Pages

Thursday, November 16, 2017

Wish FulFilled Sticks


Kuch arsa pehlay meinay Hudhud parinday ki 3 wish bones kay mutalik bataya tha yeh 3 khas choti hadio ka tilsim meinay dunia bhar mein har jaga logon ko send kia kai logon ko is say bohat fawaid hasil hoay kisi ko jaldi faiday hasil hoay aur kisi ko late, same osi 3 wishbones ki tarah ka he yeh khas 3 wish fulfilled sticks ka tilsim yahan share kar raha hon, yeh 3 wishbones ki tarah he kafi powerfull tilsim hai lekin isay banana asan nahi kuo kay is amal mein aik zahrila saanp ko use kia jata hai, yeh khas amal har kisam ki financial problems ya job ki problems solve karnay kay liay hai iskay ilawa rupay peson mein barkat aur saving ka na hona, rupay peson kay lain dain mein rikawat ya atak parna ya rupay peson par kisi bhi tarah ki bandish ho is amal say khatam hojati hai, har insan ki khuwaish hoti hai kay oskay pas achi khasi itni dolat ho kay zindagi aram say khushali mein guzray lekin woh jitni bhi mehnat kar kay achi khasi dolat jamah krnay ki koshish krta hai takay agay kam ay lekin nahi kar pata kuo kay jesay jesay din guzartay jatay hain kharch barhtay jatay hain aur kuch bhi saving nahi ho pati,
meray pas ziada tar clients yahi masael lekar atay hain kay Ali bhai hum mashAllah achay khasay pesay kama letay hain lekin kuch bhi saving nahi hopati shayad humaray kam mein barkat nahi ya koi bandish see hai, hum feel kartay hain kay koi andekhi kowat ka dakhal hai jis say hum kamiab nahi hoparahai apni zati life mein kuo kay hum paisay saving karna chahatay hain takay humari life khushali mein guzray,
Dunia mein apko kai tarah kay log milay ghay aik woh jo bohat gareeb hotay hain onkay liay 100 rupay rakam azeem hoti hai woh cholay sara din sale kar kay 10 rupay ki plate 10 logon ko khila kar 100 rupay kama kar mutamin hojatay hain aur kai log aysay bhi hain jinka lakhon rupay ka karobar hota hai sara din aik crore rupay kama kar mutamin hojatay hain,
Meray pas har tabkay kay log gareeb wa ameer sabi apnay masael kay hal kay liay atay hain aysay bicharay gareeb bhi atay hain jo kehtay hain Ali bhai meinay aaj sara din kam kia socha kay 500 rupay kama kar aap ko tawez ka hadiya don ga lekin kasam say Ali bhai aaj kuch bhi kama na saka sirf 200 rupay aap ki khidmat mein lekar aya hon, mujay dokh wa afsos bohat hota hai aur confused sa hojata hon kay os say hadiya lon ya nahi agar nahi leta to osay ehsae e kamtari feel hogi osay lagay ga Ali bhai meri gorbat par taras kha rahai hain, har insan jesa bhi ho osay apnay kam aur mehnat par fakhar hota hai, aysay bhi ameer log atay hain meray pas jo kehtay hain Ali bhai kuch amal karo kay is saal new car lon abhi itni saving he nahi ki peson ki kay new car lay sakon agar is saal new year par new car nahi lay saka to meray friends aur family mein cousins sab hasay ghay kay kahan ghai iski shan wa shokat woh orooj kahan gaya kay har saal new car leta hai, Ali bhai yeh meri shoro say adat rahi hai mein har saal new car leta hon please bhai aap kuch aysa amal karain kay is saal meri izat wa shan bar karar rahai doston aur family mein jistarah humaisha rahi hai,
Insan kitna bhi ameer hojay lekin khud ko humaisha gareeb he samajta hai oski waja yeh hai kay woh apnay say ziada opar walay ameer shaks ko dekhta hai aur oskay muqablay mein woh khud ko gareeb feel karta hai aur ehsas e kamtari ka shikar bhi hojata hai jab mehfil mein ameer log jamah hotay hain, dikhaway dikhaway mein woh apni dolat pani ki tarah bhata chala jata hai aur phir aik din aysa ata hai kay 1000 rupay oskay liay rakam e azeem ban jati hai,

