Pages

Wednesday, December 13, 2023

Black Dog Bone Talisman

 

Amliyat, Tawezat wa Tilsimat hakeem kay koshtay ki tarah hotay hain, aak kamil hakim koshta bananay mein apni taraf say koi kasar nahi chorta phir bhi koi na koi kasar reh jati hai jis say koshtay mein woh taseer peda nahi hopati aur woh koshta bay faida hojata hai aur hakim ki mehnat, waqat aur pesa barbad hojata hai lekin woh himat nahi harta tajorbat aur bar bar nakami say akhir kar woh samaj jata hai kay kahan os say galti horahi hai jis say kasar reh jati hai aur osay woh samaj kar thek kar he leta hai jis say woh koshta pur taseer ban jata hai jo martay hoay insan kay andar dobara jan dalnay ki salaheyat rakhta hai,

Same isitarah jo amliyat tawezat wa tilsimat kitabon mein bari tareef kay sath mujrab al mujrab azmoda likhtay hotay hain jisay parh kar aik aamil apna waqat aur paisa kharch karta hai aur apni taraf say koi kasar nahi chorta lekin phir bhi woh amal tawez ya tilsim bay asar bay faida hojatay hain, amliyat ki kitabon mein kuch tilsim amal aur tawezat kay muktasir sa likha hota hai jisay aamil sarsiri nazar say dekh kar nazar andaz karleta hai aur sirf osi amal aur tilsim par nazar rakhta hai jiski bari tarif likhi hoti hai,

Aaj ka mera topic aik aysay he tilsim kay mutalik hai jisay meinay bhi kitab mein parh kar nazar andaz kia tha aur aik aysa wakia pesh aya meray sath jiskay baad iskay lajawab asrat ka kael hogaya aur is tilsim ki jitni tarif ki jae kam hai, woh wakia jo meray sath pesh aya woh aap sab say share karta hon,

Kuch arsa pehlay aik arab shaikh kay voice messages meray whatsapp par bar bar anay lagay mujay arabic nahi aati isliay mein samaj nahi paraha tha kay woh kya keh raha hai, meinay osay english mein text kia kay aap english mein text message karain to osnay reply dia kay no english phir woh call karnay laga jo meinay recieve nahi ki phir dosray din phir calls par calls karnay laga whatsapp par mein busy tha isliay receive na kar saka jispar osnay voice message kia woh message kisi bengali shaks ka tha jisay urdu thek say baat nahi karnay arahi thi lekin mein oski baat ko samaj raha tha, osnay bataya kay woh is arab shaikh kay pas molazmat karta hai yeh arab shaikh kisi maslay ki waja say bohat parayshan hai osay aap ki madad ki zarorat hai lekin woh khud aap say personal baat karna chahata hai aysi baat ho mujay bhi batana nahi chahata, aap please onsay baat karain, meinay osay bataya kay mujay arabic nahi aati aap onko kahain kay google translater kay zariay muj say whatsap par text karain jis say easily mein onsay baat kar sakon ga, os bengali nay os arab shaikh ko google translater ka bataya jis say mera rabta os shaikh say sath hogaya,

Os shaikh nay bataya kay osay aik aurat say shaded muhabat thi osay hasil karnay kay liay osnay aik kitab mein likha amal kia, os amal kay asrat say woh aurat deewano ki tarah shaded muhabat os say karnay lag gai aur jesay jesay din guzartay ghae oski muhabat mein wesay wesay shedat itni barhnay lagi kay har waqat muj par nazar rakhnay lagi kahin bhi jata hon to bar bar phone kar kay pochna, iski isi deewangi say mein bohat khush aur mutamin zindagi guzar raha tha lekin aik ajeeb see bechani aur khof bhi dil mein tha kay kahin koi masla na peda ho aur phir wahi hua jiska dar tha, oski womb mein problem thi jis say woh kabhi pregnant nahi hosakti thi, mujay feel hua kay shayad mujay yeh khuda ki taraf say saza mili hai mujay jadu ki waja say mera pyar mujay mil gaya lekin aulad ki nehmat say mehrom hogaya, meinay khuda say gir gira kar maafi mangi aur nimaz aur ibadat ki taraf dil laga lia, meinay jo amal os aurat par kia osay khatam karana chahata hon woh bone jispar amal kia tha woh jal kar khak hogai lekin iski taseer din ba din barhti jarahi hai woh aurat meray pyar mein pagal see hogai hai, mein dosri shadi karna chahata hon aulad kay liay, meinay jab osay dosri shadi ka kaha to osnay kaha kay agar meinay aysa kia to woh mujay mar kar khud ko bhi mar day gi, mein bohat parayshan hon meinay dunia kay baray baray aamilon say rabtay kiay is amal ko khatam karanay kay liay jo meinay ospar kia tha lekin koi aamil isay khatam nahi kar paraha, meinay aap ki blogsite par wesay he bones ki photos dekhay jo meinay amal mein use ki thi aap ko in bones ka ilm hai bohat isliay aap say rabta kia kay aap meri madad kar sakain is amal ko khatam karnay mein chahae jitna kharcha ho mein denay kay liay taiyar hon,

Meray pochnay par osnay is amal ki puri tafseel batae jo osnay kia tha osnay bataya kay osnay yeh amal aik arabic kitab jiska nam al sehar al ajeeb fe jalab al habib hai os mein parha tha kay kuttay ki bone par tilsim likh kar osay aag mein garam karna tha woh osnay kia to bone jal kar chora chora hogae lekin taseer is amal ki itni barh choki hai kay woh aurat pagal kuttay ki tarah meray pyar mein deewani hogai hai koi jinnati makhlok oskay andar sama ghae hai,

Os shaikh nay jo arabic ki kitab ka bataya woh kitab meray pas urdu mein tarjoma ki hoi rakhi thi yeh amal meinay bhi parha tha lekin isay aam amal samaj kar kabhi isay apnay tajorbat mein nahi laya,

Meinay is shaikh kay amal ko khatam karnay kay liay baray baray amal kiay bohat mehnat ki bohat paisa shaikh ka kharch hua lekin result zero he mila lekin shaikh ka muj par yakin e kamil tha osnay mujay kaha kay mujay aap par ya aap kay ilm par shak nahi lekin hum say kahin koi kasar reh jati hai aap ilm walay hain aap ghor karain kharchay ki parwa nahi karain jo kharch aab tak hua hai os say bhi double don ga meri zindagi aap he sanwar saktay hain,

Yeh baat to meray ilm mein agai thi kay yeh aik khatarnak kisam ka sifli ilm hai jisay noori ilm say kat karnay say mazed shedat is amal mein peda hoti hai jesay patrol ya chemical wali aag mein pani dalnay say aag bojhti nahi mazed bharak jati hai same isitarah noori amal say os aurat mein ghusay ka ansar peda honay laga isliay meinay noori amal fori rok dia, phir meinay tarah tarah kay tilsimat use kiay is amal ko khatam karnay k liay lekin kuch faida nahi horaha tha mujay khud bohat sharmindagi mehsos honay lagi kay itna os arab shaikh nay mujh par bharosa kar kay kharcha kia hai lekin 1% bhi osay meray kisi ilm say faida nahi hasil horaha aur woh bhi himat nahi har raha, meinay kitabon ki dunia say nikal kar khud zati tor par is amal ko khatam karnay par ghor karnay laga aur akhir kar zehan mein is maslay ka hal agaya samaj lekin yeh aik risky kam tha kay kahin koi garbar na hojae,

Meinay is sifli amal ki puri chemistry ko samjha aur osi chemistry kay mutabik ospar amal karnay ki than li yehni sifli amal ko sifli amal say he khatam karna, meinay kalay kuttay ki bone par os shaikh ki wife kay nam kay sath judai ka wazifa aur tilsim likha aur kali billi ki bone par os shaikh ka nam aur judai ka wazifa likha phir in dono bones ko lohay ki wire say lapaet kar aag kay nazdek rakh dia, aik chila yehni 21 days kay doran is amal nay apna asar dikhana shoro kia woh jinnati asrat os aurat mein say nikal ghae woh normal behave karnay lag ghai, palto billi ki tarah ban ghai aur shaikh ki har baat mannay ko taiyar hogai,

Har maslay ka hal nikal ata hai jab insan ghor wa fikar karta hai black dog yehni kala kutta aik sifli nehas jinnati janwar hai jo ahadees e mubarka mein bhi iski nahosat sabit hai kay agar kala kutta kisi nimazi kay samnay say guzar jae to oski nimaz tot jati hai same isitarah kali billi agar kisi ka rasta kat day to os insan par nahosat ajati hai yeh baat to worldwide mashor hai, in dono nehas janwaron ki bones kay amal say jinnat insan mein ajatay hain jo oskay mind ko pura control kar letay hain tabhi insan apnay hosh mein nahi hota na apnay hawas par control kar pata hai, 

black dog aur black cat yeh dono janwar aik dosray kay dushman hain aur aik dosray kay sath bogaz rakhtay hain yeh aik natural baat hai same isitarah in janwaron kay jinnat bhi aik dosray kay mukhalif hain isliay meinay in rohaniat ko samaj kar yeh amal kia jo kamiab raha jo kuttay kay jinnati asrati thay os aurat par osay billi kay jinnati asrat ki waja say nikalna par gaya jesay magnet par aik hisa chopakta hai to dosra hisa mukhalif hota hai jo dhekhelta hai same isitarah cat kay jinnati asrat nay os aurat par say asrat ko dhekhel kar bahir kardia aur woh shedat os aurat mein say khatam hogai,

Yeh Black dog ki bone ka amal bohat he khatarnak kisam ka hai yeh amal koi kisi par na jaiz na karay isliay isay publicaly share nahi kar raha lekin jo ilm walay banday hain jin mein kuch meray students bhi hain woh samaj ghae hongay meri yeh posting parh kar, meri in sab ilm karnay walon say guzarish hai aap yeh ilm jaiz kam mein use karna, galat kam ka nateja humaisha galat melta hai,

Allah pak aap sab ko sada khush wa abad rakhay, ameen,

InshaAllah jald new posting kay sath hazir honga,

Apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga,


                                Ali.

Phone & whatsapp: +92 03003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com


My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman