Pages

Monday, January 7, 2019

The Bandish Talisman

Bandish ka amal woh amal hota hai jiskay zariay hum kisi par bhi bandish dal saktay hain jesay kisi kay rupay paison par bandish dalna takay woh humaisha noksan mein rahai, family mein bandish dalna takay family members aak dosray say nafrat karain, shop ya job mein bandish dalna takay oska karobar tabha hojay ya sehat par bandish dalna kay humaisha bimar rahai ya shadi mein bandish dalna takay shadi na ho ya olad na ho ya safar mein bandish dalna takay safar na kar sakay wagayra....., yeh sab kam log aksar aysay aamil logon say karwatay hain jo bandish dalnay kay ilm ka mahir ho,
Lekin yahi baat agar koi bara mazhabi scholar kahai kay mein bandish dalnay ka amal karo ga to log osay zaror negative view say lay ghay aur osay kala jadugar, shaitan wagayra pata nahi kya kahai ghay, aysa he kuch meinay kal apni facebook id mein dekha jis mein aik mashor wa marof mazhabi scholar nay likha kay 6 january 2019 ko suraj girhan hoga jis mein agar koi bandish kay kam karwana chahai to muj say phone par rabta karain, logon nay wahan comments thek nahi ki, aik nay likha kay aik mosalman ka kam bandish ko khatam karna hota hai apnay rohani ilm say na kay bandish dalna, yeh kam gayr muslim logon kay hotay hain.....
istarah ki kai negative comments meinay parhi,
Kuch arsa pehlay meinay bhi aik witch bottle ka amal bandish ka facebook par share kia tha os par bhi kafi logon nay negative comments likhi jispar meinay woh postings delete kardi,

Bandish dalnay say agar kisi insan ki zindagi mot say bach jay ya bandish dalnay say koi insan boray kam chor kar nayki ki taraf ajay to aysay bandish kay amal ko kala jadu nahi kaha jasakta, kala jadu to woh hota hai kay kisi achay nayk insan ko bandish dal kar oski life mein problems peda karna,
3 November 2018 ki sham aik shaks meray ghar aya mein os waqat ghar nahi tha, woh shaks dosray din suba aya mein tab bhi ghar nahi tha woh lagatar roz ata raha lekin muj say oski molakat nahi horahi thi mein os waqat apnay gao amliyat kay kam mein busy tha, November 11 date ko sham magrib kay waqat meri os say molakat hoi, woh bohat kamzor sa borha shaks tha osnay apna masla bataya kay osay apni akhloti aur ladli jawan beti ka kam karwana hai aysa kam jis say woh aysi bimar ho kay charpai say oth he na sakay, yeh aysi baat thi jis say mein shocked hogaya aur meinay onsay pocha kay aap baap hokar apni beti kay liay aysa kam kuo karwa rahai hain? woh ronay lagay aur kaha kay phir aur karon bhi to kya karon jis say woh sodhar jay, koi aamil, koi baba, koi peer nahi chora sab kay pas gaya bohat paisa kharch kia har kisam ka amal karwaya kay woh sodhar jay thek hojay lekin kisi nay meri koi madad nahi ki, aap ka bohat nam suna hai kisi nay aap ka mujay bataya to aap kay pas yeh arz lekar aya hon mujay bas osay sodharna nahi kuo kay sodharnay walay to sabi kam karwa kay dekh liay, suna hai kalay jadu mein bohat power hota hai isliay aap kay pas aya hon kay jesa bhi kala jadu ho aap ospar karain jo kharcha hoga mein apko donga abhi kay abhi,
Woh aysay josh mein baat kar raha tha kay oska jism kaanp raha tha, meinay onko pehlay relax honay ka kaha pani pilaya, tea pilae phir jab woh relax hoa phir meinay onko kaha kay mein koi kala jadu nahi karta meray kam natural hotay hain nature say joray jis mein kisi bhi deen ya mazhab ka taluk nahi hota, phir onhonay apna masla mujay detail say bataya aur mein onka masla samaj gaya, saray maslay ki jarh cell phone tha,
Osnay bataya kay oski beti jiski age 19 years hai woh aik he akhloti meri aulad hai aur bara lad say osay pala hai oski har khuwaish puri ki hai jo chez kehti osay lakar deta lekin aik din osnay cell phone ka kaha to expensive cell phone osay lekar dia aur osdin say woh kharab hona shoro hoi, cell phone denay say pehlay woh izat karti sab ki lekin jab say osay phone mila oski sari nature he tabdeel hogai, oski aik school kay dor ki friend thi jiskay sath aksar woh shopping par jati ya oskay ghar jati, woh jitnay paisay mangti mein osay day deta kabhi inkar nahi kia, aik din meinay os mein aik ajeeb bechani mehsos ki woh kisi kay sath phone par sms par baat kar rahi thi aur khana thanda horaha tha osay khanay ka bhi hosh nahi tha aur baat karo to bezari aur ghosay mein jawab denay lagi meinay jab oski dost say rabta kia to osnay bataya kay koi aysi baat nahi phir aysa kya tention tha jo oska behave achanak say badal gaya tha, phir sham ko oski baichani barh ghai aur osnay kaha kay woh apnay dost kay ghar kisi kam say jarahi hai meinay osay janay dia takay oska dil wahan khush ho shayad kisi tention mein ho phir jab raat 2 bajay woh ghar ai to nashay mein thi jispar meinay osay khob danta aur sakti ki lekin woh batmizi par otar ai khud mujay bora bhala kaha aur ghar chornay ki dhamki di, oski yeh nature aur yeh tabdeli dekh kar mera zehan chakra gaya meinay chan been ki to malum hoa kay kisi ameer zaday shaks say oski dosti hoi hai phone kay thru aur woh har sham osi say milnay jati hai, meinay apni beti ko danta osay mara bhi har kisam ki sakti ki aur os ameer zaday ki family ko bhi bataya onhonay apnay betay ko samjhaya aur osnay to milna chor dia lekin meri beti har bar kisi na kisi larkay say dosti rakh kar oskay sath ghomnay nikal jati hai, meri sakti ka ospar koi asar na hua khud osnay ghar say bhag janay ka keh dia aur mein khamosh hogaya oskay baad aamilon, babao aur peeron kay chakar mein agaya kay koi aysa kam ho kay woh sodhar jay deen ki taraf ajay achay ghar oski shadi ho,
Yeh masla jo os shaks nay mujay bataya yeh masla koi naya nahi, pakistan aur hindustan mein har dosray ghar mein yeh masla din ba din barhta jaraha hai aur waja cell phone hai, sabi log is borhai shaks ki tarah kamzor nahi hotay woh shaks aysay kam kardetay hain gayrat kay nam par jis say na sirf onki balkay dosron ki bhi zindagia tabha wa barbad hojati hain, news paper mein aksar istarah ki news mein parhta rehta hon, kal india aur aaj pakistan ki news parhi jo istarah thi, 