Aur middle class joint family kay logon mein peson ki saving ka bara masla hota hai, ghar kay sabi afrad ki achi jobs hoti hain lekin peson ki bachat nahi hopati waja ghar kay akhrajat ya phir ghar ki aurton ki hasad ki waja say bicharay mard majbor hojatay hain jab woh kehti hain kay tumharay bhai nay apni wife ko kitni achi shopping karwa hai mujay bhi aysay kapray apnay liay aur bachon kay liay chahehai to bichara husband yahi kahai ga kay meray bhai ki salary job mein muj say ziada hai woh aysay expensive lay saktay hain hum nahi lay saktay lekin phir bichara biwi ko khush karnay kay liay expensive kapray lenay par majbor hojata hai takay ehsas e kamtari ka woh shikar na hosakay isi waja say saving nahi hopati, lekin jesa dor abhi chal raha hai peson ki saving kar shaks kay liay zarori hai takay kal woh pesay kam asakay, istarah ki kai problems jo rupay peson say jori hoti hain oskay liay yeh amal jo yahan share kar raha hon sab kay liay best hai chahai oska taluk kisi bhi tabkay wa mazhab say ho yeh amal sabi ko faida pohancha sakta hai, aab mein yahan is khas amal ko share kar raha hon,

Anatomy of Three Fullfilled Sticks:
Sarkanday ya bamboo ki small 3 sticks yehni nalkia li jay jo 3 colours mein hon brown, yellow aur white, jab yeh hasil hojay oskay baad 40 muktalif ameer logon kay gharon mein say aik aik kar kay chotay stones yehni kankar liay jay agar kankar milna possible na hoto matti bhi use hosakti hai agar 40 ameer logon kay gharon kay stones ya matti milna possible na hoto oskay ilawa 40 bari banks ya shopping mall ki matti say bhi amal hosakta hai, 40 gold jewellry ki famous shops ki matti say bhi amal hosakta hai,
jab matti ya stones hasil hojay oskay baad jiskay liay amal kia jaraha ho oskay sar kay baal aur dono hathon aur paon kay nakhon liay jay,

Stones Filled Stick: 
Brown stick ki nalki mein 40 ameer logon kay gharon kay stones dalay jay sunday ki suba ko aur is amal say mansob khas tilsim ka symbol stick par likha jata hai, stones dalnay kay baad stick ko red candle wax say seal krdia jata hai,

Nails Filled Stick:
Yellow stick ki nalki mein nakhon dalay jay thursday ko aur nalki par is amal say mansob tilsim ka symbol likh kar nalki ko red candle wax say holes ko seal kardia jay,

Hair Filled Stick:


White stick ki nalki mein baal dalay jay friday ki suba aur nalki kay aik side irani feroza chopkaya jay yeh khas chotay size ka feroza hota hai, is amal say mansob tilsim ka symbol stick par likha jay, oskay baad nalki kay dosray siray ko red candle wax say seal kardia jay,

In teeno sticks ki nalkio ko stones, nails aur hair say fill karnay kay baad red candle ki wax say sticks kay holes ko seal kar kay sticks ko mehfoz jaga rakh dia jay,

