Pages

Wednesday, October 12, 2011

Black Cat Talisman

Aaj kay is Mehangai bharay dor main har shaks Maali parayshani main ghira hoa nazar aata hai, Karobari parayshania, Karz ka boj, Ghar wa Family ka kharch etc, Har dosra shaks Gorbat wa fikar kay daldal main dhansta chala jaata hai woh apni taraf say har mumkin koshish karta hai kay is daldal say osay nijat milay magar jab osay koi raasta nazar nahi aata to woh suiside karnay par majbor hojata hai ya phir galat na jaiz aur haram tarikon say jald ameer bannay kay tarikay dhondta hai jis say woh sirf dunia main mojrim nahi banta balkay mazhab say bhi kat jaata hai, duniawi aur akhrat dono ki zindagi oskay liay jehnam ban jaati hai, woh din ba din haywan banta chala jaata hai aur haywani khuwaishat osay shaitan bana deti hain, mera is tarah kay shaitan logon say bazar main samna hota rehta hai jo kafi mehangi cheezay sell kartay hain aur ramzan jesay pak aur muqadas mahinay ka lehaz tak nahi kartay jhooti kasamay kha kar jhoot bol detay hain, is say menay yeh ghor kia kay yeh bhi aak marz aur bimari hai jo virus ki tarah pheli hoi hai aur kai log is bimari main mobtala hain,
Allah pak nay har Bimari aur marz say nijat aur shifa kay liay kai cheezay dunia main peda ki hain jis kay istamal say insan bari bari bimario aur amraz say nijat hasil kar leta hai, aysa tab mumkin hota hai jab insan Allah pak ki banai dunia main ghor wa fikar karta hai aur apni zahanat aur tajarbat say aysi aysi medicines banata hai jo bimario main shifa deti hain,
Same isi tarah Karobari parayshania, Bandish, Gorbat, Karz, Fikar wa Faka bhi bimaria aur amraz hain jistarah bimaria zindagi ka hisa hain aur har insan bimar bhi hota hai aur shifayab bhi hojata hai isi tarah yeh parayshania bhi insan ki zindagi main aati hain theek hojati hain to kabi theek honay ka nam nahi leti balkay barhti he chali jati hain, jismani bimario aur amraz say shifa kay liay hum medicines kha kar theek hojatay hain magar karobari parayshania wa bandish, gorbat, fikar wa faka jesi bimario say nijat kesay mumkin hai iskay baray main yahan main aap kuch share karnay jaraha hon,
Maali parayshani, rupay pesay main tangi, karobar aur rizaq main barkat ka na hona aur bandish ki kai wajohat hoti hain jo sitaron kay boray asrat ki waja say hoti hain ya phir jaadu kay bad asrat say ya phir kisi ki nazar e bad ya hasad say bhi ya phir kisi manhos ki nahosat say, saaya ya jinat kay boray asrat say bhi hoti hain, in sub say nijat hasil karnay kay liay sadion say humaray bozrog jo rohaniat main ghor wa fikar kartay hain aur apnay tajarbat say aysi aysi cheezay ya rohani medicines banai hain jis kay istamal say hum in sub rohani bimario aur amraz say nijat hasil kar saktay hain aur in khas cheezon ya medicines ko "TILSIM" kaha jaata hai aur aaj main in bari bozrog hastio kay Nayab Tilsimat jo seena ba seena muntakil hotay hain kisi say share nahi kiay jaatay in Tilsimat main say Aak Azeem Tilsim yahan aap say share kar raha hon jiskay istamal say karobari parayshania, rupay pesay ki tangi, bandish, gorbat, karz wagayra jesi maali parayshanio say nijat hasil hojay gi.

Yeh nayab Tilsim Cat yehni Billi main say hasil hota hai aur is Tilsim ko Billi ki Naal, Billi Ki Jer, Billi ki oor ya Billi ki Anool kehtay hain aur English main isay Cat's Chord ya Cat's Umbilical Cord kaha jaata hai, 
Arabic ki qadeem Books main is tilsimat kay mutalik olma e batin nay kafi detail say likha hai aur iskay azeem asrat jo insan ki zindagi main khushali latay hain oskay mutalik kafi kuch bayan kia hai, yeh Dast e gayb ka aysa zabardast tilsim hai jiski jitni bhi tarif ki jay kam hai, Arabic ki qadeem kitab "Pordmamanishas" main Aamir bin Hayan Al-khulani nay is Tilsim ki tafseel istarah likhi hai kay Jab Aftab Borj Sabit may Mashtari motkaran hoto os waqat kali Billi ki Anol lekar osay khushk karkay osay musk wa saffaron say dhoop dekar sonay kay banay taweez kay khol main dal kar galay ya baazo main bandh lay, is tilsim kay asrat say os shaks ki tamam karobari parayshania chand he roz main dor hojati hain aur dekhtay he dekhtay oskay halat behtar say behtar bantay chalay jatay hain  aur osay apnay gorbat aur parayshani kay din yaad tak nahi rehtay kay kabi woh gareeb tha, rizaq main barkat, maal wa zar main taraqi kay sath oski izat wa aabro main bhi izafa hota hai, rizaq e hilal aur maal ki kasrat say oski zindagi aysh wa ishrat say gozarti hai, woh aysa gani hojata hai kay khuda kay siwa woh kisi ka mohtaj nahi rehta,
Kitab "Pordmamanishas" kay ilawa Arabic ki qadeem kitab "Kabeer Imam" main Abu Tayb Salah Kaldi is tilsim kay mutalik farmatay hain kay yeh tilsim bala shak wa shoba rizaq, maal wa zar ki kashaish kay hasool kay liay kamiab wa bay khata tilsim hai jisay akabar olma e rohaniat nay amal wa tajarbat kay meezan par tol kar aak mowasir tilsim kay tor par taslem kar lia hai, kitab "Yanabeh Al-Tilsimat" may Qazi Saad is tilsim kay silsilay main yeh kol bayan farmatay hain kay maal wa maash barhanay aur khushali kay liay yeh tilsim nihaet sacha aur dorast hai aur istarah kay amliat main say sub say barh kar ajeeb al-asar aur kaseer al-fowaid khusosiat ka hamil hai, isitarah kitab "Asar Al-Aadad main Hakim Taaos ibn Tarmah likhtay hain farakhi rizaq kay yeh tilsim apnay hayrat angayz kamalat kay sabab aak aysa akseer al-asar tilsim hai jiskay mokhfi asrat ka har olma e tilsimat har tabkay aur mazhab ka kael hai, Kitab "Al-Ajaib Al-Garayab" main Qazi Abdul Rehman Sharani nay bhi is tilsim ko olma e tilsimat wa rohaniat kay aak mastand wa mojrab tilsim kay tor par bayan kia hai, Shaikh Kays bin Tarfa Bolani apni kitab "Taalikat" may tehreer farmatay hain kay farakhi rizaq kay silsilay ka yeh tilsim tilsimati nawadrat may aak azeem tarin amal kay tor par maqbol wa marof hai jisay oloom e mokhfiat wa rohaniat kay muslima olma nay farakhi rizaq kay silsilay kay tamam tar aymal main bator e khas aak la jawab wa bay misal amal kay tor par motwatir nakal hai,
Kitab "Risael Halalia" may is tilsim ko Siahtos sani mashor kaldi sahir kay aak mojrab wa azmoda tilsim kay tor par bari tareef kay sath bayan kia gaya hai, Kanian bin Anosh apni kitab "Kasaid" may is tilsim kay mutalik tehreer karta hai kay yeh aak aysa tilsim hai jiska mainay khud tajorba kia hai aur isay sahi paya hai, kasaid jesi mashor tarin kitab may kanian bin anosh jesi azeem shaksiat ka is tilsim ko sahi kehna iski afadiat ko wazay karnay kay liay kafi hai, kitab "matalab Aleon" may is tilsim ko imam Harmis say mansob kar kay naqal kia gaya hai, Kitab "Shamael Al-Sehar" may is tilsim kay mutalik likha hai kay taraqi rizaq kay liay yeh tilsim fe haqeqat aak asar afrin tilsim hai jo kabhi khata nahi karta, kitab "Mukhtar Al-Hakam" may Hakim Jalineos bhi apnay mojarbat may is tilsim ko rizaq may taraqi aur dafa e fikar wa faka kay liay sahi wa mojrab aur asar angayz kay tor par tehrer farmatay hain,
Itnay olmao aur motbar hastio ka is tilsim kay mutalik apni kitabon main likhna yeh zahir karta hai kay is azeem tilsim main zaror aysa asrat hain jo insan ki bori kismat ko khushhal bana detay hain,
Yeh Tilsim khud mainay apnay liay bhi hasil kia aur iskay zabardast mokhfi asrat ka may khud kael hon, is tilsim ki madad say mainay kai kam kiay hain aur aab bhi karta hon, is tilsim ko hasil karnay say pehlay menay is tilsim kay mutalik kafi sona aur parha tha aur meray dil main yeh khuwaish peda hoi kay meray pas bhi yeh tilsim ho, menay kai logon say yeh tilsim mo mangay peson say kharida bhi magar woh sab fake aur jali thay woh checharay thay jis say koi faida to na hoa khud olta noksan othana para pesay aur waqat barbad hoa phir menay socha kuo na may khud is tilsim ko hasil karnay ki koshish karon aur phir meray gao(village) main meray jannay walon ko pregnant billi ki talash par laga dia, akhir onko pregnant billi mil gai meinay os billi ko cage mein dala aur mein bari bay sabri say intazar karnay laga kay jab woh bacha janay aur main billi ki naal hasil kar lon magar afsos billi bacha jantay he bachay ko chaat chaat kar naal bhi kha gai aur mujay kuch hasil na hosaka,
May apnay ilm wa tajorbay ki boniad par yeh arz karna chahata hon aap sab say kay Billi ki anool ya naal hasil karna aak moshkil tarin amal hai magar na mumkin nahi, billi jab bacha janti hai to kisi shaks ko apnay kareeb anay nahi deti aur agar koi kareeb oskay chala jay to woh gardan ki taraf jhapat kar katnay ki koshish karti hai agar os waqat kisi shaks ki gardan oskay danton main agai to woh shaks mar bhi sakta hai kuo kay billi gardan par nazok hisay ya nas par attack karti hai jis say insan bay has hokar gir parta hai aur gardan ki nas ko billi danto say okhar kar os shaks ko mar dalti hai, isliay yeh kam bohat dhian aur ahtiat say kia jay, kai log kehtay hain kay humaray pas palto billi hai hum oski naal asani say hasil kar saktay hain magar mein yahan aak khas baat aap ko batata hon kay kisi bhi palto ya pali hoi billi ki naal ya chord mein koi bhi asrat nahi hotay woh kisi kam ki nahi, jo billi awara ya jungli hoti hai sirf osi mein jinnati asrat aur rohaniat hoti hai kuo kay woh azad hoti hai muktalif jagaon par oska ana jana rehta hai aur gharilo billi mein koi asrat nahi hotay,
Mein is tilsim ki talash may kai arsay say tha aur akhir kar mujay aak fakir nay gao may tarika bataya, oskay bata ay tarikay say mainay asani say billi ki naal hasil kar li aur aab bhi isi tarikay say kai aur bhi hasil ki hain aur dosron ko bhi sell ki hain aur aab bhi sell karta rehta hon, aur aab may aap sab say yahan woh asan tarika share karta hon jis say billi ki jaar ya anool asani say bina kisi khatray kay hasil ki jasakti hai:
Billi ki anool hasil karnay ka tarika sab say asan yeh hai kay aak bara cage ya pinjara ho os mein chawalon kay chilkay bicha do aur pregnant billi jo an kareeb bacha peda karnay wali ho osko cage main band rakho jab woh bacha jannay gi to chawalon kay chilkay anool ya naal par chimat jay gay aur billi bawajod koshish kay osay kha na sakay gi kuo kay chawal kay chilkay sharp nokilay hotay hain kanton ki tarah oski ziban par chobay gay, os waqat aap asani say naal ya anool lekar achi tarah dho kar saaf kar kay apnay pas mehfoz rakh saktay hain, isi tarikay say may kafi billi ki naal ya anool hasil karta rehta hon aur kai logon ko sell karta rehta hon meray gao(village) may meray rishtaydar kay ghar par meinay khas pinjara isi maksad kay liay banwa rakha hai osi may yeh kam may karta hon jiski kuch images aap say share karta hon:
yeh hai woh pinjara jis kay zariay may billi ki naal ya anool hasil kar leta hon, image may aap ko malum par gaya hoga kay kis tarah  chawal kay chilkay rakhnay hain,

Mein opar pehlay bhi bata choka hon aur aab dobara yahan batata hon kay pali hoi palto gharilo billi ki anool, naal ya chord kisi kam ki nahi na he os mein koi asrat hotay hain, awara ya jangli billio mein jinnati asrat hotay hain aur inki chord he apna asar dikhati hain aur aysi billi ki naal hasil karna kafi moshkil tarin kam hota hai, opar likhay tarikay say anool hasil to hojati hai magar aak aur bhi problem hosakti hai woh yeh kay agar billi ka bacha aap nay apnay pas agar kafi dayr rakha to billi apnay bachay ko accept nahi karti na osay apna doodh pilati hai ya kabhi aysa bhi hota hai kay osay mar deti hai agar cat's chord hasil karnay kay baad billi nay apna bacha kabol na kia aur bacha bhook say mar gaya to yeh amal karnay wala 7 saal tak sakt kisam ki bandish ka shikar hojay ga aur is bandish ka koi tor nahi, isliay is tilsim ko hasil karnay mein bohat ahtiat ki zarorat hai yeh kam seconds mein karna hota hai aur billi kay bachay ko oski ma ki nazaron say dor ya ojhal nahi karna hota yeh kam phorti aur tezi say karna hota hai, aak banda billi ki tawaja apnay pas karay to dosra banda phorti aur tezi say billi kay bachay mein say naal otha lay aur naal hasil honay kay baad billi ko azad kardia jay osi waqat aur cage ka darwaza raat ko khol dia jay takay woh apnay bachay ko otha kar jahan oski marzi chali jay,
Cat's Chord yehni Billi ki naal ya Anool hasil hojanay kay baad osay achi tarah pani say dho kar saaf kar kay matti ki kisi choti piali ya bowl main dal kar barik jali dar kapra bowl par dori say bandh kar rakha jata hai,
 Bowl may Cat's chord ko dal kar bowl ka mo barik jali dar cloth say bandh kar osay dhoop wali kisi mehfoz jaga par rakha jata hai takay woh dhoop may bilkol dry aur khushk hojay, barik kapra isliay bandha jaata hai takay keeray makoray ya kaway osay kha na sakay,
Cat's Chord Dry ya khushk honay kay baad sokar kar choti hojati hai, tez dhoop may 3 ya 4 din ya 1 week tak rakha jata hai takay achi tarah khushk hojay, khushk honay kay baad cat's chord sokar kar istarah ban jati hai:
Jab Cat's Chord achi tarah khushk ya dry hojay oskay baad cat's chord ko incense ya khushbo dar dhoni deni hoti hai takay osmay jo bhi bo wagayra ho woh khatam hokar bilkol saaf hojay, Cat's chord ko Incense ya dhooni may jo ingredients use hotay hain woh yeh hain: 
Saffron, Loban(frankincense), Gogal(Benzoin), Golab ki khushk patia(Dry Rose petals) aur Bukhoor, in sub ko apas main mix kar kay dhoni di jaat hai, may apnay incense holder may charcoal cubes jala kar oskay zariay dhoni deta hon:

