Pages

Sunday, February 28, 2016

Lord Of Rings


Ilm Al Limiya aur Ilm Al Simiya kay topic par meinay kai postings apnay blog par share ki hain aur aab mein Ilm Al Rimiya kay mutalik share kar raha hon, yeh ilm Rimiya kay topic par likhi janay wali meri pehli posting hai, inshAllah agar aap sab ko meri yeh posting pasand ai to mazeed is ilm par postings share karta rahon ga,
Ilm Al Rimiya jesay shobdat ya nazar bandi ka ilm kaha jata hai, is ilm ki ibtada zamana e qadeem mein pehlay kabaeli ilakon mein hoi, pehlay dor mein har kabelay ka priest apnay aap ko aam logon say ziada special aur khas apnay aap ko dikhanay kay liay tarah tarah kay ajeeb libas aur holiya bana kar rakhtay thay aur ilm rimiya ki madad say aysay ajeeb kam kartay kay aqal e insani taskheer hojati aur kabelay kay log priest ko bohat bari hasti samajtay jis kay pas gaybi ilm hai aur woh apnay ilm say har na mumkin kam ko mumkin kar sakta hai,
Ilm Rimiya zamana e qadeem say he har kom wa culture mein raha hai, qadeem misar mein is ilm kay baray mahir raha kartay thay, Hazrat Mosa a.s Allah pak kay hokam say jab firon kay pas ghay aur apni laathi ko saanp bana kar mojaza dikhaya to firon has kar kehnay laga kay yeh to shobda bazi nazar bandi ka kamal hai meray jadugar bhi istarah ka kamal dikha saktay hain aur firon kay jadugaron nay ilm rimiya ki madad say lathio ko saanp bana kar dikhaya, isitarah os dor mein samari nam ka aak shaks tha jo ilm rimiya ka bara mahir tha, os nay Hazrta Mosa a.s ki gayr mojudgi mein sonay kay bachray ka aak bot banaya jo andar say khokhala tha aur oskay andar osnay bara mandak dal dia aur os bot ko osnay bani israel logon kay beech mein rakh dia aur loban ki dhoni day kar osay pujna shoro kardia aur phir logon ki nazaron say chopa kar osnay mirch dhoni mein dal di aur mirchon ki dhoni ki waja say bot kay andar chopay mandak ko takleef honay lagi aur woh ajeeb awazain nikalnay laga jo bot kay khokhalay honay ki waja say gonjnay lagi aur sound oska aysa hogaya jesay sach moch ka bachara bol raha ho, bani israel nay jab sonay kay bachray ko boltay dekha to sajday mein gir ghay aur samri nay baray fakhar say kaha kay yeh hai tum logon ka asal rab jo dikhai bhi deta hai aur awaz bhi deta hai Mosa ka rab tumko na dikhai deta hai na awaz deta hai istarah ki behoda batain kar kay samri nay bani israel ko gumrah kia,
Isitarah qadeem faras yehni persia mein bhi aatish parast yehni aag ki puja karnay wali kom rehti thi jo apnay priest ko bohat muhtabir mantay thay, onkay priest bhi ilm rimiya kay mahir hotay thay log jab apnay masael kay liay onkay pas atay to onko kehta kay khuda kay liay apnay janwaro ki qurbani do aur log onko janwar apnay detay jinko aak din woh temple mein rakhta aur raat ko os janwar kay jism par barood ka masala laga deta, suba qurban gah par janwar ko laya jata aur logon ki bheer charon taraf hoti thi sab ki nazaray janwar aur priest par hoti, priest kay hath mein jo lathi hoti oskay aak siray par crystal stone laga hota tha, priest mantar parhtay hoay os lathi ko asman mein boland karta jis say dhop os lathi mein lagay crystal stone say par hokar janwar kay jism par lagay barood par parti jis say aag kay sholay achanak janwar kay jism par dikhai denay lagtay yeh isitarah he hai jesay aaj bachay magnifying glass ko dhoop ki taraf kar kay os say machis ki teli ko jalatay hain, janwar ko achanak aag mein jalta dekh kar log priest ko sajda karnay lagtay aur yeh samajtay kay priest ka khuda say rabta hai, janwar jab apnay aap jalnay lagta to priest yeh kehta kay khuda nay qurbani kabool kar li hai tumharay masael aab thek hojay ghay, priest bohat hoshiar hotay thay jo janwar kamzor sa hota osi ko barood laga kar jalatay jo tandrost hota osay nahi jalatay thay oskay mutalik kehtay kay khuda nay yeh qurbani qabool nahi ki is janwar ko temple kay hawalay kardia jay aur os janwar ki tika boti bana kar mazay say khatay thay, os dor mein sirf jahalat thi aur oska faida priest aur kahin log othatay logon ko bewakof bana kar,
Phir jab Deen e Islam ka zahoor hua to jahalat ka dor khatam hua, priest aur kahin logon ka pol logon kay samnay khol gaya, boton ko tor kar sab logon nay dekha kay kesay kesay device lagay thay jis say bot robot ki tarah hiltay aur baat kartay, kahin aur priest inhe boton ki madad say logon ko bewakof banatay thay,
Islam kay baad arab mein priest aur kahin shobday bazon ka dor khatam hogaya lekin dhokay baz shayat sift log phir bhi baz na ay aur Nabi pak s.a.w ki wafat kay baad kai shobday baz aur ilm rimiya kay mahir logon ko apnay ilm say jhoti karamat dikhanay lagay jisay log mojaza samajnay lagay yeh dhokay baz log istarah kay kamalat dikha kar nabowat ka dawa karnay lagay, on mein aak muslima kazab nam ka shaks tha jo anday ko taang mo wali choti bottle mein dal kar dikhata tha aur os dor kay log yeh dikh kar isay bara karishma samajtay thay, woh shaks anday ko surkay mein kai din rakhta tha jis say anda naram hojata jelly ki tarah aur bottle mein easily jala jata aur jab surka jo anday par laga hota sokh jata to anda pehlay jesa sakt hojata yeh raaz pehlay kisi ko malum na tha, isitarah os dor mein aswad nam ka bhi aak shaks tha jiskay pas paltu gadha tha jisay woh kehta kay batao khuda kahan hai to woh gadha opar asman ki taraf dekhnay lagta aur jab woh shaks kehta kay nimaz parho to gadha apna sar zameen par kar kay sajda karta, os shaks nay gadhay ko osi tarah train kia tha jesay aaj madari bakri aur bandar ko kartay hain yeh aaj hum sab jantay hain lekin os dor mein koi nahi janta tha isliay os shaks ko bari hasti samajnay lag ghay, Sahaba karam r.a nay in sabi dhokay baz logon say jang ki jo istarah kay kamalat dikha kar nabowat ka dawa kartay thay in sabi logon ka khatma kar kay arab mein jahalat ko puri tarah khatam kardia, 
Jab Islam ka golden age dor shoro hua to olma e rohaniat nay muktalif rohani oloom par kitabain likhi aur ilm rimiya par bhi kai kitabain likhi aur kai chopay raaz kitabon mein likhay takay har khas wa aam shaks is ilm say wakif rahai aur dokhay baz logon say bachain jo is ilm ka galat istamal kar kay logon ko bewakof banatay hain, ilm rimiya par likhi janay wali kuch nayab kitabon kay nam yeh hain:
*Rasael Khusro Shah
*Samawi Waseel
*Dakuk Ibn Iraqi
*Sahar Al Aiyoun
*Kitab Ibn Hilaj
*Dawales Iskanduroni
*Haikal wa Tamasel abu bakar ibn washeed
 Jahalat jab khatam hoi to arab kay logon nay ilm rimiya ko seekh kar tafreh ki tarah logon kamalat dikhanay lagay aur yeh ilm mehas nomaish aur tamasha ki khatar apnaya janay laga aur badshahon, rajaon aur nawabon kay darbar mein is ilm kay mahir atay apnay fun ka kamal dikhatay aur mo mangi muradain hasil kar kay chalay jatay, jab yeh ilm Europe mein gaya to wahan baray baray stage par is ilm ki nomaish hoti aur wahan yeh ilm stage magic kay nam say mashor hua, science nay jis tarah tezi say taraqi ki hai jis say log machine ki tarah ban ghay hain aaj stage ka dor khatam hota jaraha hai, kisi kay pas time he nahi kay woh stage par jakar magic show dekhay, aaj kay dor mein stage magic ki jaga street magic nay lay li hai aur aaj kay dor mein humay criss angel jesay street magician milay ghay jo is ilm kay mahir hain jo apnay ilm say na mumkin kam ko mumkin bana detay hain jesay pani par chalna, hawa mein orna, ghum hojana etc...
Aaj ka dor bohat taraqi yafta hogaya hai aaj kay dor ka bacha bhi magic trick kay raaz say wakif hota hai, aaj agar kisi bachay ko magic trick dikhay ghay to woh raz bata day ga ya youtube par is trick ka raz easily malum kar lay ga,
Zamana e qadeem kay dhokay baz logon ki tarah aaj bhi aysay dhokay baz log jo aysi aap ko tricks dikhay ghay kay aaj kay dor ka parha likha samajdar insan bhi oski trick dekh kar chakra jay ga, aaj jahan dor nay bohat taraqi karli hai wahin insan kay masael bhi barh ghay hain, har shaks kisi na kisi masael ki waja say parayshan hai aur woh masael ki nejat kay liay aysay kisi shaks ki talash mein rehta hai jo osay sahi tarah guide karay aur jo masael hain onko khatam karnay kay liay koi khas dua, koi wazifa ya tawez day, lekin aaj kay dor mein sachay rohani ilm walay kam aur dhokay baz fake jali log ziada milay ghay, jali peer, jali baba, jali darvaesh aur jali aamil jo tarah tarah ki tricks aur aysi aysi batain batatay hain kay parayshan hal insan oskay asar mein akar apna sab kuch lota kar barbad hojata hai, InshAllah mein bohat jald jali peer, jali aamilon kay mutalik alag article likhon ga, abhi mein yahan apnay topic lords of rings kay mutalik share karta hon,

The Djinn Magic Rings (Ajaib Al Khuwatem):
 Anguthi ko arabic mein khatim kaha jata hai, anguthi insan ka woh zewar hai jisay zamana qadeem say lekar aaj bhi mard ho ya aurat, ameer ho ya gareeb, badshah ho ya fakir, peer ho ya darvesh sabi pehanna pasand kartay hain, anguthi khubsurat say khubsurat aur sada say sada bhi hosakti hai, anguthi ki tarikh ki agar tehkek karain to yeh humay har tehzeb, mazhab wa culture kay logon kay hathon mein milay gi, naginay wali aur sada anguthi kay ilawa anguthi ko mohar kay tor par bhi zamana e qadeem mein istamal kia jata tha,
oloom e mukhfi aur rohaniat mein bhi anguthi ko khas ahmiat hasil hai jesay sulaimani anguthi, jinnati anguthi, moakil wali anguthi, yeh aysi khas anguthia hoti hain jis mein jinnat ya moakil hotay hain, yeh anguthia khas amliyat kar kay banai jati hain aur isay banana asan nahi, apni jan ko khatray mein dal kar khas chila kashi kar kay amal kia jata hai jis say jinnat wa moakil ko taskheer kar kay anguthi mein qaid kia jata hai, Arab dunia mein khatim e sulaimani yehni jinnati anguthia zamana e qadeem say lekar aaj bhi mashoor wa marof hai aur har shaks ki khuwaish hoti hai kay oskay pas aladdin kay chirag ki tarah aysi jinnati ring ho, ilm al rimiya mein bhi anguthi ko khas al khas ahmiat hasil hai, ilm al rimiya kay mahir logon nay aysi fake jinnati anguthia banai jisay dekh kar aalim fazil ilm rakhnay wala bhi yeh tasleem kar leta hai kay yeh 100% asal jinnati anguthia hain,
Ilm Al Rimiya mein jinnati anguthia 2 tarikon say banai jati hain 1st type woh jis mein chemicals yehni kemiawi ijza use hotay hain, 2nd type woh jis mein gimmick ya device lagay hotay hain, aab mein yahan in dono types ki khas jinnati anguthio kay mutalik share karta hon,

The Water Djinn Ring (using chemicals):
Khatim Al mah yehni aysi khas wazni dikhai denay wali ring jisay agar pani mein dala jay to pani mein tayrnay lagti hai, ilm rimiya ki nayab kitab dakuk ibn iraqi mein is ring ko bananay ki tarkeb istarah likhi hai kay bohat kam wazan wali ring lekar naginay wali jaga mein sandras bhar dia jay to yeh anguthi pani mein nahi dobay gi,
Sandras aak darakt ka gond yehni gum hota hai, isay agar aap pani mein dalay ghay to yeh tayrnay lagay ga dobay ga nahi, isay melt kar kay naginay ki shape jesa bana kar ring par lagatay hain jis say yeh aqeek naginay jesa nazar ata hai aur logon ko hayrat hoti hai kay ring mein itna bara aqeeb ka nagina laga hai aur ring pani mein dob kuo nahi rahi aur fake aamil kehta hai kay yeh aqeek wali khas jinnati ring hai jis mein jinnat qaid hain isay pani dobo nahi sakta kuo kay jinnat aag say banay hain, phir fake aamil yeh ring kisi shaks kay haath mein deta hai aur kehta hai kay mothi band kar lo aur achanak kuch seconds baad ring apnay aap garam honay lagti hai aur woh shak bardash nahi kar pata mothi khol leta hai, jinnati fake aamil kehta hai kay dekho is mein jinnat hain aab to aap ko yakin agaya hoga kay yeh asal jinnati ring hai aur log woh ring lakhon rupay mein os jali aamil say kharidtay hain, jali aamil os ring ki jaga same wesi aqeeq ki ring osay day deta hai aur sandras wali ring chopa deta hai, ring garam isliay hoti hai kay ring almunium ki bani hoti hai jab fake aamil pani say ring ko nikalnay say pehlay aak chemical mercurious choloride apni fingers par halka sa laga leta hai aur phir pani say ring nikal kar woh chemical os par laga deta hai, almunium metal ko agar wet kar kay ospar mercurios choloride ka powder agar lagaya jay to almunium metal apnay aap garam honay lag jata hai, istarah ki trick dekha kar fake aamil 50 rupay wali aam see aqeeq ki ring 5 lakh rupon mein sell kartay hain, jab koi shaks ring ko ghar jakar pani mein dalta hai to woh dob jati hai aur wapis jab aamil kay pas lata hai to aamil kehta hai kay tumko jo wazaif dia tha tum nay thek say na parha hoga tabhi jinnat os ring mein say azad hogay aab apna sadqa do warna woh jinnat tumko aur tumhari family ko mar dain ghay aur woh shaks bichara dar jata hai aur fake aamil ko mazeed pesay deta hai kay aap please meri protection ka amal kar dena, jali fake aamil logon kay pas hazaro bahanay hotay hain aap sab say meri guzarish hai kay aysay fake jinnati baba logon kay chakaro mein aap kabhi mat ana jo istarah ki tricks dikha kar logon ko bewakof banatay hain,

The Water Djinn Ring (using device):
Aak aur type ki jinnati ring hoti hai jisay agar pani mein dala jay to ochal kar apnay aap pani say bahir ajati hai, is trick mein chemical use nahi hota aak khas device use hota tha jo water pump ki shape ka hota tha jo aaj kal bachon ki air gun ki tarah kam karta tha, yeh trick jali fake aamil pani say bharay daria ya konway mein kartay thay konway kay andar oska sathi chopa hota tha device kay sath, aamil jesay he ring konway mein phanktay woh ring pani mein dob jati aur aamil ka sathi device mein ring ko dalta aur trigger tabata jis say air pressure say ring goli ki tarah device aur konwa kay pani say nikal kar konwa kay bahir akar girti, jali aamil sab logon ko kehta  kay dekho yeh jinnati ring hai jo kabhi muj say juda nahi hosakti meinay aap sab logon kay samnay is ring ko gehray pani say bharay konway mein phanka aur yeh ochal kar wapis meray pas agai, log os waqat jab yeh trick dekhtay to yakin kar letay thay kay yeh wakai 100% jinnati baba hai iskay pas jinnati ring hai aur woh fake aamil lakhon rupay mein fake rings logon ko sell karta tha, dakuk ibn iraqi kitab nay aysay fake aamil logon kay raaz khol diay jo pehlay os dor mein kisi ko bhi malum nahi thay,

The Fire Djinn Ring:
Khatim al nar yehni woh khas ring jisay aag mein dalnay say woh ring aag mein say ochal kar bahir ajati hai, os dor kay jinnati fake aamil kehtay thay kay humaray pas yeh khas ring hai jis mein khas noori moakil qaid hain is ring ko aag kabhi jala nahi sakti is ring mein aysi noori kowat hai jo is ring ko aag say dor kar deti hai yeh kehnay kay baad aamil apnay hath mein pehni ring ko aag mein dalta hai aur ring ochal kar bahir ajati hai, mosalman scientist Abi Abdullah magarbi nay is ring ka raaz apni kitab sehar alyoun mein likha, 
Yeh khas ring bohat halkay wazan ki hoti hai aur naginay wali jaga jof dabia ki tarah hota hai, is mein para yehni mercury bhar kar iska dhakan mazbot tanka laga kar seal kardia jata hai, mercury jo thermometer mein bhi hota hai osay garmash lagti hai opar charhnay lagta hai same isitarah mercury jo ring mein hota hai woh jab aag mein garam hota hai to ring mein harkat peda hojati hai aur woh ring aag say bahir nikal ati hai, aaj kay dor mein to humay easily mercury ka secret malum hogaya lekin os dor mein yeh raz kisi ko bhi malum na tha aur jin logon nay bhi yeh is ring ka tamasha dekha hoga woh jali aamil ko bohat bari hasti samajtay hon ghay,

The Earth Djinn Ring (using chemical):
Khatim al hamam yehni aysi khas ring jisay agar zameen par rakhain to apnay aap harkat karti aur ochalnay lagay gi aur bohat ajeeb malum hogi, is khas ring mein bhi para yehni mercury dala hota hai aur garam zameen par rakhnay say os mein paray mercury mein reaction peda hoga jis say ring harkat karnay lagay gi,

The Earth Djinn Ring (using device):
Yeh khas ring bhi khatim al hamam ki tarah he hai lekin yeh os puranay dor ki ring nahi aaj kay dor ki banai hoi ring hai jisay dekhnay kay baad aaj ka parha likha shaks bhi fool ban sakta hai, is ring mein chemicals use nahi hoay is mein khas magnet aur vibrational device laga hai, aap clip ko ghor say dekhain nagina aur ring jab harkat mein atay hain to aak dosray say chopaknay lagtay hain, bohat safai aur hoshiari say kisi fake aamil nay yeh rings banai hain, yeh video clips mujay aak friend nay whatsap par send kiay thay, kistarah Quran pak ki ayaat ki editing kar kay clip banaya hai logon ko bewakof bananay kay liay, 2 aur bhi clips mein share kar raha hon,

Opar clip mein bhi Qurani Ayat aur wazaif parh kar yeh show kia jaraha hai kay Ayat aur wazaif ki waja say ring mein harkat peda horahi hai lekin haqeqat mein magnet aur vibrational device ka kamal hai, jali fake aamil istarah kay kamalat dikha kar lakhon rupay mein fake rings sell kartay hain, opar video clips dekhnay kay baad har aaj kay dor ka shaks easily fool ban sakta hai woh yeh clips dekhnay kay baad yahi samjay ga kay yeh rings to wakai jinnati hain in mein zabardast asrat hongay aur woh lakhon rupay kharch karnay kay liay taiyar hojay ga kay kisi tarah bhi yeh ring hasil ki jay, meri aap sab say guzarish hai kay kisi bhi jinnati fake aamil par bharosa na karain jo istarah ki tricks dikha kar logon ko fool banatay hain, agar aap ko koi aysi video clips milay net par to mujay zaror aap send kejiay ga takay oska raaz logon ko bataya jay kay yeh koi real karishma nahi balkay ilm rimiya ka kamal hai,

PK Kinetic Ring:

Pk kinetic ring woh khas magnetic ring hai jis kay use say street magician hazaron tricks dikha saktay hain logon ko entertain karnay kay liay, lekin fake jali aamil aur fake peer baba is ring ka galat istamal kar kay logon ko fool bana kar onsay hazaron rupay letay hain,

The Air Djinn Ring:

Khatim al tayran yehni ornay wali ring, is ring mein bhi khas device laga hota hai jis say ring apnay aap ornay lagti hai, street magician to isay logon ko entertain karnay kay liay iski nomaish kartay hain lekin jali fake jinnati baba aur aamil logon ko yeh trick dikha kar fool banatay hain kay dekho is ring mein jinnati asrat hain ya is ring mein mokil hain jiski waja say ring apnay aap oor rahi hai, dehat aur gao kay log aysi tricks dekh kar fake peer ya aamil kay asar mein akar sab kuch apna rupya pesa os jale fake aamil par barbad kar detay hain,

Lord of Rings say Meri Molakat:
Lord of Rings yehni woh lord jo ilm e rimiya kay zariay tarah tarah ki rings takhlek kartay hain aysay he aak lord say meri molakat os dor mein hoi jab mein school  mein parhta tha, 10th ka exam honay wala tha lekin meri aur meray class fellow friend naveed ki tawaja study mein kam jinnat ko hasil karnay par kuch ziada he thi, daily suba jab class mein ata meri molakat naveed say hoti aur woh aak he sawal har bar pochta kay yar tum nay amal hasil kia apnay walid say aur mein osay har bar yahi jawab deta kay "nahi" woh mana kartay hain kay abhi study par dhian do, naveed mujay humaisha yahi kehta kay yar jaldi kuch karo takay humay jinn koi mil jay takay woh humay exam mein pass bhi karday aur bhi kai kam hum onsay apnay karwae, aak din naveed nay muj say kaha kay yar Ali bura mat manana aak baat kahon, tumharay walid aak rohani healer hain woh jinnati baba nahi, humay kisi jinnati baba ko talash karna chahehai jiskay pas jinnat kabzay mein hon aur onhe say humay jinn mil sakta hai, yar time bohat kam reh gaya hai exam sar par hai na tum nay koi taiyari ki hai na meinay isliay jald humay jinnati baba ko talash karna chahehai,
Mein aur Naveed jinnati baba ki talash mein lag ghay, kai famous aamil aur babaon say milay lekin woh sirf kisay kahania batatay thay, humay koi aysa real jinnati baba ya aamil  nahi mil raha tha jo humay jinnat ka moshaida karwae tab hum yakin karain kay han yeh hai real jinnati baba, humari talash jari rahi phir humay kisi nay bataya kay sukkur kay ilakay mein aak gaon hai wahan aak jinnati baba rehtay hain jo kafi famous hai woh "Angothio walay Baba" kay nam say wahan famous hain, mein aur naveed os baba say milnay sukkur kay aak gao mein ghay wahan jab meinay baba ko dekha to oskay dono hathon ki fingers mein bohat sari ajeeb ajeeb rings pehni hoi thi, naveed nay muj say kaha yar yeh hai asal lord of rings, naveed aur meinay os lord of rings walay baba say kafi dayr tak baat ki kay hum isliay ay hain kay humay jinnat hasil karna hai, angothio walay baba hasnay lagay aur kaha kay beta itna asan nahi jinnat ko hasil karna, meray hathon mein yeh rings dekh rahai ho in sab rings mein jinnat qaid hain, naveed nay kaha kay baba kya hum jinn ko dekh saktay hain? baba nay kaha han kuo nahi tum osay dekh saktay ho, baba nay aak choti ajeeb see ring otar kar ospar kuch parha phir naveed ko dia kay isay pehan lo, naveed darnay laga kay Ali pehlay tum ring pehan kar jinn ko dekho, meinay ring pehan li aur kuch seconds baad ring apnay aap garam honay lagi woh itni garam hogai kay meri finger jalnay lag ghai aur meinay ring otar di, baba hasnay lagay aur kaha kay tum mein itni bardash nahi kay jinnati ring pehan sako agar jinn tumharay samnay ajay to oski tapish ko tum kesay bardash karo ghay, jao beta tumharay bas ka kam nahi, baba nay woh ring muj say li aur aak pani kay bharay bartan mein phanki to bartan kay pani mein achanak aag lag ghai yeh sab dekh kar mujay aur naveed ko paka yakin hogaya kay yeh 100% real jinnati baba hain, naveed to jesay oska mureed ban gaya oskay pao dabanay laga aur bohat zid ki kay humay jinnati ring aap koi day dain, os baba nay kaha kay mein jinnati ring 10 lakh rupay mein sell karta hon lekin tum dono students ho isliay mein tumko 1 lakh rupay mein jinnati ring donga, 
Mein aur naveed apnay apnay ghar wapis aghay meinay jinnati baba ki baat apnay walid ko batai onhonay kaha kay yeh sab tricks hain jo os fake baba nay dikha kar tum dono ko fool banaya khair mujay to apnay walid ki baat par yakin agaya meinay naveed ko bohat samjaya kay woh fake hai osnay trick dikhai hai lekin naveed ko yakin na aya, osnay apni bari behan jiski shadi honay wali thi oski gold ki jewellry bech kar 1 lakh rupay os fake baba ko diay jinnati ring hasil karnay kay liay, os fake baba nay aak dosri ring apnay hath say otar kar naveed ki hatheli par rakhi phir koi wazefa parhna shoro kardia mein samja kay yeh ring bhi shayad garam honay lagay gi lekin woh ring apnay aap harkat karnay lag ghai jesay opar clip mein meinay share kia hai, same osi tarah ring harkat karnay lagi phir oski harkat band hogai, baba nay kaha kay jinnat ring mein agaya hai isay aab foran pehan lo tumhari yeh har wish puri karay ga, naveed khush khush ghar agaya aur mujay kehnay laga kay dekhna aab mein exam mein top numbers say pas honga aur jinn ko kahon ga kay mujay same wesi gold ki jewllery day takay mein osay almari mein rakh don takay ghar walay parayshan na hon, kafi din guzarnay kay baad koi jinn os ring mein say zahir na hua aur naveed exam mein bori tarah fail hogaya jis say oskay ghar walay bohat parayshan hoay abhi ghar walon ki parayshani mein aur mazeed izafa hogaya jab onko malum hoa kay gold ki jewellry ghar say chori hogai hai, naveed bohat gusa hua baba par mujay osnay sath lia aur hum baba kay pas ghay, baba ko naveed nay bataya kay koi jinn ring mein say bahir na aya aur mein fail hogaya, baba nay kaha kay tum say zaror koi galti hoi hai, kya tum ko raat mein ahtalam hua tha jab ring pehni thi, naveed nay kaha han aysa hua tha, bas baba ko point mil gaya osnay kaha kay tum nay napaki ki halat mein ring pehnay hoay thay iskay asrat aab khatam hogay tumko parhayz karna chahehai tha, khair naveed nay dobara jinnat ki mang ki jis par baba nay kaha kay tum nay napak hokar jinnat ko azad kar lia aab woh tum ko aur tumharay ghar walon ko noksan pohancha sakta hai isliay behtar isi mein hai kay tum pehlay yeh sakti khatam karwao phir mein tumko jinn ki ring donga, khair naveed kay woh 1 lakh rupay zaya hogaya, os fake baba nay bari hoshiari say naveed ka zehan aysa kharab kardia kay 1 lakh rupay denay kay baad bhi kai kharcha karta raha takay os par jinnat kay bad asrat khatam hon, meinay osay lakh samjaya kay woh fake baba hai tricks dikha kar tumko fool banata hai lekin naveed to oska mureed ban choka tha aur osnay muj say dosti os lord of rings ki waja say khatam kardi,

Lord of Rings aur Aap:
Internet par kai web sites, blogs aur facebook pages hain jis mein kai aamil aur baba yeh dawa kartay aap ko nazar ay ghay kay humaray kabzay mein jinnat, humzad, pari aur moakil hain, yeh log sab kay sab fake aur fraud hain, jo bhi shaks yeh dawa karay kay oskay pas  jinnat hain woh jhoota aur fraud hai kuo kay jinnat jiskay pas hon woh aamil bohat powerful hota hai, agar aap kisi real jinnati baba ko phone par kahain kay humay jinnat ka koi karishma dikhao aur phone par baat kartay hoay aap kay room ka band fan apnay aap chalnay lagay ya band t.v apnay aap on hojay ya room ki lights apnay aap on off honay lagay to aap samaj jao kay woh aamil 100% real jinnati baba hain, lekin aysa aaj kay dor mein milna mumkin nahi, isliay mein aap sab ko kehna chahata hon kay kisi bhi jinnati baba ki bataon par yakin na karain jo dawa karay kay oskay pas jinn hai, woh sab dhokay baz hain jo dawa kartay hain, 
olma e rohaniat nay ilm e rimiya sekhnay par isi liay zor dia takay aysay fraud logon ki tricks ko jan sakain jo sachay ilm ki badnami ka baes bantay hain aur logon ko in dhokay baz shaitano say mehfoz rakh sakain,
Ilm e rimiya ki yeh posting jo rings kay mutalik thi mein isay yahin tak complete karta hon, inshAllah bohat jald mazeed is ilm par likho ga,
Apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                             Ali. 

Saturday, January 30, 2016

Bird Stones


Hajar Al Haiwanat yehni Animal stones kay topic par likhi janay wali meri pehli posting Fish & Reptiles stones kafi logon ko passand ai aur mujay kai e-mails, sms aur calls dunia bhar say mosul hoi kay Ali bhai aap mazeed in stones kay mutalik ilm share karain aur aaj mera topic ilm Hajar Al Tair yehni Bird stones kay mutalik hai, 
Aap soch rahai hongay kay yeh khas stones bhi fish & reptiles kay stones ki tarah shayad birds kay sar mein say nikaltay hongay lekin aysa nahi hai, yeh khas stones birds kay sar mein say nahi onkay jism mein mojod Potay jisay sang dan ya sang dana kehtay hain aur english mein Gizzard kehtay hain os mein yeh stones pae jatay hain,
Parinday ka pota oskay jism mein danton jesa kam karta hai, parindon ko dant nahi hotay aur woh jo bhi khatay hain onkay jism ka pota os khanay ko chabanay jesa kam karta hai jis tarah hum insan khanay ko danton say pees kar chaba kar khatay hain isitarah parindon ka pota khanay ko oskay jism mein pees deta hai jis say parinda khanay ko easily hazam kar leta hai, parinday jab dana zameen say chogtay hain to kabhi kabhi chotay kankar ko bhi dana samaj kar nigal letay hain aur yeh chotay kankar parindon kay potay mein aksar reh jatay hain,
Opar image murgi ka gosht sell karnay walay kasai ki hai jo aksar murgi ka gosht saaf kartay waqat jab murgi kay potay ko saaf karta hai to aksar aysay kankar nikaltay hain yeh aam stones hain jisay murgi danay chugtay waqat galti say dana samaj kar nigal leti hai, mera topic in stones par nahi hai,
Mera topic on khas stones par hai jo qudrati tor say parinday kay potay mein peda hotay hain, jistarah kisi kisi insan kay jism mein pathari peda hojati hai same isitarah janwaron aur parindon mein bhi pathari peda hoti hai yeh sabi mein nahi hoti koi aysay khas janwar ya parinday hotay hain on mein hoti hai, yeh khas stones zamana e qadeem say he tibb wa hikmat ki dawaon mein use kiay jatay hain aur in stones kay hazaron tibi khuwas hain jo humay qadeem hikmat ki kitabon mein parhnay ko miltay hain, hikmat aur tibb kay ilawa in khas stones kay mukhfi khuwas wa asrat bhi hain jisay qadeem olma e rohaniat nay tajorbay aur moshaiday kay baad in stones kay mukhfi asrat kay raaz kitabon mein likhay, olma e rohaniat nay parindon kay potay ko israr mein shumar kia hai onkay mutabik potay mein aak khas rohaniat wa moakil hotay hain,
Hadees e Pak mein bhi parindon kay potay ka zikar istarah aya hai:
"Jannat mein Shahedon ki arwah sabz parindon kay potay mein hongi jo jannat ka phal khay ghi aur gunnah garon ki arwah jehnom mein mojod kalay parindon kay potay mein hongi jo jehnom ki gandagi aur aag khay ghay".
Murg aur oski rohaniat aur oski khas wish bone kay mutalik mein pehlay likh choka hon aab murg kay potay mein mojod os khas pathar kay mukhfi asrat kay mutalik share karta hon jiskay baray mein bohat kam logon ko ilm hai,

Hajar Al Dek wa Al Dajaj (Cock Stone):
 
The Alectorius or "cock-stone" is one of the most famous of those real or supposed animal concretions that were known in ancient times. From the age of Pliny and unquestionably long before his time there was a popular belief that this stone was to be found in the gizzard of a cock, Such a cock-stone never exceeded the size of a bean. Alectorius became a favorite stone with wrestlers and the great invincible Milo of Croton is said to have owed many of his victories to the possession of one, for if held in the mouth,it quenched the thirst and thus refreshed the combatant. Many other virtues of this stone are recorded; it rendered wives agreeable to their husbands, dissolved enchantments, brought new honors and powers in addition to those already enjoyed, arid helped kings to acquire new dominions. How persistent was the faith in the virtue of the alectorius is shown by the fact that the great astronomer Tycho Brahe greatly valued a stone of this kind, not larger than a bean and believed that it brought him luck in gambling and in love. Thomas de Cantimpre says that the name signifies an allurer or enticer, because the stone excites the love of husbands for their wives. In order to secure the due effect it should be held in the mouth, possibly because this would render the wife less eloquent. A specimen of the alectorius is listed in the inventories of Jean Due de Berry (1401-1416). It is called there a "capon-stone" and is described as having red and white spots.

Murg kay potay mein say nikalnay walay khas pathar ko Arabic mein Hajar Al Dek aur Murgi kay potay mein say nikalnay walay stone ko Hajar Al Dajaj kehtay hain, Younani ziban mein isay Alectorius aur English mein isay Cock Stone kehtay hain, Zamana e qadeem say he olma e rohaniat nay is nayab stone par kafi research ki aur kai iskay tibbi wa mukhfi khuwas malum hoay, is khas stone kay mutalik kai books bhi likhi ghai lekin woh guzray waqat kay sath zaya hochoki hain, chand aak qadeem nayab aysi books hain jin mein in stone ka kuch zikar humay mil jata hai,
Opar image mein jo fawaid murg kay stone kay likhay hain yeh arabic ki qadeem kitab "Ajaib Al Makhlokat" mein hai, isi book mein aak aur jaga bhi is stone kay fawaid istarah likhay hain,
Arabic ki aak aur qadeem kitab "Hayat Al Haiwan" mein murg kay stone kay mutalik istarah likha hai,
Murg kay payt yehni potay, sang dana mein aak khas pathari jo kuch gandomi rang ki hoti hai isay chandi kay tawez kay khol mein dal kar kisi dewanay marez ko agar dia jay to osay is say faida hoga aur mardana kamzori aur shehwat na hoti hoto is tawez ko apnay pas rakhnay say shehwat aur kowat e bah ziada hoti hai, nazar e bad kay bad asrat say bhi yeh khas tawez bachata hai aur jo bachay sotay waqat dartay hon to is tawez ko sotay waqat bachay kay takiay kay nechay rakhnay say bacha bay khof hokar pur sukon neend sota hai,

Cock Stone Talisman:
Murg kay is khas stone kay tilsim bananay ka tarika istarah hai kay Atard ki Saet mein murg say hasil honay walay pathar ko atard say mansob khas jari botio kay ingredients kay bakhor ki dhoni di jay woh khas ingredients yeh hain,
Atard say mansob bukhor kay ingredients hain: samakh arbi, khatmi, saleb misri, gul banfasha aur loban in sab herbs ko apas mein mix kar kay blended incense yehni bukhor bana kar iski dhoni murg kay stone ko di jay,
Dhoni denay kay baad murg he kay dried gizzard yehni khushk murg kay potay kay piece mein lapait kar chandi kay tawez mein dal kar mehfoz rakha jay,
Fawaid: 
Fawaid is khas murg stone kay beshumar hain, yeh tilsim jiskay pas hoga osay har os kam mein kamiabi hasil hogi jiskay liay woh humaisha say koshish karta raha hai, is tilsim kay honay say os shaks ki biwi kabhi os par hawi nahi rehti aur har baat manti hai jis say ghar ka mahol thek aur khushal rehta hai ghar mein rehnay walay aur afrad jo shaks kay sath thek say paysh na atay hon ya koi larai jhagray ki waja say nafrat beth gai ho to is tilsim ka ghar mein honay say sabi ghar kay afrad ki apas mein muhabat rehti hai,
Zamana e Qadeem say he olma e rohaniat nay murg kay is khas stone ko mardana kowat e bah aur mardana azo e khas kay masael ko thek karnay kay liay akseer mana hai aur khas waqat mein taiyar ki hoi is stone ki ring agar woh shaks pehnay jisay mardana kowat e bah ki problem hoto osay bohat faida deti hai, kai log aysay hotay hain jin mein sard mizaji hoti hai shehwat bilkol bhi nhi hoti aur yeh coldness ki problem kisi bhi doctor ya hakim kay ilaj say thek nahi hosakti kuo kay woh shaks jismani tor say healthy bhi hota hai aur kowat e bah bhi ziada hoti hai lekin shehwat nahi hoti is waja say woh humaisha shadi say inkar karta rehta hai jis say oski family aur friends osay na mard samajnay lagtay hain, isitarah kai aysay bhi log hotay hain jinko shehwat biwi say nahi hoti aur dosri auraton ko dekh kar hoti hai chahai biwi kitni bhi haseen ho osay passand nahi ay gi lekin bahir ki bad surat aurat osay hoor lagay gi yeh problem jismani nahi jiska ilaj doctor ya hakim kar sakay yeh rohani problem hai jo kisi bhi waja say hosakti hai jesay jadu, saaya, sitaron ki gardish, sakti wa bandish say,
Kuch arsa pehlay meray pas aak shaks aya tha osnay bayata kay Ali bhai meri 5 months pehlay shaadi hoi thi lekin meray sath ajeeb problem hoti thi, meri wife bohat achi khubsurat hai mujay apni wife say bay intaha muhabat hai aur osay bhi muj say bohat muhabat hai, problem yeh hoti hai kay jab hum pyar karnay kay liay miltay hain to bohat mujay shehwat hoti hai lekin jesay he wife bay libas hoti meri shehwat khatam hojati hai aysa feel hota hai jesay mein na mard hogaya hon, bohat koshish karta hon kuch bhi nahi ho pata hai aur intercourse kar he nahi pata hon feelings kuch bhi nahi hoti, pehlay mein yeh samaj betha kay mujay mardana koi bimari hogai hai meinay bohat doctors aur hakim say ilaj karway lekin kuch faida na hua, mein samja kay yeh jadu ki waja say hai mein aak aamil say mila osnay mera bohat ilaj kia lekin koi faida na hua apni problem share karnay say result yeh mila kay ghar walon nay kaha kay yeh larki manhos hai isay divorce day kar dosri jaga shadi karlo lekin mein aysa nahi karna chahata hum dono mia biwi ki apas mein bohat muhabat hai, Ali bhai aap please meri help karo, meinay os shaks ko yeh khas ring bana kar di lekin osay yakin nahi araha tha kay yeh ring kya karay gi, meray kehnay par osnay ring pehan li 1 week guzara gaya osay koi faida nahi hua osnay call ki kay Ali bhai kuch bhi faida nahi hua ring say meinay kaha kay  sabar rakho zaror hoga, phir 3 weeks guzarnay kay baad ring ka asar ospar zahir hona shoro hogaya aur os shaks ko pehlay raat mein ahtalam honay laga dosray din shehwat itni ziada shaded honay lagi kay kai kai bar biwi say milap karnay lag gaya jis say osay aulad bhi naseeb hoi aur ghar onka khushal hogaya aur woh shaks jo pehlay ring ko bekar samaj raha tha osi ring ki badulat osay oski problem say nijat mili, aab wahi shaks is ring ko apnay say kabhi juda nahi karta,
Is khas ring ko atard kay khas waqat mein banaya jata hai aur hath ki sab say choti finger mein pehna jata hai aur har tarah kay mardana azo e khas kay masael is ring ko pehannay say thek hojatay hain,
Murg kay is khas stone ki ring ya tilsim kay aur bhi kai fawaid hain jesay kisi shaks ka dosray kisi shaks kay sath muqabla ho yeh muqabla chahai cricket ya kisi bhi sports ka ho, kisi bhi tarah ka business ka ho, courat case ka ho, exam mein kamiabi ka ho ya koi shaks police ya army mein kamiab hona chahai yehni aysa koi bhi kam jis say samnay walay haref say jeetna ya kamiab hona hoto khas murg kay stone ka tilsim ya ring apnay pas rakhnay say os shaks ko kabhi shiksat ka mo dekhna nahi parta woh apnay haref say kabhi nahi harta osay kamiabi naseeb hoti hai, yeh stone jis khas murg say hasil kia jata hai woh murg yeh hai,
Murgon ki fighting gao aur dehat kay ilakon mein aksar log karwatay hain aur bari bari shartay is khel par lagai jati hain, jo murg 3 murgon ko fighting mein shiksat day woh lucky murg hota hai aur oska luck oskay stone mein hota hai os murg ka stone bohat he khas hota hai is mein zabardast rohaniat hoti hai yeh tawez he ki tarah os murg ki hifazat karta hai aur haref say jetata hai is stone ka tilsim ya ring jo bhi shaks apnay pas rakhay ga oska haref ya dushman kabhi ospar hawi nahi hota, is khas stone kay aur bhi kai aysay mukhfi asrat hain jisay sab yahan bayan nahi kia jasakta,
meray apnay gao mein aksar murg ki fighting hoti hai dor dor say log murgay apnay lekar atay hain meinay istarah kay kai khas lucky murgay bhari keemat mein khared kar yeh stone hasil kiay aur tilsim wa ring bana kar bohat say zarorat mand logon ko sell ki jis say onkay kafi masael thek hoay, kabhi kabhi aysa bhi hota hai kay mein itna kharcha kar kay lucky murg leta hon jo 3 murgon ko fighting mein hara deta hai lekin os murg say mujay woh stone hasil nahi hota jis say mera bohat noksan bhi hota hai kuo kay murg oskay malik say lena asan baat nahi woh baray peson ki demand karnay lag jatay hain, khair kabhi kismat achi hoti hai to stone mil jata hai, agar aap ko is khas stone ka tilsim ya ring ki zarorat hoto aap muj say rabta kar kay lay saktay hain,

Hajar Al Dajaj:
Yehni murgi ka stone, jistarah murg ka stone mard logon ko faida deta hai same isitarah murgi ka stone aurton kay liay faiday mand hota hai, 

Alchemy Capon Chicken and Cock Stone: 
Capon chicken yehni woh murgi jisay khas tarikay say faram mein pala jata hai jesay khas khorak aysi khilai jati hai jis say oska gosht bohat laziz aur sehat kay liay acha hota hai same isitarah amliyat ki dunia mein bhi khas capon murg aysay hotay hain jisay ilm alchemia ki madad say kuch khas ijza aysay bana kar osay khilai jatay hain jis say os murg mein woh khas lucky stone peda hojata hai, inshAllah jab ilm al kimiya kay topic par blog likho ga to philosopher's stone yehni ilm hajar al falasafa kay mutalik share karo ga jis mein istarah kay khas lucky stones banae jatay hain.

Chelidonius Swallow Stone (Hajar Al Khattaf):
Chelidonius (swallow stone):
Arabic name is hajar al-khattaf. If it were worn by an epileptic, the attacks of his malady would cease, it favored procreation and also nullified the effects of the Evil Eye and it kept children from having bad dreams if placed beneath their heads when they were sleeping.
Pliny notes the opinion that a stone taken from the body of a young swallow,if worn attached to the human body, helps to strengthen the brain, and he adds that the stone is said to be found in the young bird even when it has just broken the shell. According to Thomas de Cantimpre the swallow stone is a talisman for merchants and tradesmen. The merits of the chelidonius,as this stone was called, were fully recognized in Saxon England and are given due prominence in an Anglo-Saxon medical treatise,dating from the first half of the tenth century. When these "swallow-stones" had been obtained they were to be carefully protected from contact with water, earth, or other stones. To secure the best results three of them were to be applied to the person who stood in need of their remedial effects. Not only did they cure headache and eye-smart, but they banished the dreaded nightmare, rendered futile the wiles of goblin visitors, and dissolved all fascinations and enchantments. 


Hajar Al Khattaf yehni woh khas pathari jo ababeel parinday kay potay mein say nikalti hai, yeh 2 aksam ki hoti hai aak ka colour white hota hai aur aak dark colour ki hoti hai jo dark brown ya red colour mein hoti hai, yeh stone ababeel nar aur mada dono mein hota hai aur onkay bachon mein bhi jo andon mein say nikaltay hain on mein bhi hota hai, is khas stone ko hasil karnay kay baad isay pani, matti aur dosray patharon kay sath nahi rakha jata warna iskay asrat khatam hojatay hain, isay hasil karnay kay baad chandi kay tawez mein achi tarah momjama kar kay apnay pas rakha jata hai takay isay pani, matti wagayra na lag sakay,
Fawaid: 
Murg kay stone he ki tarah Ababeel parinday ka stone bhi kafi khas mana jata hai, iska tilsim bana kar apnay pas rakhnay say kowat e bah kay liay aur nazar e bad say bachao kay liay bohat mufeed hai aur raat ko iska tilsim bachon kay sar kay nechay rakhnay say bachay khoab mein nahi dartay, zahanat kay liay bhi yeh tilsim bohat best hai, iska apnay pas hona zehan ko acha tez rakhta hai, zehani parayshani ho ya zehni koi bhi problem is khas stone kay tilsim say thek hojati hai,
Karobari log jo kharid wa farokhat, lain dain ya shares ka kam kartay hain onkay liay yeh tilsim bohat faidamand hota hai iskay ilawa dushmano say mehfoz rakhta hai aur jadu, jinnat kay bad asrat say bhi oski protection hoti hai, is stone ko sirf momjama kar kay chandi kay tawez mein he pehna jasakta hai ring mein nahi isay pehan saktay, agar aap ko is khas stone kay tilsim ki zarorat hoto aap muj say rabta kar kay lay saktay hain,

Hajar Al Hubara (Sang e Surkhab):
Surkhab aab bohat khubsurat rangon wala parinda hota hai, iskay potay mein bhi aak khas stone hota hai jis mein Allah pak nay bohat shifa rakhi hai iskay kai mukhfi asrat hotay hain jinkay mutalik olma e rohaniat nay kitabon mein likha hai,
Arab kay olma e rohaniat nay parindon kay khas stones kay ilm par bohat research ki aur kitabain likhi is ilm kay topic par meri woh pehli aur wahid internet par site hai jis mein in stones ko detail aur photos kay sath dikhaya hai, meinay sirf onhe parindon kay stones kay mutalik share kia hai jinka milna aur hasil karna asan hai aur kai aysay bhi parinday hain jinka stone milna bohat mushkil hota hai isliay osay yahan share nahi kia kuo kay article kafi lamba hojata hai aur photos bhi loading honay mein problem hoti hai,
Parindon kay poton kay khas stones ka topic mein yahin tak complete karta hon aur aab mein on khas stones kay mutalik ilm share karta hon jo parindon kay Nest yehni ashianay ghosalo mein hotay hain.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Eagle Nest Stone (hajar al aqab):
Heray jawahirat, kemati aur muqadas patharon ka ilm aur in patharon ko hasil karnay ki chahat wa junon sadion say sirf akelay insano ko he nahi hota balkay janwaron ko bhi hota hai, hum aksar dekhtay aur suntay hain kay jahan khazana hota hai wahan saanp zaror hota hai kuo kay saanp ko khazanay say ishq hota hai, oski chamak dhamak say osay suror sa milta hai, isitarah baaz yehni eagle ko bhi khas patharon ka ilm hota hai aur woh khas pathar apnay ghonsalay yehni nest mein rakhta hai iski waja yeh hai kay eagle ko apnay bachon say bohat muhabat hoti hai aur eagle kay bachay jab andon say nikaltay hain to ankhain onki asani say nahi kholti isliay eagle kai aysay jawahirat lakar nest mein rakhta hai jis par jab suraj ki dhop ya chand ki roshni parti hai to jagmaga othtay hain jiski chamak say onkay bachon ki ankhain khol jati hai, aaj ka dor scientific hogaya hai aur aaj kay dor mein city kay kareeb rehnay walay eagle kay nest mein aap ko coco cola ya pepsi bottle kay dhakan, sheshay ki chorio kay tokray, plastic ya artificial jewellry milay gi, pehlay qadeem dor mein log sonay yehni gold ki jewellry bohat ziada pehna kartay thay aur os dor mein pesay bhi sonay kay hotay thay aur eagle kisi ko sonay ki jewellry pehni dekhta to oran kay doran tezi say nechay ata aur jhapat kar cheen kar lay jata aur apnay nest mein rakhta tha, eagle ko malum hota hai kay insano ko heray jawaherat aur kemati patharon ko hasil karnay ki bohat chahat hoti hai isliay woh apna ghonsala yehni nest aysi onchi aur khatarnak jagahon par banata hai takay koi insan wahan pohanch na sakay, zamana e qadeem say lekar aur aaj bhi kai aysay eagle nest hunters log hain ho apni jan khatray mein dal kar eagle kay nest mein kai nadir wa nayaz chezain talash kartay hain,

Sadion say lekar aaj bhi nest hunters log apni jan khatray mein dal kar eagle nest mein nadir wa nayab heray, jawaherat aur kemati patharon ko talash kartay rehtay hain, mera yeh topic heray jawaherat ya kemati patharon par nahi balkay on khas muqadas mukhfi asrat kay patharon par hai jisay eagle bohat aziz rakhta hai aur kisi ko hasil karnay nhi deta, yeh khas pathar jawaherat say kai guna ziada nadir wa nayab hain,

The Shamir Stone (hajar al samur):
An Arab legend concerning the fabled shamir stone is related by Kazwini in his cosmography.
When King Solomon set about building the temple in Jerusalem, he commanded Satan to dress the stones that were to be used, but the work was performed with such demoniac energy that the people round about complained bitterly of the dreadful noise. To remedy this trouble, Solomon sought the council of the leading scribes and also that of the evil spirits known as Ifrites and Jinns. None of them, however, was able to help him in this difficulty, but one of them advised him to question an apostate named Sahr, who sometimes had special knowledge of such things. When called upon for his opinion, Sahr declared that he knew of a stone that would do the work required, but did not know where it could be found; nevertheless he believed that, by a stratagem, he could secure possession of it. He there upon ordered that an eagle's nest with its eggs should be brought to him, and also a bottle shaped vessel made of very strong glass. Into this he
slipped the eggs, put them back into the nest, and had nest and eggs replaced where they had been found. When the eagle returned to the nest it encountered this obstacle. In vain it struck at the vessel with claws and beak; after repeated efforts it flew away, but came back on the second day holding a piece of stone in its beak, which it let fall upon the vessel, breaking the latter into two halves without producing any sound. Upon this, Solomon, who knew the language of  beasts and birds, asked the eagle where it had secured the stone. The bird answered: " o Prophet of God,in a mountain in the West called the Samur Mountain." This was indication enough to the wise king who, summoning the Jinns to his aid, soon had in Jerusalem a plentiful supply of these samur or shamir stones, with which the work of shaping and polishing the blocks for the temple was noiselessly performed.

Arabic ki qadeem wa nayab Kitab "Ajaib Al Makhlokat" mein hazrat Sulaiman a.s ka wakia likha hai kay jab aap a.s nay baet al muqadas ki buniad dalni chahi to jinnat wa shiateen ko pathron ko katnay aur tarashnay ka hokam dia, jinnat nay tarashna shoro kia jis say kafi shor hota tha aur kai log disturb hotay thay, logon nay shikaet ki kay humaray bachay shor ki waja say nahi so patay jis par hazrat sulaiman a.s nay jinnat wa shiateen ko jamah kia aur onko kaha kay koi aysi tarkeb nikalo kay bagair awaz kay pathar katay aur tarashay jasakay, jinno nay kaha kay hum mein aak jinn jiska nam sahar hai woh patharon ka ilm janta hai woh jinn paharon mein rehta hai, hazrat sulaiman a.s nay hokam dia woh jinn hazir hogaya aur os jinn nay kaha kay mein aysay pathar say wakif hon jiski madad say dosray patharon ko kata aur tarasha ja sakta hai lekin woh pathar kis jaga paya jata hai mujay iska ilm nahi, isay hasil karnay ki aak tarkeb mujay malum hai, os jinn nay motay aur sakt sheshay kay stone ka piala mangwaya aur osay baz parinday kay ghoslay mein andon kay opar olta rakh dia mazboti say jesay anday os mein dikhai to day rahai thay lekin nikalna asan nahi, baz jab apnay ghoslay mein sham ko aya to andon kay opar pialay ko dekha aur chonch say thongay marnay laga, panjay maray har mumkin koshish ki lekin bowl ko na tor saka, bachon kay khatir woh baz dor kahin pahar say aak pathar lekar aya aur osay bowl kay opar rakh kar beth gaya jis say bowl jo itna sakt tha bina awaz kay chitakh kar tot gaya, hazrat sulaiman a.s ko jab malum hua to osnay baz ko bolaya aur os say os pathar ka pocha jis par baaz nay woh ilaka bata dia jahan yeh pathar paya jata hai, olma e rohaniat kay mutabik woh pathar corundum aksam ka tha jo dunia ka sakt tarin pathar hai jiski kalam bana kar dosray patharon ko kata aur tarasha jasakta hai,
Corundum lohay ki tarah sakt tarin pathar hota hai, yakot isi pathar mein say nikala jata hai, aur aab mein bohat khas stone kay mutalik batata hon jo eagle kay nest mein paya jata hai,

Aetites The Eagle Stone (hajar al aqab):
 
The Aetites (eagle-stone) is first mentioned by Pliny who states that it was found in the nests of eagles of a certain species and adds that some called this stone gangites. Fire had no power over it and it was a useful remedy for many diseases. Its special virtue, however, was to prevent abortion, this use being suggested by the character of the stone itself, which "was as though pregnant, for when it was shaken another stone rattled within it, as though in a womb. A passage in the treatise on stones by Theophrastus, pupil of Aristotle, might seem to indicate that the Aetites was already known in the third century b.c. The words he employs are as follows:
"The most astounding and greatest power of stones (if indeed this be true) is that of bearing progeny."
As both Pliny and Dioscorides name this stone or geode and fully describe its character, laying especial stress upon the loose, rattling material enclosed in its hollow interior, this fact giving rise in later time to the half-poetic name of "the pregnant stone," there is every reason to believe that it was already known of three or four, or even more centuries before their time. Marbodus of Eennes calls this stone "the guardian and defender of nests." Enclosing as it did one or more smaller stones, it was thought to be symbolically designated as an aid to parturition. According as it was attached to the left arm or to the left thigh, it either retarded or accelerated the natural processes. This, however, by no means exhausted the virtues of the stone, for when worn on the left arm of man or woman, it conferred sobriety, increased riches, and moved the wearer to love ; it also brought victory and popularity, and  preserved children from harm. In addition to all its other powers this stone seems to have possessed a certain detective quality, to judge from the following words of Aetius, who wrote in the sixth century a.d.:
"The Aetites serves to discover thieves, if anyone places it in the bread which they eat ; for whoever has committed a theft is unable to consume the bread. It has also been stated that, if cooked with any kind of food, the Aetites unmasks thieves, since they cannot eat such food. If taken with wax from Cyprus, with fresh olive oil, or with any other calefacient, this stone greatly helps those suffering from rheumatism and paralysis."
An old treatise on the Aetites stone gives the following names as applied to it in various languages :
Italian : Aquilina, pietra d'aquila, pietra aquiliua, ethite.
French: Pierre de I'aigle.
Spanish : Piedra de I'aguila.
Polish : Orlovi Kamyen.
Swedish: Oernarsteen.
English : Eagle-stone.
German : Adlerstein.
riemish: Adelersteen, arensteen.
Arabic: Hajar al aqab
Syriac : Abno dneshre.
Chaldaie : Abno dineshar, or abno denishra.
Hebrew : 'Eben ha-nosher.

Aetites yehni hajar al aqab woh khas pur israr pathar hai jo eagle kay nest mein paya jata hai, woh eagle jo insani abadi say bohat dor onchay paharon mein rehtay hain onkay ghonsalon mein yeh stone aksar hota hai, yeh ajeeb stone andar say khokhala hota hai jab isay hilatay hain to aysa mehsos hota hai kay iskay andar aak aur bhi pathar hai aur kabhi aysa mehsos hota hai kay iskay andar rayt hai aur kabhi aysa bhi mehsos hota hai kay iskay andar pani hai lekin jab isay tor kar dekhtay hain to andar say kuch bhi nahi nikalta,
olma e rohaniat nay is ajeeb pur israr pathar kay khuwas aur fawaid moshaiday kay baad bohat see qadeem kitabon mein likhay, ajaib al makhlokat kitab mein iska muktasir sa bayan istarah likha hai:
Aetites stone ka ghar mein honay say os ghar ki aur ghar mein rehnay walon ki har mosibat say protection hoti hai, saman chori honay aur khatarnak bimario say ghar kay afrad mehfoz rehtay hain aur jis aurat ka bacha pregnancy kay doran aksar zaya hojata ho ya mar jata ho oskay pas agar yeh stone hoto osay is problem say nejat mil jay ghi iskay ilawa jiskay pas yeh khas stone ho osay dolat, shohrat, khushali, izat wa pyar muhabat naseeb hoti hai,

Aetites Stone Anatomy:
Yeh ajeeb dikhnay wala Aetites stone mujay meray aak friend kay zariay mila, osnay muj say pocha Ali bhai aap kya kehtay hain yeh ajeeb sa dikhnay wala stone konsa hai? pehlay jab meinay isay ghor say dekha to yahi samja kay yeh koi fossilized stone hai kuo kay jo nishan ospar banay thay woh fossilized stone mein hotay hain, meinay aak baat osdin note ki kay is stone ko hath mein letay he mujay kuch feel hoa aur mein samaj gaya kay yeh koi aam stone nahi is mein zabardast jinnati asrat hain, meinay apnay friend ko yeh baat nahi batai aur osay kaha kay yeh to aam fossilized stone hai, friend nay kaha nahi Ali bhai yeh aam stone nahi aap isay hilakay dekhain yeh andar say khokhala hai aur iskay andar kuch hai, jab meinay isay hilakay dekha to osi waqat mein foran samaj gaya kay yeh Aetites stone hai, meinay yeh stone os say lena chaha lekin osnay denay say inkar kardia aur kaha kay mein isay kat kar dekhna chahata hon kay iskay andar kya hai shayad koi diamond ya nayab chez mil jay, meinay osay mana kia kay aap ko isay katnay kay baad kuch bhi hasil nahi hoga, lekin woh zid karnay laga kay hilanay say awaz arahi hai zaror kuch to hai is mein, khair osnay woh stone katwaya aur osay kuch hasil na hua aur hayrat say muj say pocha kay Ali bhai yeh kya is mein to kuch bhi nahi nikla aap nay bhi hilaya tha isay aap nay bhi awaz suni thi lekin aab dekho katnay kay baad kuch bhi nahi nikla, meinay osay kaha kay yeh jinnati stone hai, woh jinn qaid tha is mein jo katnay kay baad nikal gaya aur woh awaz hilanay say peda jo horahi thi woh jinn ka dokha tha takay isay kata jay aur woh azad hojay meinay isiliay aap ko mana kia kay aap isay mat kato, mera friend kafi darr gaya aur woh stone osnay mujay day dia,
Yeh aak Geode stone hai, geode stones dunia mein har jaga easily mil jatay hain yeh kai size aur colours kay hotay hain lekin sawal yeh peda hota hai kay eagle aur geode stone ka apas mein kya connection hai? kuo yeh eagle kay nest mein hota hai? is sawal ka jawab aap ko shayad koi na day sakay ga lekin mein apko batata hon kay eagle ka geode stone say kya connection hai,
Village yehni gao dehat mein jahan khayt hotay hain wahan sokhi matti kay pathar hotay hain jo soft say hotay hain in matti kay patharon mein kai pathar aysay hotay hain jinkay andar mandak hotay hain, gao mein lambi chonch walay parinday in soft patharon ko chonch say tor kar onkay andar jo mandak hotay hain onko khatay hain, same isitarah paharon mein bhi kuch aysay pathar aur geode hotay hain jinkay andar mandak hotay hain,
Eagle inhe soft stone kay geode ko apnay nest mein lekar jatay hain jahan eagle kay bachay geode ko chonch mar mar kar stone ko tor kar oskay andar mojod mandak ko khatay hain, eagle istarah kay stones ko talash kar kay apnay nest mein zakhira kar leta hai takay jab mosam badalta hai to shikar koi bhi eagle ko nahi milta aur isi stones kay mandak ko woh kha kar gozara kartay hain, lekin kai geode stones aysay bhi hotay hain jinkay andar mandak nahi jinnat hotay hain, eagle jab jinnati geode stone ki taraf attaract hota hai to pehlay osay apnay panjon say hilata hai,
Aur hilanay say os mein kat kat ki awaz ati hai jis par eagle yeh samaj leta hai kay iskay andar mandak hai aur isay apnay nest mein lay jakar rakhta hai lekin yeh jinnati geode bohat sakt stone ka hota hai isay eagle ya oskay bachay chonch mar kar nahi tor patay aur yeh stone younhe nest mein para rehta hai, jab koi shaks eagle kay nest kay kareeb jata hai to eagle yahi stone ospar phankta hai, eagle ko yeh feel hota hai kay yeh shaks bhoka hai shayad oskay bachay khanay kay liay oski nest ki taraf araha hai isliay yeh geode kay stones ospar phankta hai takay woh shaks mandak kha lay aur oskay bachon ko chor day,

Geode, Jinnat aur Amliyat:
Olma e rohaniat kay mutabik kai geode stones aysay hotay hain jinkay andar jinnat wa rohaniat qaid hoti hai, jo geode stone hilanay say awaz karay kat kat jesi aur tornay par kuch na niklay woh 100% jinnati stone hota hai aur isi stone ko "Aetites" kehtay hain,
Aetites stone aak lucky stone hai iskay fawaid beshumar hain, zamana e qadeem say he log is pur israr stone kay tilsim ko apnay pas rakhtay thay aur kai is stone kay locket museum mein rakhay hain,
Is khas stone ko kai amliyat mein bhi use kia jata hai, protection ka amal ho ya rupay peson kay liay, kisi ko taskheer karna ho ya muhabat kay liay sabi amal is aak stone say hosaktay hain, kuch muktasir aur asan say amal mein yahan share karta hon,
Agar kisi shaks ki biwi na farman ho oski baat na manti ho ay din ghar mein jhagra fasad rehta ho aur woh aurat ghar mein na tikti ho apnay ma bap kay ghar mein ziada rehti hoto aur woh shaks masom bachon ki waja say osay divorce bhi na day paraha hoto aysi aurat ko thek karnar kay liay oskay baal is stone mein dal kar is stone ko mazboti say band kar kay is stone ko bedroom mein dafan karday ya chopa kay rakh day to woh aurat apnay shohar say muhabat karnay lagay gi aur ghar mein he rahai ghi bahir jana osay bilkol passand na hoga, woh apnay bachon aur shohar ko apna sab kuch manay gi aur ghar kay bahir kisi bhi afrad ki bataon mein nahi ay gi,
yeh amal biwi bhi apnay shohar kay liay kar sakti hai, jiska shohar ghar say bahir dosrsi aurton kay chakar mein rehta ho biwi say muhabat na karta hoto os shaks kay baal is stone mein dal kar yahi same amal karnay say os aurat ka husband normal hojata hai aur ghar aur apni family ko bohat aziz rakhta hai, doston kay sath ayashi aur behoda aurton kay chakar say azad hojata hai,
Rupay peson ki barkat kay liay agar amal karna hoto is stone mein koi shaks apni used yehni woh sonay ya chandi ki chain, ring ya locket jisay woh aksar pehanta ho is stone mein dal kar is stone ko mazboti say band kar kay is stone ko ghar mein kahin mehfoz jaga mein bina kisi ko batae dafan karday is say gayb say aysay zariay bannay shoro hojay ghay kay kuch he arsay mein bank account mein itnay pesay jamah honay lagay ghay kay oski life befikari mein guzaray gi yeh amal onkay liay best hai jinkay pas saving nahi hopati is amal say oski saving hogi aur oski life khushali mein guzray gi,
Muhabat ka amal agar karna hoto aak stone kay hole mein larki kay baal aur used kapray ka tokra ya tissue paper dala jay aur dosray stone kay hole mein larkay kay baal oskay used kapray ka tokra ya tissue paper dala jay aur dono stone kay pieces ko mazboti say band kar kay 2 shakha darakht mein banay qudrati hole mein dal dia jay ya oskay nechay dafan kardia jay, is amal say dono mein aysi gehri muhabat peda hojay gi kay dono aak dosray kay bagair reh he nahi pay ghay, 
Is khas stone kay aur bhi kai amliyat hain aap muj say rabta kar kay yeh khas stone lay saktay hain aur amliyat bhi iskay malum kar saktay hain. 
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

The Pregnant Stone (hajar mashal al wiladat):
Eagle ki tarah gidh yehni vulture parinday ko bhi patharo ka ilm hota hai, gidh baray parinday jesay ostrich wagayra kay anday shok say khata hai aur on baray andon ko woh apni nokeli chonch say nahi torta balkay pathar ko apni chonch say otha kar anday par marta hai jis say anda tot jata hai aur gidh os anday ko khana shoro kar deta hai, yeh sab to humay national geographic ya animal planet channels dekhnay kay baad malum hua wesay shayad humay yakin na ata jab koi kehta kay meinay gidh ko dekha jo pathar otha kar anday ko torta hai hum yahi sochtay kay gidh bhi aur parindon jesay kaway ki tarah chonch anday ko mar kar tor kar khata hoga, 
jistarah aaj national geographic aur animal planet channels ki team janwaron par research karti hai same isitarah zamana e qadeem mein humaray olma e rohaniat bhi janwaron par research kartay thay, opar jo image hai jis mein gidh pathar say anday ko tor raha hai yeh to zahiri gidh ka raaz hai jisay camera ki ankh nay qaid karlia lekin aak chopa raaz bhi hai is janwar ka jisay olma e rohaniat nay qadeem kitabon mein share kia hai woh yeh hai,
Gidh pathar ko as a tool sirf anday tornay kay liay use he nahi karta balkay kuch khas stones ko apnay ghonsalay yehni nest mein bhi rakhta hai, gidh ki mada jab anday deti hai to bohat taklef osay hoti hai jis say aksar gidh ki mada mar jati hain, gidh ko patharon ka ilm hota hai isliay gidh aak khas stone apnay nest mein rakhta hai jiski barkat aur mukhfi asrat say mada gidh easily anday deti hai aur mot say bach jati hai, is khas stone ko arabic mein "hajar mashal al wiladat" aur english mein "pregnant stone" kehtay hain,
olma e rohaniat kehtay hain kay agar is stone ko pregnant aurat apnay pas rakhay jiay bachay peda krnay mein taklef hoti ho ya pregnancy kay doran ma ya bachay ki jan ko khatra hoto is stone ki barkat aur mukhfi asrat say bachay ki wiladat kay doran koi problem na hogi aur ma aur bachay dono ki protection hogi,
Yeh stone bhi eagle stone ki tarah andar say khokhala hota hai aur hilanay say yeh feel hota hai kay iskay andar aak aur bhi stone hai lekin tornay par kuch bhi nahi hota, yeh stone geode nahi hai yeh aak volcanic stone hai, is khas pregnant stone ka ilm ziada tar saperon ko hota hai aur yeh stone onhe kay zariay mil sakta hai kuo kay saperay log is stone ko saanp ka minka keh kar logon ko sell kartay hain,
Yeh pregnant stone kuch arsa pehlay mujay aak borhai saperay kay zariay mila tha, os saperay nay mujay kaha meray pas aak khas saanp ka minka hai aur mujay osnay yeh stone dikhaya aur kaha kay pani say bhara sheshay ka glass lekar ao mein woh lekar aya aur osnay is stone ko os pani kay bharay glass mein dal dia aur kaha kay is stone ko ghor say dekho kya tumhai is mein say bulbolay yehni bubbles nikaltay dikhai day raha hain? meinay kaha nahi koi bhi bubbles nahi peda horahai, osnay dobara kaha kay achi tarah dekho aur stone ko glass mein say nikal kar dobara dalo, meinay aysa kia lekin koi bhi bubbles is stone mein say nahi nikal rahai thay, phir saperay nay kaha kay muj say thora dor kharay hojao mein saanp nikal raha hon jo bohat zehrila hai aur phir osnay saanp nikala aur apna haath saanp kay agay kia jis par saanp nay osay haath par das lia aur khoon kay 2 katray haath par oskay mujay nazar ay, osnay foran is stone ko haath par rub kia thori dayr tak phir is stone ko pani mein dal dia aur stone mein say bubbles nikalna shoro hogay, osnay kaha aab dekho bubbles nikal rahai hain yeh pani ko pee raha hai aur jo zehar isnay chosa woh is pani mein chor day ga, daltay to doodh mein hain lekin mein tumko pani mein isliay dal kay dikha raha hon takay tum yeh sab dekh sako, thori dayr baad bubbles nikalna band hogay aur pani ka colour light yellow sa hogaya, osnay kaha han aab batao kya kehtay ho is nayab minkay kay baray mein jo tumko kahin bhi nahi mil sakta, meinay muskara kar kaha kay beshak pathar to nayab hai lekin yeh saanp ka minka nahi hai woh pathar hai jisay aap log maata ka pathar kehtay ho jo ma aur bachay ki protection kay liay hota hai, is baat par woh hayrat say mujay dekhnay laga kay mujay yeh sab kesay malum hua, meinay osay kaha kay Allah pak ka shukar hai kay mein ilm wala banda hon aap nay pehlay mujay stone dikhaya pani mein dal kar to os mein bubbles nahi nikal rahai thay phir aap nay bataon bataon mein is stone kay back side par choti keel say hole kardia aur dobara stone pani mein dalnay say hole mein pani janay laga jis say bubbles peda honay lagay aur yeh volcanic stone hai iskay andar yellow colour sa hota hai isi liay yeh pani light yellow hogaya, sapera meri is baat say bohat sharminda hoa aur osnay kaha kay yeh tum bhi jantay ho mein bhi janta hon kay yeh stone kitna khas hai lekin aam logon ko iska ilm nahi hota agar hum batae bhi tab bhi onko yakin nahi ay ga kuo kay humaray yahan saanp ka minka bohat famous hai osi ki log ziada maang kartay hain isliay yeh khas stone hum saanp ka minka keh kar detay hain, iskay fawaid wa mukhfi asrat bhi same saanp kay minkay jesay he hotay hain, saanp ka minka bhi protection, jaadu ki kat aur ghar wa bachon ki khushali kay liay rakha jata hai yeh bhi same yahi kam karta hai, hum saanp ka minka isliay nahi detay kuo kay naag devta hum say naraz hojay ga aur hum par aur humaray bachon par azab nazil karay ga isi dar say hum asal saanp ka minka kisi ko bhi nahi detay, os saperay say meinay yeh pregnant stones bohat say liay aur aab bhi leta hon aur kai yeh nayab stones meinay logon ko diay aur onko faida hua, agar aap ko bhi yeh pregnant stone chahehai to aap muj say rabta kar kay lay saktay hain,
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Swallow Nest Stone (hajar al sinonu):
Eagle aur vulture parindon ki tarah aur bhi kai aysay parinday hain jin kay nest mein khas pathar pay jatay hain, arabic ki qadeem kitab "hayat al haiwan" mein ababeel parinday kay nest mein paya jana wala stone jisay arabic mein hajar al sinonu kehtay hain oskay mutalik istarah likha hai,
Ababeel parinday kay potay mein say hasil honay walay stone kay mutalik mein opar pehlay bata choka hon aur aab os khas stone kay mutalik batata hon jo ababeel kay nest mein hota hai, ababeel bhi woh khas parinda hai jisay patharon ka ilm hota hai, Quran e pak mein bhi surah fel mein woh wakia likha hai jab hathio ki foj khana e kaaba ko giranay ki neyat say ai to kistarah ababeel paridon ka jhond Allah pak kay hokam say aya aur onki chonch mein ajeeb say chotay pathar thay jo onhonay haathio par gira ay, woh pathar aysay ajeeb thay kay haathi par lagtay he haathi ka jism aysa hojata jesay chabaya hua khana hota hai, onkay jism gal say ghay on stones kay lagtay he, yeh raaz aaj tak kisi ko malum nhi kay woh konsay stones thay, shayad woh koi khas volcanic stones thay jis mein kuch aysi atomic chemical energy ya acid tha jo haathio kay jism par lagtay he onkay jism kay atoms ko tezi say khatam krdia aur onkay jism mom ki tarah peghal ghay ya shayad on stones mein kuch aysay mukhfi asrat thay jinhonay on hathio ki foj ko khatam kardia, yeh to khuda he jannay kay on stones mein aysa kya raaz poshida tha,
Jistarah hum insano ko apnay bachon say bay intaha muhabat hoti hai aur jab woh bimar hotay hain to humari neenday orjati hai aur tab tak chain wa sukon nahi milta jab tak bachay puri tarah thek na hojay, same isitarah ababeel parindon ko bhi apnay bachon say muhabat hoti hai jab garmi ki shedat say oskay bachay pilay hojatay hain yarkan hojata hai to ababeel is bimari kay shifa kay liay aak khas stone lekar apnay nest mein rakhta hai, is stone ko hasil karnay ka tarika yeh hai kay ababeel kay bachon par zafaran kay rang laga kar nest mein rakha jay aur aak week baad nest mein say yeh stone hasil hoga,
Yeh choti see pathari yellow colour ki hoti hai jis mein barik dark red lakeeray hoti hai, yarkan ki bimari mein yeh shifa deti hai isay tawez ki tarah pehanna ya pani mein dho kar woh pani agar marez piay to oski yarkan ki bimari khatam hojati hai,
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Hajar Al Sehar:
Tetayri parinda jo apna ghonsala yehni nest zameen par banata hai oskay nest mein bhi aak khas stone hota hai, tetayri parinday ko chand say bohat muhabat hoti hai oski roshni mein osay suror sa milta hai aur aksar jab chand ki roshni tez hoti hai to yeh raat ko apni tez awaz nikaltay hoay orta rehta hai, iskay nest mein jo stone hota hai osay arabic mein hajar al sehar kehtay hain yeh stone crystal jesa hota hai raat mein chand ki roshni ki reflection ospar parti hai to shining os mein peda hoti hai is shining say tetayri parinday kay bachay apni ankhain kholtay hain,

Yeh pathar mujay kai arsay pehlay hasil hua tha jisay meinay apnay aak amal mein isay pees kar powder banaya aur masan banai thi, dobara mujay yeh stone hasil na hosaka aur aab tak is khas stone ki talash jari hai, jesay he mujay dobara yeh stone hasil hua to iski photo aur amliyat mein yahan share karo ga inshAllah.

Bird stones ki yeh posting mein yahin tak complete karta hon, agar aap ko kisi bhi bird kay stone kay mutalik information chahehai ya aap ko in khas stones ki zarorat hoto aap muj say lay saktay hain, aap muj say jab chahai rabta kar saktay hain,
Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165

Apnay is bhai ko apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga,
Allah pak sada khush wa abad rakhay aap sab ko,

                                               Ali.

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman