Pages

Wednesday, December 13, 2023

Black Dog Bone Talisman

 

Amliyat, Tawezat wa Tilsimat hakeem kay koshtay ki tarah hotay hain, aak kamil hakim koshta bananay mein apni taraf say koi kasar nahi chorta phir bhi koi na koi kasar reh jati hai jis say koshtay mein woh taseer peda nahi hopati aur woh koshta bay faida hojata hai aur hakim ki mehnat, waqat aur pesa barbad hojata hai lekin woh himat nahi harta tajorbat aur bar bar nakami say akhir kar woh samaj jata hai kay kahan os say galti horahi hai jis say kasar reh jati hai aur osay woh samaj kar thek kar he leta hai jis say woh koshta pur taseer ban jata hai jo martay hoay insan kay andar dobara jan dalnay ki salaheyat rakhta hai,

Same isitarah jo amliyat tawezat wa tilsimat kitabon mein bari tareef kay sath mujrab al mujrab azmoda likhtay hotay hain jisay parh kar aik aamil apna waqat aur paisa kharch karta hai aur apni taraf say koi kasar nahi chorta lekin phir bhi woh amal tawez ya tilsim bay asar bay faida hojatay hain, amliyat ki kitabon mein kuch tilsim amal aur tawezat kay muktasir sa likha hota hai jisay aamil sarsiri nazar say dekh kar nazar andaz karleta hai aur sirf osi amal aur tilsim par nazar rakhta hai jiski bari tarif likhi hoti hai,

Aaj ka mera topic aik aysay he tilsim kay mutalik hai jisay meinay bhi kitab mein parh kar nazar andaz kia tha aur aik aysa wakia pesh aya meray sath jiskay baad iskay lajawab asrat ka kael hogaya aur is tilsim ki jitni tarif ki jae kam hai, woh wakia jo meray sath pesh aya woh aap sab say share karta hon,

Kuch arsa pehlay aik arab shaikh kay voice messages meray whatsapp par bar bar anay lagay mujay arabic nahi aati isliay mein samaj nahi paraha tha kay woh kya keh raha hai, meinay osay english mein text kia kay aap english mein text message karain to osnay reply dia kay no english phir woh call karnay laga jo meinay recieve nahi ki phir dosray din phir calls par calls karnay laga whatsapp par mein busy tha isliay receive na kar saka jispar osnay voice message kia woh message kisi bengali shaks ka tha jisay urdu thek say baat nahi karnay arahi thi lekin mein oski baat ko samaj raha tha, osnay bataya kay woh is arab shaikh kay pas molazmat karta hai yeh arab shaikh kisi maslay ki waja say bohat parayshan hai osay aap ki madad ki zarorat hai lekin woh khud aap say personal baat karna chahata hai aysi baat ho mujay bhi batana nahi chahata, aap please onsay baat karain, meinay osay bataya kay mujay arabic nahi aati aap onko kahain kay google translater kay zariay muj say whatsap par text karain jis say easily mein onsay baat kar sakon ga, os bengali nay os arab shaikh ko google translater ka bataya jis say mera rabta os shaikh say sath hogaya,

Os shaikh nay bataya kay osay aik aurat say shaded muhabat thi osay hasil karnay kay liay osnay aik kitab mein likha amal kia, os amal kay asrat say woh aurat deewano ki tarah shaded muhabat os say karnay lag gai aur jesay jesay din guzartay ghae oski muhabat mein wesay wesay shedat itni barhnay lagi kay har waqat muj par nazar rakhnay lagi kahin bhi jata hon to bar bar phone kar kay pochna, iski isi deewangi say mein bohat khush aur mutamin zindagi guzar raha tha lekin aik ajeeb see bechani aur khof bhi dil mein tha kay kahin koi masla na peda ho aur phir wahi hua jiska dar tha, oski womb mein problem thi jis say woh kabhi pregnant nahi hosakti thi, mujay feel hua kay shayad mujay yeh khuda ki taraf say saza mili hai mujay jadu ki waja say mera pyar mujay mil gaya lekin aulad ki nehmat say mehrom hogaya, meinay khuda say gir gira kar maafi mangi aur nimaz aur ibadat ki taraf dil laga lia, meinay jo amal os aurat par kia osay khatam karana chahata hon woh bone jispar amal kia tha woh jal kar khak hogai lekin iski taseer din ba din barhti jarahi hai woh aurat meray pyar mein pagal see hogai hai, mein dosri shadi karna chahata hon aulad kay liay, meinay jab osay dosri shadi ka kaha to osnay kaha kay agar meinay aysa kia to woh mujay mar kar khud ko bhi mar day gi, mein bohat parayshan hon meinay dunia kay baray baray aamilon say rabtay kiay is amal ko khatam karanay kay liay jo meinay ospar kia tha lekin koi aamil isay khatam nahi kar paraha, meinay aap ki blogsite par wesay he bones ki photos dekhay jo meinay amal mein use ki thi aap ko in bones ka ilm hai bohat isliay aap say rabta kia kay aap meri madad kar sakain is amal ko khatam karnay mein chahae jitna kharcha ho mein denay kay liay taiyar hon,

Meray pochnay par osnay is amal ki puri tafseel batae jo osnay kia tha osnay bataya kay osnay yeh amal aik arabic kitab jiska nam al sehar al ajeeb fe jalab al habib hai os mein parha tha kay kuttay ki bone par tilsim likh kar osay aag mein garam karna tha woh osnay kia to bone jal kar chora chora hogae lekin taseer is amal ki itni barh choki hai kay woh aurat pagal kuttay ki tarah meray pyar mein deewani hogai hai koi jinnati makhlok oskay andar sama ghae hai,

Os shaikh nay jo arabic ki kitab ka bataya woh kitab meray pas urdu mein tarjoma ki hoi rakhi thi yeh amal meinay bhi parha tha lekin isay aam amal samaj kar kabhi isay apnay tajorbat mein nahi laya,

Meinay is shaikh kay amal ko khatam karnay kay liay baray baray amal kiay bohat mehnat ki bohat paisa shaikh ka kharch hua lekin result zero he mila lekin shaikh ka muj par yakin e kamil tha osnay mujay kaha kay mujay aap par ya aap kay ilm par shak nahi lekin hum say kahin koi kasar reh jati hai aap ilm walay hain aap ghor karain kharchay ki parwa nahi karain jo kharch aab tak hua hai os say bhi double don ga meri zindagi aap he sanwar saktay hain,

Yeh baat to meray ilm mein agai thi kay yeh aik khatarnak kisam ka sifli ilm hai jisay noori ilm say kat karnay say mazed shedat is amal mein peda hoti hai jesay patrol ya chemical wali aag mein pani dalnay say aag bojhti nahi mazed bharak jati hai same isitarah noori amal say os aurat mein ghusay ka ansar peda honay laga isliay meinay noori amal fori rok dia, phir meinay tarah tarah kay tilsimat use kiay is amal ko khatam karnay k liay lekin kuch faida nahi horaha tha mujay khud bohat sharmindagi mehsos honay lagi kay itna os arab shaikh nay mujh par bharosa kar kay kharcha kia hai lekin 1% bhi osay meray kisi ilm say faida nahi hasil horaha aur woh bhi himat nahi har raha, meinay kitabon ki dunia say nikal kar khud zati tor par is amal ko khatam karnay par ghor karnay laga aur akhir kar zehan mein is maslay ka hal agaya samaj lekin yeh aik risky kam tha kay kahin koi garbar na hojae,

Meinay is sifli amal ki puri chemistry ko samjha aur osi chemistry kay mutabik ospar amal karnay ki than li yehni sifli amal ko sifli amal say he khatam karna, meinay kalay kuttay ki bone par os shaikh ki wife kay nam kay sath judai ka wazifa aur tilsim likha aur kali billi ki bone par os shaikh ka nam aur judai ka wazifa likha phir in dono bones ko lohay ki wire say lapaet kar aag kay nazdek rakh dia, aik chila yehni 21 days kay doran is amal nay apna asar dikhana shoro kia woh jinnati asrat os aurat mein say nikal ghae woh normal behave karnay lag ghai, palto billi ki tarah ban ghai aur shaikh ki har baat mannay ko taiyar hogai,

Har maslay ka hal nikal ata hai jab insan ghor wa fikar karta hai black dog yehni kala kutta aik sifli nehas jinnati janwar hai jo ahadees e mubarka mein bhi iski nahosat sabit hai kay agar kala kutta kisi nimazi kay samnay say guzar jae to oski nimaz tot jati hai same isitarah kali billi agar kisi ka rasta kat day to os insan par nahosat ajati hai yeh baat to worldwide mashor hai, in dono nehas janwaron ki bones kay amal say jinnat insan mein ajatay hain jo oskay mind ko pura control kar letay hain tabhi insan apnay hosh mein nahi hota na apnay hawas par control kar pata hai, 

black dog aur black cat yeh dono janwar aik dosray kay dushman hain aur aik dosray kay sath bogaz rakhtay hain yeh aik natural baat hai same isitarah in janwaron kay jinnat bhi aik dosray kay mukhalif hain isliay meinay in rohaniat ko samaj kar yeh amal kia jo kamiab raha jo kuttay kay jinnati asrati thay os aurat par osay billi kay jinnati asrat ki waja say nikalna par gaya jesay magnet par aik hisa chopakta hai to dosra hisa mukhalif hota hai jo dhekhelta hai same isitarah cat kay jinnati asrat nay os aurat par say asrat ko dhekhel kar bahir kardia aur woh shedat os aurat mein say khatam hogai,

Yeh Black dog ki bone ka amal bohat he khatarnak kisam ka hai yeh amal koi kisi par na jaiz na karay isliay isay publicaly share nahi kar raha lekin jo ilm walay banday hain jin mein kuch meray students bhi hain woh samaj ghae hongay meri yeh posting parh kar, meri in sab ilm karnay walon say guzarish hai aap yeh ilm jaiz kam mein use karna, galat kam ka nateja humaisha galat melta hai,

Allah pak aap sab ko sada khush wa abad rakhay, ameen,

InshaAllah jald new posting kay sath hazir honga,

Apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga,


                                Ali.

Phone & whatsapp: +92 03003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com


My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman


Saturday, November 4, 2023

Sharkali Gidar Singhi

Gidar singhi ki aksam ki agar baat karain to iski 1000 say bhi ziada aksam hain aur har aksam kay apnay alag fawaid wa asrat hain jo gidar singhi ka ilm rakhnay wala aamil he aap ko bata sakta hai, aaj kal kuch fraud logon nay social media par fake gidar singhi ka bara karobar chalaya hua hai jahan 50 hazar say lekar lakhon rupiyo mein fake gidar singhi sale kar rahai hain, meray customers aksar mujay batatay rehtay hain kay ali bhai aap nay jo aksam gidar singhi ki posting ki hai same wesi woh fake bana kar sale kar rahai hain high price mein, yeh to puranay waqt say hota aya hai jo asal chez faida deti hai to bay zameer log os chez ki foran nakal bana kar sale karnay lag jatay hain yeh bhi nahi sochtay kay agay chal kar onkay galat kamo ka kitna khatarnak nateja onko bhokatna hoga, Allah pak aysay logon ko hidayat day (ameen),

Real Aamil aur Real Gidar singhi ki Pehchan:

Gidar singhi aik natural tilsim hai aur is mein mukhfi asrat hotay hain, gidar singhi humaisha aamil shaks say leni chahehai jo gidar singhi ki aksam oskay fawaid wa asrat aur iskay amliyat ka ilm rakhta ho, aaj kal young larkay saperon say fake gidar singhi lekar facebook, youtube ya tiktok par editing kar kay followers ziada bana kar logon ko apni taraf attaract kartay hain jinko ilm ki abc bhi nahi malum hoti aur sadha log ankh band kar kay onpar aitebar kar letay hain aysay attaractfull pages, followers aur likes dekh kar,

Meri aap sab say guzarish hai kay gidar singhi lenay say pehlay banday ka background achi tarah say malum karna chahehai kay aya woh aamil hai ya nahi? kya woh gidar singhi ki aksam aur oskay amliyat ka ilm rakhta hai?

Jab aap ko malum hogaya kay banda real hai ilm rakhta hai amliyat ka, aab malum karna hai kay gidar singhi jo woh day raha hai woh real hai ya nahi? kuo kay kuch aamil log gidar singhi dosron say letay hain jo fake hoti hain lekin onko aysa banaya hoa hota hai kay khud aamil log bhi pehchan nahi kar patay, aaj kal aysay fraud log hain jo aysi safai kay sath morda billi kay panjo kay nakhono aur bakri kay seengh aur khal say aysi aysi gidar singhi bana detay hain jo bilkol real jesi lagti hain, jistarah market mein fake gemstone china kay banay hoay miltay hain jiski pehchan sirf ilm wala he bata sakta hai same isitarah real gidar singhi ki pehchan iska ilm rakhnay wala he bata sakta hai,

Real gidar singhi rakhnay say oskay fawaid haftay baad ya 21 dino kay andar zahir hotay hain yehni aap ki life mein kuch nai tabdeli hogi jis say khushali barhti chali jae gi, agar aap ko kuch bhi tabdeli feel na ho iska matlab aap kay pas fake gidar singhi hai ya phir aap nay osay galat jaga par rakha hua hai,

Real gidar singhi kay baal humaisha fresh hotay hain salon saal guzarnay kay bawajod aur nai baal ogtay nazar atay hain jo shining walay hotay hain jin par sindoor laga nahi hota,

Real gidar singhi kay baal kabhi morjhatay nahi na tottay hain,

Fake gidar singhi mein koi tabdeli nahi hoti woh jesi hoti hai wesi he rakhi hoti hai aur real gidar singhi mein tabdeli hoti rehti hai,

Kuch logon kay pas real gidar singhi hoti hai lekin onko kuch faida hasil nahi hota oski waja yeh hai kay onko used gidar singhi milti hai ya gift mein milti hai woh isay aysay he shokia rakh letay hain jo faida to nahi deti olta onko noksan par noksan honay lagta hai, aysa tab hota hai jab gidar singhi par os shaks kay nam ka amal nahi kia hua hota, bina amal wali real gidar singhi say kuch fawaid hasil nahi hotay isliay gidar singhi amal karwa kar aamil hazrat say leni chahehai jo nam kay horof say mansob wazifa nikal kar amal karta hai aur iski rohaniat ko taskher kar kay os shaks kay nam say jor deta hai tabhi os shaks ko fawaid hasil hotay hain,

Jistarah gemstones nam kay horof aur date of birth kay star say match gemstone pehantay hain jis say achay fawaid hasil hotay hain same isitarah gidar singhi ki aksam bhi star aur nam kay horof say match lenay say oskay fawaid hasil hotay hain,

Aab baat kartay hain sharkali gidar singhi ki,


Sharkali Gidar singhi:

Sharkali gidar singhi ka taluk shams sitaray say hai aur shams dolat, shohrat, izat wa khushali ka sitara hai, isay sharkali nam is waja say dia gaya hai kay iska shape shair kay face kay balon jesa aur phool ki kali jesi soft aur molaim hoti hai,


Is gidar singhi ka size chota hota hai aur yeh bari nahi hoti, iskay baal jo resham jesay soft hotay hain humaisha fresh hotay hain aur new baal ogtay rehtay hain, sharkali gidar singhi mein nar aur mada dono hoti hain nar kay baal shair kay face kay baal jesay kharay hoay hotay hain aur mada kay baal spiral formation yehni golai mein bhanwar ki tarah hotay hain yeh hai pehchan nar wa mada ki,

Fawaid:

Sharkali gidar singhi kay fawaid beshumar hain, karobari hazrat jin kay karobar mein humaisha noksan hota rehta hai onkay liay yeh gidar singhi best hai, isay apnay pas rakhnay say karobar behtar say behtar hota chala jata hai, jin logon ki paison mein saving nahi hopati kharch par kharch hotay rehtay hain aur koi bachat nahi hoti on logon kay liay yeh gidar singhi bohat faida deti hai, jo log karzon mein dobay hoay hain karobar onka roka hua hai aur paison ki sakht parayshani ho onkay liay yeh gidar singhi bohat best rehti hai, har woh masla har woh parayshani jo paison say jori ho is khas gidar singhi kay rakhnay say woh masla aur parayshani thek hojati hai,

Amliyat:  

Is khas gidar singhi kay zariay kai amliyat kiay jatay hain, kisi shaks kay sath aap ka paison ka lain dain ho aur woh shaks aap kay paisay apko na day raha hoto os shaks ka used tissue paper ka tokra gidar singhi kay box mein dalnay say woh shaks foran paisay denay kay liay razamand hojata hai, agar kisi nay new shop ya karobar shoro kia ho lekin customers oski shop ki taraf attaract na hotay hon to is gidar singhi ko cashbox yehni jahan paisay rakhay jatay hain wahan rakhnay say customers attaract hotay hain, 

Ghar mein humaisha kharch par kharch hotay rehtay hain aur kuch saving nahi hoti to yeh gidar singhi ghar mein jahan jewellry rakhi jati hai wahan rakhni chahehai  aur ghar kay kitchen say kuch chawal, loong, bari ilaichi aur choti ilaichi aur gold ki koi choti jewellry gidar singhi kay box mein dal deni chahehai is say ghar mein khushali aati hai, jo log karzon ki waja say parayshan hoto jis say karza lia hai oska nam likh kar gidar singhi kay box mein dalnay say woh shaks parayshan nahi karta aur karz kisi na kisi zariay say jald ada hojata hai, 

Paison ki sakht parayshani ho aur naya kam ya job na mil rahi hoto mathay ka pasena tissue paper say saaf kar kay tissue ka chota tokra gidar singhi kay box mein dalnay say job ka masla jald hal hojata hai,

Agar aap chahatay hain kay job ka boss aap ka khyal rakhay aap ki salary barhae to agar boss ciggrette peta hoto to ciggrette kay filter ka piece gidar singhi mein dalnay say boss taskheer hojata hai ya khana khanay kay baad oska use kia hua tissue paper ka tokra dalnay say bhi boss aap ki taraf mael hojae ga, is gidar singhi kay aur bhi kai amliyat hain jo aap muj say rabta kar kay malum kar saktay hain,

Ahtiat: 

Is gidar singhi ko plastic kay box mein nahi rakhna chahehai, box metal, sheshay ya lakri ka ho, isay ghar kay sabhi afrad dekh saktay hain lekin ghar kay bahir ka shaks chahai woh aap ka aziz he kuo na ho na dikhani chahehai is say iski taseer khatam hojati hai, gidar singhi ko mahinay mein aik bar chand ki roshni mein 30 minutes kay liay rakhna chahehai is say oskay asrat aur barh jatay hain,

Need Sharkali Gidar singhi?

Agar aap ko asali amal ki hoi sharkali gidar singhi chahehai to aap muj say rabta kar kay lay saktay hain,

Call & whatsap: +92 03003799165

Email: ali_pirzada@yahoo.com        

InshAllah jald new posting kay sath hazir honga,

Apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga,

                                               Ali.

My Other Articles:

Gidar Singhi

Siyar Singhi

Bara Singhi

Hatha Jori

Jog Sagar





Monday, January 2, 2023

Jal Jaral

Meray aziz, dost aur meray clients ko aksar muj say yeh shikaet rehti hai kay Ali bhai aap mukhfi alom par to aksar postings apnay blog par kartay rehtay hain lekin mukhfi makhlokat kay topic par kuch share nahi kartay, woh muj say aksar jinnat, humzad, arwah, parion aur jal parion kay mutalik sawalat pochtay rehtay hain aur mein onko humaisha yahi jawab deta aya hon kay bohat jald inkay topic par bhi bohat kuch share karon ga to aaj woh waqat agaya hai, aaj mein aik khas jinnat kay raaz ko aap sab say share karnay wala hon,

Jin arabic nam hai jiska matlab yeh hai kay aysi makhlok jo insani nazaron say ojhal chop kar rehti ho aur humari dunia kay andar he aysi kai duniae abad hain jo insani nazaron say ojhal hain aur in duniao ki makhlokat mein say koi makhlok achanak zahir hojati hai aur insan is makhlok ko dekh kay hayrat mein par jata hai kay akhir yeh hai kya chez jo na to janwar jesi hai na insan jesi aur yeh makhlok humari dunia ki nahi lagti, 

Aaj kay scientific dor kay insan ki soch bhi scientific hogai hai aur aysi jinnati makhlok ko Alien ya Extraterrestrial ka nam dia jata hai yehni dosri dunia ki makhlok, humari dunia mein aysi kai jinnati makhlokat morda halat mein mili hain jisay dekh kar baray baray scientist logon ka zehan chakra jata hai kay yeh akhir kya bala hai,

Qadeem alom wa mukhfiat ki books mein in jinnati makhlokat ki bari tafseel aur onko taskheer karnay kay amliyat likhay hotay hain, aik waqt tha jab in books ki bari qadar thi lekin aaj ka insan jab yeh batain books mein parhta hai to osay yeh sab mangharat kahani lagti hai jiski koi haqeqat nahi aur jinnati makhlok kay wajod par yakin karnay ko dil nahi karta,

Mukhfi alom ki nayab books mein aik nayab book Anwar e tilsimat hai jisay Alama Rafique zahid sahab nay likhi hai is book kay end kay pages mein aik ajeeb wa gareeb jinnat makhlok kay mutalik likha hai jo kisi aur book mein is makhlok ka zikar meinay kahin nahi parha,

Allama Rafique zahid sahab nay olma e mukhfiat hakim TamTam hindi kay Rasael mein likha aik jinnati makhlok ka wakia aur amal share kia hai jo yeh hai: 

Hakim Tamtam Hindi apnay Risael mein likhta hai kay hindustan aik aysa mulk hai jahan kay dariaon qudrati chashmon, jheelon aur konwon ka pani nehaet thanda aur meetha hota hai, os mulk kay log ziada tar konwon ka pani he istamal kartay hain jo qudrati tor par saaf wa shifaf har kisam ki alodgi say mehfoz aur sehat kay liay dosray panio ki nesbat ziada mufeed hota hai, Hakim likhtay hain kay woh hindustan kay aik bohat baray shehar calcatta mein kayam pazer tha kay aik din onka aik sathi onkay pas yeh aik ajeeb khabar lay kar aya kay osnay aik jaga par logon ka bara rash dekha to woh onki taraf chal nikla wahan pohanch kar dekha to log konway kay charon taraf jamah thay aur onkay darmian aik ajeeb balisht bhar lamba aik insan mojod tha jiskay mutalik logon nay bataya kay yeh is konway kay pani say nikla hai, hakim sahab nay jab yeh khabar apnay sathi say sunni to oskay hamrah foran oski batai jaga par pohanchay jahan onkay sathi ki bayan karda tadad say kahin ziada log mojod thay jo os insan noma ajeeb makhlok ko dekh dekh kar hayrat mein ghum hoay jarahai thay, hakim sahab kay mutabik onhonay is chotay qad kay pani kay insan ko jesay bhi onsay mumkin hoa on logon say hasil karlia aur wapis apni kayam gah par akar osko aik kholay muh kay sheshay kay bartan mein band kardia aur oskay khanay penay ki tadber mein lag ghae magar os bonay insan nay intahae koshish kay ba wajod bhi kuch bhi na khaya piya, yahan tak kay woh teen roz tak bay chan parayshan aur bhoka piasa rehnay kay baad jab bilkol marnay kay qareeb pohanch gaya to achanak osnay mujay mera nam laykar pukara aur bataya kay mera talok aabi makhlok say hai jisay Jal Jaral kay nam say pukara jata hai, khuda e pak nay mujay sar say pao tak muktalif kisam kay fawaid say nawaza hai, aur os aabi makhlok nay hakim tamtam hindi ko apnay sar say lekar pao tak sabi apnay fawaid batae aur Jinnati aabi makhlok Jal Jaral ko kistarah taskheer kia jae oskay mutalik bhi amal bataya jo hakim tamtam hindi nay apnay rasael mein likha,

 

Yeh sab parhnay kay baad zehan mein kai sawalat peda hotay hain kay yeh wakia jo hindustan mein pesh aya tha kya yeh sacha wakia hai ya aysay he jhoti kahani likh di gae hai, agar yeh sacha wakia hai to is makhlok ka hindustan ki tarikh mein kahin aur jaga zikar kuo nahi hai? aur yeh aabi jinnati makhlok aik he bar nazar ai calcutta ki city mein  dobara yeh makhlok kuo nazar nahi ai? aur agar is makhlok ka wajod hai to hindustan kay aur ilakon mein yeh kuo zahir nahi hoi? hindustan kay ilawa yeh makhlok aur dunia kay mumalik mein kuo zahir nahi hoi?

In sawalat kay jawabat kisi kay pas nahi aur agar hotay to dunia mein koi na koi shaks is makhlok par tafseel say likhta lekin tarikh mein is makhlok ka zikar kahin nahi milta,

Tu kya hakim tamtam hindi nay apnay rasael mein is jinnati makhlok ka wakia likha hai woh mangharat jhoti kahani hai?

Is sawal ka jawab sirf meray pas hai aur jawab yeh hai kay hakim tamtam ka hindustani wakia 100% sacha hai aur is aabi jinnati makhlok jiska nam Jal Jaral hai iska wajod bay shak hai, yeh hakim tamtam hindi ka wakia kafi qadeem hai aur hakim sahab ka nayab rasael kis tarikh mein likha gaya aur yeh nayab rasael abhi kis kay pas hai yeh koi nahi janta,


Hayrat ki baat to yeh hai kay yeh aabi jinnati makhlok ka wakia dobara hindustan mein he pesh aya hai kuch saal pehlay, yeh aabi jinnati makhlok morda halat mein Bawadi village jodhpur Rajasthan mein puranay konway ko khudnay kay doran hasil hoi lekin afsos is makhlok ka kahin zikar nahi hai isliay osay nazar andaz kia gaya aur kai logon nay osay bandar ka bacha samaj lia to koi alien samaj raha hai, aab yeh malum nahi kay is nayab makhlok ko kahin bekar samaj kar phank dia gaya hai ya dafan kia gaya hai ya hosakta hai kisi nay chemical kay zariay isay preserved kar kay rakha ho, 

Meri yeh posting parhnay kay baad kai hindustani bhai jo alom e mukhfiat mein dil chaspi rakhtay hain is makhlok ko hasil karnay ki koshish karay ghay aur photo par nazar anay walay shaks say malumat hasil karay ghay kay is nayab makhlok ko kahan rakha gaya hai, mujay yeh news indian online channel say hasil hoi, agar kisi hindustani bhai ko is news kay mutalik mazed aur koi information milay to mein onsay guzarish karta hon kay muj say rabta kar kay share karain takay is aabi jinnati makhlok kay mutalik mazed research ki jasakay,


 

Yeh Jinnati aabi makhlok hindustan mein dosri martaba zahir hoi hai, pehlay hakim tamtam hindi kay dor mein zahir hoi pani kay konway mein say aur abhi bhi dobara pani kay konway mein say he hasil hoi hai, makhlok ka size bhi wahi same hai jo hakim tamtam hindi nay likha hai aik balisht kay size ka aur insani shape jesa, os dor mein zinda hasil hoa tha abhi kay dor mein morda hasil hoa hai, is makhlok ka basera pani kay konway mein hota hai,

Is type ki morda makhlok aur country mein say bhi hasil hoi hai lekin yeh malum nahi kay yeh makhlok bhi Jal Jaral hai ya koi aur makhlok hai?

Rab Al Aalmeen nay kai aalam banae hain jo insani nazaron say ojhal hain  aur on aalam ki makhlokat ka achanak zahir hona insani soch ko badal kar rakh deta hai aur aab science aur scientist on mukhfi aalam aur mukhfi jinnati makhlokat par research kar rahai hain Aliens, Aliens worlds ya extrateresstrial kay nam say aur kya pata kai aysay aalam khoj bhi liay hon jisay hum sab say chopaya jaraha ho?

Umeed hai kay aap ko meri yeh aabi jinnati makhlok Jal Jaral ki posting passand ai hogi, hazaron saalon purana wakia dobara repeat hona kuch oljhay sawalat ko janam deta hai jiskay jawabat mazed research say he hasil hosaktay hain,

Jal Jaral kay topic ko abhi yahin tak complete karta hon inshAllah bohat jald new topic kay sath hazir hon ga,

Apnay is Bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                            Ali.

Phone & Whatsapp: +923003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com