In news ko parhnay par malum hoga kay in sab maslay ki jarh cell phone tha, aik cell phone ki waja say kitni zindagia tabha wa barbad hogai,
Meri sab waldain say guzarish hai jo meri yeh postings parh rahai hain kay apni nojawan betio ko cell phones mat lekar dain is mein tabahi wa barbadi hai, cell phone shaitani chez hai nojawan larkio kay liay, han agar kisi majbori ki waja say cell phone dena par bhi raha hai to ospar sakht kari nazar rakhain osay kholi azadi bilkol na dain, nojawan larkio ka zehan bachkana hota hai kisi ki bhi bataon mein akar khud ko aur family ko bari mosibat mein dal sakti hain, cell phone woh chingari hai jis say aag ghar mein kabhi bhi bharak sakti hai aur os aag mein sab jal kar rakh hosaktay hain, isliay meri aap sab ko advise hai kay is cell phone walay wakiat ko nazar andaz bilkol bhi mat karain, kal ko agar yeh masla aap kay ghar mein hoa to ya to gayrat kay nam par apni he aulad ko mar dain ghay ya phir babao, aamilon ya peeron kay pechay lag jay ghay,
Cell phones ki waja say kitnay he ghar meinay barbad hotay dekhay hain, mia nay biwi ko divorce day di ya katal kardia, bhai nay behan ko mardia, baap nay beti ko mardia istarah ki news parhtay aur dekhtay rehtay hain,

Amliyat ki dunia mein agar aysi larki jo cell phone ki waja say fahashi ki taraf ajay aur har borai kay kam ko jaiz samajnay lagay to ospar bandish ka amal kia jata hai takay woh in sab borai kay kamo ko tarak karday, meinay os shaks ki beti ka ilm ramal say hisab dekha to oska weak point hisab mein mujay mil gaya aur jo amal os point say mansob tha woh meinay shoro kia,
Larki kay ilm ramal kay hisab mein ramal ki figures kabz kharij aur aqla figures ka golba ziada tha, larki kay hisab mein ramal ki figure kabz kharij 4th, 8th aur 13th mein thi aur aqla figure 3rd aur 9th houses mein thi, inhe figures aur maslay say mansob amliyat kay ingredients meinay liay jo yeh thay:
* Lemon
* Seh janwar ka kanta
* Loong topi aur bina topi walay

Meinay tuesday kay din tilsim bana kar os shaks ko dia, woh tilsim istarah banaya tha,
Lemon par ramal ki figures kabz kharij aur aqla banai loong kay zariay phir in figures say mansob wazaif parhtay hoay os larki ki photo dekh kar tasawar kar kay seh ka kanta lemon par lagaya aur phir is tilsim ko aik maksos jaga par rakh dia,
Saturday ka time meinay os shaks ko dia tha woh shaks saturday kay din aya meinay osay yeh lemon wala tilsim dia aur osay kaha kay is lemon ko os shaks ki gari kay tyre kay nechay rakh dena jiskay sath aksar woh club mein shesha peenay jati hai, oskay walid nay kaha kay mein isay nahi rakh pao ga aap agar kisi ko bhejay meray sath takay woh rakh day to meinay apnay gao kay larkay ko onkay sath bheja aur osnay gari kay tyre kay nechay rakh dia,
Lemon jesay he gari kay tyre kay nechay phata oskay kuch din baad larki mein tabdeli anay lagi, ghar say bahir janay ki bandish ospar lagni shoro hoi, oskay walid nay bataya kay osay koi khof dil mein beth gaya hai os khof ki waja say woh bahir ghar say nahi jarahi aur darnay lagi hai, raat ko bhi neend mein dar jati hai, meri taraf oski tawaja barh ghai hai aur ghar kay kam bhi aab karnay lagi hai, cell phone ki sim bhi osnay dosri lay li hai lekin aik baat samaj nahi arahi kay aysa kesa khof oskay dil mein beth gaya hai jo woh share bhi nahi kar rahi,
Meinay onko bataya kay yeh wahi khof hai jo har pakiza ba parda larki ko bahir ki dunia say hota hai woh khof pehlay dab gaya tha kuch behoda logon nay oska brain washed kar kay osay galat bataon mein lagaya jis say woh bay khof hokar sab boray kamo ko acha samaj kar karnay lagi,
Bandish ka yeh natural amal dikhnay mein sada sa hai lekin bohat zabardast asar rakhta hai, yeh bandish ka amal saperay logon ka hai aur mujay yeh amal aik saperay say mila jo apnay waqat ka zabardast aamil tha jo nature ki chezon kay khuwas say wakif tha aur chotay totkon say baray say bara masla foran hal kardeta tha, aysay saperay aur jogi log aaj kay dor mein milna bohat moshkil hai, 
Is bandish kay amal say larki sahi to hogai lekin aab oskay walid ko jald oski shadi karwa leni chahehai kuo kay yeh bandish ka amal humaisha nahi rahai ga kuch arsay baad khatam hojay ga aur larki phir osi same halat mein wapis ajay gi, mein oskay walid ko samjhaya aur duain bhi di kay Allah pak osay acha pyar krnay wala shohar ata karay aur woh sada khush wa abad rahai apnay shohar kay sath apnay ghar mein (ameen).

Meri sab say advise hai kay mobile ya cell phone kay shaitan ko apni aurton say dor rakhain agar kisi majbori ki waja say detay hain to nazar rakhain har waqat, meray pas ziada tar aurtay jo love kay maslay kay liay rabta karti hain woh isi cell phone shaitan ka shikar hoti hain koi shohar kay hotay hoay mehbob ka kam karwanay ka kehti hai, koi ghar walon say chop kar mehbob ka kam karwanay ka kehti hai aur isi cell phone kay shaitan ki waja say apnay waldain ko dushman aur mehbob ko apna sab kuch samajti hai, onko nahi malum hota kay onka mehbob onko use kar kay aik din wahan shadi karay ga jahan oski family osay kahai gi, umeed hai meri yeh posting parhnay kay baad kai log ko meri nasihat par amal kar kay bari tabahi say bach jay ghay,
Mein is posting ko yahin tak complete karta hon, InshAllah jald new posting share karo ga,
Apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                                     Ali
                                              03003799165.