Pages

Tuesday, November 27, 2018

Surah e Falaq


Allah pak nay muqadas kitab Quran apnay pyaray mehbob Hazrat Muhammad (s.a.w) par nazil farmai, yeh kitab hidayat hai insano kay liay, shifa ka baes hai bimario kay liay, Quran e pak ki ayaat e mubarka ko parhna beshumar barkat ka baes hai, iski bohat see surtay moshkilat kay hal mein faida pohanchati hain, inhe khas ayaat e mubarka mein aik khas surah e falaq hai jo har tarah kay bad asrat, jadu wa asayb ko dor karnay kay liay best hai, kesi he mosibat ya moshkil ho, surah falaq ko parh kar oskay waselay say dua mangi jay to dua kabuliat ka sharf hasil karti hai aur moshkil hal hojati hai, is surah ko ba kasrat parhnay walay ko Allah pak apni hifz wa aman mein rakhta hai, surah e falaq kay baray mein Nabi pak s.a.w ka irshad mubarak hai kay surah e falaq say behtar koi dua panah kay mutalik nahi hai, jo koi yeh chahai kay woh shir e shaitan say mehfoz rahai har tarah kay asayb wa jadu say bacha rahai to surah falaq parhnay ka mamol bana lay Allah pak osko apni hifazat mein rakhay ga,
Kitab Muslim sharif ki hadees mein hazrat okba bin aamir r.a farmatay hain kay Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya kay ajeeb ayaat hain jo aaj ki raat nazil ki ghai hain, inkay manind aaj tak nahi dekhi ghai woh surah falaq aur surah nas hain,
Surah e Falaq bohat ajeeb surah hai is mein kai israr wa ramoz poshida hain mein iski sahi tafeer kay liay har islamic books ko parha lekin detail mein iski tafseer kahin nahi mili, baray baray deeni olmao, molana, molvi, syed, peer sab say is ayaat kay mutalik pocha lekin koi bhi detail say mujay iskay mutalik na bata saka sab wahi kitabon wali batain he kartay jo meinay pehlay he parh rakhi hain,
Yeh surah e mubarka har aamil kay liay bohat important hai jo rohani ilaj kartay hain ya exorcisim kay zariay jinnat, asayb ya jadu ko mariz say nikaltay hain, is surah mein kai mukhfi chezon ka zikar mojod hai jisay aik mahir e mukhfiat he samaj sakta hai koi molana ya molvi nahi,
Yeh Aqeq ka pendant jis par surah e falaq likhi hai yeh pendant mujay hazrat lal shahbaz qalander kay melay janay par aik gemstone sale karnay walay banday say mila, os din say lekar aaj tak is ayaat par meri research jari hai, kai mukhfi olom, mukhfi chezon aur bataon ka mujay ilm is pendant say hasil hua, yeh pendant meray liay bohat lucky hai is say meinay deen ko gehrai say samjha, deen ki taraf lagao barha, research kay doran ahadees ko parha, tarikh ko parha, kai olom ko samjha aur seekha, apni family, relatives, friends aur kai logon ko faida pohanchaya onki parayshania dor ki is ayat e mubarka ki barkat say,
Aab mein yahan kuch poshida israr is ayaat e mubarka kay share karta hon,


 Surah Falaq mein total 5 ayat hain, in ayaat ka urdu tarjoma yeh hai,
In 5 Ayaat mein suba kay rab, har shir e khalak, andheray ka shir, phonkay marnay walio ka shir aur hasad karnay waly kay mutalik zikar hai, is ayaat ki tafseer jo meinay kitabon mein parhi hai os mein yeh likha hai kay aik yahodi shaks jiska nam labaed bin asam tha osnay jadu kia tha Nabi pak s.a.w par aap s.a.w kay baalon par knots laga kar aur osay aik konway mein dafan kardia tha jis say Nabi pak s.a.w ko taklef hogai thi, phir 2 farishton nay surah falaq ko Nabi pak s.a.w par nazil kia aur is ayaat ki barkat say jadu kay bad asrat khatam hogay aur in 2 farishton nay he Nabi pak s.a.w ko yahodi shaks kay mutalik bataya jiska nam labaed bin asam tha,
lekin hayrat ki baat hai kay ayat mein aurton ka zikar hai mard ka nahi aur tafseer ki kitabon mein kahin bhi jadu karnay wali aurton ka zikar mojod he nahi woh aurtay kon thi? iska jawab na tafseer ki kitabon mein hai na olma e deen kay pas,
Aur jadu honay kay baad Nabi pak s.a.w ko takleef hoi thi oskay mutalik bhi kai kitabon mein different batain hain aur yeh bhi different different batain tafseer ki kitabon mein hai kay kis tarikay ka jadu tha, aik kitab mein likha hai kay kangi kay baalon mein knots laga kar kia gaya tha, dosri kitab mein likha hai kay teer kaman ki dori jisay tanit kehtay hain os mein garhain ya knots laga kar jadu kia gaya aur aik kitab mein likha hai kay mom ka putla bana kar os mein soiya laga kar kia gaya aur aik kitab mein likha hai kay in teeno tarikon kay sath kia gaya, lekin ayaat aur tafseer mein zameen asman ka fark hai yeh dono apas mein match nahi hoti,
Ayat mein 5 kowaton ka zikar mojod hai,
* Suba ka Rab (The Morning God)
* Shir e khalak ( The Evils)
* Andheri raat ka shir (The Evils of Night)
* Phonkay marnay walia (The Witches)
* Hasid ka shir (Jealousy)

Aab mein yahan aik aamil kay view say is ayat ki muktasir see detail share karta hon jis say har shaks ko faida hasil hoga, har shir say khud ko aur apni family ko mehfoz rakhay ga,

*Suba ka Rab (God Morning): 
Hum mein say kafi log suba ko aik dosray ko good morning to kehtay rehtay hain lekin God Morning nahi kartay, hum sab ko har suba jab neend say othay to apnay rab ko yaad rakhna chahehai, onka shukar ada karna chahehai kay hum sahi salamat hain aur raat kay shir say mehfoz rahai, humay suba fajar ki nimaz pabandi say parhni chahehai ya agar nimaz nahi parh parahai hon to suba suba dua krna khuda ko yaad karna oska shukar ada karna hum sab kay liay bohat zarori hai, surah falaq ko har suba neend say othnay kay baad parhna chahehai aur oskay baad yeh dua parhni chahehai,
Agar aap nay suba kay rab ko yaad rakha har suba to aap saray din ki har borai har nahosat har shir say mehfoz rahai ghay, jo log suba dayr say othtay hain suba kay rab ko yaad nahi kartay onkay ghar mein humaisha nahosat chai rehti hai, ayeh din maslay masael onkay gharon mein hotay rehtay hain, bimaria, jadu wa bad asrat ghar aur ghar kay afradon ko ghayr letay hain, meri walda is mamlay mein bohat strict hoti thi humay suba jaldi othati thi aur humaisha kehti thi kay beta suba jaldi oth jaya karo dayr say othnay say nahosat hoti hai, meri bhi aap sab ko yeh advise hai kay suba jaldi otha karain aur apnay rab ko yaad kia karain, dil say dua kia karain shukar ada kia karain inshAllah aap har jaga kamiab hongay har borai say mehfoz rahai ghay.

