Pages

Thursday, October 21, 2021

The Black Scorpion Talisman

 

Allah pak hum sab ko dushmano kay shar wa fitna fasad say mehfoz rakhay(ameen), kuch dushman zahiri hotay hain jo khol kar apni dushmani zahiri dikhatay hain jis say oski haysiat, power aur source kay mutalik malum hojata hai aur banda apni os hisab say protection bhi kar leta hai lekin kuch dushman batni hotay hain jo andar he andar planing kartay rehtay hain fitna wa fasad peda karnay kay liay phir achanak zahir hotay hain jis say banda shocked sa hojata hai osay yakin nahi hota kay aik shaks oskay sath itna arsa thek raha yeh achanak dushman kuo hogaya, jis shaks kay dushman ziada tadad mein hojatay hain aur apas mein mil kar group bana letay hain to os banday ko onsay mehfoz reh pana moshkil hojata hai, os banday ki raaton ki nendain din ka sukh chain sab tabha hojata hai, os shaks ki zindagi dar wa khof aur ghotan mein basar hoti hai, osay malum hota hai kay woh kabhi bhi dushmano kay shar, fitna wa fasad ki lapaet mein asakta hai, woh apni taraf say har mumkin koshish karta hai kay dushmano say salah hojae woh dushmani ko chor dain lekin aysa mumkin nahi hota kuo kay woh bohat power mein aur peth pechay onki bari source hoti hai,

Do ya zaed dushmano ki apas mein grouping bohat khatarnak hoti hai, dushmani paison ko lekar hosakti hai, shadi ya rishton ki waja say hosakti hai, jaidad wa zameen ya shop ko lekar hosakti hai, mehbob ki waja say hosakti hai, qanoni masael ko lekar hosakti hai, job ya kam wali jaga mein hosakti hai, do doston kay darmian hosakti hai etc....

Jis banday kay dushman do ya zaed group mein hojatay hain to os banday ki yahi khuwaish hoti hai kay ya to yeh salah kar lain ya yeh do groups apas mein he aik dosray kay dushman ban jae aur mujay bhol jae......, olma e rohaniat wa tilsimat nay aysay khatarnak dushmano kay group kay fitnay fasad wa shar say mehfoz rakhnay kay liay nayab tilsimat aijad kiay jin mein say aik nayab tilsim mein yahan share kar raha hon jisay allama rafique zahid sahab nay apni kitab mein share kia hai,

Qadeem wa nayab kitab "Tohfa e Alam shahi" mein likha hai agar koi apnay dushmano kay shar wa fasad aur onkay makar wa jaal say khud ko mehfoz rakhnay kay liay onkay mabeen fitna wa fasad barpa karna chahai to oskay liay siah nar wa mada bicho yehni black scorpions ka male and female pair lekar ay aur onko kisi container mein dal kar chita ki raakh ya qadeem veeran tabha ibadatgah ki matti dal kar os container ko kisi mehfoz andheri jaga par rakh dain, yeh amal tab karna hai jab planet venus aur saturn kay darmian nazar e taslis ho oskay aik week pehlay yeh amal karna hai phir jab dobara yeh planetry time ay to os conatiner ko khol kar dekhain to woh scorpions sar kar matti ban chokay hongay, is matti ko zarorat kay waqt yeh khas wazifa 41 bar parh kar dam karnay kay baad is matti ko do hison mein kar kay dushmano kay makanat, onki guzargah ya mohalay kay raston mein dal dain takay onkay payr onpar paray, woh dushmano os banday say dushmani chor kar khud aik dosray kay dushman ban jae ghay, is amal ka khas wazifa meinay yahan share nahi kia takay koi kisi par najaiz amal na kar sakay,

The Dried Scorpion's Talisman:

Qadeem wa nayab tilsimat ki kitab "Tohfa e Alam Shahi" kay mutabik yeh amal do planets venus aur saturn ki apas mein nazar e taslis kay doran banaya jata hai lekin meinay yeh tilsim apnay alag maksos tarikay wa tajorbat say banaya aur isay kamar dar aqrab kay waqat par banaya aur iska result tohfa e alam shahi walay tarikay say kuch ziada powerful mila,

Kitab mein likha hai kay scorpions container mein sarh kar matti ban jatay hain lekin woh matti nahi bantay woh dried hojatay hain jinko pees kar powder jesa banaya jata hai,
Har mahinay chand borj e aqrab yehni constellation scorpio mein dakhil hota hai aur yeh arhae din tak os mein dakhil rehta hai is waqat ko "Kamar dar Aqrab" yehni "moon in scorpio" kaha jata hai, yeh woh waqat hota jis mein judai wa nafrat kay amliyat wa tilsimat banae jatay hain, yeh timing easily kisi bhi astrology ki jantari say malum hosakti hai,

Yeh image year 2021 astro jantari ki hai is mein bataya gaya hai kay thursday 4 november ki date ko qamar dar aqrab ka waqat shoro hoga jo saturday 6 date kay adhay din tak rahai ga, is khas waqat kay doran yeh tilsim banaya jasakta hai,

 

The Scorpion's Dust Talisman: 

Scorpion dust yehni bicho ki masan bhi same isitarah he banai jati hai jesay kitab tohfa e alam shahi mein likha hai lekin is mein container ko dafan ki jata hai aur opar aag jalai jati hai jis say scorpion sarh kar matti ban jatay hain, is tilsim mein kalay bakray kay seengh use kiay jatay hain woh kalay pahari bakray jo choti size kay hotay hain jisay Tapari nasal kaha jata hain sindh mein,

In bakaron kay seeng mein on do dushmano ki photos dali jati hain jin mein separation ya judai krwani ho takay aik dosray say nafrat wa bogaz karain,
 
Photos seengh mein dalnay kay baad container jis mein qadeem veeran ibadatgah ki matti ya chita ki rakh hoti hai os mein dal kar male black scorpion dalnay kay baad container ko dafan kia jata hai,

Container dafan karnay kay baad qamar dar aqrab kay arhae din tak aag jalae rakhni hoti hai,
Arhae din tak mosalsal aag say container mein mojod sab chezain sarh jati hain jisay easily dust ki tarah bana kar dushmano ki guzargah par phanka jata hai, is dust ko bicho ki masan aur bahir mumalik mein scorpion's goofer dust kaha jata hai,

 

Need Black Scorpion Talisman?

Black Scorpions yehni kalay pahari bicho zamana e qadeem say he judai wa bogaz kay amliyat mein istamal kiay jatay hain, in scorpions mein aik sifli power hota hai jo do logon ya do groups mein judai karwa deta hai, agar aap qadeem amliyat wa tilsimat ki books dekhay ghay to on mein judai wa bogaz kay amliyat ya tawezat ya tilsimat hotay hain on mein scorpion zaror bana hua humay milta hai, qudrat nay is mein yeh sifli taseer rakhi hai jisay olma e rohaniat wa tilsimat nay moshaida kia aur tilsimat aijad kiay,

Agar aap dushhmano ki waja say parayshan hain on mein judai karwana chahatay hain to aap muj say rabta kar kay yeh khas tilsim muj say banwa kar hasil kar saktay hain,

Rabtay kay liay:

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Phone, Sms & Whatsap: 03003799165
 

                                               Ali.

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman