Pages

Monday, November 18, 2019

Ring Talisman for Love & Attaraction

Iski boti oskay sath nahi gulnay wali, yeh jomla hum nay apnay baray bozrogon ki zibani zaror suna hoga, boti ka dosri boti kay sath na gulna yeh mein aksar apnay gao mein dekha hai jab niaz wa langar kay doran 2 bakaron kay gosht ko apas mein mixed kar kay pakatay hain to kabhi 2 bakaron kay gosht ki botia apas mein mixed hokar pak jati hain lekin kabhi aysa bhi hota hai kay aik bakray kay gosht ki botia to pak jati hain lekin dosray bakray ki botia kachi ya thos hokar sakt hojati hain aur pakanay walay kay pasenay nikal atay hain pakatay pakatay, bari mehnat karta hai kay woh botia bhi thek say pak jay, mein jab yeh nazara dekhta hon to yahi jomla yaad ajata hai aur pakanay walay ko kehta hon bhai lakh koshish karlo yeh boti nahi galnay wali os boti say, jo expert hotay hain apnay kam mein onko malum hota hai kay onko kistarah gulana hai aur woh thek kardetay hain lekin jo expert nahi hotay woh khob pakatay rehtay hain jis say botia aik bakray ki pak to jati hain lekin dosray bakray ki gul kar pani hojati hain,
Insan ka bhi yahi hal hai oski boti kisi kay sath gul jati hai aur kisi kay sath nahi gulti, yehni oski apni alag nature hoti hai jo dosron say kabhi match kar jati hai kabhi nahi karti, family members mein jo aksar tutu mein mein hoti rehti hai oski waja yahi hoti hai lekin kuch isko jadu samaj letay hain kay falan par jadu kardia gaya hai meri baat nahi manta, gostakhi karta hai etc, lekin haqeqat sari yahi hoti hai kay onka mizaj aur nature aik dosray say alag hoti hain, jo chez aik ko passand hoti hai wahi chez dosray ko na passand hoti hai,
Jinki arranged marriage hoti hai onkay sath bhi yahi masla rehta hai aur woh is maslay ko jadu, saaya ya bad asrat samaj letay hain aur rohani ilaj karwatay rehtay hain, wazifay parhtay rehtay hain, nimazon mein duain mangtay rehtay hain lekin phir bhi tutu mein mein khatam honay ka nam nahi leti, waja sirf yahi hoti hai kay nature onki apas mein nahi milti,

Sitaron kay Asrat: 
Sitaron kay nayk wa bad asrat dunia ki har chez par apna asar daltay rehtay hain, sitaron kay asrat ki waja say bhi insan ki nature achi ya buri ban jati hai, aik insan jo sitaron kay bad asrat ki waja say sab say baghi hogaya ho, sab say nafarat karta ho kuon kay oski tabiat aur nature ko koi samaj na paraha ho osay agar aysa sathi dost ya biwi ki surat mein mil jay jiska star os say match hota hoto woh insan kamiab zindagi guzarta hai, woh sathi dost ya biwi lucky charm ya tawez ki tarah asar karta hai kuon kay oska dost ya biwi oski nature ko samaj letay hain aur osay sahi guide kartay hain jis say woh insan khushal rehta hai,
Same isitarah agar khushal insan ko aysa dost ya biwi mil ghai jiska star os say match nahi hoga to woh khushal insan tabha wa barbad hojay ga dost ya biwi ki galat harkaton, bataon aur mashoron say,
Jo log sitaron kay ilm par yakin rakhtay hain woh apnay star say match life partner shadi kay liay choose kartay hain, sitaron kay asrat kay kael log dunia bhar mein har jaga apko milay ghay,

Jadu kay Asrat:
Jistarah aik khana pakanay wala na gulnay wali boti ko maharat say gula leta hai same isitarah kala jadu karnay wala shaks bhi apnay ilm mein mahir hota hai aur strong say strong pyar bharay rishton mein judai aur nafrat dal deta hai, kala jadu karnay wala jadu karnay say pehlay os shaks ki janam kundali bana kar sitaron ki position check kartay hain, osko janam kundali say malum hojata hai kay kitnay dino baad os shaks ka star weak honay wala hai aur osdin woh jadu kar kay oski life ko block kardetay hain, agar star strong position mein hota hai to jadu bay asar hojata hai, agar zohal yehni saturn planet ki nahosat janam kundali mein onko dikhai deti hai to zohal say mansob kala jadu kar kay osko block kardia jata hai jis say oski shadi ya rishta kharab hojata hai,

Gemstones:   
Aaj kal aap ko har dosray shaks kay hath mein gemstone ki ring pehni hoi dikhai day gi, koi to 3 ya 4 rings pehnay hotay hain aur khud ko molai kehlatay phirtay hain, aaj kal ziada tar china kay banay fake kanch kay banay stones he apko milay ghay, real gemstone ki ring pehnay kam log he apko nazar ay ghay, jo log safar kar kay muqadas sar zameen jakar wahan say gemstones lay kar atay hain woh bhi china kay fake he hotay hain, china kay fake gemstones nay puri dunia par kabza kar rakha hai, meray apnay relatives aur friends bari khushi say gemstone mujay dikhatay hain aur batatay hain kay yeh muqadas sar zameen say lekar ay hain, aap batae kesa hai yeh stone, mein dor say dekhtay he samaj jata hon kay yeh stone china wala fake hai, aab samnay walay ko kesay bataon kay yeh nakli fake hai jisay woh bar bar chom kar apni ankhon par laga raha ho oska dil tot jay ga ya woh yeh samjhay ga kay Ali bhai ki neyat kharab hogai hai stone dekh kar aur nakli keh kar lena charaha hai, yahi waja hai mein gemstones kay topic par kam baat karta hon aur na he is topic par koi posting karta hon,
Real gemstone ki baat he kuch aur hai os mein zabardast mukhfi asrat hotay hain, agar apnay star say match gemstone pehna jay to woh shaks har bala say mehfoz aur oska sitara aysa chamakta hai kay woh insan har dil aziz aur khushal say khushal banta chala jata hai, agar koi kala jadugar oski janam kundali bana kar jadu bhi karay ga to woh jadu bay asar hojay ga kuon kay oska sitara urooj mein hota hai gemstone ki barkat say,
Jin logon ko gemstone kay asrat ka ilm hota hai woh paisa kharch kar kay asal gemstone apnay star say match pehantay hain aur kamiab zindagi guzartay hain, aaj kay dor mein fake gemstone, fake seller jo jhoti kasamay kha letay hain kay yeh stone real hai aur bari kemat wasol kartay hain aur mamoli shesha thama detay hain, fake aamil jin ko sitaron ka ilm nahi hota aysay he bol detay hain kay falan stone pehan lo aur fake ko real kehtay hain,
Asal chez, asal logon say dastiab hoti hai jo log lucky hotay hain onko khalis log aur khalis chez naseb hoti hai,

Gemstone Ring with Talisman:
Kuch log jo ilm ki samaj rakhtay hain baray sianay hotay hain, apnay star say match gemstone kay sath apnay nam kay horof kay adad letay hain aur onkay adad say match ism azam, wazifa ya qurani ayat kay adad mixed kar kay naqsh banwatay hain aur woh gemstone kay sath ring mein pehantay hain aur os ism azam, wazifay ya qurani ayat ki tilawat bhi tasbeh par kartay rehtay hain jis say onko double fawaid hasil hotay hain, gemstone ka apna alag asar aur ayaat ka apna alag asar jis say har kam mein onko kamiabi naseeb hoti hai,
British museum mein kai mosalman badshahon ki nayab gemstone ki rings rakhi hain jiskay nechay naqsh bhi rakha hai, badshah apnay olmao kay mashoray say aysi ring banwa kar pehantay thay jis say onki hifazat hoti har bala say aur kamiabi naseeb hoti jangon mein, meinay kai bozrogon ko aysi rings pehnay dekha hai jinkay nechay koi na koi naqsh hota hai jo onkay nam kay horof kay adad kay hisab say bana hota hai, mein inshAllah is topic par zaror blog par posting karon ga,

Apnay Mehbob ka Lucky charm bannay ka tarika:
Har shaks jiska mehbob hota hai dost ya biwi ki surat mein to oski humaisha yahi koshish rehti hai kay woh aysa kam karay jo meray mehbob ko passand ho aur woh humaisha sirf osi ki taraf attaract rahai, woh osay khush karnay ki har mumkin koshish karta rehta hai, lekin agar oskay mehbob ki nature he os say match na hoti hoto khushamad karna fazol hai, oska mehbob wahin attaract hoga jahan oski nature dosray say sahi match hogi, olma e rohaniat nay is maslay ko hal karnay kay liay kai tilsimat banae hain, on mein sab say asan aur foran asar dikhanay wala tilsim yahan share kar raha hon jisay alama Rafique zahid sahab nay apni kitab mein share kia tha jo istarah hai,
Agar shadi arranged hoi ho aur tabiat ya nature mia biwi ki na milti ho aik dosray say ya jadu ki waja say rishtay mein bandish hogai hoto yeh rings banwa kar pehannay say shohar biwi kay liay aur biwi shohar kay liay lucky charm ki tarah ban jati hai aur dono aik dosray kay liay lucky ban jatay hain aur love wa attaraction aik dosray kay liay barh jati hai, biwi kay star say match gemstone shohar kay pehannay say biwi humaisha oski taraf attaract rehti hai, shohar kay mashoray say osay kamiabi hasil hoti hai is ring kay asrat say shohar ki nature aur tabiat wesi ban jati hai jesi oski biwi osay dekhna chahati hai, 
Same yahi asrat biwi par bhi hotay hain woh apnay shohar kay star say match ring ka tilsim pehanti hai to oski nature aur tabiat wesi dhal jati hai jesa shohar chahata hai,
Opar photo mein 2 rings aap ko dikhae dengi aur woh naqsh jo chandi ki strip par konda hota hai jisay fold kar kay gemstone kay nechay rakha jata hai, yeh 2 rings meinay mia biwi kay liay banai thi onki detail istarah thi,
Husband ka nam: Raees khan
Date of Birth: 20 October 1982

Wife ka nam: Anila khan
Date of Birth: 26 September 1990  

Raees khan ka star date of birth say libra hai aur nam ka pehla horof "R" bhi libra ka hai, libra star ka planet venus hai isliay green agate stone tilsim kay sath banwa kar wife ko ring pehannay ko di,

Anila khan ka star date of birth say libra hai aur nam ka pehla horof "A" Aries star ka hai jiska planet mars hai isliay red aur pink agate stone lia jo planet mars aur venus dono say match hota hai woh stone tilsim kay sath ring bana kar husband ko di,

Isi astro hisab say ring banai jati hai nam ka star aur date of birth ka star dono dekh kar waisa stone chose kia jata hai, 

Meray pas kuch arsa pehlay mia biwi ay thay jinki 3 chotay bachay bhi thay, onhonay bataya kay humari love marriage hoi hai, ghar walay pehlay razi na thay aab hogay hain, zindagi khushal guzar rahi hai kisi chez ki kami nahi lekin aik masla humaray darmian peda hogaya hai woh yeh kay humaray darmian aab woh muhabat aur attaraction nahi rahi jo pehlay hoa karti thi, aab humay aik dosray ki surat achi nahi lagti, dekhtay he apnay aap ghusa sa ajata hai, hum bistari kay waqat bhi aik dosray say ghin see anay lagti hai, halankay pehlay aysa kuch bhi nahi tha, hum dono aab alag alag rooms mein sotay hain, humay in jadu tonay, jhar phonk kay kamo mein bilkol bhi yakin nahi tha, lekin aab hum mia biwi is baat par ghor kar rahai hain kay koi andekhi kowat ya force humay aik dosray say juda kar rahi hai aur yeh masla din ba din barhta he jaraha hai, hum mia biwi jhagra karnay kay baad jab aik dosray ko sorry keh kar aik dosray kay ansu saaf kartay hain aur apni soch ko aik dosray say share kartay hain kay yeh akhir ho kya raha hai, agar yeh jadu hai to kon karwa raha hai kisi ki hum say kya dushmani hogi aur osay hum dono ko juda kar kay kya hasil hoga, agar hum is jadu ka tor bhi karwatay hain to dobara woh karwatay rahain ghay aur hum tor karwatay phiray ghay kya yeh silsila sari omar rahai ga? agar yeh sitaron ki gardish ki waja say problem hai to yeh gardish khatam honay ka nam kuon nahi lay rahi? agar problem ghar mein hai to ghar to hum change kartay ay hain, akhir iska hal kya hai?
On dono nay kaha kay Ali bhai hum nay aap ki bari tarif suni hai aap kay blogs read kiay hain, aap humara masla hal karain humay aik dosray say juda nahi hona, koi aysi chez dain jis say hum dono mein shaded muhabat peda ho, humay koi simple sa tilsim dain,
Meinay onko yeh khas tilsimati rings bana kar di jis say onko bohat faida hasil hua aur jo bad asrat thay jiski waja say on mein judai peda horahi thi woh bad asrat jo onki bodies mein dakhil thay jiski waja say aik dosray ki surat achi nahi lag rahi thi on bad asrat ka khatma hogaya aur woh aik dosray say shaded muhabat karnay lagay aur aik dosray ki tabiat wa nature ko samaj lia aur khud ko waisa he dhal lia,
Meinay jab yeh rings mia biwi ko bana kar di to husband nay kaha kay Ali bhai mera star to alag hai aur mera birthstone bhi alag hai, aap nay jo stone dia hai yeh meray star say match nahi to kya yeh muj par raas ay ga? meinay osay bataya kay yeh birthstone aap kay luck kay liay nahi yeh tilsim hai jis say aap ki biwi aap ki taraf mael ho attaract ho aur khob pyar karay, wife ki date of birth say match birthstone pehannay ka maksad yeh kay aap ki nature waisi hojay jesi aap ki wife chahati hai, is ring say aap ki nature waisi dhal jay gi jaisi aap ki wife aap ko dekhna chahati hai, tabhi woh aap ki taraf mael hogi, woh tilsim jo stone kay nechay hai wahi sab kam karta hai, bad asrat ya stone kay asrat jo ras na bhi atay hongay aap par to yeh tilsim osay aap par parnay nahi day ga, yeh tilsim jis olma e rohaniat nay banaya hai soch samaj kar banaya hai, apnay mehbob ko apni taraf attaract karnay ka is say asan tilsim aur kya hoga,

Talisman Ring for Fiance: 
Yeh ring fiance yehni mangaytar kay liay bhi pehni ja sakti hai jo kisi waja say love aur attaraction khatam hogaya ho aur doria barhti jarahi hon, yeh ring meinay aik larki ko bana kar di thi jiska fiance germancy mein tha, larki nay bataya kay pehlay mera fiance daily sari raat muj say video call par baat kia karta tha aab haftay mein aik ya do bar baat karta hai woh bhi kam aur khafa sa rehta hai, pochnay par yahi jawab deta hai kay job ki waja say busy hai, hum dono mein aksar jhagra rehta hai, pehlay wali muhabat aab nahi rahi, mujay dar hai kay kahin hum juda na hojay aur woh germany mein he shadi kar kay wahin na sattle hojay, meinay yeh ring ka tilsim jab os larki ko dia to oska fiance normal hogaya aur oski taraf he attaract rehnay laga,

Talisman Ring for Lover:
Agar aap kisi say muhabat kartay hon aur apka mehbob aap ki taraf bilkol bhi attaract na hota ho aur dosron par attaract hota ho aap ko koi ahmiat na deta hoto apnay mehbob ki date of birth malum kar kay oskay star say match gemstone aur tilsim ki ring banwa kar pehannay say aap apnay mehbob ko apni taraf attaract kar lain ghay, aap ki shaksiat bhi waisi hojay gi jesa aap ka mehbob chahata hai, agar date of birth malum na hoto nam kay pehlay horof kay star ko malum kar kay bhi ring banai jasakti hai,
Meinay yeh ring aik shaks ko bana kar di thi osay bohat is say acha faida hasil hua aur oski apnay mehbob say he shadi hogai, woh shaks aik larki say pyar karta tha lekin woh larki osay sirf apna aik acha dost samajti thi aur dosray larkon par attaract hoti thi aur onki tarif karti rehti thi, os shaks nay jab larki say shadi ki baat ki to larki nay muskaratay hoay jawab dia kay tum sirf dost ho meray bas iskay ilawa meray andar koi aysi feelings nahi aati pyar vyar ki agar hum shadi kar bhi lain to mein khush nahi rahon gi kuo kay tum meray ideal nahi ho, mera jo ideal hoga jisay mein apna life partner banao gi woh bohat special hoga, tum udas mat ho tum say humdardi hai humaisha rahai gi, meri dua hai tumko achi see biwi mil jay, 
Yeh batain larki ki os shaks ko aysi lagi jesay kisi nay dil par keel rakh kay dhonk di ho aur dil phat sa gaya ho, woh khud ko haqeer sa samajnay laga yehni larki ospar jaisay taras kha rahi ho woh oski nazar mein haqeer ho, meray mashoray par jab os shaks nay ring ka tilsim pehna larki kay star say match gemstone ring mein to larki oski taraf attaract honay lagi aur khud he apnay mu say kaha kay yar sab larkay bakwas hain jo batain jo apna pan tum say mila mujay woh kisi aur say nahi mujay mil sakta isliay mein tum say shadi karna chahati hon, is ring say os shaks ki shaksiat badal see ghai pehlay woh larki kay pechay phirta rehta tha lekin phir os mein thrao sa agaya woh larki say khicha khicha sa rehnay laga aur apni alag see personality bana li jis say larki oski taraf attaract hogai aur woh oska ideal ban gaya,

Talisman Ring for Friend:
Agar kisi ka koi gehra dost ho aur woh kisi maazi ki baat say dokhi ya naraz rehta ho aur dosti kay rishtay mein woh baat na rahi ho jo pehlay thi dost khincha khincha sa rehta ho, zahiri dosti nibhata ho lekin andar say nafrat peda hochoki hoto yeh tilsim wali ring dost kay star ya nam kay horof say match banwa kar pehannay say dost maazi ki sari batain bhol kar oski taraf attaract rehta hai,

Talisman Ring for Boss or Officer:
Agar kisi shaks ki job mein boss ya officer dosron ko ahmiat deta ho aur os shaks ko bilkol koi ahmiat na deta ho aur os say ghusa karta ho, job say nikal denay ka dar laga rehta hoto boss ya officer kay star ya nam kay horof kay mutabik ring banwa kar pehannay say boss ya officer oski taraf attaract rehta hai, osay ahmiat denay lagta hai,

Talisman Ring for Family Member:
Agar family mein kisi shaks ka walid sab ko ahmiat deta ho aur os shaks ko bilkol koi ahmiat na deta ho aur humaisha os say ghusa karta ho, nature aur tabiat baap betay ki bilkol na milti ho ya jadu say kisi nay baap betay kay rishtay mein bandish dal rakhi hoto is tilsimi ring ko apnay walid kay star ya nam kay mutabik pehannay say oska walid osko ahmiat denay lagta hai aur woh shaks apnay baap ka ladla ban jata hai, yeh ring walda, behan, bhai ya kisi aur rishtaydar kay liay bhi banai jasakti hai,

Need Talisman Ring?
Agar aap ko yeh khas tilsimati ring banwani hoto aap muj say rabta kar kay jab chahai banwa saktay hain, ring kay ilawa locket bhi banaya jasakta hai jo istarah hota hai,
Is khas tilsimati ring ya locket say aap apnay pyaron, apnay mehbob ya kisi kay bhi lucky charm ban saktay hain aur osay apni taraf mael ya attaract kar saktay hain,

Rabtay kay liay aap is number par call, sms ya whatsapp kar saktay hain: 
Phone: +92 03003799165
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com     

InshAllah new posting kay sath jald hazir honga,
Duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                                        Ali. 

Sunday, November 3, 2019

The Siyar Singhi Talisman

Siyar Gidar ko kaha jata hai, Siyar singhi aur Gidar singhi aik he chez hai aur dono gidar kay sar ya mathay say hasil hoti hai, dono mein fark sirf itna hai kay Siyar singhi kay baal soft silky resham jesay hotay hain aur Gidar singhi kay thoray sakht hotay hain,
Kuch olma e rohaniat kehtay hain kay gidar singhi mein kuch mukhfi jalali asrat bhi hotay hain aur woh tab asar andaz hotay hain jab gidar singhi ki care thek say na ki jay lekin Siyar singhi mein koi negative asrat nahi hotay, kuch olma e rohaniat kay mutabik Gidar singhi mein masculine energy hoti hai aur Siyar singhi mein feminine energy hoti hai tabhi mardon ko kam aurton ko ziada Siyar singhi say faida hasil hota hai aur Gidar singhi say mardon ko ziada faida milta hai,
Qadim Hindustani aurtay Siyar singhi ko khubsurat Jewellery box kay hidden khano mein dosron ki nazron say chopa kay rakhti thi aur siyar singhi kay sath husband kay baal ya oski used koi chez rakhti thi, woh aksar husband say mating kay waqat thora sa sindoor siyar singhi kay box say leti aur apnay mathay ki maang mein laga deti thi, is secret ritual say oska husband oskay puray control mein rehta tha aur sirf osi ki taraf attaract rehta hai, Siyar singhi kay mukhfi asrat say osay dolat, khubsurti aur attaraction jesay power miltay thay aur jewellery box humaisha gold say bhara rehta tha,

What is Siyar or Gidar Singhi? 
Pakistan aur Hindustan kay kai log Gidar singhi aur Siyar singhi ko hasil karnay ki chahat rakhtay hain lekin onko yeh malum nahi hota kay yeh akhir hoti kya chez hai? jis mahir e rohaniat shaks say woh isay hasil kartay hain woh onko tarah tarah ki batain aur kahania sunata hai aur os mahir e rohaniat shaks ko khud bhi malum nahi hota kay yeh kya chez hai osay iska koi ilm nahi hota,
Iski misal fakir kay kalay kashkol ki tarah hai, aap muktalif fakiron say poch kay dekhain ya sawal karain kay yeh kashkol kya hota hai? to har fakir aap ko iskay mutalik muktalif  jawab day ga, koi to aysi batain aur kisay sunae ga kay aap ko hasi ajay gi onki ajeeb bataon say, koi fakir kehta hai kay kashkol aik seep ki tarah kay janwar ka khol hai jo samandar ki teh mein rehta hai, koi fakir kehta hai yeh samandar kay andar mojod darakht ka phal hai to koi pathar kehta hai, jitnay mu otni batain aap ko sunnay ko milay gi, onki bataon say apko andaza hojay ga kay woh bicharay khud nahi jantay kay kashkol hai kya chez,
Science nay aaj bohat taraqi kar li hai humay har sawal ka jawab internet search par ba asani mil jata hai, fakir kay kalay kashol ki sari information ba asani net par mil sakti hai kay yeh aik samandari coconut hai jisay coco de mer kehtay hain iskay trees samandar kay kinaray hotay hain jab phal gir kar samandar ki teh mein chalay jatay hain to kafi arsa teh mein rehnay say kalay aur sakht pathar ki tarah ban jatay hain aur isi ko kashkol kaha jata hai,
Same isitarah gidar singhi ki aap thori net par research karay ghay to apko oski haqeqat clear malum hojay gi kay yeh hoti kya chez hai, aap ki asani kay liay mein yahan he sab kuch share kar deta hon kay yeh kya chez hoti hai, aaj say pehlay kisi nay nahi bataya hoga yeh sach aur is raaz ko mein aap sab say share kar raha hon,
Mujay kuch arsa pehlay country usa say aik pakistani bhai nay rabta kia aur kaha kay Ali bhai aap ki blog posting gidar singhi ki dekhi jo mujay bohat passand ai, meinay apnay walid aur dada ki zibani bachpan mein yeh baat suni thi kay yeh bohat zabardast chez hoti hai, Ali bhai mujay yeh chez aap say leni hai lekin kuch sawalat zehan mein peda hotay hain aap agar bura na manae to kuch aap say poch sakta hon? meinay osay kaha kay aap dil ki tasali kay liay jo pochna chahai poch saktay hain, 
Osnay pehla yeh sawal pocha kay Ali bhai gidar singhi hoti kya chez hai? yeh koi alag say janwar hai jo sindoor ko kha kar zinda rehta hai aur oskay baal barhtay rehtay hain ya yeh koi bay jan sirf seeng ya hadi baalon mein lapeti hoi hai jisay as a good luck charm rakha jata hai?
Dosra sawal osnay yeh pocha kay Ali bhai yeh sirf Hindustan aur Pakistan mein he kuo gidaron kay saron mein peda hoti hai dosray mumalik mein kuon peda nahi hoti wahan bhi aik say aik gidar hotay hain, yeh gorakh dhanda sirf hindustani aur pakistani saperay he kuo jantay hain aur dunia mein kuon iskay mutalik humay kahin koi information nahi milti? bas Ali bhai tabhi soch zehan mein peda hoti hai kay gidar singhi aik Hoax man gharat chez hai oski koi haqeqat nahi,
Isitarah mujay aik indian shaks nay bhi rabta kia tha osnay bataya kay osnay sari omar gidar singhi par research ki hai, hindustan ki koi jaga nahi chori har jaga gaya, jahan jis nay bataya kay falan shaks kay pas asal gidar singhi hai, bohat paisa kharch kia aik say aik mehangi aur nayab gidar singhia li, lekin phir malum hoa kay yeh sab Hoax man gharat batain hain, gidar kay sar par koi seeng wagayra peda nahi hota, Aap nay net par acha blog banaya hai gidar singhi kay topic par aur kafi achi information bhi di hai, mujay aap say gidar singhi nahi chahehai, mujay aap say gidar ka woh pura sar chahehai jis mein gidar singhi lagi ho, mein khuda kay fazal say business man hon mera business puray world mein phela hua hai, aap mujay gidar ka woh sar hasil kar kay dain aap jitnay bhi paisay kahai ghay mein denay kay liay taiyar hon, mera banda khud akar aap say woh sar lay jay ga jahan bhi aap osay bolae ghay, agar aap kay pas gidar ka aysa sar abhi mojod nahi to aap paisay pehlay batae mein abhi online western union say apko send kardeta hon aap please meray liay aysa sar talash karain koi jaldi nahi mujay jitna waqat apko chahehai aap lain aur mujay hasil kar kay dain,
In dono shaks nay jo batain ki yeh batain har os genious aur zaheen shaks kay zehan mein peda hoti hongi jo gidar singhi hasil karna chahata hoga, oska zehan double minded hota hoga, aik taraf osko yakin bhi hoga apnay baron say oski haqeqat suni hogi to dosri taraf kay yar yeh hoti kya chez hai aur scientifically iska kya prove hai, yeh janwar hai ya aysai koi lucky charm hai, kahin yeh Hoax to nahi?
In dono shaks ko meinay aysi information di jis say dono mutamin hokar bohat khush hoay, meray ilm ki tarif ki meri tarif ki, USA walay shaks nay kai gidar singhia muj say li aur indian shaks ko meinay aik shikari banday kay mutalik bataya jis say osay ba asani gidar singhi laga gidar ka sar mil sakta tha, 
In dono shaks nay mujay kaha kay aap nay jo behtarin information humay di hai yahi sab aap apnay blog par share karain, humari tarah kai logon kay zehan mein aysi negative soch aati hongi, on sab ko sahi jankari milna chahehai takay gidar singhi ki haqeqat aur oski sachai ko samaj sakain,

Gidar Singhi Found in USA:
CNN news channel par khabar ai thi kay December 30, 2015 mein weston, idoho kay ilakay kay aik shikari nay pahari shayr ka shikar kia to shayr kar sar par osnay aik anokhi seeng aur danton jesi chez oghi hoi dekhi jo pehlay osnay kabhi kuch aysa janwar kay sar par na dekha tha, osay samaj nahi aya kay yeh kya chez hai ya koi alien hai, osnay forsenic scientists ko yeh sab dikhaya to onko bhi samaj nahi aya, CNN news kay mutabik ospar research jari hai kay yeh seeng ya daant noma chez shayr kay sar par kuon aur kesay peda hoi,
CNN news channel par yeh khabar anay kay baad kai shikari log social sites par posting karnay lagay aur bataya kay shikar kay doran humay bhi kai aysay deformed animals miltay rehtay hain jinkay saron par seeng, nakhon, baalon ki lat ya daant lagay hotay hain, aik shikari shaks nay achi posting ki hai jis mein aik shayr ki skull dikhai hai jis mein seeng laga hai,
Opar images mein 2 skulls hain aik normal shayr ki hai aur aik deformed hai jispar seeng laga saaf nazar araha hai,
CNN news ki is khabar say medical scientists bhi active hogay aur onhonay postings par bataya kay yeh aik Tumor hota hai jo aik bimari ki waja say sar mein peda hota hai, is tumor kay peda honay say sar mein hadi jesi koi chez ya dant noma ya seengh peda hojata hai aur kabhi baalon ka gocha peda hota hai to kabhi seeng aur kuch baalon ka gocha sath sath barhnay lagtay hain,
Is Tumor ka nam Tertoma hai, yeh tumor agar insan kay sar par peda hojay to insan kay sar mein bhi seeng ogh atay hain,
American shikari nay bataya kay onko deformed janwar shikar kay doran miltay rehtay hain jinkay sar mein kuch na kuch ogha hoa hota hai,

Woh onko bimari samaj kar nazar andaz kar kay phank detay hain, on shikario ko iska koi ilm nahi hota, India aur Pakistan mein shayr kam gidar ziada hain aur bimaria bhi ziada hain isi waja say yahan gidar deformed milna jiskay sar par seengh ho ya baalon ka gocha koi bari baat nahi, Saperay log gidar kay sar mein lagay tumor ko nikal kar gidar singhi bana letay hain aur kuch muktalif janwaron kay tumor ko bhi gidar singhi ka nam day kar sale kartay hain, jo ilm wala hoga woh samaj jay ga kay yeh gidar kay sar say nikla hai ya bakri kay sar say,

Gidar singhi aik Tumor hai:


Je han Gidar singhi aik tumar hai jiska nam Tertoma hai, is tumor mein baal, hadi, dant ya seengh apnay aap barhtay rehtay hain, agar aap is tumor ko gidar kay sar mein say joda kardain tab bhi iskay baal aur seengh apnay aap barhtay rehtay hain kuon kay iskay andar dikhai na denay walay micro insects ya keeray hotay hain, yeh micro keeray sindoor ko khatay hain yeh hikmat qadeem saperon ko malum thi tabhi janwar kay sar mein say yeh tumar nikal kar sindoor mein rakha jata tha jis say woh saalon saal kharab nahi hotay thay aur sindoor kha kar zinda rehtay thay baal aur seengh bhi bara hota rehta tha, 
Kuch tumar mein micro keeray ziada miqdar mein baray hojatay hain jis say kuch gidar singhi mamoli harkat karti dikhai deti hain to kuch ko hath mein rakhnay say oski dharkan feel hoti hai jesay dil gidar singhi ka dharak raha ho, woh dil nahi keeray hotay hain,
Agar aap bina sindoor lagae gidar singhi ko isitarah rakh dain to kuch arsay baad woh micro keeray bhokay hokar aik dosray ko khanay lag jay ghay aur baray size kay hotay jay ghay aur gidar singhi phol kar phat jay gi aur keeray sab bahir nikal ay ghay,

Yeh sab raaz aap ko kisi nay nahi bataya hoga, aaj dor science ka hai, meinay scientific nazriay say yeh sabit kardia hai kay gidar singhi koi hoax ya man gharat chez nahi aik haqeqat hai aur os mein chopay mukhfi asrat say insan ko fawaid bhi hasil hotay hain,

The Sacred Tumor:
Gidar kay sar mein bimari ki waja say nikalnay wala yeh tumor apnay andar zabardast mukhfi asrat samae hoay hai, Tumor to shayr,gadhay aur kai janwaron kay saron mein say bhi nikaltay hain lekin on mein koi mukhfi asrat nahi hotay, Gidar singhi kay asrat kay kael sadion say log rahai hain aur aaj bhi oskay asrat kay log bohat kael hain aur tajorbay say yeh baat sabit hoi hai kay kuch to aysa mukhfi hai is mein jis say aik tabha hal insan khushal ban jata hai, gidar singhi ki tarah aur bhi kai aysi nayab chezain hain jo janwaron aur darakhton mein bimari ki waja say peda hoti hain woh insano kay liay shifa ka bais banti hain aur oski hikmat ka ilm bohat kam logon ko hota hai,

Gidar singhi ki Aksam:
Gidar singhi ki kai aksam hain aur yeh aksam hazaron ki tadad mein hain, Deformed gidar kay sar mein say nikalnay walay tumor mein kabhi ajeeb see hadia peda hokar obhar ati hain jo button jesay shape mein hoti hain ya phir hook ya cow kay seengh kay shape mein ya kabhi spiral saanp jesay shape mein hoti hain, in gidar singhio ko muktalif nam diay ghay hain, jesay sadukari, ling, naaga wagayra, isitarah dant ya nakhon bhi tumor mein nikal atay hain, in aksam wali gidar singhio ko motia aur nakhi kehtay hain, kuch tumor mein hadi, seengh, dant ya nakhon nahi hota sirf chand lambay baal nikalay hotay hain ya baalon ki lambi chotia see hoti hai, is aksam ko mohini aur moch kaha jata hai, kuch tumor mein baalon kay sath seengh, hadi, dant ya nakhon hota hai osay saam kaha jata hai, har aksam ki gidar singhi kay fawaid bhi dosri aksam say joda hotay hain aur yeh sadion kay tajorbat say malum hoay hain,

The Siyar Singhi:
Yeh Gidar singhi ki aik nayab aksam mein say hai, kafi log jo iska ilm rakhtay hain woh gidar singhi say ziada siyar singhi lena passand kartay hain, kai khuwateen jinko siyar singhi ka ilm hota hai muj say leti rehti hain, mein jab onko kehta hon kay siyar singhi mojod nahi gidar singhi mojod hai aur oskay fawaid bhi same hain to woh gidar singhi lena passand nahi karti, woh kehti hain kay gidar singhi aurton kay moafik nahi aati siyar singhi moafik aati hai,
Kuch secret gupt rituals jo khuwateen sadion say siyar singhi kay zariay karti hain woh yahan share karta hon,
Qadim bengal ki aurton ko siyar singhi ko use karnay ka bohat ilm tha aur aaj bhi bengal aur kuch indian aurtay yeh amal karti hain jo onko bari bozrog aurton kay zariay milta hai kay shohar ko apnay kabu mein rakha jay, har aurat ki yeh khuwaish hoti hai kay jis mard kay sath sari zindagi guzray gi woh mard sirf osi ka hokar rahai, dosron ki bataon mein behak kar os say juda na hojay ya dosri khubsurat aurat kay hosan mein akar oski taraf mael na ho, laray jhagray na, khub muhabat wa izat karay, har baat manay, aur dosri khuwaish yeh hoti hai kay khob dhan dolat wa sona ho aur zindagi aysh wa ishrat say guzray,
Har ma bhi yahi chahati hai kay oski beti apnay ghar shohar kay sath khushal rahai isliay beti ko shadi ki raat siyar singhi oski walda chopa kar deti hai aik maksos jewellery box mein hidden secret khana hota hai, opar gold ki jewellery hoti hai aur nechay siyar singhi hoti hai, ma beti ko kehti hai kay mujay bhi meri ma nay di thi aur mein bhi tum ko day rahi hon, isay shohar ki nazaron say chopa kay rakhna, is mein shohar kay baal dal dena aur apnay new ghar kay kitchen say 11 choti ilaichi aur 11 loong dal dena, iski barkat say ghar mein khushali ay gi, dolat barhai gi aur shohar muhabat karay ga aur tabaydar rahai ga kabhi juda na hoga,
Muj say ziada tar bari mature aurtay he siyar singhi leti hain maybe woh apni beti ko denay kay liay leti hongi,
Job karnay wali ya social kam karnay wali khuwateen bhi siyar singhi rakhti hain, kisi baray officer say koi kam karwana ho ya job mein taraqi karni hoto siyar singhi kay secret box mein job kay boss ya officer ka used tissue paper ka chota tokra jo osnay khana khanay kay baad os say hath saaf kiay hon woh siyar singhi mein dalnay say boss ya officer oska tabaydar ban jata hai har baat oski mannay lagta hai,
Attaraction ya logon ko apni taraf mael karnay ya taskheer karnay kay liay choti bottle mein oil dal kar os mein baal aur nakhon dal kar woh bottle naya chand dekh kar dali jay aur pura month os mein para rehnay kay baad dosray month kay new chand ko dekh kar woh bottle nikal kar oska oil kisi ittar ki bottle mein mix kardia jay aur nakhon aur baal siyar singhi mein bhi para rehnay dia jay, os khas ittar ko use kar kay social kam karnay kay doran log oski taraf attaract hongay aur oski sunnay ghay oskay khilaf nahi jay ghay,
Agar kisi say muhabat ho aur woh shaks shadi na karna chahata ho sirf dosti ka kehta ho ya shadi ka sirf asra deta hon aur nae nae bahanay bana kar shadi ki baat ko tal deta hoto oska used tissue paper kay chota tokra hasil kar kay oska nam aur apna nam likh kar siyar singhi mein dalnay say woh shaks jald shadi par razamand hojata hai,
Dolat hasil karnay kay liay, karz say nijat kay liay used gold ki koi bhi jewellery siyar singhi kay box mein dali jati hai,
Aur bhi kai amliyat hain jo sab kay sab yahan share nahi kiay jasaktay, jo log muj say letay hain onkay masael malum kar kay waisay amliyat onko guide karta hon,

Kya Siyar singhi mard hazrat ko faida deti hai?
Kuch olma e rohaniat kehtay hain kay gidar singhi mardon kay liay moafik rehti hai aur siyar singhi aurton kay liay moafik rehti hai, lekin tajorbay say yeh dekha gaya hai kay kuch aurton kay pas gidar singhi hoti hai onko is say bohat fawaid hasil hotay hain aur same isitarah kuch mardon kay pas siyar singhi mojod hoti hai aur onko bhi os say fawaid hasil hotay hain, jis shaks kay pas siyar singhi male aur female dono mojod hon oski taraf khuwateen attaract hoti hain aur khob dolat hath aati hai,
Agar kisi shaks ki koi shop hoto siyar singhi ko shop kay cashbox mein rakha jay aur jahan har waqat bethta hai wahan nechay farsh par tissue paper rub kar kay dust li jay aur oska chota tokra siyar singhi mein dal dia jay to shop mein zabardast barkat hoti hai aur customers oski shop ki taraf attaract hotay hain,
Jis shaks ki shadi na hoti ho aur job ka bhi humaisha masla rehta ho ya job na milti ho, shadi mein rikawat hoti hoto woh siyar singhi ko apnay bedroom mein andheri jaga par chopa kay rakhay shadi aur job ki neyat kar kay to osay achi biwi aur achi job naseeb hoti hai,
Khuwateen ki taskheer ya attaraction kay liay 7 kunwari khubsurat larkion kay nakhon ya onkay used tissue papers kay chotay 7 pieces siyar singhi kay box mein ittar kay drops kay sath dalnay say woh shaks attaractful personality ka hamil ban jata hai khuwateen oski taraf attaract hoti hain,
Aur bhi kai iskay amliyat hain aap muj say rabta kar kay malum kar saktay hain,

Siyar singhi ki care aur rakhnay ka tarika: 




Siyar singhi ko khuwateen aysay box mein rakhain jis mein gold ki jewellery bhi sath rakhi hon, agar gold nahi hai to jahan paisay ya kemati chezain rakhi jati hain wahan rakhi jasakti hai,
Mard hazrat cashbox mein rakh saktay hain, har tesray month mein sindoor check kia jata hai agar sindoor kam hojay to mazeed aur fresh dal dia jata hai,
Siyar singhi mein sirf loong aur choti ilaichi dali jati hai iskay ilawa aur koi bhi herbs ya dosri koi chez nahi dali jati, gidar singhi mein sab kuch dala jata hai lekin siyar singhi mein 4 chezain hoti hain loong, ilaichi, sindoor aur khushbu hoti hai,
Siyar singhi bilkol gupt chopa kay rakhi jati hai kisi ko dikhai nahi jati, plastic kay box mein nahi rakhi jati aur na oskay barhay hoay baray baal katay jatay hain,

Siyar singhi ki pehchan: 
Mein opar bata choka hon kay siyar singhi kay baal resham silky soft hotay hain, fresh aur kharay hoay baal active honay ki nishani hai, agar baal morjhae hoay hon ya totnay lagay to yeh morda ya fake honay ki nishani hai, female baray size ki aur male chotay size ka hota hai, male siyar singhi kay baal kanton ki tarah kharay hotay hain, kuch male siyar singhi mein seengh hota hai aur kuch mein nahi hota sirf baal hotay hain,

Siyar singhi ki aksam: 
Siyar singhi kai aksam ki hoti hain jiskay mutalik mein inshAllah bohat jald share karon ga,

Need Siyar singhi Talisman?
Agar aap ko asal siyar singhi ki talash hai aur aap ko oski zarorat hai to aap muj say rabta kar kay hasil kar saktay hain aur oskay amliyat muj say malum kar saktay hain apnay masael bata kar, is tilsim say aap apni life behtar say behtar bana saktay hain,
Rabtay kay liay Phone, Sms ya Whatsap kar saktay hain is number par: +92 03003799165 
ya e-mail bhi kar saktay hain: ali_pirzada@yahoo.com 

Umeed hai aap ko meri yeh anokhi posting zaror passand ai hogi,
apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga, inshAllah jald he new posting Humzad kay topic par dobara hazir hon ga,

                                                  Ali. 
 My Other Articles:

Gidar Singhi

Bara Singhi

Sharkali Singhi

Hatha Jori

Jog Sagar