Pages

Thursday, September 22, 2011

History of ilm Al-Ramal

  

Ilm e Ramal aak Alhami ilm hai jisay Khuda nay Anbia(a.s) par nazil farmaya tha,  "RAMAL" arabic main rayt ko kehtay hain, yeh ilm rayt par nazil hoa tha isliay is ilm ko ilm ramal kaha jata hai iskay ilawa ilm al-nokat aur ilm al-khatt bhi kaha jata hai, is ilm kay zariay na sirf zamana hal, mazi, mostakbil kay halat malum par saktay hain balkay is ilm main bohat gehray israr aur poshida raaz hain jo har kisi ko malum nahi par saktay sirf osay malum par saktay hain jisay khuda chahai, is aak ilm kay andar pori kainat kay raaz samahai hoay hain, yeh aak aysa gehra samundar hai jiski teh tak koi nahi pohanch sakta, meinay is ilm kay poshida israr ko kafi khoja hai aur main kuch raaz yahan aap say share kar raha hon, yahan jo kisay aur wakiat Anbia(a.s) kay jo ilm ramal kay sath joray hain likh raha hon yeh sub mainay moktalif muqadas kitabon say liay hain, yeh sub aap ghor say parhna kuo kay in keson aur rawayat main is ilm kay gehray raaz poshida hain, aap ko parhnay kay baad hayrat hogi kay kis tarah Allah pak nay moktalif Anbia(a.s) ko onkay dor main is ilm ko nazil farma kar onki rehnomai ki thi.


HAZRAT ADAM(a.s) KA ILM RAMAL:
Jab Hazrat Adam(a.s) aur Bibi Hawa(a.s) ko janat say nikala gaya to
hazrat Adam (a.s) ko duniya kay aak konay par rakha aur bibi Hawa(a.s) ko duniya kay dosray konay par rakha gaya aur dono main judai hoi, is doran hazrat Adam(a.s) bibi Hawa (a.s) ki judai main ghamghin rehnay lagay, onko hazrat bibi Hawa(a.s) ki bohat fikar honay lagi kay na janay woh kis hal main hongi aur isi fikar aur soch kay aalam main aap dariya kay kinaray baythay hoay thay samnay rayt ki zameen thi aur Aap(a.s) ki fingers rayt main gari hoi thi istarah:

Os waqat Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say aap(a.s) kay pas ay aur aap(a.s) ko kaha kay rayt par say apna hath otha ay, jab aap(a.s) nay apna hath othaya to rayt par gari fingers say 4 nokton ki see sorat bani mili istarah:
Is figure ko ahal e ramal "Abu Al-Ashkal" kehtay hain, Hazrat Jibrael(a.s) nay oskay barabar apni 4 fingers garin is say 4 aur noktay ban gay istarah:
Jab in 8 dots ko apas main hazrat Adam(a.s) nay milaya to 4 lines ban gai aur ramal ki 2nd figure bani jisay "Om Al-Ashkal" kehtay hain.
Kuch Olma kay mutabik hazrat Adam(a.s) ka hath rayt par rakha tha magar fingers rayt main gari hoi nahi thi balkay seedhi rakhi thi istarah:
Hazrat Jibrael(a.s) kay kehnay par jab Hazrat Adam(a.s) nay apna hath othaya to 4 fingers say rayt par 4 lines wali figure "Om Al-Ashkal" bani hoi mili jis kay barabar main Hazrat Jibrael(a.s) nay apnay hath ki 4 fingers gari aur 4 dots wali figure banai jisay "Abu Al-Ashkal" kehtay hain, 2 figures rayt par istarah bani hoi thi:
Hazrat Jibrael(a.s) jis tarah khamoshi main zahir hoay thay osi tarah khamoshi main he rayt par noktay bana kar ghum hogay,
Allah pak Rahim Karim hain onko Hazrat Adam(a.s) ka ghamghin rehna passand na aya isliay Allah pak nay ilm ramal ka nokta bazariay Jibrael(a.s) hazrat Adam(a.s) ko dia.

Yeh Aak tarah say chopi paheli ya qudrat kay raaz samaya hoa math kay equation ki tarah ak equation tha jisay Adam(a.s) ko apni zahanat say solve karna tha aur isi kay zariay Bibi Hawa(a.s) ko dhondna tha, yeh aak mission tha jis main hazrat Adam(a.s) nay apnay aap ko busy kar lia is equation ko samajnay main Hazrat Adam(a.s) ko kafi arsa lag gaya aur isi arsay main Aap(a.s) qudrat kay kafi raaz samajnay lagay aur Aap(a.s) nay Apnay RAB e karim ki khudai ka moshaida kia aur jab Aap(a.s) pori kainat kay system ko samjha, ghor kia to sajday main gir gay aur ro kar ghir gara kar apnay Rab say Maafi mangi aur Allah pak nay onko maaf kardia, yeh ilm to aak bahana tha is ak ilm say hazrat Adam(a.s) nay kai oloom seekh liay, kainat kay nizam ko samjha, Khuda kay 99 sifat ka moshaida kia aur apnay Rab ko pehchana, isi ilm kay zariay aap nay Bibi Hawa(a.s) ko dhond lia aur dil main khof e khuda payda hoa aur ro kar gir gira kar apnay Rab say maafi mangi, Allah pak yehi chahatay thay kay woh meri kainat main ghor wa fikar karay meray nizam ko samjhay mujhay samjhay kay main kon hon isi liay yeh muqadas ilm ramal wahi kia gaya Hazrat Adam(a.s) par.
Hazrat Adam(a.s) nay ilm ramal ki rayt par bani 2 figures main kistarah ghor kia aur is ilm ko samja iski muktasir tashreh yahan aap sub kay samnay  pesh kar raha hon,
Hazrat Jibrael(a.s) nay jo 4 dots rayt par dalay thay in 4 dots ko hazrat Adam(a.s) nay 4 elements yehni anasir say mansob kia woh 4 elements hain: Fire, Air, Water, Earth,
Hazrat Adam(a.s) nay duniya ki har shay main ghor kia kay har chez 4 elements say banti hai har shay main 4 elements kay asrat pay jatay hain, Aap(a.s) nay pehlay soraj ko dekha aur oski heat aur garmi ko mehsos kia aur element fire ko pehlay darjay par rakha oskay baad Air main ghor kia kay soraj kay baad hawa taqatwar hai jo asman main badlon ko ak jaga say dosri jaga lay jati hai aur samandar ki lehron ko kistarah sahil par lati hai aur kistarah rayt par hawa say shadet tofan aatay hain aur aap(a.s) nay Air ko dosray darjay par rakha, oskay baad aap(a.s) nay barish jo badal barsatay hain, daria aur samandar main ghor kia istarah element water ko aap(a.s) nay 3rd darjay par rakha, oskay baad aap(a.s) nay matti aur rayt par ghor kia aur earth kay element ko 4th darjay par rakha, 
4 dots wali figure main charon elements open hotay hain aur 4 lines wali figure main charon elements closed yehni band hotay hain isi system say aak aak ansar par aap(a.s) nay ghor kia aur ramal ki 4 aur figures bana dali rayt par istarah:
Isitarah Hazrat Adam(a.s) ko anasir ki dosti aur dushmani kay mutalik bhi malum para kay konsay anasir apas main dost hain konsay dushman jesay aag par pani dalnay say aag boj jati hai etc.. aur isi system say hazrat Adam(a.s) nay ramal ki mazid figures   bana dali istarah total 16 ramal ki figures wajod main agai:
 4 elements yehni anasir kay ilm say Hazrat Adam(a.s) nay aur bhi kai oloom seekhay jin main Alchemy, Hikmat, Najom wagayra inhe oloom say aap(a.s) nay har ramal ki figures kay mansobat rakhay isitarah har ramal ki figure kay kai mansobat hotay hain aur konsi figure kainat main kis kis chez kay sath connected hai isitarah hazrat Adam(a.s) nay is ilm par abhor hasil kar lia aur Hazrat Bibi Hawa(a.s) kay halat is ilm say malum kiay aur ak din on say ja milay, aur apnay ilm say khuda kay 99 mubarik isma al-hosna main ghor kia aur kainat kay nizam ko samjha aur khuda ki raza onko hasil hoi aur jannat kay darwazay onkay liay dobara khol gay, Aap(a.s) nay is ilm kay raaz ko apnay tak he rakha aur apnay baray betay Hazrat Shes(a.s) ko bataya takay is ilm ki madad say onko bhi rehnomai milay aur onki aulad bhi jannat main jasakay,
Agar ghor kia jay to ramal aak ibtadai language hai jo arabic ki ancestor hai, ramal ki figures main 2 cheezain hoti hain 1st dot and 2nd line inhe do cheezon say arabic kay horof abjad banay hain, kuch olmao kay mutabik Hazrat Jibrael(a.s) Allah kay hokam say jo 4 dots rayt par dalay thay yeh 4 dots "Bismillah al-rehman al-rahim" kay 4 dots thay, inhe 4 muqadas dots say ilm ki ibtada hoi zamin par waqat kay sath yahi 4 muqadas dots badal kar horof banay aur phir ayat bani jis say asmani kitabay nazil hoi.
Aab main kuch aur poshida israr aap say share karo ga, woh hath jisnay rayt par 4 dots dalay thay hazrat Adam(a.s) kay hath kay barabar main oskay mutalik islamic rawayat yeh kehti hain kay woh hath Hazrat Jibrael(a.s) ka tha aur israeli yehni jewish olma yeh kehtay hain k woh Hand of God yehni Khuda ka hath tha aur kuch yeh kehtay hain kay angel Raziel ka hath tha woh angel jo poshida olom janta tha jisnay yeh poshida ilm hazrat Adam(a.s) ko sikhaya tha, khair islamic rawayat ziada motbar mani jati hain aur woh hath jisnay 4 dots dalay thay:

Yahodi aur mosalman dono kay nazdek yeh Hath muqadas mana jata hai, yahodi is hath ko "Hamsa" kehtay hain aur onkay nazdek yeh aak muqadas symbol hai jisay woh log apnay gharon main rakhtay hain nazar bad, jadoo kay asrat aur har tarah ki protection kay liay aur kuch log taweez ki tarah isay galay main bhi pehantay hain, kuch images jewish hamsa hand ki yeh hain:
Hamsa hand from my personal collection



Isitarah hum mosalmano main khas kar shia firkay kay log is symbol ko bohat muqadas mantay hain kuch panjtan pak ka hath kehtay hain to kuch Hazrat Ali(a.s) ka hath kehtay hain aur kuch arab countries main is symbol ko Hand of Fatima(a.s) kehtay hain aap sub nay Aalam par is hath kay symbol ko aksar dekha hoga aur kuch images main yahan share kar raha hon:


Yahodi is hath kay symbol ko olta use kartay hain yehni fingers neechay zameen ki taraf ishara karti nazar aati hain aur mosalman is symbol kay hath ko seedha rakhtay hain yehni fingers asman ki taraf ishara karti nazar aati hain, in isharon main kai raaz poshida hain jo inshAllah apnay "Kabbalah" kay topic par isay detail say bataon ga.
yahi woh muqadas hath tha jisnay Hazrat Adam(a.s) ko 4 dots ki shikal main ak chabi di jis say hazrat Adam(a.s) nay tamam oloom seekhay aur khuda kay 99 ism e mubarik dunia main har shay main dekhay aur apnay Rab ko jana aur onki ibadat karnay lagay aur is raaz ko apnay betay Hazrat Shes(a.s) ko bataya aur istarah yeh raaz muktalif anbion(a.s) main montakil hota raha aur har anbia(a.s) nay apnay tarikay say apni kom ko rah e haq ki taraf laya, aab main kuch aur wakiat anbiaon(a.s) kay ilm ramal kay sath joray share kar raha hon.


HAZRAT IDRIS(a.s) KA ILM RAMAL:
Aak Rawait kay mutabik ilm ramal khoab kay zariay hazrat Idris(a.s) par wahi hoa, Hazrat Idris(a.s) nay khoab main hazrat Jibrael(a.s) ko daykha jo rayt par ramal ki figures bana rahai thay, hazrat Idris(a.s) nay Jibrael(a.s) say pocha kay aap rayt par yeh kya bana rahai hain, Hazrat Jibrael(a.s) nay ramal ki 16 figures kay raaz say Idris(a.s) ko agah kia.
Aak dosri rawait kay mutabik Idris(a.s) nay Allah pak say dua mangi kay mujay kuch aysa wasila ata ho jis say main apni zindagi behtar tarikay say gozar sakon, Aak din Hazrat Idris(a.s) tanha rayt par udas baythay rayt par lakeeray khinch rahai thay kay aak ajnabi shaks nay Idris(a.s) say pocha kay yeh aap rayt par kya bana rahai ho? Idris(a.s) nay jawab dia kay main aysay he apnay aap ko behla raha hon bore horaha tha, Ajnabi shaks nay kaha aap shayad jantay nahi aap rayt par bohat khas kam kar rahai hain yeh kam aap ki kismat badal day ga, Idris(a.s) nay os shaks ki baat ko mazak samaj kar nazar andaz kia, Os ajnabi shaks nay rayt par aak aur figure banai jo Idris(a.s) ki rayt par bani figure say milti jolti thi isi tarah Idris(a.s) nay os ajnabi shaks ki bani figure say milti jolti aak aur figure banai is tarah banatay banatay ramal ki total 16 figures ban gai, Tab os ajnabi shaks nay in ramal ki 16 figures ki meanings batai aur onsay zaicha banana sikhaya aur is tarah hazrat Idris(a.s) ramal kay chopay raaz say wakif hogay, Hazrat Idris(a.s) hayrat say os ajnabi shaks say pocha kay aap kon ho kesay is ilm ko seekha aur mujay kuon seekhaya? Tab woh ajnabi shaks apni asal sorat main zahir hoa aur kehnay laga main Jibrael(a.s) hon Allah pak nay yeh
ilm aap par wahi kia hai phir Hazrat Jibrael(a.s) ghom hogay, Idris(a.s) nay Allah pak ka shukar ada kia kay mujay woh ilm ata kia gaya hai jo kisi ko malum nahi, Humaray Nabi Hazrat Muhammad(s.a.w) ki hadees mubarak hai jis main aap(s.a.w) nay farmaya hai kay ilm ramal aak nabi par wahi hoa tha aur woh nabi hazrat Idris(a.s) thay, is hadees ki image main yahan share kar raha hon takay aap ki knowledge main izafa ho:

Isitarah Hazrat Ali(a.s) nay bhi hazrat Idris(a.s) kay ramal kay mutalik farmaya hai kay:
Yehni "Tum nay dekha kistarah Allah pak nay apnay fazal say hazrat Idris(a.s) par ilm ka fayz pohanchaya aur apnay fazal say ilm al-nokat(ramal) ko alham kia aur wahi bhej kar onki subi moshkilat ko hal kia."
Idris(a.s) nay wafat say pehlay is ilm par kitab likhi jisay yahodi log "Lost Book of Enoch" kay nam say pukartay hain yeh book complete to na mil saki magar kuch hisa is book ka mila hai jis main ilm ramal kay sath aur bhi kai rohani oloom kay raaz is book main hain, istarah kai logon nay is book say yeh ilm seekha.

