Pages

Monday, December 2, 2013

Sacred Healing Bowls

Insan par honay walay amraz wa parayshania dor honay ki kol 3 tadberay hain:
1.Dawa
2.Dua
3.Tawez
Jistarah bimari ka ilaj dawa say hota hai isitarah kai amraz mein jahan dawa asar nahi karti wahan jhar phonk say bhi faida hojata hai,
Amliyat, jhar phonk bhi doctori dawa ki tarah hai lekin fark yeh hai kay amliyat mein fitna hai aur dawa mein fitna nahi, woh fitna yeh hai kay aamil ki taraf bozrogi ka khyal peda hota hai kay yeh koi bari azeem pakiza hasti hain aur doctor ki taraf bozrogi ka khyal nahi hota woh to aam insan hai, awam amliyat ko zahiri tadber samaj kar nahi kartay balkay asmani chez samaj kar kartay hain, jab onka koi kam amliyat say nahi hota to aamil ko jhota, fraud, jali ya thag peer samaj lia jata hai, dosri jaga international media jahan islam kay peechay pari hai mazhab ko kharab karnay kay liay same isitarah yahan bhi media behoda programs t.v par dikha kar logon ko yeh show karna chahati hai kay in rohani oloom ka koi wajood he nahi sab kuch fraud hai sab kuch jhoot hai aur jo log yeh kam kartay hain woh fraud kar kay logon say pesay lekar kha jatay hain aur logon ko fool banatay hain, han yeh baat to hai kafi log thag aur fraud bhi hain mashray mein jo istarah kay behoda kam kartay hain magar iska matlab yeh nahi sabi he aysay hain ya ilm galat hai, in fraud jahil logon ki waja say jo sachay ilm karnay walay hain woh bhi badnam hojatay hain aur rohani oloom par logon ka yakin aur aitebar oth jata hai aur media ko moka mil jata hai woh aur ziada barh jarh kar yeh sabit karnay ki koshish kartay hain kay rohani oloom aur rohani ilaj sab galat aur fraud hai log bas tohmat aur weham ka shikar hotay hain ya nafsiati bimari hoti hai onko wagayra, istarah ki batain keh kar woh logon ko rohaniat ki taraf say hata detay hain yahi waja hai kay amliyat aur taweez wagayra kay kam kay mutalik awam kay akaid boray hain,

Rohani Amliyat kistarah Ejad hoay? 
Rohani amliyat 2 tarah say ejad hoay hain 1.Aklan 2, Naklan,
Aklan yehni soch, ghor aur akal say koi amal karna jesay sahi bukhari sharif mein aak wakia likha hai kay chand sahaba karam(r) safar mein thay onka gozar aak gao say hua, in gao walon nay onko khana tak na khilaya, wahan itfaq say kisi shaks ko saanp nay kat lia, aak shaks onkay pas aya aur pocha kay kya tum logon mein koi mantar parhnay wala hai jis say saanp ka zehar otar jay, aak sahabi nay kaha kay mein dam karna janta hon aur woh shaks osay mariz kay pas lay ghay aur os sahabi nay surah fateha parh kar dam kia aur os shaks ka zehar otar gaya aur woh bilkol thek hokar beth gaya, jab yeh wakia nabi pak(s.a.w) ko bataya gaya to Nabi pak(s.a.w) nay moskara kar sahabi say pocha kay tum ko kesay malum kay surah fateha saanp kay zehar ko dor karnay ka mantar hai? sahabi nay kaha kay mujay os shaks ko takleef mein tarapta dekh kar bohat dokh sa hoa aur mujay laga kay woh shaks isitarah tarap kar mar jay ga agar onko saanp kay zehar ko dor karnay wala shaks na mila to, mujay Quran pak ki ayat surah fateha ka khyal aya mujay pura yakin tha kay is kalam e pak say osay zaror shifa milay gi aur osay Allah pak kay hokam say shifa mil gai, is wakiay kay baad kai sahaba Qurani ayat say jhar phonk aur rohani ilaj kartay thay,
Isitarah Aulia, dervaish, peer wa fakiron wakiat hain kitab ashraf al-hakayat mein likha hai kay molana shaikh muhammad sahab farmatay thay kay aak dafa meray ghar mein bohat cheontia(ants) bohat phayl gay aur khanay penay ki ayshia mein ajatay aur jab woh sotay to jism par charh jatay aur kattay meinay idhar odhar dekha to aak sorakh mein say woh arahai hain, meinay os surakh par yeh ayat likh kar rakh di, bas wahin surakh mein sari cheontia semat kar reh gay, os ayat ka tarjoma yeh hai "ay cheontio! apnay apnay surakhon mein ja ghuso, tum ko sulayman(a.s) aur onka lashkar bay khabri mein kochal na dalain".
Bas amliyat isitarah shoro hoay hain kay jo Qurani ayat jis mokay kay monasib hoi wahi likh kar day di bas is say asar hona shoro hogaya aur isi tajorbay say yeh ilm seena ba seena montakil hota aya hai, aur dosra naklan hai yehni woh shifa kay tarikay jo ahadees e pak mein likhay hain jis par kafi log amal kartay hain,

Rohani Amliyat kabhi Asar nahi kartay oski kya wajohat hain? 
Rohani amliyat kabhi apna asar nahi dikhatay aur kai logon ko mayousi hoti hai, kai log kehtay hain kay hum nay ayat ya wazaif itni dafa parhai magar koi asar na hua na humari problems solve hoi aysay logon ka rohani oloom par yakin oth sa jata hai aur aysay log phir gayr muslim aamil kay pas jatay hain takay kalay jadu say onki parayshania dor hon aur boray kam kar kay aur ziada woh parayshanio mein phans jatay hain,
Rohani amliyat ka asar na honay ki kai wajohat hain, log zahir mein to baray wazaif aur qurani ayaat parh kar amal kartay hain magar saath mein har woh boray kam bhi kartay hain jo shariat mein bilkol haram aur gunnah hai yeh rohaniat ya noori taqaton ko fool bananay jesa hai phir kya aysay logon ko shifa mil sakti hai?, meray pas aak aurat ai thi bohat parayshan thi kay mein aak shaks ko passand karti hon os say shaadi karna chahati hon woh bhi passand karta hai lekin shaadi nahi karta, mein 5 waqat ki nimaz pabandi say parhti hon bohat dua mangti hon kai wazaif bhi parhai magar koi faida na hua, meinay bhi osko aak wazaif parhnay ko dia magar os say bhi osko koi faida na hua olta os shaks nay rabta bhi khatam hogaya mujay pehlay samaj nahi aya magar phir osi ki sister nay mujay bataya kay yeh modeling ka kam karti hai aur woh model banna chahati hai magazine par bhi oskay photos achokay hain, jab meinay magazine mein oskay photos dekhay jo bohat behoda thay, aab aysi aurat ka kam noori amliyat say kesay mumkin hosakta hai, boray kam khud karain aur ilzam aamil par lagay kay humara koi kam nahi hoa,
Isitarah meray pas aak medical ka student aya aur mujay kaha kay ali bhai mera medical ka final year ka exam hai aap kuch aysa amal karo kay mera result acha ay aur mein pass hojaon meinay kaha theek hai aap apna nam, walda ka nam aur photo mujay send kar dena mein aap ka amal karon ga magar woh student bohat he boray result kay saath fail hogaya, waja yeh thi kay osnay parhna he chordia yeh soch kar kay ali bhai kay jinnat ya mokil osay khud he pass kar day gay study ki kya zarorat hai istarah kay kai bewakof log apna kam khud kharab kartay hain aur ilzam aamil par lagatay hain kay humara koi kam nahi kia, aak aurat ai thi apni shaadi kay kam kay liay meinay kaha kay aap ka kam inshAllah hojay ga woh banda shaadi karay ga aur mein qurani ayat aur wazaif ka chila katnay laga aur woh aurat wahan os shaks say lagi zina karnay jis say os aurat ka kam olta hogaya aur aysi nahosat os par lagi kay os shaks ko bhi os say sakt nafrat hogai osay chorkar dosri shaadi kar li aur os aurat par bandish par gai aur mujay aur ilm ko galat kehnay lag gai kay mera to koi kam he nahi hoa olta osnay mujay chordia, osay apni koi galti nazar he nahi ai, istarah kay kai log hain jo yeh samajtay hain kay hum chopkay aysay kam karain gay to aamil ko malum bhi na paray ga aur humara kam hojay ga, jistarah doctor marez ko medicines deta hai aur saath mein yeh bhi advise deta hai kay aap ko khanay penay mein parhayz karna hai agar parhayz na kia to tabiat aur ziada bigar jay gi aur dawa asar bhi nahi karay gi, same isitarah aamil bhi jab kisi ka kam leta hai to advise karta hai agar client aysay boray kam karay ga to wahi bad parhayzi wali baat hojay gi kam aur ziada bigar jay ga aur amal ya amliyat koi asar nahi karay ga, isliay aamil jo advise day ospar amal karna chahehai aur har baat batani chahehai kuch chopana na chahehai na koi jhoot bolna chahehai, is mein noksan dono ko hoga aamil ko aur client ko bhi,
On logon par bhi amliyat ka koi asar nahi hota jinko rohaniat par ya in oloom par yakin nahi hota aur yeh soch kar kam karwatay hain kay chalo try kar kay dekhtay hain shayad kam hojay warna mujay to in chezon par belive he nahi hai, Kuch log bohat parhayz gar aur mazhabi hotay hain on par bhi kabhi amliyat ka asar nahi hota oski waja yeh hai kay har insan par aak aysi sakti aur azmaish aati hai jis mein dua bhi kabool nahi hoti, yeh sakti paygambaron par bhi ai thi onkay dor mein to hum kya chez hain, har insan par yeh sakti aati hai kisi par 1 saal to kisi par 2 saal to koi 7 saal tak sakt gardish mein rehta hai, aysi sakti walay insan par bhi koi amal ya amliyat asar nahi karta jis say osay shifa milay ya oski problems thek hojay, aysay insan ko har waqat ibadat mein rehna chahehai,

Kya jharphonk, Dua ya Tawez say taqdeer badal sakti hai ya nahi?  
"Hazrat Abu Khizama(r) say rawait hai kay Nabi pak(s.a.w) say pocha gaya kay dua aur jharphonk taqdeer ko tal deti hai? Aap(s.a.w) nay farmaya yeh bhi taqdeer he mein dakhil hai". 
Yehni yeh bhi taqdeer mein hai kay falan dawa, dua ya jharphonk say faida hojay ga.


Quran e Pak say ilaj:

Allah Pak ki kitab Quran e karim har aak bimari say shifa aur dilon kay zang ko jala denay wali azeem kitab hai, Quran pak ki har ayat, har lafz, har horof mein shifa denay walay mokhfi asrat hain aur is raaz ko wahi insan samaj sakta hai jisay Allah pak apna khas ilm day,
Allah pak ka Quran pak mein irshad hai: "Hum Quran mein aysi chezain nazil kartay hain kay woh eeman walon kay haq mein shifa aur rehmat hain."
Aur Hadees sharif mein hai: "Jis shaks nay Quran say shifa talab na ki Allah osko shifa na day."
opar likhi ayat aur hadees say malum hota hai kay Quran shifa hai aur jo shaks Quran say shifa hasil na karay Nabi pak(s.a.w) nay os kay baray mein bad dua farmai hai kay khuda osko shifa na day,
Shifa ki 2 kismay hain, 1, shifa rohani 2, shifa jismani,
1, Quran pak dil say jahalat kay marz ko dor kartay hoay mojzat aur woh amoor jo Allah pak par delalat kartay hain inki feham payda karta hai,
2, Quran pak say  jhar phonk wagayra kay tarikon say amraz zahira wa batin kay liay shifa hai. 

Sacred Healing Bowls:
Quran pak ki ayat say dam karna jaiz hai, Nabi pak(s.a.w) Quran pak ki ayaat say dam kartay thay aur sahaba karam(r) bhi Quran ki ayaat say dam kartay thay yeh sub ahadees mein likha hai, jahan dam karna jaiz hai, wahan Quran pak ki ayaat ko kisi bartan par likh kar os mein pani dal kar peena bhi dorast hai, yeh tarika onkay liay sahi hai jo dam kartay waqat Quran pak ki ayaat ko theek say nahi parh saktay ya jinko wiswisay hotay hain kay onhonay ayaat theek say nahi parhi ya woh log jo gao mein rehtay hain likhna parhna nahi jantay, ya koi mareez apni bimari ki waja say ayaat ka dam na kar sakta ho aysi tamam problems ko dekhtay hoay zamana e qadeem say olma e rohaniat nay aysay Sacred Bowls bana ay jin mein Qurani ayat likhi hoti hain in bowls mein pani dal kar sari raat rakha jata hai aur suba woh pani pia jata hai jis say shifa milti hai, meray blog ki yeh posting inhe khas sacred bowls kay mutalik hai,
Kuch aysay qadeem nayab sacred bowls jo museum mein rakhay hain on mein aak bowl ki image yeh hai:

Opar sacred bowl mein muktalif Quran pak ki ayat mein say Surah fateh, Surah Al-nas, Surah ikhlas aur Ayat Al-kursi likhi nazar arahi hai,
Istarah kay khas sacred bowls meray pas bhi hain aur mein in bowls ko aksar logon ki bimario ki shifa kay liay use karta hon aur sath mein apnay rituals mein bhi use karta rehta hon, mein apnay kuch khas bowls ki images yahan share kar raha hon:
Meray is bowl mein Bismillah sharif aur Ayat Al-kursi likhi hai, dono Ayaat bohat powerful asar rakhti hain, is mein pani dal kar khas kar on logon ko pilaya jata hai jin par jaadu kay asrat, saaya ya jinat kay asrat say honay wali bimaria onki shifa kay liay is bowl ko use kia jata ha, aab mein yahan share karta hon kay kistarah bowl ko use kia jata hai,
Bowl mein pani dal kar kholi jaga par rakhna hota hai sari raat, mein is amal mein glass bell jar use karta hon takay dhool matti ya dust pani mein na paray,
Chand ka noor bhi pani par paray isliay mein bowl ko kholay asman talay rakhta hon aur glass jar mein golab kay phool bhi rakhta hon is say pani mein bhi golab ki khushbo hoti hai,
Yeh amal thursday evening ko nimaz e magrib say pehlay karna hota hai, mein har thursday ko dia aur agarbatia bhi jalata rehta hon apnay altar(astanay) par,  jab mujay bowl ka amal karna hota hai to dia aur agarbatia bhi bowl kay sath he rakh leta hon, bowl ko sari raat aysay he kholi jaga par rakhna hota hai oskay baad suba otha lia jata hai, yeh pani bohat shifa wala hota hai mein aksar on marizon ko yeh pani peenay ko deta hon jin par boray asrat hotay hain aur khud bhi yeh pani peeta hon,
Amliat karnay say pehlay apna hisar ayat al-kursi kay pani ko pee kar karta hon, ya kabhi kisi mariz kay jaadu kay asrat ya jinati wa asaybi asrat ki waja say honay wali bimario aur bandishon ko amliat say dor kartay kartay mein khud bhi bimar par jata hon aur apna ilaj isitarah sacred bowl mein pani dal kar pee kay karta hon, aur bhi is khas pani kay kai fawaid hain jo sabi yahan likhna munasib nahi, 
jahan sacred bowl kay pani ko pela kar ilaj kia jata hai wahan pani ko mariz par chirak kar bhi ilaj kia jata hai,
Jo mariz jaadu ya jinati asaybi boray asrat ki waja say coma mein chalay jatay hain, ya apna hosh kho bethtay hain ya pagal ban jatay hain onka ilaj sacred bowl kay pani ko on par chirakh kar bhi kia jata hai, iskay ilawa ghar aur shop mein honay wali nahosat bhi isitarah pani ghar ya shop kay charon kono par chirakh kar dor ki jati hai, amliat mein hisar banatay waqat bhi isitarah pani chirka jata hai,
Olma e rohaniat nay jahan Qurani ayaat likhay bowl banaay wahan aysay bhi sacred bowls banaay jin par khas taweez aur tilsim bannay hotay hain jo muktalif problems ko khatam karnay kay liay use kiay jatay hain, istarah kay kai bowls museum mein rakhay hain on bowls ki kuch images yahan share kar raha hon:



Aur yeh images meray apnay bowl ki hain:
Mujay yeh bowl aak afghani fakir say mila, is bowl par farsi mein dua aur taweez banay hain, is bowl mein kafi asrat hain mein isay logon ki bimario ki shifa kay liay use karta hon aur apnay amliat mein bhi aksar isay use karta rehta hon,

Water Has Memory:
Aaj ki modern science nay yeh sabit kardia hai kay pani ka bhi zehan hota hai woh har chez ko jo os mein dali jay osay parh aur samaj leta hai aur apnay aap ko osi mein dhal leta hai, dunia kay kai baray scientists nay experiments aur observations say yeh bhi sabit kia hai kay horof ya words pani par parhnay ya likhnay say pani kay molecules par kitna gehra asar parta hai, dunia kay in baray scientists jo pani par istarah kay tajarbat kar rahai hain on mein sub say top par japanese scientist Dr. Masaru Emoto hain, onhonay experiments say yeh sabit kardia kay achay aur boray alfaz ka pani par kistarah asar parta hai,
Japanese scientist Dr.masaru emoto nay jahan muktalif achay aur boray words aur sentences likh kar pani mein hoti ajeeb tabdeli dekhi wahan osnay Bismillah sharif aur Qurani ayaat likh kar bhi pani par hoti heratangayz tabdeli ko observe kia aur yeh dekh kar bohat heran hua kay water molecules kay crystals kistarah khubsorat shape mein ban jatay hain aur agar aysay pani ko insan peay to oskay liay shifa hai, yeh baat newspaper mein bhi ai jo yahan share kar raha hon:

Is raaz say science aaj wakif hoi hai lekin zamana e qadeem say olma e rohaniat is raaz say wakif thay kay pani ka bhi zehan hota hai woh har baat ko samaj sakta hai, mein aak mashor wakia Hazrat Omar(r) ka daria nile ko khat likhnay ka yahan share kar raha hon:

 Isi tarah aak wakia Hazrat Khalid bin walid(r) ka hai, Jab Aap(r) nay yahodio ka kila fateh kia aur kilay kay andar dakhil hoay to wahan yahodi mard, borhai, aurtay aur bachay apnay apnay gharon say nikal ay aur Hazrat khalid bin walid(r) ko kaha kay hum sub aap say laray gay humaray bozrog, humari aurtay, humaray bachay apni zindagi ki akhri sans tak laray gay magar hum apnay mosa(a.s) ka deen nahi choray gay aur sub mar jay gay magar islam kabool na karay gay agar aap ko lagta hai kay aap ka mazhab islam humaray mazhab say afzal hai to sabit kar kay dikhao aur jo Quran ki ayaat jo aap humay sona rahai ho agar on mein asrat hain to humay onka koi karishma kar kay dikhao tab hum sub yakin karay gay kay aap haq par ho, yeh kehnay kay baad yahodio nay zehar ka piala bhar kar hazrat khalid bin walid(r) ko pesh kia aur kaha kay isay pee lejiay Quran ki ayat parh kar aur abhi faysla hojay ga kay kon haq par hai aap ya hum, os waqat sab sahaba karam aap(r) ko dekhnay lagay aur sabi yahodio ki nazaray aap(r) par thi, Hazrat Khalid bin walid(r) nay Bismillah sharif parhi aur zehar ka bhara piala pee ghay aur kharay rahai, thori dayr baad onkay jism par paseena anay laga aur zehar ka asar khatam hogaya, yeh karishma dekh kar sabi yahodi sharminda hoay, maafi mangi, Allah pak ko sajda kia aur sabi nay islam ba khushi kabool kar lia.
Ayat ya dua say zehrila pani ya ganda polluted pani bhi apnay boray asrat khatam kar deta hai aur yeh scientists nay bhi apni research say sabit kia hai,
Insan kay jism mein 70% pani hota hai, insan jab ibadat karta hai ya dua karna ya dua say dam karna to oskay jism mein mojod pani mein achay asrat say tabdeli anay lagti hai jiska result yeh hota hai kay os insan kay face par noor ajata hai, woh khush aur mutamin rehta hai, bimario say bachta hai....,
Zamana e qadeem say olma e rohaniat wa mokhfiat moktalif tarikon say Qurani ayaat, wazaif, taweez ko pani say dho kar woh pani mariz ko pilatay hain aur mariz ko shifa mil jati hai, isi tarah kala jaadu karnay walay bhi shaitani taweezat pani mein gol kar pila detay hain jis say insan jaadu kay asrat ka shikar hokar bimar par jata hai,
Jahan sacred healing bowl mein pani dal shifa kay liay woh pani pea jata hai wahan black magick karnay walay log bhi apni shaitani tarikon say logon ko aysi la ilaj bimario mein mobtala kar detay hain jiska ilaj aak doctor nahi kar sakta, kala jaadu karnay walay log human skull ko kat kar bowl ki tarah banatay hain aur os bowl mein blood say shaitani naksh likh kar ganday pani say dho kar woh pani logon ko detay hain, woh pani agar koi pee jay to tarah tarah kay asrat aur la ilaj bimaria peda hojati hain jiska ilaj dunia ka koi doctor nahi kar sakta aur woh shaks mot kay mo mein chala jata hai, kuo kay jo ganda pani osnay pea oskay zarat atoms ki shikal mein oskay khoon aur body mein hal ya absorb hojatay hain jiska bora asar jism aur rooh dono par parta hai jiska result yeh hota hai insan shaitani harkatay karnay lag jata hai, nimaz na parhna, mazhab kay baray mein bori sochay ana, galia dena, boray kam karna, har borai os mein peda hojati hai aur woh na pak banjata hai, azan ki awaz tak osay bori lagnay lagti hai woh azan ki awaz sontay he songs sonna shoro kar deta hai, har insan kay sath muktalif kisam kay shaitani asrat peda hotay hain koi shaitan vilain banjata hai to koi bimar hojata hai jiska ilaj kartay kartay oskay ghar walay mali parayshani mein itnay phans jatay hain kay road par anay ki nobat ajati hai aur woh bas oski mot kay liay dua he kar saktay hain iska hal yeh hai kay aysay mariz ko sacred bowl mein pani dal kar pilaya jay jis mein Quran pak ki ayaat likhi hon yeh pak pani peetay he shaitani asrat foran khatam hona shoro hojtaya hain, ganday pani say jahan mariz napak hojata hain wahan qurani ayat aur tawezon ka pak pani mariz ko pak saaf bana deta hai, jesay hum napaki mein ghosal kar kay pak saaf hojatay hain same andorani napaki ko dor karnay kay liay bhi ayaaton wala pani pee kay andorani ghosal dia jata hai, jahan ganda black magick ka pani mariz kay payt mein jata hai to shaitani jinat atoms ki surat mein mariz kay jism kay andar chimat jatay hain aur osay dheeray dheeray khanay lagtay hain, wahan agar Qurani ayat likhay bowl ka pani pilaya jata hai to os ayat kay noori farishtay on shaitano say lartay hain, yeh aak spiritual jang hai jo shoro say hoti ai hai aur hoti rahai gi.


How Demons or Jinnat Attack Humans:
Shaitan aur jinnat insan kay aspas qareeb he hotay hain aur jab onko moka milta hai woh attack kartay hain, Hadees mein Nabi pak(s.a.w) nay irshad farmaya hai:
Isi liay humaray Nabi pak(s.a.w) nay irshad farmaya hai kay har kam shoro karnay say pehlay Allah pak ka nam lia jay aur Bismillah parhi jay takay shaitan koi rikawat ya noksan na pohancha sakay,
kafi Ahadees hain jis mein Huzoor(s.a.w) nay har kam karnay say pehlay Bismillah parhnay ka hokam dia hai kuch ahadees mein yahan share kar raha hon:
 Jis khanay mein Allah pak ka nam nahi lia jata os khanay mein shaitan aysi cheezay dal deta hai jis say insan boray kam karnay lag jata hai ya bimar hojata hai,
Isitarah shaitan husband aur wife kay darmian bhi judai dal deta hai yeh aksar kala jaadu karnay walay logon ki waja say bhi hota hai jab husband aur wife hum bistar hotay hain to shaitan aurat kay pao chaat leta hai jis say aurat ko apnay husband kay ghar mein sukon nahi milta osay ghar say bahir rehna passand hota hai, ghar osay qaid khana sa lagnay lagta hai aur phir aak waqat ata hai osay kisi dorsay shaks say muhabat hojati hai aur apnay husband ko chor deti hai ghar say  bhag kar,
 Husband aur wife jab hum bistar hotay hain to shaitan on mein shareek hojata hai kafi ahadees hain iskay mutalik kuch mein yahan share kar raha hon:
 Jinat wa shiateen ki shirkat human semen kay zariay hoti hai, semen bhi liquid hai aur mein opar bata choka hon kay liquid par achay aur boray alfaz ya soch ka asar kistarah parta hai, Allah pak ka nam lenay ya bismillah parhnay say human semen mein acha asar parta hai jis say jo aulad peda hoti hai woh nayk aur khubsorat hoti hai aur agar insan apni wife say hum bistar ho aur oska dhian dosri aurat par ho ya bori soch ho to oska asar oski semen par hoga aur os say peda honay wali aulad waldain ki na farman hoti hai, os mein har kisam ki borai hoti hai, mashray mein jorom aur fasad phelana inhe ka kam hota hai, aysay logon ka ilaj sacred bowl mein pani pila kar kia jata hai ya Qurani ayaat, tawezat pani mein ghol par pilaya jata hai jis say os mein mojod boray asrat dor hojatay hain,
Jinat wa shiateen aksar raat kay waqat jab insan sota hai os waqat bhi os par attack kartay hain jis nay insan par tarah tarah ki bimaria, wiswisay, bandish,  rikawatay hoti hain yeh sub kala jaadu karnay walay kay zariay bhi hota hai,
Jinnat sotay hoay insan ki ankhon mein aysi chez dal deta hai jis say insan ko har kam mein sosti peda hoti hai,osay koi kam karnay ka dil nahi karta osay bas sotay rehna he passand hota hai, isitarah bimar shaks bhi aksar coma mein chala jata hai jinnat kay isi attack ki waja say bhi.
Raat ko sotay waqat Ayat Al-kursi parhni chahehai, sub say bara amal jis say jinnat wa shiateen  kay khilaf madad hasil hoti hai woh ayat al-kursi ka parhna hai, insan say jinnat wa shiateen ko bhaganay ki ayat al-kursi mein bari azeem taseer hai, jo shaks ayat al-kursi parhna nahi janta ya osay parhnay nahi aati ya osay lagta hai kay woh theek say nahi parh pata ya osay wiswisay hotay hain kay osnay ayat al-kursi theek say nahi parhi aysa shaks ayat al-kursi likhay sacred bowl mein pani dal kar piay is amal say osay aur bhi ziada shifa milay gi, Ayat al-kursi kay mutalik kafi ahadees hai kuch mein yahan share kar raha hon:



Sacred Ceramic Healing Bowls:
Ceramic yehni cheni matti kay bowl ya plate par Qurani ayat aur taweez likh kar os mein pani dal kar peena, yeh tarika zamana e qadeem say he olma e rohaniat kartay ay hain, yeh tarika rohani ilaj ka sub say best mana jata hai, arabic ki qadeem amliat ki books mein aysay kai tarikay likhay hotay hain, meray pas kuch arabic books urdu tarjomay mein mojod hain onkay kuch bowls par likhnay walay aymal mein yahan share kar raha hon:

Sacred Glass Healing Bowl:
Ceramic bowl ki tarah Glass ya crystal bowl par bhi Qurani ayat aur taweez ghol kar pelay jatay hain, glass ya crystal bowl kay bhi asrat hotay hain, kuch amliat mein yahan share kar raha hon:

Sacred ink and pen:
Bowl par ayaat ya taweez likhnay mein bhi kuch sharait hoti hain aur bohat dhian aur khyal kay saath waqat aur saayt dekh kar bowl par likhna hota hai, jo ink use hoti hai woh bhi khas ingredients say banai jati hai aur kalam bhi jis say ayaat ya taweez likha jata hai woh kalam bhi khas lakri say banaya jata hai, bowl par ayaat ya taweez likhnay wala bhi ba wazu aur pak saaf ho, magar aaj kal kay jali fraud aamil jinkay pas koi ilm nahi hota aysay he koi taweez book say dekh kar pen say likh kar day detay hain aur mariz ko shifa to nahi milti khud taweez kay asrat aysay oltay ospar lagtay hain kay woh aur ziada mosibat mein par jata hai, mein yahan kuch details share karta hon kay bowl par jo ayaat aur taweez likhay jatay hain os mein konsi khas ink aur kalam use hota hai aur osay banaya kesay jata hai,
Ayaat, Naqsh, Taweez ya Talisman bowl par tehrer karnay mein jo ink use hoti hai oskay intakhab mein khas ahtiat ki zarorat parti hai,
Saffaron, Aab e zamzam aur golab kay ark ko apas mein mix kar kay then ambergris aur musk ko powder ki tarah pees kar apas mein sub ko mix kar kay ink taiyar ki jati hai,

Jistarah Naqsh, taweez aur talisman ki likhai mein use honay wali ink khas tarikay say banti hai isitarah jo kalam use kia jata hai woh bhi khas hota hai,
Peacock feather ko muhabat kay aymal likhnay mein use kia jata hai, aur kai tarah kay
achay mamlat kay amliat mein meethay darakt ki lakri ya khushbodar poday ki lakri say kalam banaay jatay hain, jo darakt kisi masjid ya mazar ya isitarah ki sacred jagahon mein hon onki lakri say bhi kalam bana kay use kiay jatay hain, Bamboo ka kalam healing kay aymal mein use hota hai, kalam ko banatay ya cheeltay waqat Bismillah sharif 7 bar, surah fateha 7 bar aur surah Yasin 7 bar parh kay kalam par phonka jata hai,

Aymal e nehas jaysay amliat mein jo kalam use hotay hain woh karway darakt ki lakri ya porcubine yehni seh janwar ka kanta use hota hai ya phir iron nail bhi use ki jati hai os par yeh parh kay phonkna hota hai: Surah fel 7 bar, Ya kahar, Ya Jabar, Ya Motakbar 21 bar.
 
Mein apnay is blog ka 1st part yahin tak complete karta hon, inshAllah iskay 2nd part mein bowls kay mazeed amliyat kay mutalik bohat kuch share karon ga, apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga, Allah pak aap sabi ko khush wa abad rakhay(ameen),

                                 Ali 

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165