjadi wa abda kya hain, pas abjadi say kami aur abda say beshi adad ka hokam kia jata hai,
Answer:
Jawab kay liay sael ka hisab banaya to yeh hisab bana,
Zaichay kay house 12th mein figure tareek ai hai, is figure mein charon elements kay noktay hain, iskay adad abda 15 hain, bayan kia kay dushmano ki tadad 15 hai, abjad ki is mein zarorat nahi hai.

Sael ka General Zaicha e Ramal Parhna aur Mudat Dekhnay ka Tarika:
Agar koi sael yeh sawal karay kay meray sabi halat zaicha dekh kar batao aur jo saktia, moshkilat aur parayshania hain woh kitnay arsay tak rahai ghi etc,
mein pehlay upar bata choka hon aab dobara yahan batata hon kay zaichay mein 1,2,3,4 yeh houses Amhat kay kehlatay hain, 5,6,7,8 yeh houses Binat kay hotay hain, 9,10,11,12 yeh houses matuldat kay hotay hain, 13,14,15,16 yeh house zawaidat kay hain, 
aab agar sael kay sawal ka taluk amhat kay houses mein say ho to sael kay halat aur parayshania kuch dino baad thek hongi, agar sawal ka taluk binat kay houses say hoto kuch haftay baad parayshani dor hongi, agar sawal matuldat kay houses say hoto kuch mahino mein halat mein behtari ay ghi aur agar zawaidat kay houses say hoto kuch saal lag jay ghay parayshani khatam honay mein, 
Elemental system say hokam lagana ho arsay ka to fard fire kay noktay say dino ka hisab lagaya jata hai, air kay noktay say haftay ka, water kay noktay say mahinay ka aur earth kay noktay say saal ka hisab lagaya jata hai, istarah jo sael ka sawal jis house say ho os mein jo figure ho os figure par ghor karna chahehai os hisab say arsa ya modat batai jay, jesay element fire ka adad aak hai, air kay adad do hain, water kay adad char hain aur earth kay adad aath hain, is system say jis figure kay element mein zoj ho oskay adad double hongay jesay figure lehan kay adad istarah hongay,
is figure kay element fire ka adad 1 hoga, air kay 4, water kay 8, earth kay 16 hongay, istarah total yeh adad 29 hoay, istarah har ramal ki figure say adad nikal kar dino ka hisab lagaya jata hai, aab mein general zaicha parhnay ka tarika share karta hon,
Sael nay apna hisab banwaya to yeh hisab oska bana,
*Zaichay kay 1st hoi mein figure aqla ai hai jo kay nehas munkalib hai, yeh figure element earth ki hai aur element fire kay house mein hai jo dalel hai kay sael abhi kafi parayshan aur takleef mein hai, lekin yeh parayshani 21 days tak rahai ghi,
*Zaichay kay 2nd house mein figure kabz dakhil ai hai jo sayd dakhil elemenet earth ki hai aur 2nd house jo element air ka hai os mein weak position par agai hai isliay bayan kia kay 21 days mein sael ki maali halat behtar hojay ghi,
*Zaichay kay 3rd house mein figure lehan hai jo sayd kharij element fire ki hai aur element water kay house mein anay say weak position mein hai isliay bayan kia kay 29 days baad bhaion ya kareebi rishtaydaron say faida milay,
*Zaichay kay 4th house mein figure farah ai hai jo sayd munkalib element air ki hai aur element earth kay house mein weak hai isliay bayan kia kay 19 days kay baad father, zameen ya shop say faida hasil hoga,
*Zaichay kay 5th house mein figure naqi ai hai jo nehas munkalib element water ki hai jo 5th house kay element fire mein weak hai, sael ko bataya kay 17 days tak mehbob ya aulad par say sakti dor hogi,
*Zaichay kay 6th house mein figure kabz dakhil ai hai jo element earth ki hai aur element air kay house mein weak hai isliay sael ko bataya gaya kay 20 din baad tabiat khush gawar hojay ghi abhi sehat ka kafi khyal rakhay,
*Zaichay kay 7th house mein figure jamaet ai hai jo element earth ki hai aur element water kay house mein hai isliay bayan kia kay shaadi ya biwi par abhi sakti rahai ghi 30 din tak,
*Zaichay kay 8th house mein figure farah ai hai jo sayd munkalib element air ki hai aur element earth kay house mein hai isliay bayan kia kay 19 days baad khof wa darr dor ho aur halat biwi kay thek hon,
*Zaichay kay 9th house mein figure nasra kharij ai hai jo sayd kharij element fire ki hai aur element fire he kay house mein hai jo strong position mein hai isliay bayan kia kay 27 days baad safar hoga aur is safar mein kamiabi naseeb hogi,
*Zaichay kay 10th house mein figure kabz dakhil hai jo element earth ki hai aur element air kay house mein weak hai isliay bayan kia kay 23 days baad ma say faida hasil ho ya job kay boss say faida milay,
*Zaichay kay 11th house mein figure otba kharij ai hai jo nehas kharij element fire ki hai aur element water kay house mein weak hai isliay bayan kia kay sael ki dili murad ya khuwaish 21 days baad puri honay ki umeed hai,
*Zaichay kay 12th house mein figure farah ai hai jo sayd munkalib element air ki hai aur element earth kay house mein weak hai isliay sael ko bataya kay 19 dino mein kisi say dushmani peda hogi,

Isi elemental system say zaicha par ghor kia aur parha jata hai yeh sab aak misal kay tor par paysh kia hai, aak ramali jitnay ziada sael kay hisab banata rahai ga apni life mein otna osko tajorba hota jata hai aur woh zaicha ramal ka hokam asani say laga pata hai, ramal ki 16 figures kay kai mansobat hotay hain aur yeh sab ramal ki books mein humay likhay miltay hain, in sabi mansobat ko yahan share karna possible nahi, isliay agar aap ilm ramal seekhna chahatay hain to muj say mashora lekar koi achi ramal ki books kharid lain jis say aap ko yeh ilm seekhnay mein asani ho,

Ilm e Ramal ki Books:
Ramal kay ilm kay mutalik humaray Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya "yeh ilm aak nabi par nazil hoa tha, jo shaks os nabi kay moafik is ilm ko insan ki bhalai kay liay karay to mojab e sawab hai", is hadees kay baad arab kay olma jo rohaniat mein ghor wa fikar kartay thay woh is ilm mein dilchaspi lenay lagay aur kai kitabay is ilm par likh dali, pehlay yeh ilm sirf arab kay badu jo gareeb khana badhosh hotay thay, onhe tak mehdod raha aur woh is ilm kay raaz ko apnay seeno mein he dafan rakhtay thay lekin arab kay olma e rohaniat ki yeh khuwaish rahi kay is ilm ko har koi seekhay aur dosron ko bhi iska faida pohanchay, aaj jo humay ramal ki books market mein milti hai yeh sabi arabic qadeem books ka tarjoma hota hai, woh arab kay musalman thay jinhonay sab say pehlay is ilm ko rayt say otha kar kitabon mein dala, ilm ramal kay kaiday bhi isitarah hain jesay kisi hakim kay noskhay hotay hain, jistarah aak hakim apni khas kitab mein dawa kay noskhay likhta rehta hai muktalif bozrogon aur hikmat ka kam karnay walon say poch kar isitarah arab kay olmao nay bhi ramal kay kai qaiday muktalif ramalio say poch kar kitab likhtay ghay, aaj humay jo books market mein milti hain on mein woh sabi ramal kay noshkhay mixed hotay hain jis say ramal ka ilm seekhnay wala jo naya hoga jisnay kabhi is ilm ko na parha hoga osay kitab parh kar is ilm ko seekhnay mein kafi parayshani hogi, kuo kay aaj jo humay ramal ki books market mein milti hain in books mein 5 tarah kay ramal kay kaiday hain jinko apas mein mixed kar kay aak he kardia gaya hai jis say acha khasa zaheen shaks bhi chakra jata hai kay mein zaicha e ramal kis kaiday kay ahkam ko mad e nazar rakh kar parhon, books mein jo 5 tarah kay ramal kay kaiday yehni 3 aksam walay ramal yeh hain,
*Ahkam e Shiklia
*Ahkam e Anasir 
*Ahkam e Najom
*Ahkam e Nokat
*Ahkam e Maslis
 
Ahkam e Shiklia:
Yeh ramal kafi qadeem hai aur ahkam e shiklia ka kaida hazrat Adam a.s par nazil hoa tha, national geography ki team jab africa kay ghanay jungalon mein ghai to wahan onko aysi qadeem kom mili jinhonay kabhi bahir ki dunia nahi dekhi thi aur woh bina libas kay wahin ghanay jungalon mein rehtay thay aur onkay tor tarikay aur kam wesay he thay jesay qadeem insano kay thay jo stoneage kay dor mein rehtay thay, onkay priest ilm ramal jantay thay jo ahkam e shiklia kay kaiday say ahkam lagatay thay aur zaichay rayt par nahi balkay seeds kay dano say zameen par banatay thay, is say national geographic team ko malum hoa kay yeh ilm bohat he qadeem hai jitna khud insan qadeem hai, 
Ahkam e shiklia mein sirf ramal ki 16 figures par ghor kia jata hai in mein kai figure jo achi hain onki sayd kehtay hain jo bori hain onko nehas kaha jata hai, yeh ramal asan hai jisay har koi easily seekh jata hai,
Ahkam e shiklia wala ramal arab mein khana badhosh logon mein ziada tha in logon ko "Barbar" kehtay thay, ahal e barbar ramal kay zaichay mein yeh dekhtay thay kay kis ramal ki figure ka golba hisab mein ziada hai yehni aak jesi figures ramal kay zaichay mein konsi hain aur same mizaj wali konsi hain, osi hisab say woh hokam lagatay thay, jesay agar koi sawal milap ya shaadi kay hawalay say hoto yeh dekhtay thay kay zaichay mein agar dakhil mizaj wali figures ziada hain to shaadi aur milap hosakay ga, agar kharij hoto murad puri nahi hogi etc...

Ahkam e Anasir: 
Yeh ramal misar mein bohat famous raha hai, misar ki bazaron mein ramali hazrat danial a.s he ki tarah rayt zameen par bicha kar ramal ka zaicha banatay thay, yeh ramal 4 anasir jo fire, air, water, earth hain osi kay asool wa kawaid say bana hai, yeh mera blog isi ansari ramal par hai jisay elemental geomancy kaha jata hai, yeh ramal moshkil hai samajnay mein onkay liay jo 4 anasir kay ilm say ziada wakif nahi, onkay liay samajna asan hai jo nature mein ghor wa fikar kartay hon aur nature ki chezon say amliyat ka kam kartay hon etc...


Ahkam e Najom:
Yeh ramal hazrat Idrees a.s par nazil hoa tha, yeh ramal najoom kay ilm kay sath mixed hai, zaichay ramal ko najom kay 12 borjon aur 7 planets kay mutabik nasbat di gai hai jesay 1st house aries ka, 2nd tauras ka 3rd gemini...wagayra, aur ramal ki figures ko bhi planets kay sath mansob kia gaya hai, jesay figure lehan ko planet jupiter say mansob kia gaya hai, agar yeh figure 1st house mein hoto planet jupiter aries kay borj mein hai aur osi kay mutabik sayd aur nehas hokam lagaya jata hai etc...
Yeh ilm ziada tar ancient greek yehni younan mein raha aur younani log isay kartay thay is ramal ko astro geomancy kehtay hain aur yeh kaida europe aur america mein bohat famous hai aaj bhi aur kai books is par likhi gai hain jo latin, english, french aur spanish languages mein humay milti hain,


Ahkam e Nokat:
Yeh ramal ka kaida sab ramal kay kaidon mein say moshkil tarin kaida hai, yeh ramal hazrat Musa a.s par nazil hoa tha, iskay israr bohat gehray hain yeh ramal bani israel ki kom mein sirf priest tak mehdod tha jisay kisi say bhi share nahi kartay thay, arab mein yeh ilm yahodi kahino mein tha jab on mein say kai logon nay islam kabool kia to apnay is ilm ko raaz mein na rakha aur kitabay likhi lekin woh kitabay aab zaya hochoki hain sirf aak kitab is kaiday par likhi humay aab milti hai is kitab ka nam "al shajra al samra" hai,


Ahkam e Maslis:
Yeh ramal hazrat Luqman hakim par nazil hoa tha aur yeh ramal Africa, Hindustan aur Byzantine Romans mein bohat famous raha hai, is ramal kay kaiday mein sirf 3 ramal ki figures say hokam lagaya jata hai, Africa mein is ramal ko ifa kaha jata hai aur woh apna mazhab kay tor tarikon say amal kartay thay aur sirf rayt par 2 figures banatay aur 3rd figure ko mukhfi rakhtay,
Hindustan mein bhi 3 figures bana kar ahkam lagatay thay yeh bhi apnay mazhab kay mutabik amal kartay ramal ki 3 figures ko ko trimurti kaha jata tha aur apnay teen devtao burhma, vishnu aur shiv say mansob kartay thay, yeh ramal hindustan mein rajisthan, thar aur sindh mein bohat famous tha aur moen jo daro ki khudai mein milnay walay nawadrat mein ramal ki figures bani kai chezain mili hain, Byzantine Romans jo ibtadai christian mazhab kay thay woh bhi ilm e ramal ki 3 figures say ahkam lagatay thay aur onkay mutabik yeh ramal ka kaida hazrat Essa a.s par nazil hoa tha,
Bible kay mutabik hazrat essa a.s nay zameen par ramal ki 3 figures bana kar aak larki ki jan bachai jisay yahodi sangsar karnay walay thay, qadeem isai log is ilm ko kafi muqadas mantay thay aur woh bhi apnay mazhab kay tor tarikon say amal kartay thay aur 3 figures ko silayb (christ cross) ki ilamat samaj kar amal kartay thay,

Ilm ramal aak alhami aur muqadas ilm hai jo har mazahab mein raha hai lekin is ilm ko har koi hasil nahi kar sakta chahai woh kitni he iski books parh lay ya seekh lay jab tak kay os shaks mein woh rohaniat na hogi tab tak woh ilm e ramal ko na samaj sakay ga na parh sakay ga koi kowat oskay zehan ko maof kar day ghi aur thak har kar yahi kahai ga kay yeh ilm to haram hai, yeh ilm to bakwas hai, yeh ilm to galat hai, is ilm ko karna time waste karna hai wagayra, mera aak student ilm ramal muj say seekh raha tha aur bohat sari books osnay is ilm par li aur woh kafi zaheen hai osnay ilm ramal ko bohat kam arsay mein seekh aur samaj lia phir osnay is ilm ko karna chor dia, pehlay to is ilm ki bari tarif ki phir karnay lagay borai kay ali bhai meinay is ilm ko kafi seekh lia hai lekin zaicha parh nahi sakta kuo kay zehan confuse hojata hai, shiklia kaiday say aak jawab milta hai to ansari system say alag jawab milta hai, najom kay system say alag jawab to noktay ki sayr say alag jawab akhir banda kis kaiday par amal karay aur osay sahi manay, ali bhai mein khud apnay banae hisab say mutamin nahi to samnay walay ko kistarah mutamin karon?
osnay yeh baat sahi kahi magar oski is mein koi galti nahi, jo bhi ilm ramal ki books parahai ga isitarah confuse hoga kuo kay ilm e ramal mein 5 tarah kay alag alag kaidon ko aak he kitab mein gudmid kardia gaya hai isliay isay samaj pana har kis kay bas ki baat nahi sirf wahi samaj sakta hai jisay 4 elements ki chemistry ko samajnay ka ilm ho, jisay najom thora bohat aata ho aur jo nature ki har chez mein ghor wa fikar karta ho woh jitna nature mein ghor wa fikar karay ga rohaniat kay otnay kareeb hota jay ga aur aak waqat ay ga kay woh sirf matti mein paray nokton aur lakeeron say achay aur boray haalat ko dekh leta hai jistarah mosam ka batanay walay asman par kalay badal dekh kar bata deta hai kay ya to barish hogi ya phir toofan ay ga, samaj dar insan os shaks ki baat ko samaj jatay hain aur apna bandosbast kar letay hain takay barish ya toofan say mehfoz reh sakain aur kai log jo ilm ko galat kehtay hain aur ilm say guide line nahi letay onka hashar wahi hota hai jo barish ya toofan say tabahi kay baad hota hai,


Kya Aap Bhi Ilm e Ramal Seekhna Chahatay Hain?
Mein pehlay online ilm e ramal seekhata tha haftay mein 2 din 2 hours tak skype par lekin phir online classes lena stop kardi apni masrofiat ki waja say aur apnay amliyat kay kamo mein kafi busy hojata hon, 
Meri advise hai on tamam ilm e ramal kay new students kay liay kay woh jab bhi ilm e ramal kisi book say seekhain to pehlay kisi aak kaiday par amal karain aur os mein kamil hojay, jab aap aak kaiday mein kamil hojay phir aap dosray ramal kay kaiday ko lain,istarah aap ko zaichay parhnay aur samajnay mein moshkil nahi hogi,
Market mein milnay wali ramal ki books mein qadeem urdu aur farsi kay alfaz mixed hotay hain jis say kitab kay alfaz parhnay aur samajnay mein moshkil hoti hai isliay ramal ki books mein say sab say asan wa mofeed, jameh aur diagram kay photos kay sath behtareen 4 kitabon ka set "Rahim Al-Ramal" hai, yeh books itni nayab hain kay aak ramali kay liay kisi khazanay say kam nahi, Allah pak ka shukar wa karam hai meinay ilm e ramal ko kafi seekha hua hai lekin aab bhi rahim al ramal books parhta rehta hon aur jab bhi in books ko parhta hon har bar ilm e ramal kay nai chopay israr wa raaz malum hotay hain,
Book Rahim Al Ramal kay volume: 1 mein ahkam e shiklia, ahkam e anasir aur ahkam e najom kay mutalik ramal kay kaiday hain,
Book Rahim Al Ramal kay volume: 2 mein ahkam e nokat yehni noktay ki sayr kay mutalik kaiday hain,
Book Rahim Al Ramal kay volume: 3 mein ahkam e maslis aur qadeem bozrogon kay ramal kay noshkhay shamil hain,
Book Rahim Al Ramal kay volume: 4 mein ilm e ramal kay zariay rohani aur jismani bimari ki tashkhes wa ilaj kay mutalik kafi jamae
kitab hai,
Yeh charon kitabon ka set market mein bohat kam available hai aur jinkay pas hai woh isay photocopy kar kay sell kartay hain aur aak kitab kay 2000/- rupay letay hain aur books ka photocopy print bhi clear nahi hota, agar aap ko rahim al ramal 4 books ka set original aur kam munasib keemat mein chahehai to aap muj say rabta kar kay kharid saktay hain, 
  
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Elemental Geomancy yehni Ansari ramal kay topic ka yeh blog yahin tak complete karta hon, inshAllah bohat jald ilm e ramal kay new topic kay sath dobara hazir honga, tab tak kay liay apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhna,
*~* Parh kay Rohani Oloom Karain Ghay Yaad Hum Ko Ahal e ilm
Matti ka ilm liay apnay sath mil jay ghay hum aak din matti mein
Bas reh jay ga humara tazkira net, blog wa facebook mein *~*

                                               Ali.

My Other Articles: