Pages

Friday, January 19, 2024

Al Jinn Mammon

Mujh say ziada tar woh muhabat kay maray log rabta kartay hain jo pehlay he jahil aamilon kay hathon lot chokay hotay hain woh yeh kehtay hain kay hum nay bohat say aamilon say kam karwaya kisi nay 5 hazar liay kisi nay 10 hazar tu kisi nay 50 hazar tak liay lekin kisi nay humara kam nahi kia aur humara number tak block kardia, kuch aysay scammer fraud log hain jo paisay lenay kay baad jhotay asray day kar phir number block kar detay hain lekin hum sabi ko fraud ya scammer nahi keh saktay kuch ilm walay log bhi hain amliyat ka kam khob jantay hain lekin onka ilm bhi bay asar hojata hai aur in becharon ko bhi fraud ya scammer samaj lia jata hai halakay is mein aamil ya oskay ilm ka fault nahi hota, aamil paisay lekar sachai say kam karta hai lekin result zero aata hai aysa kuo hota hai iskay mutalik aaj mein tafseel say kuch batain share karon ga,

Jistarah aik fever ka mariz doctor kay pas jata hai ilaj kay liay doctor osay mosami ya viral fever samaj kar antibiotics dawai 5 dino ki day deta hai lekin mariz ko koi faida nahi hota in 5 dino mein fever shedat akhtiar kar leta hai aab agar mariz bewakof hoga to yeh samjhay ga kay doctor jahil hai osnay sahi dawai nahi di tabhi mujay kuch bhi shifa nahi mili aur woh dosray doctor kay pas ilaj kay liay chala jae ga jis say oski tabiat bigarti chali jae gi, lekin agar mariz samajdar hua to woh osi doctor kay pas he jae ga aur batae ga kay mujay dawa say koi faida nahi hua aab doctor samaj jae ga kay yeh mosami ya viral fever nahi woh mariz ka test karwae ga aur test say sabit hojae ga kay mariz ko malayria hai aab doctor mariz kay marz ko samaj kar foran oska ilaj kar kay osay thek kar day ga,

Same isitarah jo log muhabat ya shadi kay amliyat karwanay kay liay aamil say rabta kartay hain to aamil bhi pehlay do mehbob ko milanay wala amal karta hai aur osay kehta hai kay itnay waqt mein kam hojae ga lekin waqt guzar jata hai koi asar nahi hota result zero aata hai hisab mein bhi aab os shaks ka yakin os aamil par say khatam hojata hai woh osay fraud ya scammer samaj leta hai kay paisay bhi liay aur kam bhi na kia aur phir woh dosray aamilon kay rabtay mein ajata hai aur mazed paisay barbad karta chala jata hai isi aas mein kay koi to real hoga jo oska kam karay ga meray mehbob ko muj say mila day ga,

Agar woh shaks akalmand hoga to woh har aik angle say apnay maslay ko bhi dekhay ga aur os hisab say aamil ko bhi batain batae ga jis say aamil ko masla samajnay mein asani hogi aur woh amal osi hisab say maslay kay moafik karay ga,


Bewakof Aashiq aur Akalmand Aashiq:

Aab baat kartay hain bewakof aashiq aur akalmand aashiq ki,

Baywakof aashiq woh hota hai jo humaisha isi khyal mein rehta hai kay woh larki muj say sachi muhabat karti thi aab jadu tonay ki waja say juda hogai ya os say nafrat hogai,jadu ki waja say oski muhabat khatam hogai woh humaisha isi khush fehmi mein hota hai kay mein os larki ka mehbob tha halakay haqeqat to yeh hai kay os larki nay osay sirf use kia jhotay pyar ka ferayb kar kay os say paisay liay apni zaroraton ko pura kia jab os larki nay dekha kay yeh aab oski zarorat ko pura nahi kar sakta to osnay dosray shaks say relation bana lia takay woh oski zaroraton ko pura karay, aur woh bewakof aashiq isi guman mein raha kay woh pyar karti thi aab jadu tonay ki waja say badal ghai hai, pehlay larki par paisay barbad kiay aab aamilon kay pechay paisay barbad kar kay mazed zindagi ko kangal kardia,

Aab baat kartay hain akalmand aashiq ki, akalmand aashiq woh hota hai jo samaj jata hai kay larki ka os say pyar nahi woh sirf paison ki waja say relation mein hai lekin woh apnay dil kay hathon majbor hota hai sab kuch bardasht kar kay bhi os say bay intaha pyar karta hai aur iski yahi khuwaish hoti hai kay larki oskay sachay pyar ko samjhay aur osi ki hokar rahae aur woh aysay aamil ki talash mein hota hai jo iska yeh kam karday aur woh aamil ko sab kuch haqeqat aur nature larki ki khol kar bata deta hai jis say aik kamil aamil is maslay ko ba asani samaj kar oska kam kardeta hai, agar aamil jahil hoga to do mehbob ko milanay wala lovers wala amal karay ga halankay yahan to sirf lover aik hai larki jhota pyar kar rahi hai paison kay matlab ki waja say lover to na woh hai na os larkay ko apna lover samajti hai, do mehbob ko milanay wala amal ya lover wala amal kabhi bhi asar nahi karay ga, aamil ki mehnat aur os shaks ka paisa zaya hojae ga, lekin agar aamil kamil hoga to woh mehbob wala amal nahi woh jinnati amal karay ga, yehni koi mukhfi kowat os larki ko is larkay ki taraf mael karay, othtay bethtay, sotay jagtay bas har waqat koi an dekhi kowat is larkay ki soch os larki kay zehan mein dalti rahae, 

Agar woh dono pehlay he say sachay mehbob reh chokay hain to yeh jinnati amal os mehbob ko nafsiati zehni mariz ya pagal bana day ga, isliay yeh jinnati amal sirf shaitani larkio par kia jata hai jo apni zati zaroraton ko pura karnay kay liay larkon ko jhotay feraybi pyar kay jaal mein phansati hain,


Shaitani Larkia:

Shaitani larkia aaj kal har jaga social media say lekar public palace, park, shopping mall, school, college aur university mein virus ki tarah mojod hain jo kisi bhi shaks ko viral kardeti hain apnay hosan pyar bhari bataon aur khulus say, woh bari trained ki hoti hain kay kistarah ki nature kay shaks kay sath kistarah baat ki jae, oskay sath ya to oski maa ka sath hota hai ya behan ka ya dost ka, kuch ka group hota hai jo aksar beauti parlor jesi jagahon say shoro hota hai aur kuch tanha hoti hain kuch to married bhi hoti hain aur onka shohar onka sath deta hai, 

Yeh shaitani larkia itni khatarnak hoti hain kay deemak ki tarah ahista ahista banday ko financially aur mentally mafloj kardeti hain, jab dekhti hain kay woh shaks aab oski zaroraton ko pura karnay kay kabil nahi raha to aysa mahol peda kar deti hain takay os shaks say oski jan chot jae, woh shaks kabhi is baat ko mannay kay liay taiyar nahi hota kay os larki nay ferayb kia woh is khush fehmi mein hota hai kay os larki nay sacha pyar kia meri khud ki galti ki waja say ya beech kay logon kay behkaway mein akar relation ko kharab kardia woh aab bhi pyar karti hogi sahi hojae gi, woh oska wait karta rehta hai aur woh larki dosray shaks say ayashia kar rahi hoti hai,

Pakistan mein barhti mehangai ki waja say aaj kal sharif gharanay ki middle class larkia bhi shaitani ban ghae hain, dosri larkio ki luxury personality dekh kar khud bhi luxury life jena chahati hain apna behtar say behtar future banana chahati hain, kuch ko apni shadi kay jahaz ki fikar lagi hoti hai aur koi dosra zaria nahi hota jis say jahaz kay liay paisay jamah hon isliay yeh shaitani kam karti hain,

Yeh larkia hasad, hirs aur lalach ki aag mein humaisha jalti rehti hain, jo log in shiateen larkio ko apna mehbob samaj kar muhabat kay amliyat karwatay hain onkay kam kabhi nahi hotay, in larkio par jinnati amliyat kiay jatay hain tabhi yeh rah e raast par aati hain,


Jinnati Amliyat:

Jinnati Amliyat kay topic par agar baat karain to jinnati amliyat kai aksam kay hotay hain aur aik kamil aamil jinnat ki nature aur oski mukhfi chemistry ko samaj kar amal karta hai, aaj mein baat karta hon Mammon jinn aur oskay amliyat ki,

Mammon jinn ka taluk hirs, hawas aur lalch say hai, oska taluk zohal sitaray yehni planet saturn say hai, oska maksos din hafta yehni saturday hai, ilm e ramal mein shikal kabz kharij say iska taluk hai aur tarot cards mein devil card is say mansob hai, 

Shaitani larkio kay andar yahi jinn hota hai jo onkay zehan ko pura control karlia hota hai aur in larkio ko luxury life kay khoab dikhata rehta hai aur ideas onkay zehano mein dalta rehta hai aur woh larki hirs, lalach wa hawas ki aag mein har waqat jalti rehti hai, 

Mammon jinn kay amal karnay say yahi jinn os larki ko os larkay kay khoab dikhanay lag jata hai aur os larki ko pura os larkay ki taraf mael kardeta hai,


Mammon Jinn kay Amliyat:

Mammon jinn kay amliyat arabic ki qadeem books mein likhay hotay hain lekin onko is andaz mein likha jata hai kay har koi amal na kar sakay jo aamil hai wahi karay yehni mammon ka jo wazifa hota hai os mein kuch aysay words dal detay hain jiski meaning kuch samaj nahi aati ya naksh mein aysay words dal detay hain jis say naqsh samaj mein nahi asakta, aik kamil aamil he mammon jinn ki nature ko samaj kar amal karta hai aur osay kamiabi milti hai, mammon jinn ka amal bohat khatarnak hota hai amal mein galti hojanay say sakht rejat par jati hai jis say amal karnay wala financially aur mentally mafloj hojata hai isliay bina ustad kay books parh kar iska amal kabhi nahi karna chahehai, 

Mammon ka amal on logon par fori asar karta hai jo aatishi mizaj kay hon jinkay star ka element fire ho jinkay nam mein aalif, laam, ayin, sheen, nun, meem, ye ho,Mammon jinn kay amliyat nam kay horof say mansob aap mujh say rabta kar kay malum kar saktay hain,

Mammon jinn kay amliyat sabhi aag par kiay jatay hain jo 3 kisam kay hotay hain low, medium aur high, jo sab say high kisam ka amal hota hai os mein bohat mehnat aur kharcha hota hai aur yeh amal fori asar karta hai, jo medium hota hai yeh 21 days tak lagatar amal kia jata hai, jo low hota hai yeh chotay totkay hotay hain, 

Aik low kisam ka amal mein yahan share kar raha hon,

Is amal kay liay aysay volcanic stone ki zarorat parti hai jispar jinnat jesa face bana ho aur naturally os stone par sigil yehni tilsim bana ho aur os stone mein naturally hole bhi ho

Jab aysa stone mil jata hai to black marker pen say os qudrati sigil ya tilsim ko wazay kar kay likha jata hai aur ankhon ki jaga par red marker pen say nishan laga diay jatay hain, oskay baad aik maksos amal karnay kay baad black kapray ka tokra jispar mammon jinnat ki taskheer ka amal likha hota hota hai woh stone par lapaet dia jata hai,

Black kapra lapaetnay kay baad is stone ko iron kay aik sanchay mein rakha jata hai, 


Iron kay sanchay mein rakhnay kay baad isay tortoise shell kay opar rakha jata hai yeh janwar is jinnat say mansob hai aur isay iski sawari kaha jata hai,


Yeh sab mammon jinnat ka setup karnay kay baad 7 tilsim jo mammon jinn say mansob hai red marker pen say likhay jatay hain aur har tilsim par 3 danay kali mirch kay aur 3 danay dhania kay rakhay jatay hain, yeh sab amal saturday kay din saturday ki saet mein kiay jatay hain,


In 7 tilsimat ko bari bari aag par jalaya jata hai aur Mammon jinnat ki taskheer ka wazifa parha jata hai,


Is stone par banay qudrati hole mein in 7 tilsimat ki ashes yehni raakh dal kar isay mom yehni wax say band kar kay is stone ko abadi say dor pahari ilakay mein jahan azaan ki awaz na jati ho aur koi aysa cave ho jahan dhop na jati ho har waqat wahan andhera ho wahan is stone ko rakha jata hai aur aik kali murgi zibah kar kay wahan rakh di jati hai,

Is amal ko karnay kay baad 21 days kay andar os shaks par mammon jinnat kay asrat ajatay hain aur othtay bethtay sotay jagtay bas osi kay khyalat, osi kay khoab anay lag jatay hain jo is amal kay zariay os shaks ko wapis apni life mein lana chahata ho, jab tak os stone ko wahan say hata kar pani mein na bahaya jae yeh asrat os shaks par humaisha rehtay hain, 

Yeh amal koi na jaiz kisi par na karay isliay isay meinay detail mein nahi likha, jo parayshan aur majbor hain woh muj say rabta kar kay is amal ki detail muj say malum kar saktay hain,

Yan Agar apko Mammon jinn ka amal kisi par karwana hoto mujh say rabta kar kay yeh amal aap karwa saktay hain,

Call & Whatsapp: +92 3003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

InshAllah jald new posting kay sath hazir honga,

Apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga,

                                       Ali.