Pages

Sunday, February 6, 2022

Camel Holed Bone Talisman


Din ba din barhti mehangai, karobar ki parayshani ya bayrozgari aur rozmara kay kharch par kharch say tang akar kuch log majbori mein apna ghar kirae par detay hain,onko is baat ka bilkol ilm nahi hota kay jisay woh apna ghar kirae par day rahae hain woh log aghay chal kar onkay liay kitnay khatarnak sabit hosaktay hain, woh isi soch mein hotay hain kay ghar kirae par denay say onki paison ki parayshani kafi had tak behtar hojae gi lekin jab woh kiraedar shiateen ki tarah onkay ghar par kabza kar kay beth jatay hain aur onki nahosat aur boray kamo aur bayhoda harkat say pura ghar aur iskay afrad disturb rehnay lagtay hain aur din ba din yeh masla barhta he chala jata hai aur koi aysa rasta nazar nahi ata kay onko ghar say nikala jae woh buray log bari source walay hotay hain aur woh kisi keemat par ghar khali kardenay par taiyar nahi hotay, onko malum hota hai kay malik makan onka kuch bigar nahi sakta, aysay boray kirae daron say ghar ko azaad karanay kay liay olma e rohaniat wa tilsimat nay kai tilsim aijad kiay hain on mein say aik nayab tilsim Shaikh Abdul Qadoos Jamali nay apnay malofozat mein likha hai jisay alama rafique zahid sahab nay apni kitab Qanon e tilsimat mein share kia hai jo mein yahan share kar raha hon,
Kamar dar aqrab (moon in scorpio) ya tayhat al sha(moon less night) kay okat mein yeh tilsim taiyar kia jata hai, kamar dar akrab yehni chand jab burj aqrab mein dakhil hota hai yeh astrology ka waqat easily jantari say malum kia ja sakta hai, tehat al sha yehni jab chand ki akhri tarikhay jab chand asman mein mojod na ho andheri raat ho os waqat tilsim aur wazaif e amal kiraedar kay nam aur oski walda kay nam kay sath red kapray par likha jata hai, agar kiraedar ki walda ka nam malum na hosakay to oski photo kay pechay wazaif e amal sirf oskay nam kay sath likha jata hai,
Oskay baad woh amal likha red kapra ya photo camel ki holed bone mein dal kar bone mein rai kay seeds bhar kar bone ko red candle say momjama yehni seal kia jata hai oskay baad is bone ko adhi raat kay waqat os kiraedar shaks kay zeer e kabza makan ya oskay guzarnay walay rastay jahan par woh aksar guzarta rehta hai wahan dafan kia jata hai, is amal par aik chila yehni 40 din bhi guzar na pae ghay kay is makan kay kiraedar afrad aik dosray say mokhalif hojae ghay, nafrat, adawat, fitna wa fasad wa shar, larai jhagray kay ilawa khof wa parayshani kay sabab tamam log jismani wa rohani amraz mein mobtila hojae ghay, onki khair wa barkat wa khushali badhali mein tabdeel hojae gi, gurbat wa aflas kay asar zahir honay lagay ghay, os makan kay kiraedar sabi afrad udaas, parayshan aur kisi anjanay khof kay zeer e asar pagal wa majnon ban jae ghay, aik aysi ajeeb kisam ki khatarnak surat e hal peda hojae gi kay jiskay natejay mein woh log is ghar ko jis kadar jaldi mumkin hosakay ga chor kar dosri jaga muntakil hojae ghay,

Aap soch rahai hongay kay akhir aysa hai kya camel bone kay tilsim mein jiski waja say aysay khatarnak kisam kay asrat os say zahir hotay hain, iski waja mein yahan muktasir tafseel mein batata hon,
Camel aik jinnati janwar hai yeh ahadees e mubarka say sabit hai, Camel kay jo jinnat wa shiateen hain woh khatarnak kisam kay sifli asrat kay hamil hain, Nabi pak s.a.w nay camel kay baaray mein nimaz parhnay say mana farmaya hai kuo kay wahan shiateen jamah hotay hain, aur camel meat khanay kay baad wazu karnay ka farmaya hai,
Camel bone mein negative aur positive dono asrat hain, iski bone agar ghar mein dafan ki jae to kisi bhi kisam kay jadu kay asrat ghar ya ghar kay afrad par asar andaz nahi hotay lekin woh bone nahi jo kisi bimari ya hadsay ki waja say camel mara ho, os camel ki bone jo qurbani ki eid par zibah kia hoa ho, sirf qurbani walay camel ki bone mein he positive asrat pae jatay hain, logon ko iska ilm nahi hota woh kahin bhi maray hoay camel ki bone ko lekar ghar mein dafan kardetay hain jis say ghar mein shiateen ya jinnati asrat ajatay hain jiski waja say ghar mein sakt nahosat ajati hai,

Camel kay Jinnat wa Shiateen:
Camel kay jinnat wa shiateen kay sardar ka nam "Paiman" hai, english ki qadeem kitab jisay Hazrat sulaiman a.s say mansob kia jata hai, Lesser key of solomon is kitab mein sabi jinnat wa shiateen kay nam likhay hain os mein isay king paimon ka nam dia gaya hai aur muktasir see tafeel iskay mutalik likhi hai,
Arabic ki qadeem kitab jisay Hazrat sulaiman a.s say mansob kia jata hai os kitab mein har jinnat kay mutalik detail likhi hai jistarah microbiology ki kitab mein har virus aur bacteria ka likha hota hai kay yeh kistarah insano par attack kar kay osay bimar kartay hain same isitarah on jinnat wa shiateen ki details likhi hain kay yeh kistarah insano par hamla kartay hain, is kitab mein is shiateen ka holiya istarah likha hai kay yeh chiknahat jesa jelly ki tarah jo hadi ki nali mein hoti hai wesa rop aur holiya insano jesa hai woh mard aur aurat dono ka mixed shape jesa hota hai kabi woh mard jesa lagta hai kabi aurat jesa oska face aur jism melt hota rehta hai jesay garmi mein butter melt hota hai, is shiateen wa jinnat ki mazeed tafseel mein apni agli posting mein insha Allah share karon ga,

Ghar wa makan kay ilawa agar kisi shop ko kiraedar say khali karana ho oskay liay bhi is tilsim ko use kia jata hai, khayt wa baagat, plot ya zameen, farm ya maweshi baaray ya factory ko bhi kiraedaron say khali karanay kay liay is amal ko kia jata hai,
kabza group ya land mafia jesay khatarnak log jo kisi ki zameen na jaiz tarikay say kabza kar kay bethay hon onsay bhi zameen khali karanay kay liay yeh amal best mana jata hai, yeh amal meray rozmara kay mamlat mein say hai, is tilsim say kai logon ko fawaid hasil hoay hain barbad hotay ghar is amal say dobara abad hoay hain, mein iskay mukhfi sifli asrat ka moshaida kar choka hon, is tilsim ki mazeed tafseel aur malumat kay liay aap muj say rabta kar kay malum kar saktay hain,

Phone & Whatsapp: 03003799165
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Insha Allah jald new post kay sath dobara hazir honga,


                                           Ali.
My Other Articles: