Pages

Sunday, December 11, 2011

Black Snake Talismans

Saanp aak aysa purisrar janwar hai jis kay israr aur rohaniyat say har mazhab ka shaks kael hai jo rohaniat ki samaj bojh rakhta hai, dunia kay har mazhab mein saanp ka kirdar acha bhi hai aur bora bhi, dunia kay har mazhab wa culture mein saanp kay israr aur rohaniat kay mutalik muktalif kisay, kahania, wakiat parhnay ko miltay hain, ancient egypt ho ya ancient greece, ancient rome ho ya ancient china inki tarikh mein aur mazhab mein aap ko saanp zaror milay ga, aap agar china jao gay to wahan aap ko aak alag tarah ka khubsurat rangon wala saanp jaga jaga deewaron par bana dikhai day ga jisay Dragon kaha jata hai, isitarah agar aap india jao gay to wahan aap ko alag tarah kay saanp kay statues dekhnay ko milay gay jiskay kai mo(faces) hain, isitarah indonesia mein aap ko alag tarah ka saanp ka statues dikhai day gay sar insan jesa aur dhar saanp jesa, isitarah Thailand mein aap ko adha dhar insan ka adha dhar saanp ka istarah kay statues dikhai day ghay, in sabi mumalik mein saanp ko bohat muqadas mana jata hai, 
Aab baat kartay hain ahal e kitab kay mutalik kay onkay nazdeek saanp ka nazaria kya hai, yahodi log bhi saanp ko muqadas mantay hai kuo kay onki asmani kitab Torayt mein lihkha hai kay Hazrat Mosa(a.s) ki laathi saanp ban jaya karti thi, isitarah christian padari bhi saanp ki rohaniat kay kael hain kuo kay Bible mein Hazrat Essa(a.s) ka aak wakia likha hai jo mein yahan share karta hon,
Bible mein likha hai kay log bohat heran hoay kay kistarah hazrat essa(a.s) bimar logon kay jism par haath phayr kar onko shifa detay thay aur on logon nay jab iskay mutalik aap(a.s) say pocha to aap(a.s) nay farmaya kay yeh aak ilm hai jo khuda apnay khas bandon ko aata karta hai aur yeh ilm kai logon mein hai jo tmharay as pas nazdek he rehtay hain, logon nay hazrat essa(a.s) say pocha kay humay kistarah malum ho kay onkay pas yeh ilm hai, kya nishani hai jis say humay onkay mutalik malum ho? hazrat essa(a.s) nay farmaya:
"They shall take up serpents; and it shall not hurt them; they shall lay hands on the sick, and they shall recover. (Mark 16:17-18)"
yehni jo shaks bina khof kay saanpon ko apnay haath mein otha lay aur saanp osay noksan na day to aysay shaks kay haath mein shifa hoti hai.

Aaj bhi europe aur america kay church mein padari log zehrilay saanpon ko haath mein otha kar tamasha dekhatay hain kay dekho humay yeh saanp nahi das rahai humaray haath mein shifa hai, isitarah kay tamashay dikhatay hoay kai padari apni jan say haath dho bethay kuo kay saanp nay onko kat lia, is tamashay ko snake handling ritual ka nam dia jata hai, khair hazrat essa(a.s) yeh to nahi kaha tha kay saanp ko haath mein lekar tamashay dikhao, hazrat essa(a.s) nay jo bible mein saanp kay mutalik likha hai iska matlab kuch aur he hai aur aak gehra rohani raaz chopa hai jisay padari log nahi samaj pay, iskay mutalik mein zaror inshAllah apnay article "Sufi Reiki" mein share karon ga,
Aab mein saanp kay mutalik ahadees, rawayat wa wakiat share karta hon jo humaray deen e Islam mein hain


~*~ ARSH KA SAANP (shesh naag) ~*~
Saanp ki kai aksam aur nasal hain aur yeh sab nasal aur aksam kay saanp aak he saanp mein say peda huay hain jisay "SHESH NAAG" kehtay hain, Shesh naag sabi saanpo ka bap hai aur iskay kai mo hotay hain, shesh naag ki pedaish ki islami tarikh kuch istarah hai kay jab Allah pak nay arsh peda kia to arsh ko guror hogaya kay muj say bari aur azeem chez aur koi nahi kainat mein tabhi khuda nay shesh naag peda kia jisnay arsh jo jakar lia aur apna sar opar kar kay khuda ki tarif mein Subhan Allah, Subhan Allah kehnay laga, shesh naag nay arsh ko charon taraf say jakar kar chota kar kay round ball ya globe jesa kardia, aur arsh ko gol ghomanay laga jistarah globe ghomta hai aur kaha arsh ko kay tawaf kar os azeem khuda ka jisnay tujay aur mujay peda kia, arsh nay jab itnay baray aur taqatwar saanp ko dekha to sharminda hua aur tooba karli, iski rawait mein yahan share kar raha hon,

~*~ JANNAT MEIN SAANP ~*~
Khuda nay arsh kay saanp shesh naag ki itni ziada ibadat ki waja say osay jannat mein rakha aur oski tangay peda ki jis say woh jannat mein har jaga azadi say chalnay aur phirnay laga aur osay itna khubsurat banaya kay is say khubsurat aur koi janwar na tha, jab khuda nay hazrat Adam(a.s) aur Bibi Hawa(a.s) ko jannat mein rakha to shaitan jo pehlay farishton ka sardar tha aur Hazrat adam(a.s) ko sajda na karnay par khuda nay osay jannat say nikal dia to osay hazrat adam(a.s) say sakt hasad honay laga aur woh isi koshish mein tha kay woh bhi meri tarah jannat say niklay, shaitan jannat mein ja nahi sakta tha isliay osnay shesh naag ko kaha kay woh osay apnay mo mein chopa lay takay koi osay jannat mein na dekh sakay aur shaitan ka rutba pehlay bara tha woh farishton ka sardar tha aur shesh nag nay oski baat man li aur osay apnay mo mein liay Bibi hawa(a.s) kay pas aya aur shaitan nay naag kay mo mein say baat kar kay biwi hawa(a.s) ko os phal khanay par razi kar lia jisay khanay ko khuda nay manah kia tha aur bibi hawa nay woh phal khaya aur hazrat adam(a.s) ko bhi khilaya jis say khuda bohat  sakt naraz huay aur charon ko jannat say nikal kar dunia mein muktalif jagaon par rakha, saanp ko yeh saza mili kay oskay paon kat diay ghay aur woh payt kay bal zameen par keeray ki tarah rengnay laga, is say pehlay jab woh arsh mein tha to kafi bara tha aur hawa mein orta tha, jab jannat mein rakha gaya to osay tangay mili jis say woh chal bhi sakta tha magar jab shaitan ki waja say osay saza mili to sab kuch os say cheen gaya aur woh aak keeray ki tarah zameen mein rengnay laga, jannat par nikalnay kay baad osay isfahan mein otara gaya isi waja say isfahan mein saanp ki kai aksam pai jati hai, jistarah zameen par hazrat adam(a.s) ki kai auladain peda hoi jin mein kuch nayk aur kuch boray thay same isitarah saanp kay jo bachay peda huay on mein kuch nayk aur kuch boray peda huay, nayk oski ibadat ki waja say peda huay aur boray shaitan ka kaha mannay ki waja say peda huay,
Shesh naag ki padaish bhi shaitan ki tarah aag say hoi aur shesh naag jinnat mein say hai, shesh naag ki aulad jo nayk thi oski woh khuda ki ibadat kartay thay aur nayki kay kam kartay thay khuda nay onko woh kowat day di jis say woh har rop apna badal saktay thay, 

Hazrat Adam(a.s) aur Bibi Hawa(a.s) ko dunia mein maafi mil gai lekin saanp ko abhi maafi nahi mili, olma e rohaniat kehtay hain kay shesh naag khana e kaaba ki zameen kay andar kai arsay say tha, aur apni bakshish kay liay ibadat karta, Hazrat ibn e abas(r) ki rawaet hai kay jab Quresh nay khana e kaaba tahmeer karnay ka irada kia to khana e kaaba ki zameen khudnay par yeh saanp zahir hua jisay aak aqab nay foran apnay panjo mein otha kar aak haijon kay makam par chora jisay wahan ki zameen nay osay nigal lia, olma e rohaniat kehtay hain jab qayamat nazdeek hogi tab is saanp ko maafi milay gi aur yeh pehlay ki tarah bara aur taqatwar ban jay ga iski dom har shar har jaga dikhai day gi aur puri dunia ko jakar lay ga jistarah arsh ko jakra tha, Olma e rohaniat kehtay hain kay woh haiwan jo qayamat say pehlay zahir hoga jisay "Dabat Al-Arz" kehtay hain woh yahi hai,
Quresh nay khana e kaaba ki zameen mein is saanp ko is halat mein dekha kay woh apni he dom apnay mo mein liay tha, saanp ki yeh surat kafi famous hogai aur olma e rohaniat nay apni kai oloom ki kitabon mein yeh surat banai jiski aak image mein yahan share kar raha hon,
Is image mein wahi saanp, aqab aur jinn bana hai, yeh secret symbol kay tor par ilm al-kemia aur amliyat kay oloom mein use hota hai jisay sirf wahi dekh kar samaj sakta hai jo rohani oloom janta ho,
Pir, faqir, sufi aur dervaish aur bari hastion ko bhi yeh symbol bohat passand hai is mein aak rohani raaz chopa hai, kai qadeem fakiron kay kashkol mein bhi yahi saanp ka symbol bana hota hai, in kashkol ki kuch images yeh hain,
Yeh to baat hoi saanpon kay bap ya badshah shesh naag ki aur aab mein shesh naag ki aulad jisay jinnat saanp kehtay hain oskay mutalik share karta hon,
Saanp ka saath insan kay saath jannat mein raha hai, dunia mein raha hai, insan kay marnay kay baad oski kabar mein raha hai aur akhir jehnom mein bhi rahai ga,
Allah pak nay jistarah 7 asman peda kiay hain aur har aak asman par farishton aur noori mokilat ki aak jamait abad hai aur yeh farishtay aur noori mokilat Allah pak kay hokam say dunia mein achay kam sar anjam detay hain aur momin nayk logon ki madad kartay hain same isitarah Allah pak nay 7 zameenay bhi peda ki hain aur in zameen mein jinnat aur safli mokilat abad hain jo Allah pak kay hokam say boray logon ko onkay gunah ki waja say saza detay hain,
Jinnat saanp boray logon ko onkay gunnahon  ki waja say onki kabar mein Allah pak kay hokam say aziat detay hain,
Isitarah Jehnom mein bhi kai tarah kay saanp hain jo gunahgar logon ko onkay gunahon ki waja say aziat day ghay,


~*~ JINNAT SAANP ~*~
 

Mera saanp kay mutalik likhnay ka itfaq istarah hua kay kuch arsa pehlay meray chotay cousin nay indian movie dekhi jo saanp par thi, meray cousin nay muj say pocha kay Ali bhai kya aap ichadhari saanp ya rop badalnay walay saanp par yakin rakhtay hain? aur kya wakai haqeqat mein istarah kay saanp hotay hain? aur meinay wahi jawab dia jo har mokhfi oloom ya rohani oloom jannay wala deta kay "je han bilkol aysay saanp hotay hain", aur aaj mein yahan kuch aysa share karnay wala hon kay yeh sub parhnay kay baad har koi shaks yeh mannay par majbor hojay ga kay haqeqat mein bhi aysay saanp mojod hain jo humaray aspas he rehtay hain,
Bohat say log yahi samajtay hain kay istarah kay saanp kay kisay aur wakiat sirf indian mythology ka hisa hain magar woh log galat samajtay hain kuo kay indian mythology kay sath dunia mein har mazhab aur culture mein istarah kay saanpo ka haqeqat mein honay par yakin hai, aap ko yeah parh kar shayad hayrat ho kay humaray mazhab deen e islam mein bhi istarah kay saanpo kay honay par yakin hai, kafi Ahadees e pak, rawayat, wakiat, kisay istarah kay saanpo par hain, muslim olma e rohaniat wa mokhfiat subi ka istarah kay saanpo ka haqeqat mein honay par yakin hai, islam mein istarah kay saanpo ko "JINNAT" kaha jaata hai jo har roop badal sakta hai, ichadhari naag, shesh naag yeh subi jinat saanp hotay hain, kuch in mein mosalman hotay hain, nayk kam kartay hain, logon ko takleef nahi detay inko dervaish saanp ya fakir saanp bhi kehtay hain aur istarah kay saanpo ko gao(village) kay log pehchan jatay hain aur inko martay nahi yeh saanp bohat ziada zehrilay hotay hain agar kisi ko das lay to insan osi waqat mar jata hai magar yeh saanp gao mein gharo mein azadi say atay jatay rehtay hain na woh kisi ko dastay hain na gao walay onko taklef detay hain khud in saanpo ko milk pilatay hain, aur kuch istarah kay saanp shaitan bhi hotay hain jo logon ko har tarah ka noksan detay hain das kar ya boray shaitani asrat say, kala jaadu ya black magick karnay walay inhe saanpo ko taskheer karkay bohat say kam letay hain,
Humaray Nabi pak(s.a.w) kay dor mein jinnat saanp pehlay mosalman nahi hoay thay aur kahin jo jhar phonk kartay thay in jinat saanp ko jaadu kay zariay taskheer kar kay apnay kam mein latay thay aur mosalmano ko har tarah ki takleef detay thay, jab koi saanp ko marta to saanp os say intakam letay thay jiskay mutalik hadees hai:
Aaj bhi gao(village) mein jo log black cobra ya kalay saanp ko mar detay hain woh aksar pagal ya mar jatay hain aysay wakiat humaray apnay gao mein bhi hoay hain, opar hadees mein likha hai "hum nay onsay salah nahi ki jab say larai shoro hoi hai" yehni saanp jinat say salah nahi hoi thi pehlay magar phir onsay salah hogai aur saanp jinat mosalman hogay jiskay mutalik ahadees hain:


Sirf Cobra saanp jo black colour kay hotay hain jo chaltay waqat sar otha kar chaltay hain wahi saanp jinat hotay hain baqi saanp jesay viper snake choti dom walay aur istarah kay kai aur saanp jinat nahi hotay onko mar dalna chahehai jinki images yeh hain:
 
Yeh saanp bohat zehrilay hotay hain Is kisam kay saanpo ko mar dalna chahehai yeh jinat nahi hotay,

 Yeh 2 moa saanp hota hai yeh bhi bohat khatarnak hai, Hadees e pak mein likha hai kay agar yeh saanp pregnant aurat ko dekh lay to aurat kay payt mein mojod bachay ko mar deta hai, aur iskay zehar ki ajeeb taseer hai kay agar yeh kisi ko kat lay to os shaks ko har saal koi na koi saanp das jata hai, iskay zehar mein aak maksos bo hoti hai jo blood mein hal hojati hai aur pasenay mein yeh bo shamil hojati hai aur isi bo ko soong kar koi na koi saanp akar os shaks ko kat leta hai,


Is kisam kay saanp jo chaltay waqat sar otha kar chaltay hain in mein jinat hotay hain,
Agar istarah ka saanp ghar mein hota hai to osay pehlay mara nahi jata pehlay yeh amal kia jata hai jo hadees mein likha hai kay:
 
  
Agar yeh amal karnay kay baad bhi saanp ghar mein ajay to woh nayk saanp jinat nahi, woh ya to shaitan hai ya kisi kala jaadu karnay walay kay zariay aya hai ghar aur ghar kay afrad ko takleef denay aur nahosat phelanay, aysay shaitan saanp ko mar dalna chahehai,
Gao(village) kay aksar gharon mein aysay saanp hotay hain, gao kay log har saanp ko dekhtay he mar daltay hain magar cobra saanp ko nahi martay halakay cobra saanp bohat zehrilla hota hai kisi ko das lay woh osi waqat mar jata hai, magar cobra saanp jinat hotay hain aur woh kisi ko takleef nahi detay jab tak osay koi takleef na day yeh baat gao kay log achi tarah jantay hain, yeh saanp gharon mein atay jatay rehtay hain aur gao kay log onko milk pilatay hain, gao kay log in saapon ko dervaish, fakir bhi kehtay hain onkay mutabik, aulia, pir, fakir bhi in saapon kay rop mein hotay hain, 


Saanp jinat say salah honay kay baad kafi saanp jinat mosalman hogay aur onhonay Nabi Pak(s.a.w) ko kaha kay aap(s.a.w) apni omat ko keh dain kay woh humay takleef na day aur hum onko takleef na day gay, kafi ahadees hain jis mein Nabi pak(s.a.w) nay farmaya hai kay saanp jinat ko takleef na dain :

Aksar log zamin par banay saanp kay bil mein peshab kartay thay jin say woh saanp jo jinat hotay hain chir jatay hain aur peshab karnay wala shaks jinati asrat mein akay bimar hojata hai ya pagal, yeh aksar gao mein logon kay sath hota hai jinko iskay mutalik malum nahi hota,
 Saanp Jinat jo mosalman hogay thay woh humaray Nabi pak(s.a.w) kay pas apnay masail kay hal kay liay atay rehtay thay jiskay mutalik ahadees hain:

 Kuch nayk jinnat saanp kay wakiat yeh hain:
 
 


Hazrat Ibn Akeel farmatay hain, humara aak ghar tha jab bhi log is ghar par rehnay aatay thay subha ko morda pay jatay thay, aak martaba aak aadmi aya osnay is ghar ko keraya par lia aur isko pasand kia aur raat gozari aur subha woh sahi aur zinda tha, yeh dekh kar parosi heran hoay, woh shaks kafi arsay is makan mein raha phir kahin chala gaya, os say oskay zinda bach janay ki waja malum ki to osnay bataya jab mein raat ko isha ki nimaz parhi aur Quran pak ki kuch tilawat ki to achanak meinay aak jawan mard ko dekha jo konway say opar ko nikal raha tha, osnay mujay salam kia to mein os say dar gaya, osnay kaha khoof na karo mujay bhi kuch Quran pak sikhlao to meinay osko sikhlana shoro kia, phir meinay os say pocha is ghar ka kya kisa hai? osnay kaha hum mosalman jinat hain tilawat bhi kartay hain nimaz bhi parhtay hain magar is ghar mein aksar badkar log rehnay aatay thay jo sharab peetay aur galat kam kartay thay isliay hum onka gala ghont kar mar detay thay, meinay os say kaha kay mein raat ko tum say darta hon tum din ko aya karo, osnay kaha bohat acha phir woh din kay waqat konway mein say nikal kar aata tha, aak dafa woh Quran pak parh raha tha kay aak sapayra darwazay par aya aur sada lagai kay mein saanp, bad nazari aur jin ka dam karta hon, to os jin nay kaha yeh kya chez hai, meinay kaha yeh jhar phonk karnay wala hai, osnay kaha osay bolao, to mein oth khara hoa aur osay bola lay aya to meinay dekha kay woh jin chahat par bohat bara saanp ban gaya hai, to os sapayray nay jhar phonk ki to saanp lotpot honay laga aur ghar kay darmian gir para to sapayra otha aur osko pakar kar apni gadri mein dalnay laga to meinay osay mana kia, sapayray nay kaha kya tu mujay meray shikar say mana karta hai? phir meinay osay aak sonay ki asharfi di aur woh chala gaya to os saanp nay harkat ki aur jin ki shikal mein zahir hogaya laykin woh kamzor hokar peela par choka tha aur patla hogaya tha, meinay os say pocha tumhai yeh kya hua? osnay kaha kay sapayray nay mujay on isma e mubarka say katal kardia, mujay yakin nahi tha kay mein os say chotkara hasil kar pao ga, aab jab tum konway say cheekh ki awaz suno to yahan say chalay jana, chinachay meinay raat kay waqat awaz suni kay aab tum yahan say dor chalay jao, Ibn akeel farmatay hain oskay baad say os ghar mein log rehaish karnay say rok ghay.
(Kitab Al-fanon ibn akeel, Laqat Al-Marjan, 105)


Quran e pak mein bhi rop badaltay saanp ka zikar mojod hai jesay Hazrat Musa(a.s) ki laathi ka saanp ban jana:

Arab kay olma e rohaniat aur motbar hastio, Aulia aur dervaish logon nay jinnat saanpo par kafi kitabay likhi jo kai to zaya hogai magar kuch arabic aur farsi kadeem books mein humay in jinnat saanpo kay mutalik kafi kuch information, inko taskheer karnay kay tarikay, amliyat, tawezat wagayra mil jatay hain, inhe nayab qadeem books ki kuch images yeh hain:

 



"JINNAT SAANP KI TASKHEER"
Jinnat saanp ki taskheer kay kai tarikay aur amliyat hain jiskay mutalik yahan sab batana munasib nahi, kuch khas batain mein yahan share karta hon, saanp aak aysa janwar hai jo har jaga har ilakay mein hota hai lekin humay kistarah malum ho kay konsa saanp jinnat hai? iski pehchan karnay ka asan tarika yeh hai kay saanp ko doodh(milk) pilanay ko dia jay agar osnay doodh pia aap kay haath say aap kay samnay to woh 100% sure jinnat hai, kuo kay aam saanp kabhi doodh nahi peta, aap agar kisi zoologist ya national geographic channel ki team jo saanpon par research karti hai onko agar aap kahai gay kay saanp doodh peeta hai to woh aap par hasnay lagay gay ya aap ko bewakof ya pagal samjhay gay, kuo kay saanp doodh nahi peeta woh oski khorak he nahi hai woh sirf mandak, chohai, chopkali ya apnay jesay saanp ko mar kar osay pura nigal kar kha jatay hain, doodh sirf black cobra snake ki kuch kisam peeti hai aur yahi jinnat saanp hotay hain,
Meray gao say kuch dor dosray gao mein logon nay bataya kay wahan aak kala saanp hai jisnay aaj tak kisi shaks ko kata nahi hai aur kuch dosri ilamat batai jesay har roz same aak he waqat par nazar aata hai phir kahin chala jata hai, in ilamat say mujay yakin hogaya kay woh jinnat saanp he hai aur mein oski khoj mein laga raha aur wahan gao kay kuch logon ko kaha kay aab agar woh dikhai day to oska pecha karna takay oska bil malum ho kay woh rehta kahan hai, aur akhir kar mujay os saanp ka bil mil gaya, mujay oski timing malum thi kay kis waqat woh bil mein say nikalta hai, os waqat mein ready tha, jesay he osnay apnay bil mein say mo nikala meinay osay salam kaha aur doodh pesh kia magar osnay doodh na pia aur gosay say mujay dekh kar phokarnay laga,
Oska gusay mein mujay dekhna aur phukarnay say mujay laga kay shayad yeh jinnat saanp nahi aam janwar hai, meinay phir aak wazaif parha jo jinnat ki taskheer ka hota hai jo aak tarah say kasam nama hota hai yeh hazrat sulaiman a.s say mansob hai, jab meinay woh parha to saanp parsakon sa hogaya aur koi harkat os mein bilkol band see hogai aysay khamosh hogaya jesay osay sakta sa hogaya ho woh statue ki tarah bina hilay mujay bas dekhta raha phir os mein harkat see hoi aur osnay apna sar slowly doodh ki taraf kia aur osay peena shoro kardia,
Kuch dayr doodh peenay kay baad osnay ak bar phir mujay dekha aur wapis apnay bil mein chala gaya, mujay bohat khushi hoi kay mujay apnay amal kay liay sahi saanp akhir mil he gaya magar afsos hua gao kay kuch logon ki jahalat dekh kar, meray jannay kay baad kuch gao kay log wahan ay aur saanp kay bil ko khud kar pura kharab kardia, jab mein wahan dosray din gaya to saanp kay bil ki jaga bara sa garha khu da hua tha, jab meinay pocha wahan kay kuch logon say to onhonay bataya kay aap nay jo saanp ko doodh pilaya to yeh baat yahan gao mein kafi phayl gai aur kai logon ko laga kay aap koi khazanay ki deg nikalnay ka amal kar rahai ho aur khazanay kay muhafiz saanp ko aap nay amal say taskheer karlia hai, aap kay janay kay baad khazanay ki lalach mein is jaga ko khud dala magar onko wahan kuch na mila, mujay bohat dukh aur afsos hua aur gusa aya on logon ki jahalat par, woh saanp mujay dobara kahin nazar nahi aya osnay woh jaga chordi hogi, magar aak na aak din zaror os say molakat hogi inshAllah.
 

~*~ NAAG MANI ~*~
Ichadhari saanp aur Mani yeh dono kya wakai haqeqat mein hain?
yeh sawal har os shaks kay zehan mein aata hai jo rohaniat mein dilchaspi rakhta hai aur aaj mein yahan iskay kuch raaz batata hon jiski mujay ijazat mili hai,
 
"Ichadhari saanp" icha matlab hai khuwaish aur dhari matlab hai rop badalna, Hazrat Omar(r) say kisi nay pocha kay jinnat har rop badal saktay hain onko yeh kowat kesay milti hai? Hazrat Omar(r) nay farmaya kay "Jinnat agar shikal badlay ya rop apna badaltay hain to yeh Allah pak ki taraf say hota hai".
Jesay kay meinay opar bataya kay dunia ka pehla saanp shesh nag jo tamam dunia kay saanpo ka baap hai oski aulad mein kuch nayk saanp bhi peda huay jo oski ibadat ki waja say hain aur jo boray  insan dushman hain woh shaitan ki madad ki waja say peda huay,
Nayk saanp khuda ki ibadat kartay hain woh apnay bil mein say bohat kam nikla kartay hain jab bhok lagti hai to tab nikaltay hain phir wapis apnay bil mein akar ibadat kartay hain kafi arsa isitarah rehnay ki waja say khuda onko aak khas pathar ata karta hai, yeh pathar saanp kay jism mein he peda hota hai jistarah insan mein bimari ki waja say pitay ya gorday mein pathari peda hoti hai, yeh pathar nayk saanp ki ibadat ka phal hota hai dikhnay mein yeh aak white crystal jesa shinning wala stone hota hai jis mein saanp apna aks dekhtay hoay jo khuwaish karta hai wesa woh ban jata hai,
Saanp kabhi is stone ko zahir nahi karta magar nagin kay ishq mein akar isay zahir kar deta hai, saanp ko chand ki roshni bohat passand hoti hai woh chand ki roshni ki taraf attaract hota hai jistarah patangay mombati ya bulb ki roshni mein attaract hotay hain isitarah saanp chand ki roshni mein mast hota hai, jab chand ki 14th date aati hai chand disk ki tarah asman par dikhai deta hai har taraf chandni cha jati hai raat kay waqat to saanp os waqat chand ki taraf dekhtay hoay mast hotay hain oski roshni mein onko suror sa milta hai, male aur female saanp jab os time miltay hain to female saanp ki nigah aur tawaja sirf chand ki taraf hoti hai aur woh male saanp par tawaja nahi deti aur male saanp oski tawaja apni taraf karnay kay liay apnay mo say woh khas mani wala stone nikalta hai jiski shining ya chamak chand say bohat ziada hoti hai jisay dekh kar nagin saanp ki taraf dori chali aati hai aur dono apas mein lipat kar os stone ki chamak say suror hasil kartay hain,
 Yeh kai ghanton tak isitarah mani stone ko dekhtay hoay suror hasil kartay hain phir saanp isay apnay mo mein wapis nigal leta hai aur apnay bil mein chala jata hai, ya kabhi aysa bhi hota hai kay kay nagin saanp ko mar kar woh stone khud nigal leti hai aur woh aysa shaitan kay kehnay par karti hai aur woh nagin har rop badalnay wali churail ban jati hai jisay arabic mein "Al-gaul" kehtay hain jo insano ko har tarah ki takleefay deti hai,
Naag mani aak aysa stone hai jo agar kisi insan ko mil jay to woh is say apni har khuwaish puri kar sakta hai aur isay hasil karnay ki lalch mein kai badshahon, saperon nay saanpon ko takleefay day kar mara magar onko kuch hasil na hua,
Opar image mein aak badshah ko dikhaya gaya hai jo naag mani ko hasil karnay ki lalach mein hazaron lakhon saanpon ko aag mein jalata hai aur kasam khata hai kay mein isitarah saanpon ko jalata rahon ga jab tak mujay sanpon ka badshah apni mani nahi deta, 
magar sabi badshah zalim nahi thay kai badshah achi nature kay nayk bhi thay aur onki dosti jinnat saanp kay badshah say thi aur woh boray waqat mein aak dosray kay kam bhi aatay thay,
Opar image insano kay badshah aur jinnat saanp kay badshah ki apas mein molakat ki hai,
Jinnat saanp ki mani saanp ki marzi kay bina koi bhi insan hasil nahi kar sakta jisnay lalach ki osay tabahi aur barbadi kay siwa kuch hasil na hua, jinnat saanp apni marzi aur khushi say woh mani kisi bhi nayk insan ko day detay hain agar woh kisi moshkilat mein ho
Aur istarah kay kai wakiat hain jis mein naag nay apni mani insan ko khushi mein as a gift di, 
aur woh nayk insano ko jo khuda ki ibadat kartay hain onko woh tarika bhi batatay hain kay kistarah woh ibadat kar kay os khas darjay ya mokam tak pohanch jatay hain kay onko woh mani hasil hoti hai,
 Olma e rohaniat kehtay hain kay aak nayk jinnat saanp nay Buddha ko woh khas ibadat ka tarika bataya tha,
 Aur Buddha nay jinnat saanp kay bata ay huay tarikay par morakba ya meditation ki jis say aak mani ki tarah shining wali chez onki eyebrow kay beech mathay kay centre mein peda honay lagi jisay third eye ya rohaniat ki ankh kehtay hain is mein aak noor sa jamah honay laga aur woh kowat buddha ko hasil hogai,
Buddha nay yeh raaz sirf apnay tak mehdod nahi rakha balkay auron ko bhi bataya aur kai fakir aysay hain jo yeh amal kartay hain aur on mokam tak onki rasai hojati hai kay woh jo khuwaish karain onki puri hosakti hai, inshAllah mein sufisim aur fakiri kay topic par blog likhon ga to zaror iskay mutalik share karon ga,
Insan ko jab yeh kowat hasil hojati hai to woh apnay jism say azad hosaktay hain aur jo rop chahai badal saktay hain, yeh kowat aak khas ibadat aur morakbay say hasil hoti hai aur yeh khas ibadat pir, faqir, sufi, dervaish aur aulia kartay hain,
Yeh jo 2 saanpon ka symbol hai isay sufisim mein jalal wa jamal kehtay hain yehni morakbay ya ibadat ya chila katnay kay doran jalali aur jamali ka parhayz karta hai osi ko woh khas mokam hasil hota hai, jalal yehni apnay gusay par control karna, jamal matlab apnay nafs aur chahaton par control karna hai, agar yeh 2 saanp jisnay control karliay apnay aap mein to osay woh khas "mani" hasil hojay gi,

~*~ SAANP KA MINKA ~*~
Naag Mani ki tarah aak aur bhi stone saanp kay sar mein say nikalta hai jesay saanp ka "minka" kehtay hain, Naag mani to hasil karna na mumkin hai lekin saanp ka minka easily hasil hojata hai, kai log jinko ilm nahi hota woh naag mani aur minkay ko aak he chez samajtay hain lekin haqeqat mein yeh dono stones alag hotay hain,
Naag mani to woh khas stone hai jo saanp ko oski ibadat ki waja say milta hai lekin saanp ka minka woh pathar hai jo saanp ko bimari ki waja say peda hota hai,
Pathar ya pathari har janwar ko oskay jism mein bimari ki waja say peda hoti hai jesay gal bladder stones ya stoamach stones kehtay hain, insan ko bhi bimari ki waja say pitay, gorday ya masanay mein pathari peda hojati hai,
Isitarah saanpon ko bhi pathari peda hoti hai oskay sar mein jo pehlay to choti hoti hai magar waqat guzarnay kay saath woh barhti jati hai aur danay ki tarah saanp kay sar mein say obhri hoi dikhai deti hai,
Jesay saaperay saanp kay sar ko thora kat par woh pathari nikal letay hain aur isi pathari ko minka kehtay hain, mein yahan aak video clip share kar raha hon jis mein aak sapera saanp kay sar mein say minka nikal raha hai,


Yeh pathari kya hai? kistarah peda hoti hai aur iskay kya fawaid hain iskay mutalik mein yahan share karta hon,
Arab kay olma e hikmat wa rohaniat nay in stones par kafi research ki jo haywanat mein say nikaltay hain aur in khas patharon par kai kitabay likhi jo kafi to zaya hogai magar kuch kitabon mein in stones kay mutalik humay kafi kuch information milti hai, kitab "Al-Ajaib Al-Makhlokat" aur kitab "Hayat Al-Haiwan" mein in khas stones kay mutalik jo janwaron mein say nikaltay hain kafi details likhi hain, kitab ajaib al-makhlokat ka aak hawala saanp kay pathar ka mein yahan share kar raha hon:
Arab ki qadeem nayab kitabon ka zakhira jab european angrayzon kay hathon laga to onko in khas janwaron kay patharon ka ilm pehli bar parhnay ko mila aur onhonay in qadeem arabic books ka tarjoma latin aur english language mein kia in books mein bhi saanp kay sar mein say nikalnay walay pathar par kafi information likhi aur in khas saanp kay pathar ki muktalif images aur diagram bhi bana ay jo aak image mein yahan share karta hon,
Saanp kay stone ya minkay ko latin ziban mein "glain neidr" kehtay hain aur english mein snake stone ya snake pearl bhi kehtay hain,
isay snake pearl yehni moti kuo kaha jata hai iskay mutalik bhi mein yahan detail batata hon,
Aap nay kabhi seep ya sadaf ka moti yehni pearl par ghor kia hai kay woh kistarah peda hota hai?

Kitab ajaib al-makhlokat mein hakim jalineios nay likha hai kay is pathar mein khud zehar hota hai aur yeh baat bilkol sahi hai kuo kay is pathar ki paidaish saanp mein mojod zehar ki theli mein he hoti hai,

Saanp kay mo mein zehar say bhari theli see hoti hai jesay poison gland kehtay hain, jab saanp kisi ko katta hai ya dasta hai to apnay dant os mein gara deta hai jis say zehar ki theli dabti hai aur zehar kay katray os mein say nikal kar saanp kay danton mein say hotay hoay zakham mein pohanch jata hai aur zehar insan ya janwar kay khoon mein shamil hojata hai, saanp ko zinda rehnay kay liay kisi na kisi ko dasna parta hai takay os mein mojod zehar ki dheli mein say zehar nikalta rahai agar saanp kisi ko nahi dasay ga to zehar ki theli zehar say bharti rahai gi aur soj see jay gi aur aak waqat ay ga kay phat jay gi aur saanp apnay he zehar mein mar jay ga, jungle mein mojod saanp jab shikar kartay hain jesay chohai ya mandak ko to pehlay osay das kar apna zehar nikal kar os mein daltay hain jis say janwar marjata hai phir osay saanp nigal leta hai,
Saanp jitna zehar kharij kartay hain phir dobara on mein mojod theli mein zehar peda hojata hai lekin kuch saanp aysay hotay hain jin mein zehar ziada miqdar mein peda hota hai, ya phir woh saanp shikar kam kartay hain jis say zehar onki theli mein kai arsay tak mojod rehta hai jis say theli kay andar aak dana sa peda hojata hai aur woh dana zehar ko chosta rehta hai aur barhta jata hai aur zehar pathari ki tarah jam kar sakt hota jata hai, yeh pathari saanp ki bimari banjati hai jo oski theli mein mojod zehar absorb karti rehti hai aur aak time aata hai kay yeh pathari sakt hokar danay ki tarah saanp kay sar mein obhari hoi dikhai denay lagti hai,
Opar image ko dekhnay kay baad aap ko malum hojay ga kay saanp kay mo ka gland aur moti wali sadaf ka gland kuch had tak milta jolta hai aur jistarah seep kay gland mein say moti peda hota hai same isitarah saanp kay gland mein say bhi minka peda hota hai,
Meray pas woh seep rakhi hai jis mein kachay moti lagay hain yehni woh moti jo banany ki process mein hain magar complete nahi hoay oski kuch images mein yahan share kar raha hon,
Opar images dekhnay par aap sab ko malum hoga kay kistarah moti seep mein pehlay chotay danay ki tarah obhartay hain phir aak waqat aata hai kay woh moti complete bannay kay baad apnay aap seep say alag hojatay hain, same isitarah saanp ka minka bhi pehlay chotay danay ki tarah saanp kay sar mein peda hota hai phir aak waqat aata hai kay woh bhi moti ki tarah complete hokar apnay aap saanp kay sar mein say juda hojata hai aur saanp kay sar mein obhar aata hai jisay saperay log tez knife ya blade say halka kat kar woh minka saanp kay sar mein say nikal letay hain aur is say saanp marta bhi nahi hai, jo saanp ko mar kar minka hasil kartay hain to os minkay mein nahosat kay asrat ajatay hain aur aysa minka jiskay pas hoga woh insan tabha wa barbad hojay ga, isliay yeh lazmi hai kay minka hasil honay kay baad saanp ko marna nahi chahehai,
 Jab yeh minka saanp mein say nikalta hai to soft ya naram sa hota hai lekin hawa lagnay kay baad yeh phayl kar sakt sa hojata hai, wazan mein bohat halka sa plastic kay tokray jesa dikhai deta hai, is mein saanp kay zehar ko apnay andar absorb karnay ki ability hoti hai, agar kisi ko saanp das lay to is minkay ko dasnay wali jaga par rakha jay to wahin yeh chopak sa jay ga aur zehar ko absorb karnay lagay ga jab sab zehar chos lay ga to khud he alag hokar gir jay ga, milk yehni doodh mein dalnay say yeh chosa hua zehar os mein chor day ga, yeh minka jogi ya saperay logon kay pas hota hai woh is say kai kam letay hain lekin jab koi shaks on say mangta hai to osay asal nahi detay, nakli plastic ka onko day detay hain, asal ya real woh kisi ko bhi nahi detay isliay kay agar onhonay asli kisi ko dia ya iska raaz bataya to humara ilm hum say cheen jay ga,
 Saperay ya jogi logon ko he minkay walay saanp ka ilm hota hai, minka hasil karnay kay liay woh aak khas kalay naag ko paltay hain jo bohat zehrila hota hai aur osay sirf milk yehni doodh pilatay hain aur kuch nahi khilatay aur saanp ko aysi jaga rakhtay hain jahan yeh kisi ko das kar apna zehar kharij na kar sakay aur aak waqat aata hai kay saanp mein mojod zehar jamna shoro hojata hai aur pathari ban kar minka ban jata hai jisay saperay nikal kar saanp ko jungle mein azad kar detay hain, saperay is minkay say kai amliyat kay kam bhi kartay hain aur ilaj bhi kartay hain,

~*~ Saanp kay Minkay kay Fawaid ~*~
Olma e Rohaniat kay nazdeek saanp kay minkay mein bohat zabardast jinnati asrat hotay hain aur yeh minka sirf osi saanp mein peda hota hai jis mein jinnati asrat hotay hain iskay ilawa kisi bhi aur aam saanp mein yeh minka peda nahi hota, jistarah hazaron samundari seep mein say kuch khas seep aysi hoti hain jiskay andar moti ya pearl hota hai same isitarah hazaron saanpon mein say aysay khas saanp hotay hain jis mein yeh minka hota hai, is khas saanp kay minkay kay fawaid itnay ziada hain kay agar likha jay is par to achi khasi kitab ban jay, is mein aysay mukhfi asrat poshida hain jisay bayan nahi kia jasakta, yeh jiskay pas bhi hoga woh har kisam kay mukhfi boray asrat say mehfoz rahai ga, dushmano par woh hawi rahai ga aur koi dushman osay noksan nahi pohancha sakta, jistarah zehar ko apnay andar yeh abosrb karnay ki salahiat rakhta hai same isitarah har kisam ki nahosat aur bad asrat ko bhi apnay andar absorb karta hai, jiskay pas yeh minka hoga ospar kabhi kala jadu asar nahi karay ga, jiskay pas minka ho osay chahehai kay woh har haftay osay doodh(milk) mein kuch dayr tak dalay rakhay oskay baad osay achi tarah dho kar attar ya koi khushbo laga kar chandi ki dabia mein mehfoz rakhay, jistarah zehar absorb karnay kay baad isay doodh mein daltay hain to woh zehar os doodh mein chorta hai same isitarah ghar ki nahosat, bandish, boray ya kalay jadu kay asrat bhi yeh apnay andar absorb karta hai aur doodh mein woh bad asrat nikal kar dobara refresh hojata hai, saanp ka minka "traveling stone" nahi hai yehni isay ring ya locket ya tawez bana kar pocket mein nahi rakha jasakta, isay sirf ghar mein he rakha jata hai, andheri jaga mein rakhna ziada behtar hota hai, isay agar koi aurat menses kay waqat na paki ki halat mein minkay ko haath mein lay to minkay kay achay asrat khatam hojatay hain aur yeh minka phir nahosat kay asrat ghar mein dalnay lagta hai, chamray yehni leather ki bani chezon say bhi isay dor rakha jay, leather ki bo say bhi yeh kharab hojata hai.
mazeed malumat kay liay aap muj say rabta kar saktay hain,
~*~ Real aur Fake Minkay ki Pehchan ~*~
Aaj kal jistarah Gemstones ya naginay ka asal aur nakal ki pehchan karna moshkil hota hai oskay liay jisko nagino ka ilm nahi hota same isitarah minkay ki pehchan kay yeh asali ya nakali yeh bhi janna bohat zarori hai, kai fake aur jali saperay jogi nakli plastic kay tokron ko black colour kar kay minka bana kar sell kartay hain jo kisi kam kay nahi, asal minkay ki pechan ka tarika mein yahan share karta hon takay aap kisi fake saperay ki bataon mein akar fake plastic ka tokra mehangay peson mein na kharid lain,
Real Minkay ki pehchan yeh hai kay woh aak ya dayrh inch tak kay size ka hota hai ziada tar oval shape mein ya round hota hai, wazan mein bilkol halka sa hota hai, ziban par rakhnay say ziban par chopak jata hai aur ziban ko chosnay lagta hai, agar ziban par rakhnay say ziban par na chopkay to iska matlab kay woh nakli hai ya phir morda hai, pani kay bharay glass mein dalnay say os mein say bubbles niklay gay, agar bubbles na niklay to fake ya morda hai, yeh morda tab hota hai jab isay tez dhop mein rakha jata hai ya doodh mein kai arsa na dalnay say bhi mar jata hai, oski taseer khatam hojati hai agar isay doodh mein dal kar refresh na kia jay to,
aaj kal real jogi saperay milna bohat moshkil hai jis kay pas ilm ho,  jo miltay bhi hain woh bhikari hotay hain onkay pas real minka nahi hota, agar aap ko real saanp ka minka chahehai to aap muj say rabta kar kay lay saktay hain, mein iskay tamam fawaid, rakhnay aur use karnay ka tarika bhi detail say bataon ga,
   

 ~*~ SAANP KE AMLIAT ~*~
Saanp kai amliat mein use hota hai achay noori amliat ya boray  amliat black magic mein bhi, sadio say achai aur borai ki jang hoti ai hai, jinat saanp ko amliat, ritual ya taweezat say taskheer kar kay on say kam lenay kay tarikay sadion say log kartay arahai hain, arabic ki kafi qadeem books mein aysay amliat likhay hotay hain, meray pas kafi bara zakhira qadeem arabic books ka mojod hai jis mein saanp jinat ko invoke kar kay onko apnay maksad kay liay use karnay kay tarikay likhay hain, saanp ko amliat mein kis tarah use kia jata hai oskay mutalik kuch mein yahan share kar raha hon,
Saanp kay amliat mein jo chez sub say ziada use hoti hai woh saanp ki "kaynchali", snake skin ya snake shed hai, yeh 2 types ki hoti hai aak woh jo tokray tokray hokar nikalti rehti hai yeh kam ki nahi hoti, sirf woh kam ki hoti hai jo saanp pori complete apni body mein say otarta hai yeh saal mein kai bar saanp apni skin change karta hai aur yahi skin kam mein aati hai, skin otartay waqat saanp sost aur andha sa hojata hai aur kaynchali otartay waqat woh kisi nokeli chez ya kantay wagayra mein ara kar gardan peechay ko hatata jata hai jis say rafta rafta tamam kaynchali gilaf ki tarah otarti jati hai aur saanp mein pehlay jesi chosti aur phorti ajati hai, mein aysi saanp ki kaynchali ki talash mein apnay gao(village) kay janglat mein jata rehta hon aur aksar okat mujay wahan say mil jati hai kuch images mein yahan aap say share kar raha hon:
Yeh saanp ki skin mujay aak poranay darakht kay khokhalay hisay mein say mili,








Saanp ki kaynchali kay kafi faiday hain jisay agar isay taweez ki tarah galay mein pehna jay to nazar bad say insan mehfoz rehta hai aur jaadu kay asrat asar nahi kartay, iskay ilawa yeh hikmat mein bhi use hoti hai agar koi zakham hojay aur theek na hota ho aur zakham nasoor ban jay to saanp ki kaynchali jala kar oski raakh(ash) zakham par dalnay say poranay say porana zakham bhi theek hojata hai, 
Zamana e jahalat mein yahodi kahin saanp ki kaynchali say mosalmano par jaadu kia kartay thay aur saanp ki kaynchali wala jaadu bohat asar rakhta hai, arabic ki qadeem books mein saanp ki kaynchali kay amal ko batil karnay kay kai tarikay likhay hotay hain in qadeem books mein aak book Imam Ghazali ki "AL-OFAK" hai jiska urdu tarjoma ki hoi book bhi market mein milti hai jiski image yeh hai:
Is book mein saanp ki kaynchali kay amal ko batil karnay ka easy tarika likha hai jo istarah hai:
saanp ki kaynchali ka amal bohat khatarnak hota hai iskay boray asrat mein koi ajay to woh insan har tarah say tabha barbad hojata hai, aaj bhi yahodi log is amal ko bohat motbar mantay hain, yahodi log saanp ko isliay ziada mantay hain kuo kay Hazrat Mosa(a.s) ki laathi saanp Allah pak kay hokam say saanp ban jati thi, isliay saanp kay amliat ko woh bohat mantay hain aur aaj bhi kuch shops par saanp ki kaynchali sale ki jati hai aur sath mein amliat ka tarika bhi likha hota hai jiski aak image mein yahan share kar raha hon:
opar image mein jo tarika likha hai woh saanp ki kaynchali say "masan" bananay ka tarika likha hai masan aak powder hota jisay amliat mein use kia jata hai, opar likhay saanp ki kaynchali kay masan mein kaboristan ki matti kay sath kuch aur cheezay bhi mix karnay ka likha hai aur phir isay kisi kay shoes mein dalnay say ya kisi kay ghar ya shop mein dalnay say os woh shaks bohat shaded mosibat mein par jata hai, magar kuch batain onhonay clear nahi batai woh yeh kay kis din aur kis waqat aur kis sayt mein yeh amal karna hai, kya parhna hai,  yeh sub isliay nahi bataya gaya takay har koi na kar sakay, agar koi parh kar karnay ki koshish karay ga to amal olta hokar osi par boray asrat dalay ga amal karnay walay par isliay aap bhol kar bhi aysay amal karnay ki koshish mat karna,


Yeh Images spell Bible book ki hain jis mein saanp ki kaynchali ka ak amal bataya gaya hai, istarah kay kai amliat hotay hain jis mein saanp ki kaynchali ko use kia jata hai.

Jogi ya sapayray log saanp ki kaynchali kay amliat kay mahir hotay hain aur kuch samajdar log sapayron say saanp ki kaychali lekar apnay ghar mein rakhtay hain ya phir isko jala kar iski dhooni ghar ya shop ko detay hain takay on kay ghar mein koi jaadu asar na kar sakay, agar achay nayk jinati saanp ki kaynchali ghar mein hogi ya dhooni di jay gi to kisi bhi kisam ka jaadu ghar par asar nahi karay ga, aaj kal sapayray log thag aur fraud hogay hain aur onkay pas ilm bhi nahi hota woh saanp ki kaychnali woh detay hain jo tokray tokray ban kar saanp mein say otarti hai yeh ya to bimari ki waja say saanp otarta hai ya koi dosri waja say, yeh kisi kam ki nahi hoti iskay ilawa sapayray log aam saanp ki kaychali day detay hain jo cobra ya jinati asrat kay saanp ki nahi hoti is kaynchali mein bhi koi asrat nahi hotay, agar aap ko jinati asrat walay saanp ki kaynchali ki zarorat ho aap muj say rabta kar kay lay saktay hain, agar kaynchali sahi hogi to ghar mein kisi bhi kisam kay jaadu kay asrat nahi lagay gay khud jo jaadu karay ga osi par olta asar paray ga iskay ilawa ghar mein barkat aur khushali bhi hoti hai aur har kisam ki nahosat say nijat mil jati hai,
Yeh to hoi baat saanp ki kaynchali kay amal ki, isitarah jinati asrat kay hamil saanp ko invoke kar kay bhi onkay zariay kafi kam liay jasaktay hain, jinat saanp jis jaga rehtay hain os jaga jakar khas amal kar kay onko taskheer karna hota hai in amal mein khas wazaif parhay jatay hain yeh wazaif abrani aur siryani language kay hotay hain in wazaif mein seen aur sheen kay words ziada hotay hain aur in wazaif ko vibrational andaz mein parha jata hai agar koi dosra shaks aap ko wazaif parhtay sunay ga osay aysa feel hoga jesay aap saanp ki language mein he koi baat kar rahai ho, in khas wazaif say jinat saanp apnay bil mein say nikal atay hain aur in wazaif kay asar say woh dastay bhi nahi, jinat saanp kay bil ya ghar ko talash karna asan kam nahi kuo kay saanp jinat bohat jalali hotay hain isliay bohat ahtiat aur khyal say onko talash kar kay invoke kia jata hai mein aksar aysi jagaon par jata rehta hon jahan yeh saanp hotay hain aur in saanp jinat ki talash mein rehta hon:

  

Black cobra saanp zameen par banay bil, ghar ya pahar mein banay cracks mein rehta hai, andhayra ziada passand karta hai isliay andhayri jagaon par hota hai,

yeh aak pahari ilakay ki images hain, yeh pahari ilaka meray gao(village) say kuch dor hai, is ilakay mein kafi saanp pay jatay hain aur mein aksar isi jaga par saanpo ki talash mein rehta hon aur kai saanp menay isi ilakay mein talash kar kay pakray hain aur onko apnay rituals wagayra mein use karta hon,

Yeh saanp black cobra hai, yeh saanp bohat zehrila hota hai, iskay katnay say insan half hour kay andar mar sakta hai, agar is saanp ko mara ya zakhmi kia jay to yeh intaqam lenay ki koshish karta hai, iski omar bohat lambi hoti hai jab tak isay koi na maray yeh khud say nahi marta, saanp ki lambi omar ki waja say aur oskay mar janay kay baad jald matti na honay ki waja say Arabic mein isay "Hayat" kehtay hain.
Saanp ki ankhon mein qudrat nay aak sehri kashish rakhi hai, woh apni is kashish say apnay shikar ko nazron say dekhtay hoay bay his ya hypnotise kar deta hai aur phir kareeb akar das leta hai, yeh khasiat ziada tar black cobra saanp mein hoti hai,



saanp mein jo jinat hotay hain onkay kai amliat aur invocation hotay hain jo kai arabic qadeem books mein likhay hotay hain in books ki kuch images yeh hain:



meray pas aak qadeem arabic book ka urdu tarjoma mojod hai os mein aak taweez ka amal mein yahan share kar raha hon:
is amal say saanp dushman ko dasta hai ya phir khof zada karta hai yehni dushman ko har jaga saanp nazar anay lag jata hai aur woh pagalon jesi harkat karnay lag jata hai, meinay taweez ki image share nahi ki takay najaiz koi is amal ko na karsakay.
Mein aksar saanp mein mojod jinat kay invocation kay amal ya amliat wagayra karta rehta hon aur kam hojanay kay baad onko osi jaga chor aata hon jahan say pakra hota hai, meinay kai apnay kam mein in jinati saanpo ko use kia hai aur aab bhi karta rehta hon,
Jinati asrat walay saanp ko amliat mein use karnay kay liay opar image mein jo matti ka pot hai istarah kay pot mein rakha jata hai aur pot par jali dar barik kapra bandh dia jata hai,


Jinati asrat kay hamil saanp ko istarah matti kay pot mein rakh kar kisi andhayri jaga par rakha jata hai aur osko taskheer karnay kay liay khas wazaif parhay jatay hain os waqat jis raat chand asman par na ho, bilkol andhayri raat ho is waqat ko arabic mein "tehat al-sha" kehtay hain, pot mein banay taweez kay asar say saanp mein mojod jinat koi noksan nahi pohancha sakta woh bilkol pot kay hisar mein band hota hai, is tarikay say woh pora kabzay mein ajata hai aur iskay zariay kafi kam ya problems solve ki jasakti hain,


kam hojanay kay baad saanp ko azad karna zarori hota hai warna yeh dushman ban jata hai aur ritual complete honay kay baad osay kisi kholi jaga par ahtiat say nikala jata hai pot mein say roshni mein ya dhoop mein aur yeh osi apni jaga chala jata hai jahan rehta hai.


~*~ ALCHEMY (ilm Al-Seemia fe Al-Keemia) ~*~ 
Alchemy ka ilm Ancient Egyptian kay olma e rohaniyat jantay thay on kay baad is ilm ko Arab kay olmao nay bohat taraqi di, alchemy 3 kisam ki hoti hai, 1 kisam woh jis mein medicines ya dawai wagayra ya koshtay wagayra bana ay jatay hain jo hakim banatay hain, 2 kisam ki alchemy woh hai jis mein metals ko gold banaya jata hai, 3 kisam ki alchemy woh hoti hai jis mein amliat kiay jatay hain ya tilsim wagayra banatay hain aur mera topic isi amliati alchemy par hai jis mein saanp ko kistarah alchemy mein use kia jata hai oskay mutalik mein kuch yahan share kar raha hon, amliati alchemy ko arabic mein "Aymal e Harmis" kay nam say pukara jata hai, ilm al-seemia fe al-keemia ka matlab hai ilm alchemy kay zariay amliat karna, ilm alchemy kay zariay kafi amliat ki cheezay banai jati hain aur saanp ko alchemy mein use hazaron saal pehlay ancient egypt mein kia jata tha aur aaj bhi use hota hai jiskay mutalik kuch batain mein yahan share kar raha hon,




  



Ilm Alchemy mein aksar saanp ka oil, elixir wagayra banaya jaata hai jo kai bimario mein shifa deta hai, hum sub jantay hain kay hakim log jo hikmat ka ilm jantay hain woh istarah ki chezay banatay hain magar aak alchemy ka ilm poshida hota hai jo seena ba seena is raaz ko khas logon ko bataya jata hai aur kisi aam shaks say share nahi kia jata yeh amliati alchemy ka ilm hota hai, aaj kal is poshida ilm kay raaz say bohat kam log wakif hain jo wakif thay woh yeh raaz apnay sath kabaron mein lay ghay aur kuch symbolic andaz mein is raaz ko qadeem books mein likha in symbols ko har koi nahi samaj sakta sirf wahi samaj sakta hai jo rohani oloom janta ho, in secrets symbols mein astrological symbols aur aysay ajeeb symbols hotay hain jisay parhna ya samajna har kis kay bas ki baat nahi yeh symbols kistarah hotay hain aap in images mein dekh saktay hain:






Opar image mein astrological symbols kay sath alchemy kay ajeeb symbols hain, alchemy aur astrology ka apas mein bohat gehra taluk hai aur amliati alchemy mein sitaro kay sharf, habot, girhan wagayra jesay khas okat mein khas cheezay tilsim, oil, elixir wagayra bana ay jatay hain khas waqat mein alchemy mein banai cheezon mein bohat asrat hotay hain,




ALCHEMY SNAKE OIL: 
Alchemy mein saanp ka 2 kisam ka oil banaya jata hai aak woh jo hikmat mein use hota hai jo market mein bhi mil jata hai pansari ki shop ya kisi bari oil shop par yeh oil kafi bimario mein shifa deta hai,



Magar jo Amliati alchemy mein saanp ka oil banaya jata hai woh alag tarah ka khas oil hota hai jo jaadu kay asrat ko khatam karta hai aur kai amliat mein bhi osay use kia jata hai, yeh oil khas waqat aur saayt mein banaya jaata hai,
Arab kay olma e mokhfiat wa tilsimat alchemy kay zariay kafi khas chezay banatay thay, aak qadeem arabic kitab mein hakem Taos ibn e Tarmah Humdani likhtay hain kay Marbot wa Makod aak rohani marz hai, marbot wa makod say murad olma e mokhfiat wa tilsimat kay nazdeek sex mein bandish kay sabab mardana kamzori ka mariz ban jana hai, iski 3 kismay hoti hain aak to sehar wa jaadu ka shikar hojanay ki waja say, dosri kisam jinat kay bad asrat ki waja say aur tesri kisam paydaishi ya qudrati jismani tor par jinsi kowat ka batil hojana hai,
Sehar wa jaadu kay sabab marbot wa makod honay ki nishani yeh bayan ki jati hai kay aadmi achanak he jismani tor par har tarah say sehat mand honay kay bawajod apnay aap ko jinsi tor par mafloj mehsos karnay lagta hai, woh aam halat mein apnay aap ko har tarah say sex par qadir khyal karta hai lekin sex kay waqat achanak oski feelings khatam hokar oskay jazbat sard par jatay hain jiski waja say oski wife osay na mard samaj kar nafrat karnay lagti hai aur dosray kisi mard say muhabat karnay lag jati hai jis say judai ya divorce hojati hai aur os shaks ki zindagi tabha wa barbad hojati hai woh kisi bhi aurat kay kabil nahi rehta aur jab sehar wa jaadu kay asrat last stage par pohanch jatay hain to woh shaks ya to suiside kar kay apni zindagi khatam kar deta hai ya phir osko jism kay khas hisay par aysi la ilaj bimari lag jati hai jis say oski mot hojati hai,

Jinati ya shaitani asrat ki waja say marbot wa makod honay ki ilamat yeh hai kay aysa shaks behoda movies ya photos dekhnay lag jata hai aur mosht zani karta hai aur rastay mein chaltay hoay kisi ki ma, behan ya beti par bori nazar dalta hai, behoda harkatay karna, awazay nikalna, zor zor say hasna, behoda kapray pehanna, aysi t-shirts pehanna jis par skeleton, bhoot ya shaitan bana ho, aysa shaks din ba din shaitan banta chala jata hai, nimaz ya ibadat to dor ki baat aysay shaks ko to khuda ki zaat par bhi yakin nahi rehta, woh shaks pura haywani shaitan ban jata hai aur is asrat kay last stage mein woh nasha karnay lag jata hai aur jaraim kay payshay mein akar police kay hathon mar jata hai ya phir nashay say,
Jinati aur shaitani asrat achanak attack kartay hain jab koi shaks akayla hota hai jesay computer par betha net par koi kam kar raha hota hai achanak woh behoda sites dekhnay lag jata hai ya akaylay mein ajeeb behoda paglon jesi harkat karnay lag jata hai aur jab hosh mein ata hai to apnay aap ko kosnay lag jata hai kay yeh mujay kya hogaya tha achanak, yeh jinati asrat aysay virus ki tarah lagtay aur pheltay chalay jatay hain kay insan ko oski aadat see hojati hai, woh aak tarah say majbor sa hojata hai aysay behoda kam ya harkat karnay mein aur apnay aap ko na pak samaj kar nimaz aur ibadat karna bhi chor deta hai, aysay boray asrat say bachnay kay liay koi taweez ya mazar ka dhaaga wagayra har waqat pehna ho takay in boray asrat say protection milay aur hisar mein ho,
Agar koi shaks marbot wa makod kay marz ka shikar hochoka hai to osay black cobra snake kay khas oil say jo khas waqat aur amal say banaya jata hai is oil say tamam jism par istarah massage karay kay baal barabar bhi koi jaga na bachay 14 days tak is amal ko karta rahai to khuda ki hikmat e kamila say sehar wa jaadu kay tamam tar asrat batil hokar os mariz ki kowat dobara behal hojay gi,
mardon ki tarah aurtay bhi marbot wa makod ka shikar hojati hain jis say onkay husband onko chor kar dosri aurat kay chakar mein phans jatay hain, kafi larkia jin par marbot wa makod kay asrat hotay hain onki shaadi kahin nahi hoti aur koshishon say jab shaadi ho bhi jaati hai to shaadi kay baad bhi onko husband ka pyar naseeb nahi hota, yeh bandish hoti hai jo sehar wa jaadu ya jinati asrat ki waja say hoti hai.

Amliati Alchemy mein yeh khas saanp ka oil khas waqat mein banaya jata hai andhayri raaton mein jab chand asman par na ho is waqat ko arabic mein "Tehat Al-Sha" kehtay hain, mein aksar aysay oil banata rehta hon aur is oil say na sirf marbot wa makod kay marizon ko shifa milti hai sath mein yeh aur bhi kai meray amliat mein use hota rehta hai,
Ilm Alchemy mein oil kasheed karnay kay bohat say apparatus hotay hain in apparatus ko "Patal Jantar" kay nam say pukara jata hai yeh apparatus kuch istarah hotay hain jin ki images yeh hain:

Mein apnay khas patal jantar apparatus say oil kasheed karta hon jinki images yeh hain:

Opar image mein flask par aak khas matti lagai hai is amal ko Alchemy mein "Gol e Hikmat" kehtay hain is amal say flask heat say phatnay ya totnay say mehfoz rehta hai,
Mein apnay is apparatus ki madad say snake oil banata rehta hon aur kafi marizo ko is oil say shifa mili hai,


Saanp ka ark bhi kafi amliat mein use hota hai khas kar perfumes wagayra mein, yeh khas perfumes kisi ko taskheer karnay jesay  kamo mein use hoti hai,

Saanp ki har ak shay amliat mein use ki jati hai, opar image mein arabic mein saanp ki muktalif chezon kay nam likhay hain, "Zayt Al-Hayat" ka matlab saanp ka oil hai, "Ramad Al-Hayat" ka matlab Saanp ki jali hoi raakh jisay masan bhi kehtay hain, "Azam Al-Hayat" ka matlab saanp ki hadia hai, "Maslakh Al-Hayat" aur "Rooh Al-Hayat" ka matlab saanp ki kaynchali aur saanp ka ark hai, yeh subi cheezay amliat mein use ki jati hain,
Mein aksar alchemy kay zariay hikmat aur amliat ki aysi khas cheezay banata rehta hon jis say kai logon ki physical aur rohani problems ko solve kia hai aur aap sub ki duaon say inshAllah har mosibat aur parayshanio mein phansay logon ki madad karta rahon ga, agar khuda na khuwasta aap kay sath bhi physical ya spiritual problems hon to apnay is bhai ko zaror yaad kejiay ga, mein Allah pak kay hokam say aur is poshida ilm say aap ki inshAllah zaror problems solve kardo ga.


Apnay bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,
Allah pak aap sub ko sada khush wa abad rakhay(ameen)
                           Ali.
                  +92 03003799165