Pages

Thursday, November 16, 2017

Wish FulFilled Sticks


Kuch arsa pehlay meinay Hudhud parinday ki 3 wish bones kay mutalik bataya tha yeh 3 khas choti hadio ka tilsim meinay dunia bhar mein har jaga logon ko send kia kai logon ko is say bohat fawaid hasil hoay kisi ko jaldi faiday hasil hoay aur kisi ko late, same osi 3 wishbones ki tarah ka he yeh khas 3 wish fulfilled sticks ka tilsim yahan share kar raha hon, yeh 3 wishbones ki tarah he kafi powerfull tilsim hai lekin isay banana asan nahi kuo kay is amal mein aik zahrila saanp ko use kia jata hai, yeh khas amal har kisam ki financial problems ya job ki problems solve karnay kay liay hai iskay ilawa rupay peson mein barkat aur saving ka na hona, rupay peson kay lain dain mein rikawat ya atak parna ya rupay peson par kisi bhi tarah ki bandish ho is amal say khatam hojati hai, har insan ki khuwaish hoti hai kay oskay pas achi khasi itni dolat ho kay zindagi aram say khushali mein guzray lekin woh jitni bhi mehnat kar kay achi khasi dolat jamah krnay ki koshish krta hai takay agay kam ay lekin nahi kar pata kuo kay jesay jesay din guzartay jatay hain kharch barhtay jatay hain aur kuch bhi saving nahi ho pati,
meray pas ziada tar clients yahi masael lekar atay hain kay Ali bhai hum mashAllah achay khasay pesay kama letay hain lekin kuch bhi saving nahi hopati shayad humaray kam mein barkat nahi ya koi bandish see hai, hum feel kartay hain kay koi andekhi kowat ka dakhal hai jis say hum kamiab nahi hoparahai apni zati life mein kuo kay hum paisay saving karna chahatay hain takay humari life khushali mein guzray,
Dunia mein apko kai tarah kay log milay ghay aik woh jo bohat gareeb hotay hain onkay liay 100 rupay rakam azeem hoti hai woh cholay sara din sale kar kay 10 rupay ki plate 10 logon ko khila kar 100 rupay kama kar mutamin hojatay hain aur kai log aysay bhi hain jinka lakhon rupay ka karobar hota hai sara din aik crore rupay kama kar mutamin hojatay hain,
Meray pas har tabkay kay log gareeb wa ameer sabi apnay masael kay hal kay liay atay hain aysay bicharay gareeb bhi atay hain jo kehtay hain Ali bhai meinay aaj sara din kam kia socha kay 500 rupay kama kar aap ko tawez ka hadiya don ga lekin kasam say Ali bhai aaj kuch bhi kama na saka sirf 200 rupay aap ki khidmat mein lekar aya hon, mujay dokh wa afsos bohat hota hai aur confused sa hojata hon kay os say hadiya lon ya nahi agar nahi leta to osay ehsae e kamtari feel hogi osay lagay ga Ali bhai meri gorbat par taras kha rahai hain, har insan jesa bhi ho osay apnay kam aur mehnat par fakhar hota hai, aysay bhi ameer log atay hain meray pas jo kehtay hain Ali bhai kuch amal karo kay is saal new car lon abhi itni saving he nahi ki peson ki kay new car lay sakon agar is saal new year par new car nahi lay saka to meray friends aur family mein cousins sab hasay ghay kay kahan ghai iski shan wa shokat woh orooj kahan gaya kay har saal new car leta hai, Ali bhai yeh meri shoro say adat rahi hai mein har saal new car leta hon please bhai aap kuch aysa amal karain kay is saal meri izat wa shan bar karar rahai doston aur family mein jistarah humaisha rahi hai,
Insan kitna bhi ameer hojay lekin khud ko humaisha gareeb he samajta hai oski waja yeh hai kay woh apnay say ziada opar walay ameer shaks ko dekhta hai aur oskay muqablay mein woh khud ko gareeb feel karta hai aur ehsas e kamtari ka shikar bhi hojata hai jab mehfil mein ameer log jamah hotay hain, dikhaway dikhaway mein woh apni dolat pani ki tarah bhata chala jata hai aur phir aik din aysa ata hai kay 1000 rupay oskay liay rakam e azeem ban jati hai,

Aur middle class joint family kay logon mein peson ki saving ka bara masla hota hai, ghar kay sabi afrad ki achi jobs hoti hain lekin peson ki bachat nahi hopati waja ghar kay akhrajat ya phir ghar ki aurton ki hasad ki waja say bicharay mard majbor hojatay hain jab woh kehti hain kay tumharay bhai nay apni wife ko kitni achi shopping karwa hai mujay bhi aysay kapray apnay liay aur bachon kay liay chahehai to bichara husband yahi kahai ga kay meray bhai ki salary job mein muj say ziada hai woh aysay expensive lay saktay hain hum nahi lay saktay lekin phir bichara biwi ko khush karnay kay liay expensive kapray lenay par majbor hojata hai takay ehsas e kamtari ka woh shikar na hosakay isi waja say saving nahi hopati, lekin jesa dor abhi chal raha hai peson ki saving kar shaks kay liay zarori hai takay kal woh pesay kam asakay, istarah ki kai problems jo rupay peson say jori hoti hain oskay liay yeh amal jo yahan share kar raha hon sab kay liay best hai chahai oska taluk kisi bhi tabkay wa mazhab say ho yeh amal sabi ko faida pohancha sakta hai, aab mein yahan is khas amal ko share kar raha hon,

Anatomy of Three Fullfilled Sticks:
Sarkanday ya bamboo ki small 3 sticks yehni nalkia li jay jo 3 colours mein hon brown, yellow aur white, jab yeh hasil hojay oskay baad 40 muktalif ameer logon kay gharon mein say aik aik kar kay chotay stones yehni kankar liay jay agar kankar milna possible na hoto matti bhi use hosakti hai agar 40 ameer logon kay gharon kay stones ya matti milna possible na hoto oskay ilawa 40 bari banks ya shopping mall ki matti say bhi amal hosakta hai, 40 gold jewellry ki famous shops ki matti say bhi amal hosakta hai,
jab matti ya stones hasil hojay oskay baad jiskay liay amal kia jaraha ho oskay sar kay baal aur dono hathon aur paon kay nakhon liay jay,

Stones Filled Stick: 
Brown stick ki nalki mein 40 ameer logon kay gharon kay stones dalay jay sunday ki suba ko aur is amal say mansob khas tilsim ka symbol stick par likha jata hai, stones dalnay kay baad stick ko red candle wax say seal krdia jata hai,

Nails Filled Stick:
Yellow stick ki nalki mein nakhon dalay jay thursday ko aur nalki par is amal say mansob tilsim ka symbol likh kar nalki ko red candle wax say holes ko seal kardia jay,

Hair Filled Stick:


White stick ki nalki mein baal dalay jay friday ki suba aur nalki kay aik side irani feroza chopkaya jay yeh khas chotay size ka feroza hota hai, is amal say mansob tilsim ka symbol stick par likha jay, oskay baad nalki kay dosray siray ko red candle wax say seal kardia jay,

In teeno sticks ki nalkio ko stones, nails aur hair say fill karnay kay baad red candle ki wax say sticks kay holes ko seal kar kay sticks ko mehfoz jaga rakh dia jay,

The Snake Spirituality: 
Is khas amal mein jo moshkil kam hai woh snake ka hai, is amal mein aysa kala saanp use kia jata hai jispar white lakeray hon yeh common krait zehrila snake hai jo sindh kay ilakon mein ba asani mil jata hai, yeh snake raat kay waqat ziada active hota hai aur raat ko talash krnay say easily mil jata hai,
Teht Al Sha kay okat mein yehni jis raat chand asman mein na ho os raat is saanp ko ahtiat say pakra jay,
Jab mein yeh khas amal kisi kay liay kar raha tha to raat mein is saanp ko talash kia jo aik nehar kay kinaray jhario mein mandak ko khanay mein masrof tha, meinay bina net yeni jali kay isay easily hath say pakar lia kuo kay oskay mu mein mandak tha woh das na saka,
Jab saanp mil jay to osay amal wali khas jaga par laya jata hai aur isay matti kay bartan mein rakha jata hai,
Matti kay bartan ka piali noma dhakan aysa hota hai jis kay center mein hole kia jata hai,
Is hole wali piali noma dhakan ko bartan par rakh kar hole wali jaga mein roi laga di jati hai,
Roi laganay kay baad dhakan kay charon taraf aata laga kar dhakan ko bartan kay sath seal kardia jata hai,
Aatay ki madad say dhakan ko bartan par seal krnay kay baad dhakan mein milk dal kar os mein 3 sticks dal di jati hain, dhakan kay hole mein roi honay ki waja say milk sari raat katra katra saanp kay opar girta rehta hai aur saanp is milk ko peeta rehta hai, yeh amal aik khas raat kay waqat kia jata hai aur bartan par is amal say mansob tilsim likhay jatay hain aur aak khas mala bartan par lapeti jati hai takay saanp kay jinnati asrat say amal kharab na honay pae, bina hisar ki mala say saanp doran e amal bechain sa hokar bartan say nikalnay ki koshish karta hai aur agar doran e amal saanp bartan say nikal gaya bahir aur talash karnay kay baad bhi nahi mila to yeh aamil kay liay problem peda kar sakta hai, hisar wali mala say saanp pur sakon rehta hai aur harkat nahi krta bartan kay andar,
Saanp ko sari raat amal wali jaga isitarah rakha jata hai, suba tak milk sab bartan say ghom hojata hai saanp osay pee jata hai, suba ko ahtiat say saanp ko bartan say nikal kar abadi say dor azad chor dia jata hai,
Is amal kay baad teeno sticks fully ritualized charged hojati hain aab sirf inko alag alag maksos jagahon mein rakhna hota hai,

The Stick of Money:
Amal kay baad teeno sticks ko sunbhal kay rakha jay phir jesay moka milay to sab say pehlay yellow wali stick jis mein nails dalay ghay hain is stick ko kisi famous bank mein mojod money plant poday ki matti mein daba dia jay istarah kay kisi ko malum na ho na koi osay wahan say nikalay,


Banks mein aksar money plant kay poday hotay hain aur yeh money ko apni taraf attaract karnay ki salaheyat rakhtay hain, woh money plant jo kisi famous bank mein kafi arsay say phol phal raha ho os money plant mein bohat zabardast mukhfi asrat hotay hain, wahan is khas stick ko os plant ki matti mein dabanay say jis shaks kay nails os mein hon ghay woh dolat say malamal hojay ga, dolat, rupay pesay oski taraf aysay attaract honay lag jay ghay kay jahan pesay milnay ki umeed he nahi thi wahan say bhi milnay shoro hojay ghay nai nai zariay nai nai rastay kholtay chalay jay ghay jis say rupay peson ko rokna, atak ka hona ya bandish bilkol khatam hojay gi aur banda jitna bhi kharch karta rahai lekin pesay anay mein rukawat nahi hogi kisi bhi tarah ki jis say ba asani saving hosakay gi aur life khushal hoti chali jay gi,

The Stick of Attaraction:


Woh stick jis mein baal dalay ghay thay yeh stick job, factory ya shop wali jaga mein rakhtay hain jahan cash ya rupay pesay rakhay jatay hain, koi bartan laykar os mein coins dal kar on coins kay opar is stick ko rakha jay aur shopping karnay ya kisi bhi zariay say coins milay to in coins ko isi maksos bartan mein jamah kartay rehna chahehai aur jab nae chand ki date hoto in coins say koi meethi chez lay kar bachon mein bant di jay, yeh stick attaract karti hai customers ko shop par agar os banday ki shop hai to jiskay baal is mein hai, agar shop nahi job hai to boss attaract hokar meharban hojata hai, agar factory hai to molazim sab attaract hokar emandari aur sachai say kam kartay hain,

The Stick of Happiness:
Is khas stick ko jis mein 40 ameer logon kay gharon kay stones dalay ghay thay is stick ko choti see bottle mein dal kar ittar lagi roi bhari jati hai takay stick aik jaga jami rahai hilay nahi, phir is bottle ko ghar mein cash ya jewllery rakhnay wali jaga par rakh dia jata hai, is stick kay mukhfi asrat say ghar khushal hojata hai aur ghar mein dunia ki har nehmat ani shoro hojati hai jistarah ameer logon kay ghar hotay hain jesi onki rahaish aur shan wa shokat hoti hai wesay ghar mein yeh sab atta hona shoro hojata hai, ghar ka har shaks ka luck behtar say behtar hota chala jata hai aur financially har kisam ki problems khatam hoti chali jati hai, ghar ki nahosat ya bad asrat jiski waja say kisi chez mein barkat na hoti ho aysay sab bad asrat dor hojatay hain,

Yeh khas amal aik saperay kay zariay mujay mila hai, amal mushkil aur khatarnak hai lekin bohat zabardast hai is amal say koi logon kay financially masael meinay solve kiay hain, agar aap ko bhi yeh amal muj say karwana hai to aap muj say rabta kar kay yeh amal muj say karwa kar financial masael kay daldal say bahir nikal saktay hain,

Rabtay kay liay Call, Whatsapp ya E-mail karain:

Phone: +92 03003799165
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

InshAllah bohat jald new post kay sath hazir honga,
Apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                                  Ali.