Pages

Friday, August 1, 2014

The Gidar Singhi Talisman

Gidar singhi ya jackal horn talisman woh khas mashor aur qadim tilsim hai jiskay mutalik pakistan aur hindustan mein rehnay wala har dosra shaks iski jankari rakhta hai, aysa kya raaz chopa hai in baalon kay gochon mein jisay hasil karnay ki shedad wa khuwaish har shaks ko rehti hai kay bas gidar singhi kahin say mil jay takay humaray boray haalat khushali mein badal jaen, gidar singhi hasil karnay ki koshish mein osko kuch aysay shaitan log mil jatay hain jinka koi deen wa eeman nahi hota jo jhoti kasmay kha kar aur bataon ki tricks say osay kael kar kay asal gidar singhi ki jaga nakli bhari keemat mein day detay hain aur kharidnay wala shaks isi umeed par khush hota hai kay oskay pas asal gidar singhi hai, isitarah kai log gidar singhi on bhikari logon say letay hain jo dar dar bheek mang kar apna guzara kartay hain, agar onkay pas asal gidar singhi hoti to onhai kya zarorat thi suba say sham tak dar dar bheek mangnay ki? kai log is baat par ghor nahi kartay aur woh bhikari logon say nakli fake gidar singhi letay rehtay hain jo bakri ki khal say bani hoti hai, meinay kai logon kay pas gidar singhi dekhi hain jo ziada tar nakli he hoti hain, kuch logon kay pas asal hoti hain, jinkay pas asal hoti hain woh khushal hotay hain, Gidar singhi kya chez hai? iski kya haqeqat hai? yeh kis tarah wajod mein ai? iski kitni aksam hain? asal aur nakal ki kya pechan hai? isay kistarah use kia jay etc..in sab sawalat kay jawab aap ko yahan meri isi posting mein milay ghay.

Ilm Al-Simiya:
Kuch arsa pehlay meinay ilm al-limiya kay mutalik postings ki thi yeh ilm darakt aur jari botio kay mukhfi rohani asrat kay mutalik hai aur aab mein ilm al-simiya kay mutalik yahan share kar raha hon, amliyat kay yeh total 5 mukhfi oloom hain, in par jisko abhor hasil hojay wahi aamil kamil hota hai, jisko in oloom ki abc bhi nahi malum woh aamil nahi ban sakta,
Ilm simiya woh ilm hai jis mein janwaron mein mojod mukhfi rohani asrat ko rohani ilaj mein use karna,
Allah pak nay jistarah dunia mein kai payr poday, phal, sabzi aur jari botia peda ki jo insan kay liay ghiza bhi hain aur dawa bhi, same isitarah kai janwar peda kiay, in janwaron mein kai janwar insan kay liay halal hain, kuch haram hain, kuch manhos hain aur kuch mubarak hain, ilm al simiya ki jhalak kai ahadees e pak mein humay milti hai jesay aak hadees mein Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya kay kala kutta agar kisi nimazi kay samnay say guzar jay to oski nimaz tot jati hai, aur jahan kutta hoga wahan rehmat kay farishtay nahi ay ghay, isitarah aak hadees mein Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya kay ghar mein safaid morga rakhna mubarak hai, jis ghar mein safaid morga hoga os ghar kay afrad shiateen say mehfoz rahai ghay, istarah ki kai ahadees hain jo ilm al-simiya ki taraf ishara karti hain, kay kai janwaron mein achay asrat hotay hain aur kai janwaron mein boray asrat hotay hain,
Jistarah Allah pak nay dunia mein mojod jari botio mein khuwasiat rakhi jo kai amraz aur bimario kay liay shifa hain aur iska ilm hakim ko dia aur hakim is ilm say dawai banata hai jiskay istamal say insan ki jismani bimaria ko shifa milti hai, same isitarah kai janwaron mein bhi Allah pak nay aysay mukhfi rohani asrat rakhay hain aur iska ilm aamil ko dia aur aamil is ilm say tilsim banata hai jiskay istamal say insan ki rohani bimario say shifa milti hai,
Kai log jinkay pas ilm nahi woh janwaron kay organs ya hadio kay banay tilsimat ya tawez ko kala jadu samaj letay hain aur inhai haram kam kehtay hain, magar woh yeh nahi sochtay kay jo ilm insan aur insaniyat ki bhalai kay liay ho, jis ilm say insan ko shifa milay woh ilm haram nahi hosakta,

Ilm Al-Simiya Aur Gidar Singhi: 
Olma e rohaniat aur ilm al-simiya kay mahir logon kay mutabik gidar singhi aak aysa zabardast tilsim hai jis par kisi kisam kay amal ya chila katnay ki zarorat he nahi parti, yeh wesay he qudrati aak aysi anmol chez hai jis mein bohat he powerful mukhfi asrat hain jo har jaga say mayous aur apni bad kismati par anso bahanay walay insan ko khushal aur kamiab tarin insan bana detay hain, isi waja say ilm al-simiya janay walon nay is tilsim ko bohat passand kia aur iska raaz apnay tak mehdod rakha aur is par aaj tak kisi nay koi kitab nahi likhi,