Achi Tarah Dhooni denay say cat's chord sokta hojati hai bo wagayra jo bhi os may hoti hai khatam hojati hai, dhooni denay kay baad cat's chord ko raat kay waqat chand ki roshni may kholay asman talay rakha jata hai is ko amal e tanjim kehtay hain, chand aur sitaron ki roshni ya rays say tilsim charge hotay hain aur tanjim ka amal cat's chord par karna zarori hota hai,
Amal e Tanjim kay liay may glass bell jar use karta hon, cat's chord ko dhagay may bandh kar bell jar kay andar latka deta hon, bell jar kay andar cat's chord matti ya dust lagnay say safe hoti hai aur har taraf say osay chand aur sitaron ki noorani rays ya roshni lagti rehti hai, sari raat osay isitarah rakhna hota hai aur subha suraj nikalnay say pehlay othana hota hai, agar soraj nikal aya aur soraj ki dhop lag gai cat's chord ko to amal e tanjim kharab hojata hai jis say aap ko phir dobara yeh amal karna paray ga,
Tanjim kay amal kay baad cat's chord ko sindoor main dal kar rakha jata hai, sindoor main cat's chord kabi kharab nahi hogi na os may germs ya keeray lagay gay os may preserved hojay gi,
Sindoor laganay kay baad cat's chord ko kisi chotay box may dal kar os jaga rakhni hoti hai jahan cash, jewellry ya keemati cheezay rakhi hoti hain, cat's chord ko chopa kay rakha jata hai kisi ko na oskay mutalik bataya jata hai na he kisi ko dikhaya jata hai warna iskay subi asrat khatam hojatay hain,
Kali Billi ki naal ya anol sab say nayab mani jaati hai yehni aysi kali billi jiska aak baal bhi safaid ya white colour ka na ho, kali billio kay aksar payt kay hisay par white baal hotay hain, kali billi aysi bohat kam nazar aati hai jis ka aak bhi baal safaid rang ka na ho is type ki cat' chord kay asrat bohat powerful hotay hain jo aur rituals aur amliat main kam atay hain, black cat's chord ka hasil karna ka tarika wahi same hai jo opar bata choka hon magar iska ritual change hota hai, black cat's chord ko dhoop aur soraj ki roshni say bacha kar mehfoz rakhna hota hai, black cat's chord ko zara bhi dhoop lagi oskay asrat khatam hojatay hain, black cat's chord hasil karnay kay baad osay matti kay pot may rakha jata hai,
Black cat's chord ko matti kay pot may dal kar barik jali dar cloth bandh kar pot par taweez ya talisman banaya jata hai aur phir pot ko kisi andhayri jaaga par 1 lunar month chand kay mahinay ya kamiri mahinay ki pehli tarikh say lekar new chand ki date tak rakha jata hai, har thursday yehni jomayrat ko dia aur agarbati ya incense ki dhoni di jaati hai, yeh tilsim bohat asar wala ban jata hai agar iska ritual thek tarah say kia jay, iskay bohat ziada fawaid hain aur bohat say amliyat mein bhi yeh use hoti hai jo kuch mein yahan bhi share karon ga,


~*~ BLACK CAT'S CHORD KE AMLIAT ~*~ 
Cat's chord kafi Amliat main use hoti hain aur iskay fawaid bay shomar hain kuch main yahan aap say share karta hon:
Aaj kal maali parayshanion kay sath aak aur bhi bara masla bhi aham hai woh masla larkion kay rishtay ya shaadi ka na hona hai, aksar larkion ki age bohat ziada hojati hai laykin onka kahin munasib shaadi kay liay rishta nahi aata jiski waja say parents ka sukon barbad hokar reh jata hai, shaadi waqat par na honay ka aak sabab yeh bhi hai kay larki kay parents ki yeh koshish hoti hai kay woh apni beti ko achi say achi taleem dila ay, isi waja say larkio ki age bohat ziada hojati hai, dosri waja sehar wa jadoo ki waja say bandish ki waja say bhi rishtay nahi aatay, sitaron ki gardish ki waja say bhi aysa hota hai, in sub problems ko theek karnay kay liay cat's chord aak powerful tilsim hai jisay larki agar chandi kay khol may taweez ki tarah dal kar galay may pehnay to Allah pak kay hokam say sub boray asrat khatam hokar woh larki har dil aziz ban jay gi aur oska rishta jald say jald achi munsabi jaga hojay ga, menay yeh taweez kai logon ko diay hain onko faida hoa hai aur iska moshaida may kar choka hon.
Agar kisi ko aulad na hoti ho aur hokar mar jati ho onkay liay bhi yeh tilsim akseer hai, 
Agar kisi ki aulad bohat na farman aur shararti ho, ya koi bacha har waqat bimar rehta ho aur bad asrat ka shikar ho jiski waja say har waqat oskay hadsay ka dar ho to yeh tilsim ghar mein honay say bacha mehfoz rehta hai,
Mia biwi mein muhabat na ho ya ghar mein sukon na ho har waqat jhagray fasad aur bimaria hon to yeh tilsim ghar mein honay say ghar khushal aur bimario say mehfoz rehta hai,
Isitarah agar cat's chord ko silver kay taweez kay khol main dal kar apnay pas rakh kar court may kisi case kay silsilay may jay to faysla osi kay haq may jay ga jiskay par cat's chord hogi yeh kai dafa ka azmoda amal hai.
 Hob wa Taskheer ka amal jo opar meinay share kia hai yeh amal bohat he powerful asar rakhta hai, yeh amal mera azmoda hai aur mein yeh tilsimati sorma kai logon ko khud bana kar deta hon aur onko bhi bohat is say faida hasil hua hai, aap bhi muj say yeh tilsimati sorma hasil kar saktay hain, mein yeh sorma kistarah banata hon iskay mutalik mein yahan apni photos share kar raha hon is say aap ko jankari hasil hogi,
Kali Billi ki anol roi mein dal kar bati bana kar chandi kay diay mein khas oil dal kar jalaya jay aur opar koi matti ka bowl rakha jay, aur bowl par say sorma kisi knife say khorach kar chandi ki dabia mein mehfoz rakha jay aur zarorat kay waqat use kia jay,
Kai logon ko sorma use karna passand nahi hota aur na kabhi onhonay sorma use kia hota hai ya phir kai logon ko sormay say allergy bhi hojati hai, aysay logon kay liay bhi yeh tilsamti sorma kam asakta hai woh istarah kay is sorma ko ankhon mein use kiay bagair isay ring ya locket mein bhi pehna jasakta hai aur jis shaks ki nigah ring ya locket par paray gi woh taskheer hoga, tilsimati sorma ring mein kistarah banaya jay oski detail aap ko meri in photos say malum par jay gi,
Chandi ki ring khas aysi banwai jay jis mein naginay wali jaga ya khol nechay say band ho, naginay wali jaga mein sorma dal kar os mein chand katray khushbodar oil ya ittar kay dal kar opar say shishay ka tokra naginay ki tarah ospar laga dia jay,
Oskay baad ring ko loban ya gogal ki dhoni achi tarah day kar ring ko thursday evening ya friday kay din pehan lia jay,
Is tarikay say locket bhi banaya jasakta hai, jiski nazar bhi ring ya locket par paray gi woh taskheer hoga, aap chahai to muj say order par aysi ring ya locket jab chahai banwa saktay hain,
Yeh attaraction ka khas tilsim hai, jiskay pas yeh tilsim hoga log oski taraf attaract karain ghay aur woh mehbob e khuwateen bhi hoga, aap kay zehan mein zaror yeh sawal peda hota hoga kay akhir is tilsim mein aysa kya hai?
is sawal ka jawab yeh hai kay billi mein aak khas kashish aur attaraction ki rohani kowat ya jinnati asrat hotay hain aur yeh attaraction magnet ki tarah logon ko apni taraf khinchti hai, 
Yeh attaraction ki kowat ya jinnati asrat khas aymal kar kay billi mein say hasil kiay jatay hain, iska aak amal sorma aur sormay wali ring bananay ka meinay opar share kia hai baqi kay aymal yahan share karna munasib nahi, Mein yahan kuch batain attaraction ya kashish kay hawalay say share karta hon,
Dunia mein kai logon mein kashish hoti hai aur kai logon mein bilkol nahi hoti, jin logon mein kashish hoti hai log oski taraf attaract kartay hain logon ko oskay sath othna bethna baat karna bohat passand hota hai aur onkay sath waqat guzarnay par onko bohat sukon sa feel hota hai aur jin logon mein kashish nahi hoti woh log chahai jitnay bhi rupay pesay kay lehaz say ameer hon ya khubsurat haseen hon, log onki taraf attaract nahi kartay aur agar miltay bhi hon matlab ki waja say aur matlab pura honay kay baad  jan choranay ki koshish kartay hain, logon ko onkay sath rehnay say aak ajeeb kayfiat hoti hai jesay dam ghotnay jesi ya bayzari see chahai woh banda kitna bhi pyar wa ikhlak say kuo na pesh ay magar logon ko onkay sath othnay bethnay aur baatain karnay say bayzari hoti hai woh bore honay lagtay hain ya onko gusa anay lagta hai ya tabiat kharab see honay lagti hai woh aur jan choranay ki kartay hain, magar iska matlab yeh nahi hai kay jis mein kashish nahi woh log manhos hotay hain ya manhosiat har jaga philatay hain, olma e rohaniat nay aysay logon ko bimar kaha hai aur agar aysay bimar shaks ka ilaj kia jay to woh thek hosakta hai, yehni kisi shaks par kashish ka na hona yeh aak bimari hai jo sitaron ki nahosat say hosakti hai ya phir kisi ki nazar e bad say, ya saaya jinnati asrat say ya phir kisi dushman kay kalay jadu ki waja say bhi, aysay kai log hain jinko yeh bimari lag jati hai tabhi onko izat wa ahtaram say log nahi dekhtay osay haqeer ya maskara samaj kar oski mazak oratay hain ya phir rob jhartay hain os par jiski waja say woh shaks ehsas e kamtari ka shikar hojata hai aur rastay mein chaltay hoay log apas mein kisi baat par hans rahai hongay to osay feel hoga jesay osay dekh kar hans rahai hain, woh shaks andar he andar ghotnay lagta hai nafsiati mariz ban jata hai aur oski zindagi jehnom jesi ban jati hai, family members hon ya dost, biwi ho ya bachay sab ki nazar mein woh haqeer sa ban jata hai koi mazak orata hai to koi os par rob jharta hai, yeh problem zamana e qadeem say logon mein rahi hai aam shaks say lekar badshahon ko bhi rahi hai tabhi kai jagah badshah ki jaga wazir nay hokomat ka nizam sanbhala hoa hota tha, tabhi zamana e qadeem mein olma e rohaniat nay kai aysay aymal, tawez wa tilsim ayjad kiay jo taskheer e khalaik kay liay hotay hain yehni aysay tawez ya tilsim jo agar jiskay pas hon to log onki taraf attaract karain aur izat wa ahtaram ki nigah say dekhay aur muhabat karain aur oska rob on par cha jay, in tawez aur tilsim mein say opar jo meinay amal share kia hai kajal wala bohat he asar rakhta hai, meray pas kai log aatay hain jo istarah ki problems mein mobtala hotay hain jesay meray pas aak shaks aya osnay kaha kay Ali bhai meri itni achi khasi shop hai magar koi customer nahi aata jab woh anay ki kartay hain to mera face dekh kar barabar wali shop par chalay jatay hain aur jab meri shop par mera bhai bethta hai to shop par kafi customers anay lagtay hain kya mein manhos hon ya muj par koi jadu hai? istarah aur bhi kai cases meray pas aatay rehtay hain koi job kay liay apply karta hai to boss oska face dekhtay he osay reject kar deta hai, aur kai aysay bhi log hain jinko aurtay ya khuwateen bilkol passand nahi karti woh shaks jis say bhi shaadi karta hai koi aurat os kay pas nahi tikti sab osay chor deti hain ya shaadi kay liay inkar kar deti hain halakay rupay pesay ke lehaz say osay kisi chez ki kami nahi hoti aur khubsurati bhi hoti hai magar os mein woh rohani kashish nahi hoti jis say log os par attaract karain, isi liay istarah kay tilsim wa tawez bana ay jatay hain jiskay istamal say istarah ki problems khatam hosakti hain agar yeh kisi bhi bad asrat ki waja say hon,agar khuda na khuwasta aap kay saath bhi yeh problem hai to aap muj say rabta kar kay taskher e khalaik ka yeh tilsim muj say banwa saktay hain,

~*~ HISTORY OF CAT'S CHORD TALISMAN ~*~
 Cat's chord yehni billi ki anoal kay Tilsim ki tarikh bohat qadeem hai is tilsim ka taluk ancient Egypt say hai yehni yeh ak misri tilsim hai, Ancient Egypt kay log Billi ko bohat mantay thay, onkay nazdek billi aak muqadas janwar hai jis main achay aur boray dono asrat hotay hain, Billi ki nahosat aur jinnati asrat say woh itnay khofsada hotay thay kay agar onkay ghar main koi billi mar jay to ghar kay sabi log apnay jism kay baal kat kar ibadat may masrof hojatay thay,
Agar koi shaks billi ko mar deta to misri log osay mot ki saza detay thay, aur billi kay marnay kay baad misri log osay mummy bana kar sacred jagaon jesay onkay temples wagayra ki khas jagahon may dafan kartay thay,
 Misri log Billi kay mokhfi asrat kay kael thay onkay nazdek cat's chord bohat he muqadas chez mani jati thi yeh woh parda hota hai jis kay andar billi ka bacha mehfoz rehta hai aur is parday ya chord ko misri log bohat ahtiat say hasil kar kay mummified kar kay osay preserved kar kay apnay pas ya ghar may rakhtay thay aur woh is chez kay asrat ko khob achi tarah samajtay thay, woh cat's chord ko mummified ya dry sokhanay kay liay natron salt jo rayt ya registan may hota hai woh laga kar canopic jars ya pots jis may talisman ya taweez bananay hotay thay os may rakha kartay thay,
 
Misri logon kay baad is tilsim ka raaz bani israel kay pas aya jab woh misar may golami ki zindagi gozartay thay, bani israel yehni yahodio kay baad is tilsim ka raaz mosalman olmao ko mila jo rohaniat may ghor wa fikar kartay thay, arabic ki kafi qadeem books may Billi kay asrat kay mutalik kafi kuch bayan kia gaya hai, mosalman olma e rohaniat nay billi kay mukhfi asrat, nahosat aur amliyat kay mutalik bohat see kitabay likhi jo kuch he humay parhna naseeb hoi hain, in books mein billi kay woh mukhfi asrat kay poshida raaz bayan kiay ghay hain jisay parh kar hayrat hoti hai kay aak aam masom sa dikhnay wala janwar insan kay liay itna khatarnak bhi hosakta hai aur bohat faiday mand bhi, arabic olma e rohaniyat nay ancient egypt ki heiroglyphic yehni qadeem misri language ko bhi arabic mein translate kia aur inko "Aymal e Harmis" ya "Aymal e Nawamis" ka nam dia gaya aur misri qadeem tilsimati aymal ko samjha aur seekha, istarah onko rohaniat kay kafi mukhfi raaz malum hoay,
 Yeh misri qadeem language hai jisay arab kay olma e rohaniat nay aak aak symbol ko kitni mehnat say arabic mein translate kia,
Qadeem misri language arabic mein translate karnay kay baad arab kay olma e rohaniat ko billi ki pur israr aur mukhfi asrat wa jinnati kowat kay mutalik bohat malumat mili aur onhonay billi ki rohaniyat kay mutalik kai kitabay likh dali,
 
Aur Billi kay amliyat, tawezat wa tilsim par bhi bohat kuch onhonay books mein likha, 
Mein shukar guzar hon on arabic olma e rohaniat ka jinhonay itni mehnat say in qadeem misri oloom ka raaz kitabon mein likha aur mein shukria ada karta hon humaray Pakistan kay olma e rohaniat ka, khas kar alama rafique zahid sahab ka jinhonay in qadeem arabic books ka urdu mein tarjoma kia, inhe ki mehnat say humay aaj yeh mukhfi ilm naseeb hua, billi kay mutalik qadeem arabic book jiska urdu mein tarjoma hai oskay kuch pages yahan share karta hon takay aap kay ilm mein bhi izafa ho aur aap ko bhi billi kay mukhfi asrat kay mutalik malumat milay,
 
~*~ BILLI KI NAHOSAT ~*~
Hazrat Ibn e Seerin apni kitab "Marat Al-Rawaiya" mein likhtay hain kay billi dekhnay mein masom sa gharilo janwar hai jisay bay zar aur sharif al-nafs janwar karar dia jata hai, lekin haqeqat yeh hai kay is janwar ko jitna bay zar aur masom samja jata hai is say barh kar kahin zar rasa aur khatarnak hai, yeh is kadar manhos aur khatarnak janwar hai kay iski nahosat wa tabha kario ka andaza nahi lagaya jasakta, ibn e seerin farmatay hain kay is janwar ka aalam e khoab mein dekhna jana is kadar parayshan kan hai kay tehrir wa bayan say bahir hai, khoab ki halat mein billi ko dekhnay wala agar dolat mand hoga to kuch arsay baad fakir wa mohtaj ho kar reh jay ga, sehat mand ya healthy hoga to la ilaj kisam ki bimario ka shikar hojay ga, izat aur shohrat wala hoga to haqeer wa zalel hokar reh jay ga, Hazrat Ibn seerin kehtay hain kay billi jis bhi rang wa nasal ki ho iska ghar mein rakhna iska palto janwaron ki tarah palna intahai khatarnak aur tabha kan hai, billi ko har hal mein ghar say nikal bahir karna chahehai lekin aysa kartay waqat osko marna, tashdod karnay ya zakhmi wa hilak kardenay ki koshish bhi nahi karna hogi, khuda na khuwasta agar aysa hojata hai to phir yeh aak bari galti hogi jiska natija bhugatna hoga, aysa karnay wala billi ki bad dua kay asrat mein ajay ga aur billi ki bad dua kitni khatarnak sabit hosakti hai woh is hadees say sabit hai,
Yeh wakia istarah hai kay Jab Nabi pak(s.a.w) meraj ki raat asman par ghay to jehnom mein aap(s.a.w) nay aak aurat ko dekha jisay aak billi noch noch kar kha rahi thi aur woh aurat tarap rahi thi, Aap(s.a.w) nay hazrat Jibrael(a.s) say pocha kay is aurat nay kya gunnah kia hai jo osay yeh azab dia jaraha hai, Hazrat Jibrael(a.s) nay farmaya kay yeh bani israel kom ki aurat hai, yeh apnay zamanay mein bohat ibadat karnay wali aur parhayzgar thi, har waqat ibadat karna, pak saaf rehna, isnay kabhi kisi mard ko nigha otha kar na dekha, isnay kabhi koi gunnah na kia humaysha nayki kay kam kiay, os dor mein is say barh kar ibadat karnay wali abida aurat aur koi na thi magar aak galti is say ho gai, rah chaltay hoay isay aak billi dikhai di jo bhok aur pias say nadhal thi woh osay apnay ghar lekar ai aur khob pyar say osay pala, khilaya pilaya magar aak din osay ghar mein kisi andheray konay mein bandh kar kay bhol gai aur itni masrof hogai kay osay billi ki yaad tak na rahi aur woh billi bhoki piasi kai dino tak wahan bandhi rahi aur keray makoray kha kar apna payt bharti rahi aur wahin mar gai, billi nay os aurat ko bad dua di thi aur yeh aurat jehnom mein isi bad dua ki waja say hai.
Is hadees aur wakiat say humay yeh sabak milta hai kay billi ko humay ghar mein rakhna he nahi chahehai, yeh aak azad janwar hai iska ghar say bahir rehna he theek hai,isliay agar aap kay ghar may palto billi mojod hai to meri advise apko yahi hai kay please osay ghar say nikal day kuo kay billi ka raat ko rona bohat he manhos hai, isitarah ghar main agar koi khana khata hai to billi osay tak kay dekhti rehti hai yeh bhi bohat khatarnak hai billi ki nazar e bad insan ko la ilaj marz may mobtala kar sakti hai, billi ko aap chahai jitna bhi pyar do magar woh apni nahosat zaror ghar may dalay gi, osay ghar say bahir rakhna he behtar hai, billi agar ghar mein bhoki rahai, ya bhagatay hoay osay chot lag jay ya woh zakhmi hojay to oski sakt nahosat insan par lagti hai agar billi ghar mein mar jay ya koi osay mar day to woh shaks 7 saal tak sakt kisam ki nahosat ka shikar hojata hai jis say woh jismani aur rohani tor par mafloj ban jata hai, 7 saalon tak osay barbadi, zilat wa roswai sehni parti hai,
Hazrat ibn e seerin farmatay hain kay kali billi aur billio kay muqablay sab say ziada manhos aur khatarnak hai, jistarah Nabi pak(s.a.w) nay kalay kutay kay mutalik irshad farmaya hai kay os mein shaitani bad asrat hotay hain agar kala kuta kisi nimazi kay samnay say guzar jay to oski nimaz tot jati hai,
Same isitarah kali billi bhi kalay kuttay ki tarah shaitani asrat liay hoti hai aur agar yeh kisi musafir kay safar kartay waqat oskay samnay say oska rasta kat kar guzar jay to os musafir ka safar bajay faiday kay tabahi wa barbadi aur noksan ka sabab banay ga, woh is safar mein jismani tor par aleel aur mali tor par zaleel hokar reh jay ga, kali billi kay rastay katnay par honay wali nahosat ko dunia kay har mazhab ka shaks manta hai jo rohaniat ki samaj rakhta hai, is par kai kitabay bhi likhi gai hain bahir mumalik mein,
Agar raah chaltay waqat ya gari chalatay waqat koi kali billi rasta kat lay to is nahosat say bachnay kay liay Ayat al-kursi 3 bar parh kar apnay opar dam kar lay aur bay fikar hokar safar karay inshAllah koi nahosat asar na karay gi, iskay ilawa koi hisar ka tawez, ring ya kisi mazar ka dhaaga pehna ho har waqat takay aap istarah ki kai nahosat say mehfoz reh sakain,
Nahosat aur shaitani asrat ki waja say yeh safli amliyat karnay walon kay liay bhi aak aham hathiar ki tarah hai, cricket ka match ho ya football ka, team jeeti hoi game achanak har jatay hain jab kali billi ground mein nazar aati hai, yeh sab woh log karwatay hain jo satta kheltay hain aur safli amliyat karnay walon ko bhi khob pesay day kar aysa kam karwatay hain aur billi par taskheer ka amal karwa kar ground par chor dia jata hai jis say team achanak game har jati hai, koi na koi hadsa onkay sath hojata hai woh khiladi khud confused hojatay hain kay yeh achanak ho kya gaya,
Dunia mein kai khayl kay maydano mein aysa hota rehta hai, Pakistan ki cricket team bhi billi ki nahosat ka shikar hogai aur woh bhi achanak jeeti hoi match bhi har bethay, aysa pehli bar nahi kai bar hochoka hai yeh to achanak kali billi camera kay samnay zahir hogai magar aur bhi bohat kuch wahan hota hai jisay camera record nahi kar sakta, mein yeh baat daway say kehta hon kay pakistani cricket team par jadu kay asrat hain, aap ko t.v par sab malum hojay ga kay woh kitni mehnat say kheltay hain magar phir bhi jeet nahi patay, shoaib akhtar ho ya shahid afridi pehlay kya thay aur aab kya hoghay hain, yeh sab jadu kay asrat ki waja say hua hai jis say woh mafloj say hogay, woh chahai jitni mehnat karain din raat aak kar dain magar cricket kay ground mein aatay he onko koi chez jakar see leti hai aur woh thek say khel nahi patay, yeh sab jadu on par dushmano nay kia hai jo nahi chahatay kay pakistan ki cricket team dunia mein top par number 1 champion ho, pakistan cricket team kay khiladion ka rohani ilaj hona chahehai aur on par hisar ka amal bhi hona chahehai takay woh har kisam kay jadu aur nahosat kay asrat say mehfoz reh sakain,

~*~ KALI BILLI KALA JADU ~*~
 Jesay kay meinay opar bataya kay kali billi aak bohat aham hathiar hota hai safli amliyat karnay walon kay liay, kali billi ki jinnati wa shaitani kowaton ko taskher kar kay onko muktalif tabhai wa barbadi kay kamo mein use kia jata hai, yeh kam zamana qadeem say lekar aaj bhi kai log kartay hain, kisi ka ghar tabha wa barbad karna ho ya shop, plot ho ya factory, khayt ki zameen ho ya farm har jaga kali billi ko use kar kay osay tabha barbad aur veeran kia jata hai aur malik rupay pesay ka itna mohtaj hojata hai kay oski nobat fakon tak pohanch jati hai, karz ka boj, bimaria khatam honay ka nam nahi leti aak kay baad aak maslay masail say tang akar oskay pas aak he rasta reh jata hai sab say chotkara hasil karnay ka kay khud ko mar he dia jay, akhir aysa kya hota hai kay insan itna majbor hojata hai kay osay zindagi say nahi mot say pyar hojata hai? aur woh khuda say lambi omar ya zindagi ki nahi balkay mot ki dua mangnay lag jata hai, yeh "safli" amal ka asar hota hai jo insan ko deemak ki tarah ahista ahista andar say khokhala karta jata hai, jistarah deemak lagay darakt ko dekha hoga aap nay kay bahir say to thek nazar aata hai lekin andar to bilkol khokhala hochoka hota hai to aak insan jis par kala jadu hota hai woh bhi andar say bilkol khokhala sa hojata hai aur woh kabhi bhi gir sakta hai, aab sawal yeh peda hota hai kay akhir safli amliyat karnay walay log itnay strong power walay kam kistarah kartay hain to iskay mutalik mein yahan kuch share karta hon jisay parhnay kay baad aap ko malum hojay ga kay woh yeh kam kistarah sar anjam detay hain,
 
Opar safli amal parhnay kay baad aap ko malum hogaya hoga kay kistarah billi kay zariay safli amal kar kay log bandish karwa detay hain aur cricket ya khayl kay medan mein bhi isitarah kali billi par amal kar kay osay ground par chortay hain jis say team out hojati hai, 

~*~ Kali Billi aur Jinnat ~*~
 
Billi ki haqeqat kya hai? yeh kis maheat wa kayfiat ki hamil hai? kya hai aur kya nahi hai? is makhlok ko jannay aur parakhnay kay liay asool wa kawaneen ki koi kasoti to mojod nahi taham talimat rohania aur irshadad wa akwal olma e tilsimat wa rohaniat aur roz marah kay chashmaded  tajorbat ki roshni mein billi ka pur israr janwar hona sabit hai, Wasal ibn aata baghdadi apnay mashaf mein tehrir farmatay hain kay billi jinnat ki aak pur israr makhlok hai, arabic ki qadeem kitab "kitab ibn halaj" mein ibn halaj ka kol mojod hai kay billi jinnat mein say hai, kitab al-masaid mein arbeli likhtay hain kay billi ki haqeqat yeh hai kay yeh jinnati kabael wa malok mein say aak khatarnak tarin makhlok hai, Abu al-hasan aymali kitab "Auarof Al-Horof" mein likhtay hain kay billi ka jinnati makhlok hona akabar olma e mukhfiat wa tilsimat say sabit hai, kitab "Aeza Al-Taraik" mein billi ki haqeqat kay mutalik likha gaya hai kay yeh aak jinnati makhlok hai jiskay israr par olma e mukhfiat ka eeman wa akida hai,
Billi ka jinnat hona yeh Ahadees say bhi sabit hai mein yahan kuch ahadees share kar raha hon,
Zamana e qadeem say he olma e rohaniat ko billi ka jinnat honay par yakin raha hai, ancient egypt yehni qadeem misir mein pyramid ahram e misar mein archeologist ko kuch aysi chezain wahan mili hain jisay dekh kar woh khud bhi nahi samaj parahai, onkay ilm aur science kay pas is baat ka jawab he nahi kay akhir yeh kya chezain hain, onhonay kai aysi chezon ko public say chopa rakha hai aur onpar woh research kar rahai hain, kuch chezain onhonay public mein show ki hain jesay paintings aur billi jesi ajeeb makhlokat ki mummies jinki images yeh hain,

Yeh sab chezain science ki samaj say bahir hain, aysi onko billio ki shikal jesi mummies mili hain jo x-ray kar kay dekhnay par billi nahi koi aur he makhlok dikhai deti hain, on makhlok ki onhonay kai khyali tarah tarah ki photos bhi bana ay hain is makhlok ko samajnay kay liay magar woh abhi tak samaj nahi parahai kay yeh kya makhlokat hain, billi hain ya insan?
Science chahai jitni bhi research kar lay magar onkay liay humaisha sawalia nishan bana rahai ga woh kabhi haqeqat ko science ki nazar say na jan sakay ghay na samaj sakain ghay kabhi, sirf olma e rohaniat wa mukhfiat kay pas he in mukhfi makhlokat ka ilm hai aur onhonay isay jinnat ka nam dia hai,

~*~ Aurat aur Jinnati Billi~*~
Jinnat auraton ki taraf ziada attaract hotay hain aur yeh baat sabi jantay hain, zamana e qadeem say he jinnat billi ya billay ki shikal mein akar auraton kay pehlay nazdeek atay hain aur on mein gol mil jatay hain aur phir aak waqat aata hai kay aurat os jinnat kay puray control mein hojati hai, jesa woh jinn kehta hai wesa woh karnay lagti hai, woh jinn ki har khuwaish puri karti hai, jab jinn os say okta jata hai aur apnay sabi kam os say karwa kar phir osay chor deta hai aur dosri aurat ka shikar karnay nikal parta hai, jis aurat ko woh chorta hai woh aurat ya to pagal ban jati hai ya mar jati hai, 
Jinnat billi aur aurat kay sachay wakiat, kisay aur kahania dunia mein har jaga sunnay aur parhnay ko miltay hain, yahan pakistan mein bhi aak mashor novel "khali ghar" bhi is topic par likha gaya hai jis mein aak jinn billay kay rop mein aak aurat par apna kabza jama leta hai, is novel book ki image yeh hai,
Jinnat billio ka khubsurat aurat ya jawan larkion par ana aur onko apnay kabzay mein karlena yeh sab akhir kistarah hota hai iskay mutalik kuch details mein yahan share karta hon,
Ahadees e pak mein likha hai kay "jinnat gharon ki chathon mein bhi rehtay hain jab tum khana khao to kuch onkay liay bhi dal dia karo", 
Gharon ki chathon par kaway aur billia hoti hain aur aksar jinnat inhe kay rop mein hotay hain, ghar kay baray bozrog humaisha yeh advise detay hain kay jawan larki jab kisi kam say chaath par jay to apna sar duppatay ya hijab say bilkol dhanp lay takay oskay lambay baal na dikhai dain aur jitna jaldi hosakay foran chaath say neechay ajay, kai larkia to baron aur bozrogon ki nasehat par amal karti hain magar kai larkia nahi karti apnay husan par onko naz hota hai jis say apni zindagi khud tabha barbad kar leti hain, kai aysi larkia nahanay kay baad apnay baal ghar ki chaathon par dhoop mein dry karti hain aur wahan bethay jinnat lambay aur kalay baal dekh kar onki taraf attaract hojatay hain aur aysi larkio par jinnat lag jatay hain, kalay rang par to wesay he jinnat attaract kartay hain, isitarah kai larkia tez perfume laga kar chaathon par jati hain tab bhi on par jinnat kay asrat lag jatay hain, ghar say bahir agar koi aurat ya jawan larki jay to hijab mein jay kuo kay kai bahir jagahon par bhi jinnat hotay hain kisi na kisi rop mein, aurton aur jawan larkion par anay walay kai jinnat ka ilaj asani say hojata hai lekin billi walay jinnat ka ilaj bohat he mushkil say hota hai, billi ka jinnat bohat he khatarnak aur bohat he manhos hota hai, yeh masom ban kar larkion ki taraf aata hai, aap nay aksar kisi larki ya aurat ki zibani yeh baat suni hogi kay "yeh billi humaray ghar mein pata nahi kahan say ai hum nay doodh pilaya tab say humaray ghar kay bahir sehan mein bethi rehti thi aur aab itni maanos hogai hai kay ghar mein bhi ajati hai aur bachay bhi is say kheltay hain bohat masom aur pyari see hai", aur kabhi istarah bhi sunna hoga, "humay yeh billi ka bacha rah chaltay waqat mila hum isay ghar lay ay doodh pilaya aab yeh humaray ghar mein he rehta hai", istarah jinnat masom ban kar ghar mein atay hain aur puray ghar mein nahosat phelnay lagti hai, jinnat billi kay bad asrat itnay shadeed hotay hain kay aurat ya larki ko billi say itna lagao hojata hai kay osay apnay say juda kabhi nahi kar sakti, jinnat billi kay bad asrat say larki par aysi bandish par jati hai kay kahin oski shaadi nahi hopati, agar jahan oski baat shaadi ki paki hoi hoti hai wahan bhi tot jati hai, din ba din larki ka hosan aur khubsorti dhalnay lagti hai aur woh borhi jesi dikhai denay lagti hai, larki ko khud ka face ainay mein acha nahi lagta, woh chirchari see ban jati hai, ghar mein larai jhagray fasad yeh roz ka mamol ban jata hai, larki kay walid ya bhai bayroz gar hojatay hain, bimaria tarah tarah ki ghar mein sabi ko honay lagti hain, sotay waqat larki ko aysa feel hota hai kay jesay oskay bedroom mein aur bhi koi hai, jesay jesay din guzartay jatay hain billi ki nahosat larki ko bilkol tanha kar deti hai sab say larki ko nafrat see honay lagti hai, ibadat karna ya nimaz parhna yeh sab osay karnay ko dil nahi karta, billi kay shaitani asrat ospar itnay hawi hojatay hain aur woh bhi billi jesi dikhai denay lagti hai, sharatay karna, moj masti karna, behoda kam karna yeh sab kam osay passand anay lagtay hain inhe kamo mein osay suror sa milta hai,
Billi kay asrat wali larki ya aurat ka ilaj bohat he moshkil say hota hai kuo kay os larki kay ilaj kay liay oskay ghar walay kisi aamil kay pas lay jatay hain to larki baray pyar aur muhabat say aamil ko dekhnay lagti hai jistarah billi kisi ko pyar say dekhti hai aur meow meow karti hai oskay payro mein lotpot hoti hai same isitarah billi kay asrat wali larki bhi aamil ko isitarah karti hai, pyar say dekhna oski tarif karna, pyar bhari baatain karna aur dosti ki offer karna jab aamil bhi os mein interest lenay lagta hai to woh osay badnam kardeti hai ghar walon ko batati hai aur sabi ko kay mein iskay pas ilaj kay liay ghai magar osnay muj mein bori nazar dali, yeh larki itni khatarnak aur manhos ban jati hai, idhar ki baatain odhar karna jis say family, friends ya paros mein larai jhagray fasad karwa deti hai, yeh sab karnay mein osay bara maza aata hai, aysi larki ka ilaj akhir phir kistarah mumkin hai kay kya kia jay kay woh shaitani kam chor day aur ibadat karnay wali nayki kay kam karnay lagay? iska hal yeh hai kay os mein mojod billi kay bad asrat say fight karkay nahi balkay onko razi khushi os par say dor kia jay yehni os larki mein mojod jinnat ko taskheer kia jay aur billi kay jinnat ko taskheer karna asan kam nahi yeh kam aak kabil aamil he kar sakta hai jisay billi kay amliyat ka ilm ho, billi kay jinnat ko kistarah taskheer kia jata hai aur is jinnat say kya kya kam liay jasaktay hain iskay mutalik yahan kuch arsay baad kafi kuch share karon ga, abhi yahan billi kay kuch amliyat share kar raha hon,

~*~ The Secrets of Black Cat and Moon ~*~
 
Kali billi kay mukhfi jinnati asrat sirf boray safli amliyat mein he use nahi hotay balkay ilaj wa shifa aur kai achay rohani amliyat mein bhi use kiay jatay hain jis say insan ki har kisam ki problems solve hosakti hain, billi ki anool ya cat's chord kay mutalik to mein opar bata choka hon kay oskay kitnay achay fawaid hain aur aab mein kali billi kay kuch mazeed amliyat share karta hon jo insan ki zindagi mein muktalif masail ko hal kar saktay hain,
Olma e rohaniat wa tilsimat ki tehkek kay mutabik kali billi ka moon yehni chand kay sath aak rohani connection hai aur chand ki total 28 tarikhay ya din hotay hain jisay manzil e kamari kehtay hain aur chand ki har aak tarikh ya manzil kay asrat mein kali billi kay mutalif amliyat sar anjam diay jatay hain yeh sabi amliyat ancient egypt yehni qadeem misar kay hain, qadeem misri aamil billi kay mukhi asrat say achi wakfiat rakhtay thay aur woh mari hoi billi ko mummified ya mummy bana kar preserved kar kay rakhtay thay,
Aur muktalif amliyat kay doran billi kay organs jesay hadia, daant, khal wagayra use kartay thay aur onko bhi alag preserved kar kay  box mein rakha jata tha takay chand wa sitaron kay khas dino aur okat mein amliyat mein use kiay jasakain, Arab kay olma e rohaniat nay billi kay qadeem misri aymal ko arabic mein translate kia aur oskay baad urdu mein translate hoay yeh aymal, jin mein say kuch amliyat billi kay moon ki khas tarikhon mein honay walay yahan share kar raha hon,

Kali billi ki bones aur baal bhi good luck, khushali, kamiabi aur taskher wa muhabat kay aymal mein use kiay jatay hain bahir mumalik mein, aur kafi logon ko in say faiday hasil hoay aur isiliay inko bahir mumalik mein bhi kai shops par sell kia jata hai,

Qadeem misri log aur dunia kay muktalif mumalik kay olma e mokhfiat wa rohaniat kay mutabik kali billi mein kafi gehray mukhfi asrat hotay hain jo achai aur borai dono kay kamo mein use hotay hain, 

~*~  Black Cat Black Mirror ~*~
Kali billi mein mojod rohaniat wa jinnati asrat ko taskher kar kay in say kai kisam kay kam liay jasaktay hain, black scrying mirror yehni hazrat ka kala aina billi mein mojod rohaniat wa jinnati asrat ko magnet ki tarah apni taraf khinchnay ki salahiat rakhta hai aur phir yeh aina aysi karamati chez ban jata hai jiski jitni tarif ki jay kam hai, woh log jo jinnat, humzad, moakil ya arwah ko kabza karnay kay liay tarah tarah kay wazaif parhtay aur amliyat kartay ya baray baray chilay kattay hain magar onko kuch haath nahi aata sirf nakami ka mo dekhna parta hai onkay liay yeh aina bohat faiday mand hai, is mein har kisam ki mukhfi makhlok ki taskheer hosakti hai, yeh aina kistarah banta hai oskay mutalik mein yahan share karta hon,
Bahir mumalik mein kai tarah kay black scrying mirrors yehni hazrat kay kalay ainay wiccan, pagan ya witchcraft shops par miltay hain magar woh to bachon kay khilonay ki tarah hotay hain, plain glass sheet par sirf black spray paint kia hota hai lekin jo real mirror ya ainay hotay hain onkay raaz ko olma e rohaniat apnay tak he mehdod rakhtay hain kisi say share nahi kartay, mein salam karta hon arab kay olma e rohaniat ko jinhonay is raaz ko apnay tak mehdod na rakha aur arabic ki kai qadeem books mein kalay ainay  bananay kay noksay humay parhnay ko miltay hain, in qadeem arabic books kay mutalik detail mein yahan share karta hon jis mein hazrat kay kalay ainay bananay kay mutalik likha hai,
*Shaikh Majdid Zaman shaikh shahabulldin kondi ki kitab "Al-yamat Al-Rohanion" mein,
*Al-Malk Al-Moid umadulldin, Abu al-fida ismail ibn ali ki kitab "Al-Taqweem" mein,
*Abu Al-Bashar umar ibn usman kufi apni kitab "Moafi Al-Bayan" mein,
*Ibn abad abu al-kasim talqani apni kitab "Al-nawat wa Al-Agan" mein hazrat kay ainay bananay kay mutalik kai noksay humay miltay hain, magar afsos hai on logon par jo amliyat ka shok rakhtay hain magar yeh sab novel ki tarah parh kar nazar andaz kar detay hain magar amal nahi kartay, meinay kai aamil logon ko dekha hai jinko in mukhfi oloom ki knowledge to hoti hai magar kabhi amal nahi kia hota, amal sirf wahi kartay hain jinko rohani wa mukhfi oloom say ishq ho, aur mujay in oloom say ishq hai aur mein in tamam oloom par amal karta hon aur in say kai faiday mujay hasil hoay hain, kalay ainay banana ka aak noksa jo mera apna zati azmaya hoa hai mein osay yahan share karta hon,
Black mirro yehni kala aina aak tilsim hai jisay bananay mein kuch anasir use hotay hain, Anasir yehni earthly elements woh ijza ya muktalif chezain hain jin mein apni alag aak taseer wa rohaniat hoti hai, jistarah aak hakim ko ilm hota hai kay konsi jari boti ki kya taseer hai jisay kisi bhi bimari ki shifa kay liay use kia jasakta hai same isitarah rohani oloom jannay walon ko bhi in ijza ka ilm hota hai kay konsay anasir mein kya taseer hoti hai, tilsimat mein anasir wa haywanat kay ijza kay amal ko aymal e nawamis kay nam say bhi jana pehchana jata hai, in aymal ko amliyati dunia mein buniadi haysiat hasil hai, arabic ki kai qadeem kutab mein in anasir wa haywanat kay ijza ka zikar milta hai jo amliyat mein istamal hotay hain magar in ko samaj pana ya hasil karna aaj kal ki nai nasal kay aamil hazrat kay bas ki baat nahi isiliay woh aymal e nawamis ya istarah kay amliyat ko jin mein anasir wa haywanat kay ijaza use hotay hain onko nazar andaz kar detay hain, agar woh thori mehnat kar kay in cheezon ko hasil kar kay amal karain to onko onki soch say ziada bohat kuch hasil hosakta hai,
Opar image mein woh ijza hain jo hazrat kay kalay ainay bananay mein use hotay hain, in mein 3 ijza aysay hain jinkay mutalik meinay nahi likha onkay mutalik likhna yahan munasib nahi, opar image mein jo ijza hain onkay nam mein yahan bhi likh deta hon:
*Sartan e nehri sokta
*Kali billi ki anol 
*haathi dant
*Saanp ki kenchali
*Seep
*Aqiq sulaymani
*Audh silayb
*Sang e maknates
*Sona mukhi
*Surma isfahani
*Laakh
*Momia
In sab ijza mein say sartan, haathi dant, seep, aqiq sulaymani, sang e maknates, sona mukhi aur surma isfahani ko pees kar powder ki tarah banaya jay,
In sab ijza ko pees kar powder ki tarah bananay kay baad kali billi ki anol, saanp ki kenchali aur audh silayb ko aag mein jala kar onko bhi pees kar powder ki tarah bana kar sab ko apas mein mix kia jay,
Phir kisi metal kay bartan mein laakh aur momia ko dal kar koilay ki heat mein melt kia jay, jab laakh aur momia achi tarah melt yehni peghal jay to woh sabi ijza jo pees kar powder kiay ghay thay on sabi ko os bartan mein dal dia jay aur achi tarah sabi ko mix kia jay,
Jab sab ijza achi tarah apas mein mix hojay ghay aur heat say peghal jay ghay to yeh aak garah kalay rang ka liquid jesi chez ban jay gi jisay kisi plain glass yehni sheehsay ki sheet kay aak taraf dal kar osay achi tarah phela dia jay, phir is glass sheet ko dhoop aur dhol say mehfoz kisi jaga par rakh kar sokhnay kay liay rakh dia jay, sokhnay kay baad is mein koi khushbodar oil ya ittar laga kar kisi frame mein laga dia jay, is amal kay baad yeh kala aina taiyar hojay ga aab sirf is mein rohaniyat wa jinnati asrat dalnay hain, iski misal mein istarah deta hon kay aap nay computer mein window to install karli aab is mein software dalnay baqi reh ghay hain, same isitarah aina to ban gaya aab is mein kuch rohaniat wa jinnati asrat dalnay baqi reh ghay hain, yeh asrat owl yehni ullu ya kali billi kay zariay dalay jatay hain aur kistarah dalnay hain oskay mutalik yahan share karta hon,
 Veeran jagahon jesay kaburistan ya jungle jahan logon ka ana jana kam rehta hai wahan rehnay wali kali billio mein jinnati asrat hotay hain aur aysi he kisi veeran jaga mein kali billi ki talash ki jay,
 Jab veeran jungle mein aysi billi mil jay to kai din tak roz suba sham osay wahan khilaya pilaya jay itnay dino tak jab tak kay woh aap say manos nahi hojati, aur jab woh itni manos ya palto hojay aur aap kay kareeb anay lag jay to phir yeh dosray amal kay liay aab ready hai,
Jab veeran jungle mein rehnay wali jinnati billi bilkol manos hojay to phir osay apnay saath lekar ajay aur osay os room mein rakha jay jahan amliyat kartay hain, os room mein pehlay say taiyar kala aina deewar par lagaya jay aur os khas kali billi ko kisi cage ya pinjaray mein dal kar ainay kay samnay rakha jay,
Billi pinjaray mein idhar odhar dekhnay lagay gi, oski tawaja sirf os kalay ainay par rakhnay kay liay cage ya pinjaray par koi kala kapra dal kar dhanp dia jay sirf ainay ki taraf wala rukh khola ho takay billi ki nazarain sirf ainay par he jay,
3 din tak billi ko isitarah rakha jata hai, aur 3 din kay baad pinjaray ka darwaza khol dia jata hai aur amal karnay wala kisi mehfoz jaga par chop kar billi ki harkat ko note karta hai aur billi ki ajeeb harkatay dekh kar osay kafi hayrat hogi, woh pinjaray say bahir nikaltay he kalay ainay ki taraf bhagay gi aur osay dekh kar ajeeb harkatay karnay lagay gi,
Ainay ko dekhtay hoay woh ajeeb see galay say awazain nikalnay lagay gi jesay kisi say batain kar rahi ho yeh sab kai dayr tak woh karti rahai gi oskay baad woh ainay kay qareeb he beth jay gi aur as a guard os ainay ki hifazat karay gi,
Is amal kay baad kali billi ainay ki hifazat karnay lagti hai aur aysay alert beth jati hai kay koi bhi agar nazdeek jay to jhapat kar os par hamla karday, yeh ajeeb nazara jab nazar ay to samaj lena chahehai kay billi mein mojod jinnati wa mukhfi asrat aab os ainay par muntakil hogay hain aur billi inhe asrat ki hifazat karti hai jistarah kala naag apni mani ki hifazat karta hai, is doran bohat hoshiari say billi ko wahan say hatana hota hai agar billi nay kisi shaks ko apnay nazdeek atay dekha to woh os par jhapat kar hamla kar day gi, agar oska hamla nakam raha to phir ainay par jhapat kar osay tor dalay gi, agar billi nay aina tor dia to sari mehnat zaya hojay gi aur billi kay jinnati mukhfi asrat ainay totnay par azad hokar aamil kay dushman ban jay ghay, isliay yeh kam bari hoshiari say karna hota hai, oska tarika asan yeh hai kay cage ya pinjaray mein kisi bartan mein doodh ya gosht kay tokray dal kar pinjara room mein rakh kar oska darwaza khol dia jay aur billi ki nazron say chop kar beth kar osay dekha jay, jesay woh pinjaray mein doodh penay ya gosht khanay ko ay to phorti aur tezi say akar pinjaray ka darwaza band kar kay pinjaray par kala kapra dal kar dhanp dia jay phir os billi ko osi veeran jaga ya jungle mein azad chor dia jay jahan say pakra ho, yeh amal ullu par bhi hota hai lekin ullu say ziada kali billi par karna asan hai,
Is amal kay baad aab yeh khas kala aina bilkol taiyar hai, isay kisi kalay kapray mein lapait kar kisi wooden box mein mehfoz rakha jay, dhoop lagnay say yeh kharab hojata hai kuo kay iskay asrat nikal jatay hain, isliay dhoop say isay mehfoz rakha jata hai,
Har Jomayrat ko magrib kay waqat loban ki dhoni di jati hai aur dia samnay jala kar rakha jata hai aur aak khas wazifa parha jata hai, 

~*~ How To Use Black Scrying Mirror ~*~
Meri nazar mein moshaida e rohaniyat kay is amal say barh kar asan aur koi amal nahi, is haazrat kay ainay mein aysi rohaniat ki poshida makhlok ki hazri hoti hai jo zabardast kowaton ki malik hoti hain, yeh makhlok kalay rang ki taraf attaract karti hain isi wajay say yeh andheri jagahon ya kalay janwaron jesay kalay saanp, chimgadar, ullu ya kali billi mein aksar hoti hain, jistarah doctor ko antibiotics dawai kay mutalik malum hota hai kay is mein kya kya ijza shamil hain aur kon kon say bimari kay na dikhai denay walay virus, germs aur bacteria ko khatam kar saktay hain same isi tarah olma e rohaniyat ko bhi in na dikhai denay wali makhlok ka ilm hota hai aur onko malum hota hai kay kin ijza say yeh makhlok attaract hoti hain upar jo meinay ainay bananay walay ijza kay mutalik share kia hai in khas ijza kay banay ainay mein haazrat ki jinnati makhlok attaract hokar ajati hai aur isitarah chopak kar rehti hai jesay loha magnet mein chopka rehta hai, kali billi mein say yeh makhlok ainay mein muntakil honay kay baad ainay ko kalay kapray mein lapait kar lakari kay box mein rakha jata hai andheri jaga mein, isko istamal karnay ka tarika istarah hai kay tehat al-sha kay okat mein jis raat chand asman mein na ho os raat ko amal kia jay, ainay par loban ki dhoni di jay aur aak knife jis say hisar banaya jata hai woh ainay kay nazdeek rakha jata hai hisar ka amal karnay kay baad takay yeh makhlok noksan na pohancha sakain, jis room mein amal kia jay woh khushbo dar ho kamray mein andhera ho aur candle ya diay ki madham see roshni ho aur amal karnay wala bhi apnay kapron mein ittar laga kar hazrat ka amal karay aur mo mein bhi pias ya lehsan ki bo na ho aur aak khas wazaif ko parhna hota hai jis say haazirat ki makhlok active hojati hain aur in say kai kisam kay kam liay jasaktay hain,
is ainay ki madad say kai rohaniat kay khofia raaz aur kai rohani ajeeb makhlokat ka mein moshaida kar choka hon aur kai kam aur amliyat mein yeh khas aina aur oski rohaniat nay meri madad ki hai, mein is ainay ki madad say kai logon ka rohani ilaj bhi kar choka hon aur aab bhi kai logon kay gharon mein is ainay ko lay jata hon aur wahin onka ilaj karta hon,

 Jin logon ko nazar bad kay asrat hon ya jinnat wa asayb kay ya saaya ho ya bad ruh kay asrat ya phir kalay jadu kay asrat hon istarah kay jo bhi asrat mariz ko hongay woh agar ainay mein dekhay ga to onko ajeeb chezain ainay mein dikhai day gi aur jo mariz jismani amraz ki waja say bimar hoga to osay ainay mein kuch dikhai na day ga, rohani bimario ki tashkhees kay liay yeh bohat he best tool hai is say mein rohani bimario ki tashkhes karnay kay saath saath onka ilaj bhi apnay khas amal say karta hon, yeh khas aina meinay kai apnay students aur doston ko onki farmaish par bana kar dia hai, agar aap bhi muj say yeh aina banwana chahatay hain to muj say rabta kar kay banwa saktay hain,

Meri advise on sab kay liay jo ghar mein billi paltay hain:

Billi kay asrat kitnay khatarnak sabit hosaktay hain iskay mutalik mein opar bata choka hon, isliay agar aap kay ghar may palto billi mojod hai to meri advise apko yahi hai kay please osay ghar say nikal day kuo kay billi ka raat ko rona bohat he manhos hai, isitarah ghar main agar koi khana khata hai to billi osay tak kay dekhti rehti hai yeh bhi bohat khatarnak hai billi ki nazar e bad insan ko la ilaj marz may mobtala kar sakti hai, billi ka koi baal agar khanay ki chez mein chala jay aur woh khana koi kha lay to osay damay ki bimari ya tarah tarah ki aur kai bimaria lag jati hain, billi ko aap chahai jitna bhi pyar do magar woh apni nahosat zaror ghar may dalay gi, jistarah bicho ko jitna bhi pyar say rakho magar woh dang zaror maray ga kuo kay yeh oski fitrat aur nature hai jo badal nahi sakti same isitarah billi bhi apni fitrat aur nature kay hathon majbor hai woh nahosat dalti hai osay ghar say bahir rakhna he behtar hai, oska taluk jinnat say hai aur jinnat ka ghar may honay say kya hota hai yeh aap sab achi tarah jantay ho mujay batanay ki zarorat nahi, is janwar ki chord bohat kam ki hai kuo kay is chord may woh peda hoti hai, yeh chord oska ghar hai yeh billi ko bohat aziz hoti hai kisi ko hasil nahi honay deti isliay bacha peda kartay he foran osay complete pora kha jati hai takay koi isay hasil kar kay faida na otha ay, is cat's chord kay raaz ko sadion say log apnay seeno may dafan kartay ay hain wesay agar dekha jay yeh mehaz aak gosht ka tokra hai magar is gosht kay tokray may aysa kya hai yeh osi ko malum hota hai jiskay pas yeh ho.
Agar aap ko billi ki anool(cat's chord talisman) ki zarorat ho ya attaraction kay sormay ya sormay wali ring ki ya billi kay kisi bhi kisam kay tilsim ki ya phir black mirror haazirat kay ainay ki to muj say rabta kar kay mangwa saktay hain, 

Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165
                                                  Ali 

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman




Thursday, September 22, 2011

History of ilm Al-Ramal

  

Ilm e Ramal aak Alhami ilm hai jisay Khuda nay Anbia(a.s) par nazil farmaya tha,  "RAMAL" arabic main rayt ko kehtay hain, yeh ilm rayt par nazil hoa tha isliay is ilm ko ilm ramal kaha jata hai iskay ilawa ilm al-nokat aur ilm al-khatt bhi kaha jata hai, is ilm kay zariay na sirf zamana hal, mazi, mostakbil kay halat malum par saktay hain balkay is ilm main bohat gehray israr aur poshida raaz hain jo har kisi ko malum nahi par saktay sirf osay malum par saktay hain jisay khuda chahai, is aak ilm kay andar pori kainat kay raaz samahai hoay hain, yeh aak aysa gehra samundar hai jiski teh tak koi nahi pohanch sakta, meinay is ilm kay poshida israr ko kafi khoja hai aur main kuch raaz yahan aap say share kar raha hon, yahan jo kisay aur wakiat Anbia(a.s) kay jo ilm ramal kay sath joray hain likh raha hon yeh sub mainay moktalif muqadas kitabon say liay hain, yeh sub aap ghor say parhna kuo kay in keson aur rawayat main is ilm kay gehray raaz poshida hain, aap ko parhnay kay baad hayrat hogi kay kis tarah Allah pak nay moktalif Anbia(a.s) ko onkay dor main is ilm ko nazil farma kar onki rehnomai ki thi.


HAZRAT ADAM(a.s) KA ILM RAMAL:
Jab Hazrat Adam(a.s) aur Bibi Hawa(a.s) ko janat say nikala gaya to
hazrat Adam (a.s) ko duniya kay aak konay par rakha aur bibi Hawa(a.s) ko duniya kay dosray konay par rakha gaya aur dono main judai hoi, is doran hazrat Adam(a.s) bibi Hawa (a.s) ki judai main ghamghin rehnay lagay, onko hazrat bibi Hawa(a.s) ki bohat fikar honay lagi kay na janay woh kis hal main hongi aur isi fikar aur soch kay aalam main aap dariya kay kinaray baythay hoay thay samnay rayt ki zameen thi aur Aap(a.s) ki fingers rayt main gari hoi thi istarah:

Os waqat Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say aap(a.s) kay pas ay aur aap(a.s) ko kaha kay rayt par say apna hath otha ay, jab aap(a.s) nay apna hath othaya to rayt par gari fingers say 4 nokton ki see sorat bani mili istarah:
Is figure ko ahal e ramal "Abu Al-Ashkal" kehtay hain, Hazrat Jibrael(a.s) nay oskay barabar apni 4 fingers garin is say 4 aur noktay ban gay istarah:
Jab in 8 dots ko apas main hazrat Adam(a.s) nay milaya to 4 lines ban gai aur ramal ki 2nd figure bani jisay "Om Al-Ashkal" kehtay hain.
Kuch Olma kay mutabik hazrat Adam(a.s) ka hath rayt par rakha tha magar fingers rayt main gari hoi nahi thi balkay seedhi rakhi thi istarah:
Hazrat Jibrael(a.s) kay kehnay par jab Hazrat Adam(a.s) nay apna hath othaya to 4 fingers say rayt par 4 lines wali figure "Om Al-Ashkal" bani hoi mili jis kay barabar main Hazrat Jibrael(a.s) nay apnay hath ki 4 fingers gari aur 4 dots wali figure banai jisay "Abu Al-Ashkal" kehtay hain, 2 figures rayt par istarah bani hoi thi:
Hazrat Jibrael(a.s) jis tarah khamoshi main zahir hoay thay osi tarah khamoshi main he rayt par noktay bana kar ghum hogay,
Allah pak Rahim Karim hain onko Hazrat Adam(a.s) ka ghamghin rehna passand na aya isliay Allah pak nay ilm ramal ka nokta bazariay Jibrael(a.s) hazrat Adam(a.s) ko dia.

Yeh Aak tarah say chopi paheli ya qudrat kay raaz samaya hoa math kay equation ki tarah ak equation tha jisay Adam(a.s) ko apni zahanat say solve karna tha aur isi kay zariay Bibi Hawa(a.s) ko dhondna tha, yeh aak mission tha jis main hazrat Adam(a.s) nay apnay aap ko busy kar lia is equation ko samajnay main Hazrat Adam(a.s) ko kafi arsa lag gaya aur isi arsay main Aap(a.s) qudrat kay kafi raaz samajnay lagay aur Aap(a.s) nay Apnay RAB e karim ki khudai ka moshaida kia aur jab Aap(a.s) pori kainat kay system ko samjha, ghor kia to sajday main gir gay aur ro kar ghir gara kar apnay Rab say Maafi mangi aur Allah pak nay onko maaf kardia, yeh ilm to aak bahana tha is ak ilm say hazrat Adam(a.s) nay kai oloom seekh liay, kainat kay nizam ko samjha, Khuda kay 99 sifat ka moshaida kia aur apnay Rab ko pehchana, isi ilm kay zariay aap nay Bibi Hawa(a.s) ko dhond lia aur dil main khof e khuda payda hoa aur ro kar gir gira kar apnay Rab say maafi mangi, Allah pak yehi chahatay thay kay woh meri kainat main ghor wa fikar karay meray nizam ko samjhay mujhay samjhay kay main kon hon isi liay yeh muqadas ilm ramal wahi kia gaya Hazrat Adam(a.s) par.
Hazrat Adam(a.s) nay ilm ramal ki rayt par bani 2 figures main kistarah ghor kia aur is ilm ko samja iski muktasir tashreh yahan aap sub kay samnay  pesh kar raha hon,
Hazrat Jibrael(a.s) nay jo 4 dots rayt par dalay thay in 4 dots ko hazrat Adam(a.s) nay 4 elements yehni anasir say mansob kia woh 4 elements hain: Fire, Air, Water, Earth,
Hazrat Adam(a.s) nay duniya ki har shay main ghor kia kay har chez 4 elements say banti hai har shay main 4 elements kay asrat pay jatay hain, Aap(a.s) nay pehlay soraj ko dekha aur oski heat aur garmi ko mehsos kia aur element fire ko pehlay darjay par rakha oskay baad Air main ghor kia kay soraj kay baad hawa taqatwar hai jo asman main badlon ko ak jaga say dosri jaga lay jati hai aur samandar ki lehron ko kistarah sahil par lati hai aur kistarah rayt par hawa say shadet tofan aatay hain aur aap(a.s) nay Air ko dosray darjay par rakha, oskay baad aap(a.s) nay barish jo badal barsatay hain, daria aur samandar main ghor kia istarah element water ko aap(a.s) nay 3rd darjay par rakha, oskay baad aap(a.s) nay matti aur rayt par ghor kia aur earth kay element ko 4th darjay par rakha, 
4 dots wali figure main charon elements open hotay hain aur 4 lines wali figure main charon elements closed yehni band hotay hain isi system say aak aak ansar par aap(a.s) nay ghor kia aur ramal ki 4 aur figures bana dali rayt par istarah:
Isitarah Hazrat Adam(a.s) ko anasir ki dosti aur dushmani kay mutalik bhi malum para kay konsay anasir apas main dost hain konsay dushman jesay aag par pani dalnay say aag boj jati hai etc.. aur isi system say hazrat Adam(a.s) nay ramal ki mazid figures   bana dali istarah total 16 ramal ki figures wajod main agai:
 4 elements yehni anasir kay ilm say Hazrat Adam(a.s) nay aur bhi kai oloom seekhay jin main Alchemy, Hikmat, Najom wagayra inhe oloom say aap(a.s) nay har ramal ki figures kay mansobat rakhay isitarah har ramal ki figure kay kai mansobat hotay hain aur konsi figure kainat main kis kis chez kay sath connected hai isitarah hazrat Adam(a.s) nay is ilm par abhor hasil kar lia aur Hazrat Bibi Hawa(a.s) kay halat is ilm say malum kiay aur ak din on say ja milay, aur apnay ilm say khuda kay 99 mubarik isma al-hosna main ghor kia aur kainat kay nizam ko samjha aur khuda ki raza onko hasil hoi aur jannat kay darwazay onkay liay dobara khol gay, Aap(a.s) nay is ilm kay raaz ko apnay tak he rakha aur apnay baray betay Hazrat Shes(a.s) ko bataya takay is ilm ki madad say onko bhi rehnomai milay aur onki aulad bhi jannat main jasakay,
Agar ghor kia jay to ramal aak ibtadai language hai jo arabic ki ancestor hai, ramal ki figures main 2 cheezain hoti hain 1st dot and 2nd line inhe do cheezon say arabic kay horof abjad banay hain, kuch olmao kay mutabik Hazrat Jibrael(a.s) Allah kay hokam say jo 4 dots rayt par dalay thay yeh 4 dots "Bismillah al-rehman al-rahim" kay 4 dots thay, inhe 4 muqadas dots say ilm ki ibtada hoi zamin par waqat kay sath yahi 4 muqadas dots badal kar horof banay aur phir ayat bani jis say asmani kitabay nazil hoi.
Aab main kuch aur poshida israr aap say share karo ga, woh hath jisnay rayt par 4 dots dalay thay hazrat Adam(a.s) kay hath kay barabar main oskay mutalik islamic rawayat yeh kehti hain kay woh hath Hazrat Jibrael(a.s) ka tha aur israeli yehni jewish olma yeh kehtay hain k woh Hand of God yehni Khuda ka hath tha aur kuch yeh kehtay hain kay angel Raziel ka hath tha woh angel jo poshida olom janta tha jisnay yeh poshida ilm hazrat Adam(a.s) ko sikhaya tha, khair islamic rawayat ziada motbar mani jati hain aur woh hath jisnay 4 dots dalay thay:

Yahodi aur mosalman dono kay nazdek yeh Hath muqadas mana jata hai, yahodi is hath ko "Hamsa" kehtay hain aur onkay nazdek yeh aak muqadas symbol hai jisay woh log apnay gharon main rakhtay hain nazar bad, jadoo kay asrat aur har tarah ki protection kay liay aur kuch log taweez ki tarah isay galay main bhi pehantay hain, kuch images jewish hamsa hand ki yeh hain:
Hamsa hand from my personal collection



Isitarah hum mosalmano main khas kar shia firkay kay log is symbol ko bohat muqadas mantay hain kuch panjtan pak ka hath kehtay hain to kuch Hazrat Ali(a.s) ka hath kehtay hain aur kuch arab countries main is symbol ko Hand of Fatima(a.s) kehtay hain aap sub nay Aalam par is hath kay symbol ko aksar dekha hoga aur kuch images main yahan share kar raha hon:


Yahodi is hath kay symbol ko olta use kartay hain yehni fingers neechay zameen ki taraf ishara karti nazar aati hain aur mosalman is symbol kay hath ko seedha rakhtay hain yehni fingers asman ki taraf ishara karti nazar aati hain, in isharon main kai raaz poshida hain jo inshAllah apnay "Kabbalah" kay topic par isay detail say bataon ga.
yahi woh muqadas hath tha jisnay Hazrat Adam(a.s) ko 4 dots ki shikal main ak chabi di jis say hazrat Adam(a.s) nay tamam oloom seekhay aur khuda kay 99 ism e mubarik dunia main har shay main dekhay aur apnay Rab ko jana aur onki ibadat karnay lagay aur is raaz ko apnay betay Hazrat Shes(a.s) ko bataya aur istarah yeh raaz muktalif anbion(a.s) main montakil hota raha aur har anbia(a.s) nay apnay tarikay say apni kom ko rah e haq ki taraf laya, aab main kuch aur wakiat anbiaon(a.s) kay ilm ramal kay sath joray share kar raha hon.


HAZRAT IDRIS(a.s) KA ILM RAMAL:
Aak Rawait kay mutabik ilm ramal khoab kay zariay hazrat Idris(a.s) par wahi hoa, Hazrat Idris(a.s) nay khoab main hazrat Jibrael(a.s) ko daykha jo rayt par ramal ki figures bana rahai thay, hazrat Idris(a.s) nay Jibrael(a.s) say pocha kay aap rayt par yeh kya bana rahai hain, Hazrat Jibrael(a.s) nay ramal ki 16 figures kay raaz say Idris(a.s) ko agah kia.
Aak dosri rawait kay mutabik Idris(a.s) nay Allah pak say dua mangi kay mujay kuch aysa wasila ata ho jis say main apni zindagi behtar tarikay say gozar sakon, Aak din Hazrat Idris(a.s) tanha rayt par udas baythay rayt par lakeeray khinch rahai thay kay aak ajnabi shaks nay Idris(a.s) say pocha kay yeh aap rayt par kya bana rahai ho? Idris(a.s) nay jawab dia kay main aysay he apnay aap ko behla raha hon bore horaha tha, Ajnabi shaks nay kaha aap shayad jantay nahi aap rayt par bohat khas kam kar rahai hain yeh kam aap ki kismat badal day ga, Idris(a.s) nay os shaks ki baat ko mazak samaj kar nazar andaz kia, Os ajnabi shaks nay rayt par aak aur figure banai jo Idris(a.s) ki rayt par bani figure say milti jolti thi isi tarah Idris(a.s) nay os ajnabi shaks ki bani figure say milti jolti aak aur figure banai is tarah banatay banatay ramal ki total 16 figures ban gai, Tab os ajnabi shaks nay in ramal ki 16 figures ki meanings batai aur onsay zaicha banana sikhaya aur is tarah hazrat Idris(a.s) ramal kay chopay raaz say wakif hogay, Hazrat Idris(a.s) hayrat say os ajnabi shaks say pocha kay aap kon ho kesay is ilm ko seekha aur mujay kuon seekhaya? Tab woh ajnabi shaks apni asal sorat main zahir hoa aur kehnay laga main Jibrael(a.s) hon Allah pak nay yeh
ilm aap par wahi kia hai phir Hazrat Jibrael(a.s) ghom hogay, Idris(a.s) nay Allah pak ka shukar ada kia kay mujay woh ilm ata kia gaya hai jo kisi ko malum nahi, Humaray Nabi Hazrat Muhammad(s.a.w) ki hadees mubarak hai jis main aap(s.a.w) nay farmaya hai kay ilm ramal aak nabi par wahi hoa tha aur woh nabi hazrat Idris(a.s) thay, is hadees ki image main yahan share kar raha hon takay aap ki knowledge main izafa ho:

Isitarah Hazrat Ali(a.s) nay bhi hazrat Idris(a.s) kay ramal kay mutalik farmaya hai kay:
Yehni "Tum nay dekha kistarah Allah pak nay apnay fazal say hazrat Idris(a.s) par ilm ka fayz pohanchaya aur apnay fazal say ilm al-nokat(ramal) ko alham kia aur wahi bhej kar onki subi moshkilat ko hal kia."
Idris(a.s) nay wafat say pehlay is ilm par kitab likhi jisay yahodi log "Lost Book of Enoch" kay nam say pukartay hain yeh book complete to na mil saki magar kuch hisa is book ka mila hai jis main ilm ramal kay sath aur bhi kai rohani oloom kay raaz is book main hain, istarah kai logon nay is book say yeh ilm seekha.

HAZRAT NUH(a.s) KA ILM RAMAL: 
Hazrat Nuh(a.s) ki kom bot parasti aur kai shirk kay kamo main motala hogai, shirk aur gunah dunia main itna barh aur phayl gaya  kay Allah pak sakt naraz hoay, os dor main sirf 1 Hazrat Nuh(a.s) he thay jo Allah pak ki ibadat kartay thay, Hazrat Nuh(a.s) nay apni kom ko deen e haq ki taraf lanay aur sahi raah dikhanay ki bohat koshish ki magar woh na manay khud olta mazak oranay lagay, jis par Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say ramal ki aak figure hazrat Nuh(a.s) ko dikhai jistarah pehlay hazrat Adam(a.s) ko rayt par 4 dots dal kar dikhai thi magar jo hazrat Nuh(a.s) ko figure dikhai woh alag thi jo kuch istarah thi:
Aur Allah pak nay Hazrat Nuh(a.s) ko kashti bananay ka hokam dia, jab hazrat Nuh(a.s) ki kom nay aap(a.s) ko registan main jahan har taraf rayt he rayt thi aur dor dor tak pani ka nam wa nishan tak na tha wahan kashti banatay dekha to hasnay aur mazak oranay lagay, aur jab hazrat Nuh(a.s) nay kashti bana dali to Allah pak nay hazrat Nuh(a.s) ko onki family kay sath kashti main janay ka hokam dia, aur hazrat Nuh(a.s) apni family kay sath kashti main agay aur phir Khuda ka azab nazil hoa na thamnay wali barish aur saylab ki sorat main jis say dunia main har jandar dob par fana hogaya sirf woh he zinda rahai jo hazrat Nuh(a.s) ki kashti main thay:
Yeh azab kai arsay tak raha aur dunia main har jandar dob kar mar gaya aur akhir kar azab khatam honay laga aur hazrat Nuh(a.s) ki kashti aak pahar par akar rok gai aur yeh scene osi ramal ki figure lehan jesay dikhai denay laga:
Aur aak dosri rawayat kay mutabik jab hazrat Nuh(a.s) kay betay aur onki auladay dunia main har jaga phel gay aur kafi arsa guzar janay kay baad Hazrat Nuh(a.s) ko onki khair khabar na mili to hazrat Nuh(a.s) nay Allah pak say Dua mangi kay onko aysa ilm ata ho jis say woh apni aulad kay halat say wakif hosakay aur istarah Hazrat Jibrael(a.s) nay Allah pak kay hokam say ilm ramal hazrat Nuh(a.s) ko talim farmaya aur aap(a.s) is ilm ki madad say apni aulad kay halat say wakif rehtay thay.


HAZRAT IBRAHIM(a.s) KA ILM RAMAL:
Jab Allah pak nay Hazrat Ibrahim(a.s) ko Kaaba sharif bananay ka hokam farmaya to Hazrat Ibrahim(a.s) ko malum na tha kay iski jaga konsi hai ya konsi jaga par banaya jay aur kesa shape hona chahehai, Aap(a.s) isi soch main bethay thay kay Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say zahir hoay aur onhonay apnay hath ki finger asman ki taraf ishara ki jiska matlab tha khuda 1 hai phir hazrat Jibrael(a.s) nay osi finger ko zamin ki taraf ishara karkay zamin par finger gari jis say dot ban gaya:
Aur phir yahi dot phel kar 4 dots ban gay square ki tarah:
Yahi woh Bismillah sharif ki "Bay" ka nokta tha jo Hazrat Jibrael(a.s) nay zamin par banaya aur jis say Bismillah al-reham al-rahim kay 4 noktay square ki sorat main zamin par ban gay aur yahi woh 4 noktay thay jo pehlay hazrat Adam(a.s) par nazil hoay thay, Hazrat Ibrahim(a.s) aur Hazrat Ismael(a.s) nay 4 nokton par Kaaba sharif ki boniad dali aur 4 deewaray banai aur square ki shape main Kaaba sharif banaya.

HAZRAT MUSA(a.s) KA ILM RAMAL: 
Hazrat Musa(a.s) par ilm ramal wahi hoa tha jewish log is ilm ko "Kabbalah" kehtay hain, Kabbalah aak hebrew yehni abrani word hai jiska matlab hai "The Received Wisdom", Jewish logon kay mutabik Khuda nay sub say pehlay Kabbalah ka ilm farishton ko sikhaya tha dunia bannay say pehlay aur Hazrat Adam(a.s) ko sub say pehlay Hazrat Raziel(a.s) kay zariay sikhaya gaya jab onko jannat say nikala gaya tha, takay Hazrat Adam(a.s) is ilm ko seekh kar qudrat ka moshaida karay aur wapis osi makam jannat par jasakay, Hazrat Adam(a.s) kay baad yeh ilm montakil hota raha aur phir achanak yeh ilm dunia say ghum hogaya jesay aaj kal kay scientific dor main kafi rohani olom ghum hogay hain, is tarah os dor main logon main shirk phelnay laga aur jahalat aur bot parasti phir barhnay lagi, istarah yeh ilm phir Hazrat Ibrahim(a.s) par nazil hoa onhonay is ilm ko kafi phelaya onkay baad phir yeh ilm jewish logon main ghom hogaya jab woh misar yehni egypt main golami ki zindagi gozartay thay, aur akhir kar phir yeh muqadas ilm Hazrat Musa(a.s) par nazil hoa jab Aap(a.s) pahar par khuda say milay, jab pehli dafa hazrat Musa(a.s) pahar par ghay to khuda nay onko ilm e zahiri taleem farmaya jisay "Ten Commandments" ya das ahkam kehtay hain yeh ilm onki kom kay aam logon kay liay tha, jab Hazrat Musa(a.s) dosri bar pahar par khuda say milay to onko Khuda nay ilm e batini ki taleem di jisay kabbalah kaha jata hai, Hazrat Musa(a.s) nay yeh ilm apnay tak he rakha aur apna bhai Hazrat Haroon(a.s) ko taleem farmaya aur onko kaha kay yeh ilm sirf apni family tak he mehdod rakhna istarah yeh ilm bani israel kay paygambaron main montakil hota raha, aur aab main is ilm kay mutalik kuch muktasir batain aap say share karta hon, kabbalah ilm main jo key hai jis say yeh ilm asani say samja jasakta hai woh hai "Tree of Life" yehni shajar e hayat, oski image istarah hoti hai:
Yeh 10 ahkam e batini ya woh 10 ilm ramal kay noktay hain jisay khuda nay hazrat Musa(a.s) par nazil farmay thay,  jisay jewish log tree of life kehtay hain aur isi main sub raaz poshida hain aur aab main aap ko kuch aur detail batao ga is tree kay map ki, yeh map pehlay egyptian pyramid ki tarah tha istarah:
aur isi 10 dots ko tree of life ki see sorat di gai istarah:
Ilm ramal ya kabbalah main 1 dot ko tak aur 2 dots ko jaft kaha jata hai, 1 dot male say mansob hota hai aur 2 dots female say mansob hotay hain kuo kay female mother banti hai aur isi calculation say ramal ki figures banti hai is image say aap ilm ramal ki calculation samaj jao gay:
Kabbalah kay tree of life main ramal ki 4 figures banti hain inhe 4 figures say baki 12 figures ramal ki bani, is image main on 4 figures ko zahir kia gaya hai:
Tree of life main say yeh 4 figures ramal ki milti hain jo yeh hain:
In 4 figures ki apas main calulation say baki 12 figures banai jati hain, aap nay dekha kesa gehra raaz poshida hai tree of life kay map main, wesay agar koi is tree of life kay map ko dekhay to koi samaj nahi pay ga sirf wahi samaj sakta hai is poshida ilm ko jisay is raaz kay mutalik malum ho, isi system say yeh ilm hazrat Musa(a.s) par nazil hoa tha,
Kuch olmao kay mutabik hazrat Musa(a.s) par bhi wahi 4 noktay nazil hoay thay jo hazrat Adam(a.s) aur Hazrat Ibrahim(a.s) par nazil hoay aur in 4 nokton ko 4 aalam ya worlds say mansob kia gaya:
Image main jo sub say neechay black circle hai isay kabbalah main world of Assiah kaha jata hai aur sufisim main isay aalam e nasot kehtay hain, os say opar wala circle world of yetzirah ya aalam e malkoth kehtay hain, 3rd circle ko world of briah aur aalam e jabrot kehtay hain isi tarah 4th circle ko world of Atziluth aur aalam e Lahot kehtay hain aur yeh charon world ya aalam 4 elements say connected hain yeh tasawof, sufisim, morakba, lataif ya chakra healing, reiki wagayra main bhi use hotay hain, ilm ramal sirf kismat kay halat dekhnay tak he mehdod nahi yeh bohat gehra ilm hai jiska koi kinara nahi aur is ak ilm main say kai oloom nikaltay hain.

HAZRAT ARMIAH(a.s) KA ILM RAMAL: 
Hazrat Armiah(a.s) ki kom kay log ilm najom (astrology) say aak dosray ki madad kartay thay aur is kay sath mashgol hotay thay aur onkay liay koi shogal nahi tha magar woh ilm najom main nazar rakhtay thay, onkay priest bohat magror thay onko apnay ilm par bara naz tha onkay mutabik ilm najom say afzal dosra koi ilm ho he nahi sakta istarah woh Khuda ko bhol kar sitara parasti karnay lag gay aur 7 sitaron kay bot bana kar onki puja karnay lag gay,
Pas Allah pak nay Armiah(a.s) ki taraf wahi bhayji Aur Hazrat Armiah(a.s) nay apni kom say farmaya:
"Kon afzal hai jo asman, Sitaray, koakab, chalnay walay falk, soraj aur chand ki taraf dekhay woh motehrik hai aur os main harkat hai aur woh oskay mutalik bagair asal kalam kay sath baat karta hai kai dafa sahi hota hai aur kai dafa khata hojati hai,
Ya Phir woh jo zameen ki taraf dekhta hai aur yeh jamad sakin gair motehrik hai jis main harkat nahi hai, matti main lakeeray khinchta hai aur tumhai on cheezon kay baray main khabar dayta hai jo oskay awal say akhir tak os saal main hai aur jo kuch oski barishon, nibat, ajnas oskay bhao, oskay sastay aur mehangay honay say hai aur jo tumharay dushman tumharay sheharon main chaltay hain tumhai fateh aur shiksat kay baray main khabar daytay hain aur tumhai zindagi, mot, omaron kay lambay aur chotay honay kay baray main khabar daytay hain aur yeh kay hamla aurat mozakir ya monis main say kya janay gi,

Aap(a.s) ki kom nay kaha jo zameen main daykhta hai afzal hai, agar tum hakim aur fazil ho ya Nabi aur tum is par kadir ho kay jo kuch tum bolo osko apni dalael kay sath zahir karo aur jo kuch tum nay bola oskay sath amal karo, Agar tum nay yeh kardia to hum aap ki atba karain gay aur aap ki Nabowat kay sath eeman lain gay.
Pas Hazrat Armiah(a.s) nay kaha ay Rab to sub say ziada jannay wala hai jo kuch onhonay kaha mujay woh ilm taleem do jis kay sath main onkay ilm ko batil kardon, Pas Allah pak nay hazrat Armiah (a.s) par 16 ramal ki figures nazil ki phir Armiah(a.s) nay on figures ko onki kom kay tarikon say mix kia aur har figure kay neechay likha jo borj, koakab, manazil, atraf, jawahar, anasir, nibatat, haywan, horof, adad oskay sath mansob hai aur makhlokat main har shay oskay sath mansob hai,
Pas Hazrat Armiah (a.s) onki taraf ay aap (a.s) nay onsay kaha muj say pocho jo tum chahatay ho bayshak main Allah pak kay hokam say matti say oskay sath tumhai khabar don ga, Onhonay Armiah (a.s) say pocha jo kuch is saal main awal say akhir tak hoga aur on tamam kay baray main jo zaraet, hawaon, harkat, sukon, barishon aur narkhon kay sastay, mehangay honay kay baray main hoga,
Hazrat Armiah(a.s) nay onko din ba din, saet ba saet agah kardia aur
jo kuch Aap(a.s) nay kaha to onhonay apnay cheharon kay sath onki taraf maylan kia aur onhonay Hazrat Armiah(a.s) ki tazdeek ki aur inhain apna Nabi man lia aur jis tarikon par woh pehlay thay osay onhonay batil kardia. Isliay Nabi kareem(S.a.w) ka kol hai: "Meray bhai Armiah(a.s) matti main lakeeray khinchtay thay pas jis nay onki lakeer khat ki moafkat ki woh thek hoa".

Hazrat Armiah(a.s) nay sub say pehlay ilm ramal ko ilm najom kay sath mix kia aur aaj hum jo zaicha ramal ka banatay hain woh isi tarah he banatay hain jis tarah Hazrat Armiah(a.s) banaya kartay thay aur aaj bhi har ramal ki figures kay mansobat wahi same use hotay hain jo hazrat Armiah(a.s) nay ayjad kiay thay jiski ak image main yahan aap say share kar raha hon:



HAZRAT DANIAL(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Danial(a.s) Paharon kay daman main chop kar tanhai main Allah pak ki ibadat main masrof rehtay thay, Aak din Hazrat Jibrael (a.s) ilm ramal ko aap kay pas lay aur farmaya, Allah pak ka hokam hai kay gumrah logon ko haq ki taraf dawat dain aur ilm ramal ki madad say logon kay dilon ko haq ki taraf phayray isliay kay aap kay pas zahiri tor par koi wasail nahi hain, Chinachay Hazrat Danial (a.s) pahar say otar kar neechay ay thori rayt apnay sath liay misar (egypt) kay bazar main aak konay main akar beth gay, har shaks nay akar pocha kay yeh rayt kaysi hai Aap(a.s) nay farmaya kay tum muj say sawal karo main iska jawab don ga, chinachay bohat logon nay muktalif sawalat kiay kisi nay kaha kay hum kis kam ko jatay hain, kisi nay kaha kay aaj hum ghar say kya khana kha kar chalay
hain aur humaray ghar main kis kadar dolat hai aur kitnay aadmi hain ya humaray ghar main khazana hai ya nahi, agar hai to kis kadar hai, aur kuch nay pocha kay humaray dil main kya hai, Aap(a.s) nay is ilm sharif say aysay sahi jawabat diay kay os main fark na tha hazaron ahal e misar eeman lay ay.


Kuch tarikh main olmao nay istarah likha hai kay jab Hazrat Danial(a.s) apni kom ki mukhalfat ki waja say shar say bahir gay tab yeh ilm bator e mojaza ata hoa tha, Aap (a.s) nay is ilm kay zariay logon kay dilon ka hal bayan kia is say kom main hazrat Danial(a.s) ki izat aur aytmad payda hogaya, ortay ortay yeh khabar os waqat kay badshah ko pohanchi to osnay hazrat Danial(a.s) ko bolwa bhayja aur imtehan laynay kay liay chand batain pochi jin ka Aap (a.s) nay dorast jawab dia jis say badshah bohat mutasir hoa osnay
hazrat Danial(a.s) say kaha kay aap meray betay ko ilm Ramal ki taleem dain, Hazrat Danial(a.s) nay shezaday ko bari dil jami kay sath ilm ramal ki taleem dena shoro ki aur is ilm main mahir kardia, jab shezada ilm ramal main kamil hogaya to badshah bohat khush hoa, Badshah nay akaylay main hazrat Danial(a.s) ko bolaya wahan par shezada bhi mojod tha kol 3 afrad wahan par mojod thay, bataon bataon main hazrat Danial(a.s) nay shezaday say farmaya kay humaysha say yeh mamol chala araha hai kay har aak zamanay main Allah pak nay logon ki hidayat aur rehnomai kay liay
aak paygambar ko bhayja hai, tum ilm ramal kay zariay malum karo kay is zamanay main koi paygambar mojod hai kay nahi?, chinachay shezaday nay khat ramal khincha aur hisab laga kar kaha kay is zamanay main paygambar mojod hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir pocha kay agar paygambar hai to is waqat kis shehar main hai?, shezaday nay hisab laga kar bataya kay isi shehar main hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir dariafat kia kay isi shehar main kis mokam par hai?, shezaday nay jawab dia isi mokam par hai, Tab Hazrat Danial (a.s) nay pocha kay agar paygambar is jaga par hai to woh kon hai? shezaday nay phir hisab laga kar kaha is jaga par hum 3 shaks hain na to main paygambar hon na mera baap paygambar hai beshak
aap paygambar bar haq hain, Badshah yeh giftago son raha tha woh aur shehzada osi waqat hazrat Danial(a.s) par eeman lay ay oskay baad baki tamam kom bhi gomrahi say tayb hokar hazrat Danial (a.s) par eeman lay ai.


Iski aak tarikh Alama Ibn Khaldon apni kitab Tarikh e Aalam main istarah bayan kia hai:
Babylon kay Badshah Nebuchadnerzzar nay Jerusalem par hamla kia aur Haykal muqadas (Temple of solomon) ko veeran, barbad kar kay bani israel ko zanjeeron say bandh kar bayaban nanwa main qaid kia, os waqat bani israel kay qaidion ki tadad 96 thousand thi aur woh bayaban main muktalif makamat par katar andar katar kholay asman kay talay rayt par bethay qaid wa band ki sakhtian jhayl rahai thay, os waqat israel kay deeni rahnama Hazrat Danial (a.s) thay jo kom kay is tarah kay sakht halat ki waja say sakht parayshan thay, chinachay kom kay muktalif girhon kay halat say agah honay kay liay Allah pak nay Jibrael ameen(a.s) kay zariay ilm ramal ata farmaya.
Hazrat Danial(a.s) rayt par bethay thay aur dil wa dimagh kom kay
bais parayshan thay hath rayt kay zaron main garhai thay, jonhe
Jibrael(a.s) nazil hoay to aap nay hath rayt say alag kar kay onki
taraf tawaja ki, Jibrael nay aap ko Khuda ka salam dia aur farmaya
"Danial parayshan na ho aur rayt par apnay hathon ki onglion kay nishanat ko daykh aur qudrat Khudawand Rab almeen molakhta kar", Aap(a.s) nay nishanat ko daykha to woh noktay (dots) ki tarah thay dono hathon kay 8 dots banay thay, in 8 dots say Hazrat Jibrael (a.s) nay Hazrat Danial (a.s) ko ramal ki 16 figures taleem farmai aur in figures ki meanings batai jin kay zariay Danial(a.s) bani israel kay muktalif girhon kay halat say wakif hoay aur phir isi ilm kay zariay aap nay Babylon kay badshah ko apna garweda banaya".


HAZRAT LUQMAN KA ILM RAMAL:
Hazrat Luqman ko Allah pak nay Hikmat ka ilm baksha tha jiskay mutalik Quran sharif main Allah pak nay farmaya hai "Aur Hum nay Luqman ko Hikmat Bakshi kay Khuda ka shukar karo.", Hazrat luqman ko Allah pak nay intaha darjay ki hikmat say nawaza tha laykin onhai Nabowat say sarfaraz nahi farmaya tha, Hazrat luqman aak african ya sudani thay aur chotay qad, chipti nak walay siahfam habshi thay aur aap kay chehray ka rang bohat siah yehni kala tha, aap ko har kisam ki jari botio ka ilm tha aur ilm hikmat main aap say barh kar koi nahi, hikmat kay sath ilm ramal bhi Allah pak nay aap ko ata farmaya tha, jo aaj bhi african countries main siahfam log jantay hain, luqmani ramal ko "Ifa" kaha jata hai,
Luqmani ramal main sirf 2 ramal ki figures banai jati hain aur inki 2 figures say sub halat malum par jatay hain, luqmani ramal ka tarika bohat ajeeb aur gehra hai jisay har koi samaj nahi sakta wahi samaj sakta hai jisay Allah pak Hazrat Luqman jesi zahanat day,
Hazrat luqman ilm ramal say marz ko pehlay tashkhis kartay thay aur phir os marz ka ilaj kartay thay, aap nay apnay betay ko yeh muqadas ilm taleem farmaya aur aap kay betay kay baad yeh ilm africa main phel gaya aur aaj bhi yeh ilm africa kay ghanay janglon main habshi log jantay hain aur is ilm say kai poshida amraz ko tashkhes kar kay jari botio ya jhar phonk say ilaj kartay hain.



HAZRAT ESSA(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Essa(a.s) (Jesus Christ) bhi ilm e Ramal jantay thay muqadas kitab e Anjeel yehni Bible kay mutabik kuch yahodion nay aak aurat ko Hazrat Essa(a.s) kay pas lay ghay aur kaha kay is aurat nay bara gonah kia hai isnay zina kia hai aur Mosa(a.s) kay kanon kay mutabik is aurat ko sangsar karna hoga aur aap is kay baray main
kya kehtay hain, Hazrat Essa(a.s) zameen par aungli say lakeeray dalnay lagay aur khamosh rahai jab yahodion nay phir pocha to Hazrat Essa(a.s) nay  yahodion say kaha kay "tum logon main say jo gonahon say pak ho woh pehla pathar is aurat ko maray" yeh kehnay kay baad aap(a.s) phir say  zameen par lakeeron say figures bananay lagay, yahodi yeh son kar aak aak kar kay aurat ko chor kar chalay ghay, Hazrat Essa(a.s) othay aur pocha akayli khari aurat say kay "sub kahan ghay? kisi nay kuch bhi nahi kaha tum ko?"
aurat nay kaha "nahi kisi nay kuch na kaha mujhay", Hazrat Essa (a.s) nay aurat ko kaha "main bhi tum ko kuch nahi kahon ga, jao aur aab dobara gonah na karna" (John 8.2-12) 



HAZRAT MUHAMMAD(S.A.W) KA ILM RAMAL:
Kafi Ahadees Nabi pak(s.a.w) ki hain jo ilm ramal kay mutalik hain,
meray ilm main jo Ahadees hain main woh yahan aap say share kar raha hon, Ahadees ki books main Sahi Bukhari Sharif aur Sahi Muslim Sharif ko sub say motbar mana jata hai aur yahan main kuch Ahadees kay images sahi bukhari sharif kay aap say share kar raha hon:

Aak aur Hadees bhi sahi bukhari sharif main istarah hai: 


Isitarah aak aur Hadees bhi sahi bukhari sharif main istarah likhi hai:


Hazrat Idris(a.s) kay mutalik ramal ki hadees kay baray main kitab Tarikh e Ibn Kaseer main istarah likha hai kay:

Aak mashor ilm ramal kay mutalik humaray Nabi(s.a.w) ki hadees jo kafi ramal ki books main likhi hoti hai woh hadees yeh hai:

Humaray Nabi Hazrat Muhammad(s.a.w) kay baad yeh muqadas ilm Ahal e bayt main Hazrat Ali(a.s), Hazrat Bibi Fatima(a.s) aur Hazrat Imam Jaffar Sadik(a.s) ko mila aur phir Auliao, Derwaysh, Pir, Fakiron main yeh ilm phel gaya aur inhe say yeh ilm hum gunahgar bandon ko naseeb hoa,
Yeh ilm Allah pak nay Anbiaon(a.s) par nazil farmaya isliay yeh aak sacha ilm hai, jo shaks is kay asool wa kawaid kay mutabik is par amal karay ga sawab kay ilawa is ka hisab sahi aur sacha sabit hoga aur logon ki bhalai aur mushkil koshai hogi, kuon kay yeh ilm har lehaz say sahi hai jis ko parwardigar nay apnay khas bandon ki rehnomai kay liay nazil farmaya, is kay israr wa ramoz bohat gehray hain, Pakistan main kuch jahil logon kay hathon yeh ilm agaya hai jinko is ilm kay mutalik kuch jankari nahi hoti bas apni taraf say anap shinap batain bol detay hain aur jo batain kehtay hain sub jhooti nikalti hain jis ka result yeh nikalta hai kay log is ilm ko galat ya jhota samajnay lagtay hain, kuch log to is ilm ko khel samajtay hain aur bekar sawalat jesay sattay kay numbers malum karna, prize band ka dekhna, cricket main konsi team haray gi ya konsi jeetay gi kis par satta lagaya jay, istarah kay bakwas aur lalach bharay sawalat ka dekhna is ilm ki toheen karna hai, jo is tarah ki lalach dil main dalay is ilm ko seekhay ga ya hisab nikalay ga to yeh muqadas ilm os shaks ki zindagi main aysa kehar nazil karay ga kay woh shaks bhikari ban kar road par ajay ga ya aysa bimar hoga kay sara oska pesa bimari main chala jay ga, isliay humay is ilm main soch samaj kar sawalat dekhnay chahehai yeh koi mazak ya khayl nahi jisay jab dil chaha fazol sawalat dekh liay, menay apni zindagi main aysay kai log dekhay hain jo ilm ramal sekhnay kay baad barbad hogay iski waja lalach aur fazool sawalat kay mutalik zaicha bana kar dekhna hai, isliay please aap is ilm main sirf aur sirf wahi sawalat dekh ya kisi ramal walay say poch saktay hain jo zarori ho, fazol sawalat say yeh ilm chir jata hai aur is ilm kay jalal ka moshaida main kar choka hon,
Is ilm ko har mazhab ka shaks kar sakta hai, jo shaks apnay mazhab par kaim nahi reh sakta woh is ilm par kabi kamiab nahi hosakta, har aalim ko apnay mazhab kay asolon ki pabandi nihait zarori hai tab jakar aap is ilm par hawi hon ghay aur awam ko faiz pohancha sakay ghay warna nahi.
Main yeh ilm logon ko net par seekhata hon agar aap bhi is muqadas ilm ko seekhna chahatay hain to muj say rabta karain, kuch logon kay mutabik yeh ilm bohat mushkil hai seekhna, onka yeh kehna aur sochna aak tarah say sahi hai kuon kay ramal ki sari books main yeh ilm mushkil lagta hai mujhay bhi books main mushkil laga par Allah pak kay karam say meray walid Muhammad Urs Pirzada nay mujhay easy tarikay say yeh ilm seekhaya woh meray walid he nahi meray Ustad bhi hain jo ilm e Ramal kay master hain aur mujhay bhi master bana rahai hain, meray walid ko is ilm say ishq raha hai aur mujhay bhi is ilm say ishq hai, mainay kabi is ilm main kamil honay ka dawa nahi kia aur jo dawa karay woh gomrah hai, Meri aap sub kay liay Dua hai kay Allah pak aap ko bhi yeh muqadas ilm ata karay, yeh ilm aak aysa khazana hai jo na chori hosakta hai na ghom hosakta hai khud yeh aur ziada barhta rehta hai aur yeh khazana duniawi zindagi kay sath akhrat ki zindagi main bhi faida deta hai, InshAllah main bohat jald ilm ramal kay mutalik aur notes aap say share karon ga, apnay is bhai ko duaon main yaad rakhiay ga,

                                                  Ali 
                                     +92 03003799165
       My Other Articles:
Scapulimancy