Internet aur social media sites par jahan bhi aap gidar singhi likh kar search karay ghay to dhayr sari websites, articles, videos ajae gi lekin agar aap khargosh singhi likh kar search karay ghay siwae meri is posting kay kahin aap ko iski koi information nahi milay gi,
Meri humaisha say yahi koshish rehti hai kay kuch unique mukhfi ilm ki chez kay mutalik posting karon lekin kuch arsay say meinay blog par likhna chor dia tha kuo kay kuch fraud scammer log meri posting parh kar meray zati photos sab kuch apnay nam say share karnay lagay aur har jaga fake sites par meri photos use honay lagi,
Internet ki dunia mein sab say pehlay Gidar singhi ki detail say information meinay apnay blog par apni photos kay sath share ki aur aaj aap gidar singhi likh kar search karay ghay to har jaga fake websites aur videos milay gi jis mein ziada tar meri photos onki sites par lagi apko milay gi, yeh sab kay sab fraud hain kuo kay onki apni koi zati tehqek nahi na he onhonay apni koi zati photo share ki hoi hoti hain, yeh copypaste log hain jo dosron ki copy kar kay logon say fraud kartay hain, yeh nosar baz scammer log social media par har jaga apko milay ghay aur in fraud logon ki waja say ilm kharab hota hai, yeh log fake gidar singhi mehangay paison mein sale kartay hain aur log ankh band kar kay onpar bharosa kar kay lay letay hain onki videos aur ziada followers dekh kar, fake gidar singhi jo ziada tar morda bill kay panjo aur nakhono say banai jati hain, sada log on nosarbaz logon ki videos aur followers dekh kar fool ban jatay hain aur lakhon rupay in bekar fake gidar singhi par kharch kar detay hain,
Jistarah meri Gidar singhi ki posting kay baad har jaga fake sites ban gai aur aab kuch arsay baad khargosh singhi bhi trend par ajae gi aur kai fake sites, posting aur videos banna shoro hojae gi aur meri he photos wahan lagi apko milay gi, Allah pak onko hidayat dain aur aap sab ko onki jaal sazi ko samajnay ki tofeek ata farmae Ameen,
Khargosh singhi kay mutalik batanay say pehlay mein kuch aham batain gidar singhi ki batana chahon ga jis say aap kay ilm mein izafa hoga aur aap haqeqat ko samaj sakain ghay, jesay kay meinay pehlay bhi bataya tha kay gidar ko seengh nahi hotay lekin aik maksos bimari jesay papilloma ya cutaneous horn disease kaha jata hai yeh bimari kuch gidaron ko lag jati hai jis say onkay sar ki jaga par aik chota tumar banna shoro hojata hai, yeh chota dana bara hota rehta hai aur is mein nokela seengh peda honay lagta hai, saperay log is tumor ko morda gidar kay sar say kat kar juda kar detay hain aur juda honay kay baad bhi yeh tumor apnay aap barhta rehta hai aur iskay andar germs ya virus ki waja say, saperay ispar sindoor laga detay hain jis say woh germs ya virus andar he mehdod rehtay hain aur yeh tumar waqt kay sath barhta rehta hai oskay baal bhi barhtay rehtay hain aur kabhi seengh bhi bara hota rehta hai, jab yeh tumar kafi bara hojata hai to oskay sath aur bhi chotay chotay tumar dano ki tarah obhar atay hain aur kuch arsay baad os say alag hokar jhar jatay hain yeh gidar singhi kay bachay kehlatay hain, yeh hai asal haqeqat gidar singhi ki jo meinay aap sab say share ki hai lekin aaj kal jo fraud log hain onhonay bari bari fake kahania batai hoi hoti hain kay gidar singhi yeh hai woh hai yeh fake kahania onki jahalat ka sabot hai,
Papilloma virus ya Cutaneous horn disease likh kar google par aap search karay ghay to aap ko sab haqeqat malum hojae gi kay yeh bimari sirf gidaron ko he nahi aur janwaron ko bhi hoti hai hum insano tak ko hoti hai,
Insan ko seengh nahi hota lekin is bimari ki waja say sar mein seengh peda honay lag jata hai,Aab jab aap sab nay haqeqat ko jan lia hai aab atay hain apnay asal topic khargosh singhi par,
Mein year 2005 say gidar singhi sale karta raha hon aur muktalif saperon aur logon say leta rehta hon aur on mein real gidar singhi talash karna aysa he kam hai jesay koilay ki kan mein say hira talash karna, ziada tar fake aur hath ki banai hoi gidar singhi saperon kay pas hoti hai kuo kay iski mang ziada hai pakistan mein har tesra shaks asal gidar singhi ki talash mein rehta hai, meray customers humaisha mujay kehtay hain kay Ali bhai chez aik number ho koi shikaet na milay kuo kay humay agay deni hai, kuch meray customers muj say kam paison mein lekar agay mehangay paison mein sale kar detay hain,
Yeh kuch arsa pehlay ki baat hai kay aik sapera jis say mein aksar gidar singhi leta rehta hon osnay mujay bataya kay Ali bhai aik ajeeb gidar singhi mili hai jiskay lambay kan (ears) hain, mein samaj gaya kay yeh koi fake hath ki bani hoi hogi meinay osay kaha kay osay rehnay do aur koi khas milay to lekar ana, saperay nay kaha kay Ali bhai aik nazar is kan wali gidar singhi ko dekh lo hosakta hai aap kay kam ajae, meinay osay kaha thek hai kal tum lekar ana,Suba jab woh lekar aya to meinay osay ghor say achi tarah dekha to malum hua kay yeh kisi jungli khargosh kay bachay ka sar hai jis par seengh laga hai, yeh anokhi chez zindagi mein pehli bar meinay dekhi, meinay woh saperay say lay li aur raat ko google par jab search kia to bari zabardast oski information mili jo gidar singhi ki bhi itni authentic details nahi hai,
Jungli khargosh kay sar mein seengh aik maksos bimari jisay shope papilloma virus kehtay hain oski waja say peda hota hai jo pehlay chota dana sa banta hai phir os mein say kalay rang ka seengh peda honay lagta hai, jistarah seengh wala gidar pakistan aur hindustan mein khas aur muqadas mana jata hai same isitarah america aur europe mein seengh wala khargosh khas aur muqadas mana jata hai os mein mukhfi asrat hotay hain,Bahir mumalik mein seengh walay khargosh ko north america mein jackalope aur Germany mein isay wolpertinger kaha jata hai aur wahan muktalif kahania aur kisay iskay mashor hain aur isay bohat lucky mana jata hai aur wahan kay olma e rohaniat oskay mukhfi asrat kay sadio say kael rahae hain,Arab mumalik mein bhi seengh walay khargosh ko khas aur lucky mana jata hai aur osay wahan Al Miraj kay nam say pukara jata hai, mashor e zamana kitab Ajaib Al Makhlokat mein oskay mutalik detail istarah likhi hai,
Sikandar e azam yehni Alexander the great jab hindustan kay muktalif jaziron mein gaya to aik jaziray mein aik bara saanp tha jo wahan janwar aur insano ko nigal jata tha sab jaziray kay log os saanp ki waja say parayshan thay, sikandar e azam nay os saanp ko mara aur os jaziray kay logon khush hokar onko bohat gifts diay jis mein aik khas gift aik yellow colour ka ghargosh tha jis kay black colour kay seengh thay aur jo darinda osko dekhta khof say bhag jata tha,Jackalope, Wolpertinger, Lepus Cornutus aur Al Miraj aik he seengh walay khargosh kay muktalif nam hain jo muktalif akwam kay logon nay rakhay hain aur onsay jori dilchasp aur ajeeb kisay aur kahania hain, aaj yeh scientifically proved hogaya hai kay seengh jo khargosh ko sab say unique banatay hain oski waja aik maksos bimari hai,
Ilm Mukhfiat ki nazar say dekha jae to seengh walay khargosh mein zabardast kisam kay mukhfi asrat pae jatay hain jisay zamana e qadeem say he olma e rohaniat mushaida kartay ay hain aur aaj bhi seengh walay khargosh ko kuch mumalik mein lucky mana jata hai jesay humaray yahan gidar singhi ko lucky mana jata hai,
Kitab Ajaib Al Makhlokat kay mutabik jahan yeh seengh wala khargosh hoga wahan darinday nahi atay aur os say khof zada hotay hain, kuch olma e rohaniat kay mutabik jis jaga yeh khargosh hoga wahan jinnat wa shiateen jo noksan pohanchatay hain nikal bhagtay hain aur bandish wa jadu kay asrat khatam hotay hain aur bhi kai oskay fawaid hain jo muktalif cultures kay logon kay han mashor hain agar sab kay sab yahan likhay jae to achi khasi kitab ispar ban sakti hai,Horned Rabbit Skeleton:
Yeh kafi asray pehlay ki baat hai meinay alama rafique zahid sahab ki aik kitab jiska nam Kanon e Tilsimat hai oskay page number 120 mein aik khargosh ki bone kay tilsim ka amal parha tha jo mia biwi ki apas mein muhabat ka tha, is bone ko hasil karnay kay liay mein aik scientific store gaya jahan meinay rabbit ka skeleton kafi arsay pehlay display par rakha dekha tha, mein wahan woh skeleton lenay gaya to shop walay nay kaha kay sab sold out hogae hain abhi available nahi kuch din baad punjab say mangwa kar rakhay ghay aap kuch din baad shop par chakar lagana meinay osay kaha kay mujay abhi urgent jaldi chahehai to shop walay nay kaha kay aik godam (store room) mein purana rakha hai kisi nay kafi arsa pehlay order par banwanay kay liay dekar gaya lekin aaj tak woh shaks nahi aya woh skeleton thora expensive hai, meinay jab waja pochi to osnay bataya kay woh shaks aik borha doctor tha aik ajeeb morda rabbit lekar aya jiskay sar mein bimari ki waja say phora sa tha osnay kaha kay aap iska skeleton bana kar rakhna mein kuch din baad lenay ao ga lekin 8 saal hogae woh abhi tak nahi aya woh godam mein abhi tak rakha hai, meinay jab os rabbit ka skeleton dekha to oskay sar mein seengh laga dikhae dia, Shop walay nay isi waja say iski keemat ziada laga rakhi thi meinay os say woh foran kharid lia, os waqt mujay iska ilm nahi tha woh to achanak kano wali gidar singhi milnay kay baad mujay is khas rabbit ka ilm hasil hua,










.jpeg)