Rohani Bimaria, Mukfi Virus aur Bad Asrat:
Rohani bimaria woh hoti hain jis say kisi insan ki ruh par attack hota hai, jiski ruh khush nahi hogi osay chahai dunia ki har nehmat kuo na mil jay magar woh phir bhi udas aur bechain sa rahai ga, kahin dil nahi lagay ga, aak ajeeb bechani aur ghutan see mehsos hogi, jab sonay ki koshish karay ga neend nahi ay ghi aur jab neend ay gi to aysay feel hoga jesay koi oska gala daba raha ho, dam ghutnay lagay ga, mazhab kay mutalik galat sochain anay lagay gi osay, oska dil karay ga kay bohat roay, to kabhi dil karay ga chezain phankay tor phor karay ya deewaron par punch maray ya apnay aap ko aziat day ya maray aur kabhi suiside karnay ko dil karnay lagta hai, yeh rohani bimari jis say oski ruh bechain aur qaidi see feel karti hai oskay jism mein aur azad hona chahati hai akhir aysa kya hota hai akhir insan kay sath jis say insan ko yeh bimari lag jati hai?
Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya hai "nahosat agar jis chez mein agar hoti hai to woh aurat mein, ghar mein aur ghoray mein hoti hai".
Kai ghar aysay hotay hain jis mein bad asrat hotay hain os ghar mein rehnay walay afrad mein jo sensitive hotay hain oski ruh par yeh bad asrat attack kartay hain jis say osay yeh bimari lag jati hai aur woh chop chap say rehtay hain aur tanha rehna onhai passand hota hai, yeh bimari chotay bachon say lekar borhai bozrogon ko bhi lag jati hai, is bimari ka behtarin ilaj gidar singhi hai, aysi rohani bimari mein mobtala shaks apnay room mein agar gidar singhi rakh lay to oskay room ya ghar mein mojod nahosat gidar singhi apnay andar absorb kar kay achay asrat kharij karti hai, bad asrat gidar singhi ki ghiza hai, jistarah plants carbon dioxide gas ko apnay andar absorb kar kay oxygen kharij kartay hain same isitarah gidar singhi ghar mein mojod har kisam kay bad asrat ko apnay andar absorb kar kay achay asrat kharij karti hai,
Aurat ki nahosat jis say oskay husband ko rohani bimari lag jati hai jis say oski ruh mutasir hojati hai, roz roz ki kir kir kabi kis maslay par to kabhi kis maslay par jis say os shaks ko apna he ghar jehnom sa lagta hai, manhos asrat wali aurat ki waja say woh apni zindagi say itna bayzar hojata hai kay apnay aap ko mar dena he sab say chotkaray ka hal osay dikhai deta hai, aurat par nahosat kay asrat khatam karnay kay liay gidar singhi aak best tilsim hai isay aurat kay bedroom mein rakhnay say os aurat mein mojod bad nahosat bharay asrat khatam hojay ghay aur os aurat mein aysi ability peda hojay gi kay woh ghar ko jannat jesa bana day gi aur oskay husband ki ruh pur mutamin aur khush rahai gi,
Ghoray ki nahosat, pehlay dor mein ghoray mein sawari hoti thi lekin aaj kay dor mein bike aur car hai, aur nahosat bike aur car mein bhi hoti hai, aap nay news mein dekha ya parha hoga kay 2 dost bike par jarahai thay kay accident hoa aur mar ghay, isitarah car kay accident mein aak he family kay tamam afrad mar ghay, in bad asrat ko khatam karnay kay liay bhi gidar singhi use ki jati hai,
Virus bhi aak mukhfi bimari hai, jesay koi shaks kisi par hasad karay to osay aysay virus lag jatay hain kay oski khushal zindagi tabha barbad hojati hai, hasad aaj kal family mein bhai apnay bhai say karta hai, hasad aaj kal aak behan apni dosri behan say karti hai, hasad kay bad asrat walay virus say insan par aak bandish see par jati hai har oska seedha kam olta honay lag jata hai, isitarah nazar e bad kay alag virus hotay hain jo insan ko tabahi ki taraf lay jatay hain, kaburistan, hospital kay emergancy ward, jail jahan phansi de jati hai ya veeran jaga par janay say wahan alag virus lag jatay hain jis say tarah tarah ki rohani bimari insan ko hojati hai jesay bandish, har kam mein rikawat etc,
Bad asrat woh jo sitaron ki gardish, kalay jadu, jinnati asrat wagayra say kisi insan par lag jatay hain, in sabi problems ko sirf yeh aak tilsim gidar singhi theek kar sakta hai, isi waja say jo iski jankari rakhta hai woh deewano ki tarah is tilsim ki talash mein rehta hai,


What is Gidar Singhi?
Gidar Singhi aak seengh(horn) hota hai jo kai gidaron mein say aak khas gidar kay sar mein baray danay ki tarah obhar aata hai aur waqat kay sath barhnay lagta hai,
Ilm e simiya jannay walay log ahtiat say isay gidar kay sar mein say kat kar nikaltay hain istarah kay sirf seeng nahi nikaltay woh obhara hoa dana bhi saath mein nikaltay hain, agar aap sirf plant ko zameen say torkay nikalo aur oski jarain zameen mein he reh jay to plant kisi kam ka nahi woh bina jarh kay dosri zameen mein nahi ogh sakay ga same isitarah gidar kay khas seengh ko bhi gidar kay sar mein say jarh kay sath he nikal kar osay alag kia jata hai, phir isay amal e hanot yehni mummfied kar kay rakha jata hai, khas kar sindoor mein,
Sindoor aak chemical hai jis say os mein bacteria, keeray wagayra nahi lagtay, yeh khas seengh apni jarh kay saath he hota hai aur khuda ki qudrat dekhiay kay gidar kay sar mein say juda honay kay baad bhi yeh zinda rehta hai aur iskay baal barhtay rehtay hain,
Kai khas Gidar kay sar mein sirf dana sa obhar aata hai magar os mein seengh nahi hota, yeh bhi ilm e simiya jannay walay log kat kar mummfied kar kay rakhtay hain aur isay female gidar singhi kaha jata hai, male gidar singhi mein seengh hota hai aur female gidar singhi mein nahi hota,
An excrescence is sometimes found on the head of the jackal, consisting of a small horny cone about half an inch in length, and concealed by a tuft of hair. This the natives call narrie-comboo or gidar singhi; and they aver that this "Jackal's Horn" only grows on the head of the leader of the pack. Both the Singhalese and the indians regard it as a talisman, and believe that its fortunate possessor can command by its instrumentality the realisation of every wish, and that if stolen or lost by him, it will invariably return of its own accord. Those who have jewels to conceal rest in perfect security if along with them they can deposit a narri-comboo, fully convinced that its presence is an effectual safeguard against robbers.
One fabulous virtue ascribed to the narrie-comboo by the Singhalese is absurdly characteristic of their passion for litigation, as well as of their perceptions of the "glorious uncertainty of the law." It is the popular belief that the fortunate discoverer of a jackal's horn becomes thereby invincible in every lawsuit, and must irresistibly triumph over every opponent. A gentleman connected "with the Supreme Court of Colombo has repeated to me a circumstance, within his own knowledge, of a plaintiff who, after numerous defeats, eventually succeeded against his opponent by the timely acquisition of this invaluable charm. Before the final hearing of the cause, the mysterious horn was duly exhibited to his friends; and the consequence was, that the adverse witnesses, appalled by the belief that no one could possibly give judgment against a person so endowed, suddenly modified their previous evidence, and secured an unforeseen victory for the happy owner of the narrie-comboo!

Gidar Singhi aak aysa zabardast qudrati tilsim hai jiskay mukhfi asrat say dunia ka har woh shaks kael hai jiskay pas yeh tilsim hai, yeh tilsim jis kay pas hoga oski har khuwaish puri hogi, jis chez ki chahat osay hogi woh osay milay gi, agar koi kemati chez iski ghom hojay ya chori hojay to woh bhi osay gidar singhi kay mukhfi asrat say wapis mil sakti hai, jahan rupay pesay ya kemati jewellery rakhi jati hai wahan isay rakhnay say woh chezain mehfoz rahai gi chori honay say aur aysi barkat hogi on mein kay cash ya zaywarat aur ziada barhtay rahai ghay, nai nai zariay banay ghay amdani kay job mein taraqi hogi, lottery lag jay ghi ya bond khol jay ghay, matlab kay koi na koi aysa zaria ho he jay ga jis say cash aur zaywarat barhtay rahai ghay aur gidar singhi rakhnay wala kabhi kisi ka mohtaj nahi rahai ga, woh apni family mein khushal zindagi guzarta hai,

What Science Said About Gidar Singhi?
Scientist aur zoologist gidar singhi kay mukhfi asrat ko nahi mantay, onkay mutabik gidar singhi ki koi haqeqat nahi, jo obhar ya dana gidar kay sar mein peda hota hai woh aak bimari ki waja say hota hai, aur yeh tumor hai jisay agar gidar kay sar mein say kat kar juda kia jay phir bhi woh tumar kai arsay tak zinda rehta hai os mein kai bacteria hotay hain jo apas mein aak dosray ko kha kar zinda rehtay hain aur tumar barhta rehta hai aur logon ko yeh feel hota hai kay gidar singhi bari horahi hai, 
Magar scientist aur zoologist ko shayad yeh baat malum nahi kay zamana e qadeem say log iskay mukhfi asrat kay kael rahai hain, agar yeh tumor hai to tumor to aur janwaron ko bhi peda hota hai phir woh kuon khas nahi? science gidar singhi kay mukhfi asrat ko kabi samaj nahi sakay ghi, sirf wahi iskay mukhfi asrat ki samaj rakhta hai jisay khuda nay rohaniat ata ki ho,

History of Gidar Singhi:
Zamana e qadeem say he gidar singhi aam shaks say lekar badshahon mein sab mein yeh pasandeda tilsim raha hai, Hindustan mein kai badshah aur raja is tilsim ko apnay pas rakhtay thay jis say dushmano say mehfoz aur khushal rehtay thay aur kabi dolat ki kami nahi hoti thi onkay khazanay mein, opar image mein ilm e simiya jannay wala ak shaks gidar singhi ko amal e hanot yehni mummified kar kay preserved kar kay matkon mein dal raha hai aur in matkon ko shahi khazanay mein rakha jata tha,
Kai log yeh samajtay hain kay gidar singhi ka taluk hindustan say hai aur yeh hinduon ka tilsim hai jisay hinduon kay tantric logon nay ayjad kia, lekin yeh sab galat hai, jo log aysa sochtay hain woh galat hain, is tilsim ka taluk hindustan say nahi qadeem misar yehni ancient egypt say hai, gidar singhi aksar sindoor mein rakhi jati hai isliay isay hinduon ka tilsim mana jata hai, lekin hindu mazhab ki kisi bhi kitab ya tarikh mein iska zikar mojod nahi hai, iska zikar sirf qadeem misar mein aap ko milay ga, 
Qadeem misar mein gidar ko bohat khas aur muqadas janwar samja jata tha kuo kay onkay aak devta jisay woh anubis kehtay thay oska sar gidar ka aur baqi jism insan jesa tha, qadeem misri logon kay mutabik yeh devta insan kay marnay kay baad oski ruh ka hisab leta jo nayk hota osay jannat ki taraf bhej deta aur jo gunnah gar hota osay jehnom mein,
 Qadeem misri log seengh walay gidar ko bohat muqadas mantay thay aur os seengh ko anubis ka taj kehtay thay, seengh walay gidar kay marnay kay baad woh os mein say gidar singhi hasil kar kay osay mummified kar kay khas jar mein band kar kay apnay pas mehfoz rakhtay thay,
 
 
Qadeem misar mein gidar singhi kay tilsim ko bohat muqadas mana jata tha, iskay mukhfi zabardast asrat say har koi kael tha aur woh log yeh samajtay thay kay gidar singhi mein onkay devta anubis ki mukhfi kowat mojod hai wahi sab os shaks ko khushal kar deti hai jiskay pas anubis devta ka taj mojod ho, janwaron kay organs ko mummified kar kay onkay tilsim banana yeh kam sirf qadeem misar mein hota tha aur gidar singhi bhi aak misri tilsim he hai,
misar kay baad is tilsim ka raaz dunia kay kai mumalik aur culture mein phayl gaya aur har culture aur mazhab mein gidar singhi ki alag kahani aur mythology parhnay aur sunnay ko milti hai jo onkay mazhab aur culture ki hoti hain, lekin haqeqat to yeh hai kay gidar singhi ka taluk kisi bhi mazhab ya culture say nahi hai, yeh aak natural ya qudari tilsim hai jisay qudrat nay banaya aur peda kia, yeh tilsim har insan ko faida deta hai chahai woh insan mosalman ho, hindu ho, christian ya yahodi ho har mazhab kay insan ko yeh faida zamana e qadeem say lekar aaj bhe deta raha hai isliay dawat e rohaniat apko dawat deta hai kay is qudrat kay banay is nayab tilsim ko aap zaror apnay pas rakh kar daykhain aap ki bigri kismat inshAllah zaror sawar jay ghi.


Gidar Singhi ki Aksam:
Yeh to aap sab ko aab malum hogaya kay gidar singhi kya chez hoti hai aur wesay bhi hum mein say kai logon ko iskay mutalik malum hai lekin yeh logon ko malum nahi kay gidar singhi ki kitni kismay hain aur har kisam ki gidar singhi ka apna alag asar aur taseer hai, kai kisam gidar singhi ki aysi hain jiska asani say hasil hona na mumkin hai yeh nayab gidar singhia kismat say haath aati hain, baqi jo asani say hasil hojati hain onkay mutalik detail mein yahan share kar raha hon,
*Saam: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai aur iskay baal tezi say baray hotay hain.
*Chopa: yeh gidar singhi chotay ya baray size ki hoti hai iskay baal kam baray hotay hain.
*Ling: yeh gidar singhi choti hoti hai iskay baal bhi kam baray hotay hain lekin iska seengh bara honay lagta hai. 
*Kama: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai oskay baal slowly baray hotay hain lekin oska shape jesa hota hai wesa he rehta hai, yeh box mein move karti rehti hai, yehni agar aap isko box mein aak side rakhay ghay to woh os jaga say hati hoi aap ko milay ghi, woh direction change karti rehti hai. 
*Bayz: yeh gidar singhi chotay aur baray size ki hoti hai, is mein new baal jo peda hotay hain woh safaid hotay hain. 
*Seham: yeh gidar singhi bhi chotay aur baray size mein hoti hai, is gidar singhi kay baal kalay hotay hain.
*Habsh: yeh gidar singhi normal size ki hoti hai, iskay baal light yellow colour kay hotay hain.

*Mata: Yeh gidar singhi bachay deti hai, yehni os mein say baal jo jhartay hain woh apas mein mil kar chotay chotay ball ki tarah ban jatay hain jinko gidar singhi kay bachay kaha jata hai. 
*Mohini: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai jis mein sirf 2 ya 3 baal baray hotay hain. 
*Moch: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai jis mein sirf 2 baal lambay hotay hain mochon ki tarah isliay isay moch wali singhi kehtay hain. 
*Nakeli: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai jiska seengh nak ki shape jesa hota hai isliay isay nakeli kehtay hain. 
*Sadukari: yeh gidar singhi chotay size ki hoti hai jis mein koi changing nahi hoti aak he jaga pari hoti hai isliay isay sadu ya sadukari kehtay hain.
Meinay yahan 12 aksam ki gidar singhi kay mutalik bataya hai jo easily mil jati hain baqi aksam kay mutalik yahan batana fazol hai kuo kay onka milna na mumkin hai, aab mein yahan gidar singhi ki batai aksam kay mutalik mazeed details, photos aur onkay fawaid  share karta hon, 