HAZRAT NUH(a.s) KA ILM RAMAL: 
Hazrat Nuh(a.s) ki kom bot parasti aur kai shirk kay kamo main motala hogai, shirk aur gunah dunia main itna barh aur phayl gaya  kay Allah pak sakt naraz hoay, os dor main sirf 1 Hazrat Nuh(a.s) he thay jo Allah pak ki ibadat kartay thay, Hazrat Nuh(a.s) nay apni kom ko deen e haq ki taraf lanay aur sahi raah dikhanay ki bohat koshish ki magar woh na manay khud olta mazak oranay lagay, jis par Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say ramal ki aak figure hazrat Nuh(a.s) ko dikhai jistarah pehlay hazrat Adam(a.s) ko rayt par 4 dots dal kar dikhai thi magar jo hazrat Nuh(a.s) ko figure dikhai woh alag thi jo kuch istarah thi:
Aur Allah pak nay Hazrat Nuh(a.s) ko kashti bananay ka hokam dia, jab hazrat Nuh(a.s) ki kom nay aap(a.s) ko registan main jahan har taraf rayt he rayt thi aur dor dor tak pani ka nam wa nishan tak na tha wahan kashti banatay dekha to hasnay aur mazak oranay lagay, aur jab hazrat Nuh(a.s) nay kashti bana dali to Allah pak nay hazrat Nuh(a.s) ko onki family kay sath kashti main janay ka hokam dia, aur hazrat Nuh(a.s) apni family kay sath kashti main agay aur phir Khuda ka azab nazil hoa na thamnay wali barish aur saylab ki sorat main jis say dunia main har jandar dob par fana hogaya sirf woh he zinda rahai jo hazrat Nuh(a.s) ki kashti main thay:
Yeh azab kai arsay tak raha aur dunia main har jandar dob kar mar gaya aur akhir kar azab khatam honay laga aur hazrat Nuh(a.s) ki kashti aak pahar par akar rok gai aur yeh scene osi ramal ki figure lehan jesay dikhai denay laga:
Aur aak dosri rawayat kay mutabik jab hazrat Nuh(a.s) kay betay aur onki auladay dunia main har jaga phel gay aur kafi arsa guzar janay kay baad Hazrat Nuh(a.s) ko onki khair khabar na mili to hazrat Nuh(a.s) nay Allah pak say Dua mangi kay onko aysa ilm ata ho jis say woh apni aulad kay halat say wakif hosakay aur istarah Hazrat Jibrael(a.s) nay Allah pak kay hokam say ilm ramal hazrat Nuh(a.s) ko talim farmaya aur aap(a.s) is ilm ki madad say apni aulad kay halat say wakif rehtay thay.


HAZRAT IBRAHIM(a.s) KA ILM RAMAL:
Jab Allah pak nay Hazrat Ibrahim(a.s) ko Kaaba sharif bananay ka hokam farmaya to Hazrat Ibrahim(a.s) ko malum na tha kay iski jaga konsi hai ya konsi jaga par banaya jay aur kesa shape hona chahehai, Aap(a.s) isi soch main bethay thay kay Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say zahir hoay aur onhonay apnay hath ki finger asman ki taraf ishara ki jiska matlab tha khuda 1 hai phir hazrat Jibrael(a.s) nay osi finger ko zamin ki taraf ishara karkay zamin par finger gari jis say dot ban gaya:
Aur phir yahi dot phel kar 4 dots ban gay square ki tarah:
Yahi woh Bismillah sharif ki "Bay" ka nokta tha jo Hazrat Jibrael(a.s) nay zamin par banaya aur jis say Bismillah al-reham al-rahim kay 4 noktay square ki sorat main zamin par ban gay aur yahi woh 4 noktay thay jo pehlay hazrat Adam(a.s) par nazil hoay thay, Hazrat Ibrahim(a.s) aur Hazrat Ismael(a.s) nay 4 nokton par Kaaba sharif ki boniad dali aur 4 deewaray banai aur square ki shape main Kaaba sharif banaya.

HAZRAT MUSA(a.s) KA ILM RAMAL: 
Hazrat Musa(a.s) par ilm ramal wahi hoa tha jewish log is ilm ko "Kabbalah" kehtay hain, Kabbalah aak hebrew yehni abrani word hai jiska matlab hai "The Received Wisdom", Jewish logon kay mutabik Khuda nay sub say pehlay Kabbalah ka ilm farishton ko sikhaya tha dunia bannay say pehlay aur Hazrat Adam(a.s) ko sub say pehlay Hazrat Raziel(a.s) kay zariay sikhaya gaya jab onko jannat say nikala gaya tha, takay Hazrat Adam(a.s) is ilm ko seekh kar qudrat ka moshaida karay aur wapis osi makam jannat par jasakay, Hazrat Adam(a.s) kay baad yeh ilm montakil hota raha aur phir achanak yeh ilm dunia say ghum hogaya jesay aaj kal kay scientific dor main kafi rohani olom ghum hogay hain, is tarah os dor main logon main shirk phelnay laga aur jahalat aur bot parasti phir barhnay lagi, istarah yeh ilm phir Hazrat Ibrahim(a.s) par nazil hoa onhonay is ilm ko kafi phelaya onkay baad phir yeh ilm jewish logon main ghom hogaya jab woh misar yehni egypt main golami ki zindagi gozartay thay, aur akhir kar phir yeh muqadas ilm Hazrat Musa(a.s) par nazil hoa jab Aap(a.s) pahar par khuda say milay, jab pehli dafa hazrat Musa(a.s) pahar par ghay to khuda nay onko ilm e zahiri taleem farmaya jisay "Ten Commandments" ya das ahkam kehtay hain yeh ilm onki kom kay aam logon kay liay tha, jab Hazrat Musa(a.s) dosri bar pahar par khuda say milay to onko Khuda nay ilm e batini ki taleem di jisay kabbalah kaha jata hai, Hazrat Musa(a.s) nay yeh ilm apnay tak he rakha aur apna bhai Hazrat Haroon(a.s) ko taleem farmaya aur onko kaha kay yeh ilm sirf apni family tak he mehdod rakhna istarah yeh ilm bani israel kay paygambaron main montakil hota raha, aur aab main is ilm kay mutalik kuch muktasir batain aap say share karta hon, kabbalah ilm main jo key hai jis say yeh ilm asani say samja jasakta hai woh hai "Tree of Life" yehni shajar e hayat, oski image istarah hoti hai:
Yeh 10 ahkam e batini ya woh 10 ilm ramal kay noktay hain jisay khuda nay hazrat Musa(a.s) par nazil farmay thay,  jisay jewish log tree of life kehtay hain aur isi main sub raaz poshida hain aur aab main aap ko kuch aur detail batao ga is tree kay map ki, yeh map pehlay egyptian pyramid ki tarah tha istarah:
aur isi 10 dots ko tree of life ki see sorat di gai istarah:
Ilm ramal ya kabbalah main 1 dot ko tak aur 2 dots ko jaft kaha jata hai, 1 dot male say mansob hota hai aur 2 dots female say mansob hotay hain kuo kay female mother banti hai aur isi calculation say ramal ki figures banti hai is image say aap ilm ramal ki calculation samaj jao gay:
Kabbalah kay tree of life main ramal ki 4 figures banti hain inhe 4 figures say baki 12 figures ramal ki bani, is image main on 4 figures ko zahir kia gaya hai:
Tree of life main say yeh 4 figures ramal ki milti hain jo yeh hain:
In 4 figures ki apas main calulation say baki 12 figures banai jati hain, aap nay dekha kesa gehra raaz poshida hai tree of life kay map main, wesay agar koi is tree of life kay map ko dekhay to koi samaj nahi pay ga sirf wahi samaj sakta hai is poshida ilm ko jisay is raaz kay mutalik malum ho, isi system say yeh ilm hazrat Musa(a.s) par nazil hoa tha,
Kuch olmao kay mutabik hazrat Musa(a.s) par bhi wahi 4 noktay nazil hoay thay jo hazrat Adam(a.s) aur Hazrat Ibrahim(a.s) par nazil hoay aur in 4 nokton ko 4 aalam ya worlds say mansob kia gaya:
Image main jo sub say neechay black circle hai isay kabbalah main world of Assiah kaha jata hai aur sufisim main isay aalam e nasot kehtay hain, os say opar wala circle world of yetzirah ya aalam e malkoth kehtay hain, 3rd circle ko world of briah aur aalam e jabrot kehtay hain isi tarah 4th circle ko world of Atziluth aur aalam e Lahot kehtay hain aur yeh charon world ya aalam 4 elements say connected hain yeh tasawof, sufisim, morakba, lataif ya chakra healing, reiki wagayra main bhi use hotay hain, ilm ramal sirf kismat kay halat dekhnay tak he mehdod nahi yeh bohat gehra ilm hai jiska koi kinara nahi aur is ak ilm main say kai oloom nikaltay hain.

HAZRAT ARMIAH(a.s) KA ILM RAMAL: 
Hazrat Armiah(a.s) ki kom kay log ilm najom (astrology) say aak dosray ki madad kartay thay aur is kay sath mashgol hotay thay aur onkay liay koi shogal nahi tha magar woh ilm najom main nazar rakhtay thay, onkay priest bohat magror thay onko apnay ilm par bara naz tha onkay mutabik ilm najom say afzal dosra koi ilm ho he nahi sakta istarah woh Khuda ko bhol kar sitara parasti karnay lag gay aur 7 sitaron kay bot bana kar onki puja karnay lag gay,
Pas Allah pak nay Armiah(a.s) ki taraf wahi bhayji Aur Hazrat Armiah(a.s) nay apni kom say farmaya:
"Kon afzal hai jo asman, Sitaray, koakab, chalnay walay falk, soraj aur chand ki taraf dekhay woh motehrik hai aur os main harkat hai aur woh oskay mutalik bagair asal kalam kay sath baat karta hai kai dafa sahi hota hai aur kai dafa khata hojati hai,
Ya Phir woh jo zameen ki taraf dekhta hai aur yeh jamad sakin gair motehrik hai jis main harkat nahi hai, matti main lakeeray khinchta hai aur tumhai on cheezon kay baray main khabar dayta hai jo oskay awal say akhir tak os saal main hai aur jo kuch oski barishon, nibat, ajnas oskay bhao, oskay sastay aur mehangay honay say hai aur jo tumharay dushman tumharay sheharon main chaltay hain tumhai fateh aur shiksat kay baray main khabar daytay hain aur tumhai zindagi, mot, omaron kay lambay aur chotay honay kay baray main khabar daytay hain aur yeh kay hamla aurat mozakir ya monis main say kya janay gi,

Aap(a.s) ki kom nay kaha jo zameen main daykhta hai afzal hai, agar tum hakim aur fazil ho ya Nabi aur tum is par kadir ho kay jo kuch tum bolo osko apni dalael kay sath zahir karo aur jo kuch tum nay bola oskay sath amal karo, Agar tum nay yeh kardia to hum aap ki atba karain gay aur aap ki Nabowat kay sath eeman lain gay.
Pas Hazrat Armiah(a.s) nay kaha ay Rab to sub say ziada jannay wala hai jo kuch onhonay kaha mujay woh ilm taleem do jis kay sath main onkay ilm ko batil kardon, Pas Allah pak nay hazrat Armiah (a.s) par 16 ramal ki figures nazil ki phir Armiah(a.s) nay on figures ko onki kom kay tarikon say mix kia aur har figure kay neechay likha jo borj, koakab, manazil, atraf, jawahar, anasir, nibatat, haywan, horof, adad oskay sath mansob hai aur makhlokat main har shay oskay sath mansob hai,
Pas Hazrat Armiah (a.s) onki taraf ay aap (a.s) nay onsay kaha muj say pocho jo tum chahatay ho bayshak main Allah pak kay hokam say matti say oskay sath tumhai khabar don ga, Onhonay Armiah (a.s) say pocha jo kuch is saal main awal say akhir tak hoga aur on tamam kay baray main jo zaraet, hawaon, harkat, sukon, barishon aur narkhon kay sastay, mehangay honay kay baray main hoga,
Hazrat Armiah(a.s) nay onko din ba din, saet ba saet agah kardia aur
jo kuch Aap(a.s) nay kaha to onhonay apnay cheharon kay sath onki taraf maylan kia aur onhonay Hazrat Armiah(a.s) ki tazdeek ki aur inhain apna Nabi man lia aur jis tarikon par woh pehlay thay osay onhonay batil kardia. Isliay Nabi kareem(S.a.w) ka kol hai: "Meray bhai Armiah(a.s) matti main lakeeray khinchtay thay pas jis nay onki lakeer khat ki moafkat ki woh thek hoa".

Hazrat Armiah(a.s) nay sub say pehlay ilm ramal ko ilm najom kay sath mix kia aur aaj hum jo zaicha ramal ka banatay hain woh isi tarah he banatay hain jis tarah Hazrat Armiah(a.s) banaya kartay thay aur aaj bhi har ramal ki figures kay mansobat wahi same use hotay hain jo hazrat Armiah(a.s) nay ayjad kiay thay jiski ak image main yahan aap say share kar raha hon:



HAZRAT DANIAL(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Danial(a.s) Paharon kay daman main chop kar tanhai main Allah pak ki ibadat main masrof rehtay thay, Aak din Hazrat Jibrael (a.s) ilm ramal ko aap kay pas lay aur farmaya, Allah pak ka hokam hai kay gumrah logon ko haq ki taraf dawat dain aur ilm ramal ki madad say logon kay dilon ko haq ki taraf phayray isliay kay aap kay pas zahiri tor par koi wasail nahi hain, Chinachay Hazrat Danial (a.s) pahar say otar kar neechay ay thori rayt apnay sath liay misar (egypt) kay bazar main aak konay main akar beth gay, har shaks nay akar pocha kay yeh rayt kaysi hai Aap(a.s) nay farmaya kay tum muj say sawal karo main iska jawab don ga, chinachay bohat logon nay muktalif sawalat kiay kisi nay kaha kay hum kis kam ko jatay hain, kisi nay kaha kay aaj hum ghar say kya khana kha kar chalay
hain aur humaray ghar main kis kadar dolat hai aur kitnay aadmi hain ya humaray ghar main khazana hai ya nahi, agar hai to kis kadar hai, aur kuch nay pocha kay humaray dil main kya hai, Aap(a.s) nay is ilm sharif say aysay sahi jawabat diay kay os main fark na tha hazaron ahal e misar eeman lay ay.


Kuch tarikh main olmao nay istarah likha hai kay jab Hazrat Danial(a.s) apni kom ki mukhalfat ki waja say shar say bahir gay tab yeh ilm bator e mojaza ata hoa tha, Aap (a.s) nay is ilm kay zariay logon kay dilon ka hal bayan kia is say kom main hazrat Danial(a.s) ki izat aur aytmad payda hogaya, ortay ortay yeh khabar os waqat kay badshah ko pohanchi to osnay hazrat Danial(a.s) ko bolwa bhayja aur imtehan laynay kay liay chand batain pochi jin ka Aap (a.s) nay dorast jawab dia jis say badshah bohat mutasir hoa osnay
hazrat Danial(a.s) say kaha kay aap meray betay ko ilm Ramal ki taleem dain, Hazrat Danial(a.s) nay shezaday ko bari dil jami kay sath ilm ramal ki taleem dena shoro ki aur is ilm main mahir kardia, jab shezada ilm ramal main kamil hogaya to badshah bohat khush hoa, Badshah nay akaylay main hazrat Danial(a.s) ko bolaya wahan par shezada bhi mojod tha kol 3 afrad wahan par mojod thay, bataon bataon main hazrat Danial(a.s) nay shezaday say farmaya kay humaysha say yeh mamol chala araha hai kay har aak zamanay main Allah pak nay logon ki hidayat aur rehnomai kay liay
aak paygambar ko bhayja hai, tum ilm ramal kay zariay malum karo kay is zamanay main koi paygambar mojod hai kay nahi?, chinachay shezaday nay khat ramal khincha aur hisab laga kar kaha kay is zamanay main paygambar mojod hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir pocha kay agar paygambar hai to is waqat kis shehar main hai?, shezaday nay hisab laga kar bataya kay isi shehar main hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir dariafat kia kay isi shehar main kis mokam par hai?, shezaday nay jawab dia isi mokam par hai, Tab Hazrat Danial (a.s) nay pocha kay agar paygambar is jaga par hai to woh kon hai? shezaday nay phir hisab laga kar kaha is jaga par hum 3 shaks hain na to main paygambar hon na mera baap paygambar hai beshak
aap paygambar bar haq hain, Badshah yeh giftago son raha tha woh aur shehzada osi waqat hazrat Danial(a.s) par eeman lay ay oskay baad baki tamam kom bhi gomrahi say tayb hokar hazrat Danial (a.s) par eeman lay ai.


