Pages

Sunday, July 15, 2012

The Sacred Roots

Darakhton(trees) ki rohaniat aur amliyat kay mutalik meinay apnay pichlay blog mein kafi kuch share kia aur aab yahan mein jari botio kay mokhfi asrat aur amliyat kay mutalik batao ga,
Zamana e qadeem say insan plants, herbs & roots ko foods mein use karnay kay sath ilaj kay tor par bhi use karta araha hai, hikmat ka ilm jannay walay log in jari botio say kai aysi dawaiya banatay arahai hain jo muktalif bimario kay liay shifa hain, same isitarah mokhfi ilm jannay walay log in jari botio kay mokhfi asrat ko use kar kay in say kafi faiday hasil kartay hain, in jari botio mein mokhfi asrat kistarah hotay hain? onsay kistarah kam letay hain? yeh sub mein yahan share karnay jaraha hon aur har os khas jari boti kay mutalik aak aak kar kay oski details batata jao ga takay aap sub ko samajnay mein asani ho,


Mandrake Root: 
Mandrake root aak bohat khas root hoti hai is mein kafi mokhfi asrat hotay hain aur iskay asrat ka har koi insan kael hai jo rohaniat ko janta aur samajta hai, Mandrake aak zehrila plant hota hai jiski jarh ya root ka shape bilkol insan jesa hota hai, is mein male or female dono hotay hain, male mandrake kay plant mein phool nahi hotay aur oski root ka shape male ki body jesa hota hai, female mandrake kay plant mein phool hotay hain aur oski root ka shape female body jesa hota hai,
olma e rohaniat kay mutabik is plant ka taluk jinnat say hai aur yeh root jo insan ki shape mein hoti hai yeh jinnat he hai, amliyat karnay walay is jinnati root ko invoke kar kay osay apnay kabzay mein lekar kafi kam letay hain, Europe aur america mein witchcraft, black magick ya kala jaadu karnay walay log is root say kafi kam letay hain, in roots par onhonay kafi books bhi likhi hain mein on books ki kuch images yahan share kar raha hon:
Jesay kay meinay bataya kay mandarke root mein jinnati asrat hotay hain is root ko hasil karna asan kam nahi, agar koi insan isay zameen say nikalta hai to woh aak ajeeb awaz nikalta hai jis say insan ki mot hosakti hai ya pagal hosakta hai ya phir os waqat kuch na hua to kuch arsay baad os par har tarah ki bandish par jati hai jis say woh tabha barbad hojata hai, mandrake root ko hasil karnay kay liay janwar ki qurbani deni parti hai oskay baad yeh root taskheer hojati hai aur aamil osay asani say hasil kar leta hai, Europe aur America mein mandrake root hasil karnay kay liay dogs ki qurbani detay thay, onhonay books mein iskay ritual kay mutalik kafi detail say likha hai aur on books ki kuch images yahan share kar raha hon:
 
Europe aur america kay olma e rohaniat apni books mein is jan lewa root ko hasil karnay ka tarika istarah batatay hain:
According to the legend, when the root is dug up it screams and kills all who hear it, Josephus(c. AD 37 Jerusalem – c. 100) gives the following directions for pulling it up:
"A furrow must be dug around the root until its lower part is exposed, then a dog is tied to it, after which the person tying the dog must get away. The dog then endeavours to follow him, and so easily pulls up the root, but dies suddenly instead of his master. After this the root can be handled without fear."
Arabic olma e rohaniat ka tarika mandrake root hasil karnay ka  muktalif hai woh dog ki qurbani nahi detay, woh dog ki jaga kalay bakray ki qurbani detay hain ya sadka kar detay hain oska tarika yeh hai kay bakray ko zibah kar kay oska blood mandrake root par dala jata hai aur bakray ka meat gareeb logon ya fakiro mein bant dia jata hai, mandrake root par blood laganay kay baad osay ahtiat say zameen say nikala jata hai, is amal say mandrake root kay jinnati asrat noksan nahi detay aur woh root taskheer hojati hai, 
Sadion say log mandrake root ki rohaniat ko taskheer kar kay on say kafi kam letay ay hain, aap ko yeh root europe aur america kay museum mein bhi rakhi milay gi jiski kuch images mein yahan share kar raha hon:
Yeh Root europe aur america jesi countries mein hoti hai, Pakistan mein bhi yeh sarhadi ilakon mein peda hoti hai, sawat aur chitral mein bhi yeh peda hoti hai, mujay yeh root aak hakim kay zariay mili aur mein is root ki rohaniat ka bohat kael hon, meray pas jo mandrake ki root hai oski images mein yahan share kar raha hon:
Mein is root ko apnay kai amliat mein use karta rehta hon aur iskay jinnati asrat wa rohaniat ka moshaida kar chuka hon.


Ginseng Root:
Jistarah Europe aur America kay olma e rohaniat Mandrake ki root kay sehari asrat kay kael hain isitarah Asia mein bhi china aur japan kay log Ginseng Root kay sehar kay kael hain, Ginseng Root bhi mandrake root ki tarah insan ki body kay jesay shape mein hoti hai, is root ki history kya hai yeh kistarah zahir hoi iskay mutalik mein yahan share kar raha hon:
Ginseng root aak aysi karamati boti hai jisay chinese kay log sadio say jantay chalay arahai hain isay hikmat mein use kia jata hai iski muktalif medicines ya dawaiya banai jati hai jo kai bimario kay liay shifa hai, iski karamati sift ki waja say puray china mein is root ko muqadas mana jata hai,
China kay ilawa japan, russia, europe aur america mein bhi aab iski kasht ki jati hai aur is say kai medicines banai jati hain,
Jahan olma e zahiri jo is root ki zahiri asrat kay kael hain jo is root kay zariay medicines ya dawai wagayra banatay rehtay hain same isitarah olma e batni jo is root kay batni asrat kay kael hain woh is root kay mokhfi asrat ko apnay kam mein use kartay hain jesay muktalif kisam kay tilsim, taweez banana ya amliat mein use karna etc, 
Ginseng has long been used in magick, too. symbolically, it is very powerful and can be used as a substitute for mandrake root. in cantonese, it literally means “man-root”. worn or carried, it can attract love, protect oneself from disease, draw money, and ensure sexual potency. made into a tea, alone or mixed with other herbs, it is said to powerfully lust-inducing. ginseng will also bring beauty to those who carry it. the dried root can be burned prior to ritual to ward off evil spirits, or to break hexes and curses, and is generally purifying and cleansing, for the body and ambiance. for a simple wish spell, you will need a ginseng root and running water. hold the root in your hands and visualize your wish into the root (or you can carve it into the root while visualizing.), and toss it into the water.

Ginseng root kay mokhfi sehri asrat ka mein khud moshaida kar chuka hon aur mein khud is root say kai tilsim aur taweez banata rehta hon aur kai logon ko meinay yeh tilsim bana kar dia jis say on logon ki problems solve hoi aur onhonay dosron ko bhi mashora dia istarah aab bhi kai log muj say ginseng root ka tilsim banwatay rehtay hain, 
Ginseng talisman bananay kay liay ginseng root ko achi tarah saaf kar kay khushbo laga kar os par kuch khas tilsim ya naqsh likhay jatay hain, ginseng ka taluk zohal yehni planet saturn say hai isliay root par ziada tar zohal kay tilsim likhay jatay hain, 
Ginseng root par tilsim ya naqsh likhnay kay baad root par chandi ka wark laga kar osay achi tarah say preserved kia jata hai, jistarah taweez ko mom jama yehni wax say preserved kar kay pack kia jata hai isitarah ginseng root ko chandi kay wark say pack kia jata hai,
Ginseng root ka ritual karnay kay baad osay wooden box mein dal kar ghar mein kisi mehfoz jaga rakha jata hai aysi jaga par jahan is box ko koi khol kar na day sakay, na he yeh tilsim kisi ko dikhaya jata hai warna iskay asrat khatam hojatay hain,
Ginseng root ka taliman jis ghar mein hoga woh ghar jaadu kay boray asrat, nazar bad, logon ki hasad aur bimario say mehfoz rahai ga, mia biwi mein muhabat ko barhata hai, sexual problems ya bandish ko khatam karta hai, amdani mein izafa, rupay pesay mein barkat aur har tarah ki bandish ko khatam kar kay ghar ko yeh talisman khushal bana deta hai, aur bhi kai iskay faiday hain jisay wahi moshaida karta hai jiskay pas yeh tilsim ho, aap ko agar ginseng talisman muj say banwana hai to aap jab jahai muj say rabta kar kay yeh nayab tilsim hasil kar saktay hain,


Shwetark Root:
Human shaped wali Roots har religious culture mein pai jati hai aur osi religious culture ki tradition aur stories kay sath mixed hoti hain jesay america aur europe mein Mandrake root, china aur japan mein Ginseng root, arabic countries mein al-lafah ya yabroj al-sanam, aur hindustan mein Shwetark root hai, in subi jari botio ki rohaniat aur mokhfi asrat same he hotay hain, 
Shwetark root bhi mandrake aur ginseng ki tarah ak khas jarh hai yeh jarh "Aak" nam kay poday ki hoti hai jisay madar bhi kehtay hain yeh poda hindustan aur pakistan mein har jaga har mosam mein paya jata hai, iskay paton ko agar tora jay to on paton mein say zehrila safaid dodh sa nikalta hai jo wesay to zahrila hai magar dawai iski agar banai jay to kafi bimario kay liay shifa hai, Aak kay baray mein kaha jata hai kay yeh jannati poda hai aur jo jannat mein aak hai os mein say khalis dodh nikalta hai aur dunia mein jo aak hai woh jannat kay aak ka aak tarah say aks hai aur duniwi aak kay poday mein dodh ki shikal mein zehar nikalta hai, iskay baray mein kaha jata hai kay qadeem zamanay mein is poday say meetha khalis dodh he nikalta tha magar insan is dodh ka galat istamal karnay lagay onkay gunahon ki waja say yeh dodh karwa zehar mein tabdeel hogaya aur log is poday say nafrat karnay lag ghay aur aaj yeh poda na to kisi kay ghar mein laga hota hai na garden mein yeh sirf veeran jagaon par hota hai, Jahan Allah pak nay is poday kay dodh ko zehrila banaya wahan moktalif bimario kay liay shifa bhi banaya aur yeh ilm apnay khas bandon ko ata kia aur woh khas banday jo hikmat ka ilm jantay hain onkay nazdeek yeh karwa zehar aab e hayat ki tarah hai jo insan ko bari bimario say nijat day sakta hai,
Aak kay poday ki 2 kisam hain aak kisam to aam hai jo har jaga hoti hai aur is poday kay phool purple colour kay hotay hain, 2nd kisam bohat nayab hai is kisam kay poday kay phool white colour kay hotay hain aur yeh aak muqadas jagaon ya zameen par peda hota hai aur isi poday ki jarh aak khas waqat mein human shaped jesi banti hai aur agar aap white colour kay puranay aak kay poday ki jarh ko khud kar dekhay gay to oski jarh aap ko human shape mein milay gi, is jarh ko bhi amliat kar kay nikala jata hai warna is jarh aur poday ki hifazat karnay walay jinnat wa moakil insan ko noksan pohancha saktay hain, is jarh ki information ziada tar jogi ya saperon ko hoti hai aur onhe say yeh jarh easily mil sakti hai kuo kay yeh log jangalon, paharon aur veeran jagaon par jatay rehtay hain aur is jarh ki talash mein rehtay hain, aaj kal saperay aur jogi log bhi fake hogaya hain sirf nam kay jogi hain aur onkay pas koi ilm nahi hota, ilm onkay baron kay pas tha jo is dunia say chalay ghay, yeh fake jogi ya saperay shwetark root bhi nakli aur fake sell kartay hain, aap ko agar yeh nayab root chahehai to aap kisi asal jogi say lay jiskay pas ilm ho ya aap muj say rabta kar kay original shwetark root hasil kar saktay hain, meray pas rakhi aak shwetark root ki images mein yahan share kar raha hon:
"Among Indian plants, Shwetark is an exceptional kind of a plant.Generally Arka plants, with purple colored flowers, are available everywhere and this kind of plant is utilized for medicinal purposes. But Swetark plant bearing white flowers is extremely rare. It is called white Madar(Shwetark). This is a rare plant and cannot be found easily. Shwetark means white Sun i.e. noon Sun. It is believed that when Sun is powerful as in noon, it is called Abhijeet Muhurta and no bad happening can happen at that time. Numerous great scriptures and mythological stories speak about buried treasures definitely lying there or nearby, where the white Madar plant grows. Poverty departs from the house where its roots survive. Thus this plant ushers in affluence. It is the protector and makes Immortals have mercy upon humankind. Therefore, the first task one should perform is to discover roots of a white Swetark plant. Sometimes After twenty one years the shape of human body immerged at the root of the Shwetark tree, Vermilion should be smeared all over it. It needs to be wrapped in red cloth. In brief, poverty, interference in growth, squabbles, disorder, curse,malevolent effect of evil spirits or sorcery are obliterated in the house where the Shwetark root subsists. To get the natural form of  Shwetark Root of very old plant where human body shaped formed naturally.
Benefits of Shwetark root:
It is a highly auspicious talisman because of it natural powers .
the house which has a Shwetark root remains free from all evils and gives knowledge and concentration power,maintains harmony in family life, It give immense wealth and money , it maintains harmony in married life,it make promotion in business and professional life .It help to get rid of poverty Removes obstacles and illness from home and office .It also remove vastu dosh of any particular place where it is kept."


Is root ko hasil karnay kay baad isay oil laga kar sindoor lagatay hain, sindoor oxide of lead hota hai isay root par laganay say root par keera nahi lagta aur root preserved hokar kai arsa guzarnay kay baad bhi kharab nahi hoti na he osay keera ya demak lagti hai, yeh tarika ziada tar jogi aur saperay log kartay hain aur woh har root ya is jaysi cheezon ko sindoor mein rakhtay hain,


Al-Lafah, Yabroj al-sanam(fleece flower root):
Mandrake, Gensing aur Shwetark root ki tarah aak ajeeb plant aur bhi is dunia mein paya jata hai jisay arabic mein Al-lafah ya Yabroj al-sanam kehtay hain, Farsi mein Mardam giya, Hindi mein lachmina lachmini aur english mein isay fleece flower root kehtay hain, iski jarh ya root male aur famale ki shaped mein hoti hai, yeh root bhi kafi amliat mein use ki jati hai khas kar muhabat kay amliat wagayra mein, kuch images is root ki jo mujay net say mili yahan share kar raha hon:
 

Olma e rohaniat zamana e qadeem say is root kay mokhfi asrat kay kael rahai hain yeh root ziada tar muhabat wagayra kay amliat mein humaysha say istamal hoti ai hai, is root kay kuch amliat mein yahan share kar raha hon:
Arabic ki qadeem amliat ki books mein is root kay mutalik kafi details aur information humay milti hain, iskay aur bhi kai amliat hotay hain jo share karna yahan munasib nahi,


Haath Jari (lucky hand root):
Europe aur America kay olma e rohaniat jahan insani jism kay shape jesi mandrake plant ki root kay mokhfi asrat kay kael hain wahan aak aur plant ki root bhi kafi famous hai, is root ko "Lucky Hand Root" kehtay hain, yeh root bhi insani haath ya panjay ki shape mein hoti hai aur isko lucky isliay kehtay hain kay is sacred root mein aysay asrat hotay hain kay insan ki bad kismati ko khush kismati mein badal detay hain, zamana e qadeem say log isay goodluck charm ki tarah apnay pas rakhtay ay hain aur is root kay asrat say kafi logon ki bad kismat aur bad halat is root kay asrat say behtar hoay hain, aur aaj bhi Europe aur America jesay modern scientific dor mein is root ko kafi muqadas mana jata hai aur wahan yeh kafi shop mein sell bhi hoti hai, mein yahan kuch images jo mujay net say mili hain share kar raha hon:
Lucky Hand root is one of the most prized botanical. These dried roots look like a little hand, which is seen as a helping hand which will go out and get you what you want!,Lucky Hands are the roots of a number of species of Salap and Orchis, they are imported from Afghanistan and Pakistan.
Anoint it with Oil and wear it in a mojo bag next to your heart or keep one on top of the resume you are fixing to mail in for that job you really want, whatever your desire may be! It is also highly valued as a gambler’s charm.
The small Lucky Hand specimens are best if you are going to put them in your pocket or a small mojo bag. The larger, more expensive ones will have four or more fingers and be more "anatomically correct,"
This ROOT resembles a HUMAN HAND and it may be for that reason it has been esteemed by many people as a LUCK ROOT. It may be that the HAND shaped appearance has the effect of making some people believe that carrying such a ROOT would be a great HELPING HAND towards LUCK and a Help to Winning Success.
This root also protects from evil, protects during travel, brings travel through employment, brings love, wins at gambling and lottery, brings better business, gets employment, and brings success to your endeavors.
The ancient "doctrine of signatures" dictates that objects in naturereveal their magical or medicinal uses through their form and colour, and thus the pale brown, multi-fingered Lucky Hand root is thought to have special provenance over "all the things that five fingers can do.
" For this reason, although a Lucky Hand root may be carried by those who play the lottery or bet on horses, it is particularly notable as the pre-eminent ingredient in conjure bags worn by card-players, crap-shooters, three-card monte artists, and others who wish to increase their edge by subtle manipulation of the tools of their trade.
Attract good luck, good fortune, and good times, especially by means of a "helping hand." It is most
often utilized as a part of magic spells to win at gambling, but it can augment the "luckiness" factor in love spell work as well.

Lucky hand root jisay salep orchis kehtay hain yeh har kisam ki mali ya financially bandish ko dor karti hai, 
Is root mein bhi kafi mokhfi asrat hain aur olma e rohaniat har culture aur mazhab ka iski rohaniat ko samajta hai, har culture ki apni kahani is root say mansob hai, kafi log isay ginseng root ka he hisa mantay hain, mujay aak tibetan story is root ki net par mili jo mein yahan share kar raha hon:
"A legend spread in tibetan area: a long time ago, Ginseng grows in the Qinghai-Tibet Plateau, as sensed himself was seen by human being, they fled through the night, Medicine Master heard it and immediately following after to catch up with, Ginseng has been catch up until they reach to Changbai Mountains. Thus,Medicine Master tied Ginseng's hands with a rope,put him into prisoner vehicle, returning to the Qinghai-Tibet Plateau, but when look back, Ginseng has disappeared, with only two hands off tied with the rope,as see the medicine master, breaking arms rush into the grass. The following year,Medicine master found on the lawn sprouted a leaf never seen before,such as Silver Needle, wearing a kind of sticks lotus flower, pink, purple, red Tan smell plants, had someone dig it out,found its root shape like Buddha finger,stem as the Candle,thus name it "Wang La",its taken effects still greater than Ginseng."
Lucky hand root jo urdu mein Haath jari kay nam say mashor hai, Allah pak ki banai aysi ajeeb jari hai jiskay asrat say yahan bohat kam log wakif hain meinay kai logon ko yeh haath jari di hai onko iskay asrat say kafi faiday milay hain, meray pas kai tarah ki haath jari mojod hain jinki kuch images mein yahan share kar raha hon:


HAATH JORI: 
Europe aur America mein jahan lucky hand root yehni Haath jari mashor hai same isitarah ki root india mein mashor hai jisay "Haath Jori" kehtay hain, jogi saperay haath jori kay mokhfi asrat ki malumat rakhtay hain aur yeh root onhe kay zariay hasil hoti hai, woh log aksar jungle aur paharon mein iski talash mein jatay rehtay hain, Haath jori bhi haath jari ki tarah aysi root hai jis mein insani haath jesay shape kay 2 haath hotay hain istarah jesay 2 haath dua mangtay waqat band kiay jatay hain, yeh root bhi bohat muqadas mani jati hai aur ghar mein rakhnay say ghar mein barkat aur khushali aati hai, meray pas rakhi kuch haath jodi ki images yeh hain:
"Haath Jori is a wonder of nature, in which two hands are joined together, as in a prayer. This is actually root of a very rare plant in the shape of folded hands. This, too, should be kept in oil because it absorbs oil. Haath jori blesses the owner with wealth and good luck, guards against accidents and bad influences of any Evil and black magick effect. It also increases the attraction power of a person, It is very useful in winning favors or winning trials.
Haath Jori is a plant. It is actually a plant's root with two branches resembling human arms. There is an outline of claw at the end of the arms. The claw in the form of fingers, looks as though it were a human figure who is clenching (tightening) the fists. If both branches of this root are severed and joined together, its shape resembles a clasped hand (folded hand). The plant is mostly found in Madhya Pradesh.
The forest tribes or snake charmers(jogi) just cut it out (uproot) and sell it. Haath Jori possesses bizarre and providential effects. It has outstanding powers to beguile, to hypnotise, to shield people and enhances financial condition. Haath Jori should be perfected after rituals and made prosperous.
Haath Jori shields its owner in journeys, discussions, interviews and battle grounds. It furnishes him with triumph. He is no more frightened of supernatural spirits, like jinnat etc. It has proven pretty effective in imparting money and opulence. But Haath Jori is advantageous only when it is pure. A used Hatha Jodi can be of no advantage to any person. Hence, it must always be fresh.
It is available in all sizes- small and big, but each one is equally efficient. Normally its configuration is the same, as twin arms with folded fingers i.e. the fist.
The Method of care Haath Jori - Firstly, one needs to get hold of a Haath Jori. On Sunday it needs to be washed with fresh water in an auspicious time and then placed on a piece of red cloth. When the water dries up, it should be dipped into raw mustard oil and preserved well. The Haath Jori It should be preserved for 15 or 21 days in the same place as it is.
The Haath Jori must be taken out from oil at an auspicious time and again placed on the piece of red cloth and place it inside a small box with some vermilion, camphor, clove, rice and a silver piece."

Haath jori bhi kai amliat mein use ki jati hai khas kar hob wa muhabat kay amliat mein aksar isay use kia jata hai.


KAFF E MARIAM:
Europe aur America mein jahan haath jari(lucky hand root) mashor hai, same isitarah hindustan mein Haath jori(hatha jodi) mashor hai aur same isitarah he Arab countries mein "Kaff e Mariam" nam ki jari boti mashor hai, kaff e mariam bhi insan ki mothi ki tarah kay shape ki hoti hai jesay mothi kas kay band ki hoi ho, zamana e qadeem say he jew, christian aur muslim kaff e mariam ko muqadas mantay rahai hain aur kafi rawayat aur stories is say mansob hain, mein kuch stories yahan share kar raha hon:
 
"Kaff e Mariam is a small grey desert plant which curls up into a ball and dies, protecting it's precious seeds within. When submerged in water, it miraculously unfurls and comes to life. Kaff e Mariam means mariam (Mary's) Palm,It resembles a clutched human hand,

The Kaff e Mariam plant was once said to aid in childbirth, According to islamic tradition its likened to the hand of the Bibi Mariam(a.s) during childbirth, Legend tells Bibi Mariam(a.s) clutched the plant while giving birth.
Kaff e Mariam was used by some Muslim and christian women to help in pregnancy, and the water of this plant was given to women to drink while praying.
kaff e mariam is used as an herbal remedy in the Arabian Peninsula, and its tea is said to ease childbirth. It is also used as a good-luck charm for the same purpose. it is sold dried in jars in herbalists' shops of Saudi Arabia's Eastern Province.
Arabic names: KAFFAH, KAFF MARIAM ("Mary's hand"), BIRKAN, BARUKAN
(Shammar tribe), JUMAY' FATIMAH ("Fatimah's fist," Rwala tribe), KAFF AL- 'ADHRA' ("Virgin's hand"), KAFN, QUFAY'AH ("Shriveled one", Qahtani tribe), QUNAYFIDHAH ("Little hedgehog," northern Arabia).
According to Christian tradition, when virgin Mary(bibi mariam), the mother of Jesus(isa a.s), fled through the desert from Judea to Egypt, she was introduced to the magnificent qualities of the plant.
Virgin Mary blessed the plant she saw in the desert, and since then some Christians have kept the tradition of having a plant in their homes. It has become a talisman for fertility, family health and success in farming, as well as other much yearned for aspirations. For these reasons the kaff e mariam makes a meaningful and extra special present for Christmas and Easter.
Kaff e mariam plant is also known as the Resurrection flower because the plant seems to come to life after dying. Its origin is described in a very pretty legend. When the infant Jesus(isa a.s) fled from Bethlehem with His mother Mary and Joseph, to avoid the massacre of all the young children by King Herod, they crossed the plains of Jericho. When Mary alighted from the donkey on which she was riding, this little flower sprang up at her feet to greet the infant Savior whom she carried in her arms. Flowers sprang up at all the places where the Holy Family rested during their flight to Egypt.
All through the Christ’s life on earth the little kaff e mariam plant continued to flourish, but when He died upon the Cross all these flowers withered and died away at the same time. But three days later, our Lord rose again from the tomb, and at the same time the roses of kaff e mariam plant came to life, and blossomed as a sign of the joy of the earth because Christ was risen. Because of these happenings the kaff e mariam plant has ever since borne also the name of the Resurrection plant.
Resurrection plant It grows in the sands of Egypt, Arabia, and Syria. When the flowers and leaves have died and fallen, the drying branches curl inwards, after the roots die, the plant is blown around by the winds . Once watered, the dried-up looking young plants soon begin to bud. The plant was thought to be favorable to nativity, and was also called the Rose of the Madonna. It was believed to have bloomed first at Christ’s birth, and then closed at the Crucifixion, before blooming once again at Easter. It’s other popular name is the Rose of Jericho.
Another Christian Legend tells the tale of how when the Jesus Christ went into the desert for 40 days to pray and Meditate, God sent the Spirits of the Four Winds to blow a seemingly lifeless tumbleweed called the kaff e mariam plant to his feet; this sacred plant followed Christ during his days within the desert. During the dawn the kaff e mariam plant would collect the moisture of the night's dew. Each morning Jesus would put his fingers to the plant and collect the little water it had and quench his thirst from the drops of water from the branches of the plant. After the 40 days with in the desert, Jesus blessed the plant as a magical talisman of resurrection and sustaining life through hardship."
Botanical name: Anastatica hierochuntica.


Pakistan mein yahan dai aurtay jo dehat ya gao mein bacha peda karwati hain woh aksar kaff e mariam ka aak ritual karti hain, pregnant aurat ko jab dard shoro hotay hain aur bachna peda honay lagta hai os waqat dai aurtay kaff e mariam ko pani mein dal deti hain is amal say ma ko ziada takleef nahi hoti aur bacha bhi sahi salamat peda hojata hai, 
Kaff e mariam aak muqadas khas jari boti hai aur yeh aur bhi kai amliat mein use ki jati hai, mein aksar apnay amliat mein isay use karta rehta hon aur use karnay kay baad isay aak khas wooden box mein mehfoz rakhta hon, mein apni kuch kaff e mariam kay amliat ki images yahan share kar raha hon takay aap sub ko malum ho kay yeh jari boti kitni khas hai aur apnay andar bohat gehray mokhfi asrat samay hoay hai:
KAFF E MARIAM RITUAL FOR A SAFE BIRTH:
In the delivery room under the bed in which the baby shall be born, place a sacred healing bowl or any other ordinary bowl with enough water so that the kaff e mariam plant gets its roots wet.When the kaff e mariam opens, place a pair of scissors on top of the plant and a miniature khamsa or hand of fatima charm, The khamsa hand charm is used to banish a demon who steals youth from the young by invoking the power of Evil Eye.  This will insure a safe delivery for both mother and child.  If it is impossible to place under the delivery bed, place this on another room or on a table besides the labor bed.  The charm is given to the mother and kaff e mariam is dried out and also given to the mother with the instructions to recite surah mariam 3 times and place it in water for a week, during the child's birthday.
Hum aksar yeh khabar sontay rehtay hain kay koi aurat jo achi bhali healthy thi pregnant thi magar bacha peda kartay waqat oski achanak he death hogai aur bacha bach gaya, ya kisi aurat ko bacha peda hua aur peda hotay he mar gaya, ya kisi aurat ko humaysha morda bacha peda hota hai etc,istarah kay kai cases hotay rehtay hain, doctors ki reports bhi sub normal aati hain phir akhir kya waja hai jo istarah ki problems hoti hain? iska jawab aap ko doctor nahi day sakta kuo kay yeh problem physical nahi spiritual hoti hai, bad kirdar logon ki bad nazar, hasad, jalan ki waja say bhi aysa hota hai, ya phir jaadu kay asrat ki waja say bhi, ya kisi sitaray kay boray asrat ki waja say bhi ya phir jharap, saaya, jinat asyabi asrat ki waja say bhi aysi problems hojati hain,
In subi shaitani asrat say bachao kay liay olma e rohaniat nay aysay amliat ayjad kiay hain jo sadio say log kartay arahai hain in amliat mein say aak amal meinay opar share kia hai, is amal say ma aur bacha dono salamat rehtay hain.
Kaff e mariam ka aak aur ritual bhi mein yahan share kar raha hon yeh ritual boray logon ki nazar bad, hasad aur jalan kay asrat ko khatam karnay kay liay kia jata hai,
KAFF E MARIAM RITUAL FOR REMOVE ENVY,JEALOUSY AND THE EVIL EYE.
On a Tuesday or Saturday, place the kaff e mariam in a black kashkol bowl or any other ordinary bowl of water with a black jet stone on top of the kaff e mariam. Light a white candle and meditate then recite Ayat Al-kursi 3 times before it for 3 consecutive days. On the third day, take the water and pour it into a sprinkler bottle.
Sprink the outside of the house, each door, entrance and window of the house with praying and recite Ayat Al-Kursi to help you remove any negative vibration, envy or jealousy others may have for you.



Opar jo meinay apni images aur ritual share kia hai yeh ritual kafi asar wala hai jis say har kisam ki nazar e bad, logon ki hasad aur istarah kay kai negative asrat dor hojatay hain.
Wesay to kaff e mariam kay kai amliat aur rituals hain subi ko yahan share karna munasib nahi, aur aab mein kaff e mariam ka woh ritual share karnay jaraha hon jo financially problems, rupay peson mein kami ya barkat ka na hona, job mein problems, karz ka boj aur istarah ki kai problems ko dor kar deta hai, 
KAFF E MARIAM RITUAL FOR GET MORE MONEY( amal Dast e Gayb):

Every Thursday evening before nimaz e magrib, Place a cup with enough water so that the kaff mariam gets its roots wet.Take some coins or pocket money and put it in kashkol bowl Next to it light a lamp and incense sticks and then go for nimaz and pray,
On next morning take the cup of water and pour it into a money plant, Do this ritual on every thursday when the kashkol have full of coins or money, give the coins or money to poor needy people, inshAllah your financially, job or money problems will be solved and you get more money.


Istarah kay ritual ko amal dast e gayb kehtay hain is say har kisam ki bandish aur rikawat jo rupay peson par lagi hogi woh sub dor hojay gi.
 
Herbal Mala:
Bimaria zindagi ka hisa hain har shaks apni life mein bimar hota rehta hai, kuch bimaria jismani hoti hain jo jari botio ki bani dawai khanay say dor hojati hain to kuch bimaria rohani hoti hain jesay kisi ki nazar bad, hasad, jaadu, sitaro ki gardish, jharap, jinati asrat, saaya etc, rohani bimario mein jari botio ko taweez ki tarah pehan nay say bhi shifa milti hai aur zamana e qadeem say olma e rohaniat aur ilm al-limiya jannay walay istarah kay amliat kartay arahai hain, mein yahan kuch isitarah kay amliat share karnay jaraha hon:
 Spiritual Herbal Mala
Atsat(spreading hogweed) is a famous herb is found in abundance during rainy season in almost every corner of the state, its root pieces are used as a mala for the treatment of yarkan or Pelia,
The patient wear this Herbal Mala for specific period, the mala miraculously growing or spreading and absorb spiritual illness of yarkan or pelia, when the patient healed, tied the mala on any fresh green tree. 


Atsat jari boti ki yeh mala yarkan ki bimari ko dor karnay kay liay bohat best mani jati hai, yeh yarkan ki bimari ko apnay andar absorb karti hai aur jesay jesay mala barhti jati hai mariz ki bimari wesay he khatam hoti chali jati hai, agar mariz ko yarkan ki bimari andorani jismani waja say hai to phir yeh mala osay faida nahi pohancha sakti os mariz ka ilaj sirf doctor he kar sakta hai, agar mariz ko yarkan ki bimari kisi ki bad dua, jinati asrat, jaadu ya sitaro ki gardish ki waja say hoi hai tabhi yeh mala osay faida pohancha sakti hai, istarah kay asrat say honay wali yarkan ki bimari doctors kay ilaj say dor nahi hoti kuo kay mariz ki report normal aati hai aur mariz aak kay baad dosra doctor change kartay aur ilaj kartay kartay mot kay mo mein chala jata hai, isliay mariz ko agar doctor kay ilaj say faida na pohanch raha ho to woh foran apna ilaj kisi achay rohani ilaj karnay walay say bhi karwata rahai, meray gao(village) mein aksar yarkan ki bimari kay mariz doctor aur aamil dono say ilaj karwatay hain jis say onko jald shifa mil jati hai, insan ko dawa aur dua dono ki he zarorat parti hai jo in dono ko apni life mein balance mein rakhay ga wahi kamiab insan hai.

Mein apnay blog kay is page ko yahin tak stop karta hon, ilm limiya kay khazanay to bohat hain meray pas aur dil karta hai sub kay sub aap say share karon magar yeh blog ka page bohat bara hojay ga isliay behtar yahi hai kay isay abhi yahin tak he stop rakhon, inshAllah bohat jald mein aur bhi kai rohani oloom aap say share karon ga,
Aap ko agar kisi bhi jari boti ya root ki zarorat ho aap muj say rabta kar kay purchase kar saktay ho, mein dunia mein worldwide har jaga post kar sakta hon, 
Ya agar khuda na khuwasta aap kay sath ya aap ki family kay sath koi spiritual problems hain aap muj say rabta kar kay amliat kay zariay ilaj karwa saktay hain, aap jab chahai muj say is e-mail address par rabta kar saktay hain: 

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165

Takecare,
Allah pak aap sub ko sada khush wa abad rakhay (ameen).

                          Ali