Pages

Tuesday, February 27, 2024

Al Jinn Paimon

Mahir Alom e Mukhfiat yehni aamil woh shaks hota hai jisay sabhi mukhfi alom par abhor hasil hota hai woh makhfi alom noori hon ya qurani, sifli hon ya shaitani sabhi kisam kay alom ki osay jankari hasil hoti hai, jo masael jis ilm kay sath mansob hota hai woh wahi ilm use kar kay os maslay ko thek karta hai, woh dono kowaton noori aur sifli ko balance mein rakh kar kam karta hai, jahan noori ilm ki zarorat pari wahan woh noori kam karay ga, jahan sifli ilm ki zarorat pari wahan sifli kam karay ga, wahi shaks aamil kamil hai jo dono kowaton ko balance mein rakh kar kam karay,

Lekin kuch mazhabi shedat passand log aysay hain jo sifli kam ko galat samajtay hain jiski waja say woh kai aham rohani masael ko hal nahi kar patay khud apni kam ilmi ki waja say maslay ko mazed bigar detay hain,aysay konsay masael hain jo noori rehmani ya qurani dam darood say hal nahi hosaktay woh masael kuch yeh hain,

Larka aur larki apas mein shadeed muhabat kartay hain aur kai saalon say woh relation mein rahae hain aur physical bhi hotay rahai hain bina nikah kiay apnay ghar walon say chop kar husband wife jesa rishta rakha hua hota hai, woh dono nikah aur shadi karna chahatay hain lekin onkay ghar walay onko accept nahi kartay jiski kae wajohat hoti hain jesay cast ya zaat ka masla, kay hum syed hain syedon mein he rishta karay ghay ziban ya lasani masla kay hum sindhi ya punjabi gharanay mein he shadi karwae ghay wagayra,

Aab woh larka aur larki aysay aamil ki talash mein hotay hain jo aysa amal karay jis say onkay waldain shadi kay liay razi hojae, aab agar yeh aysay peer say rabta karay jo noori rehmani ya qurani ayaat say kam karta hoto woh peer agar kamil hoga to yeh masla kabhi bhi noori ya qurani ayaat say hal nahi karay ga lekin agar peer jahil hoga to qurani ayaat ka tawez bana kar day ga onko takay onkay ghar walay man jae onki shaadi hojae, aab woh qurani tawez onpar aysi sakht rejat dalay ga jis say larkay aur larki kay darmian larai jhagray shoro hojae ghay aur nafrat judai on mein hojae gi,

Akhir kis waja say qurani tawez say sakht rejat peda hoi? is sawal ka jawab yeh hai kay larka aur larki kai saalon say bina nikah kiay zina par zina kartay rahai hain aur aysa koi rehmani wazifa nahi, aysi koi qurani ayaat nahi, aysa koi dam darood nahi jo do zina karnay walay zanion ko apas mein mila day, 

Peer ko jab malum ho kay woh apas mein physical hotay rehtay hain oskay baad bhi qurani tawez dena os peer ki kam ilmi aur jahil pan ko zahir karta hai, aysay kael masael ko inhi peeron nay kam ilmi ki waja say mazed kharab kiay hain, woh itni bhi sense nahi rakhtay kay pak noori kowatain kistarah do napak zanion ko apas mein mila day gi, zina jo bara gunnah hai jiski shariat mein saza mot hai aysi mot jis mein shaitan ko kankaria marnay jesa he amal kia jata hai pathar mar mar kar sangsar kardena,

Aaj kal kay dor mein do mehbob ka apas mein physical hona aik aam baat hogai hai aur on mein kuch mehbob samajdar hotay hain aur sifli kam karnay walay aamilon say rabta kar kay apna masla hal karwatay hain lekin kuch na samaj mehbob log sifli kamo ko galat samaj kar qurani kam karnay walay peeron say rabta kartay hain jiska result onko olta he milta hai woh peer ka dia qurani tawez galay mein pehan kar zina par zina kar rahae hotay hain aur sakht rejat ka shikar hojatay hain,


Sifli Jinnati Log:

Sifli Amliyat karnay walay aamilon ka wasta har waqt aalam e sifil ki kowaton aur jinnat say parta rehta hai aur aysay sifli aur jinnati log bhi hotay hain jo in aamilon kay rabtay mein ajatay hain,

Meray pas bhi aik jinnati shaks australia say milnay aya jo bohat genius tha osnay kai uljhay sawalat muj say pochay jinka meinay osay tasali baksh jawab dia woh muj say bohat mutasir hoa phir woh jinnat kay topic par muj say baat karnay laga, batain kartay kartay achanak osnay kaha kay ali bhai aap nay kaha kay jinnat insani shikal aur jism rakhtay hain lekin insan nahi hotay kya koi aysa insan hai jo jinnat jesa ho lekin jinn na ho insan he ho? agar mein aap ko yeh kahon kay mein jinn hon to kya aap muj par yakin karay ghay? meinay osay jawab dia kay mein zaror aap par yakin karo ga agar mujay aap mein jinnat ki koi ilamat nazar ai to, osnay kaha kay ali bhai aap mujay ghor say dekho aap ko muj mein kya jinnat ki ilamat nazar aati hai, meinay osay ghor say dekha woh aik hasmukh khush shikal achi nature ka suljha hua mentally aur physically healthy shaks tha mujay os mein koi jinnati ilamat nazar nahi ai, woh muskara kar kehnay laga kay ali bhai aap mujay ilmi rohani nazar say dekh rahai hain isliay aap ko muj mein koi bhi jinnati ilamat nazar nahi arahi, mein aap ko batana chahon ga kay mein rohani nahi jismani tor par jinnat hon, jo aap mera jism dekh rahai ho yeh zahiri kuch aur hai andoroni kuch aur hai, mein oski baat ko samaj nahi paya jispar osnay khol kar sab bataya kay jismani tor par woh mard nazar ata hai lekin woh andar say aurat hai, osnay kaha kay ali bhai aysa meray sath hua hai kay jesay kisi aurat ko mard kay jism ka khol pehna dia gaya ho, yeh raaz aaj pehli bar aap ko bataya yeh na to meray maa baap ko malum hai, na bhai behan ko, na kisi rishtaydar ko, na kisi dost ko, woh sab mujay normally male he samajtay hain lekin mein female hon, qudrat nay meray sath ajeeb mazak kia hai mein bachpan say he kafi zehani disturb raha hon, deen aur mazhab kay hawalay say bhi kai sawalat zehan mein atay hain jinkay jawabat mujay kahin say nahi miltay jis say zehan mazed uljh jata hai, mein aab jawan hogaya hon, achi job karta hon meray ghar walay meri shaadi karwana chahatay hain woh aik say aik achi larki mujay dikhatay hain, jo khud larki ho osay dosri larki kay sath kistarah feelings asakti hain? aik say aik haseen khubsurat larki meray samnay ajae mujay kuch feel nhi hoga lekin agar koi handsome larka samnay ajae to feelings ana shoro hojae gi, yeh meri body ka genetic problem hai jisay mein bachpan say lekar aab tak bardasht karta aya hon aur mein khud ko jinn jesa he samajta hon kuo kay mein normal insan jesa nahi meray andar female jinn hai, osnay kaha kay meray kuch masael hain jinka hal sirf sifli amliyat mein hai isliay meinay aap say rabta kia takay aap meri madad karain,

Aysay kai insan dunia mein hain jo sifli hain kuch zahiri aur kuch batni, zahiri to onki apni harkaton aur kamon say zahir hojata hai lekin batni is australia walay shaks ki tarah hotay hain jo is raaz ko chopae rakhtay hain,


Sifli Amliyat:

Sifli Amliyat say masael ka hal on logon kay liay kia jata hai jo aalam e sifil mein apnay kamo ki waja say dakhil ho chokay hotay hain ya naturally woh sifili hotay hain, in logon kay masael aalam e sifil ki mukhfi kowaton jesay jinnat wagayra ko taskheer kar kay onkay zariay masael ko hal kia jata hai,

Meinay apni pichli posting mein mammon jinnat kay mutalik likha tha jo hirs,lalach aur hawas ka jinnat hai jo larkion par attack kar kay onko sifli bana deta hai aur sifli amal kar kay in sifili larkio ko rah e raast par lanay kay liay mammon jinnat ki taskheer ka amal kia jata hai,

Mammon jinn ki tarah he aik aur aalam e sifil ka jinn hai jisay Paimon jinn kaha jata hai, yeh saudagar jinn hai aur aamil os say aik kisam ka suda ya deal karta hai, jab aamil is paimon jinn say deal karta hai to woh jinn aamil ka kam kar deta hai aur kabhi woh aamil ki deal say na khush hota hai to aamil ka koi kam nahi hota jis say aamil ki mehnat aur paisa barbad hojata hai aur aamil ka client bhi aamil ko mashkok nazar say dekhnay lagta hai kay paisay bhi liay kam bhi na kia kahin yeh jali fraud aamil to nahi,

Is mamlay mein aamil ka ya oskay ilm ka fault nahi hota woh mukhfi kowatay aysi kisi rohani wajohat ki waja say os aamil kay client say na khush hoti hain, agar yeh mukhfi kowatay sabhi clients ka khushi khushi kam karain to aamil os jinn kay zariay sabhi kay masael hal kar kay apni country ka president ban jae, yeh jinnat kisi ka kam foran kar detay hain aur kisi ka nahi bhi kartay,


Paimon Jinnat:

Paimon aik raygistani jinn hai jo insani abadi say dor veeran sahra ya desert mein hota hai aur yeh mammon jinn ki tarah insano par attack nahi karta, camel janwar os say mansob hai aur yeh camel par sawar desert mein din aur raat chalta rehta hai, din kay waqt iska face mard jesa hota hai aur raat mein iska face aurat jesa ban jata hai, kuch olma e mukhfiat osay mard jinn kehtay hain aur kuch aurat batatay hain lekin sahi haqeqat kisi ko malum na hosaki kay woh mard hai ya aurat kuo kay osay dono jins mein dekha gaya hai, raygistan aur sahra mein rehnay walay mahir alom e mukhfiat ko is jinnat kay mutalik khob jankari hasil hoti hai, islam say pehlay arab kay log is jinn ko devta samaj kar pujatay thay aur oskay baray baray mandir banay thay jiskay aaj bhi nishanat saudi arabia mein hain,

Saudi arabia kay aik veeran raygistani ilakay mein archeology team ko wahan is jinn ka qadeem mandir mila jahan peetal kay camel banay tilsim milay hain, India kay rajisthan mein aaj bhi is jinnat ki puja hoti hai aur Pakistan mein thar kay raygistani log iski puja kartay hain aur oskay statues banatay hain jis mein aik aurat talwar othae camel par sawar dikhai jati hai,

800 years qadeem arabic ki aik kitab spain mein mili hai jis mein 72 jinnat kay mutalik information di gai hai, is kitab ka english tarjoma mahir alom e mukhfiat Nineveh Shadrach nay kia hai aur is english book ka nam The book of deadly names rakha hai, is book mein bhi paimon jinn kay mutalik likha hai aur oska arabic nam Al zubdah hai aur yeh likha hai kay os jinnat ka jism aur face har waqat pegalta yehni melt hota rehta hai kabhi yeh mard jesa ban jata hai kabhi aurat jesa aur yeh har waqat camel par sawar rehta hai,

Qadeem Europe kay mahir alom e mukhfiat logon nay bhi is jinnat par kai books likhi hain aur isay english mein demon king paimon kaha jata hai,


Paimon Jinn kay Amliyat:

Paimon jinn kay amliyat camel ki maksos bones par kiay jatay hain, abadi say dor raygistan mein jahan azaan ki awaz na jati ho wahan camel kay skeleton par paimon jinnat ka basera hota hai, chand ki 14th date ki raat camel kay skeleton ko dor say dekhnay par oski aik maksos bone white chamakti hoi dikhae deti hai, is bone par chand ki roshni reflect karti hai jiski waja say yeh chamakti hoi dikhae deti hai, yeh ainay jesi chamakdar bone jo chand ki roshni ko reflect karti hai woh camel ki scapula bone yehni shanay ki hadi hoti hai, yahi woh khas bone hoti hai jispar paimon jinnat ki taskher ka amal kia jata hai, dosri khas bone suba kay waqat hasil ki jati hai, yeh bone dosri bones say muktalif saaf suthri aur safed nazar aati hai, yeh lucky bone hoti hai isay ghar ya shop mein rakhnay say ghar aur shop mein khushali aati hai, iski keel bana kar ghar ya shop mein laganay say ghar aur shop jadu kay asrat say mehfoz rehta hai aur yeh keel muhabat kay amliyat mein bhi use ki jati hai,

Paimon jinnat ki taskheer kay amal kay liay camel kay shanay ki hadi par maksos tilsim khas waqat par likhay jatay hain aur center ka hisa blank rakha jata hai, iskay baad aag jala kar bone ko aysi jaga rakha jata hai jahan aag bone kay pechay ho aur aag ki reflection bone par paray aur woh khali jaga bone ki roshan nazar ay, is khali roshan jaga par paimon jinnat ki hazri hoti hai, is khali jaga mein mard ya aurat ka face dikhai deta hai ya phir ajeeb symbols banay nazar atay hain jinko note karlia jata hai,

Bone kay agay rayt rakhi jati hai aur sans rok kar finger say rayt par dots banae jatay hain jis say ilm ramal ki figure hasil ki jati hai, is say malum hojata hai kay paimon jinnat is maslay ko hal karnay kay liay kya deal krna chahata hai, ilm ramal ki figure aur bone par banay symbols say malum hojata honay kay baad woh khas ingredients camel kay skeleton kay pas raat kay waqat rakhi jati hain aur shanay ki bone ko bhi wapis osi jaga par rakh dia jata hai, yeh sab karnay kay baad woh masael kuch he dino mein thek hona shoro hojatay hain, agar maslay thek nahi hotay to camel kay skeleton kay pas jakar dekhnay par woh chezain sab wesi ki wesi pari milti hain iska matlab paimon jinnat nay onko accept nahi kia, iski kya wajohat ho sakti hain woh malum nahi hosakta, dobara yeh amal karna khatarnak hota hai isliay is amal ko tark kar kay dosra amal kia jata hai jo paimon jinnat say mansob nahi hota,

Meinay kai logon kay oljhay masael paimon jinnat kay amliyat say hal kiay hain kuch logon kay kam fori hojatay hain aur kuch logon kay kam dayr say hotay hain aur kuch logon kay kam nahi bhi hotay, jinkay kam nahi hotay to dosray jinnat ki taskher say is maslay ko hal kardeta hon,

Paimon jinn aik azad jinn hai aur yeh kisi bhi aamil kay na kabzay mein asakta hai aur na koi aamil ospar koi hukom chala sakta hai na he osay paband kar sakta hai, oskay sath sirf deal ki jasakti hai, agar koi aamil oski deal mein bayemani karta hai ya kanjosi karta hai jesay deal kalay bakray denay ki hoi aur aamil nay kali murgi di to yeh aamil par sakt rejat dalta hai jis say aamil logon kay masael hal nahi kar pata woh apnay he zati masael mein oljh kar reh jata hai,

Paimon jinnat kay kai amliyat aur oskay fawaid beshumar hain jo mein yahan sab kay sab share nahi kar sakta meri post kafi lambi hojati hai, aaj kay liay bas itna he, mazed agar aap ko is jinnat kay mutalik malumat hasil karni hoto aap muj say whatsap par message kar kay malumat hasil kar saktay hain ya iska amal muj say karwana hoto muj say rabta kar kay iska amal muj say karwa saktay hain,

Apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga,

Phone & Whatsapp: +923003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com


                                   Ali.