Pages

Wednesday, February 6, 2019

The Hoodoo Candles


February ka muhabat bhara month shoro hogaya hai, zamana e qadeem say he february ko muhabat wa pyar ka mahina kaha jata raha hai aur nature mein ghor wa fikar karnay walay aur alom e mukhfiat ko samajnay walay jantay hain kay november aur december ki sakht sardion kay baad morjhae payr wa podon mein bhar ani shoro hojati hai, on mein phol khilna shoro hojatay hain, rangeen titlia aur tarah tarah kay geet gatay parinday har taraf dikhae denay lagtay hain jo november aur december ki siah bari sard raaton mein kahin ghom hogay thay, jangalon mein, baghon mein aur khayton mein haryali hona shoro hojati hai, keeray makoray bilon say nikalna shoro hojatay hain,
Dunia mein ziada tar log february kay mahinay mein shadi karna passand kartay hain, naya saal shoro hotay he woh shadi ka setup ya mangni january mein kartay hain hain aur february mein apnay life partner ko apni zindagi mein shamil kar kay nai zindagi ki shorowat kartay hain, lekin afsos kuch shaitan parast logon nay 14 february ki date ko muhabat kay din mananay kay bajae isko sex day ka nam day dia aur har kisam ki fahashi is tarikh ko dunia bhar mein ki jati hai, dunia bhar mein masom bholi bhali kunwari larkia is din shadi to nahi lekin zina kar kay apni zindagi ko kharab kardeti hain, jis say zina karti hain woh shaks onko shadi ki lalach day kar suhanay khoab dikhar kar osko apni hawas ka nishana banata hai aur oski zindagi say rafu chakar hokar dosri larki say shadi karleta hai yehni osay sirf sex day he manana tha is mahinay shaitan paraston ki tarah, yeh fahashi ka din pehlay sirf europe aur america tak mein tha aab har jaga isay manaya janay laga hai,
Pakistan mein kitni he kunwari virgin larkia is din kunwara pan kho deti hain muhabat kay nam par aur aaj pakistan mein aysay khush naseb kam he log hongay jinko untouch kunwari virgin biwi milna naseb hoti ho,
Kala jadu karnay walay jadugar log to ba asani shinakht hojatay hain onkay ajeeb holiay aur onkay astano mein rakhay saman ko dekh kar jo yeh dawa kartay hain kay hum apnay jadu say kisi ka bhi mind control kar saktay hain jinnat ya devi kay zariay, inki kahani to humay ba asani samaj ajati hai,
Lekin kuch aysay invisible kalay jadugar bhi humaray masharay mein hain jo aap ko kisi bhi rukh ya angle say jadugar bilkol bhi nahi lagay ghay aur woh aysi jadu ki karamat dikhatay hain kay samajdar parhay likhay shaks ki akal bhi dhang reh jati hai, in jadugar kay kabzay mein bhi devi hoti hai jiski madad say woh kisi ka bhi mind ba asani control karletay hain, aysay jadugar school, collage, university, paros ya rishtaydaron mein ya kisi bhi jaga hosaktay hain woh sab say pehlay daen kisam ki auraton ko apnay kabzay mein latay hain jo fahash hoti hain jo paison kay liay kuch bhi karleti hain, inko woh jadugar log paisay dekar apna karletay hain, jab woh devi onkay kabzay mein puri tarah ajati hai aur kehti hai kya hokam hai meray aka to phir jadugar osay hokam detay hain kay falan larki ko meri taraf mael karo bas phir woh fahash larki os masom bholi bhali larki ko os jadugar ki taraf mael kardeti hai jis say pyar wa muhabat ka keh kar shadi kay khoab dikha kar osay use kar kay chor deta hai, yeh fahash witch yehni daen larkia har masom larki kay friends group mein hoti hain ya phir rishtaydaron mein ya phir paros mein, yeh apnay aap ko istarah pak saf zahir karti hain jesay is say pak daman larki koi nahi, to koi mazhab ka libada orh kar masom larkio ko apni taraf mutwaja karti hain, shikari jadugar log ba asani daen witch larkio ko shinakht karletay hain aur onko apnay kabu mein kar kay dosron kay liay use kartay hain, yeh invisible jadugar, inkay invisible kam aur invisible daen larkia bohat khatarnak hotay hain kuo kay aam bhola bhala shaks onko shinakht he nahi kar sakta yeh sab shaitan parast 14 feburary ko kuch ziada he active hotay nazar atay hain,
14 feburary ko active honay walay shikari jadugar aur daen witch larkion ka to apko bata dia, aab aik aur shaitani makhlok kay mutalik batata hon jo 14 feb ki date ko kuch ziada he active hoti hain, in makhlokat ko Bitch kehtay hain, jistarah aik female dog kutia kay pichay male kutton ka bara hojom hota hai same isitarah bitch type ki larki kay pechay larkon ka bara hojom hota hai, har kisi kay sath phone par baat krna onsay balance load krwana phone ka, date par jana, kisi say 5000 liay kisi say 10,000 liay, kisi say new cell phone lia, kisi say gold jewellry li, kisi say kapron ka suit lia etc...., nai nai kahania, kabhi emotional to kabhi romance ki batain kar kay larkon ko fool bana onko use karna in bitch larkio ka kam hota hai aur bholay bhalay sedhay sharif larkay yeh samajtay hain kay woh humaray pyar mein dewani hogai hai aur oskay sath shadi kay khoab dekhnay lagtay hain, yeh bitch larkia bohat chalak hoti hain, ronay ki acting, pyar karnay ki acting, care karnay ki acting aysi zabardast karti hain kay zara bhi shak larkay ko nahi hota chahai woh kitna bhi genious kuo na ho meethi jilaybi kay bhanwar mein phas he jata hai aur woh larka sab kuch apna ospar nichawar karnay ko taiyar hojata hai, 
Yeh khatarnak bitch larkia karachi mein kuch ziada he hain aur gao kay waderay log ba asani onka shikar hojatay hain jinko apnay gao ki ba parda seedhi see larki pheki daal jesi lagti hai aur woh bitch larkia rangeen balon wali, attaractful body shape wali, perfumes ki khushbuo say bhari hoi gori gori ranghat wali hoor jesi lagti hain, yeh shaitani larkia 14 feb ki date ko ziada active hoti hain aur khob maal bator leti hain,
Aik acha doctor jistarah mosam ki kharabi aur os doran active honay walay virus ki aghahi deta hai kay apnay masom bachon ki aur apni care karain same isitarah aik aamil honay kay natay mera yeh farz hai kay aap ko invisible shaitano aur onkay shaitani kam aur onkay nazil honay ki date kay mutalik apko bataon takay aap kahin onkay shikar na hojay, apni aur apni nojawan olad ki care karain,
Feburary kay muhabat bharay dino ko in shaitan paraston nay fahashi kay din mein tabdel kardia hai, halakay muhabat karna koi gunnah ya jurm nahi, muhabat har insan ko apni life mein kisi na kisi say zaror hoti hai os muhabat kay haseen lamhon ko apnay mehbob say share kia jay, agar mehbob naraz hai ya kisi baat say ana ka masla bana kar rabta nahi kar raha to os say rabta kar kay oskay gilay shikway dor kiay jay kya pata kal aap ya woh zinda hon ya na hon, 
Jo log shadi shoda hain woh apni wife ko is month khush rakhain, gold ki koi jewellry lekar dain ya koi aur oski man pasand chez osay lekar dain, ya aap kay pas paisay nahi to phol osay dekar khush karain ya agar aap ko cooking aati hai to koi achi see dish osay paka kar khilae, bahir kisi khubsurat jagao mein ghomanay lay jay muhabat kay din ko apnay pyar say celebrate karain jistarah aap apni birthday celebrate kartay hain, komi din ko celebrate kartay hain, isitarah muhabat wa pyar ka din bhi celebrate karna chahehai apnay mehbob say jis say aap bay intaha pyar krtay hain,
Allah pak hum sab ko is muhabat bharay mahinay mein shaitan paraston ki fahashi say mehfoz rakhay ameen,

The Hoodoo Soulmate Candle:
Hoodoo ka ilm bhi Voodoo kay ilm ki tarah he hota hai, fark sirf itna hai kay Hoodoo kay ilm mein herbs yehni jari botia use ki jati hain, Hoodoo kay ilm ko humari ziban mein ilm limiya kaha jata hai, puranay dor mein hoodoo ka ilm rakhnay walay mahir jungalat say khas mukhfi asrat rakhnay wali jari botio aur seeds ko jamah kar kay in mein shehad ka mom shamil kar kay os say putlay bana kar logon kay muktalif rohani wa jismani masael ko hal kartay aur onka ilaj kartay thay, yeh ilm pehlay sirf africa tak he mehdod tha, Europe aur america mein africi gulamo kay zariay yeh ilm wahan phela, aaj yeh ilm europe aur america kay sath dunia bhar mein phel raha hai, log is ilm ki haqeqat aur sachai say itnay mutasir hoay hain kay is ilm par kai books likhi ja choki hain, Hoodoo ilm ki shops tak khol ghai hain jahan hoodoo kay ilm ki sari chezain bani banai aur khas hoodoo herbs wagayra sab ba asani mil jatay hain aur aap ko jungalat mein janay ki zarorat he nahi parti in khas herbs ki talash mein,
Hoodoo ilm ki mashor e zamana candle jisay lover candle ya soulmate candle kehtay hain ba asani aab mil jati hai, yeh candle shehad kay mom say nahi bani hoti na is mein herbs shamil hotay hain, yeh aam khushbudar wax ki bani hoti hai, doran e amal jo masael client kay hotay hain on masael say mansob herbs is candle kay opar dali jati hain aur khalis shehad bhi os mein dali jati hai, yeh khas candle muhabat kay aymal mein use ki jati hai, is candle ko wahi use kar sakta hai jo hoodoo ka ilm janta ho,
Europe aur america jahan har kisam ki fahashi uroj par hai wahan kuch aysay achay aur nayk log bhi hain jo achay life partner ki talash mein hotay hain jiskay sath woh apni puri life khushi say guzar sakain aysay life partner jo soulmate ho, itna pyar aur chahat ho kay dono aik ruh do jism ban kar rahain, lekin jab koi andhi muhabat mein akar soulmate samaj kar apna sab kuch ospar nichawar kardeta hai aur woh shaks apni hawas aur jinsi khuwaishat kay liay osay use kar kay apni zindagi say nikal bahir karta hai to yeh sadma e azeem kuch log bardash kar letay hain lekin kuch nahi kar patay aur yeh sadma cancer ki bimari ki tarah andar he andar onko khata rehta hai,
Aysay shaitan parast jo muhabat kay nam par logon ko use kartay hain apnay mofad kay liay aur onki zindagi tabha kar kay rakh detay hain, aysay logon ko rah e raast par lanay kay liay olma e rohaniat nay yeh hoodoo candle ka ilm ayjad kia aur is ilm say kai logon ki zindagia abad hoi, onko apnay man passand life partner mil ghay jo onhonay chahai thay, aaj yeh qadeem ilm dosray olom ki tarah fana nahi hoa khud din ba din phelta jaraha hai,
Mein khud bhi zati tor par is ilm say kafi mutasir hon aur hoodoo candles kay ilm kay zariay kai logon kay masael hal kiay,


Opar images mein jo amal hai yeh amal meinay aik larki kay liay kia tha kuch arsa pehlay jo aik bank mein job karti thi aur wahan bank kay manager nay osay apnay jal mein phansa kar shadi kay suhanay khoab dikhae aur osay use karta raha aur larki jab bhi shadi ki baat karti to nai nai kahani suna kar bahanay banata raha, dosri taraf larki kay waldain apni beti ki shadi ko lekar parayshan rehnay lagay kuo kay har achay rishtay ko larki na passand karti koi na koi noks nikal kar shadi ka mana karti rehti, waldain isi intazar mein kay beti ki shadi jald hojay takay hajj aur omra karnay kay liay jay, lekin sab mamla shaitan sift bank manager ki waja say roka hoa tha, woh har bar shadi ka asra dekar larki ko use karta raha aur larki bhi gunah par gunah karti chali ghai who bichari to osay apna husband samajnay lagi thi, jab os shaitan sift shaks ka payt bhar gaya os larki say to os say jan choranay ki tarkebay karnay laga aur osnay bank kay aik larkay ko shamil kia jo larki kay sath he job karta tha aur larki osay apna bhai samaj kar har baat os say share karti aur woh larka oska zehan kharab karta yeh keh kar kay bank manager ki kisi aur larki say bhi muhabat karta hai jo oski relative hai, istarah galat batain bata kar larki ka zehan kharab karnay laga bank manager kay kehnay par, larki nay osay jasosi par laga dia aur har waqat os say rabtay mein rehnay lagi, larkay nay osay lanch par aik restaurant mein bolaya yeh keh kar kay aik good news mili hai aap ko lanch kay doran batao ga, larki khushi khushi oskay sath lanch par ghai wahan bank manager agaya, bas bank manager ko acha bahana hath agaya aur larki par ilzam lagaya kay tum is larkay kay sath affair mein ho, larki ospar ilzam laganay lagi kay affair mein to khud tum ho is larkay nay sab tumhari batain batai hain, istarah dono mein jhagra shoro hua, bank manager nay larki ko bank ki job say bhi nikal bahir kia aur apni life say bhi,
yeh thi is shaitan sift bank manager ki chal jo kamiab rahi,
Meinay is hoodoo candle kay amal say os shaitan sift shaks ko larki ki taraf mael kia aur woh rabtay mein dobara aghay, inshAllah aab bohat jald onki khair say shadi bhi hojay gi, 
Istarah kay kai wakiat humaray masharay mein in shaitan sift logon kay hain jo zahir mein bari mazhabi batain kartay hain, akal dhang reh jati hai kay kis safai say parhai likhay akalmand logon ko muhabat kay nam par fool bana kar apni hawas ka nishana bana kar chor detay hain, Allah pak aap sab ko aysay shiateen say mehfoz rakhain,

The Hoodoo Skull Candle: 
Soulmate candle ki tarah hoodoo skull candle bhi kai hoodoo kay aymal mein use ki jati hai, hoodoo skull candle kay zariay  zibanbandi ka amal karna jesay koi aap kay khilaf galat batain family, friends ya job ki jaga par karta ho jis say apko problems hoti hon aur aap yeh chahatay hon kay yeh shaks chop hojay ya oska zehan aap ki taraf say hat jay to is maksad kay liay skull candle ka amal best rehta hai, iskay ilawa zehan bandi, kisi ki soch ya zehan ko bandhna ya apni taraf karna kay woh har baat aap ki manay ya oskay zehan mein aap ki koi negative baat ho jisay issue bana kar har bar aap say larta hoto oska zehan os baat say hatana, ya kisi ki soch ko apni taraf krna kay aap ki har baat manay, ya kisi dushman ki soch ko aap ki taraf say phayr dena takay aap ki taraf oski tawaja na ho wagayra, istarah kay kai amliyat jiska taluk zehan say ho is aik skull candle kay thru kiay jasaktay hain,
Hoodoo skull candles kai shape aur colours mein hoti hain aur yeh easily mil jati hain occult shops par, yeh candles meri shop par bhi mojod hoti hain aap muj say rabta kar kay lay saktay hain,
Hoodoo skull ka aik amal meinay kuch arsa pehlay aik aurat kay husband kay liay kia tha jo dosri aurat say shadi kar kay apnay he ghar mein fasad ko janam dia, 
Aaj kal yeh system pakistan mein aam hota jaraha hai har shaks achi khubsurat wa khub seerat biwi kay hotay hoay dosri larki kay sath shadi kay khoab dekhnay lagta hai lekin shadi kay baad jo result nikalta hai os say kai zindagia tabha wa barbad hojati hain, aik larki ki nazar say agar dekha jay kay aik larki love marriage karti hai ghar walon say lar jhagar kar apnay mehbob, apnay soulmate ko hasil karleti hai aur yeh sochti hai kay aab tamam zindagi aram say guzray gi lekin phir aik din achanak aik bomb oski life mein phatta hai jis say oska dil oska pyar, oskay khoab sab kay sab tokray tokray hojatay hain jab husband osay kehta hai kay mein sharai tor par aik aur larki say nikkah kar kay ghar laraha hon aur meri family bhi is mein khush hai, yeh lamha aik larki kay liay bohat aziat wala hota hai kuo kay koi larki yeh nahi chahai gi kay mera mehbob mera soulmate kisi aur larki kay sath bister par soay, khair jis shaks ko apni biwi ki feelings ka ehsas na ho woh shaitan hota hai,
Kuch log kehtay hain kay yeh shoro say humari family mein hai kay family ka mard 2, 3 ya 4 shadia karta hai aur sorry mujay bhi karni hogi aur larki yahi kehti hai kay mujay yeh baat pehlay kuo nahi batai jab meray pyar mein dewanay horahai thay meray siwa aur kisi larki ki taraf dekhna bhi gawara nahi kartay thay aab kya hua? 
Kuch log mazhab ko beech mein lakar dosri shadi kartay hain kay sunnat hai, onko ghoray par charh kar sawari karnay ki sunnat nazar nahi aati, Allah pak nay jab janwar sawari kay liay peda kiay hain aur Quran e pak mein bhi janwaron ki sawari ka zikar mojod hai to phir kuo yahodion aur isaiyon ki banai bike ya car sawari kay liay use kartay hain, ghoray par sawari karain agar sunnat par chaltay hain to,
Pakistan aur Arab kay culture mein zameen asman ka fark hai, Arab ki larkion ko bachpan say he malum hota hai kay mera shohar dosri bhi shadi karay ga aur woh zehni tor say pehlay say he taiyar hoti hain, lekin pakistan ki larkia kabhi yeh bardash he nahi karti jab achanak osay malum hota hai kay oska husband dosri shadi kar raha hai yeh aik bara shocked sa osay lagta hai,
Mein sabi larkon ko yeh message dena chahon ga kay kay 1 kya 2, 3 ya 4 shadia karay shok say karain lekin jis larki say love ho shadi say pehlay he osay bata dain kay mein dosri shadi bhi karo ga waja chahai mazhab ho ya family lekin osay batana pehlay zarori hai takay oska zehan aur dil pehlay say he is baat ko tasleem kar lay takay baad mein osay koi etaraz na ho, na oski feelings hurt hon na osay koi sadma pohanchay yeh wahi karta hai jo dosron ki feelings ki qadar karna janta ho, aaj kal meinay mard dekhay hain jo apni he biwi ko dokha dekar dosri aurat ghar mein lekar atay hain aur 100 noks biwi kay nikaltay hain kay is waja say dosri shadi majbori mein karni pari hai, jo dosri shadi kar kay apni biwi ko hurt kartay hain woh to khush khush new dulhan enjoy kartay hain aur woh bichari phir kahan jay? onko to sirf phir masael kay dhayr nazar atay hain aur woh babao, peeron aur aamilo kay darwazay talash karnay lagti hai apnay masael kay hal kay liay,
Kuch aysa he case meray pas aya jab aik aurat nay kaha kay meray husband nay dosri shadi kar kay mujay aur meray bachon ko apni zindagi say nikal bahir kia hai, osnay bataya kay oski love marriage thi na oskay ghar walay razi thay na meray ghar walay bohat koshishon say humari khair say shadi hogai lekin meray shohar kay ghar walon nay humaisha muj say bogaz rakha humaisha ghar mein muj say lartay rehtay lekin meinay kabhi yeh baat apnay husband ko nahi batae lekin meri ankhon kay nechay banay dark circles aur din ba din kamzori meray jism ki dekh kar woh samaj gaya tha kay meray sath yahan problems hain, mera shohar muj say bohat pyar karta tha osnay dosra makan lia aur family say alag hokar meray sath khush rehnay laga aur mein bhi khush oskay sath zindagi guzarnay lagi lekin phir achanak mujay osnay bataya kay meray waldain ki khuwaish hai kay mein apni cousin say shadi karon isliay mein majbor hon mujay dosri shadi karni hogi, os aurat nay bataya kay osay bohat bura to laga lekin phir husband aur oski family ki khushi kay liay kabol krna para aur masom bachon ko bhi kahan lekar jati isliay dil ka dard dil he mein daba kar khamosh rahi, dosri biwi jo onki apni thi osnay sab apnay control mein lay lia mera shohar tak aur meray shohar nay mujay alag aik flat lekar dia hai jahan mein apnay 3 bachon kay sath rehti ho, haftay mein aik din ata hai kharcha dekar chala jata hai bas yahi meri zindagi hai, aab kehta hai kay mein job karon mein ziada kharcha nahi kar sakta yeh keh kar aurat ronay lagi aur phir kaha kay Ali bhai mein nahi chahati kay woh dono juda hon mein sirf itna chahati hon kay mujay aur meray bachon ka haq day mein oski khushi mein khush hon lekin osay apnay masom bachay kuo nazar nahi arahai, aap please kuch aysa karain kay humay is ghutan walay flat say nikal kar wapis apnay bungalow mein lay jay apni new wife kay sath rakhay mein nokrani ban kar bhi wahan khush rahon gi bas meray bachon ko apnay bap ka pyar milay aur mein kuch nahi chahati aur woh ronay lagi,
Lanat ho aysay mard aur oski new shadi par jisay apnay masom bachay bhi dikhai nahi detay new wife ki jilaybi kay bhanwar mein
aysay log shaytan aur oski new wife daen hoti hai aysi daen jo masom bachon ka haq kha ghai, bachon ko khanay wali daen ka to bachpan mein bohat suna aur parha hai lekin yeh daen to haqeqi tor par masom bachon ko oskay walid say juda kar kay onko khanay jesa he kam kar rahi hai, aysay shiateen logon ko rah e raast par lanay kay kam ko mein sawab e azeem samaj kar shok say aur dil say karta hon,
Os aurat nay mujay bataya kay Ali bhai mera shohar muj say jan chorana chahata hai woh muj say taang hai, haftay mein aik bar ata hai aur kisi na kisi baat say lar jhakar kar chala jata hai aap please kuch aysa karain kay yeh muj say aur bachon say khush rahai,
Meinay oskay husband kay liay yeh hoodoo skull wala amal kia jo kamiab raha, oskay husband ka zehan pehlay is aurat ki taraf negative tha woh palat kar dosri new biwi ki taraf hogaya jis say woh new biwi par shak karnay laga aur osay jalanay kay liay purani biwi aur bachon ko ghar lay aya, new wife bhi mazed jealious hogai aur apni family kay ghar jakar beth ghai aur oski family nay akhir yeh kaha kay ya to apni old wife ko divorce do ya isay to os shaks nay kaha kay mujay apnay bachon say muhabat hai mein osay divorce nahi don ga jispar new biwi mazed hasad mein aghai aur alag hogai os say aur aab woh aurat apnay husband aur bachon kay sath khush hai,
Aik candle kay amal say itna bara masla oska hal hogaya lekin husband kay ghar walay abhi bhi bogaz rakhay hoay hain aur apnay betay ki dosri jaga rishtay ka soch rahai hain, meri dua hai kay woh apnay maksad mein kamiab na hon, hoodoo candle ka amal humaisha to nahi rehta kuch arsay baad iska asar khatam hojay ga aur dobara oska husband apnay ghar walon kay kehnay par tesri shadi karay ga, Khuda e pak say dua hai kay in shiateen logon say woh mehfoz rahain jo apnay mofad, ana aur zid mein akar kisi ki feelings ki qadar nahi kartay,

The Ritual of Candle:
Soulmate candle ki he tarah hoodoo skull candle ka apna alag maksos tarika hota hai amal ka, jesa masla client ka hota hai waisa he os say mansob amal kia jata hai, opar image mein apko skull candle par bari see keel lagi nazar ay gi yeh keel meinay doran amal isliay lagai takay os shaks ka zehan agar oski new wife ya oskay ghar walay kharab kar rahai hon kay apni old wife ko divorce do woh aysi galat batain oskay mind par asar na karain, 
Opar image mein bari keel kay sath choti kai keels apko skull kay sar walay hisay mein lagi nazar ay gi yeh laganay ka maksad yeh kay jo bhi negative batain aur sochay wife ko lekar oskay zehan mein hain ya woh gandagi zehan mein jo oskay ghar walon nay ya oski new wife nay dali ho galat batain bata kar woh block hojay takay wife par oski tawaja thek rahai,
Skull kay mu ki taraf choti keels laganay ka maksad yeh hai kay ziban bandi rahai takay wife ya bachon say kisi baat par na laray aur ghar ka mahol thek rahai,
Skull kay nechay jo iron bowl olta rakha hai iskay andar husband ki photo, oskay baal aur pasenay walay kapray ka used tokra rakha jata hai, skull candle kay bottom mein bari keel say oska nam aur walda ka nam bhi likha jata hai,
Muktalif sacred herbs aur seeds jo oskay husband kay star aur is masael say mansob hotay hain woh candle par dalay jatay hain,
Teen sacred bones kay hisar kay beech mein skull candle ko rakhnay ka maksad kay koi is amal ka tor na karay doran e amal koi problem na ho jesay doran e amal candle ka apnay aap bojh jana ya kisi waja say candle ka na jalna ya doran e amal candle mein crack par kar tot jana wagayra jesay maslay hotay hain jab doran e amal koi andekhi kowat attack karti hai,
Skull candle kay amal mein candle ko 3 dino tak jalatay hain,
Pehlay din 1 hour tak jalatay hain takay halka pehlay ilm ka jhatka osay lagay aur oska zehan saaf ho galat soch aur bataon say,
Dosray din 2 hours tak jalatay hain takay wife ki taraf mael ho oski soch aur milnay ki tarap oskay dil mein peda ho,
Tesri dafa sham magrib kay baad say jalana shoro kartay hain jo sari raat tak slowly jalti rehti hai, 
Suba jab candle sari jal kar khatam hokar bojh jati hai to oski mom, herbs keelon kay sath kisi safe veeran jaga dafan kar kay opar say koi bhari pathar rakht detay hain, is amal kay 1 week kay doran ospar asar hona shoro hojata hai,
Hoodoo candles kay yeh aymal bohat he zabardast hain aur inhai use karna bhi kafi asan hai, lekin jo hoodoo ka ilm nahi janta woh is amal ko bilkol bhi na karay warna olta noksan pohanch sakta hai, is amal mein sahi timing, sahi din, sahi ingredients use kiay jatay hain jo har aik maslay kay alag different hotay hain,

Agar aap ko hoodoo candles ka amal apnay kisi maslay kay hal kay liay karwana hoto aap muj say rabta kar kay yeh amal muj say karwa saktay hain ya agar aap hoodoo ka ilm jantay hon ya books mein say parha ho aur aap ko hoodoo candles ya os mein use honay walay herbs ya ingredients ki zarorat hoto aap muj say rabta kar kay meri occult shop say ba asani lay saktay hain,
Mazeed malumat kay liay meray is number par rabta karain, 
Phone par rabtay ka time sham 5 bajay say 9 bajay raat tak hai,
Phone & Whatsapp: +92 03003799165
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Muhabat kay is khubsurat mahinay mein khush rahain apnay pyaron ko bhi khush rakhain aur onki hifazat karain daen aurton say jo ghar kharab karnay wali aur zindagia kharab karnay wali hain, jadugar shaitan sift logon say jo apnay jadu say kisi bhi masom larki ko kabu kar kay onko use kar kay chor detay hain,
Allah pak hum sab ko in shiateen logon kay shar say mehfoz rakhay, (ameen)
Apnay is bhai ko apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga aur meri advise par amal kejiay ga jo meinay opar likhi hain,
Allah pak aap sab ko sada khush wa abad rakhay, (ameen)

                                              Ali
                                       03003799165.
 
 My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman





 


Monday, January 7, 2019

The Bandish Talisman

Bandish ka amal woh amal hota hai jiskay zariay hum kisi par bhi bandish dal saktay hain jesay kisi kay rupay paison par bandish dalna takay woh humaisha noksan mein rahai, family mein bandish dalna takay family members aak dosray say nafrat karain, shop ya job mein bandish dalna takay oska karobar tabha hojay ya sehat par bandish dalna kay humaisha bimar rahai ya shadi mein bandish dalna takay shadi na ho ya olad na ho ya safar mein bandish dalna takay safar na kar sakay wagayra....., yeh sab kam log aksar aysay aamil logon say karwatay hain jo bandish dalnay kay ilm ka mahir ho,
Lekin yahi baat agar koi bara mazhabi scholar kahai kay mein bandish dalnay ka amal karo ga to log osay zaror negative view say lay ghay aur osay kala jadugar, shaitan wagayra pata nahi kya kahai ghay, aysa he kuch meinay kal apni facebook id mein dekha jis mein aik mashor wa marof mazhabi scholar nay likha kay 6 january 2019 ko suraj girhan hoga jis mein agar koi bandish kay kam karwana chahai to muj say phone par rabta karain, logon nay wahan comments thek nahi ki, aik nay likha kay aik mosalman ka kam bandish ko khatam karna hota hai apnay rohani ilm say na kay bandish dalna, yeh kam gayr muslim logon kay hotay hain.....
istarah ki kai negative comments meinay parhi,
Kuch arsa pehlay meinay bhi aik witch bottle ka amal bandish ka facebook par share kia tha os par bhi kafi logon nay negative comments likhi jispar meinay woh postings delete kardi,

Bandish dalnay say agar kisi insan ki zindagi mot say bach jay ya bandish dalnay say koi insan boray kam chor kar nayki ki taraf ajay to aysay bandish kay amal ko kala jadu nahi kaha jasakta, kala jadu to woh hota hai kay kisi achay nayk insan ko bandish dal kar oski life mein problems peda karna,
3 November 2018 ki sham aik shaks meray ghar aya mein os waqat ghar nahi tha, woh shaks dosray din suba aya mein tab bhi ghar nahi tha woh lagatar roz ata raha lekin muj say oski molakat nahi horahi thi mein os waqat apnay gao amliyat kay kam mein busy tha, November 11 date ko sham magrib kay waqat meri os say molakat hoi, woh bohat kamzor sa borha shaks tha osnay apna masla bataya kay osay apni akhloti aur ladli jawan beti ka kam karwana hai aysa kam jis say woh aysi bimar ho kay charpai say oth he na sakay, yeh aysi baat thi jis say mein shocked hogaya aur meinay onsay pocha kay aap baap hokar apni beti kay liay aysa kam kuo karwa rahai hain? woh ronay lagay aur kaha kay phir aur karon bhi to kya karon jis say woh sodhar jay, koi aamil, koi baba, koi peer nahi chora sab kay pas gaya bohat paisa kharch kia har kisam ka amal karwaya kay woh sodhar jay thek hojay lekin kisi nay meri koi madad nahi ki, aap ka bohat nam suna hai kisi nay aap ka mujay bataya to aap kay pas yeh arz lekar aya hon mujay bas osay sodharna nahi kuo kay sodharnay walay to sabi kam karwa kay dekh liay, suna hai kalay jadu mein bohat power hota hai isliay aap kay pas aya hon kay jesa bhi kala jadu ho aap ospar karain jo kharcha hoga mein apko donga abhi kay abhi,
Woh aysay josh mein baat kar raha tha kay oska jism kaanp raha tha, meinay onko pehlay relax honay ka kaha pani pilaya, tea pilae phir jab woh relax hoa phir meinay onko kaha kay mein koi kala jadu nahi karta meray kam natural hotay hain nature say joray jis mein kisi bhi deen ya mazhab ka taluk nahi hota, phir onhonay apna masla mujay detail say bataya aur mein onka masla samaj gaya, saray maslay ki jarh cell phone tha,
Osnay bataya kay oski beti jiski age 19 years hai woh aik he akhloti meri aulad hai aur bara lad say osay pala hai oski har khuwaish puri ki hai jo chez kehti osay lakar deta lekin aik din osnay cell phone ka kaha to expensive cell phone osay lekar dia aur osdin say woh kharab hona shoro hoi, cell phone denay say pehlay woh izat karti sab ki lekin jab say osay phone mila oski sari nature he tabdeel hogai, oski aik school kay dor ki friend thi jiskay sath aksar woh shopping par jati ya oskay ghar jati, woh jitnay paisay mangti mein osay day deta kabhi inkar nahi kia, aik din meinay os mein aik ajeeb bechani mehsos ki woh kisi kay sath phone par sms par baat kar rahi thi aur khana thanda horaha tha osay khanay ka bhi hosh nahi tha aur baat karo to bezari aur ghosay mein jawab denay lagi meinay jab oski dost say rabta kia to osnay bataya kay koi aysi baat nahi phir aysa kya tention tha jo oska behave achanak say badal gaya tha, phir sham ko oski baichani barh ghai aur osnay kaha kay woh apnay dost kay ghar kisi kam say jarahi hai meinay osay janay dia takay oska dil wahan khush ho shayad kisi tention mein ho phir jab raat 2 bajay woh ghar ai to nashay mein thi jispar meinay osay khob danta aur sakti ki lekin woh batmizi par otar ai khud mujay bora bhala kaha aur ghar chornay ki dhamki di, oski yeh nature aur yeh tabdeli dekh kar mera zehan chakra gaya meinay chan been ki to malum hoa kay kisi ameer zaday shaks say oski dosti hoi hai phone kay thru aur woh har sham osi say milnay jati hai, meinay apni beti ko danta osay mara bhi har kisam ki sakti ki aur os ameer zaday ki family ko bhi bataya onhonay apnay betay ko samjhaya aur osnay to milna chor dia lekin meri beti har bar kisi na kisi larkay say dosti rakh kar oskay sath ghomnay nikal jati hai, meri sakti ka ospar koi asar na hua khud osnay ghar say bhag janay ka keh dia aur mein khamosh hogaya oskay baad aamilon, babao aur peeron kay chakar mein agaya kay koi aysa kam ho kay woh sodhar jay deen ki taraf ajay achay ghar oski shadi ho,
Yeh masla jo os shaks nay mujay bataya yeh masla koi naya nahi, pakistan aur hindustan mein har dosray ghar mein yeh masla din ba din barhta jaraha hai aur waja cell phone hai, sabi log is borhai shaks ki tarah kamzor nahi hotay woh shaks aysay kam kardetay hain gayrat kay nam par jis say na sirf onki balkay dosron ki bhi zindagia tabha wa barbad hojati hain, news paper mein aksar istarah ki news mein parhta rehta hon, kal india aur aaj pakistan ki news parhi jo istarah thi, 

In news ko parhnay par malum hoga kay in sab maslay ki jarh cell phone tha, aik cell phone ki waja say kitni zindagia tabha wa barbad hogai,
Meri sab waldain say guzarish hai jo meri yeh postings parh rahai hain kay apni nojawan betio ko cell phones mat lekar dain is mein tabahi wa barbadi hai, cell phone shaitani chez hai nojawan larkio kay liay, han agar kisi majbori ki waja say cell phone dena par bhi raha hai to ospar sakht kari nazar rakhain osay kholi azadi bilkol na dain, nojawan larkio ka zehan bachkana hota hai kisi ki bhi bataon mein akar khud ko aur family ko bari mosibat mein dal sakti hain, cell phone woh chingari hai jis say aag ghar mein kabhi bhi bharak sakti hai aur os aag mein sab jal kar rakh hosaktay hain, isliay meri aap sab ko advise hai kay is cell phone walay wakiat ko nazar andaz bilkol bhi mat karain, kal ko agar yeh masla aap kay ghar mein hoa to ya to gayrat kay nam par apni he aulad ko mar dain ghay ya phir babao, aamilon ya peeron kay pechay lag jay ghay,
Cell phones ki waja say kitnay he ghar meinay barbad hotay dekhay hain, mia nay biwi ko divorce day di ya katal kardia, bhai nay behan ko mardia, baap nay beti ko mardia istarah ki news parhtay aur dekhtay rehtay hain,

Amliyat ki dunia mein agar aysi larki jo cell phone ki waja say fahashi ki taraf ajay aur har borai kay kam ko jaiz samajnay lagay to ospar bandish ka amal kia jata hai takay woh in sab borai kay kamo ko tarak karday, meinay os shaks ki beti ka ilm ramal say hisab dekha to oska weak point hisab mein mujay mil gaya aur jo amal os point say mansob tha woh meinay shoro kia,
Larki kay ilm ramal kay hisab mein ramal ki figures kabz kharij aur aqla figures ka golba ziada tha, larki kay hisab mein ramal ki figure kabz kharij 4th, 8th aur 13th mein thi aur aqla figure 3rd aur 9th houses mein thi, inhe figures aur maslay say mansob amliyat kay ingredients meinay liay jo yeh thay:
* Lemon
* Seh janwar ka kanta
* Loong topi aur bina topi walay

Meinay tuesday kay din tilsim bana kar os shaks ko dia, woh tilsim istarah banaya tha,
Lemon par ramal ki figures kabz kharij aur aqla banai loong kay zariay phir in figures say mansob wazaif parhtay hoay os larki ki photo dekh kar tasawar kar kay seh ka kanta lemon par lagaya aur phir is tilsim ko aik maksos jaga par rakh dia,
Saturday ka time meinay os shaks ko dia tha woh shaks saturday kay din aya meinay osay yeh lemon wala tilsim dia aur osay kaha kay is lemon ko os shaks ki gari kay tyre kay nechay rakh dena jiskay sath aksar woh club mein shesha peenay jati hai, oskay walid nay kaha kay mein isay nahi rakh pao ga aap agar kisi ko bhejay meray sath takay woh rakh day to meinay apnay gao kay larkay ko onkay sath bheja aur osnay gari kay tyre kay nechay rakh dia,
Lemon jesay he gari kay tyre kay nechay phata oskay kuch din baad larki mein tabdeli anay lagi, ghar say bahir janay ki bandish ospar lagni shoro hoi, oskay walid nay bataya kay osay koi khof dil mein beth gaya hai os khof ki waja say woh bahir ghar say nahi jarahi aur darnay lagi hai, raat ko bhi neend mein dar jati hai, meri taraf oski tawaja barh ghai hai aur ghar kay kam bhi aab karnay lagi hai, cell phone ki sim bhi osnay dosri lay li hai lekin aik baat samaj nahi arahi kay aysa kesa khof oskay dil mein beth gaya hai jo woh share bhi nahi kar rahi,
Meinay onko bataya kay yeh wahi khof hai jo har pakiza ba parda larki ko bahir ki dunia say hota hai woh khof pehlay dab gaya tha kuch behoda logon nay oska brain washed kar kay osay galat bataon mein lagaya jis say woh bay khof hokar sab boray kamo ko acha samaj kar karnay lagi,
Bandish ka yeh natural amal dikhnay mein sada sa hai lekin bohat zabardast asar rakhta hai, yeh bandish ka amal saperay logon ka hai aur mujay yeh amal aik saperay say mila jo apnay waqat ka zabardast aamil tha jo nature ki chezon kay khuwas say wakif tha aur chotay totkon say baray say bara masla foran hal kardeta tha, aysay saperay aur jogi log aaj kay dor mein milna bohat moshkil hai, 
Is bandish kay amal say larki sahi to hogai lekin aab oskay walid ko jald oski shadi karwa leni chahehai kuo kay yeh bandish ka amal humaisha nahi rahai ga kuch arsay baad khatam hojay ga aur larki phir osi same halat mein wapis ajay gi, mein oskay walid ko samjhaya aur duain bhi di kay Allah pak osay acha pyar krnay wala shohar ata karay aur woh sada khush wa abad rahai apnay shohar kay sath apnay ghar mein (ameen).

Meri sab say advise hai kay mobile ya cell phone kay shaitan ko apni aurton say dor rakhain agar kisi majbori ki waja say detay hain to nazar rakhain har waqat, meray pas ziada tar aurtay jo love kay maslay kay liay rabta karti hain woh isi cell phone shaitan ka shikar hoti hain koi shohar kay hotay hoay mehbob ka kam karwanay ka kehti hai, koi ghar walon say chop kar mehbob ka kam karwanay ka kehti hai aur isi cell phone kay shaitan ki waja say apnay waldain ko dushman aur mehbob ko apna sab kuch samajti hai, onko nahi malum hota kay onka mehbob onko use kar kay aik din wahan shadi karay ga jahan oski family osay kahai gi, umeed hai meri yeh posting parhnay kay baad kai log ko meri nasihat par amal kar kay bari tabahi say bach jay ghay,
Mein is posting ko yahin tak complete karta hon, InshAllah jald new posting share karo ga,
Apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                                     Ali
                                              03003799165.

Tuesday, November 27, 2018

Surah e Falaq


Allah pak nay muqadas kitab Quran apnay pyaray mehbob Hazrat Muhammad (s.a.w) par nazil farmai, yeh kitab hidayat hai insano kay liay, shifa ka baes hai bimario kay liay, Quran e pak ki ayaat e mubarka ko parhna beshumar barkat ka baes hai, iski bohat see surtay moshkilat kay hal mein faida pohanchati hain, inhe khas ayaat e mubarka mein aik khas surah e falaq hai jo har tarah kay bad asrat, jadu wa asayb ko dor karnay kay liay best hai, kesi he mosibat ya moshkil ho, surah falaq ko parh kar oskay waselay say dua mangi jay to dua kabuliat ka sharf hasil karti hai aur moshkil hal hojati hai, is surah ko ba kasrat parhnay walay ko Allah pak apni hifz wa aman mein rakhta hai, surah e falaq kay baray mein Nabi pak s.a.w ka irshad mubarak hai kay surah e falaq say behtar koi dua panah kay mutalik nahi hai, jo koi yeh chahai kay woh shir e shaitan say mehfoz rahai har tarah kay asayb wa jadu say bacha rahai to surah falaq parhnay ka mamol bana lay Allah pak osko apni hifazat mein rakhay ga,
Kitab Muslim sharif ki hadees mein hazrat okba bin aamir r.a farmatay hain kay Nabi pak s.a.w nay irshad farmaya kay ajeeb ayaat hain jo aaj ki raat nazil ki ghai hain, inkay manind aaj tak nahi dekhi ghai woh surah falaq aur surah nas hain,
Surah e Falaq bohat ajeeb surah hai is mein kai israr wa ramoz poshida hain mein iski sahi tafeer kay liay har islamic books ko parha lekin detail mein iski tafseer kahin nahi mili, baray baray deeni olmao, molana, molvi, syed, peer sab say is ayaat kay mutalik pocha lekin koi bhi detail say mujay iskay mutalik na bata saka sab wahi kitabon wali batain he kartay jo meinay pehlay he parh rakhi hain,
Yeh surah e mubarka har aamil kay liay bohat important hai jo rohani ilaj kartay hain ya exorcisim kay zariay jinnat, asayb ya jadu ko mariz say nikaltay hain, is surah mein kai mukhfi chezon ka zikar mojod hai jisay aik mahir e mukhfiat he samaj sakta hai koi molana ya molvi nahi,
Yeh Aqeq ka pendant jis par surah e falaq likhi hai yeh pendant mujay hazrat lal shahbaz qalander kay melay janay par aik gemstone sale karnay walay banday say mila, os din say lekar aaj tak is ayaat par meri research jari hai, kai mukhfi olom, mukhfi chezon aur bataon ka mujay ilm is pendant say hasil hua, yeh pendant meray liay bohat lucky hai is say meinay deen ko gehrai say samjha, deen ki taraf lagao barha, research kay doran ahadees ko parha, tarikh ko parha, kai olom ko samjha aur seekha, apni family, relatives, friends aur kai logon ko faida pohanchaya onki parayshania dor ki is ayat e mubarka ki barkat say,
Aab mein yahan kuch poshida israr is ayaat e mubarka kay share karta hon,


 Surah Falaq mein total 5 ayat hain, in ayaat ka urdu tarjoma yeh hai,
In 5 Ayaat mein suba kay rab, har shir e khalak, andheray ka shir, phonkay marnay walio ka shir aur hasad karnay waly kay mutalik zikar hai, is ayaat ki tafseer jo meinay kitabon mein parhi hai os mein yeh likha hai kay aik yahodi shaks jiska nam labaed bin asam tha osnay jadu kia tha Nabi pak s.a.w par aap s.a.w kay baalon par knots laga kar aur osay aik konway mein dafan kardia tha jis say Nabi pak s.a.w ko taklef hogai thi, phir 2 farishton nay surah falaq ko Nabi pak s.a.w par nazil kia aur is ayaat ki barkat say jadu kay bad asrat khatam hogay aur in 2 farishton nay he Nabi pak s.a.w ko yahodi shaks kay mutalik bataya jiska nam labaed bin asam tha,
lekin hayrat ki baat hai kay ayat mein aurton ka zikar hai mard ka nahi aur tafseer ki kitabon mein kahin bhi jadu karnay wali aurton ka zikar mojod he nahi woh aurtay kon thi? iska jawab na tafseer ki kitabon mein hai na olma e deen kay pas,
Aur jadu honay kay baad Nabi pak s.a.w ko takleef hoi thi oskay mutalik bhi kai kitabon mein different batain hain aur yeh bhi different different batain tafseer ki kitabon mein hai kay kis tarikay ka jadu tha, aik kitab mein likha hai kay kangi kay baalon mein knots laga kar kia gaya tha, dosri kitab mein likha hai kay teer kaman ki dori jisay tanit kehtay hain os mein garhain ya knots laga kar jadu kia gaya aur aik kitab mein likha hai kay mom ka putla bana kar os mein soiya laga kar kia gaya aur aik kitab mein likha hai kay in teeno tarikon kay sath kia gaya, lekin ayaat aur tafseer mein zameen asman ka fark hai yeh dono apas mein match nahi hoti,
Ayat mein 5 kowaton ka zikar mojod hai,
* Suba ka Rab (The Morning God)
* Shir e khalak ( The Evils)
* Andheri raat ka shir (The Evils of Night)
* Phonkay marnay walia (The Witches)
* Hasid ka shir (Jealousy)

Aab mein yahan aik aamil kay view say is ayat ki muktasir see detail share karta hon jis say har shaks ko faida hasil hoga, har shir say khud ko aur apni family ko mehfoz rakhay ga,

*Suba ka Rab (God Morning): 
Hum mein say kafi log suba ko aik dosray ko good morning to kehtay rehtay hain lekin God Morning nahi kartay, hum sab ko har suba jab neend say othay to apnay rab ko yaad rakhna chahehai, onka shukar ada karna chahehai kay hum sahi salamat hain aur raat kay shir say mehfoz rahai, humay suba fajar ki nimaz pabandi say parhni chahehai ya agar nimaz nahi parh parahai hon to suba suba dua krna khuda ko yaad karna oska shukar ada karna hum sab kay liay bohat zarori hai, surah falaq ko har suba neend say othnay kay baad parhna chahehai aur oskay baad yeh dua parhni chahehai,
Agar aap nay suba kay rab ko yaad rakha har suba to aap saray din ki har borai har nahosat har shir say mehfoz rahai ghay, jo log suba dayr say othtay hain suba kay rab ko yaad nahi kartay onkay ghar mein humaisha nahosat chai rehti hai, ayeh din maslay masael onkay gharon mein hotay rehtay hain, bimaria, jadu wa bad asrat ghar aur ghar kay afradon ko ghayr letay hain, meri walda is mamlay mein bohat strict hoti thi humay suba jaldi othati thi aur humaisha kehti thi kay beta suba jaldi oth jaya karo dayr say othnay say nahosat hoti hai, meri bhi aap sab ko yeh advise hai kay suba jaldi otha karain aur apnay rab ko yaad kia karain, dil say dua kia karain shukar ada kia karain inshAllah aap har jaga kamiab hongay har borai say mehfoz rahai ghay.

Shir e Khalak (The Evils around us):
Shir yehni evils har jaga har waqat mojod hotay hain koi bhi insan kabhi bhi inka shikar hosakta hai, opar image ko agar aap ghor say dekhay ghay to aap ko kafi gehri batain malum hongi kay aik insan har kisam kay shir mein kistarah ghira hota hai oska bachao aur protection sirf aur sirf khuda ki ibadat karnay say mumkin hai, meinay kai logon ki ibadat dekhi hai nimaz aysay parh rahai hotay hain jesay khud par ya khuda par ahsan kar rahai hon jaldi jaldi nimaz parh kar ghar ay ghay nimaz ki topi sar say otar kay almari mein phankay ghay aur cell phone hath mein lekar busy hojay ghay isko ibadat nahi kehtay, aysay log humaisha kisi na kisi shir mein mobtala rehtay hain onki life mein sukoon bilkol bhi nahi hota woh aik maslay mein say nikal kar dosray maslay mein phans jatay hain, onko guide karnay walay log khud shir mein mobtila hotay hain aur shir virus ki tarah hota hai aik shaks say dosray shaks mein muntakil hota hai, isliay humay khud ko badalna hoga dosra ka sahara lekar chalnay walay log humaisha na kami ka mu dekhtay hain, kya pata woh shaks shir say infected ho aur aap ko bhi shir mein mobtala karday, apnay aap ko har tarah say strong rakhna chahehai aur har mosibat kay liay khud ko pehlay say taiyar rakhna chahehai humaisha aik jesay din nahi rehtay suba kay baad raat bhi aati hai aur har raat kay baad suba bhi hoti hai isliay agar boray din hain to achay din bhi zaror ay ghay, kal he meray aik friend say meri baat hoi thi jispar mujay bohat ghusa aya kuo kay woh har waqat parayshani ki he baatain krta hai aaj tak meinay kabhi koi khushi ki baat oskay mu say nahi suni humaisha mazlomiat dikhana, gorbat show karna, apnay zakham dikhana kay sara din mazdori karta hon payron mein chalay par ghay hain lekin halat nahi badal rahai, sab wesa ka wesa hai kuch nahi badal raha na kabhi badlay ga, aysi baat karnay walay log khatarnak had tak shir mein infected hotay hain aysay logon ko amliyat ki ziban mein zohal kay bad asrat walay log ya sarh sati kay bad asrat walay log kaha jata hai, yeh log mazhab say bhi bagi hojatay hain aur yeh jurm kar saktay hain aur yeh auron ko aur apnay aap ko bhi mar saktay hain aysay logon ko tawez, tilsim, dua par yakin khatam hojata hai, ibadat karna khuda ko yaad karna yeh sab onsay nahi hopata, meinay apnay friend ko jab nasihat ki to osnay mujay whatsap par foran block kardia, meinay osay kaha kay tmko khuda ka har waqat shukar ada karna chahehai kay tum mazor nahi tmharay hath paon, tmhara zehan sahi salamat hai, tmko koi bimari nahi, tmharay ghar walay bhi sahi salamat hain onko koi bimari nahi, har tarah say tum perfect ho aur abhi bhi na shukri kartay ho, mera yeh kehna tha kay osnay foran block kardia,
Is tarah shir mein mobtila aur bhi kai log apko milay ghay jo apnay aap ko modern kehnay walay aur aik naya modern islam paysh kartay hain jis mein jadu ya rohani ilaj ko tohmat aur jahalat samjha jata hai yehni inka modern naya islam yeh batata hai kay jadu ka wajod nahi, jinnat, asyab, saaya, bhoot wagayra ka wajod nahi, rohani ilaj kar kay in sab ka ilaj krna jahalat hai, yeh modern naya islam paysh karnay walay log apko news channels mein milay ghay yeh log western angrayz logon ki tarah har shir mein mobtila hotay hain, agar aap inka background dekhay ghay to apko inkay shir ki lambi list malum hogi, yeh log itnay khatarnak hain kay aik pal mein wali e kamil Allah walay shaks ko shaitan parast keh kar osko masjid, khanka, imam bargah ya mazar say nikal kar dunia bhar mein zalil wa khuwar karnay ki salahiat rakhtay hain isi tarah aik shaitan parast shaks ko aik pal mein wali e kamil Allah ka nayk banda ya Allah wala bana saktay hain, pal mein badshah ko faqir aur faqir ko badshah bana saktay hain, yeh infected hain international bari dajjali kowaton say, Allah pak hum sab ko inkay shir say mehfoz rakhay.

Andheri Raat ka shir (The Evils of Night):
31 October kay baad sardion ka winter season shoro hojata hai, raatain bari aur din chotay hona shoro hojatay hain, 31 october ko europe aur america mein halloween day manaya jata hai yehni bhooton ka din, log muktalif bhooton walay khofnak masks pehan kar yeh din celebrate kartay hain, kuo kay november aur december mein sardia kafi barh jati hain bari kali siah raaton mein har kisam kay jinnat, bhot, pret aur kai mukhfi shir phelanay wali makhlokat active hojati hain, on makhlokat mein aik makhlok jo ziada tar andheri bari raaton mein active hoti hai osay "Saaya" aur hindi mein "Pishach" kehtay hain yeh mukhfi makhlok andheri raaton mein har jaga har waqat mojod rehti hai aur koi bhi shaks iska ba asani shikar hojata hai, ziada tar bachay aur aurtay is makhlok ka shikar hoti hain worldwide har jaga, Nabi pak s.a.w ka irshad hai kay sham ko jab andhera honay lagay to apnay bachon ko ghar say bahir mat nikalnay do, saaya lag janay ki kai wajohat hoti hain jesay kai jawan larkia raat mein naha kar chaht par baal khol kar sokhati hain ya tez khushbu lagati hain jis say onko saaya lag jata hai ya kalay kapray pehan kar kisi puranay darakt kay pas sham kay waqat khari hon ya kaburistan say guzray tabhi bhi saaya lag jata hai aur woh raat ko sotay waqat kisi ki mojodgi ko feel karnay lagti hain,


Kai log jo kala jadu kartay hain andheri raaton mein kaburistan ya shamshan ghat mein jakar in saaya ko taskheer kartay hain aur kisi ki taraf bhi in saaya ko bhej detay hain aur woh shaks in andheri raaton kay saaya ka shikar hojata hai,
Kala jadu karnay walay log in saaya ko taskher kar kay kisi kay bhi ghar, office ya shop par bhejtay hain jis say ay din maslay masael barhtay rehtay hain, in andheri raaton kay shir ka hal surah e falak mein hai, jo surah e falaq ka wird humaisha jari rakhay ga woh in saaya say mehfoz rahai ga,
In andheri makhlok kay shir kay sath aur bhi kai makhlokat hain jinki lambi list hai iskay ilawa chor daku log bhi raat ko active hotay hain, Allah pak hum sab ko in andheri raaton kay shir say mehfoz rakhay.

Phonk marnay walia (The Witches):
Har kisi ki family, relatives, friends ya paros mein phonk marnay wali witch yehni daen zaror hoti hai, yeh zarori nahi kay woh mantar parh kar phonk mar kar jadu karay, jadu ki kai aksam hain bataon say brain wash kar kay hypnotize krna aur galat advise day kar kisi ka ghar kharab karna bhi jadu ki aksam mein say hai, in daen kay kisay kahania aur wakiat to bohat hain lekin mein yahan apni khud ki family mein honay walay daen kay wakiat share karta hon, daen kisi bhi rop mein har jaga hosakti hai aur wahan shir phalana oska kam hota hai, mein yahan apnay cousin ka wakia share karta hon jo aik famous colony mein rehta hai, osko apni ma jo meri phupho hain onsay bohat muhabat thi jo aab nahi, oski ma kay ghar ki chaht barish ki waja say tot ghai to woh apni ma ko apnay sath lekar apnay ghar aya aur apni ma ka bohat khyal rakhnay laga oski wife bhi bohat apni sas ki izat karti aur onka khyal rakhti sab kuch thek chal raha tha phir aik din cousin ki wife paros mein rehnay wali daen ka shikar hoi yeh wakia kuch istarah hua kay paros ki aik aurat ko os daen say infected thi cousin ki wife say milnay ai aur bataya kay paros mein aik pak bibi ai hain jo har waqat hijab mein hoti hain aur every weekend sari paros ki aurtay oskay pas jamah hoti hain deen ki batain seekhnay kay liay tum bhi wahan aya karo deen ko samjo aur ospar amal karo apnay bachon ko deen ki taraf lagao, cousin ki wife os daen bibi kay pas janay lagi aur din ba din mazhabi hoti ghai, har waqat tazbi hath mein aur kuch humaisha parhti rehti thi, meri phupho meray cousin ki walda molai tabiat ki hain aur hazrat lal shahbaz qalander ko bohat manti hain jab bhi wahan jati wahan say dhaga, pani aur wahan kay diay ka tael lekar aati aur apnay betay ko woh dhaga kalai mein bandhti sar mein tail lagati aur pani pilati takay oska beta har borai say mehfoz rahai yeh sab cousin ki wife ko acha nahi lagnay laga aur woh cousin ko mana karti kay yeh sab nahi kia karo na apnay bachon ko yeh dhaga ya tael lagao apni ma ko mana karo kay ainda aysa na kia karay, lekin meri phupho humaisha aysa kia karti jis say cousin ki wife ka para din ba din charhnay laga aur aik din bibi daen say osnay iska pocha to bibi daen nay kaha kay tmhari sas kisi say jadu karwa rahi hai takay oska beta oski muthi mein rahai yeh sari jadu ki chezain hain jo tmhari sas lekar aati hai, cousin ki wife nay kaha kay han aysa he hai jab say woh ai hai mera shohar to jesay mujay bhol he gaya hai har waqat osay apni ma he nazar aati hai os daen bibi nay kuch amal diay kay yeh kia karo takay tmhari sas ka jadu tmpar aur tmharay shohar aur bachon par bay asar ho woh amal karnay lagi aur din ba din mia biwi kay jhagray barhtay ghay aur akhir yeh nobat aghai kay cousin nay apni biwi kay kehnay par aadhi raat ko apni ma ko ghar say nikal bahir kia, bichari zaef borhi ma ka osay koi ehsas na hua, suba woh meray pas ai aur sari batain batai mujay bohat dokh aur taklef hoi kay mera cousin aysa bhi kar sakta hai, meinay jab sab chan been ki to is borai ki jarh pakar li woh thi bibi daen jo mazhab ka libada orhai shir kay kam kar rahi hai, ma ki aah ma ki bad dua bohat khatarnak hoti hai aur yeh meray cousin aur oski wife ko aysi lagi kay woh sari omar yaad rakhay ghay, onki gari ka bori tarah accident hogaya aur Allah pak nay khair kia sahi salamat to rahai lekin cousin kay face par aysay nishanat aghay hain jo sari omar rahai ghay yeh phitkar hai oskay face par jo osnay apni ma kay sath zulam kia, biwi kay dant tot ghay fake dant lagae hoay hain, oski biwi abhi bhi os daen kay bad asrat mein mobtila hai osnay apnay shohar ko muj say milnay kay liay bhi roka hua hai lekin mera cousin aaj bhi chop kar muj say milnay ata hai, os bibi daen nay kuch aysay tonay totkay osay dian hain kay mera cousin oska ghulam bana hua hai jisko apni ma tak dikhai nahi di to mein kya dikhai don ga,
Aik aur bibi daen hai jo meray paros mein rehti hai paros ki aurtay kafi oskay pas jati hain aur meray khud kay relatives bhi oskay pas jatay hain khas kar meri khala aur onkay bachay jo meray cousins hain woh bhi dam karanay jatay hain, os daen bibi nay mera taluk apni akhloti khala say he khatam karwa dia yeh keh kar kay mein onkay ghar mein kala jadu karta hon yeh aik bohat he ghatia baat osnay kahi mein kuon apni sagi khala par jadu karon ga, yeh ghatia aurtay mazhab ka sahara lekar istarah nafratay philati hain, mujay malum he nahi tha yeh sab aik din mera cousin mujay rastay mein mila bohat parayshan lag raha tha meinay has kar salam kia thori mazak ki to ro para aur kaha kay khuda tumko dekhay ga has lo jitna hasna hai meri ma hospital mein hai meray bachay bimar hain mera bap alag bistar mein laga hai bara bhai naraz hokar ghar say chala gaya hai, kya kasoor hai humara kya bigara hai hum nay tmhara kuo jadu kia hum par, mein oski bataon say aik dam say saktay mein agaya kay yeh bol kya raha hai phir osnay bataya kay bibi nay aysa bataya hai meinay osay kaha kay woh daen hai to ghusay mein agaya kay ikhlaq say baat karo woh syed pak bibi hai, meinay kaha lanat ho aysi bibi par jo jhot bol kar shir aur nafrat philae aysi kay pas tum kuon jatay ho, phir meinay Quran pak, apnay peer wa murshid aur ma bap ki kasam kha kar osay mutamin kia kay mein kuo jadu karo ga, aab woh normal to hogaya hai lekin os daen bibi kay pas ana jana aab bhi hai aur meray samnay rehnay wali cousin bhi oskay pas jati hai shayad osay bhi shak ho muj par, in sab wakiat ko batanay ka mera maksad yeh hai kay yeh bibi bani jahil aurtay jinko mukhi olom ki aalif bay tak malum nahi sirf jahalat kot kot kay bhari hoti hai uneducated aurtay jinko deen ka ilm bhi puri tarah nahi hota jo deen ko bhi galat tonay totkon say kharab karti hain jesay qurani kisi bhi ayat ko agar olta parho to ism e azam milay ga oska wird karnay say aap ki moshkilat khatam hogi, lanat ho aysi aurton par jo qurani ayat ki toheen karti aur karwati hain inhe ko to daen kehtay hain jo nafrat, shir kay sath mazhab bhi kharab karti hain, meri advise aap sab ko yahi hai kay aap kay ghar ki khawateen agar yeh kahai kay hum dars ya islami batain seekhnay samajnay ya rohani ilaj kay liay bibi kay pas jati hain to aap onko foran rok do kuo kay shir ka beech yahin say parna shoro hota hai aur barhtay barhtay nafrat ka payr khara hojata hai, Allah pak aap sabi ko aysi daen bibi ya peerni kay shir say mehfoz rakhay,
Meray cousins aur meri khala par phonk marnay walio ki aysi phonk lagi kay aaj tak woh ay din parayshan he parayshan rehtay hain koi sukoon nahi onkay ghar mein, meri advise onko yahi hai kay surah falaq ko suba sham kasrat say parha karain takay in phonk marnay walio kay shir say nejat mil sakay,
3 witches yehni 3 daen ki philosophy har mazhab har culture mein zamana e qadeem say he mojod hai, olma e rohaniat wa mukhfiat kay mutabik har shaks ka samna oski life mein 3 daen say zaror hota hai, in teeno daen ka shape istarah hai kay aik moti bhadi shape ki hoti hai, aik patli khubsurat hoti hai aur aik borhi hoti hai, yeh teeno daen har insan ko oski life mein kisi na kisi rop mein zaror mila karti hain, wife ki surat mein, sas ki surat mein, mehboba ki surat mein, dost ki surat mein ya teacher ya student ki surat mein etc...
meinay opar jo cousin ka wakia bataya jisnay apni ma say zulam kia woh aaj kal dosri daen kay asar mein agaya hai, pehli osay borhi daen mili, aab young aur khubsurat daen mili hai jispar woh sabi paisay ospar lota raha hai aur os say dosri shadi karnay ki khuwaish rakhta hai yahin say oski tabahi shoro honay ko hai meinay osay bohat advise di samjhaya lekin woh os daen kay full kabu mein hai, Allah pak osay hidayat day meinay to har tarah say osay samjhaya,
Kai log aysay hotay hain jinkay sosral mein daen hoti hai, jab woh apni wife ko sosral chor kar ata hai to wahan oski wife pehlay to khushi khushi jati hai lekin jab shohar kay pas wapis ghar aati hai to rop he oska alag hota hai, shohar say larna ghar mein bachon par ghusa hona, shohar aur bachay bicharay oska yeh rop dekh kar seham say jatay hain shohar ko alag hayrat hoti hai kay achanak isay aysa kya hogaya jo aysa behave kar rahi hai, yeh sab os daen ki waja say hota hai jo sosral mein hoti hai aur woh koi bhi hosakti hai saas, sali ya wahan ki koi bhi aurat, isliay meri advise hai kay wife ko kabhi bhi tanha kahin na choray har waqat saaya ki tarah apni wife kay sath har jaga mojod rahain agar majbori hai wife ko tanha chorna hai sosral to surah falaq ka wird wife ko parhnay kay liay kahai ya khud parhain jab woh janay lagay aur jab woh wapis ghar ay to, 
Jinki wife job karti hain woh ba asani daen aurton ka shikar hojati hain aur galat rastay mein ajati hain, agar aap ki wife job karti hai to aap osay surah e falaq parhnay ka mashora dain aur khud bhi parhkar ospar dam kia karain inshAllah is surah ki barkat say woh kabhi galat rasta nahi choose karay gi,
Kai log aysay bhi hotay hain jinkay pas itni achi pyar karnay wali biwi hoti hai lekin dosri jaga onka affair hojata hai kuch to wife say chop kar apni lover say miltay aur zina kartay hain aur kuch to mazhab ka sahara lekar dosri shadi kar letay hain yeh log bhi daen ka shikar hojatay hain in logon ko apni pyar karni wali biwi ki feelings ka zara bhi khyal nahi hota, dunia ko dikhanay kay liay dono biwio ko bitha kar photos lekar share kartay hain kay dunia dekho meri dono biwia khush hain sath rehti hain aik he ghar mein, baray afsos ki baat hai kabhi apni wife kay dil mein jhank kar dekha kay oskay dil par kya beet rahi hogi, woh bhi insan hai jesay aap insan ho oskay andar bhi wahi feelings hain jo aap mein hai, thora is baat par ghor karo kay aap ki wife kisi ghayr mard ko apnay sath bitha kar kahai kay jesay aap meray shohar ho wesa yeh hai phir kya feelings hongi aap ki, aap ki ankhon mein khoon otar ay ga jab aap kisi ghayr mard kay sath apni wife ko dekho ghay to yahi same feelings aap ki pyar karnay wali wife ko hogi agar aap dosri biwi kay sath bistar par so ghay to, isliay please meri advise hai aap sab ko kay daen aurton kay chakar mein akar apna ghar kharab na karain, hayrat to on daen aurton par hai jinko malum bhi hota hai kay yeh shadi shoda hai lekin phir bhi onpar doray dalti hain yahi to daen hain jinka kam he shir philana, nafrat dalna, judai karwana hota hai warna aik normal nayk aurat aysa kabhi soch bhi nahi sakti, Allah pak hum sab ko phonk marnay wali daen, pyar ka dawa karnay wali daen aur gharlio daen say mehfoz rakhay.

Hasid ka Shir (Jealousy):
Hasad woh na dikhai denay wali aag hai jis mein insan andar he andar jalta rehta hai dosron ki khushi ya dosron ko khush dekh kar, yeh hasad wala masla tab say shoro hua jab hazrat Adam a.s kay do beton mein say aik betay nay apnay bhai ko hasad ki waja say katal kia yeh dunia ka pehla katal tha jo hasad ki waja say hua,
Kuch log to aysay hotay hain kay waqti tor par hasad kartay hain lekin phir normal hojatay hain dua denay lag jatay hain aur kuch log har waqat hasad kartay hain aur apna andar jalatay rehtay hain inhe logon ko hasid kaha jata hai jo har waqat kisi na kisi say hasad kartay rehtay hain, aap ko oski ankhon say oskay face kay impression say ba asani malum hojay ga kay yeh hasid hasad karnay wala hai, oskay face par phitkar baras rahi hoti hai, jo humaisha hasad kartay rehtay hain woh shaitan ban jatay hain aur onsay aysi bad rays kharij hoti hain virus ki tarah jis say khushal shaks infected hokar problems mein ajata hai, har shaks ki family mein koi na koi hasid hasad karna wala zaror hota hai, meri apni family mein bhi hasid hasad karnay walay bohat hain, aik wakaya cousin ka yahan share karta hon, meray cousin kay pas choti car thi jo woh careem mein chalata tha oski khuwaish thi kay woh yeh sale kar kay bari car lay, osnay muj say hisab lagwaya kay ali bhai batao meri yeh car kab sale hogi bohat parayshan hon yeh sale hojay takay bari car lay sakon meinay osay kaha kay isi week mein inshAllah tmhari car sale hojay gi aur wahi hua oski car sale hogai aur osnay bari car li aur family mein sab ko dikhai kisi hasid kay hasad ka aysa shir laga kay meray cousin ka accident hogaya, car ka darwaza pura kharab hogaya, meray cousin nay kaha kay ali bhai pata nahi konsi sakti hai ya shayad koi jadu karwa raha hai meinay osay kaha kay har maslay ki buniad jadu nahi hota, agar jadu hota to tumhari car sale he na hoti aur na he yeh car tum lay patay yeh sab hasad ki waja say hua hai, 
Hasad karnay walay log paros mein bhi hotay hain, friends mein bhi in kay hasad kay bad asrat say bachnay kay liay ya onkay shir say mehfoz rehnay kay liay surah falaq ka wird humaisha karna chahehai takay hasid kay shir ki waja say problems na hosakain.

Aap sab ko yeh sab parhnay kay baad malum hogaya hoga kay surah e falaq mein kitnay ziada fawaid hain, isay humaisha parhtay rehnay say aap humaisha har bari mosibat say khud ko aur apni family ko mehfoz rakh sakay ghay har tarah kay shir say jo andekhi kowaton ya logon kay thru hongay,

Amliyat Surah e Falaq:
Aab mein yahan surah e falaq kay kuch amliyat share kar raha hon jo mujay muktalif kitabon say hasil hoay,
  
*Zehan Tez karnay ka amal:
Jisko koi baat yaad na rehti ho, zehan kamzor ho ya parhae mein zehan na lagta ho parhae mein kuch yaad na rehta ho, parhae kay doran sar mein dard rehta ho to suba kay waqat 3 badam lekar ba wazu hokar surah e falaq 3 bar parh kar badamo par dam karay aur kha lay yeh amal 11 dino tak karay inshAllah zehan sahi hojay ga.

*Saaya dor karnay ka amal:
Agar kisi par saaya agaya ho aur raat ko tang karta hoto ba wazu hokar 7 martaba surah falak ko sarson kay tael par dam karay aur os tael say saray jism par malish karay ya kisi say karwae to inshAllah saaya say nejat mil jay gi.

*Zehani bimari ka amal:
Agar kisi ko zehani koi bhi bimari ho woh heeran ki khal kay tokray par surah falaq ko lekay aur chandi kay tawez mein dal kar galay mein pehan lay, inshAllah shifa milay gi.

*Dushman ki ziband bandi ka amal:
Jo koi yeh chahai kay woh dushmano kay shir say mehfoz rahai, dushman osay kisi tarah ka noksan na pohancha sakain to osay chahehai kay ba wazu halat mein aik hazar martaba surah falak ki akhri 5th ayat ko parhai chand ki pehli tarikh ko, parhnay kay baad dushman ka tasawar kartay hoay zameen par dastak day, is amal ko rozana karay, inshAllah dushman ki ziban bandi hojay gi oskay shir say bacha rahai ga.

*Shir e shaitan say hifazat ka amal:
Agar kisi ko shaitani wiswisay bohat ziada tang kartay hon jiski waja say kafi parayshan hoto osay chahehai kay woh har nimaz kay baad 13 martaba surah falaq parh lia karay, inshAllah shaitan kay shir say mehfoz rahai ga.

*Mohtaji dor karnay ka amal:
Jo shaks yeh chahai kay woh dunia mein kisi ka muhtaj na rahai Allah pak har jaiz zarorat kay asbab gayb say mohia farma dia karay to osay chahehai kay woh rozana 30 martaba surah e falaq ko ba wazu halat mein parhai har roz aur dua manghay, inshAllah kabhi muhtaj na hoga.

*Jinon kay ilaj ka amal:
Agar kisi ko pagal pan kay doran partay hon halat jinoni hojati hoto osay chahehai kay ba wazu halat mein rozana surah e falaq  11 martaba parh kar marez par dam karay aur pani par dam kar kay pilae, inshAllah shifa milay gi.

*Jadu khatam karnay ka amal:
Jo koi yeh chahai kay jadu kay asrat say mehfoz rahai woh har nimaz kay baad 21 martaba surah e falaq parhai aur dua mangay inshAllah jadu say mehfoz rahai ga, agar kisi par jadu kardia gaya hoto surah falaq heeran ki khal par musk wa saffaran say likh kar bazu mein bandhay aur pani par dam kar kay piay to asrat zael hojay ghay.

*Har Shir say bachao ka amal:
Agar kisi ko shaitani wiswisay aatay hon aur oska dil borai ki taraf aur boray kam ki taraf ziada jata ho aur dili sukoon na milta hoto osay chahehai kay har nimaz kay baad 11 dafa surah falaq ko parhai aur pani mein dam kar kay pani piay inshAllah mehfoz rahai ga, agar kisi ko shaitan khoab mein tang karta ho jis say boray khoab atay hon jiski waja say ahtalam ziada hota ho ya khoab mein darta ho ya dar khof har waqat rehta hoto surah falaq ko ba wazu heeran ki khal mein musk wa saffaran say likh kar chandi kay tawez mein dal kar har waqat pehnay rakhay inshAllah har shir say mehfoz rahai ga.

Surah e Falaq ki yeh posting mein yahin tak complete karta hon, inshAllah mazed Qurani ayat par aur bhi kai postings share karon ga,
mazed malumat kay liay muj say rabta kar saktay hain,
Phone & Whatsap: +92 03003799165 
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Apnay is bhai ko apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga, Allah pak aap sabi ko khush wa abad rakhay aur har shir say mehfoz rakhay.

                                             Ali.
 

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman