Pages

Monday, April 24, 2017

The Bara Singhi Talisman


Kuch Arsa pehlay meinay Gidar singhi par blog likha tha jo mashaAllah bohat maqbol hoa aur dunia bhar say logon nay muj say rabta kar kay gidar singhi li, kai logon ko gidar singhi kay tilsim say acha faida hoa aur kai logon ko is say koi faida na hua, kai logon nay kaha kay Ali bhai aap nay jo gidar singhi di hai is say humay acha faida hasil hoa hai aap please humay aak aur jori bhi send kardain humay kisi ko deni hai, aur kai logon nay kaha kay humay is say koi faida nahi hoa aap nay humay fake gidar singhi di hai, kai log yeh bhi kehtay hain kay Ali bhai gidar singhi kay baal baray to horahai hain lekin humay kuch changing apni life mein nazar nahi arahi aur halat wesay kay wesay he hain aur kai log yeh kehtay hain kay Ali bhai gidar singhi jab say li hai humaray halat din ba din behtar hotay jarahai hain lekin Ali bhai gidar singhi kay baal baray nahi horahai jesi li thi wesi he hai koi changing os mein nazar nahi arahi, kisi ko gidar singhi say jaldi faida hasil hota hai kisi ko dayr say aur kisi ko kuch faida hasil nahi hota, kai gidar singhi kay baal tezi say baray hotay hain kisi kay bohat slow aur kisi kay sirf aak ya 2 baal he baray hotay hain to kisi kay baal bilkol baray nahi hotay, Gidar singhi har shaks par oski chemistry kay mutabik asar andaz hoti hai aur kisi par moafik nahi bhi aati aur osay kuch faida hasil nahi hota, agar dunia mein har shaks par gidar singhi kay asrat moafik atay to dunia mein koi gareeb ya parayshan na hota, yeh aak natural tilsim hai kisi kisi par yeh ras ata hai aur jis par ras ajay osay dunia ki har nehmat hasil hoti hai,
Aaj mera topic gidar singhi par nahi Bara singhi par hai, aap yeh lafz parh kar zaror soch rahai hongay kay gidar singhi ka to humnay suna hai yeh Bara singhi kya hai?
Bara singhi bhi Gidar singhi jesa he natural tilsim hai fark sirf itna hai gidar singhi gidar janwar kay sar mein say hasil hota hai aur bara singhi bara singha janwar kay sar mein say hasil hota hai,
Bara singhi bhi gidar singhi ki tarah kai aksam ki hoti hain, mein yahan kuch aksam kay mutalik batao ga jinka milna asan hai kai aysi aksam bhi hain jinka milna bohat moshkil hota hai woh nayab hoti hain, Bara singhi kay mutalik mazed likhnay say pehlay mein kuch iski history yahan share kar raha hon takay apkay ilm mein izafa ho,

History of Bara Singhi:
Jis tarah saperon ko gidar singhi ka ilm hota hai same isitarah nagenay bachnay walay pathan aur pahari ilakon mein rehnay walay kabaeli pathan logon ko bara singhi ka ilm hota hai jo pathan pakistan wa afghanistan kay pahari ilakon mein rehtay hon onko gemstones, salajeet, heeran kay naf ki musk kay ilawa bara singhi ka bhi acha ilm hota hai, yeh kuch saalon pehlay ki baat hai hyderabad station road par mein gemstones lenay kay liay gaya to wahan mujay aak pathan mila jo gemstones ki rings sale kar raha tha aur oskay pas real salajeet aur musk kay ilawa aur bhi kai chezain rakhi thi, meinay rings dekhi jo sabi chandi ki thi aur nayab asal gemstones ki thi, rings ki meinay price pochi to woh kafi expensive thi mein bohat dayr tak rings aur gemstones dekh raha tha, meinay note kia kay aak dosra pathan bhi oskay sath betha tha jo kisi baat par behas aur zid kar raha tha woh dono pashtu mein baat kar rahai thay mein samaj nahi paraha tha phir jo shaks zid kar raha tha osnay kapray kay thaylay say aak antique afghani naksho nigar wala khubsurat box nikala aur naginay walay ko wapis karnay laga aur naginay walay nay osay 10,000/- wapis diay aur woh shaks bohat zid kar raha tha woh box lena chahata tha lekin naginay walay nay denay say inkar kardia aur kapray mein lapaet kar chopa kar rakh dia, woh zid karnay wala shaks chala gaya to meinay os naginay walay pathan say pocha kay is box mein kya hai to osnay nazar andaz kar kay kaha kay beta yeh aap kay kam ki chez nahi hai aap isay choro aap ring pasand karo, meinay osay kaha kay mujay woh box lena hai to osnay kaha kay woh box 20,000/- rupay ka hai meinay kaha kay thek hai mein lon ga aap mujay box dikhae to osnay mujay woh box khol kar dikhaya aur kaha kay yeh bara singhi hai jo bohat nayab hai, meinay jab dekha to woh gidar singhi mujay lagi meinay osay kaha kay yeh to bhai gidar singhi hai to osnay kaha kay yeh gidar singhi nahi hai yeh osi ki tarah hoti hai lekin bara singha mein say nikalti hai, meinay aak baat note ki kay box mein bara singhi sindoor mein nahi thi aur tez ittar ki khushbu os mein thi, meinay osay kaha kay aap nay is mein sindoor nahi dala yeh to istarah mar jay gi to osnay kaha kay bara singhi ko sindoor ki zarorat nahi hoti hum afghani log isay isitarah rakhtay hain, meinay jab os say gidar singhi ka pocha to osnay kaha kay hum pathan gidar singhi ko nahi rakhtay kuo kay gidar kuttay jesa janwar hai aur hadees mein hai kutta makro hai jis ghar mein kutta hoga wahan rehmat kay farishtay nahi aatay, hum nimaz parhtay hain isliay hum gidar singhi ko ghar mein rakhna behtar nahi samajtay, meinay os say woh bara singhi lay li aur sath mein aak aysa mukhfi ilm bhi khoj lia jiskay mutalik mujay pehlay malum na tha, 
Jistarah saperon mein horned jackal yehni seengh walay gidar kay kisay kahania mashor hain same isitarah pahari ilakon mein rehnay walay log sadion say zamana e qadeem say he bara singhay ki mukhfi rohaniat kay kael rahai hain,
 Qadeem paharon kay cave yehni gharon mein ibtadai pathar kay dor kay logon ki banai aysi hazaron saal purani painting mili hain jis mein insani shikal wa surat ka bara singha dikhaya gaya hai, iskay ilawa dunia bhar mein jo pahari ilakay hain wahan bhi insani bara singhay kay kisay kahania mashor hain,
Pahari ilakon mein rehnay walay kabaeli pathan bhi yahi baat kehtay hain kay 100 bara singhon mein say aak aysa khas bara singha hota hai jis kay sar kay beech mein seengh peda hota hai jesay jesay yeh seengh barhta jata hai wesay he bara singhay mein ajeeb jinnati tabdeli anay lagti hai aur woh insani surat wa jism akhtiar karnay lag jata hai, agar is seengh ko bara singhay kay sar par barhnay say pehlay he kat kar apnay pas mehfoz rakha jay to iskay jinnati mukhfi asrat say os insan ki har khuwaish puri hosakti hai, kabaeli pathan logon kay mutabik bara singhay ka mukhfi seengh raat ko chand ki roshni ko reflect karta hai jis say dor say aysa malum hota hai kay bara singhay kay sar par taj ya koi nagina rakha ho, chand ki roshni reflect karnay ki waja yeh hai kay jab seeng peda hota hai to chipchipa sa liquaid bhi os mein say nikalnay lagta hai aur isi ki shining hoti hai jab chand ki roshni ispar parti hai jo bara singhi ka ilm rakhta hai woh ba asani isay hasil kar leta hai raat kay waqat, bara singhi kay mukhfi jinnati asrat kay kael sadion say pahari ilakon kay log rahai hain aaj pehli dafa is ilm kay raaz ko mein yahan share kar raha hon, bara singhi aak aysa nayab natural tilsim hai jiskay fawaid beshumar hain jisay mein yahan share kar raha hon,

Types of Bara Singhi:
Bara singhi bhi gidar singhi ki tarah he kai types ki hoti hain, is mein bhi nar aur mada dono hoti hain, nar mein seeng hota hai aur mada mein seeng nahi hota seeng ki jaga lambay kuch baal hotay hain,
Bara singhi kuch aysi types ki bhi hoti hain jisay sindoor mein nahi rakha jata agar sindoor mein rakha jay to woh mar jati hain aur kuch types aysi hoti hain jinko sindoor mein rakha jata hai, bina sindoor kay woh mar jati hain kuch arsay baad, kuch types ki bara singhi mein baal baray hotay hain kuch types ki bara singhi mein baal baray nahi hotay aur kuch nayab types ki bara singhi aysi bhi hain jis mein seeng bara hota rehta hai aur mukhtalif shape akhtiar karta rehta hai, mein yahan kuch mukhtalif types ki bara singhi kay mutalik batata hon,
*Baraka: yeh bara singhi normal size ki hoti hai iska seeng darakht ki shakh jesa spiral shape mein hota hai, is bara singhi ko sindoor mein nahi rakha jata, sindoor mein dalnay say yeh mar jati hai, is mein 2 aksam ki hoti hain aak aksam woh jis mein baal baray hotay hain 2nd aksam woh jis mein baal nahi baray hotay.
*Baranag: yeh bara singhi bhi normal size ki hoti hai jis mein seeng saanp ki surat jesa hota hai, is mein 4 aksam hoti hain aak woh jis mein seeng waqat kay sath bara hota rehta hai aur mukhtalif shape mein hota rehta hai, dosri aksam mein seengh bhi bara hota hai aur baal bhi baray hotay hain, tesri aksam mein sirf baal baray hotay hain seengh nahi, chothi aksam mein na baal baray hotay hain na seengh mein koi tabdeli hoti hai, is aksam ki gidar singhi ko sindoor mein nahi rakha jata.
*Halzewan: yeh normal size ki bara singhi hoti hai jiska seengh snail jesi shape ka hota hai, is bara singhi ko sindoor mein rakha jata hai, is mein 2 aksam hoti hai aak woh jis kay baal baray hotay rehtay hain dosri woh jiskay baal nahi baray hotay.
*Hans: yeh normal size ki bara singhi hoti hai jiska seengh raj hans parinday kay mu jesa hota hai, is bara singhi ko bhi sindoor mein rakha jata hai aur iski bhi do aksam hain aak jis mein baal barhtay hain dosri jis mein baal nahi barhtay hain.
*Misrin: yeh normal size ki female mada bara singhi hoti hai is mein seengh nahi hota aghay aur pechay chand lambay baal hotay hain jo waqat kay sath barhtay rehtay hain, is bara singhi ko sindoor mein rakha jata hai.
*Noshaka: yeh normal size ki bara singhi hoti hai jis mein seengh darakt ki shakh jesa hota hai, is mein bhi do aksam hoti hain aak jis mein baal barhtay rehtay hain dosri jis mein baal nahi barhtay hain, yeh bara singhi bhi sindoor mein rakhi jati hai.
*Shamsheer: yeh bara singhi do size mein hoti hai aak normal aur aak baray size mein, iska seengh talwar jesa bara aur lambi shape mein hota hai, iski bhi do aksam hain aak aksam woh jisay sindoor mein nahi dala jata dosri aksam woh jisay sindoor mein dala jata hai.
*Sherini: yeh female mada bara singhi hoti hai jis mein seengh nahi hota sirf kuch lambay baal hotay hain jo waqat kay sath barhtay rehtay hain, is bara singhi ko sindoor mein rakha jata hai.

Baraka Bara Singhi:
Baraka yehni barkat wali bara singhi, yeh jiskay pas hogi osay rupay peson ki kabhi kami nahi hogi, koi na koi zariay bantay rahai ghay jis say osay mali parayshania nahi hongi, har woh masla jiski waja say rupay peson kay milnay mein atak ya rukawat hoti ho ya bantay kam bigar jatay hon ya bandish hoto is bara singhi kay ghar mein honay say sabi kisam ki rikawatay ya bad asrat khatam hojatay hain iskay ilawa ghar mein khushali izat wa shohrat aur gharlio mahol khush gawar rehta hai, ghar mein sabi afrad izat wa ahtaram say aur khushal rehtay hain, is bara singhi ko rakhnay aur use karnay ka aak alag maksos tarika hai jo istarah hai,
Baraka singhi kay sath kuch 7 khas ingredients rakhay jatay hain woh ingredients yeh hain:
*Tomari aur rashela herbs

*7 loong
*7 chawal 7 gandom kay danay
*7 ilaichi
*7 ameer logon kay gharon kay kankar
*Sarkanday ki choti nali
*Aak sonay aur aak chandi ki ring ya koi bhi jewellery

*Tomari aur Rashela aak khas herbs hain jo pahari ilakon mein peda hoti hain iskay sath loong aur ilaichi mix karnay say aak khas blended herbal khushbu peda hoti hai jis say baraka bara singhi kay moakil wa jinnat taskheer hotay hain,
7 chawal aur 7 gandom kay danay ghar kay kitchen say he liay jatay hain agar gandom ghar kay kitchen mein mojod na hoto oski jaga daal kay 7 danay bhi dal saktay hain, in dano kay dalnay say ghar mein barkat aur khushali aati hai aur bad asrat aur nahosat ghar say khatam hojati hai,
7 ameer gharano kay logon kay gharon kay kankar, yehni aysay ameer log jo haram ya na jaiz kam kar kay ameer na hoay hon halal kamai aur sharif gharana hoto os gharanay mein khas rohaniat hoti hai onkay ghar kay kankar baraka gidar singhi mein rakhnay say zabardast asrat peda hotay hain jis say dolat aur rupay peson kay band darwazay ya bandish khol jati hai aur jis jaga say tawaka bhi nahi hoti os jaga say bhi pesay milnay lag jatay hain,
Sarkanday ki choti nali ya nalki mein baraka bara singhi ka malik apnay hath ki sab say choti finger ka nakhon ya baal dal kar nalki kay dono sides par mom laga kar band kar kay yeh nalki baraka bara singhi kay sath rakhta hai jis say baraka bara singhi kay jinnat wa moakil ko malum hota hai kay yeh iska malik hai aur tabi iskay asrat os shaks par zahir hona shoro hotay hain, aghar ghar mein mia aur biwi dono sath hain to husband ka nakhon dala jay ga aur wife kay baal os mein dalay jay ghay jis say yeh bara singhi dono par apnay asrat zahir karay gi,
Sonay aur chandi ki used jewellry baraka bara singhi mein dalnay say khob barkat hoti hai aur ghar mein kisi na kisi zariay sona jama hota rehta hai aur kam nahi hota aur na bechnay ki nobat aati hai,
In sabi ingredients ko kisi gol bari dabia ya box mein dala jay aur dabia ya box plastic ka na hona chahehai, yeh sab ingredients box mein dalnay kay baad cotton yehni roi onkay opar rakh kar os roi kay opar baraka bara singhi ko rakha jay istarah,
Oskay baad dabia ya box ka dhakan ya cover laga kar band kar kay kisi mehfoz jaga rakh dia jay,
Sab say best jaga bedroom hoti hai jahan isay rakha jay aur iskay zabardast asrat ghar aur ghar kay tamam afrad par partay hain jis say bad asrat aur nahosat khatam hokar khair wa barkat ki aysi rohaniat ki shield peda hoti hai jis say ghar aur ghar walay khushal hojatay hain yeh secret kisi nay aaj tak share nahi kia aur aaj yahan share kia gaya hai aap is tilsim ko rakh kar dekhay aap bhi is zabardast tilsim kay asrat kay kael hojay ghay.

