Pages

Sunday, August 25, 2019

The Jog Sagar Talisman




Gidar Singhi ka mera blog worldwide dunia mein har jaga logon nay pasand kia, internet ki dunia mein meri yeh wahid posting hai jis mein itni detail say gidar singhi par information di hai meinay aur sath mein iski muktalif aksam kay mutalik bhi share kia hai, yeh mukhfi raaz sadion say poshida tha meinay is raaz ko dunia bhar mein aam kia aur "Jog Sagar" yehni jogion kay olom ka daria jo dunia say tezi say khatam hota jaraha hai, in olom ko share kar kay mein katra katra is sagar ka jamah kar raha hon, InshAllah meri mehnat say aur aap ki duaon say apnay is maksad mein zaror kamiab honga aur is jog sagar say kai meri tarah mukhfi olom kay piasay log apni pias bojha sakay ghay,
Mera taluk Pakistan kay sobay Sindh say hai, Sindh zamana e qadem say he sufion, dervaishon, peeron wa fakiron, malangon, saniyasion aur jogion ki sar zameen raha hai, mein inhe sabi ki sanghat mein reh kar pala barha hon, inki sanghat mein rehtay hoay zahiri aur batni olom seekhay aur samjhay aur on say faiz hasil kia aur dosray kai logon ko bhi faizyab kia aur aab bhi kar raha hon,
Mujay bachpan kay woh din aaj bhi yaad hain jab hum bachay gali mein khel rahai hotay thay to jogi saperay ki been ki awaz suntay he dortay oskay pas jatay aur osay aik rupya day kar saanp dekhtay phir baray log atay koi jari boti ka pochta to koi dawai ya oil ka kehta to koi onsay gidar singhi ka pochtay to woh godari mein rakhay dabay say gidar singhi nikal kar onko dikhata ya kabhi dabay kay andar he dikhata, jab log yeh kehtay kay yeh sindoor mein aur kya chezain rakhi hain to jogi jhat say dabay ko band kar deta tha aur sirf gidar singhi kay topic par he baat karta tha, bachpan mein yeh to mujay malum tha kay gidar singhi baalon wali round gaynd hoti hai lekin aur jo chezain oskay sath rakhi hoti hain woh kya hoti hain? onka kya maksad hota hai aur jogi onko kuon chopata hai aur kuon woh in chezon kay mutalik koi information nahi deta, jab koi onsay gidar singhi leta to bas yeh kehtay kay sindoor kay sath loong aur ilaichi dal dena laykin aur chezain jo hoti hain woh phir kuon hoti hain? in sawalat kay jawabat kay liay mein Jog Sagar mein kod gaya,
Sindh kay Jogi yehni saperon ki tarikh bohat he qadim hai, jab mein jogion kay olom par research kar raha tha to os doran kai jogion say meri molakat hoti rahi, jo jo shaks mujay kisi achay jogi kay mutalik batata mein foran oskay pas pohanch jata, laykin afsos ilm walay jogi jinki mujay talash thi woh nahi mil parahai thay jo bhi miltay fake he miltay jinko sirf bataon ki trick ya shobda bazi ka fun tha, logon ko sheshay mein otarnay ka fun takay bataon ki trick say hypnotize kar kay fake chezain onko thama kar rafu chakar hojay, ilm walay jogi ko talash karna aysa tha jesay koilay ki kan mein say heera talash karna, heera talash karnay mein jistarah log koilay ki kan mein kalay par jatay hain mein bhi asal heeray jesay jogi ki talash mein kala hota gaya, bohat paisa mera zaya gaya, bohat fool bana lekin himat nahi hari aur akhir kar Omar kot say aghay Thar kay raygistan mein aik bozrog jogi "Bhairon Faqir" nam ka mila, oski aik aik baat mein hikmat chopi thi, dil karta tha bas oski batain sonta chala jaon, meinay jab onsay gidar singhi kay topic par baat ki to onhonay gidar singhi par bohat achi information di jisay meinay apnay gidar singhi kay blog par share kia hai, woh jogi meray pas aik ajeeb sa lakri ka purana box lekar aya, kuch parhnay laga phir box ko chom kar ahista say box ko khola aur gidar singhi nikal kar mujay dikhai aur box ko jaldi say band kardia, meinay onsay kaha kay aur is box mein kya hai to osnay dikhanay say saaf inkar kardia aur gidar singhi kay topic par he baat jari rakhi, meinay os jogi say bohat say kai olom sekhay jis mein gidar singhi ka ilm bhi shamil hai lekin afsos os box ka raaz mujay malum na par saka, os box mein aysa kya tha jo woh dikhana nahi chahatay thay, yeh aik raaz tha aur raaz he raha jab tak woh zinda thay, onki death kay baad woh box meinay oskay betay say kharid lia, oska beta koi kam nahi karta tha aur nashay ka aadi tha osay paison ki zarorat thi isliay osnay mujay woh box 1 lakh rupay mein sale kardia,
Mujay os waqat box milnay say bohat khushi hoi aysa laga jesay bara ilmi khazana hath agaya ho, meinay Bismillah parhi aur ahista say box ko kholnay laga jogi ki he tarah, zehan mein kai sawal peda horahai thay kay kahin jinnat wagayra na hon ya koi aysi chez jo noksan day, lekin phir woh suspense khatam hogaya kuon kay box mein sindoor lagi ajeeb see bones, jari botia, ajeeb say stones thay, meinay os waqat samjha kay shayad Bhairon jogi kay betay nay mujay fool bana dia hai, jo khas chezain is mein hongi woh nikal li hongi aur yeh chezain sindoor laga kar mujay thama kar rafu chakar hogaya, meinay phir os box ko gao kay meray store room mein rakh kar bhol gaya aur apnay dosray kamo mein busy hogaya,
Aik din meray pas Hyderabad kay ilakay Lachpat road say aik shaks Ghani nam ka aya, osnay bataya kay meinay aap kay walid ki bohat shohrat suni hai mein onsay milnay aya hon kuch zarori baat karni hai, meinay onko bataya kay meray walid ki death hochoki hai to woh afsos karnay laga aur wapis janay laga phir rok gaya aur pochnay laga kay aap kay walid ka kam onki jaga aab kon kar raha hai? to meinay kaha kay aab mein karta hon onka kam mein onka bara beta hon to woh khush hogaya aur kaha kay phir aap meri help kar sakay ghay, mein osay apnay ghar kay andar lay gaya room mein bithaya aur copy pen lekar aya to osnay kaha kay nahi nahi bhai mein hisab kay liay nahi aya na mujay tawez chahehai na he koi kam karwana hai mein Alhamdullah khush hon koi masla nahi mein in bataon par yakin nahi rakhta, meray walid aap kay walid ko jantay hain onhonay bheja hai isliay kay humara jo ghar hai woh pakistan bannay say bohat pehlay ka qadim ghar hai, humaray ghar kay aik room mein qadim dor ki lakri ki almari dewar mein lagi hoi thi, meri shadi honay wali hai hum ghar ki setting, colour karwa rahai thay aur naya furniture bhi lia to os qadim almari ko dewar say nikalnay lagay to almari kay pechay deewar say aik eent(brick) thori bahir nikal ai, meinay os eent ko apni taraf khincha to oskay pechay aik lakri ka box rakha tha hum nay woh box khola to oskay andar sindoor lagi kuch chezain thi mein to osay bahir rakhay dustbin mein phanknay jaraha tha lekin meray walid purani soch walay hain onhonay kaha kay aysay phankna thek nahi pehlay kisi aamil ko dikha kar oskay mashoray say daria mein thanda kardia jay isliay mein aap kay pas aya hon aap meray ghar chalain woh jaga aur box ko dekhain aur walid ko batae kay is box ka kya karna chahehai, mein ghani kay sath oskay ghar gaya oskay walid say mila woh jaga dekhi jahan box rakha tha aur box ajeeb sa lakri ka bana tha jis mein sindoor lagi kuch bones, herbs aur stones thay meinay onko kaha kay yeh gidar singhi ka box hai gidar singhi mojod nahi shayad mar ghai hogi aur baal oskay jhar kar is sindoor mein mixed hogay hongay, parayshani ki baat nahi aap is box ko daria mein baha dena, oskay walid nay kaha kay beta aap apnay gao jatay rehtay hain aap isay lay jay aur daria mein dal dena aap, onhonay woh box shoper mein dal kar mujay day dia, meinay ghar akar box ki chezain thek say check ki to yeh Bhairon jogi kay box jesi he chezain thi, meinay isay ahmiat nahi di aur gao kay larkay ko kaha kay isay daria mein dal kar ay aur osnay on sab chezon ko box kay sath he daria mein dal dia,
Is wakiay kay kafi arsay baad mein Lachpat road gaya wahan homeopathic shop say kuch medicines mujay leni thi, meinay dekha kay aik shaks dorta hoa meray pas aya aur kaha Ali bhai mein javaid hon pehchana mujay? aap osdin ghani kay ghar ay thay purana box onkay ghar say nikla tha woh apnay sath lekar ghay, meinay kaha kay han mujay achi tarah yaad hai ghani ki sunao khabar to osnay bataya kay yar ali bhai woh to tabha wa barbad hogay jab say woh box onkay ghar say nikla, 40 saal say woh os ghar mein reh rahai thay baray khushal thay, bohat paisa kamaya aur jamah kia laykin osdin kay baad jab aap woh box lekar ghay to ghani ka excident hogaya woh apahij hogaya, jo shadi onki honay wali thi woh tot ghai, ghani bhai ka zakham nasor ban gaya bohat ilaj karwaya lekin thek na hosakay aur onki death hogai, onka sadma onkay walid ko aysa laga kay kamzor aur bimar rehnay lagay aur onki bhi death hogai, chota bhai ghani ka jhagra kar kay pehlay he alag hogaya aur karachi shift hogaya, ghani ki ma apni beti kay ghar rehti hai karachi mein, yeh qadim ghar onhonay sale kardia, jinhonay lia onki family kay sath bhi problems honay lagi onhonay bhi sale kardia aab jisnay lia hai woh isay sara torwa kar bari shop bananay ka soch raha hai, Allah pak osay kamiab karay,
Javaid nay muj say pocha kay yar Ali bhai kya os box mein gidar singhi thi? woh box kahan hai? meinay osay bataya kay os box mein sirf sindoor lagi kuch hadia, herbs aur pathar thay meinay osay daria mein thanda kardia tha, javaid nay kaha kay zaror is mein koi to baat thi kay is chez ka ghar say nikalna aur in sab ka tabha hona, meinay kaha kay hosakta hai lekin yakin say nahi keh saktay kay is box ki waja say hoa ho,
Meri tawaja is box par bilkol nahi jarahi thi, phir jab meinay gidar singhi kay topic par blog likha aur kai log muj say gidar singhi lenay lagay to kuch logon ko is say achay fawaid hasil hoay lekin kuch logon ko os say bilkol kuch bhi fawaid hasil nahi hoay, on logon mein aik shaks india ka tha jisnay muj say gidar singhi li, osay koi faida nahi hoa osnay mujay phone par kaha kay Ali bhai aap gidar singhi change kar kay mujay dosra koi tilsim dain mujay is say 1% bhi faida nahi hoa, meinay osay kaha kay thek hai aap mujay yeh wapis post kardain mein apko dosra tilsim send kardo ga lekin oskay baad osnay mujay koi rabta nahi kia, phir aik saal baad osnay rabta kia aur kaha Ali bhai mujay pehchana mein wahi hon jisay aap nay india gidar singhi post ki thi, os gidar singhi ki barkat say aaj mein America aghaya hon yahan achi job bhi mil ghai hai, meinay onsay pocha kay aap nay to pehlay kaha tha kay gidar singhi nay koi asar nahi kia aur aap mujay post karnay walay thay, to osnay kaha kay han Ali bhai mujay pehlay laga kay yeh fake hai meinay yahan aik swami ko dikhaya to osnay kaha kay gidar singhi asal hai lekin os mein woh khas ingredients nahi sindoor mein jis say yeh asar nahi pakar rahi aur vastu shastar kay hisab say bhi aap nay osay thek jaga nahi rakha hua apnay ghar mein, os swami nay kuch khas ingredients os mein dal kar diay aur kaha kay isay ghar mein aysay rakho kay dafan hojay matlab kay koi bhi isay na dekh sakay to Ali bhai meinay isay ghar kay store room mein jahan ghar kay afrad kam jatay hain wahan osay chopa kay rakh dia, meinay store room isliay chose kia kuo kay swami nay bataya kay meray ghar mein aik aysi jaga hain jahan humaisha andhera rehta hai wahan meray saray ghar ka vastu yehni spiritual pak energy unbalance horahi hai aur har kisam kay bad asrat aur nahosat os andheray room mein phal phol rahi hai jiska bora asar meray ghar kay tamam afrad ko honay laga, isliay meinay gidar singhi osi room mein rakh di jis say sari nahosat wahan say khatam hogai aab hum sab khushal hain, aap please mujay aik aur bhi gidar singhi dain takay mein apni mother in-law ko gift karon onko bhi real gidar singhi chahehai,
Is indian customer ki baat say mujay aik naya tajorba sekhnay ko mila woh on ingredients ka hai jo gidar singhi kay sath rakhi jati hain, mein in ingredients ki research mein lag gaya aur Bhairon jogi walay box aur Lachpat road kay qadim ghar say mila box on dono boxes kay ingredients kuch kuch same thay, aab mujay ilm walay jogi ki talash thi jo mujay iskay mutalik sahi bata sakay,
Mein aik bar phir koilay ki kan mein nikal para heeray ki talash mein, kismat achi thi jo mil gaya Sehwan sharif mein wahan bhang kay nashay mein betha aik borha jogi ilmi batain kar raha tha, meinay bataon bataon mein Bhairon jogi walay box ki baat chayri to osnay kaha kay woh jogi ki daeg hoti hai jisay jogi sari omar pakata rehta hai jesay dekho samnay lal sain ki daeg langar ki pakai jarahi hai, bawarchi chawal, pias, tamatar, cholay aur tarah tarah kay masalay dal kar paka raha hai thori dayr baad pak jay gi aur hum sab khae ghay same isitarah woh box jiski tum baat kar rahai ho woh jogi ki rohani daeg hoti hai jis mein tarah tarah ki chezain hoti hain asrat wali jo osay muktalif khas jagahon say hasil hoti rehti hain aur woh apnay box mein dalta rehta hai, jo sawali zarorat mand oskay pas ata hai woh osay is box mein say kuch na kuch nikal kar day deta hai, jogi ki yeh rohani daeg na kabhi khali hoti hai na kabhi bharti hai, faiz jogi aur oskay pas anay walay sawali dono ko deti hai,
Meinay os say pocha kay phir sindoor ki kya haqeqat hai sindoor mein on chezon ko kuo dal kay rakha jata hai?
Osnay bataya kay sindoor mein woh chezain sada amar aur zinda rehti hain kabhi galti sarti nahi na os mein keera lagta hai chahai woh chez jari boti ho ya gosht wali chez ho woh os mein humaisha preserved rehti hain, yeh oski baat wakai dil say lagi os qadeem ghar say nikalnay walay box ki chezain bilkol sahi condition mein thi,
Meinay os say sawal kia kay kya yeh box har koi bana sakta hai? to osnay kaha kay isay banana asan kam nahi osay wahi bana sakta hai jisay "JOG SAGAR" ka ilm ho, Jog sagar woh ilm hai jis mein aap ko nature yehni qudrat ki har jari boti, jandar aur patharon kay khuwas ka ilm ho osay malum ho kay konsi chez sahi nayk asrat wali hoti hain aur konsi bori bad asrat wali hoti hain, agar box mein aik bhi bad asrat wali chez par ghai to jogi baray masael mein phas jata hai, jo dar dar bhek mangnay walay jogi hain woh jog sagar kay ilm na honay ki waja say hain, onkay baron ki daeg onkay pas hoti hain aur woh ilm ki kami ki waja say os mein kuch aysi chezain dal detay hain jis say sakht nahosat os box mein say janam leti hai jis say woh humaisha masael mein ghiray rehtay hain,
Jistarah Biryani ya qormay ki daeg mein aak kabil bawarchi sahi masalay ki miqdar aur balance say khanay ko laziz say laziz tar bana deta hai aur anari jahil bawarchi namak ziada dalnay say ya masalon ki miqdar ziada dalnay say balance out kardeta hai aur khana bad maza zehrila karwa ban jata hai, same isitarah humaray yahan bhi ilm walay aur anari thag jahil jogi bhi hotay hain, meinay onsay pocha kay kya aap Jog Sagar ka ilm jantay hain? to osnay has kar jawad dia kay agar mujay jog sagar ka ilm hota to sagar ban kar sabi ko faiz pohanchata yahan betha bhang na peta, hum fakiron kay liay to yeh bhang he jog sagar hai,
Mein is mukhfi haqeqat ko samaj gaya kay jog sagar aik aysa ilm hai jo kisi say sekha nahi jasakta, ustad jo osay jog sagar ka rasta dikhata hai woh to osay sindoor say bhara box day deta hai aur sindoori libas aur pagri sar mein bandh deta hai aur jogi nikal parta hai apnay alag tanha rastay par aur os rastay par jo jo ilm wali chez osay milti jati hai woh osay sindoor kay box mein dalta rehta hai, aab yeh oski kismat ya to woh jog sagar kay samandar mein dob kar mar jay ga zalil wa khowar hokar ya humaisha pagalon ki tarah bina kinaray kay samandar mein kinaray ki talash mein idhar odhar bhatak kar bhikari ki tarah apni sari zindagi tabha kar day ga lekin kuch hasil na kar pae gha, jis nay jog sagar ko par kar kay kinaray tak pohanch gaya woh real sacha "JOGI" hai jo khud bhi faiz yab hoga dosron ko bhi faiz yab karay ga,
Mein khud bhi jogion ki tarah mukhfi olom ki khoj mein raha hon aur meri khoj aur meri mehnat meray blog ki sorat mein aap kay samnay hai, aaj jo chez mukhi olom ki share karnay wala hon woh sabhi meray tilsim say ziada power rakhnay ki salaheyat rakhti hai oski waja aap ko sab parhnay kay baad malum hogi,

Rohani Daeg:
Sindh mein jogi saperon ki kai zaatay yehni castes hain onchi achi zaat kay kuch jogi baray ameer hotay hain, kuch nachli zaat kay hotay hain woh bhikari hotay hain, kuch murli aur raag mazarat mein gatay bajatay hain aur kuch jogi mukhfi olom walay hotay hain jinko zahiri aur batni hikmat ka ilm hota hai in jogion ko Saami jogi yahan kaha jata hai yeh ilm ramal jantay hain,
Saami jogi sindh mein aab tezi say khatam horahai hain onki jaga raag aur sor walay jogion nay lay li hai, aaj kay dor mein songs ko ziada pasand kia jata hai aur mukhfi olom par logon ki tawaja khatam hoti jarahi hai, kismat say kabhi kabhi saami jogi mil jatay hain, mein jab school mein 9th class mein parhta tha to humaray paros mein kiryana ki shop kay larkay say achi dosti thi, oski shop par saami jogi aya aur ilm ramal say meray dost ka hisab bana kar dekha to osnay bataya kay mera dost Ali bhi yahi ilm janta hai aur osnay mujay bolaya aur jogi say milwaya, jogi nay kaha kay mera hisab nikal kay batao meri qismat kay mutalik meinay hisab laga kar bataya to hayrat say mujay dekhnay laga, meray dost nay pocha kuo bhai hisab sahi nahi aya kay aap chop hogay to jogi nay kaha kay iski aik aik baat sachi hai iska matlab yeh hai kay iski daeg paki hoi hai ya daeg paka raha hai tabhi iska ilm accurate hai, meinay kaha kay konsi daeg? meinay to koi daeg nahi pakai, osnay kaha kay agar tum nay nahi pakai phir tumharay kisi baray nay pakai hogi aur tum muft ki paki pakai daeg kay mazay lay rahai ho kismat walay ho kay choti omar mein ilm hasil karlia, hum to daeg pakanay kay chakar mein dar dar bhatak rahai hain, oski daeg wali baat mujay os waqat samaj nahi ai lekin aaj is mukhfi daeg kay raaz ko samaj choka hon,
Yeh Rohani mukhfi daeg kaisay pakai jati hai aur os say faiz kaisay hasil kia jata hai oskay mutalik sab kuch yahan share karnay jaraha hon,
Jistarah Biryani ki daeg muktalif masalajat, murgi aur aag say pakatay hain same isitarah rohani daeg Yantar, Tantar aur Mantar say pakai jati hai,
*Sacred Yantar:
  Yeh khas 100 say zaed muktalif masalay hotay hain,
*Sacred Tantar:
Yeh khas 100 say zaed muktalif tilsim hotay hain,
*Sacred Mantar:
Yeh khas wazaif hotay hain masalon aur tilsim ki taskheer kay liay
parhay jatay hain yeh aag ki tarah kam kartay hain bina wazaif kay daeg pakai nahi jasakti, in wazaif kay asar say he daeg pak kar taiyar hoti hai,

The Sacred Yantars:
Yehni woh khas masalay jo mukhtalif tilsimat ko powerful banatay hain aur in masalon ki waja say recharged rehtay hain, bina in masalon kay tilsimat waqat kay sath bay asar hojatay hain, yeh masalay humaisha tilsimat ko pur asar rakhtay hain in masalon ki list yeh hai:

Trees ka Powder:
7 planets say mansob trees ka qudrati powder jo darakt par kera lagnay ya deemak kay khanay say banta hai, agar yeh natural trees ka powder na mil sakay to 7 trees ki khushk lakario ko ghis kar ya onko jala kar onki ash hasil ki jati hai,
Animals ki skin ki rakh:
7 planets say mansob khas janwaron ki khal par likhay 7 planets kay tilsim, in tilsim likhay 7 khalon ko jala kar oski rakh hasil ki jati hai,
Birds kay feathers ki rakh:  
7 planets say mansob 7 birds kay paron ko jala kar oski rakh li jati hai,
Zameeni Animals ki rakh:  
7 planets say mansob woh 7 janwar jo zameen kay andar bill bana kar rehtay hain onki rakh,
Watery Animals ki rakh:
7 planets say mansob woh 7 animals jo daria, nehar ya samandar mein rehtay hon onki rakh,

Watery Plants ki rakh:
7 planets say mansob woh 7 plants jo pani ki teh mein hotay hain,

Insects ki rakh:
7 planets say mansob woh 7 insects jo muktalif jagahon mein hotay hain,

Anaj ka aata:
7 planets say mansob 7 muktalif anaj ka aata lia jata hai,

Metals ka powder:
7 planets say mansob 7 metals ko jala kar onka powder lia jata hai,

Jagahon ki khak:
7 planets say mansob 7 sacred khas jagahon ki khak li jati hai,

Gemstones ka powder:
7 planets say mansob 7 gemstones ko pees kar onka powder lia jata hai,

Jagahon ka pani:
7 planets say mansob 7 sacred khas jagahon ka pani lia jata hai,

Total 10 yantars hain yeh, fe yantar say thora sa chutki jitna powder ya raakh li jati hai ziada miqdar nahi li jati, 


Sabi 10 yantaron say chutki jitni rakh ya powders lekar sabi ko apas mein mix kar kay phir sindoor mein mix kia jata hai, 
aab yeh yantar ka masala puri tarah taiyar hai,
Aab hum Tantars taiyar karay ghay yehni tilsims,

The Sacred Tantars:
Jog sagar ilm kay natural qudrati tilsim jinko tantars kehtay hain yeh khas tilsim 7 types kay hotay hain,
Herbal Talisman:
Yeh muktalif khas darakhton ya podon ki lakri, jarh ya seeds kay talisman hotay hain,
Animal Talisman:
Yeh muktalif janwaron ki hadion, nails, claw, tooth ya organs kay talisman hotay hain,
Stone Talisman:
Yeh muktalif khas gemstones ya fossilized stones kay talisman hotay hain,
Alchemy Talisman:
Yeh tilsim ilm kimiya kay zariay muktalif chezon ko apas mein mix ya blend kar kay banatay hain,
Crypto Botany Talisman:
Yeh nayab herbal tilsim hotay hain aysi jari botia jo aam har jaga nahi milti jo kismat say hath aati hain, aysi khas batni jari botia jisko batni ya mukhi olom walay he apnay ilm say khoj nikaltay hain,
Crypto Zoo Talisman:
Yeh nayab janwaron ya insects kay tilsim hotay hain jo dunia mein ojhal rehtay hain inko jinnati janwar bhi kehtay hain, khas waqat aur dino mein yeh janwar zahir hotay hain inkay organs kay tilsim banae jatay hain,
Crypto Stone Talisman:
Aysay nayab stones jo muktalif sacred jagahon ya janwaron mein peda hotay hain onkay tilsim banae jatay hain, 

Jog Sagar ki rohani daeg mein har makasad kay tilsim hotay hain har woh general masael jo har insan ki life mein hotay rehtay hain yeh tilsimi daeg as a rohani antibiotic on masael ko thek karti rehti hai, 
Jog sagar ki rohani daeg mein 100 say bhi ziada khas tilsimat hotay hain,
In tamam tilsimat ko khas sindoor mein mix kar kar rakha jata hai,
Rohani daeg mein tamam khas ingridients dalnay kay baad akhri kam osay thek say pakana hota hai, thek say paknay kay baad he is daeg say fawaid hasil kiay jasaktay hain agar daeg ko sahi say na pakaya jay ga to yeh faida na day gi aur na he is mein koi asrat hongay, daeg kay aik aik tilsimat say mansob wazaif ko parh kar onki rohaniat ko taskheer kia jata hai,

The Sacred Mantars:
Mantars yehni wazaif jo har tilsim ki rohaniat say jora alag alag wazifa hota hai osay parha jata hai jis say os tilsim ki rohaniat taskheer hoti hai, jab tamam tilsimat kay wazaif khas waqat aur din ko parh kar complete kiay jatay hain to daeg pak kar taiyar hojati hai,

Yantar, Tantar aur Mantar kay powers say bani khas rohani daeg taiyar honay kay baad taste kar kay check kia jata hai kay koi kami pashi to nahi reh ghai takay osay thek kia jasakay, jistarah biryani ki daeg pakanay kay baad end mein chakh kar dekha jata hai kay namak ya mirchi to ziada nahi hogai same isitarah rohani daeg ko check karna bhi lazmi hota hai, jistarah namak ya mirch ziada par janay say biryani ki sari daeg kharab hojati hai aur mehnat aur time alag waste hojata hai same isitarah rohani daeg mein agar koi tilsim galat par gaya ya moafik nahi araha to sari daeg par oska effect bora parta hai, kuch tilsimat ki rohaniat dosray tilsimat ki rohaniat say mukhalfat rakhti hai oski waja say bhi rohani daeg unbalance hojati hai, isliay in tamam chezon ka khyal rakh kar sahi balance rohaniat ka rakh kar daeg perfect banai jati hai,

Jog sagar ki rohani daeg ko check karnay kay kai muktalif tarikay hotay hain, kuch saperay jogi log jo vedic jiyotish yehni najom ka ilm jantay hain woh kundali yehni najom ka zaicha bana kar check kartay hain aur os hisab say tilsimat ko balance mein kar kay rakhtay hain jis say daeg perfect balanced mein ban jati hai aur kuch jogi saperay ilm ramal jantay hain os say hisab bana kar daeg kay ingriedients aur oski rohaniat ko balance mein kar kay rakhtay hain aur kuch jogi saperay jo najom ya ramal nahi jantay woh saanp kay zariay check kartay hain jiska tarika istarah hai,
Saray amal karnay kay baad rohani daeg ko saanp ki pitari kay opar 3 din tak rakha jata hai,
3 din kay baad saanp ko pitari say khol kar oska behaviour check kia jata hai, agar saanp pitari say nikal kar bechain hokar bhagnay ki karay ya ya idhar odhar dekhnay lagay ya khofzada hoto iska matlab kay daeg mein element air kay tilsimat balance mein nahi ya to woh ziada miqdar mein par ghay hain ya phir dosray element kay tilsimat say onka jor nahi ban paraha aur yeh daeg jinnati ban jati hai agar yeh daeg jis ghar mein rakhi jay gi to os ghar kay afrad bhi bechain aur khofzada rahai ghay,
Agar pitari kholnay par saanp sost aur active na ho aur behosh sa feel ho to iska matlab element earth say mansob tilsimat ziada miqdar mein par ghay hain ya dosray tilsimat say onka jor nahi ban raha, yeh daeg unbalance hai yeh jis ghar mein hogi to wahan kay afrad unactive aur sost rahai ghay aur koi kam karnay ko dil onka nahi lagay ga aur sotay rehna onhai acha lagay ga,
Agar Pitari kholnay par saanp ghusay mein phokarnay lagay aur bar bar attack karay to oska matlab element fire kay tilsimat ziada hogay hain ya oski rohaniat ka jor dosray tilsimat say nahi ban paraha, yeh daeg bhi unbalance hoti hai jis ghar mein hogi to wahan larai jhagray ziada hongay, 
Agar Pitari kholnay par saanp tezi say rangnay lagay golai mein pitari kay andar he to iska matlab element water kay tilsimat ziada par ghay hain onki miqdar kam kar kay daeg ko balance mein kia jata hai,
Pitari kholnay par agar saanp normal, active aur sehatmand hoto iska matlab kay daeg balanced mein achi aur perfect bani hai,

Mein ilm ramal janta hon aur ilm ramal kay zariay mein hisab bana kar check karta hon kay konsay tilsimat balance mein hain konsay nahi aur saanp kay zariay bhi elemental balance check karta hon aur jo clients, customers aur students muj say jog sagar ki daeg banwatay hain mein astrology kay say bhi onkay date of birth kay mutabik jo tilsimat onkay liay moafik hotay hain wahi deta hon aur astrology aur ramal kay zaichay mein jo jo masael onki life mein hotay hain on masael say mansob tilsim bhi onko deta hon jis say sahi aur balance mein daeg ban jati hai,

Yeh daeg meinay aik khatoon jinka nam Shazia bint bilqees bibi hai onkay liay banai,
Onhonay mujay kuch apnay masael batae, meinay ilm ramal say onka rayt par hisab bana kar check kia aur jo tilsim on masael ko hal karnay kay liay mansob thay wahi meinay onkay liay choose kiay aur jog sagar ka tilsimi box onko bana kar dia,
Shazia kay is jog sagar tilsimi box mein pehlay kam tilsim thay lekin baad mein osnay 100 say ziada tilsimat ka box muj say banwaya, jo tilsimat os box mein thay woh yeh hain:
ANIMAL Talismans:
1, Saam Gidar singhi
2, Mohini Gidar singhi
3, Black Cat Chord
4, Lovers & Family Hatha Jori
5, Elephant Tooth
6, Lion Claw
7, Lion Tooth
8, Porcupine Tooth
9, Reptile Claw
10, Black Cobra Tongue
11, Black Cobra bones
12, Black Horse Tooth
13, Badger Tooth
14, Hoopoe Wishbones
15, Hoopoe Claws
16, Rooster Claw with Cockstones
17, Crab Claw
18, Black Scorpion Claw
19, Preserved Baby Ababeel Bird
20, Frog Claw
21, Owl Wishbone
22, Wolf Tooth
23, See see Bird Wishbone
24, Rabbit Foot
25, Dried SeaHorse
26, Fish Wishbone

HERBAL Talismans:
27, One & Five mukhi Rudraksh beads
28, Loong & Ilaichi
29, Shvetarak root
30, Son Mukhi Seeds
31, Chirmi Seeds
32, Bicho Boti
33, Lucky Hand Root
34, Human Shaped Root
35, Twin Almond
36, Oudh Slayb
37, Sea Plant
38, Castor Seeds
39, Hob Al Malok Seeds
40, Jogi Black Seeds
41, Tiger pods
42, Patal Mudh Herb
43, Indarjal Sea Plant
44, Arabic Gum
45, Hermal Seeds
46, Haldi
47, Sandal wood
48, Saffaron
49, White aak root
50, Sacred Tree Root
51, Sacred Plant Root
52, Ajwain

STONE Talismans:
53, Male Fishstone
54, Female Fishstone
55, Tantric Twin Stone
56, Gomati Chakra Stone
57, Small Black Shaligram Stone
58, Black Jet Stone
59, White Pearl
60, Black Pearl
61, Murg Stone
62, Aetitie Stone
63, Cow Bezoar Stone
64, Load Stone
65, Antrikha Stone
66, Marjan
67, Fossilized Red Coral
68, Fossilized Snake Stones
69, False Gold Stone
70, Agate
71, Fossilized Star Stone
72, Luck Richman Stones
73, Stones from Sacred Places
74, Pukhraj
75, Moon Stone
76, Tourmaline Stone Green
77, Tourmaline Stone Black
78, Smoky Quartz

METAL Talismans:
79, Pieces of Black Horseshoe
80, Meteorite Metal
81, Iron talisman
82, Copper talisman
83, Silver talisman
84, Magnet
85, Lucky Coin Talisman
86, Animetal Talisman
87, Fengshui Lucky Metal Talisman
88, Ancient Copper Coin
89, Ancient Silver Coin
90, Planetry Talisman

AlCHEMY Talismans:
91, Earthworm's copper 
92, Planetry essential oil
93, Aab e Nissan Blood worms
94, Philosopher's lucky stone
95, Planetry ittars
96, Mercuric Talisman
97, Parad Shivling
98, Mercuric Cowry Shell
99, Sulphar & Monkey Blood talisman
100, Planetry potions


100 say bhi ziada tilsimat say bana yeh khas jog sagar ka box apnay andar zabardast power rakhta hai agar aik tilsim nay jaldi faida na dia to dosra to dayga agar dosray nay bhi jaldi faida na dia to tesra do dega istarah 100 tilsimat mein say koi na koi tilsim aysa zaror hoga jo foran apna power dikhae ga jis say kafi masael hal hosaktay hain,

How To Use Jog Sagar Talisman?:
Jog Sagar Tilsim ko use karnay ka tarika bohat simple hai, jog sagar tilsimi box mein sedhay hath ki sab say choti finger ka nakhon kat kay dala jata hai takay aap iskay owner ban jay aur oski rohaniat aap par apnay asrat zahir karna shoro karday gi, oskay baad box ko kisi safe jaga rakh dia jata hai jahan aap kay siwa koi osay khol kar na dekh sakay, har shaks ki apni alag chemistry hoti hai har kisi kay apnay alag maslay masael hotay hain, jo muj say jog sagar box banwatay hain mein osi shaks ki rohani chemistry ko samaj kar os hisab say box bana kay deta hon aur yeh box mein apnay khas students jo mera ilm muj say sekhtay hain aur khas clients aur customers jo meray rabtay mein rehtay hain aur guidelines muj say letay rehtay hain aur meray mashoray say chaltay hain onko mein yeh khas box bana kar deta hon aur aik aik tilsim kay fawaid aur onko use karnay ka tarika bhi batata hon, 

Need Jog Sagar Talisman?:
Agar aap ko jog sagar tilsim banwana hoto aap muj say rabta kar kay banwa saktay hain, yeh tilsim apkay nam aur date of birth aur ramal kay hisab kay mutabik banay ga aur jo tilsimat aap ki rohani chemistry say mansob hongay wahi use hongay, aap tilsimat kam ya ziada apni choice kay mutabik banwa saktay hain, 

Rabtay kay liay aap call, sms ya whatsapp kar saktay hain is meray number par:  +92 03003799165  

InshAllah new posting Siyar singhi ankareb post karo ga, 
Apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,
 
                                                       Ali.
 
 My Other Articles:

Gidar Singhi

Siyar Singhi

Bara Singhi

Sharkali Singhi

Hatha Jori