Pages

Monday, November 26, 2012

ilm Al-Kat Bini (Scapulimancy)

Ilm Al-Kat Bini ya Fal e Kat aak qadeem rohani ilm hai, is ilm mein Bakray kay Shanay ki hadi(scapula or shoulder bone) kay zariay istakhara kia jata hai, yeh ilm bohat he qadeem hai lekin hayrat ki baat hai kay is ilm par aaj tak kisi nay tafseli koi book nahi likhi jistarah aur kai istakharay kay oloom par books likhi ja choki hain in oloom mein ilm najom, ilm ramal, ilm aadad, ilm horof wagayra hain iski waja yeh hai kay ilm kat bini on rohani oloom ki list mein shamil hai jo share nahi kiay jatay har kisi say sirf khas al-khas logon say share kiay jatay hain aur yeh ilm seena ba seena muntakil hota aya hai, aaj kay is scientific dor mein jahan logon ka zehan scientific hota jaraha hai wahan rohaniat logon mein khatam hoti jarahi hai, jo poranay bozrog aur olma e rohaniat thay woh rohani oloom ko apnay sath he qabar mein lay ghay aur onki aulad nay koi dilchaspi rohaniat mein nahi dikhai aur aaj kal har jaga yahi hal hai nai peeri ya nai nasal scientific soch rakhti hai isi waja say rohani qadeem oloom dunia say fana horahai hain, ilm kat bini say aaj kal bohat he kam log wakif hain aur jo wakif hain woh is ilm ko share karna kisi say passand nahi kartay iski kai wajohat hain sab say pehli bari waja humaray mashray mein kai kam akal log aysay hain jo istarah kay ilm ko kala jaadu ka nam detay hain aur is ilm ko use karnay walay ko kala jadugar samaj kar nafrat kartay hain, agar koi shanay ki hadi mein istakhara karta koi shaks dikhai day to kehnay lagtay hain tooba istakhfar yeh to kala jaadu kar raha hai, dosri bari waja jali aamil aur fake log hain jinkay pas koi ilm nahi hota logon ko fool banatay hain aur media walay kai aysay jaali logon ko pakar kar t.v mein dikhatay hain aur kai logon ka rohaniat aur rohani oloom say yakin oth sa jata hai aur woh sabi ko aak jesay he samajnay lagtay hain aur jo ilm walay log hain onko bhi shak ki nazar say dekha jata hai isi waja say rohani oloom ko mokhfi rakha jata hai takay kam akal, jahil, na ahal logon kay pas yeh muqadas ilm na chala jay jo ilm ko kharab kar detay hain kala jaadu keh kar.
Mein apnay is blog mein ilm kat bini kay mutalik kafi kuch share karon ga aur meri yahi koshish rehti hai kay dunia say fana hotay har rohani oloom ko isitarah aap sab say share karta rahon, mein aab yahan ilm kat bini kay mutalik kuch history share karta hon,

Arabs mein yeh ilm kistarah aya oskay mutalik kuch muktasir detail share karta hon:
Yeh ilm bani israel kay zariay arabs mein aya iski tarik kuch istarah hai:
Ibn Abas(r) farmatay hain kay bani israel mein aak maldar aadmi tha jo zaef borha hochoka tha oski aulad na thi magar bhatejay thay woh jaidad ki lalach mein oski mot kay talabgar thay, oskay aak bhatejay nay osay raat kay waqat katal kar kay lash rastay par dal di, jab suba hoi to dosray bhatejay aak dosray say larnay lag gaya aur har koi dosray ko shak ki nazar say dekhnay laga aur jhagray fasad on mein shoro hogay, akhir kar aak bhateja apnay chacha kay katal ka mamla hazrat Mosa(a.s) kay pas lay gaya aur kaha kay aap(a.s) he humay bata day kay hum mein katil kon hai, Jab hazrat Mosa(a.s) nay Allah pak say is baray mein dariaft kia to hokam mila kay Aap(a.s) onko kahain kay woh aak cow ko zebah karain, jab hazrat mosa(a.s) nay onhai cow ko zibah karnay ka kaha to woh kehnay lagay kay aap to mazak kar rahai hain hum ay thay katil ka pochnay aur aap cow ko zebah karnay ki baat kar rahai hain, aap(a.s) to paygambar hain foran katil ka nam khuda say poch kar humay bata saktay hain yeh cow ka mamla beech mein kahan say agaya kay pehlay hum isay zibah karain phir aap katil ka nam batao gay humay aap ki yeh baat samaj nahi ai, hum parayshan hain bohat humaray khandan mein fasad jhagray shoro hogay hain hum ay thay aap(a.s) kay pas madad kay liay magar aab hum na umeed hogay hain, 
Hazrat mosa(a.s) nay farmaya: mein Allah pak ki panah chahata hon kay mein jahilon mein say hojaon jis baat ki tum wazahat chahatay hoto Allah pak say pochnay par mujay yahi jawab mila hai. 

On logon nay cow kay zibah kay amal ko nazar andaz kardia aur chalay ghay lekin onkay kabael mein jab fasad had say ziada barhnay lagay dolat aur jaidad ko lekar to woh dobara hazrat mosa(a.s) kay pas ghay aur kaha kay hum is baat say raazi hain hum cow ko zebah karay gay lekin cow kesi honi chahehai?? is sawal kay jawab mein hazrat mosa(a.s) nay farmaya tum log meri baat pehlay man letay mazak na samajtay to tum logon ka kam hojata magar aab khuda nay aysi cow ko zebah karnay ka hokam dia hai jo darmiani omar ki ho na choti omar ki ho na ziada borhi ho, rang oska gehra zard sorkhi mael ho jisay dekhnay walay khushi mehsos karain, woh cow kam mein lagi hui na ho na zameen par hal chalati ho na he khayti mein sayrab karti ho, ayb say pak ho, os mein koi dag na ho, on logon nay bohat talash kia lekin onko aysi khas cow nahi mil saki aur woh phir hazrat mosa(a.s) kay pas ay to aap(a.s) nay onko bataya kay aysi cow aak gareeb shaks kay pas hai woh log os shaks kay pas ghay magar osnay denay say inkar kardia akhir kar cow kay wazan kay barabar sona lekar osnay woh cow onko day di, hazrat mosa(a.s) kay kehnay par osay zibah kia aur phir osay jalaya gaya aur hazrat mosa(a.s) nay os cow ki ran say lagi naram hadi ko onkay chacha ki lash par lagaya to woh zinda hogaya aur katil ka nam bata kar phir morda hogaya istarah onka yeh masla hal hogaya.
Kuch olma e rohaniat kay mutabik woh naram hadi shanay ki thi aur hazrat mosa(a.s) nay os hadi ko lash par phayr kar os hadi say istakhara kia aur katil ka nam bataya etc, yeh ilm os waqat Hazrat Mosa(a.s) par nazil hoa jistarah aur oloom kai paygambaron par onkay dor mein nazil hoay thay jiskay mutalik meinay history of ilm e ramal mein bayan kia hai, 

Hazrat mosa(a.s) nay apnay tamam rohani oloom kay raaz sirf apnay bhai hazrat Haroon(a.s) say share kiay aur onko kaha kay yeh oloom tum sirf apni aulad tak he rakhna, hazrat mosa(a.s) kay baad bani israel mein jo priest thay woh hazrat Haroon(a.s) ki aulad mein say he thay, priest kay pas jab bhi koi log apna masla lekar atay to priest onko janwar ki qurbani ka kehtay thay aur cow, bakray ya sheep ko misbah(altar) par jala detay thay aur shanay ki hadi mein os banday kay halat dekh kar osay advise detay thay, jab yeh ilm arab mein aya to arab kay log bakray ko Allah kay nam par zibah kar kay gosht gareebon mein bant kar is hadi say istakhara kartay thay aur yeh tarika best hai, sawab bhi milta hai, gareebon ki dua bhi aur mamlat bhi hal hojatay hain.

Ilm Kat bini kay tarikay kar 2 tarah kay hotay hain aak ko "ilm kat ba al-nar" aur dosray ko "ilm kat ba al-shams" mein dono tarikon kay mutalik yahan share karta hon:

* ILM KAT BA AL-NAR: 
ilm kat ba al-nar iska matlab hai hadi ko aag mein garam kar kay istakhara karna, yeh tarika ziada tar bani israel kay log aur china mein kartay thay, bani israel qurbani walay janwar cow, sheep ya bakray ko zibah kar kay misbah ya sacred alter par janwar ko pura jala detay thay aur shanay ki hadi par jalnay say banay cracks ko parh kar istakhara kartay thay, same yahi tarika qadeem china mein bhi log kartay thay woh hadi ko garam kar kay cracks daltay ya phir koi metal rod ko garam kar kay os say bone par hole kar kay cracks daltay thay, bani israel kay log to cracks ko palmistry ki tarah parhtay thay jesay aak palmist ko har kisi kay haath ki lakeeray parhni aati hai aur osay hand ka map samajnay ka ilm hota hai same isitarah bani israel kay logon ko hadi ka map malum hota tha aur cracks say bannay wali lakeeron ko dekh kar woh istakhara kartay thay,

Ancient china ka tarika alag tha woh positive aur negative statement bone par likhtay thay jesay barish hogi, barish nahi hogi, jang hogi, jang nahi hogi, shaadi hogi, shaadi nahi hogi wagayra istarah dono postive aur negative statement likhay hotay aur istakhara karnay wala dono statements ba awaz zor say king kay samnay parh kar garam rod bone par lagata jata jis statement par crack parta osi par yakin kar lia jata aur aksar aysa he hota tha, ancient china kay kings ko is ilm par bohat yakin tha, kafi hazaron ki tadad mein archeologist ko aysi bones china mein mili hain in bones ko "oracle bone" kehtay hain,
Yeh 2 small oracle bone ki replicas hain jo mujay aak friend nay gift mein di thi in par goodluck kay chinese symbols banay hain.

* ILM KAT BA  AL-SHAMS:
Ilm kat bal al-shams iska matlab hadi ko suraj ki taraf kar kay oski roshni mein dekhna, yeh tarika ziada tar Arab kay log kartay thay, iska qadeem tarika yeh hai kay raat mein kamar zaid al-noor kay okaton mein jab chand ki roshni tez ho os waqat bakra zibah kia jay, bakra zibah karnay wala aur istakhara karnay wala aur karwanay wala pak saaf ba wazo hon aur bakray ko zibah nehar ya daria kay kinaray par kia jay takay oska khoon pani mein beh jay, oskay baad
shanay ki hadi ko ahtiat say nikala jay istarah kay na woh totay na os par koi scratch ay, baqi bakray ka meat sab ka sab gareeb, miskeen ya fakiron mein bant dia jay, hadi ko achi tarah pak saaf kar kay osay amal e tanjim kia jay yehni chand ki roshni mein sari raat para rehnay dia jay, phir suba ko suraj ki taraf kar kay suraj ki roshni mein istakhara kia jay, suraj ki taraf hadi ko kar kay dekhnay say woh transparent see dikhai deti hai aur os mein dhabay, nishan, lakeeray aur istarah ki kai ilamatay aur symbols bannay nazar atay hain inhe ko parh kar istakhara kia jata hai, hadi par agar red colour kay dhabay aur nishan ziada hon to iska matlab kay banda jo sawali hai os par kafi saktia hain, dushman oskay bohat hain jo osay noksan pohanchana chahatay hain, hadi par aak map sa hota hai 12 houses jistarah najom mein hotay hain wesay is bone par bhi hotay hain, agar red nishan hadi kay maksos hisay jo sawali kay relatives say mansob hota hai os par hon to iska matlab kay oski family mein koi oska dushman hai, isitarah hadi ka maksos hisa jo safar kay mutalik hota hai os mein red nishan ya dhaba hoto oska safar mein kahin hadsa pesh asakta hai wagayra, isi system say kai sawalat kay jawabat mil jatay hain, agar bone par black dhabay hon yeh bhi manhos hotay hain, sawali par jaadu ya boray asrat hotay hain, isitarah agar hadi naturally kharab see niklay yeh bhi achi ilamat nahi hoti sawali ki jan ko khatra hota hai, agar hadi achi condition mein naturally saaf see niklay yeh achi ilamat mani jati hai, isitarah lakeeray, nishanat aur bhi kai cheezay dekhi jati hain jistarah palmistry mein haath mein lakeeray aur symbols dekhtay jatay hain wagayra, 
Pakistan mein jahan ilm e ramal sobay Sindh mein qadeem zamanay say raha hai same isitarah sobay Balochistan mein ilm kat bini zamana e qadeem say wahan hai aur aaj bhi kai log wahan is ilm kay mahir hain jo shanay ki hadi kay zariay kafi kuch halat bata saktay hain, Nawab Akber khan bugti bhi ilm kat bini kay mahir thay, onhonay kafi predictions is ilm kay zariay ki yahan tak kay apni death ka bhi onhonay pehlay he sab kuch is ilm kay zariay malum karlia tha aur sab ko bata dia tha, mein yahan aak video clip Nawab akber khan bugti ka aak din geo kay sath wala share kar raha hon:
 

Aur aak dosra nayab video clip share kar raha hon jis mein aak baloch bozrog ilm kat bini kay zariay halat bata raha hai:
  

MY SCAPULIMANCY DIVINATION & RITUAL:  
Scapulimancy yehni ilm kat bini mujay bohat passand hai, meinay is ilm par kafi research ki hai aur kafi seekha hai, meinay jo tehkek ki hai oskay mutabik Eid ul-azha kay din qurbani kiay bakray kay shanay ki hadi bohat asar wali hoti hai, qurbani wala bakra bhi sahi age ka hota hai, bay ayb hota hai aur din bhi muqadas hota hai, meray kafi relatives, friends aur students har saal muj say istakhara karwatay hain aur Eid kay din gosht kay saath yeh bones bhi lekar atay hain aur nai saal kay haalat ka pochtay hain, islamic calendar kay system say mohram ka chand nazar atay he islamic new year shoro hojata hai aur mein onko achay aur boray halat ka batata hon aur advise bhi karta hon, istakhara karnay kay baad mein in bones ko apnay aur bhi amliyat wagayra kay kamo mein use bhi karta hon, Eid ul-azha kay din qurbani walay bakray kay ilawa aur bhi dino mein yeh ritual kar saktay hain oskay liay sawali ko kala bakra sadqay ki neat say lekar osay zibah karwa kar meat gareeb, miskeen ya fakiron mein bant day aur phir in bones say istakhara karway to bohat acha result milta hai, mein apnay personal solar altar jahan mein chilay aur amliyat wagayra karta hon wahan par istakhara karta hon, meray solar altar ki images yeh hain:
  

SCAPULA BONE TOOLS:
Scapula bone yehni shanay ki hadi jahan istakharay mein use hoti hai wahan aur bhi kai kamo mein isay zamana e qadeem say use kia jata raha hai, puranay dor mein isay as a tool kay tor par bhi use kia jata tha,
 Arab kay log shanay ki hadi par kitabat kartay thay kuo kay os dor mein kagaz ya paper nahi tha woh hadi par he likha kartay thay, aak hadees sharif sahi bukhari ki isi kay mutalik yahan share kar raha 
hon:

AMLIYAT AL-KAT E GOSFAND:
Pakistan mein hum mein say kafi log scapula ya shanay ki hadi dekh kar yeh sochta hai kay is hadi par kala jaadu hota hai aur kasai isay tor detay hain yeh baat yahan kafi mashor hai logon ki kam ilmi ki waja say yeh ilm badnam sa hogaya hai, meinay jab facebook par in bones kay photo shares kiay to kai logon nay mujay yahi comments di thi, in logon ko malum nahi kay is bone say har kisam kay kam liay jasaktay hain jesay istakhara kay liay, rohani bimaria ya amraz dor karnay kay liay, bandishay, saktia aur jaadu kay asrat khatam karnay kay liay, goodluck ya barkat kay liay, shaadi kay liay wagayra, is ilm ko achai kay liay use kia jay ya borai kay liay to yeh os banday par depend karta hai jo ilm karna janta ho, weapon police aur army kay pas hota hai awam ki madad kay liay wahi same weapon mojrim ya katil kay pas bhi hota hai awam ko taklef denay kay liay, is mein weapon ko hum bora nahi keh saktay, same isitarah ilm bhi bora nahi hota is ilm ko karnay wala insan acha ya bora hota hai jo apni achai ya borai kay balbotay par kam karta hai,
Arabic aur Farsi ki qadeem amliyat ki books mein bakray kay shanay ki hadi yehni scapula bone kay kafi amliyat likhay hotay hain aur yeh bones amliyat ka aak best tool mana jata raha hai zamana e qadeem say kafi bones jis par arabic naksh aur tilsim banay hotay hain aaj bhi museum mein rakhi hain onki kuch images mein yahan share kar raha hon:
Arabic aur farsi ki qadeem books mein jo amliyat in bones kay mutalik likhay hotay hain on mein kuch jo urdu mein translated hain yahan share kar raha hon:
Is bone ko goodluck aur barkat kay liay bhi use kia jata hai aur jesay meinay pehlay bhi bataya tha kay Eid ul-azha ka qurbani walay bakray ki bone bohat asar wali hoti hai aur is bone say kafi rohani problems aur masail theek kiay jasaktay hain,
Iskay ilawa kala bakra jo saqka kia jata hai oski bone bhi bohat asar wali mani jati hai, sadkay ka aak amal mein yahan share kar raha hon:
Kalay Bakray ka "Sadqa Rad e Bala" hai, har kisam ki spiritual problems ko dornay karnay kay liay sadqa behtarin ilaj hai kai log sadqa kartay hain, Dawn news kay mutabik  Saddar e Pakistan Asif Ali Zardari har din aak kala bakra sadqa kartay hain islamabad house mein aur bhi kai baray log sadqa kartay rehtay hain takay har kisam ki nahosat say bacha jasakay, sadqay walay kalay bakray ki bone par bohat say kam hotay hain kuch mein yahan share karon ga,
Olma e Rohaniyat wa mokhfiat kay mutabik Qurbani walay bakray aur kalay sadqay walay bakray ki shanay ki hadi mein jinati asrat hotay hain aur is bone ka taluk jinnat say hai aur jinnat aag(fire) say banay hain aur is bone ko aag mein dalnay ya garam karnay say os mein mojod jinnat taskheer hotay hain wahi kam kartay hain chahai istakharay ka kam ho ya amliyat ka, tabhi istakharay mein bone ko garam heat kia jata hai ya suraj ki dhoop mein dekha jata hai, amliyat kay kamo mein bhi is bone ko aysi jaga dafan karna hota hai jahan har waqat aag jalti rahai, muhabat, ishq jesay mamlat ka taluk bhi aag say hai,
 
Muhabat, ishq, romance ki aag mein aaj kal har dosra shaks mobtala nazar aata hai, yeh aysi na dikhai denay wali aag hoti hai jis mein mard aur aurat dono jaltay rehtay hain aur yeh aag onko tabhai barbadi ki taraf lay jati hai, paros mein, news paper mein aur t.v mein kai wakiat aap dekhtay, sontay aur parhtay hongay kay falan larkay nay larki ki shaadi honay par suiside kar lia, larki ghar say bhag gai, parents nay apni larki ko mar dia larkay say ishq ki waja say, larkay nay larki kay khatir apni family jo jan say mardia etc.....istarah kay kai hotay rehtay hain, sawal yeh hai kay aakhir yeh aag lagata kon  hai jis mein insan ki yeh halat hojati hai iska jawab yeh hai kay yeh aag aak mokil ya khodam lagata hai, yeh mokil ya khodam ishq, muhabat, romance jesay kamo kay sath mansob hai, jab yeh mokil kisi par meharban hojay to os shaks ki muhabat kamiab jati hai aur razi khushi shaadi hojati hai aur agar kisi say gusa hojay to osay bohat tarpa tarpa kar aziat deta hai, judai dalta hai, doria peda kar deta hai, insan jitna rota aur tarapta hai ishq mein yeh aur ziada tarpata hai itna kay insan pagal hojata hai ya mar jata hai ya oskay hathon kisi ki mot hojati hai, yeh mokil ya khodam naraz kuo hota hai? is sawal ka jawab yeh hai kay insan kay apnay aymalo ki waja say aysa hota hai ya phir kisi nahosat ki waja say ya sitaron kay boray asrat ki waja say ya phir jaadu kay asrat say bhi aysa hota hai, kala jaadu karnay walay log is mokil ko jaadu kay zariay kabz kar letay hain aur osay is kam mein laga detay hain kay falan shaks mein judai dal do, shaadi mein oski bandish kardo, nafs band kardo takay sex kay kabil na rahai wagayra istarah kay kam kai log karwatay hain jo dosron say hasad kartay hain ya onka apna koi mofad hota hai, 
Mein yahan kuch is khas jinati hadi kay amliyat share kar raha hon jo arabic aur farsi ki qadeems books mein likhay hotay hain yeh amliyat mujay urdu translated books say milay hain, yeh amliyat sirf qurbani walay bakray ya kalay sadqay walay bakray ki hadi par hongay aur aam bakray ki hadi say nahi hongay, agar aap nay bina iska ritual ada kiay aam bakray ki hadi par amal karnay ki koshish ki to aap sakt kisam ki rijat ya problems ka shikar hojay gay aur sara kam olta hojay ga, iska ritual mein opar bata choka hon kay hadia eid ul-azha kay qurbani walay bakray ki hon ya phir sadqay walay kalay bakray ki yehni kala bakra khareed kar sadqay ki neat say phir osay zibah kar kay sara ka sara meat gareebon, miskeen aur fakiron mein bant dia jay oskay baad hadio par amliyat kia jay har kam ki zakat hoti hai aur is kam ki zakat yahi hai phir milay gi kamiabi tabhi woh mokil ya khodam taskheer hokar razi hojata hai aur kam kar deta hai, yeh aymal jo mein share karnay jaraha hon onkay liay hain jo kisi say muhabat kartay hon aur on mein judai hogai ho ya kisi nay karwa di ho ya muhabat ki aag sard par gai ho dobara wahi pehlay jesi muhabat ki aag os mein peda karna, shidat peda karna wagayra, in aymal say yeh mokil ya khodam taskheer hokar kam kar deta hai,
 Yeh kuch aam aymal meinay share kiay hain, meray zati khas aymal wa mojarbat kay liay aap muj say rabta kar kay malum kar saktay hain, meinay woh aymal share nahi kiay takay na-ahal jahil logon kay pas yeh khas ilm na jay jo ilm ko kharab kar detay hain, mein is ilm kay zariay kafi logon ki help ki hai, meray nazdeek yeh ilm bohat power rakhta hai,
Yeh tilsim aur tawezat khas waqat mein hadi par likhnay kay baad hadi ko aysi jaga dafan kia jata hai jahan humaysha aag jalti rahai aur best jaga woh hai jahan matti kay bartan paktay hain wahan dafan karna hota hai takay isay heat milti rahai, jab is hadi ko heat milna band hogai aur yeh thandi hogai to asrat khatam hojatay hain jo jinat is hadi mein hotay hain foran nikal jatay hain, yeh khas tilsim aur tawezat is hadi kay jinnat ko qaid rakhtay hain hadi kay thanda honay par yeh tilsim aur naksh bay asar hojatay hain aur kam olta hojata hai isliay istarah kay aymal mein bohat ahtiat ki zarorat hoti hai,
Ilm Al-Kat Bini (Scapulimancy) & Scapula bone ritual ka yeh page mein yahan khatam karta hon, yeh ilm to bohat waseh hai iska koi kinara nahi, meinay is page par muktasir sa bayan kia hai lekin jo ilm wala hoga ya jis mein rohaniyat hogi woh meray is page say bohat kuch seekh gaya hoga, Shanay ki hadi say istakharay kistarah kia jata hai aur amliyat kistarah hotay hain in sab ka mein course karata hon jiski munasib fees leta hon aap muj say rabta kar kay details malum kar saktay hain,
Ya agar khuda na khuwasta aap kay saath koi rohani problem, bandish wagayra hoto aap muj say shanay ki hadi kay zariay rituals karwa kar apni problems solve karwa saktay hain, ya agar aap amliyat mein dilchaspi rakhtay hain aur aap ko khas asrat wali bay ayb, dhabon say pak special shanay ki hadi ki need hai to muj say rabta kar kay aap muj say mangwa saktay hain, ya agar aap goodluck kay liay apnay ghar mein rakhna chahatay hon ya muhabat kay amliyat kay liay chahehai hon to tawez aur tilsim bani hadia bhi mangwanay par aap ko mil jay gi, rabtay kay liay mera e-mail address yeh hai:

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165

Apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga, inshAllah bohat jald new posting kay sath hazir honga,

                                                       Ali.  
 My Other Articles: