Pages

Monday, January 2, 2023

Jal Jaral

Meray aziz, dost aur meray clients ko aksar muj say yeh shikaet rehti hai kay Ali bhai aap mukhfi alom par to aksar postings apnay blog par kartay rehtay hain lekin mukhfi makhlokat kay topic par kuch share nahi kartay, woh muj say aksar jinnat, humzad, arwah, parion aur jal parion kay mutalik sawalat pochtay rehtay hain aur mein onko humaisha yahi jawab deta aya hon kay bohat jald inkay topic par bhi bohat kuch share karon ga to aaj woh waqat agaya hai, aaj mein aik khas jinnat kay raaz ko aap sab say share karnay wala hon,

Jin arabic nam hai jiska matlab yeh hai kay aysi makhlok jo insani nazaron say ojhal chop kar rehti ho aur humari dunia kay andar he aysi kai duniae abad hain jo insani nazaron say ojhal hain aur in duniao ki makhlokat mein say koi makhlok achanak zahir hojati hai aur insan is makhlok ko dekh kay hayrat mein par jata hai kay akhir yeh hai kya chez jo na to janwar jesi hai na insan jesi aur yeh makhlok humari dunia ki nahi lagti, 

Aaj kay scientific dor kay insan ki soch bhi scientific hogai hai aur aysi jinnati makhlok ko Alien ya Extraterrestrial ka nam dia jata hai yehni dosri dunia ki makhlok, humari dunia mein aysi kai jinnati makhlokat morda halat mein mili hain jisay dekh kar baray baray scientist logon ka zehan chakra jata hai kay yeh akhir kya bala hai,

Qadeem alom wa mukhfiat ki books mein in jinnati makhlokat ki bari tafseel aur onko taskheer karnay kay amliyat likhay hotay hain, aik waqt tha jab in books ki bari qadar thi lekin aaj ka insan jab yeh batain books mein parhta hai to osay yeh sab mangharat kahani lagti hai jiski koi haqeqat nahi aur jinnati makhlok kay wajod par yakin karnay ko dil nahi karta,

Mukhfi alom ki nayab books mein aik nayab book Anwar e tilsimat hai jisay Alama Rafique zahid sahab nay likhi hai is book kay end kay pages mein aik ajeeb wa gareeb jinnat makhlok kay mutalik likha hai jo kisi aur book mein is makhlok ka zikar meinay kahin nahi parha,

Allama Rafique zahid sahab nay olma e mukhfiat hakim TamTam hindi kay Rasael mein likha aik jinnati makhlok ka wakia aur amal share kia hai jo yeh hai: 

Hakim Tamtam Hindi apnay Risael mein likhta hai kay hindustan aik aysa mulk hai jahan kay dariaon qudrati chashmon, jheelon aur konwon ka pani nehaet thanda aur meetha hota hai, os mulk kay log ziada tar konwon ka pani he istamal kartay hain jo qudrati tor par saaf wa shifaf har kisam ki alodgi say mehfoz aur sehat kay liay dosray panio ki nesbat ziada mufeed hota hai, Hakim likhtay hain kay woh hindustan kay aik bohat baray shehar calcatta mein kayam pazer tha kay aik din onka aik sathi onkay pas yeh aik ajeeb khabar lay kar aya kay osnay aik jaga par logon ka bara rash dekha to woh onki taraf chal nikla wahan pohanch kar dekha to log konway kay charon taraf jamah thay aur onkay darmian aik ajeeb balisht bhar lamba aik insan mojod tha jiskay mutalik logon nay bataya kay yeh is konway kay pani say nikla hai, hakim sahab nay jab yeh khabar apnay sathi say sunni to oskay hamrah foran oski batai jaga par pohanchay jahan onkay sathi ki bayan karda tadad say kahin ziada log mojod thay jo os insan noma ajeeb makhlok ko dekh dekh kar hayrat mein ghum hoay jarahai thay, hakim sahab kay mutabik onhonay is chotay qad kay pani kay insan ko jesay bhi onsay mumkin hoa on logon say hasil karlia aur wapis apni kayam gah par akar osko aik kholay muh kay sheshay kay bartan mein band kardia aur oskay khanay penay ki tadber mein lag ghae magar os bonay insan nay intahae koshish kay ba wajod bhi kuch bhi na khaya piya, yahan tak kay woh teen roz tak bay chan parayshan aur bhoka piasa rehnay kay baad jab bilkol marnay kay qareeb pohanch gaya to achanak osnay mujay mera nam laykar pukara aur bataya kay mera talok aabi makhlok say hai jisay Jal Jaral kay nam say pukara jata hai, khuda e pak nay mujay sar say pao tak muktalif kisam kay fawaid say nawaza hai, aur os aabi makhlok nay hakim tamtam hindi ko apnay sar say lekar pao tak sabi apnay fawaid batae aur Jinnati aabi makhlok Jal Jaral ko kistarah taskheer kia jae oskay mutalik bhi amal bataya jo hakim tamtam hindi nay apnay rasael mein likha,

 

Yeh sab parhnay kay baad zehan mein kai sawalat peda hotay hain kay yeh wakia jo hindustan mein pesh aya tha kya yeh sacha wakia hai ya aysay he jhoti kahani likh di gae hai, agar yeh sacha wakia hai to is makhlok ka hindustan ki tarikh mein kahin aur jaga zikar kuo nahi hai? aur yeh aabi jinnati makhlok aik he bar nazar ai calcutta ki city mein  dobara yeh makhlok kuo nazar nahi ai? aur agar is makhlok ka wajod hai to hindustan kay aur ilakon mein yeh kuo zahir nahi hoi? hindustan kay ilawa yeh makhlok aur dunia kay mumalik mein kuo zahir nahi hoi?

In sawalat kay jawabat kisi kay pas nahi aur agar hotay to dunia mein koi na koi shaks is makhlok par tafseel say likhta lekin tarikh mein is makhlok ka zikar kahin nahi milta,

Tu kya hakim tamtam hindi nay apnay rasael mein is jinnati makhlok ka wakia likha hai woh mangharat jhoti kahani hai?

Is sawal ka jawab sirf meray pas hai aur jawab yeh hai kay hakim tamtam ka hindustani wakia 100% sacha hai aur is aabi jinnati makhlok jiska nam Jal Jaral hai iska wajod bay shak hai, yeh hakim tamtam hindi ka wakia kafi qadeem hai aur hakim sahab ka nayab rasael kis tarikh mein likha gaya aur yeh nayab rasael abhi kis kay pas hai yeh koi nahi janta,


Hayrat ki baat to yeh hai kay yeh aabi jinnati makhlok ka wakia dobara hindustan mein he pesh aya hai kuch saal pehlay, yeh aabi jinnati makhlok morda halat mein Bawadi village jodhpur Rajasthan mein puranay konway ko khudnay kay doran hasil hoi lekin afsos is makhlok ka kahin zikar nahi hai isliay osay nazar andaz kia gaya aur kai logon nay osay bandar ka bacha samaj lia to koi alien samaj raha hai, aab yeh malum nahi kay is nayab makhlok ko kahin bekar samaj kar phank dia gaya hai ya dafan kia gaya hai ya hosakta hai kisi nay chemical kay zariay isay preserved kar kay rakha ho, 

Meri yeh posting parhnay kay baad kai hindustani bhai jo alom e mukhfiat mein dil chaspi rakhtay hain is makhlok ko hasil karnay ki koshish karay ghay aur photo par nazar anay walay shaks say malumat hasil karay ghay kay is nayab makhlok ko kahan rakha gaya hai, mujay yeh news indian online channel say hasil hoi, agar kisi hindustani bhai ko is news kay mutalik mazed aur koi information milay to mein onsay guzarish karta hon kay muj say rabta kar kay share karain takay is aabi jinnati makhlok kay mutalik mazed research ki jasakay,


 

Yeh Jinnati aabi makhlok hindustan mein dosri martaba zahir hoi hai, pehlay hakim tamtam hindi kay dor mein zahir hoi pani kay konway mein say aur abhi bhi dobara pani kay konway mein say he hasil hoi hai, makhlok ka size bhi wahi same hai jo hakim tamtam hindi nay likha hai aik balisht kay size ka aur insani shape jesa, os dor mein zinda hasil hoa tha abhi kay dor mein morda hasil hoa hai, is makhlok ka basera pani kay konway mein hota hai,

Is type ki morda makhlok aur country mein say bhi hasil hoi hai lekin yeh malum nahi kay yeh makhlok bhi Jal Jaral hai ya koi aur makhlok hai?

Rab Al Aalmeen nay kai aalam banae hain jo insani nazaron say ojhal hain  aur on aalam ki makhlokat ka achanak zahir hona insani soch ko badal kar rakh deta hai aur aab science aur scientist on mukhfi aalam aur mukhfi jinnati makhlokat par research kar rahai hain Aliens, Aliens worlds ya extrateresstrial kay nam say aur kya pata kai aysay aalam khoj bhi liay hon jisay hum sab say chopaya jaraha ho?

Umeed hai kay aap ko meri yeh aabi jinnati makhlok Jal Jaral ki posting passand ai hogi, hazaron saalon purana wakia dobara repeat hona kuch oljhay sawalat ko janam deta hai jiskay jawabat mazed research say he hasil hosaktay hain,

Jal Jaral kay topic ko abhi yahin tak complete karta hon inshAllah bohat jald new topic kay sath hazir hon ga,

Apnay is Bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                            Ali.

Phone & Whatsapp: +923003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com