Shir e Khalak (The Evils around us):
Shir yehni evils har jaga har waqat mojod hotay hain koi bhi insan kabhi bhi inka shikar hosakta hai, opar image ko agar aap ghor say dekhay ghay to aap ko kafi gehri batain malum hongi kay aik insan har kisam kay shir mein kistarah ghira hota hai oska bachao aur protection sirf aur sirf khuda ki ibadat karnay say mumkin hai, meinay kai logon ki ibadat dekhi hai nimaz aysay parh rahai hotay hain jesay khud par ya khuda par ahsan kar rahai hon jaldi jaldi nimaz parh kar ghar ay ghay nimaz ki topi sar say otar kay almari mein phankay ghay aur cell phone hath mein lekar busy hojay ghay isko ibadat nahi kehtay, aysay log humaisha kisi na kisi shir mein mobtala rehtay hain onki life mein sukoon bilkol bhi nahi hota woh aik maslay mein say nikal kar dosray maslay mein phans jatay hain, onko guide karnay walay log khud shir mein mobtila hotay hain aur shir virus ki tarah hota hai aik shaks say dosray shaks mein muntakil hota hai, isliay humay khud ko badalna hoga dosra ka sahara lekar chalnay walay log humaisha na kami ka mu dekhtay hain, kya pata woh shaks shir say infected ho aur aap ko bhi shir mein mobtala karday, apnay aap ko har tarah say strong rakhna chahehai aur har mosibat kay liay khud ko pehlay say taiyar rakhna chahehai humaisha aik jesay din nahi rehtay suba kay baad raat bhi aati hai aur har raat kay baad suba bhi hoti hai isliay agar boray din hain to achay din bhi zaror ay ghay, kal he meray aik friend say meri baat hoi thi jispar mujay bohat ghusa aya kuo kay woh har waqat parayshani ki he baatain krta hai aaj tak meinay kabhi koi khushi ki baat oskay mu say nahi suni humaisha mazlomiat dikhana, gorbat show karna, apnay zakham dikhana kay sara din mazdori karta hon payron mein chalay par ghay hain lekin halat nahi badal rahai, sab wesa ka wesa hai kuch nahi badal raha na kabhi badlay ga, aysi baat karnay walay log khatarnak had tak shir mein infected hotay hain aysay logon ko amliyat ki ziban mein zohal kay bad asrat walay log ya sarh sati kay bad asrat walay log kaha jata hai, yeh log mazhab say bhi bagi hojatay hain aur yeh jurm kar saktay hain aur yeh auron ko aur apnay aap ko bhi mar saktay hain aysay logon ko tawez, tilsim, dua par yakin khatam hojata hai, ibadat karna khuda ko yaad karna yeh sab onsay nahi hopata, meinay apnay friend ko jab nasihat ki to osnay mujay whatsap par foran block kardia, meinay osay kaha kay tmko khuda ka har waqat shukar ada karna chahehai kay tum mazor nahi tmharay hath paon, tmhara zehan sahi salamat hai, tmko koi bimari nahi, tmharay ghar walay bhi sahi salamat hain onko koi bimari nahi, har tarah say tum perfect ho aur abhi bhi na shukri kartay ho, mera yeh kehna tha kay osnay foran block kardia,
Is tarah shir mein mobtila aur bhi kai log apko milay ghay jo apnay aap ko modern kehnay walay aur aik naya modern islam paysh kartay hain jis mein jadu ya rohani ilaj ko tohmat aur jahalat samjha jata hai yehni inka modern naya islam yeh batata hai kay jadu ka wajod nahi, jinnat, asyab, saaya, bhoot wagayra ka wajod nahi, rohani ilaj kar kay in sab ka ilaj krna jahalat hai, yeh modern naya islam paysh karnay walay log apko news channels mein milay ghay yeh log western angrayz logon ki tarah har shir mein mobtila hotay hain, agar aap inka background dekhay ghay to apko inkay shir ki lambi list malum hogi, yeh log itnay khatarnak hain kay aik pal mein wali e kamil Allah walay shaks ko shaitan parast keh kar osko masjid, khanka, imam bargah ya mazar say nikal kar dunia bhar mein zalil wa khuwar karnay ki salahiat rakhtay hain isi tarah aik shaitan parast shaks ko aik pal mein wali e kamil Allah ka nayk banda ya Allah wala bana saktay hain, pal mein badshah ko faqir aur faqir ko badshah bana saktay hain, yeh infected hain international bari dajjali kowaton say, Allah pak hum sab ko inkay shir say mehfoz rakhay.

Andheri Raat ka shir (The Evils of Night):
31 October kay baad sardion ka winter season shoro hojata hai, raatain bari aur din chotay hona shoro hojatay hain, 31 october ko europe aur america mein halloween day manaya jata hai yehni bhooton ka din, log muktalif bhooton walay khofnak masks pehan kar yeh din celebrate kartay hain, kuo kay november aur december mein sardia kafi barh jati hain bari kali siah raaton mein har kisam kay jinnat, bhot, pret aur kai mukhfi shir phelanay wali makhlokat active hojati hain, on makhlokat mein aik makhlok jo ziada tar andheri bari raaton mein active hoti hai osay "Saaya" aur hindi mein "Pishach" kehtay hain yeh mukhfi makhlok andheri raaton mein har jaga har waqat mojod rehti hai aur koi bhi shaks iska ba asani shikar hojata hai, ziada tar bachay aur aurtay is makhlok ka shikar hoti hain worldwide har jaga, Nabi pak s.a.w ka irshad hai kay sham ko jab andhera honay lagay to apnay bachon ko ghar say bahir mat nikalnay do, saaya lag janay ki kai wajohat hoti hain jesay kai jawan larkia raat mein naha kar chaht par baal khol kar sokhati hain ya tez khushbu lagati hain jis say onko saaya lag jata hai ya kalay kapray pehan kar kisi puranay darakt kay pas sham kay waqat khari hon ya kaburistan say guzray tabhi bhi saaya lag jata hai aur woh raat ko sotay waqat kisi ki mojodgi ko feel karnay lagti hain,


Kai log jo kala jadu kartay hain andheri raaton mein kaburistan ya shamshan ghat mein jakar in saaya ko taskheer kartay hain aur kisi ki taraf bhi in saaya ko bhej detay hain aur woh shaks in andheri raaton kay saaya ka shikar hojata hai,
Kala jadu karnay walay log in saaya ko taskher kar kay kisi kay bhi ghar, office ya shop par bhejtay hain jis say ay din maslay masael barhtay rehtay hain, in andheri raaton kay shir ka hal surah e falak mein hai, jo surah e falaq ka wird humaisha jari rakhay ga woh in saaya say mehfoz rahai ga,
In andheri makhlok kay shir kay sath aur bhi kai makhlokat hain jinki lambi list hai iskay ilawa chor daku log bhi raat ko active hotay hain, Allah pak hum sab ko in andheri raaton kay shir say mehfoz rakhay.

Phonk marnay walia (The Witches):
Har kisi ki family, relatives, friends ya paros mein phonk marnay wali witch yehni daen zaror hoti hai, yeh zarori nahi kay woh mantar parh kar phonk mar kar jadu karay, jadu ki kai aksam hain bataon say brain wash kar kay hypnotize krna aur galat advise day kar kisi ka ghar kharab karna bhi jadu ki aksam mein say hai, in daen kay kisay kahania aur wakiat to bohat hain lekin mein yahan apni khud ki family mein honay walay daen kay wakiat share karta hon, daen kisi bhi rop mein har jaga hosakti hai aur wahan shir phalana oska kam hota hai, mein yahan apnay cousin ka wakia share karta hon jo aik famous colony mein rehta hai, osko apni ma jo meri phupho hain onsay bohat muhabat thi jo aab nahi, oski ma kay ghar ki chaht barish ki waja say tot ghai to woh apni ma ko apnay sath lekar apnay ghar aya aur apni ma ka bohat khyal rakhnay laga oski wife bhi bohat apni sas ki izat karti aur onka khyal rakhti sab kuch thek chal raha tha phir aik din cousin ki wife paros mein rehnay wali daen ka shikar hoi yeh wakia kuch istarah hua kay paros ki aik aurat ko os daen say infected thi cousin ki wife say milnay ai aur bataya kay paros mein aik pak bibi ai hain jo har waqat hijab mein hoti hain aur every weekend sari paros ki aurtay oskay pas jamah hoti hain deen ki batain seekhnay kay liay tum bhi wahan aya karo deen ko samjo aur ospar amal karo apnay bachon ko deen ki taraf lagao, cousin ki wife os daen bibi kay pas janay lagi aur din ba din mazhabi hoti ghai, har waqat tazbi hath mein aur kuch humaisha parhti rehti thi, meri phupho meray cousin ki walda molai tabiat ki hain aur hazrat lal shahbaz qalander ko bohat manti hain jab bhi wahan jati wahan say dhaga, pani aur wahan kay diay ka tael lekar aati aur apnay betay ko woh dhaga kalai mein bandhti sar mein tail lagati aur pani pilati takay oska beta har borai say mehfoz rahai yeh sab cousin ki wife ko acha nahi lagnay laga aur woh cousin ko mana karti kay yeh sab nahi kia karo na apnay bachon ko yeh dhaga ya tael lagao apni ma ko mana karo kay ainda aysa na kia karay, lekin meri phupho humaisha aysa kia karti jis say cousin ki wife ka para din ba din charhnay laga aur aik din bibi daen say osnay iska pocha to bibi daen nay kaha kay tmhari sas kisi say jadu karwa rahi hai takay oska beta oski muthi mein rahai yeh sari jadu ki chezain hain jo tmhari sas lekar aati hai, cousin ki wife nay kaha kay han aysa he hai jab say woh ai hai mera shohar to jesay mujay bhol he gaya hai har waqat osay apni ma he nazar aati hai os daen bibi nay kuch amal diay kay yeh kia karo takay tmhari sas ka jadu tmpar aur tmharay shohar aur bachon par bay asar ho woh amal karnay lagi aur din ba din mia biwi kay jhagray barhtay ghay aur akhir yeh nobat aghai kay cousin nay apni biwi kay kehnay par aadhi raat ko apni ma ko ghar say nikal bahir kia, bichari zaef borhi ma ka osay koi ehsas na hua, suba woh meray pas ai aur sari batain batai mujay bohat dokh aur taklef hoi kay mera cousin aysa bhi kar sakta hai, meinay jab sab chan been ki to is borai ki jarh pakar li woh thi bibi daen jo mazhab ka libada orhai shir kay kam kar rahi hai, ma ki aah ma ki bad dua bohat khatarnak hoti hai aur yeh meray cousin aur oski wife ko aysi lagi kay woh sari omar yaad rakhay ghay, onki gari ka bori tarah accident hogaya aur Allah pak nay khair kia sahi salamat to rahai lekin cousin kay face par aysay nishanat aghay hain jo sari omar rahai ghay yeh phitkar hai oskay face par jo osnay apni ma kay sath zulam kia, biwi kay dant tot ghay fake dant lagae hoay hain, oski biwi abhi bhi os daen kay bad asrat mein mobtila hai osnay apnay shohar ko muj say milnay kay liay bhi roka hua hai lekin mera cousin aaj bhi chop kar muj say milnay ata hai, os bibi daen nay kuch aysay tonay totkay osay dian hain kay mera cousin oska ghulam bana hua hai jisko apni ma tak dikhai nahi di to mein kya dikhai don ga,
Aik aur bibi daen hai jo meray paros mein rehti hai paros ki aurtay kafi oskay pas jati hain aur meray khud kay relatives bhi oskay pas jatay hain khas kar meri khala aur onkay bachay jo meray cousins hain woh bhi dam karanay jatay hain, os daen bibi nay mera taluk apni akhloti khala say he khatam karwa dia yeh keh kar kay mein onkay ghar mein kala jadu karta hon yeh aik bohat he ghatia baat osnay kahi mein kuon apni sagi khala par jadu karon ga, yeh ghatia aurtay mazhab ka sahara lekar istarah nafratay philati hain, mujay malum he nahi tha yeh sab aik din mera cousin mujay rastay mein mila bohat parayshan lag raha tha meinay has kar salam kia thori mazak ki to ro para aur kaha kay khuda tumko dekhay ga has lo jitna hasna hai meri ma hospital mein hai meray bachay bimar hain mera bap alag bistar mein laga hai bara bhai naraz hokar ghar say chala gaya hai, kya kasoor hai humara kya bigara hai hum nay tmhara kuo jadu kia hum par, mein oski bataon say aik dam say saktay mein agaya kay yeh bol kya raha hai phir osnay bataya kay bibi nay aysa bataya hai meinay osay kaha kay woh daen hai to ghusay mein agaya kay ikhlaq say baat karo woh syed pak bibi hai, meinay kaha lanat ho aysi bibi par jo jhot bol kar shir aur nafrat philae aysi kay pas tum kuon jatay ho, phir meinay Quran pak, apnay peer wa murshid aur ma bap ki kasam kha kar osay mutamin kia kay mein kuo jadu karo ga, aab woh normal to hogaya hai lekin os daen bibi kay pas ana jana aab bhi hai aur meray samnay rehnay wali cousin bhi oskay pas jati hai shayad osay bhi shak ho muj par, in sab wakiat ko batanay ka mera maksad yeh hai kay yeh bibi bani jahil aurtay jinko mukhi olom ki aalif bay tak malum nahi sirf jahalat kot kot kay bhari hoti hai uneducated aurtay jinko deen ka ilm bhi puri tarah nahi hota jo deen ko bhi galat tonay totkon say kharab karti hain jesay qurani kisi bhi ayat ko agar olta parho to ism e azam milay ga oska wird karnay say aap ki moshkilat khatam hogi, lanat ho aysi aurton par jo qurani ayat ki toheen karti aur karwati hain inhe ko to daen kehtay hain jo nafrat, shir kay sath mazhab bhi kharab karti hain, meri advise aap sab ko yahi hai kay aap kay ghar ki khawateen agar yeh kahai kay hum dars ya islami batain seekhnay samajnay ya rohani ilaj kay liay bibi kay pas jati hain to aap onko foran rok do kuo kay shir ka beech yahin say parna shoro hota hai aur barhtay barhtay nafrat ka payr khara hojata hai, Allah pak aap sabi ko aysi daen bibi ya peerni kay shir say mehfoz rakhay,
Meray cousins aur meri khala par phonk marnay walio ki aysi phonk lagi kay aaj tak woh ay din parayshan he parayshan rehtay hain koi sukoon nahi onkay ghar mein, meri advise onko yahi hai kay surah falaq ko suba sham kasrat say parha karain takay in phonk marnay walio kay shir say nejat mil sakay,
3 witches yehni 3 daen ki philosophy har mazhab har culture mein zamana e qadeem say he mojod hai, olma e rohaniat wa mukhfiat kay mutabik har shaks ka samna oski life mein 3 daen say zaror hota hai, in teeno daen ka shape istarah hai kay aik moti bhadi shape ki hoti hai, aik patli khubsurat hoti hai aur aik borhi hoti hai, yeh teeno daen har insan ko oski life mein kisi na kisi rop mein zaror mila karti hain, wife ki surat mein, sas ki surat mein, mehboba ki surat mein, dost ki surat mein ya teacher ya student ki surat mein etc...
meinay opar jo cousin ka wakia bataya jisnay apni ma say zulam kia woh aaj kal dosri daen kay asar mein agaya hai, pehli osay borhi daen mili, aab young aur khubsurat daen mili hai jispar woh sabi paisay ospar lota raha hai aur os say dosri shadi karnay ki khuwaish rakhta hai yahin say oski tabahi shoro honay ko hai meinay osay bohat advise di samjhaya lekin woh os daen kay full kabu mein hai, Allah pak osay hidayat day meinay to har tarah say osay samjhaya,
Kai log aysay hotay hain jinkay sosral mein daen hoti hai, jab woh apni wife ko sosral chor kar ata hai to wahan oski wife pehlay to khushi khushi jati hai lekin jab shohar kay pas wapis ghar aati hai to rop he oska alag hota hai, shohar say larna ghar mein bachon par ghusa hona, shohar aur bachay bicharay oska yeh rop dekh kar seham say jatay hain shohar ko alag hayrat hoti hai kay achanak isay aysa kya hogaya jo aysa behave kar rahi hai, yeh sab os daen ki waja say hota hai jo sosral mein hoti hai aur woh koi bhi hosakti hai saas, sali ya wahan ki koi bhi aurat, isliay meri advise hai kay wife ko kabhi bhi tanha kahin na choray har waqat saaya ki tarah apni wife kay sath har jaga mojod rahain agar majbori hai wife ko tanha chorna hai sosral to surah falaq ka wird wife ko parhnay kay liay kahai ya khud parhain jab woh janay lagay aur jab woh wapis ghar ay to, 
Jinki wife job karti hain woh ba asani daen aurton ka shikar hojati hain aur galat rastay mein ajati hain, agar aap ki wife job karti hai to aap osay surah e falaq parhnay ka mashora dain aur khud bhi parhkar ospar dam kia karain inshAllah is surah ki barkat say woh kabhi galat rasta nahi choose karay gi,
Kai log aysay bhi hotay hain jinkay pas itni achi pyar karnay wali biwi hoti hai lekin dosri jaga onka affair hojata hai kuch to wife say chop kar apni lover say miltay aur zina kartay hain aur kuch to mazhab ka sahara lekar dosri shadi kar letay hain yeh log bhi daen ka shikar hojatay hain in logon ko apni pyar karni wali biwi ki feelings ka zara bhi khyal nahi hota, dunia ko dikhanay kay liay dono biwio ko bitha kar photos lekar share kartay hain kay dunia dekho meri dono biwia khush hain sath rehti hain aik he ghar mein, baray afsos ki baat hai kabhi apni wife kay dil mein jhank kar dekha kay oskay dil par kya beet rahi hogi, woh bhi insan hai jesay aap insan ho oskay andar bhi wahi feelings hain jo aap mein hai, thora is baat par ghor karo kay aap ki wife kisi ghayr mard ko apnay sath bitha kar kahai kay jesay aap meray shohar ho wesa yeh hai phir kya feelings hongi aap ki, aap ki ankhon mein khoon otar ay ga jab aap kisi ghayr mard kay sath apni wife ko dekho ghay to yahi same feelings aap ki pyar karnay wali wife ko hogi agar aap dosri biwi kay sath bistar par so ghay to, isliay please meri advise hai aap sab ko kay daen aurton kay chakar mein akar apna ghar kharab na karain, hayrat to on daen aurton par hai jinko malum bhi hota hai kay yeh shadi shoda hai lekin phir bhi onpar doray dalti hain yahi to daen hain jinka kam he shir philana, nafrat dalna, judai karwana hota hai warna aik normal nayk aurat aysa kabhi soch bhi nahi sakti, Allah pak hum sab ko phonk marnay wali daen, pyar ka dawa karnay wali daen aur gharlio daen say mehfoz rakhay.

Hasid ka Shir (Jealousy):
Hasad woh na dikhai denay wali aag hai jis mein insan andar he andar jalta rehta hai dosron ki khushi ya dosron ko khush dekh kar, yeh hasad wala masla tab say shoro hua jab hazrat Adam a.s kay do beton mein say aik betay nay apnay bhai ko hasad ki waja say katal kia yeh dunia ka pehla katal tha jo hasad ki waja say hua,
Kuch log to aysay hotay hain kay waqti tor par hasad kartay hain lekin phir normal hojatay hain dua denay lag jatay hain aur kuch log har waqat hasad kartay hain aur apna andar jalatay rehtay hain inhe logon ko hasid kaha jata hai jo har waqat kisi na kisi say hasad kartay rehtay hain, aap ko oski ankhon say oskay face kay impression say ba asani malum hojay ga kay yeh hasid hasad karnay wala hai, oskay face par phitkar baras rahi hoti hai, jo humaisha hasad kartay rehtay hain woh shaitan ban jatay hain aur onsay aysi bad rays kharij hoti hain virus ki tarah jis say khushal shaks infected hokar problems mein ajata hai, har shaks ki family mein koi na koi hasid hasad karna wala zaror hota hai, meri apni family mein bhi hasid hasad karnay walay bohat hain, aik wakaya cousin ka yahan share karta hon, meray cousin kay pas choti car thi jo woh careem mein chalata tha oski khuwaish thi kay woh yeh sale kar kay bari car lay, osnay muj say hisab lagwaya kay ali bhai batao meri yeh car kab sale hogi bohat parayshan hon yeh sale hojay takay bari car lay sakon meinay osay kaha kay isi week mein inshAllah tmhari car sale hojay gi aur wahi hua oski car sale hogai aur osnay bari car li aur family mein sab ko dikhai kisi hasid kay hasad ka aysa shir laga kay meray cousin ka accident hogaya, car ka darwaza pura kharab hogaya, meray cousin nay kaha kay ali bhai pata nahi konsi sakti hai ya shayad koi jadu karwa raha hai meinay osay kaha kay har maslay ki buniad jadu nahi hota, agar jadu hota to tumhari car sale he na hoti aur na he yeh car tum lay patay yeh sab hasad ki waja say hua hai, 
Hasad karnay walay log paros mein bhi hotay hain, friends mein bhi in kay hasad kay bad asrat say bachnay kay liay ya onkay shir say mehfoz rehnay kay liay surah falaq ka wird humaisha karna chahehai takay hasid kay shir ki waja say problems na hosakain.

Aap sab ko yeh sab parhnay kay baad malum hogaya hoga kay surah e falaq mein kitnay ziada fawaid hain, isay humaisha parhtay rehnay say aap humaisha har bari mosibat say khud ko aur apni family ko mehfoz rakh sakay ghay har tarah kay shir say jo andekhi kowaton ya logon kay thru hongay,

Amliyat Surah e Falaq:
Aab mein yahan surah e falaq kay kuch amliyat share kar raha hon jo mujay muktalif kitabon say hasil hoay,
  
*Zehan Tez karnay ka amal:
Jisko koi baat yaad na rehti ho, zehan kamzor ho ya parhae mein zehan na lagta ho parhae mein kuch yaad na rehta ho, parhae kay doran sar mein dard rehta ho to suba kay waqat 3 badam lekar ba wazu hokar surah e falaq 3 bar parh kar badamo par dam karay aur kha lay yeh amal 11 dino tak karay inshAllah zehan sahi hojay ga.

*Saaya dor karnay ka amal:
Agar kisi par saaya agaya ho aur raat ko tang karta hoto ba wazu hokar 7 martaba surah falak ko sarson kay tael par dam karay aur os tael say saray jism par malish karay ya kisi say karwae to inshAllah saaya say nejat mil jay gi.

*Zehani bimari ka amal:
Agar kisi ko zehani koi bhi bimari ho woh heeran ki khal kay tokray par surah falaq ko lekay aur chandi kay tawez mein dal kar galay mein pehan lay, inshAllah shifa milay gi.

*Dushman ki ziband bandi ka amal:
Jo koi yeh chahai kay woh dushmano kay shir say mehfoz rahai, dushman osay kisi tarah ka noksan na pohancha sakain to osay chahehai kay ba wazu halat mein aik hazar martaba surah falak ki akhri 5th ayat ko parhai chand ki pehli tarikh ko, parhnay kay baad dushman ka tasawar kartay hoay zameen par dastak day, is amal ko rozana karay, inshAllah dushman ki ziban bandi hojay gi oskay shir say bacha rahai ga.

*Shir e shaitan say hifazat ka amal:
Agar kisi ko shaitani wiswisay bohat ziada tang kartay hon jiski waja say kafi parayshan hoto osay chahehai kay woh har nimaz kay baad 13 martaba surah falaq parh lia karay, inshAllah shaitan kay shir say mehfoz rahai ga.

*Mohtaji dor karnay ka amal:
Jo shaks yeh chahai kay woh dunia mein kisi ka muhtaj na rahai Allah pak har jaiz zarorat kay asbab gayb say mohia farma dia karay to osay chahehai kay woh rozana 30 martaba surah e falaq ko ba wazu halat mein parhai har roz aur dua manghay, inshAllah kabhi muhtaj na hoga.

*Jinon kay ilaj ka amal:
Agar kisi ko pagal pan kay doran partay hon halat jinoni hojati hoto osay chahehai kay ba wazu halat mein rozana surah e falaq  11 martaba parh kar marez par dam karay aur pani par dam kar kay pilae, inshAllah shifa milay gi.

*Jadu khatam karnay ka amal:
Jo koi yeh chahai kay jadu kay asrat say mehfoz rahai woh har nimaz kay baad 21 martaba surah e falaq parhai aur dua mangay inshAllah jadu say mehfoz rahai ga, agar kisi par jadu kardia gaya hoto surah falaq heeran ki khal par musk wa saffaran say likh kar bazu mein bandhay aur pani par dam kar kay piay to asrat zael hojay ghay.

*Har Shir say bachao ka amal:
Agar kisi ko shaitani wiswisay aatay hon aur oska dil borai ki taraf aur boray kam ki taraf ziada jata ho aur dili sukoon na milta hoto osay chahehai kay har nimaz kay baad 11 dafa surah falaq ko parhai aur pani mein dam kar kay pani piay inshAllah mehfoz rahai ga, agar kisi ko shaitan khoab mein tang karta ho jis say boray khoab atay hon jiski waja say ahtalam ziada hota ho ya khoab mein darta ho ya dar khof har waqat rehta hoto surah falaq ko ba wazu heeran ki khal mein musk wa saffaran say likh kar chandi kay tawez mein dal kar har waqat pehnay rakhay inshAllah har shir say mehfoz rahai ga.

Surah e Falaq ki yeh posting mein yahin tak complete karta hon, inshAllah mazed Qurani ayat par aur bhi kai postings share karon ga,
mazed malumat kay liay muj say rabta kar saktay hain,
Phone & Whatsap: +92 03003799165 
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Apnay is bhai ko apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga, Allah pak aap sabi ko khush wa abad rakhay aur har shir say mehfoz rakhay.

                                             Ali.
 

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman