Pages

Wednesday, December 6, 2017

Black Goat Heart Talisman


Heart yehni dil jism ka woh khas organ hai jo insan kay jism mein dharakna tab say shoro karta hai jab woh 1 inch kay size jitna ma kay payt mein hota hai dil ki dharkan non stop pedaish say lekar mot tak insan kay jism mein dharkti rehti hai, 
Olma e Rohaniat wa Mukhfiat kay mutabik insani emotions wa feelings ka dil kay sath bohat gehra taluk hai jab insan apnay mehbob ko dekhta hai to dil ki dharkan achanak tez hojati hai isi tarah dar wa khof say bhi dil ki dharkan ka achanak tez hojana ya khushi ki khabar sontay he dil ki dharkan bay kabu hojati hai, dil insani jism kay andar tamam blood ko pump krta hai aur olma e rohaniat kay mutabik dil computer hardisk ki tarah insan kay andar woh khas organ hai jis mein insan ki tamam khuwaishat, emotions wa feelings save hoti hai, agar insan kay jism mein dil na hota sirf dimakh hota to insan robot ki tarah machine hota oskay andar koi feelings pyar, muhabat, nafrat, gusa, hasad wa jalan, naiki wa badi ki bilkol bhi na hoti, insan ki pedaish kay doran jo woh chota fetus sa hota hai to dil he pehla organ hota hai jo oskay jism mein banta hai aur blood ko cord kay thru ma say lekar pump krta hua sar tak pohanchata hai jis say jelly ki tarah dimakh mein nasay banni shoro hoti hai aur maghaz ban jata hai aur yahi process puri body mein phelta chala jata hai jis say nasay banti chali jati hain is say yeh baat clear hojati hai kay dil ka dimakh say gehra taluk hai, dil he pehlay dimakh ko janam deta hai yehni dil dimakh ki ma hai, yeh baat to aaj medical science ko malum hui hai lekin zamana e qadeem say he olma e rohaniat ko malum tha kay dil insan ka sab say aham organ hai jis mein insan ki khuwaishat dafan hoti hain,
qadeem dor mein jab koi insan marjata tha to oski ruh logon ko parayshan karti thi ya kabhi aysa hota tha kay jab kisi ki family mein death kisi ki hojati to oskay pechay sabi family members bari bari marna shoro hojatay thay oski wajohat yeh hoti thi kay marnay walay ki koi khuwaish adhori reh jati thi jiski waja say oski ruh ko sukon nahi mil pata tha jis say woh ruh bad ruh ban kar sabi ko parayshan karti ya phir family mein oski chahat bohat ziada hoti aur woh sabi ko apnay pas bolana chahati, is problem ko thek karnay kay liay qadeem europe mein log bad ruh ki khuwaishat ko khatam karnay aur osay pursukon karnay kay liay oski kabar khud kar oskay dil kay mukam par bari keel thonk kar oska dil phar detay ya keel ko garam kar kay dil ko jala detay thay jis say oski khuwaishat humaisha kay liay khatam hojati aur woh pur sukon hojati thi,
Yeh ritual puray Europe mein jungle ki aag ki tarah phel gaya aur kai mukhfi makhlokat ka janam honay laga jisay aaj vampire ya dracula kaha jata hai aur inko khatam karnay walay aamil logon ko vampire hunter kehtay hain jinkay pas aak maksos briefcase hota hai jis mein keelay hathora, cross, holy water aur tarah tarah ki choti bottles mein herbs hoti hain,


 Yeh sab ka sab hum aksar dracula ya vampire ki movies mein dekhtay hain lekin hum sab yahi samajtay hain kay yeh sab mangharat kahania, novels ya dramay ya movies hain haqeqat is mein kuch bhi nahi, lekin jab aap kisi mahir olom e mukhfiat say iskay mutalik pochay to woh aap ko yahi jawab day ga kay is mein 100% haqeqat hai aur iska janam africa say shoro hota hai,
African log jo mukhfi olom jantay hain onko arwahon kay ilm mein bari maharat hasil hoti hai, bad ruh ya nayk ruh sabi ki pehchan onko hoti hai, kabar khud kar dil kay mokam par keel thonkay wala ritual bhi yahi say shoro hua, onkay bag mein tarah tarah ki keelay,soay, pins, hathoray, jari botia hoti thi jinko medicine bag kaha jata hai aur jhar phonk karnay walay africi ko witch doctor kaha jata hai, isi chez ko europe mein vampire hunter ka nam dia gaya aur medicine bag ki jaga briefcase ban gaya aur possessed logon ko vampire ya dracula dikhaya gaya aur bari bari kahania bana kar media mein paysh kardia gaya,
in sabi kahanio aur movies mein humay kai mukhfi olom ki jhalak dikhai deti hai in mein voodoo ka ilm ziada humay dikhae deta hai, jahan keelay, pins ya soay used hon os ilm ko voodoo ka ilm kaha jata hai,
Voodoo ka ilm aik natural ilm hai iska taluk kisi bhi deen wa mazhab ya shaitan say jora nahi hota, hum isay kala, peela ya safed jadu nahi keh saktay yeh muktalif raang logon nay is ilm ko diay hain jo is ilm ki samaj nahi rakhtay, har shaks apnay deen kay ilm ko noori ilm samajta hai dosray kay deen kay ilm ko kala jadu samajta hai, lekin jo ilm dost log hotay hain ghor wa fikar krnay walay woh ilm ki sachai ko parakhtay hain oskay asrat ko observe kartay hain, jo ilm insan aur insaniyat ki bhalai aur faiday kay liay ho woh ilm kabhi galat nahi hosakta, ilm dost log zamana e qadeem say he har mashray wa mazhab mein rahai hain inhe logon ki waja say aaj voodoo ka ilm humay dunia kay har mazhab mein mixed kia hua milta hai, har shaks apnay apnay deen wa mazhab kay asool wa kawaid kay mutabik voodoo ka ilm kar kay os say fawaid hasil kartay hain,
Humaray Deen Islam mein muslim olma e rohaniat wa mukhfiat aur ilm dost logon nay voodoo kay ilm par kai kitabain likhi hain in arabic aur farsi qadeem wa nayab kitabon mein humay voodoo kay ilm ka nayab zakhira milta hai lekin afsos humaray mashray mein kai log aysay hain jo is ilm ko galat nazriay say dekhtay hain aur kalay jadu ka nam day detay hain ya bengal ka jadu ka nam detay hain yeh woh log hain jinko ilm ki samaj nahi hoti na woh ghor kartay hain yeh lakeer kay fakir hotay hain sachai ilm ki dikhae bhi day tab bhi osay galat keh detay hain,
Opar image mein aap ko 4 bari keelay dikhai day gi yeh vampire hunter jesi he keelay hain, in keelon mein ayat wa dua likhi hoti hain inko ghar ki khair wa barkat aur jinnati asrat say mehfoz rakhnay kay liay ghar kay charon kono mein garh di jati hain, agar kisi kabar ki bad ruh parayshan karti hai to aysi he keelon ko kabar kay charon kono mein laga kar pani par ayaat dam kar kay kabar par woh pani chirka jata hai jis say bad ruh pur sakon hojati hai, yeh islamic tarika hai voodoo kay ritual ka, 

Voodoo kay ilm mein Tasawar aur Neyat yeh 2 important elements hotay hain tabhi voodoo ka ilm asar krta hai, agar tasawar aur neyat strong ho to kisi bhi shaks ka putla bana kar oska ilaj bhi kia jasakta hai ya osay taklef bhi di jasakti hai chahai woh dunia kay kisi bhi konay mein rehta ho, jistarah hum kisi bimar shaks ki sehatyabi ki neyat kar kay kala bakra sadqa kartay hain to sadqay kay is amal say osay shifa mil jati hai chahai woh dunia kay kisi bhi konay mein dor betha ho osay wahin faida hasil hota hai, kalay bakray ka sadqa rad e bala hai kisi bhi shaks ki shifa ki neyat kar kay amal karnay say woh shaks andekhi balaon wa bad asrat say mehfoz hojata hai,
Sadqay walay Kalay Bakray kay organs say aur bhi kai kam liay jasaktay hain, sari baat ilm ki hai agar oskay pas ilm hai to woh apnay ilm say matti ko bhi sona bana sakta hai yeh kahawat hum nay baron say suni hai same isitarah agar kisi shaks kay pas voodoo ka ilm hoto woh bakray kay har organs kay khuwas say parayshanio kay daldal mein dhansay logon ko parayshanio say nejat dila sakta hai,
Aaj mera topic Sadqay walay Kalay Bakray kay khas organ heart yehni Dil kay mutalik hai, is say pehlay bhi meinay kalay bakray ki shanay wali hadi kay mutalik bhi likh choka hon aab yeh naya topic mera aap sab ko zaror passand ay ga aur mukhi olom ki sachai aur haqeqat aur chopay raaz aap ko malum paray ghay,

Goat Heart Ritual for Solve Financial Problem:
Pakistan mein Mahir Ilm e Mukhfiat Alama Molana Muhammad Rafique Zahid sahab thay jinkay pas Arabic aur Farsi nayab qadeem kitabon ka bara zakhira mojod tha, Alama Rafique sahab woh pehlay shaks thay Pakistan mein jinhonay in nayab kitabon ko urdu mein tarjoma kar kay kitabain likhi in kitabon mein humay voodoo ka nayab ilmi zakhira milta hai, Bakray kay dil kay khas amliyat jo meinay onki kitabon mein parhai onko meinay apnay amal mein lia aur kai logon ko is amal say fawaid hasil hoay, yahan mein 2 khas amal share kar raha hon jo meray azmoda hain,
 Alama Abu Al Hasan Aymali apni kitab Awaraf Al Horof mein likhtay hain kay Akabar olma e fun kay nazdek tilsim ajeeb al nafah ka amal kashaish e rizaq kay liay agar sharaet amal kay mutabik parha jay to mojarbat say hai, jo shaks khulot wa tanhae mein neyat kay sath tilsim ajeeb al nafah kay amal ko 40 din tak har roz 300 martaba parhai to khuda e buzrog wa bartar osko ghani kar day ga kay apnay siwa osay kisi dosray ka mohtaj na rakhay ga,
Alama aik aur amal bhi tehrer farmatay hain kay jo shaks fakir wa muhtaj ho woh aik gosfand yehni bakray kay dil par tilsim ko parhai phir is tilsim ki ibarat ko aik kagaz par likh kar is kagaz ko dil kay sorakh kay andar rakh kar kisi masjid kay darwazay ki dehlez kay nechay dafan karday to tangi rizaq farakhi kay sath mabadal hojay, khuda e pak is amal kay aamil ko aysi jaga say rizaq e hilal aur maal pohanchae ga jahan oska guman bhi na hoga,

Yeh amal meinay bohat arsa pehlay kia tha aur iskay zabardast asrat ka mein khud bhi kael hogaya, is amal mein dil ko kisi veeran qadeem masjid jahan nimaz na hoti ho wahan dafan karnay say ziada fawaid dekhnay ko milay,
Yeh amal on logon kay liay bhi bohat best hai jinka rozgar ya karobar mein bilkol bhi dil nahi lagta, jistarah school mein kai bachon ko education mein bilkol bhi dilchaspi nahi hoti onka dil wahan bilkol bhi nahi lagta halakay woh zaheen hotay hain har kam wa khel kud mein onka zehan aala say aala hota hai lekin education mein bilkol zero hotay hain waja dilchaspi ka na hona hota hai same kai aysay log bhi hotay hain jinko kisi bhi kam mein dil nahi lag pata woh apni taraf say puri koshish kartay hain lekin dil onka wahan bechain sa rehta hai ghutan see onko honay lagti hai, istarah ka aik case meray pas bohat arsay pehlay aya tha aik aurat apnay betay ko meray pas lai aur kaha kay Ali bhai meray betay ka hisab dekhain ispar aysi kya sakti hai ya jadu hai ya bandish hai jiski waja say achi say achi job ko chor kar ghar betha rehta hai jo isnay kaha jesi job ka kaha osko apnay man passand kam mein bhi oska dil nahi lagta akhir waja kya hai, meinay jab oska hisab dekha to na to koi bandish ka hisab mein aya na bad asrat ka na he jadu ka yeh baat wakai meray liay hayran kan thi meinay dobara hisab oska banaya tab bhi yahi aya, meinay apnay dil mein socha kay yeh banda to mashAllah bilkol fit hai koi problem nahi phir kya waja hosakti hai? kafi ghor wa soch kay baad phir mujay malum hua kay kuch logon ki nature he aysi hoti hai kay onka man onki soch ya dil kam karnay par bilkol bhi nahi lagta, hum aysay logon ko kam chor ya nikama nahi keh saktay kuo kay woh koshish to kartay hain lekin kar nahi patay nikama aur kam chor to woh hota hai jo jan bojh kar kam na karay lekin jo khud apni taraf say koshish karay aur kam na kar pay to woh aik spiritual bimari ka shikar hota hai, aysay logon kay liay yeh dil wala amal bohat best rehta hai onka dil kam par aysa lag jata hai kay pura focus onka osi par laga rehta hai jis say woh aik kamiab insan ban jatay hain,
Yeh amal Sacrificial Black Goat kay Heart par karnay say he iska acha result milta hai yehni Qurbani wala kala bakra ya sadqay wala ho, agar koi shaks bohat gareeb ho bakra na khared sakta hoto kasai say bakray ka dil aur phaphray kharid lay, phapharon ko sadqay ki neyat kar kay janwaron ko khila day oskay baad dil wala amal karay to best result osay milay ga,

Goat Heart Ritual for Solve Love Problem: 
Voodoo kay ilm mein jistarah mehbob ki doll bana kar ospar keelay ya pins lagai jati hai same isitarah bakray kay dil par bhi keelay laga kar amal kar kay mehbob ko hasil kia jasakta hai yeh amal zamana e qadeem say lekar aaj bhi dunia mein har jaga har cultural mein kia jata hai, British museum aur europe wa america kay museums mein keelay lagay sokhay hoay dil aaj bhi aap ko dikhai day ghay inko archeologist yehni mahir asar e qadeema kay logon nay qadeem kaburistano ya religious jagahon say khudai kar kay hasil kiay thay, is say yeh baat sabit hoti hai kay yeh ilm bohat he ziada qadeem aur authentic hai tabhi zamana e qadeem mein bhi is amal ko kia jata tha aur aaj bhi kia jata hai, bakray kay dil kay amal ko hub wa muhabat wa taskheer kay kamo mein ziada use kia jata hai kuo kay dil ka taluk emotions, feelings aur kai jazbat say jora hota hai, aik zabardast amal hub wa muhabat ka mein yahan share kar raha hon jo mera kai bar ka azmoda hai,

Arabic ki Qadeem wa Nayab kitab "Al Marof" mein Bab Al Hob wa Al Taskher kay chapter mein yeh nayab amal bakray kay dil ka likha hai jo istarah hai kay,
Agar kisi mard ki taskher ya muhabat ka amal karna hoto nar bakray ka dil hasil karay, agar aurat ki taskher ya muhabat ka amal krna hoto mada bakri kay dil ko hasil karay, jab dil hasil hojay to amal kisi pursukon aur tanhae wali jaga par karay, amal ki jaga mein koi dhoni loban ya gogal ki roshan karay aur koi lambi keel jo dil kay size jitni ho osay garam kia jay, jab keel garam hojay to tilsim ajeeb al nafah ko parhtay hoay mehbob ka paka tasawar kar kay keelay ko thanda honay say pehlay he dil kay darmiani walay sorakh mein say dal kar nechay say ar par karday, iskay baad dil mein thonkay hoay keel ko thanda honay say pehlay he kisi poshida aysi jaga par dafan karday jahan aamil kay siwa kisi bhi shaks ka saaya na par sakay, phir aamil is jaga par 40 din tak suba wa sham aag roshan rakhay aur dono okat mein pabandi kay sath tilsim ajeb al nafah ko 101 martaba parhta rahai, amal kay doran tark e haiwanat karay aur koi bhi nagha amal mein na hosakay warna amal kharab hojay ga, is amal kay baad mehbob ka dil aysa bechain hojay ga kay osay dekhtay he oskay dil ki dharkanay tez hojay gi aur jab tak osay dekhay na osay bilkol chain nahi milta har waqat osi ki soch mein oska dil mubtala rehta hai aur kisi bhi kam karnay ko oska dil nahi karta bas mehbob ki soch oskay dil wa dimakh mein aysi naqsh hojati hai kay agar koi oskay khilaf bhi baat karay to gusay ki waja say oski ankhon mein khon sa ajata hai chahai woh oskay waldain hon ya koi aur apna woh osay dushman lagnay lagta hai aur jo oski tarif karay to osay woh apna aziz feel honay lagta hai yeh amal koi na jaiz kisi par na karay isliay meinay tilsim ajeeb al nafah ka wazifa yahan share nahi kia,
Is amal say meinay kai logon ki madad ki hai jo muhabat kay hathon aysay majbor hogay thay kay khudkashi yehni apni zindagi ka khatma karnay par majbor hogay thay aaj woh log khush aur khushal hain apnay mehbob kay sath aur apni duaon mein mujay yaad rakhtay hain onka zameer onko har bar yeh baat yaad dilata hoga kay Ali bhai kay amal ki waja say onki zindagi abad hoi hai,

Mein yeh amal apnay alag maksos tarikay say karta hon, insan lakeer ka fakeer na banay apni soch aur ghor bhi karay, kitabon mein sab kuch share nahi kia jata, tajorbay aur moshaiday say he kisi bhi amal kay chopay raaz malum partay hain, 
Jab koi muj say yeh amal karwata hai to mein kala bakra is amal kay liay choose karta hon aur kasai say katwa kar oska sara meat gao mein gareeb logon mein bant deta hon,
Is amal say aik rohaniat ki kari dar kari chain see ban jati hai gareebon ki duain bhi is amal mein apna alag asar ka power dalti hain jis say amal bay asar ya zaya honay ka koi chance nahi hota,
Meat sara gareebon mein bantay kay baad bakaya organs janwaron ko khilaya jata hai jesay kuttay, kaway ya cheelon ko aur sirf organ dil ko amal kay liay save kia jata hai,
Meinay yeh amal maksos tilsim kay sath karta hon aur copper kay baray bowl mein loban ki dhoni roshan karta hon aur osi bowl mein keel ko bhi achi tarah garam karta hon,
Jab keel garam hojati hai to osay koilon say bahir rakhta hon jab halki garam hojati hai to keel ko dil kay beech walay hole mein dal kar dil kay nechay keel ko par kardeta hon,
Jo muj say yeh amal karwatay hain woh mujay photos aur nam ki details send kartay hain aur photo ko dekhtay hoay tasawar aur neyat kar kay amal krta hon chahai woh kitni bhi dor bethay hon amal ka asar onpar hota hai jesay sadqay kay bakray ka amal ka asar dunia mein kahin bhi dor bimar shaks betha ho osay wahan shifa milti hai same is amal say bhi zabardast fawaid hasil hotay hain,
Keel lagi dil ko jis jaga dafan karta hon woh jaga bhi aik maksos tarikay say banata hon, veeran jaga jahan logon ka ana jana na ho wahan zameen khud kar circle kay andar circle jesa shape banata hon istarah,
Iskay baad keel lagay dil ko beech walay circle kay beechon beech garh deta hon istarah,
Sirf keel ka cap wala kuch hisa bahir rakhta hon takay keel thek say foran garam hojay,
Iskay baad dono circles mein koilay sur sokhi ghas dalnay kay baad aag laga kar yeh amal 40 din tak pabandi say complete karta hon is amal say dil garam hokar sokta hokar sakht sa hojata hai aur wesa he hojata hai jesay museums mein rakhay hoay hain, 
Yeh amal meinay kai logon kay liay kiay aur aab bhi krta rehta hon is amal say gareebon ka bhala hota hai, onko acha khana naseeb hota hai, duain milti hai jis say mera aur amal karwanay walay ka bhi bhala hojata hai, 


Kalay Bakray kay dil kay mutalik yeh topic abhi yahin tak complete krta hon, InshAllah new topic par zaror aur bhi kai postings karo ga,

Is amal kay mutalik mazed malumat kay liay muj say rabta kar saktay hain,
Phone: +92 03003799165
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

                                                 Ali.

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman



Thursday, November 16, 2017

Wish FulFilled Sticks


Kuch arsa pehlay meinay Hudhud parinday ki 3 wish bones kay mutalik bataya tha yeh 3 khas choti hadio ka tilsim meinay dunia bhar mein har jaga logon ko send kia kai logon ko is say bohat fawaid hasil hoay kisi ko jaldi faiday hasil hoay aur kisi ko late, same osi 3 wishbones ki tarah ka he yeh khas 3 wish fulfilled sticks ka tilsim yahan share kar raha hon, yeh 3 wishbones ki tarah he kafi powerfull tilsim hai lekin isay banana asan nahi kuo kay is amal mein aik zahrila saanp ko use kia jata hai, yeh khas amal har kisam ki financial problems ya job ki problems solve karnay kay liay hai iskay ilawa rupay peson mein barkat aur saving ka na hona, rupay peson kay lain dain mein rikawat ya atak parna ya rupay peson par kisi bhi tarah ki bandish ho is amal say khatam hojati hai, har insan ki khuwaish hoti hai kay oskay pas achi khasi itni dolat ho kay zindagi aram say khushali mein guzray lekin woh jitni bhi mehnat kar kay achi khasi dolat jamah krnay ki koshish krta hai takay agay kam ay lekin nahi kar pata kuo kay jesay jesay din guzartay jatay hain kharch barhtay jatay hain aur kuch bhi saving nahi ho pati,
meray pas ziada tar clients yahi masael lekar atay hain kay Ali bhai hum mashAllah achay khasay pesay kama letay hain lekin kuch bhi saving nahi hopati shayad humaray kam mein barkat nahi ya koi bandish see hai, hum feel kartay hain kay koi andekhi kowat ka dakhal hai jis say hum kamiab nahi hoparahai apni zati life mein kuo kay hum paisay saving karna chahatay hain takay humari life khushali mein guzray,
Dunia mein apko kai tarah kay log milay ghay aik woh jo bohat gareeb hotay hain onkay liay 100 rupay rakam azeem hoti hai woh cholay sara din sale kar kay 10 rupay ki plate 10 logon ko khila kar 100 rupay kama kar mutamin hojatay hain aur kai log aysay bhi hain jinka lakhon rupay ka karobar hota hai sara din aik crore rupay kama kar mutamin hojatay hain,
Meray pas har tabkay kay log gareeb wa ameer sabi apnay masael kay hal kay liay atay hain aysay bicharay gareeb bhi atay hain jo kehtay hain Ali bhai meinay aaj sara din kam kia socha kay 500 rupay kama kar aap ko tawez ka hadiya don ga lekin kasam say Ali bhai aaj kuch bhi kama na saka sirf 200 rupay aap ki khidmat mein lekar aya hon, mujay dokh wa afsos bohat hota hai aur confused sa hojata hon kay os say hadiya lon ya nahi agar nahi leta to osay ehsae e kamtari feel hogi osay lagay ga Ali bhai meri gorbat par taras kha rahai hain, har insan jesa bhi ho osay apnay kam aur mehnat par fakhar hota hai, aysay bhi ameer log atay hain meray pas jo kehtay hain Ali bhai kuch amal karo kay is saal new car lon abhi itni saving he nahi ki peson ki kay new car lay sakon agar is saal new year par new car nahi lay saka to meray friends aur family mein cousins sab hasay ghay kay kahan ghai iski shan wa shokat woh orooj kahan gaya kay har saal new car leta hai, Ali bhai yeh meri shoro say adat rahi hai mein har saal new car leta hon please bhai aap kuch aysa amal karain kay is saal meri izat wa shan bar karar rahai doston aur family mein jistarah humaisha rahi hai,
Insan kitna bhi ameer hojay lekin khud ko humaisha gareeb he samajta hai oski waja yeh hai kay woh apnay say ziada opar walay ameer shaks ko dekhta hai aur oskay muqablay mein woh khud ko gareeb feel karta hai aur ehsas e kamtari ka shikar bhi hojata hai jab mehfil mein ameer log jamah hotay hain, dikhaway dikhaway mein woh apni dolat pani ki tarah bhata chala jata hai aur phir aik din aysa ata hai kay 1000 rupay oskay liay rakam e azeem ban jati hai,

Aur middle class joint family kay logon mein peson ki saving ka bara masla hota hai, ghar kay sabi afrad ki achi jobs hoti hain lekin peson ki bachat nahi hopati waja ghar kay akhrajat ya phir ghar ki aurton ki hasad ki waja say bicharay mard majbor hojatay hain jab woh kehti hain kay tumharay bhai nay apni wife ko kitni achi shopping karwa hai mujay bhi aysay kapray apnay liay aur bachon kay liay chahehai to bichara husband yahi kahai ga kay meray bhai ki salary job mein muj say ziada hai woh aysay expensive lay saktay hain hum nahi lay saktay lekin phir bichara biwi ko khush karnay kay liay expensive kapray lenay par majbor hojata hai takay ehsas e kamtari ka woh shikar na hosakay isi waja say saving nahi hopati, lekin jesa dor abhi chal raha hai peson ki saving kar shaks kay liay zarori hai takay kal woh pesay kam asakay, istarah ki kai problems jo rupay peson say jori hoti hain oskay liay yeh amal jo yahan share kar raha hon sab kay liay best hai chahai oska taluk kisi bhi tabkay wa mazhab say ho yeh amal sabi ko faida pohancha sakta hai, aab mein yahan is khas amal ko share kar raha hon,

Anatomy of Three Fullfilled Sticks:
Sarkanday ya bamboo ki small 3 sticks yehni nalkia li jay jo 3 colours mein hon brown, yellow aur white, jab yeh hasil hojay oskay baad 40 muktalif ameer logon kay gharon mein say aik aik kar kay chotay stones yehni kankar liay jay agar kankar milna possible na hoto matti bhi use hosakti hai agar 40 ameer logon kay gharon kay stones ya matti milna possible na hoto oskay ilawa 40 bari banks ya shopping mall ki matti say bhi amal hosakta hai, 40 gold jewellry ki famous shops ki matti say bhi amal hosakta hai,
jab matti ya stones hasil hojay oskay baad jiskay liay amal kia jaraha ho oskay sar kay baal aur dono hathon aur paon kay nakhon liay jay,

Stones Filled Stick: 
Brown stick ki nalki mein 40 ameer logon kay gharon kay stones dalay jay sunday ki suba ko aur is amal say mansob khas tilsim ka symbol stick par likha jata hai, stones dalnay kay baad stick ko red candle wax say seal krdia jata hai,

Nails Filled Stick:
Yellow stick ki nalki mein nakhon dalay jay thursday ko aur nalki par is amal say mansob tilsim ka symbol likh kar nalki ko red candle wax say holes ko seal kardia jay,

Hair Filled Stick:


White stick ki nalki mein baal dalay jay friday ki suba aur nalki kay aik side irani feroza chopkaya jay yeh khas chotay size ka feroza hota hai, is amal say mansob tilsim ka symbol stick par likha jay, oskay baad nalki kay dosray siray ko red candle wax say seal kardia jay,

In teeno sticks ki nalkio ko stones, nails aur hair say fill karnay kay baad red candle ki wax say sticks kay holes ko seal kar kay sticks ko mehfoz jaga rakh dia jay,

The Snake Spirituality: 
Is khas amal mein jo moshkil kam hai woh snake ka hai, is amal mein aysa kala saanp use kia jata hai jispar white lakeray hon yeh common krait zehrila snake hai jo sindh kay ilakon mein ba asani mil jata hai, yeh snake raat kay waqat ziada active hota hai aur raat ko talash krnay say easily mil jata hai,
Teht Al Sha kay okat mein yehni jis raat chand asman mein na ho os raat is saanp ko ahtiat say pakra jay,
Jab mein yeh khas amal kisi kay liay kar raha tha to raat mein is saanp ko talash kia jo aik nehar kay kinaray jhario mein mandak ko khanay mein masrof tha, meinay bina net yeni jali kay isay easily hath say pakar lia kuo kay oskay mu mein mandak tha woh das na saka,
Jab saanp mil jay to osay amal wali khas jaga par laya jata hai aur isay matti kay bartan mein rakha jata hai,
Matti kay bartan ka piali noma dhakan aysa hota hai jis kay center mein hole kia jata hai,
Is hole wali piali noma dhakan ko bartan par rakh kar hole wali jaga mein roi laga di jati hai,
Roi laganay kay baad dhakan kay charon taraf aata laga kar dhakan ko bartan kay sath seal kardia jata hai,
Aatay ki madad say dhakan ko bartan par seal krnay kay baad dhakan mein milk dal kar os mein 3 sticks dal di jati hain, dhakan kay hole mein roi honay ki waja say milk sari raat katra katra saanp kay opar girta rehta hai aur saanp is milk ko peeta rehta hai, yeh amal aik khas raat kay waqat kia jata hai aur bartan par is amal say mansob tilsim likhay jatay hain aur aak khas mala bartan par lapeti jati hai takay saanp kay jinnati asrat say amal kharab na honay pae, bina hisar ki mala say saanp doran e amal bechain sa hokar bartan say nikalnay ki koshish karta hai aur agar doran e amal saanp bartan say nikal gaya bahir aur talash karnay kay baad bhi nahi mila to yeh aamil kay liay problem peda kar sakta hai, hisar wali mala say saanp pur sakon rehta hai aur harkat nahi krta bartan kay andar,
Saanp ko sari raat amal wali jaga isitarah rakha jata hai, suba tak milk sab bartan say ghom hojata hai saanp osay pee jata hai, suba ko ahtiat say saanp ko bartan say nikal kar abadi say dor azad chor dia jata hai,
Is amal kay baad teeno sticks fully ritualized charged hojati hain aab sirf inko alag alag maksos jagahon mein rakhna hota hai,

The Stick of Money:
Amal kay baad teeno sticks ko sunbhal kay rakha jay phir jesay moka milay to sab say pehlay yellow wali stick jis mein nails dalay ghay hain is stick ko kisi famous bank mein mojod money plant poday ki matti mein daba dia jay istarah kay kisi ko malum na ho na koi osay wahan say nikalay,


Banks mein aksar money plant kay poday hotay hain aur yeh money ko apni taraf attaract karnay ki salaheyat rakhtay hain, woh money plant jo kisi famous bank mein kafi arsay say phol phal raha ho os money plant mein bohat zabardast mukhfi asrat hotay hain, wahan is khas stick ko os plant ki matti mein dabanay say jis shaks kay nails os mein hon ghay woh dolat say malamal hojay ga, dolat, rupay pesay oski taraf aysay attaract honay lag jay ghay kay jahan pesay milnay ki umeed he nahi thi wahan say bhi milnay shoro hojay ghay nai nai zariay nai nai rastay kholtay chalay jay ghay jis say rupay peson ko rokna, atak ka hona ya bandish bilkol khatam hojay gi aur banda jitna bhi kharch karta rahai lekin pesay anay mein rukawat nahi hogi kisi bhi tarah ki jis say ba asani saving hosakay gi aur life khushal hoti chali jay gi,

The Stick of Attaraction:


Woh stick jis mein baal dalay ghay thay yeh stick job, factory ya shop wali jaga mein rakhtay hain jahan cash ya rupay pesay rakhay jatay hain, koi bartan laykar os mein coins dal kar on coins kay opar is stick ko rakha jay aur shopping karnay ya kisi bhi zariay say coins milay to in coins ko isi maksos bartan mein jamah kartay rehna chahehai aur jab nae chand ki date hoto in coins say koi meethi chez lay kar bachon mein bant di jay, yeh stick attaract karti hai customers ko shop par agar os banday ki shop hai to jiskay baal is mein hai, agar shop nahi job hai to boss attaract hokar meharban hojata hai, agar factory hai to molazim sab attaract hokar emandari aur sachai say kam kartay hain,

The Stick of Happiness:
Is khas stick ko jis mein 40 ameer logon kay gharon kay stones dalay ghay thay is stick ko choti see bottle mein dal kar ittar lagi roi bhari jati hai takay stick aik jaga jami rahai hilay nahi, phir is bottle ko ghar mein cash ya jewllery rakhnay wali jaga par rakh dia jata hai, is stick kay mukhfi asrat say ghar khushal hojata hai aur ghar mein dunia ki har nehmat ani shoro hojati hai jistarah ameer logon kay ghar hotay hain jesi onki rahaish aur shan wa shokat hoti hai wesay ghar mein yeh sab atta hona shoro hojata hai, ghar ka har shaks ka luck behtar say behtar hota chala jata hai aur financially har kisam ki problems khatam hoti chali jati hai, ghar ki nahosat ya bad asrat jiski waja say kisi chez mein barkat na hoti ho aysay sab bad asrat dor hojatay hain,

Yeh khas amal aik saperay kay zariay mujay mila hai, amal mushkil aur khatarnak hai lekin bohat zabardast hai is amal say koi logon kay financially masael meinay solve kiay hain, agar aap ko bhi yeh amal muj say karwana hai to aap muj say rabta kar kay yeh amal muj say karwa kar financial masael kay daldal say bahir nikal saktay hain,

Rabtay kay liay Call, Whatsapp ya E-mail karain:

Phone: +92 03003799165
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

InshAllah bohat jald new post kay sath hazir honga,
Apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                                  Ali.
 

 

Sunday, October 15, 2017

The Bamboo Ritual


"Luck" aak aysa element hai jo insan ki zindagi ko sanwar deta hai aur agar luck sath na day to kamiab say kamiab aur hoshiar say hoshiar insan bhi tabha wa barbad hokar reh jata hai ya oski life ka The End hojata hai, dunia mein kai log aysay hain jo luck ko nahi mantay woh yeh kehtay hain kay kismat banana khud insan kay hath mein hai woh apni mehnat, achi soch aur zahanat say apni zindagi behtar say behtar bana sakta hai is mein kisi an dekhi kowat ya rohaniat ka sath nahi hota insan khud apni mehnat say apna woh mokam hasil kar leta hai jiski osay khuwaish hoti hai, aysi soch rakhnay walay log aaj is scientific dor mein apko bohat milay ghay lekin jab onko kahin chot lagti hai aur kamiab hotay hotay koi rokawat bar bar parnay lagti hai tabhi onko feel hota hai kay humnay to apni taraf say har kam perfect kia phir yeh rokawat kuo horahi hai woh is andekhi kowat ko feel karnay lagtay hain aur yahi sochtay hain kay shayad khuda onsay naraz hai aur phir itni lambi darhi rakh letay hain mathay par nimaz ka nishan ajata hai aur Allah Allah krnay lag jatay hain, onki soch ostaraf nahi jati kay Allah pak nay jistarah jismani bimario ki shifa kay liay hikmat ka ilm apnay khas bandon ko atta kia aur on bandon kay ilm say banai dawai ya medicine khanay say os bimari say nejat mil jati hai same isitarah rohani bimaria bhi hain jesay nazar e bad kay asrat, hasad kay hasrat, jadu, saaya wagayra istarah ki lambi rohani bimario ki list hai jis mein koi bhi insan kabhi bhi bimar hosakta hai jis say oska luck bigar jata hai aur result har kam mein nakami honay lagti hai,
Is baat mein koi shak nahi kay insan apni mehnat aur soch say apni kismat ko behtar say behtar bana sakta hai lekin andekhi kowat ka bhi is mein bohat bara dakhal hota hai, yeh andekhi kowat kya hai?
iski misal aap arshad chai wala ko he dekh lejiay chai bechnay wala aik aam shaks ka luck aysa chamka kay aaj woh kahan say kahan pohanch gaya, is say bhi ziada attaractfull aur khubsurat log aap ko europe mein gatar saaf krtay nazar ay ghay, yeh andekhi kowat he thi jisnay arshad chai walay ko kahan say kahan pohancha dia yeh gaybi imdad kabhi bhi kisi ko bhi urooj par pohancha sakti hai, gaybi kowat 2 types ki hoti hain aik positive aur dosri negative, positive kowat insan ko kamiab bana deti hai aur puri zindagi insan ki aik jhatkay mein sanwar jati hai aur negative gaybi kowat say acha khasa kamiab khushal insan aik jhatkay mein tabha wa barbad hokar reh jata hai, zamana e qadeem say he olma e rohaniat nay in kowat par research ki aur inko invoke kar kay kisi bhi insan ki taraf in kowaton ko attaract krnay ya onki taraf lanay kay liay kai amliyat sala saal kay tajorbat ki boniad par aijad kiay, in amliyat ki madad say kisi kay bhi bad luck ko good luck mein tabdeel kia jasakta hai,
rohani bimario ki lambi list mein aik karz ka marz bhi shamil hai, karz aik aysa marz hai jis mein insan ghut ghut kar zindagi basar krta hai raaton ki neendain orjati hai, hasi mazak bhol jata hai sab say tanha aur akela rehnay lag jata hai aur depression ka mariz ban kar apni ya dosron ki zindagi ka khatma krnay par majbor hojata hai ya phir jurm krnay par majbor hojata hai jis say apni aur apni family ki zindagi ko jeetay jee jehnom bana deta hai,
Dunia mein kai insan ko apni kabliat, mehnat aur soch par bara naaz hota hai woh yeh sochtay hain kay humaray pas har maslay ka hal hai hum har kam ko easily solve kar saktay hain isi ghumand mein kai log apnay chotay say bussiness ko mazed bara krnay ka sochtay hain aur bank say loan letay hain ya kisi shaks say karz lekar kam ko mazed bara kar kay thek thak pesay kamae takay ameer tarin logon mein shumar hosakay aur zindagi aram say khushali mein guzar jay, onki soch to har lehaz say perfect hoti hai lekin woh "andekhi" kowat ko nazar andaz kar detay hain aur chot kha jatay hain, aik acha kamiab shaks woh hai jo yeh sochay kay agar meray is kadam othanay say lar khara kar gir gaya to iska anjam kya hoga? kai log aysa nahi sochtay woh yeh sochtay hain kay agar aysa kuch bora ho bhi gaya to dekha jay ga sab handle kar day ghay, lekin woh handle nahi kar patay aur badluck aysa onki life mein ajata hai kay loan par loan letay chalay jatay hain aur karz ka pahar itna bara apni life mein khara kar detay hain kay onki kabliat onki soch onkay kisi kam nahi aati bas aik he rasta onko dikhae denay lagta hai suiside karnay ka, kuo kay karz ka pahar khud woh apnay hathon say itna buland bana detay hain kay chokatay chokatay sari omar guzar jay gi lekin yeh pahar kabhi khatam honay ka nam nahi lay ga,
Meinay kai logon ko karz kay marz say nejat miltay dekha hai achanak kisi andekhi imdad aysi onko hasil hoti hai arshad chai wala ki tarah kay onka karz sab khatam hojata hai yeh woh khush kismat log hotay hain jinko maa baap ki duain ya kisi wali ya rohaniat ka hath hota hai, olma e rohaniat nay is lucky an dekhi kowat ko taskheer krnay kay kai amliyat batae hain aik khas amal karz kay marz say nejat ka mein yahan share kar raha hon,
Kitab kanon e Tilsimat mein lika hai kay olma e rohaniat Youhna Martas say onkay kisi mureed nay arz kia kay mein ada e karz mein giraftar hon had darjay kay aflas, gorbat aur tang dasti kay sabab ada krnay ajiz hon aap meri madad kejiay kuch amal taleem farmaiyeh jis say gaybi imdad hosakay aur kuch aysay asbab peda hojay kay mera karz ada hojay, Youhna Martas nay osay aik khas tilsim dia jiska chila 40 roz tak krna tha, is amal ko kai olma e rohaniat nay apni nayab kitabon mein muktalif tarikon kay mutabik share kia hai, is amal ko meinay bhi apnay alag maksos tarikay say kia jis say zabardast kamiabi hasil hoi aur kai logon ki is amal say madad ki jo karz ki waja say parayshan thay, mein yahan yeh khas amal share kar raha hon,
Is amal kay liay Bamboo yehni bans ki lathi li jay jis mein baray holes hon, is laathi kay holes wali nalkion ko os shak kay nam kay horof jitni kaat kay li jay, jesay opar image mein 4 nalkia hain yeh amal meinay aak shaks kay liay kia jiska nam anwar hai anwar kay nam mein char horof hain aalif, non, wao aur ray,
In char nalkio par meinay yeh char horof likhay aur anwar kay masael say mansob char ilm ramal ki figures aur ilm adad kay khas hindsay jo anwar say mansob thay woh likhay,
iskay baad meinay Anwar nam kay shaks ko kaha kay woh 4 tissue papers lay aur onko char muktalif jagahon mein rub karay takay os jaga ki dust in tissue paper par lag jay woh char jagahain yeh hain:
Bedroom jahan woh sota hai bed kay nechay ki zameen par rub karay tissue paper ko aur wahan ki dust lay, 2nd almari mein jahan cash aur jewllery rakhi jati hai wahan kay khanay mein tissue paper rub kar kay dust lay, 3rd office mein jahan woh bethta hai oskay nechay farsh par tissue paper rub kar kay dust lay, 4th jahan office mein woh cash rakhta hai wahan kay khanay mein tissue paper rub kar kay dust lay, anwar nay yeh char dust lagay tissue papers mujay diay jo yeh thay,
Meinay is char tissue paper kay saaf hisay par tilsim ajeeb al nafah  ko horof ki shikal mein likha anwar aur oski walda kay nam kay sath,
 Is amal kay baad chalk say mushtari wa zohra say mansob tilsim likha jata hai black iron bari round plate par ramal ki khas figures bhi likhay jatay hain,
Phir small iron cauldron mein bamboo ki 4 nalkia aur char 6 inch wali iron keelay bhi cauldron mein dali jati hain, iskay baad black horseshoe ko cauldron kay nechay U kay shap mein rakha jay aur cauldron kay right side par sugar cane yehni ganay ka ras kisi cup ya glass kay sath rakha jay aur left side mein red colour ki candle jalai jay, horseshoe aur cauldron kay center mein incense ya agarbatti jalai jay, is amal kay baad charon keelay li jay aur aik aik keel par tissue paper lapeta jay istarah,
Charon tissue papers ko charon keelon mein lapaetnay kay baad in keelon ko aik aik kar kay charon bans ki nalkio kay andar dal dia jay,
Keelay tissue papers kay sath bamboo nalkion mein dalnay kay baad isay red candle ki mom say seal kardia jay,
Candle wax say seal karnay kay baad sugar cane juice kay 3 ghont peenay kay baad bakaya juice cauldron mein dal dia jay takay bamboo ki nalkia is qudrati meethay juice ko absorb kar lain,
is amal kay baad in sab ko andheray room mein sari raat rakhnay kay baad suba suraj nikalay kay waqat in charon nalkion ko daria, nadi, samandar ya kisi bhi nehar mein jari pani mein dal dia jata hai,
 Is amal kay baad hasb e tofeek khairat ya meethi koi chez garebon mein niaz kardia jata hai, is amal say karzay ki adaegi kay asbab gayb say peda hojatay hain aur mukhfi kowatay aysay asbab peda krdeti hai jis say koi na koi hal aysa nikal ata hai jis say karza ba asani ada hojata hai, is amal say rizaq mein barkat aur karobar behtar say behtar hojata hai,
Yeh khas amal kai muktalif mukhfi ulomon ka majmoa yehni mixed blended ritual hai is amal mein ilm ramal, ilm jafar, ilm adad, ilm limiya, ilm himiya, voodoo, hoodoo aur santeria shamil hain jiski waja say yeh ilm apnay aap mein bohat zabardast asar samae hoay hai, 
Agar aap bhi karz ki parayshani mein mobtala hain to is amal ko zaror muj say karwae, inshAllah ba khuda aap ko zaror is parayshani say nejat hasil hogi aur gayb say aysay asbab peda honay lag jay ghay kay karz ada honay kay sath rizaq wa karobar mein honay wali har kisam ki parayshanion say bhi nejat mil jay gi aur karobar mein taraqi wa kamiabi hasil hogi,
Rabtay kay liay aap mujay is number par call, whatsap ya viber par message kar saktay hain: 
Phone: +92 03003799165 
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Bamboo nalkion ka yeh khas amal yahin tak complete karta hon inshAllah bohat jald isi ka dosra amal bohat jald share karo ga,
Apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                               Ali.
                                       

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Voodoo Nail Talisman