The Snake Spirituality: 
Is khas amal mein jo moshkil kam hai woh snake ka hai, is amal mein aysa kala saanp use kia jata hai jispar white lakeray hon yeh common krait zehrila snake hai jo sindh kay ilakon mein ba asani mil jata hai, yeh snake raat kay waqat ziada active hota hai aur raat ko talash krnay say easily mil jata hai,
Teht Al Sha kay okat mein yehni jis raat chand asman mein na ho os raat is saanp ko ahtiat say pakra jay,
Jab mein yeh khas amal kisi kay liay kar raha tha to raat mein is saanp ko talash kia jo aik nehar kay kinaray jhario mein mandak ko khanay mein masrof tha, meinay bina net yeni jali kay isay easily hath say pakar lia kuo kay oskay mu mein mandak tha woh das na saka,
Jab saanp mil jay to osay amal wali khas jaga par laya jata hai aur isay matti kay bartan mein rakha jata hai,
Matti kay bartan ka piali noma dhakan aysa hota hai jis kay center mein hole kia jata hai,
Is hole wali piali noma dhakan ko bartan par rakh kar hole wali jaga mein roi laga di jati hai,
Roi laganay kay baad dhakan kay charon taraf aata laga kar dhakan ko bartan kay sath seal kardia jata hai,
Aatay ki madad say dhakan ko bartan par seal krnay kay baad dhakan mein milk dal kar os mein 3 sticks dal di jati hain, dhakan kay hole mein roi honay ki waja say milk sari raat katra katra saanp kay opar girta rehta hai aur saanp is milk ko peeta rehta hai, yeh amal aik khas raat kay waqat kia jata hai aur bartan par is amal say mansob tilsim likhay jatay hain aur aak khas mala bartan par lapeti jati hai takay saanp kay jinnati asrat say amal kharab na honay pae, bina hisar ki mala say saanp doran e amal bechain sa hokar bartan say nikalnay ki koshish karta hai aur agar doran e amal saanp bartan say nikal gaya bahir aur talash karnay kay baad bhi nahi mila to yeh aamil kay liay problem peda kar sakta hai, hisar wali mala say saanp pur sakon rehta hai aur harkat nahi krta bartan kay andar,
Saanp ko sari raat amal wali jaga isitarah rakha jata hai, suba tak milk sab bartan say ghom hojata hai saanp osay pee jata hai, suba ko ahtiat say saanp ko bartan say nikal kar abadi say dor azad chor dia jata hai,
Is amal kay baad teeno sticks fully ritualized charged hojati hain aab sirf inko alag alag maksos jagahon mein rakhna hota hai,

The Stick of Money:
Amal kay baad teeno sticks ko sunbhal kay rakha jay phir jesay moka milay to sab say pehlay yellow wali stick jis mein nails dalay ghay hain is stick ko kisi famous bank mein mojod money plant poday ki matti mein daba dia jay istarah kay kisi ko malum na ho na koi osay wahan say nikalay,


Banks mein aksar money plant kay poday hotay hain aur yeh money ko apni taraf attaract karnay ki salaheyat rakhtay hain, woh money plant jo kisi famous bank mein kafi arsay say phol phal raha ho os money plant mein bohat zabardast mukhfi asrat hotay hain, wahan is khas stick ko os plant ki matti mein dabanay say jis shaks kay nails os mein hon ghay woh dolat say malamal hojay ga, dolat, rupay pesay oski taraf aysay attaract honay lag jay ghay kay jahan pesay milnay ki umeed he nahi thi wahan say bhi milnay shoro hojay ghay nai nai zariay nai nai rastay kholtay chalay jay ghay jis say rupay peson ko rokna, atak ka hona ya bandish bilkol khatam hojay gi aur banda jitna bhi kharch karta rahai lekin pesay anay mein rukawat nahi hogi kisi bhi tarah ki jis say ba asani saving hosakay gi aur life khushal hoti chali jay gi,

The Stick of Attaraction:


Woh stick jis mein baal dalay ghay thay yeh stick job, factory ya shop wali jaga mein rakhtay hain jahan cash ya rupay pesay rakhay jatay hain, koi bartan laykar os mein coins dal kar on coins kay opar is stick ko rakha jay aur shopping karnay ya kisi bhi zariay say coins milay to in coins ko isi maksos bartan mein jamah kartay rehna chahehai aur jab nae chand ki date hoto in coins say koi meethi chez lay kar bachon mein bant di jay, yeh stick attaract karti hai customers ko shop par agar os banday ki shop hai to jiskay baal is mein hai, agar shop nahi job hai to boss attaract hokar meharban hojata hai, agar factory hai to molazim sab attaract hokar emandari aur sachai say kam kartay hain,

The Stick of Happiness:
Is khas stick ko jis mein 40 ameer logon kay gharon kay stones dalay ghay thay is stick ko choti see bottle mein dal kar ittar lagi roi bhari jati hai takay stick aik jaga jami rahai hilay nahi, phir is bottle ko ghar mein cash ya jewllery rakhnay wali jaga par rakh dia jata hai, is stick kay mukhfi asrat say ghar khushal hojata hai aur ghar mein dunia ki har nehmat ani shoro hojati hai jistarah ameer logon kay ghar hotay hain jesi onki rahaish aur shan wa shokat hoti hai wesay ghar mein yeh sab atta hona shoro hojata hai, ghar ka har shaks ka luck behtar say behtar hota chala jata hai aur financially har kisam ki problems khatam hoti chali jati hai, ghar ki nahosat ya bad asrat jiski waja say kisi chez mein barkat na hoti ho aysay sab bad asrat dor hojatay hain,

Yeh khas amal aik saperay kay zariay mujay mila hai, amal mushkil aur khatarnak hai lekin bohat zabardast hai is amal say koi logon kay financially masael meinay solve kiay hain, agar aap ko bhi yeh amal muj say karwana hai to aap muj say rabta kar kay yeh amal muj say karwa kar financial masael kay daldal say bahir nikal saktay hain,

Rabtay kay liay Call, Whatsapp ya E-mail karain:

Phone: +92 03003799165
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

InshAllah bohat jald new post kay sath hazir honga,
Apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                                  Ali.
 

 

Sunday, October 15, 2017

The Bamboo Ritual


"Luck" aak aysa element hai jo insan ki zindagi ko sanwar deta hai aur agar luck sath na day to kamiab say kamiab aur hoshiar say hoshiar insan bhi tabha wa barbad hokar reh jata hai ya oski life ka The End hojata hai, dunia mein kai log aysay hain jo luck ko nahi mantay woh yeh kehtay hain kay kismat banana khud insan kay hath mein hai woh apni mehnat, achi soch aur zahanat say apni zindagi behtar say behtar bana sakta hai is mein kisi an dekhi kowat ya rohaniat ka sath nahi hota insan khud apni mehnat say apna woh mokam hasil kar leta hai jiski osay khuwaish hoti hai, aysi soch rakhnay walay log aaj is scientific dor mein apko bohat milay ghay lekin jab onko kahin chot lagti hai aur kamiab hotay hotay koi rokawat bar bar parnay lagti hai tabhi onko feel hota hai kay humnay to apni taraf say har kam perfect kia phir yeh rokawat kuo horahi hai woh is andekhi kowat ko feel karnay lagtay hain aur yahi sochtay hain kay shayad khuda onsay naraz hai aur phir itni lambi darhi rakh letay hain mathay par nimaz ka nishan ajata hai aur Allah Allah krnay lag jatay hain, onki soch ostaraf nahi jati kay Allah pak nay jistarah jismani bimario ki shifa kay liay hikmat ka ilm apnay khas bandon ko atta kia aur on bandon kay ilm say banai dawai ya medicine khanay say os bimari say nejat mil jati hai same isitarah rohani bimaria bhi hain jesay nazar e bad kay asrat, hasad kay hasrat, jadu, saaya wagayra istarah ki lambi rohani bimario ki list hai jis mein koi bhi insan kabhi bhi bimar hosakta hai jis say oska luck bigar jata hai aur result har kam mein nakami honay lagti hai,
Is baat mein koi shak nahi kay insan apni mehnat aur soch say apni kismat ko behtar say behtar bana sakta hai lekin andekhi kowat ka bhi is mein bohat bara dakhal hota hai, yeh andekhi kowat kya hai?
iski misal aap arshad chai wala ko he dekh lejiay chai bechnay wala aik aam shaks ka luck aysa chamka kay aaj woh kahan say kahan pohanch gaya, is say bhi ziada attaractfull aur khubsurat log aap ko europe mein gatar saaf krtay nazar ay ghay, yeh andekhi kowat he thi jisnay arshad chai walay ko kahan say kahan pohancha dia yeh gaybi imdad kabhi bhi kisi ko bhi urooj par pohancha sakti hai, gaybi kowat 2 types ki hoti hain aik positive aur dosri negative, positive kowat insan ko kamiab bana deti hai aur puri zindagi insan ki aik jhatkay mein sanwar jati hai aur negative gaybi kowat say acha khasa kamiab khushal insan aik jhatkay mein tabha wa barbad hokar reh jata hai, zamana e qadeem say he olma e rohaniat nay in kowat par research ki aur inko invoke kar kay kisi bhi insan ki taraf in kowaton ko attaract krnay ya onki taraf lanay kay liay kai amliyat sala saal kay tajorbat ki boniad par aijad kiay, in amliyat ki madad say kisi kay bhi bad luck ko good luck mein tabdeel kia jasakta hai,
rohani bimario ki lambi list mein aik karz ka marz bhi shamil hai, karz aik aysa marz hai jis mein insan ghut ghut kar zindagi basar krta hai raaton ki neendain orjati hai, hasi mazak bhol jata hai sab say tanha aur akela rehnay lag jata hai aur depression ka mariz ban kar apni ya dosron ki zindagi ka khatma krnay par majbor hojata hai ya phir jurm krnay par majbor hojata hai jis say apni aur apni family ki zindagi ko jeetay jee jehnom bana deta hai,
Dunia mein kai insan ko apni kabliat, mehnat aur soch par bara naaz hota hai woh yeh sochtay hain kay humaray pas har maslay ka hal hai hum har kam ko easily solve kar saktay hain isi ghumand mein kai log apnay chotay say bussiness ko mazed bara krnay ka sochtay hain aur bank say loan letay hain ya kisi shaks say karz lekar kam ko mazed bara kar kay thek thak pesay kamae takay ameer tarin logon mein shumar hosakay aur zindagi aram say khushali mein guzar jay, onki soch to har lehaz say perfect hoti hai lekin woh "andekhi" kowat ko nazar andaz kar detay hain aur chot kha jatay hain, aik acha kamiab shaks woh hai jo yeh sochay kay agar meray is kadam othanay say lar khara kar gir gaya to iska anjam kya hoga? kai log aysa nahi sochtay woh yeh sochtay hain kay agar aysa kuch bora ho bhi gaya to dekha jay ga sab handle kar day ghay, lekin woh handle nahi kar patay aur badluck aysa onki life mein ajata hai kay loan par loan letay chalay jatay hain aur karz ka pahar itna bara apni life mein khara kar detay hain kay onki kabliat onki soch onkay kisi kam nahi aati bas aik he rasta onko dikhae denay lagta hai suiside karnay ka, kuo kay karz ka pahar khud woh apnay hathon say itna buland bana detay hain kay chokatay chokatay sari omar guzar jay gi lekin yeh pahar kabhi khatam honay ka nam nahi lay ga,
Meinay kai logon ko karz kay marz say nejat miltay dekha hai achanak kisi andekhi imdad aysi onko hasil hoti hai arshad chai wala ki tarah kay onka karz sab khatam hojata hai yeh woh khush kismat log hotay hain jinko maa baap ki duain ya kisi wali ya rohaniat ka hath hota hai, olma e rohaniat nay is lucky an dekhi kowat ko taskheer krnay kay kai amliyat batae hain aik khas amal karz kay marz say nejat ka mein yahan share kar raha hon,
Kitab kanon e Tilsimat mein lika hai kay olma e rohaniat Youhna Martas say onkay kisi mureed nay arz kia kay mein ada e karz mein giraftar hon had darjay kay aflas, gorbat aur tang dasti kay sabab ada krnay ajiz hon aap meri madad kejiay kuch amal taleem farmaiyeh jis say gaybi imdad hosakay aur kuch aysay asbab peda hojay kay mera karz ada hojay, Youhna Martas nay osay aik khas tilsim dia jiska chila 40 roz tak krna tha, is amal ko kai olma e rohaniat nay apni nayab kitabon mein muktalif tarikon kay mutabik share kia hai, is amal ko meinay bhi apnay alag maksos tarikay say kia jis say zabardast kamiabi hasil hoi aur kai logon ki is amal say madad ki jo karz ki waja say parayshan thay, mein yahan yeh khas amal share kar raha hon,
Is amal kay liay Bamboo yehni bans ki lathi li jay jis mein baray holes hon, is laathi kay holes wali nalkion ko os shak kay nam kay horof jitni kaat kay li jay, jesay opar image mein 4 nalkia hain yeh amal meinay aak shaks kay liay kia jiska nam anwar hai anwar kay nam mein char horof hain aalif, non, wao aur ray,
In char nalkio par meinay yeh char horof likhay aur anwar kay masael say mansob char ilm ramal ki figures aur ilm adad kay khas hindsay jo anwar say mansob thay woh likhay,
iskay baad meinay Anwar nam kay shaks ko kaha kay woh 4 tissue papers lay aur onko char muktalif jagahon mein rub karay takay os jaga ki dust in tissue paper par lag jay woh char jagahain yeh hain:
Bedroom jahan woh sota hai bed kay nechay ki zameen par rub karay tissue paper ko aur wahan ki dust lay, 2nd almari mein jahan cash aur jewllery rakhi jati hai wahan kay khanay mein tissue paper rub kar kay dust lay, 3rd office mein jahan woh bethta hai oskay nechay farsh par tissue paper rub kar kay dust lay, 4th jahan office mein woh cash rakhta hai wahan kay khanay mein tissue paper rub kar kay dust lay, anwar nay yeh char dust lagay tissue papers mujay diay jo yeh thay,
Meinay is char tissue paper kay saaf hisay par tilsim ajeeb al nafah  ko horof ki shikal mein likha anwar aur oski walda kay nam kay sath,
 Is amal kay baad chalk say mushtari wa zohra say mansob tilsim likha jata hai black iron bari round plate par ramal ki khas figures bhi likhay jatay hain,
Phir small iron cauldron mein bamboo ki 4 nalkia aur char 6 inch wali iron keelay bhi cauldron mein dali jati hain, iskay baad black horseshoe ko cauldron kay nechay U kay shap mein rakha jay aur cauldron kay right side par sugar cane yehni ganay ka ras kisi cup ya glass kay sath rakha jay aur left side mein red colour ki candle jalai jay, horseshoe aur cauldron kay center mein incense ya agarbatti jalai jay, is amal kay baad charon keelay li jay aur aik aik keel par tissue paper lapeta jay istarah,
Charon tissue papers ko charon keelon mein lapaetnay kay baad in keelon ko aik aik kar kay charon bans ki nalkio kay andar dal dia jay,
Keelay tissue papers kay sath bamboo nalkion mein dalnay kay baad isay red candle ki mom say seal kardia jay,
Candle wax say seal karnay kay baad sugar cane juice kay 3 ghont peenay kay baad bakaya juice cauldron mein dal dia jay takay bamboo ki nalkia is qudrati meethay juice ko absorb kar lain,
is amal kay baad in sab ko andheray room mein sari raat rakhnay kay baad suba suraj nikalay kay waqat in charon nalkion ko daria, nadi, samandar ya kisi bhi nehar mein jari pani mein dal dia jata hai,
 Is amal kay baad hasb e tofeek khairat ya meethi koi chez garebon mein niaz kardia jata hai, is amal say karzay ki adaegi kay asbab gayb say peda hojatay hain aur mukhfi kowatay aysay asbab peda krdeti hai jis say koi na koi hal aysa nikal ata hai jis say karza ba asani ada hojata hai, is amal say rizaq mein barkat aur karobar behtar say behtar hojata hai,
Yeh khas amal kai muktalif mukhfi ulomon ka majmoa yehni mixed blended ritual hai is amal mein ilm ramal, ilm jafar, ilm adad, ilm limiya, ilm himiya, voodoo, hoodoo aur santeria shamil hain jiski waja say yeh ilm apnay aap mein bohat zabardast asar samae hoay hai, 
Agar aap bhi karz ki parayshani mein mobtala hain to is amal ko zaror muj say karwae, inshAllah ba khuda aap ko zaror is parayshani say nejat hasil hogi aur gayb say aysay asbab peda honay lag jay ghay kay karz ada honay kay sath rizaq wa karobar mein honay wali har kisam ki parayshanion say bhi nejat mil jay gi aur karobar mein taraqi wa kamiabi hasil hogi,
Rabtay kay liay aap mujay is number par call, whatsap ya viber par message kar saktay hain: 
Phone: +92 03003799165 
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Bamboo nalkion ka yeh khas amal yahin tak complete karta hon inshAllah bohat jald isi ka dosra amal bohat jald share karo ga,
Apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                               Ali.
                                       

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Voodoo Nail Talisman