Iski aak tarikh Alama Ibn Khaldon apni kitab Tarikh e Aalam main istarah bayan kia hai:
Babylon kay Badshah Nebuchadnerzzar nay Jerusalem par hamla kia aur Haykal muqadas (Temple of solomon) ko veeran, barbad kar kay bani israel ko zanjeeron say bandh kar bayaban nanwa main qaid kia, os waqat bani israel kay qaidion ki tadad 96 thousand thi aur woh bayaban main muktalif makamat par katar andar katar kholay asman kay talay rayt par bethay qaid wa band ki sakhtian jhayl rahai thay, os waqat israel kay deeni rahnama Hazrat Danial (a.s) thay jo kom kay is tarah kay sakht halat ki waja say sakht parayshan thay, chinachay kom kay muktalif girhon kay halat say agah honay kay liay Allah pak nay Jibrael ameen(a.s) kay zariay ilm ramal ata farmaya.
Hazrat Danial(a.s) rayt par bethay thay aur dil wa dimagh kom kay
bais parayshan thay hath rayt kay zaron main garhai thay, jonhe
Jibrael(a.s) nazil hoay to aap nay hath rayt say alag kar kay onki
taraf tawaja ki, Jibrael nay aap ko Khuda ka salam dia aur farmaya
"Danial parayshan na ho aur rayt par apnay hathon ki onglion kay nishanat ko daykh aur qudrat Khudawand Rab almeen molakhta kar", Aap(a.s) nay nishanat ko daykha to woh noktay (dots) ki tarah thay dono hathon kay 8 dots banay thay, in 8 dots say Hazrat Jibrael (a.s) nay Hazrat Danial (a.s) ko ramal ki 16 figures taleem farmai aur in figures ki meanings batai jin kay zariay Danial(a.s) bani israel kay muktalif girhon kay halat say wakif hoay aur phir isi ilm kay zariay aap nay Babylon kay badshah ko apna garweda banaya".


HAZRAT LUQMAN KA ILM RAMAL:
Hazrat Luqman ko Allah pak nay Hikmat ka ilm baksha tha jiskay mutalik Quran sharif main Allah pak nay farmaya hai "Aur Hum nay Luqman ko Hikmat Bakshi kay Khuda ka shukar karo.", Hazrat luqman ko Allah pak nay intaha darjay ki hikmat say nawaza tha laykin onhai Nabowat say sarfaraz nahi farmaya tha, Hazrat luqman aak african ya sudani thay aur chotay qad, chipti nak walay siahfam habshi thay aur aap kay chehray ka rang bohat siah yehni kala tha, aap ko har kisam ki jari botio ka ilm tha aur ilm hikmat main aap say barh kar koi nahi, hikmat kay sath ilm ramal bhi Allah pak nay aap ko ata farmaya tha, jo aaj bhi african countries main siahfam log jantay hain, luqmani ramal ko "Ifa" kaha jata hai,
Luqmani ramal main sirf 2 ramal ki figures banai jati hain aur inki 2 figures say sub halat malum par jatay hain, luqmani ramal ka tarika bohat ajeeb aur gehra hai jisay har koi samaj nahi sakta wahi samaj sakta hai jisay Allah pak Hazrat Luqman jesi zahanat day,
Hazrat luqman ilm ramal say marz ko pehlay tashkhis kartay thay aur phir os marz ka ilaj kartay thay, aap nay apnay betay ko yeh muqadas ilm taleem farmaya aur aap kay betay kay baad yeh ilm africa main phel gaya aur aaj bhi yeh ilm africa kay ghanay janglon main habshi log jantay hain aur is ilm say kai poshida amraz ko tashkhes kar kay jari botio ya jhar phonk say ilaj kartay hain.



HAZRAT ESSA(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Essa(a.s) (Jesus Christ) bhi ilm e Ramal jantay thay muqadas kitab e Anjeel yehni Bible kay mutabik kuch yahodion nay aak aurat ko Hazrat Essa(a.s) kay pas lay ghay aur kaha kay is aurat nay bara gonah kia hai isnay zina kia hai aur Mosa(a.s) kay kanon kay mutabik is aurat ko sangsar karna hoga aur aap is kay baray main
kya kehtay hain, Hazrat Essa(a.s) zameen par aungli say lakeeray dalnay lagay aur khamosh rahai jab yahodion nay phir pocha to Hazrat Essa(a.s) nay  yahodion say kaha kay "tum logon main say jo gonahon say pak ho woh pehla pathar is aurat ko maray" yeh kehnay kay baad aap(a.s) phir say  zameen par lakeeron say figures bananay lagay, yahodi yeh son kar aak aak kar kay aurat ko chor kar chalay ghay, Hazrat Essa(a.s) othay aur pocha akayli khari aurat say kay "sub kahan ghay? kisi nay kuch bhi nahi kaha tum ko?"
aurat nay kaha "nahi kisi nay kuch na kaha mujhay", Hazrat Essa (a.s) nay aurat ko kaha "main bhi tum ko kuch nahi kahon ga, jao aur aab dobara gonah na karna" (John 8.2-12) 



HAZRAT MUHAMMAD(S.A.W) KA ILM RAMAL:
Kafi Ahadees Nabi pak(s.a.w) ki hain jo ilm ramal kay mutalik hain,
meray ilm main jo Ahadees hain main woh yahan aap say share kar raha hon, Ahadees ki books main Sahi Bukhari Sharif aur Sahi Muslim Sharif ko sub say motbar mana jata hai aur yahan main kuch Ahadees kay images sahi bukhari sharif kay aap say share kar raha hon:

Aak aur Hadees bhi sahi bukhari sharif main istarah hai: 


Isitarah aak aur Hadees bhi sahi bukhari sharif main istarah likhi hai:


Hazrat Idris(a.s) kay mutalik ramal ki hadees kay baray main kitab Tarikh e Ibn Kaseer main istarah likha hai kay:

Aak mashor ilm ramal kay mutalik humaray Nabi(s.a.w) ki hadees jo kafi ramal ki books main likhi hoti hai woh hadees yeh hai:

Humaray Nabi Hazrat Muhammad(s.a.w) kay baad yeh muqadas ilm Ahal e bayt main Hazrat Ali(a.s), Hazrat Bibi Fatima(a.s) aur Hazrat Imam Jaffar Sadik(a.s) ko mila aur phir Auliao, Derwaysh, Pir, Fakiron main yeh ilm phel gaya aur inhe say yeh ilm hum gunahgar bandon ko naseeb hoa,
Yeh ilm Allah pak nay Anbiaon(a.s) par nazil farmaya isliay yeh aak sacha ilm hai, jo shaks is kay asool wa kawaid kay mutabik is par amal karay ga sawab kay ilawa is ka hisab sahi aur sacha sabit hoga aur logon ki bhalai aur mushkil koshai hogi, kuon kay yeh ilm har lehaz say sahi hai jis ko parwardigar nay apnay khas bandon ki rehnomai kay liay nazil farmaya, is kay israr wa ramoz bohat gehray hain, Pakistan main kuch jahil logon kay hathon yeh ilm agaya hai jinko is ilm kay mutalik kuch jankari nahi hoti bas apni taraf say anap shinap batain bol detay hain aur jo batain kehtay hain sub jhooti nikalti hain jis ka result yeh nikalta hai kay log is ilm ko galat ya jhota samajnay lagtay hain, kuch log to is ilm ko khel samajtay hain aur bekar sawalat jesay sattay kay numbers malum karna, prize band ka dekhna, cricket main konsi team haray gi ya konsi jeetay gi kis par satta lagaya jay, istarah kay bakwas aur lalach bharay sawalat ka dekhna is ilm ki toheen karna hai, jo is tarah ki lalach dil main dalay is ilm ko seekhay ga ya hisab nikalay ga to yeh muqadas ilm os shaks ki zindagi main aysa kehar nazil karay ga kay woh shaks bhikari ban kar road par ajay ga ya aysa bimar hoga kay sara oska pesa bimari main chala jay ga, isliay humay is ilm main soch samaj kar sawalat dekhnay chahehai yeh koi mazak ya khayl nahi jisay jab dil chaha fazol sawalat dekh liay, menay apni zindagi main aysay kai log dekhay hain jo ilm ramal sekhnay kay baad barbad hogay iski waja lalach aur fazool sawalat kay mutalik zaicha bana kar dekhna hai, isliay please aap is ilm main sirf aur sirf wahi sawalat dekh ya kisi ramal walay say poch saktay hain jo zarori ho, fazol sawalat say yeh ilm chir jata hai aur is ilm kay jalal ka moshaida main kar choka hon,
Is ilm ko har mazhab ka shaks kar sakta hai, jo shaks apnay mazhab par kaim nahi reh sakta woh is ilm par kabi kamiab nahi hosakta, har aalim ko apnay mazhab kay asolon ki pabandi nihait zarori hai tab jakar aap is ilm par hawi hon ghay aur awam ko faiz pohancha sakay ghay warna nahi.
Main yeh ilm logon ko net par seekhata hon agar aap bhi is muqadas ilm ko seekhna chahatay hain to muj say rabta karain, kuch logon kay mutabik yeh ilm bohat mushkil hai seekhna, onka yeh kehna aur sochna aak tarah say sahi hai kuon kay ramal ki sari books main yeh ilm mushkil lagta hai mujhay bhi books main mushkil laga par Allah pak kay karam say meray walid Muhammad Urs Pirzada nay mujhay easy tarikay say yeh ilm seekhaya woh meray walid he nahi meray Ustad bhi hain jo ilm e Ramal kay master hain aur mujhay bhi master bana rahai hain, meray walid ko is ilm say ishq raha hai aur mujhay bhi is ilm say ishq hai, mainay kabi is ilm main kamil honay ka dawa nahi kia aur jo dawa karay woh gomrah hai, Meri aap sub kay liay Dua hai kay Allah pak aap ko bhi yeh muqadas ilm ata karay, yeh ilm aak aysa khazana hai jo na chori hosakta hai na ghom hosakta hai khud yeh aur ziada barhta rehta hai aur yeh khazana duniawi zindagi kay sath akhrat ki zindagi main bhi faida deta hai, InshAllah main bohat jald ilm ramal kay mutalik aur notes aap say share karon ga, apnay is bhai ko duaon main yaad rakhiay ga,

                                                  Ali 
                                     +92 03003799165
       My Other Articles:
Scapulimancy