Baranag Bara Singhi:
Yeh aak nayab bara singhi hai jo moshkil say milti hai mujay yeh mili thi lekin afsos meri aak galti ki waja say yeh muj say zaya hogai woh galti yeh thi kay meinay isay sindoor mein dal dia tha gidar singhi samaj kar jis say yeh mar ghai, yeh mujay istarah hasil hoi kay Sharjah U.A.E mein aak arab shaikh kisi kanoni masael mein phas gaya tha jis mein oska pesa aur milkeat sab oskay sath say janay lagi, oskay pas kai molazim thay jin mein aak afghani pathan bhi tha osnay shaikh ko moshkilat mein dekha to osay yeh baranag bara singhi di kay isay ghar mein rakhay iska asrat say koi na koi zaria ban jay gha, shaikh nay os pathan ka dil rakhnay kay liay lay to li lekin osay in chezon par yakin nahi tha osnay woh bara singhi apnay dosray pakistani molazim ko day di jo dosri city mein oski shop par kam karta tha, osnay woh shok say apnay pas rakh li lekin osay koi faida nahi horaha tha aur osay kisi aysay shaks ki talash thi jo iska ilm rakhta ho jo isay guide karay, osay kisi nay mera number dia osnay muj say rabta kia aur baranag bara singhi ki photos bheji meinay osay kaha kay foran aap isay sindoor mein dalain isay aap nay sindoor mein kuo nahi dala hoa yeh to istarah mar jay ghi to osnay bataya kay Ali bhai mujay bhi aysay he shaikh nay di hai sindoor nahi tha is mein lekin meinay note kia hai iska seengh muktalif shape mein teramera saanp ki tarah hota rehta hai har 2 month baad osnay kaha kay Ali bhai aap yeh muj say lay lain oskay badlay mujay koi tawez ya tilsim dain mujay is say koi faida nahi hoa hai aur weham bhi hota hai kuo kay shaikh jisnay mujay di woh khud problems mein agaya hai shayad tabi osnay mujay day di, osnay mujay woh baranag bara singhi apnay bhai kay hath jo pakistan aya bheji aur meinay oskay badlay osay dosra tilsim day dia, meinay is baranag bara singhi ko foran sindoor mein dala aur dabia band kar kay dabia ko mehfoz kar kay rakh dia, oskay aak month baad jab meinay dabia khol kar dekhi to oskay resham jesay soft baal karak hokar sakt aur white hogay jesay opar photo mein apko dikhai day ghay oskay baad jesay jesay din guzarnay lagay woh baal aak aak kar kay jharnay lagay akhir mein sirf seengh he reh ghay woh mar choki thi, mujay bohat hayrat hoi mein samjha yeh Naga gidar singhi hai woh bhi isitarah hoti hai jiska seengh saanp kay shape jesa hota hai, lekin jab mujay malum hoa kay yeh baranag bara singhi thi to mujay bohat afsos hoa kay meri galti ki waja say yeh muj say zaya hogai, mujay iski talash hai lekin abhi tak yeh dobara mujay hasil nahi hosaki, jesay he hasil hoi iskay fawaid aur amal yahan zaror share karo ga insha Allah.

Halzewan Bara Singhi:
Halzewan yehni snail, is bara singhi ka seengh snail ki shape jesa hota hai aur yeh bara singhi on logon kay liay bohat lucky hoti hai jo ghar say dor kahin job kartay hon, karobari logon ko is bara singhi ka apnay pas honay say bohat acha faida hasil hota hai, is bara singhi ko sindoor mein rakha jata hai bina sindoor kay rakhnay say is mein keeray par jatay hain jis say yeh mar jati hai,
Halzewan bara singhi ka apna alag maksos tarika e istamal hai is mein jo ingredients sindoor kay sath dalay jatay hain woh yeh hain,
3 loong jis mein 1 bina topi wala loong ho, 3 choti ilaichi dali jati hai, agar job wali jaga samandar, daria ya nehar kay nazdeki ilakay mein hai ya kisi island ya jazeray mein hai ya kisi ship par job hai to kori seep bara singhi mein apnay nakhon kay sath dali jay gi, agar job out of country hai jahan air plane say ana jana rehta ho to kisi bhi bird ka chota feather yehni par nakhon kay sath dala jay ga, agar job ghar say kahin dor dosri city mein hai jahan pahari ilakay hon ya ragistan ya medani ilaka hoto sona mukhi chota stone nakhon kay sath dala jay ga, yeh sabi ingredients sindoor mein mix kar kay kisi choti see taang bottle mein bara singhi ko dala jay ga istarah,
 Is khas bara singhi ka tilsim honay say job mein jo bhi moshkilat hongi ya koi rikawat ya wahan koi dushman ya hasad karnay walon say khatra hoga to on sab ki ziban bandi hojay gi aur job mein kamiabi aur taraqi hasil hogi, is khas tilsim ko job wali jaga ya bedroom mein bhi rakha ja sakta hai, iskay mukhfi asrat bohat zabardast hain jo fori asar andaz hotay hain.

Noshaka aur Hans Bara Singhi: 
Noshaka aur Hans bara singhi woh khas mukhfi asrat wali bara singhi hain jo sabi rohani masael ko thek karnay ki salahiat rakhti hain, noshaka ka matlab shakh wali bara singhi is bara singhi ka seengh tayrimeri shakh jesi shape ka hota hai isliay isay noshaka kaha jata hai, hans bara singhi ka nam is waja say hai kay oskay seengh ka shape raj hans parinday ki gardan jesa hota hai isliay isay hans bara singhi kehtay hain, in dono bara singhi kay fawaid same hain, yeh har maslay ko solve kar sakti hai jistarah saam gidar singhi karti hai, is bara singhi kay amliyat bay hisab hain, bara singhi ka ilm rakhnay wala shaks is bara singhi ki talash mein rehta hai kuo kay yeh aysi wahid bara singhi hai jis say har kisam kay kam liay jasaktay hain har masla solve kia jasakta hai, is khas bara singhi ko bhi kuch maksos ingredients kay sath sindoor mein rakha jata hai, woh ingredients yeh hain,
Loong, choti ilaichi, bari ilaichi, sonmukhi, tomari, rashela, salagi,  harsiah, sindoor aur aak khas darakht ka qudrati powder jo keera lagnay say banta hai in tamam ingredients ko kisi aysi plate ya bartan mein rakha jay jiska dhakan sheshay ka ho,
Oskay baad is plate ko chand ki roshni mein rakha jay sari raat aur suba soraj nikalnay say pehlay plate ko otha lia jay takay suraj ki roshni ispar na par sakay, is amal e tanjim say in ingredients mein powerful mukhfi asrat ajatay hain phir in sab ko kisi dabia mein dal kar hans ya noshaka bara singhi ko dala jay istarah kay oska seengh opar ki taraf ho istarah,
Is khas bara singhi kay tilsim ko ghar, office, shop har jaga rakha jasakta hai iskay zabardast mukhfi asrat har maslay ko solve karnay ki salahiat rakhtay hain, yeh tilsim meray khud kay zati istamal mein bhi raha hai is say meinay kai logon kay masael hal kiay hain yeh aak nayab natural tilsim hai jiskay mukhfi asrat ka moshaida mein kar choka hon.

Misrin Bara Singhi:
Misrin bara singhi mein seengh nahi hota seengh ki jaga lambay kuch baal aghay aur kuch pechay hotay hain yeh bara singhi mada yehni female kehlati hai, yeh bara singhi husband aur wife kay rishtay ko mazbot karti hai, jis ghar mein mia biwi ka aksar jhagra rehta ho ya aak dosray say nafrat kartay hon to is bara singhi ka ghar mein honay say sakt say sakt nafrat bhi mia biwi kay darmian jo hogi woh khatam hojay gi aur oski jaga muhabat ki shedat peda honay lagay gi aur ghar say larai jhagray wa fasad khatam hokar ghar ka mahol pur sakon ban jata hai jis say ghar khushal hojata hai, Misrin bara singhi ko bhi khas amal kiay sindoor aur herbs kay sath rakha jata hai jiskay mutalik meinay opar bataya hai, sindoor aur herbs kay sath 2 khas sarkanday ki nalkia bhi dali jati woh nalkia istarah hoti hain,
Yeh sarkanday ki nalkia 2 qudrati colours mein hoti hain aak brown aur aak yellow colour mein, jo brown colour ki hai woh husband say mansob hoti hai aur yellow wali wife say mansob hoti hai, brown wali mein husband kay nakhon ya baal daal kar nalki kay dono sides kay holes par mom laga par band kardia jata hai, yellow wali nalki mein wife kay nakhon ya baal dal kar osay bhi mom say band kardia jata hai phir in dono nalkio ko misrin gidar singhi kay sath rakha jata hai jis say is bara singhi kay mukhfi asrat say husband aur wife kay darmian shaded muhabat peda hona shoro hojati hai, is bara singhi ko sirf ghar kay bedroom mein he rakha jata hai.

Sherini Bara Singhi:
Shirini bara singhi bhi misrin ki tarah he hoti hai fark sirf yeh hota hai kay iskay lambay baal sirf aghay ki taraf hotay hain jo waqat kay sath barhtay rehtay hain, yeh bara singhi hob, muhabat wa taskher mein use ki jati hai, kisi ko bhi apni taraf attaract karnay ya oskay dil mein apni muhabat peda karnay kay liay is bara singhi par kai tarah kay amal kiay jatay hain, is bara singhi ko bhi maksos amal kia hua sindoor aur herbs kay sath kisi puranay tanbay kay bartan mein rakha jata hai,
Jisko apni taraf attaract karna ho ya oskay dil mein shaded muhabat peda karni hoto os shaks ya mehbob kay pao ki chutki bhar matti is mein dali jay ya oska used tissue paper kay chotay kuch pieces dalay jay ya oski used ring, baal, pehnay hoay kapray ka tokra ya koi bhi aysi chez jo oskay jism say touch rahi ho woh is mein dali jay apnay sedhay hath ki choti finger kay nakhon kay sath aur phir is box ko mazboti say band kar kay kisi andheri jaga par rakh dia jay to kuch he arsay mein woh shaks ya mehbob aysa oski taraf attaract hoga kay bina milay ya dekhay osay chain nahi milay ga,
agar os shaks ya mehbob ki jism say touch koi chez milna mumkin na ho ya woh kahin dor rehta hoto oska bhi alag tarika hai woh istarah hai,
Sherini bara singhi ko puranay used tanbay kay bartan mein amal kiay hoay sindoor kay center mein istarah rakha jay kay iskay lambay baal opar ki taraf hon, bartan kay dhakan kay andoroni taraf os shaks ya mehbob ki photo jo coin ki tarah gol aur sirf front face ki ho osay glue say chopa kar yeh dhakan bartan par mazboti say band kardia jay istarah kay photo par bara singhi kay lambay baal touch hon,
Iskay baad is bartan ko kisi mehfoz andheri jaga par rakh dia jay is say woh shaks ya mehbob kay dil mein shaded muhabat peda hojati hai, is bara singhi ko sirf puranay used tanbay kay bartan mein he rakha jata hai is say foran result acha milta hai.

Shamsheer Bara Singhi:
Shamsheer bara singhi sab bara singhis say alag aur unique hai kuo kay isay na to sindoor mein dala jata hai na he koi herbs ya ingredients dalay jatay hain, isay kisi bhi box ya dabia mein roi kay sath rakha jata hai, is bara singhi ka seengh talwar jesa lamba hota hai is waja say isay shamsheer bara singhi kaha jata hai, isay pathan log bohat passand kartay hain, iskay fawaid yeh hain kay yeh jiskay pas hogi woh dushmano say mehfoz rahai ga, oskay dushman kabi ospar hawi nahi hosaktay, darr khof bhi khatam hokar tabiat mein josh sa peda hota hai, iskay ilawa jadu, jinat, asayb, saaya ya har kisam kay bad asrat aur bimario say bhi protection hoti hai, mujay aak pathan nay bataya tha kay is bara singhi par hazb al behar kay wazifay ka khas amal kia jay to is mein aysay zabardast asrat peda hojatay hain kay dushman ki goli bhi os shaks kay liay bay asar hojati hai, os pathan nay woh amal mujay nahi bataya woh is raaz ko apnay tak he mehdod rakhtay hain, is khas bara singhi kay hazaron amliyat hain jo kabaeli pathano ko malum hotay hain jo kisi say share nahi kartay, mujay iskay amliyat abhi malum nahi lekin jesay he mujay malum hoay mein insha Allah yahan zaror share karo ga,
Shamsheer bara singhi ko kisi bhi dabia ya box mein band kar kay ghar kay os room mein chopa kar rakha jata hain jahan mehmano ka ana jana rehta ho.

Bara Singhi kahan say hasil ki jay?
Is sawal ka jawab yeh hai kay bara singhi easily pathan logon say mil sakti hai jo gemstones ya naginay sale kartay hain ya woh pathan jo salajeet aur kai pahari herbs sale kartay hain onko bhi bara singhi ka ilm hota hai aur woh isay sale kartay hain, iskay ilawa asli real saperay logon kay pas bhi bara singhi hoti hain woh bhi sale kartay hain lekin kai saperay bara singhi ki jaga fake gidar singhi day detay hain ya bakri ki khal ki bani nakli fake bara singhi day detay hain isliay bara singhi lenay say pehlay oski pehchan zarori hai.

Real Bara Singhi ki Pehchan ka kya Tarika hai? 
Real yehni asal bara singhi ki pehchan ka tarika bohat he asan hai, oskay baal resham jesay soft hongay aur seengh tayray mayray say honghay jesay bara singha kay hotay hain, fake bara singhi jo bakri ki khal say banatay hain oskay baal karak sakt kisam kay hongay aur seengh nokila hoga jisay tarash kar banaya jata hai, bara singhi ka seeng natural hota hai aur tayray meray shape ka honay ki waja say osay easily shinakat kia jasakta hai.

Do you Need Bara Singhi?  
Agar apko asal bara singhi ki zarorat hai oskay maksos amliyat kay sath to aap muj say rabta kar kay hasil kar saktay hain, bara singhi kai aksam ki hoti hain lekin woh meray pas abhi mojod nahi jiskay mutalik meinay opar share kia hai bas wahi abhi meray bas available hain, aap muj say rabta kar kay asal bara singhi, amal kia hoa maksos herbs wala sindoor, bara singhi rakhnay ki khas dabia aur oskay maksos amliyat bhi muj say hasil kar saktay hain, rabtay kay liay mujay e-mail, call, whatsapp ya viber par bhi message kar saktay hain:

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Phone, Whatsapp & Viber: +92 03003799165

Apnay khas dost Gul Zaman khan ki farmaish par yeh bara singhi ka blog likha, Allah pak Gul Zaman khan ko sada khush wa abad rakhay aur onkay ilm mein izafa karay (ameen),

Insha Allah bohat jald new topic kay sath hazir honga, apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                                  Ali
                                           03003799165
 

My Other Articles:

Gidar Singhi

Siyar Singhi

Sharkali Singhi

Hatha Jori

Jog Sagar