Saam Gidar Singhi:
Yeh Gidar singhi chotay size ki hoti hai aur iskay baal tezi say baray hotay rehtay hain, kuch kay golai mein baray hotay hain aur kuch sirf aak side say baray hotay hain jis say lambi chotia see ban jati hai aur yeh baal baray hokar itnay phayl jatay hain kay pura daba, jar ya box baalon say bhar jata hai aur kenchi say iskay baal chotay kar kay dobara osi same box mein he rakha jata hai, saam gidar singhi ko bina pair kay akela bhi rakha ja sakta hai aur agar iska pair rakhna hai to isay mata ya bayz gidar singhi kay saath rakha jata hai yeh dono apas mein muhabat say rahai ghay magar isay kama gidar singhi kay saath rakhnay say kama isay mar day ghi ya yeh kama ko mar day ga,
Fawaid: is gidar singhi kay fawaid beshumar hain, yeh jiskay pas hogi osay dolat, shohrat aur izat aur khushali milay ghi, is gidar singhi ka taluk dolat say hai, yeh jitni bari hogi otni dolat ziada os shaks ko milay ghi, is gidar singhi ko wahan rakha jay jahan pesay ya sonay ki jewellry rakhi jati hai, yeh peson ko apni taraf khinchti hai, jiskay pas yeh hogi osay job mein taraqi hogi, agar woh shaks lottery khelta hai ya satta lagata hai to os mein oska luck aysa lag jay ga kay kabhi na kami ka mo dekhna na paray ga, jis shaks par kisi kisam ki bhi bandish hogi rupay peson kay hawalay jis say oskay pesay zaya hotay hongay aur koi bhi bachat ya saving nahi hoti hogi ya karz, bank loan itna ho kay otarnay ka koi zaria osay nazar na aata ho ya shop, factory mein amdani kam aur kharch ziada ho istarah ki kai problems jo rupay peson say jori hon tamam solve hosakti hai is gidar singhi kay asrat say, oski har kisam ki bandish khatam hojay ghi aur nai nai zariay aur ideas zehan mein anay lagay ghay jis say woh apni zindagi khushali mein guzaray ga.
Ahtiat: is gidar singhi ki ahtiat yeh karni hoti hai kay iskay mutalik kisi ko bhi nahi bataya jay kay meray pas gidar singhi rakhi hai ya meri kamiabi ka raaz gidar singhi hai, aysa karnay say gidar singhi kay asrat khatam hojay ghay aur jis box ya dabay mein gidar singhi hogi os mein bad bo hojay ghi aur gidar singhi kay baal jharna shoro hojay ghay aur woh mar jay ghi, sindoor ko yeh khati hai isliay sindoor is mein ziada dalna parta hai agar kam hojay to dobara dalna parta hai, oska box change nahi kia jata jis mein oskay baal barhnay lagay agar jis box mein oskay baal na barh rahai hon to woh box oskay liay moafik nahi aur box ko badal lena chahehai, jis box mein rakhi jay os box ko bar bar khol kar nahi dekha jay, osay cash rakhnay wali jaga par rakh dia jay aysi jaga jahan yeh box hilay nahi.

Chopa Gidar Singhi:
Is Gidar singhi ka pair rakha jata hai, iskay baal slowly baray hotay rehtay hain yeh jis shape mein hoti hai osi mein rehti hai, is mein koi badlao ya changing nahi aati,
Fawaid: yeh jiskay pas hogi woh apnay dushmano par hawi hoga, jo oska dushman chopa hoga woh zahir hojay ga, oski sazish bay niqab hojay ghi, agar kisi kanoni maslay mein woh phasa hoga ya case har raha hoga to is gidar singhi kay asrat say woh case jeet jay ga, yeh gidar singhi jiskay pas hogi woh khatarnak la ilaj ya chopay amraz wa bimario say mehfoz rahai ga, kala jadu ospar asar na karay ga, jis shaks kay pas yeh hogi to oska servant, friend, wife ya family member oskay khilaf koi sazish kar raha hoga to woh osay malum hojay ga, is gidar singhi ka nam he "chopa" hai yehni chopi hoi batain ya raaz is gidar singhi kay rakhnay say malum hojatay hain, rohaniat aur mukhfi oloom ka shok rakhnay walon kay liay yeh gidar singhi bohat best hai
Ahtiat: iskay mutalik kisi ko bhi na bataya jay, isay andheri jaga mein rakha jay aur dhoop ki roshni say bachaya jay, iska humaysha pair rakha jata hai male aur female aur sindoor kay sath loong aur ilaichi bhi rakhi jati hai, yeh gidar singhi friendly nature ki hai isay aur gidar singhion kay saath rakha jasakta hai saam, bayz ya mata gidar singhion kay saath.

Ling Gidar Singhi:
Is gidar singhi kay baal bhi slowly baray hotay hain lekin iska seeng pehlay kafi chota danay ki tarah obhara hota hai lekin waqat guzarnay kay saath yeh bara hokar nokila sa ban jata hai,
Fawaid: iskay fawaid bhi beshumar hain, yeh onkay liay best hai jo khofzada rehtay hon ya ehsas e kamtari ka shikar hotay hon, kai logon ko anjana khof aur wiswisay aatay hain kay aysa na hojay wesa na hojay, kisi ko mot say khof hota hai, kisi ko dushmano say, kisi ko biwi say etc yeh gidar singhi rakhnay say har kisam ka khof dor hojata hai, ehsas e kamtari ka shikar log jo kisi say thek say baat nahi kar patay hon ya aurton ko kael nahi kar patay jis say shaadi say bhagtay hain, agar shaadi ho bhi jati hai to biwi ko mutamin nahi kar patay aysi tamam problems ko yeh gidar singhi solve kar sakti hai, isay rakhnay say os shaks mein himat, khud aetmadi ya will power barhnay lagta hai osay kisi chez say khof nahi hota aur baray say baray shaks ko kael kar sakta hai, haseen say haseen aurton ko dekh kar ehsas e kamtari osay nahi hoti aur woh onsay pur mutamin hokar baat kar pata hai, agar os shaks mein zanana pan ziada hai ya na mard hai ya koi jinsi problem ya bimari hai yeh sab problems is gidar singhi kay rakhnay say solve hosakti hain, jadu ki bandish ki waja say woh shaks apni biwi say hum bistari na kar pa sakta ho ya iskay kabil na ho jis say oski biwi os say nafrat karti ho ya na mard honay ka tana deti hoto os shaks ko yeh gidar singhi rakhni chahehai jo istarah ki kai problems khatam hokar oski life khushal ban sakti hai,
Ahtiat: iskay mutalik kisi ko kuch bataya na jay na dikhaya jay, iska behtarin jor ya pair mata gidar singhi hai, in dono ko sath rakha jay, tanha rakhnay say yeh mar jati hai, seeng totnay say bhi iskay sab asrat khatam hojatay hain, isay bedroom mein andheri kisi jaga mein rakha jay aur sindoor ziada ho box mein.

Kama Gidar Singhi:

Kama gidar singhi ka apna alag aak maksos pair hota hai yeh kafi active aur agreessive hoti hain, inhai aur gidar singhion kay saath nahi rakha jata, yeh pair humaysha apas mein aak dosray say chopka rehta hai, isay agar box mein alag alag kar kay rakhain ghay to dosray din box mein dekhay ghay to yeh apas mein chopkay hoay hongay, isi liay isay kama ya lovers gidar singhi kehtay hain,
Fawaid: is gidar singhi ka taluk pyar, muhabat, ishq wa romance say hai, yeh jiskay pas hogi osay muhabat kay mamlat mein kabhi na kami nahi hogi, jis say osay chahat hogi woh osay mil jay ghi, jis say ishq aur muhabat ho aur oskay sath shaadi possible na hoto yeh gidar singhi os shaadi ko possible bana deti hai, har rikawat sakti wa bandish ko khatam kar deti hai, mia biwi mein agar muhabat na ho dono roz jhagra kartay hon to yeh gidar singhi rakhnay say dono shadeed aak dosray say muhabat karnay lag jay ghay, kisi ki shaadi mein bandish ho, shaadi na hoti ho ya rishtay kahin say na aatay hon to is gidar singhi ko pas rakhnay say rishtay anay lagtay hain aur shaadi man passand jaga par hojati hai,
Ahtiat: iska apna alag maksos pair hota hai isay kabhi bhi dosri kisi bhi type ki gidar singhi kay sath nahi rakha jata, aysa karnay say yeh bay asar hokar mar jay ghi, isay loong aur ilaichi kay saath sindoor mein rakha jata hai aur box chandi ya silver metal ya steel ka ho, plastic kay box mein isay nahi rakha jata, isay bedroom wali jaga par rakha jata hai, aur iskay mutalik kisi ko kuch nahi bataya jata na dikhaya jata hai.

Bayz Gidar Singhi:
Is gidar singhi kay new baal tezi say oghnay lagtay hain jo safaid yehni white colour kay hotay hain jis say kuch arsay baad gidar singhi puri white hojati hai,
Fawaid: is gidar singhi ka taluk noori rohaniat say hai, jiskay pas yeh hogi os mein rohaniat ajay ghi aur mazhab say lagao oska barh jay ga, jo shaks ibadat wa nimaz na parh pata ho ya mazhab ko lekar galat sochain aur shaitani behoda khayalat aatay hon os shaks ko yeh gidar singhi apnay pas rakhni chahehai jis say os par say behodgi khatam hokar os mein norani kowat ajay ghi aur mazhab say lagao oska barh jay ga, isay ghar mein rakhnay say kafi khushali aati hai, ghar mein mojod nahosat khatam hojati hai, ghar mein mojod jawan larkia aur larkay behoda kam chor kar mazhabi pak saaf ban jatay hain aur galat rah par nahi jatay,
Ahtiat: is gidar singhi ko bina pair tanha bhi rakha jasakta hai, aur pair kay saath rakhna hoto saam gidar singhi ya mata gidar singhi best rehti hai, isay ibadat walay room mein rakha jata hai, jis box mein rakha jay woh sirf chandi ka he ho aur box mein ilaichi, loong aur gulab aur motia kay phool ki patia dal kar rakha jay, na paki ki halat mein box ko haath na lagaya jay, jis jaga isay rakha jay woh jaga pak saaf ho, isay kisi bhi shaks ko dikhaya ya bataya na jay.

Seham Gidar Singhi:
Is gidar singhi kay baal kalay hotay hain, jitnay ziada is mein baal kalay peda hongay otna ziada yeh faida deti hai,
Fawaid: is gidar singhi ka taluk safli rohaniat say hai, yeh jiskay pas hogi woh planet zohal kay bad asrat say mehfoz rahai ga aur sarh satti ki nahosat ki waja say oski zindagi mein peda honi wali moshkilat is gidar singhi rakhnay say thek hongi, safli rohaniat aur safli amliyat mein dilchaspi rakhnay walay logon kay liay is gidar singhi ko apnay pas rakhna chahehai, iskay mukhfi asrat say kisi bhi kisam kay safli amal mein kamiabi hasil hoti hai,
Ahtiat: is gidar singhi ko bhi bina pair tanha bhi rakha jasakta hai, aur pair kay saath rakhna hoto saam gidar singhi best rehti hai,
jis box mein rakha jay woh lakri ka hoto ziada behtar hai, box mein sindoor kay sath loong, kali mirch, bari ilaichi bhi dali jay aur box ko andheri jaga mein kalay kapray mein lapait kar rakhna chahehai, dhop say isay bilkol bacha kar rakha jata hai.

Habsh Gidar Singhi:
Is gidar singhi kay baal bhi saam gidar singhi ki tarah tezi say baray hotay hain aur iska seengh nokila hota hai,
Fawaid: Jis ghar mein afrad aksar bimar rehtay hon kisi na kisi bimari ya amraz mein humaisha mobtala rehtay hon os ghar mein yeh khas gidar singhi rakhni chahehai, is gidar singhi kay mukhfi asrat say ghar mein rehnay walay sabi afrad bimario say mehfoz rahai ghay aur ghar ka koi bhi shaks kisi bimari mein mobtala ho aur ilaj os bimari ka kisi doctor ko samaj na araha ho aur os shaks ko bimari say shifa na mil rahi hoto aysay shaks ko apnay ghar mein kay bedroom mein yeh gidar singhi rakhni chahai, iskay mukhfi asrat say os shaks ko os bimari say shifa mil jay gi,
Ahtiat: is gidar singhi ko bhi bina pair tanha bhi rakha jasakta hai, aur pair kay saath rakhna hoto saam gidar singhi best rehti hai,
jis box mein rakha jay woh lakri ka hoto ziada behtar hai, box mein sindoor kay sath ilaichi, loong, gandom(wheat) aur chawal kay chand danay dalnay chahehai, agar ghar mein koi marez kisi bimari mein mobtala hoto oskay sedhay hath ki choti finger ka nakhon kat kar dalna chahehai, isay ghar kay bahir rehnay walay kisi bhi shaks chahai rishtaydar he kuo na ho osay nahi dikhana chahehai aur iskay fawaid bhi kisi ko nahi batanay chahehai.

Mata Gidar Singhi: 
Is gidar singhi kay new baal tezi say baray hotay hain aur kai puranay baal jhartay hain aur jo baal jhartay hain woh apas mein mil kar chotay chotay balls ban jatay hain yeh is gidar singhi kay bachay kehlatay hain isiliay isay mata ya mother gidar singhi kaha jata hai,
Fawaid: yeh gidar singhi onkay liay best hai jinki aulad na hoti ho ya hokar mar jati ho, ya jiskay bachay humaysha bimar ya saktio mein rehtay hon, ya kisi ki aulad na farman ho, aysi har problems jo aulad ya bachon say jori ho osay yeh gidar singhi solve kar sakti hai, is mein aysay asrat hain jo mumta say joray hain,
Ahtiat: is gidar singhi ko oskay bachon say kabhi juda na kia jay aur isay kisi bhi box mein rakha ja sakta hai, box mein sindoor ziada ho aur loong wa ilaichi bhi saath mein rakhi jay, isay pair ya bina pair kay bhi rakha jata hai, iska behtarin jor ling gidar singhi ya saam gidar singhi hai,

Mohini Gidar Singhi:
Is chotay size ki khubsurat gidar singhi ko mohini ya man mohini kaha jata hai, is gidar singhi mein phool ki tarah sirf 3 ya 4 baal he ogh kar lambay hotay hain, jis say dikhnay mein yeh kafi khubsurat lagti hai,
Fawaid: Man mohini gidar singhi ka taluk hosan aur attaraction say hai, yeh jis kay pas hogi log oski taraf attaract kartay hain aur woh shaks har dil aziz ban jata hai, har shaks osay passand karnay lag jata hai, aurtay os shaks par aashiq hojati hain jiskay pas yeh gidar singhi ho,
Ahtiat: is gidar singhi ko bhi sirf chandi kay box mein rakha jata hai, iska behtarin jor ling, nakeli ya sadukari gidar singhi hai, in mein say kisi aak gidar singhi kay saath rakha jata hai, isay kisi ko bhi na dikhaya jata hai na bataya jata hai, sindoor kay sath loong aur ilaichi bhi saath rakhi jati hai,

Moch Gidar Singhi:
Yeh gidar singhi bhi same man mohini ki tarah he hai iskay fawaid aur ahtiat bhi wahi same hai jo man mohini gidar singhi ki hai, fark sirf yeh hai kay is mein sirf 2 baal lambay moch ki tarah oghtay hain isliay isay moch ya mochon wali gidar singhi kaha jata hai.

Nakeli Gidar Singhi: 
Yeh chotay size ki gidar singhi hoti hai jiskay seengh ka shape nak yehni nose ki tarah hota hai, isiliay isay nakeli gidar singhi kaha jata hai,
Fawaid: yeh gidar singhi jiskay pas hogi woh har kisam kay kalay jadu, bad asrat, nazar e bad, hasad, saaya wa jinnati asrat say mehfoz rahai ga aur jo bhi jistarah ki bhi os par bandish ya rikawat hogi woh khatam hojay ghi aur oski zindagi khushali mein gozray gi,
Ahtiat: isay kisi bhi box mein moch gidar singhi kay saath rakha jata hai, aur isay bedroom wali jaga par rakha jata hai, kisi ko dikhaya ya bataya nahi jata iskay mutalik.

Sadukari Gidar Singhi:
Yeh bhi chotay size ki gidar singhi hoti hai, iskay fawaid aur ahtiat wahi same hain jo nakeli gidar singhi kay hain.

Real ya Fake?
Gidar Singhi ki Pehchan ka Tarika:
Aaj kay dor mein real yehni asal gidar singhi milna kafi moshkil hogaya hai, kai log muj say gidar singhi kay mutalik pochtay hain aur jo onkay pas rakhi hoti hai woh mujay dikhatay hain aur woh nakli hoti hai, meinay kai logon kay pas sirf nakli he gidar singhi dekhi hain, gidar singhi 500/- rupay say lekar 50,000/- rupay tak mein bhi sell hoti hain magar afsos jo log itna kharch kar kay gidar singhi letay hain magar asal milna onko naseeb he nahi hoti, aaj kal online kafi shops par gidar singhi sell hoti hain aur sell karnay walon ko khud iskay mutalik kuch malum nahi hota kay konsi aksam hai etc, onko bas peson say matlab hota hai aur customer ko fake gidar singhi day deta hain bhari keemat mein, aaj tak yeh baat kisi nay share na ki kay asal gidar singhi ki pehchan ka kya tarika hota hai, aaj mein yahan share karta hon kay kistarah gidar singhi ka test kia jay takay oskay asal honay ka malum ho, takay customers fraud logon say bach sakain aur real gidar singhi he khariday aur apnay pas rakhain,
Gidar singhi ki chahai koi see bhi kisam ho oskay asal honay ki pehchan oskay baal barhnay say hai, jis gidar singhi kay baal barhay ghay woh asal hoti hai, jiskay nahi barahai ghay woh nakal ya morda hoti hai, Gidar singhi kay asal ya nakal honay ki pehchan kay liay aak saaf shifaf sheshay ka jar lia jay os mein itna sindoor dala jay kay gidar singhi os mein dafan hojay,
Adhay sindoor say bharay jar mein gidar singhi rakh kar osay softly finger say daba kar sindoor mein dafan kardia jay,
Dafan karnay kay baad isay airtight cork ya dhakan say mazboti say band kardia jay takay hawa jar mein bilkol bhi na jasakay,
Oskay baad jar ko kisi mehfoz jaga par rakh dia jay, aysi jaga jahan jar bilkol bhi hil na sakay aur aak he jaga para rahai, oskay baad every week aap jar ko check kartay rahain,
Kuch arsa guzarnay kay baad jar mein gidar singhi kay barhtay hoay baal ghas(grass) ki tarah sindoor mein oghay hoay aap ko dikhai denghay,
Gidar singhi kay baal sindoor mein aap ko ghas ki tarah oghay hoay dikhai day to aap samaj jao aap kay pas 100% real asal aur zinda gidar singhi mojod hai, zarori nahi kay gochon ki shikal mein baal oghay hoay dikhai dain, sirf 1 baal bhi ogha hoa dikhai day to woh asal aur zinda hoti hai, kai gidar singhio kay baal tezi say baray hotay hain aur kai kay kafi slow, is test say 1 haftay kay doran baal oghay dikhai detay hain ya phir 1 month baad, agar kafi arsa guzarnay kay baad 1 bhi baal ogha hoa dikhai na day to iska matlab ya to gidar singhi nakli fake hai ya phir morda mari hoi hai jo kisi kam ki nahi hoti, aap is asan test say asal gidar singhi ki pehchan kar saktay hain aur fraud logon ki banai fake nakli gidar singhi lenay say bach saktay hain,

Morda(Dead) Gidar Singhi:
Jo Gidar singhi mar jati hai to oski pehchan yeh hai kay oskay baal jharnay lag jatay hain aur jis box mein yeh hoti hai os mein shadeed gandi bo hojati hai, gidar singhi kay marnay ki kai wajohat hoti hain, iska jor apas mein agar match na ho tab bhi on mein say aak mar jati hai, jis box mein isay rakha jata hai woh agar thek na ho tab bhi mar jati hai, box mein sindoor kam honay say bhi mar jati hai, kisi shaks ya ghar mein had say ziada nahosat ho tab bhi yeh mar jati hai, gidar singhi kay marnay kay baad isay foran ghar say nikal kar kisi daria ya behtay pani ki nehar mein dal dena chahehai, agar morda gidar singhi kisi kay ghar mein hoto sakt kisam ki nahosat ghar mein phel jati hai, kai logon ko malum he nahi hota kay onkay pas rakhi gidar singhi mari hoi hai aur woh sakt kisam ki gardish mein ajatay hain, isliay gidar singhi humaysha sahi jor ki li jay aur osay kisi achay jar ya box mein kafi sara sindoor dal kar rakha jay.

Need Gidar Singhi Talisman?
Agar aap ko real asal gidar singhi sahi jor ki chahehai hoto aap muj say rabta kar kay lay saktay hain, aap apnay masail muj say share kar kay osi aksam ki gidar singhi lay saktay hain jo is masail ko thek karnay ki salahiat rakhti ho, inshAllah yeh qudrati tilsim aap kay har kisam kay masail ko thek kar sakta hai,
Aap jab chahain mujay e-mail kar kay gidar singhi ka order day saktay hain, 
Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165


Apnay bhai, apni behno, apnay doston, apnay students aur customers ki farmaish par meinay gidar singhi ka yeh topic share kia,  InshAllah bohat jald new topic kay saath hazir honga,
Mujay apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                      Ali.