"Ilm Al-Limiya" yeh nam shayad aap nay pehli bar parha ho aur aap kay zehan mein yeh sawal peda hota hoga kay ilm limiya kis ilm ko kaha jata hai?
Ilm Al-Limiya woh ilm hai jis kay zariay hum Darakthon(tree) ya podon(plants,herbs) ki mokhfi rohaniat ko taskheer ya invoke kar kay onsay apni aur dosron ki problems solve kartay hain, yeh aak gupt ilm hai jiska raaz sadion say log poshida rakhtay ay hain, magar mein har rohaniat ka poshida raaz aap sub say share karta hon aur karta rahon ga mera maksad rohaniat ko is scientific dor mein aam karna hai takay woh log jo scientifiic soch rakhtay hain jo rohaniat ya rohani olom ko nahi mantay ya woh log jinko thag fraud logon nay rohaniat kay nam par fool banaya jis say on logon ka rohaniat say aitebar oth gaya hai istarah kay sabi logon ko sahi aur sachi rohaniat aur rohani olom kay mutalik raaz share karnay hain takay woh samaj sakain kay in olom mein kitna asar hai jisay humaray bozrog aur ancestors sadion say amal kartay ay hain onhe kay zariay humay yeh muqadas ilm naseeb hua hai,
Pak aur Azeem hai woh Rab ki Zaat jisnay insan ko peda kia aur oskay liay tarah tarah ki nehmatay is dunia mein peda ki, in nehmaton mein aak nehmat "Darakht(Trees)" hain jis kay phal say na sirf hum khorak hasil kartay hain balkay muktalif bimario mein bhi inko dawai mein use kia jata hai, Allah pak nay Hikmat ka ilm dia apnay khas bandon ko warna jahil insan to isay ghas phos he samajta hai, jistarah Allah pak nay hikmat ka ilm apnay khas bandon ko ata farmaya isitarah aak mokhfi ilm bhi apnay khas bandon ko ata farmaya aur is mokhfi ilm ko ilm limiya kehtay hain, aak ilm zahiri kehlata hai yeh ilm hakim log jantay hain aur muktalif payr podon ko dawai mein use kartay hain isitarah batni ilm bhi hai jiskay zariay payr podon ki mokhfi rohaniat ko dawai kay tor par use kia jata raha hai sadion say aur is ilm ko poshida rakha jata raha hai, aaj mein net par yeh ilm aap sub say share karnay jaraha hon, meray is article kay 3 hisay hain, part:1 mein darakhton aur oski rohaniat kay mutalik mein share karon ga aur part: 2 mein apnay zati rituals aur amliat kay mutalik share karon ga, part: 3 mein jari botion aur oski rohaniat kay mutalik mein kafi kuch share karon ga,
Darakt yehni Tree jiska sath insan kay sath tab say hai jab insan Jannat mein tha, Darakt ka rishta insan kay sath bohat qadeem zamanay say raha hai, kafi kisay aur wakiat bhi paygambaron kay hain jo Darakt kay mutalik hain jesay Shajar e Adam(a.s) yehni woh khas jannat ka darakt jiska phal khanay say Allah pak nay Hazrat Adam(a.s) ko manah farmaya tha, isi tarah Shajar e Musa(a.s) ka woh khas darakt jiskay zariay say Allah pak nay hazrat Musa(a.s) say baat ki, isitarah Shajar e Muhmmad(s.a.w) ka woh khas darakt jo jannat mein hai jiskay mutalik kafi ahadees e pak hain, yeh sub wakiat aur rawayat aap nay shayad parhi hongi magar kabhi ghor nahi kia hoga magar mera yeh article parhnay kay baad aap ko kai chopay raaz malum paray gay, mein pehlay woh kuch wakiat aur rawayat paygambaron kay jo darakt kay mutalik hain share karon ga oskay baad ilm al-limiya kay mutalik aap say kafi kuch share karon ga.
*Shajar e Hazrat Adam(a.s):
Allah pak nay Hazrat Adam(a.s) aur Hazrat Bibi Hawa(a.s) ko peda kiya aur dono ko jannat mein rakha aur jannat mein 2 khas darakt peda kiay aak woh darakt jisay Shajar e Hayat ya "Tree of Life" kaha jata hai, Allah pak nay hazrat Adam(a.s) say farmaya kay is darakt say khob phal khao apni biwi ko bhi khilao magar nazdeek mat jana dosray darakt kay, woh dosra khas darakt akhir konsa darakt tha aur oska phal khanay say kuo mana hua aur woh darakt jannat mein kuon tha? istarah kay kai sawalat zehan mein atay hain aur yeh aak raaz hai aur humaysha raaz he rahai ga, kitab "Kasas Al-Anbia mein is khas darakt kay mutalik istarah likha hai:
Quran e pak mein is khas darakt kay mutalik istarah likha hai:
Magar shaitan nay dono ko behkaya aur os khas darakt kay phal khanay kay liay majbor kia aur phal khanay kay baad dono ko jannat say nikal dia gaya, Quran pak mein yeh wakia istarah likha hai:
Yeh to tha khas darakt jisay shajar e Adam(a.s) kaha jata hai aur aab mein kuch aur khas darakton kay mutalik batata hon,
*Shajar e Hazrat Nuh(a.s):
Hazrat Nuh(a.s) ki kom jab har kisam kay gunnah mein mobtala hoi to hazrat Nuh(a.s) nay Allah pak say Dua ki jiskay mutalik kitab "kasas Al-Anbia" mein istarah likha hai:
yeh woh khas darakt tha jiski wood say hazrat Nuh(a.s) nay Allah pak kay hokam say kashti banai thi aur baqi wakiat hazrat Nuh(a.s) kay Quran pak aur ahadees e pak mein likhay hain, woh khas darakt jis say kashti banai gai os darakt ko shajar e Nuh(a.s) kehtay hain.
*Shajar e Hazrat Younis(a.s):
Hazrat Yunus(a.s) ka wakia jis mein bari fish nay Hazrat Yunus(a.s) ko nigal lia tha phir Allah pak kay hokam say fish nay samandar kay kinaray ogal dia aur wahan veeran jaga par Allah pak nay Hazrat Yunus(a.s) kay liay khas darakt ogaya yeh sub wakiat Quran pak aur Ahadees mein likhay hain, Kitab Kasas Al-Anbia mein Shajar e Yunus(a.s) kay mutalik istarah likha hai:
*Shajar e Hazrat Musa(a.s):
Shajar e Musa(a.s) woh khas darakt hai jis kay zariay Allah pak nay Hazrat Musa(a.s) say baat ki thi aur yeh wakia Quran pak mein istarah likha hai:
Kitab kasas al-anbia mein is khas darakt kay mutalik istarah likha hai:
*Shajar e Hazrat Sulayman(a.s):
Allah pak nay Hazrat Sulayman(a.s) ko woh khas ilm ata farmaya tha jis say aap(a.s) janwaron, parindon aur payr, podon say batain kia kartay thay onki batain samajtay thay, aak mashor wakia jo ahadees e pak mein likha hai mein yahan share kar raha hon:
In Ahadees e pak say yeh baat sabit hoti hai kay payr, poday ya darakt apnay andar achay aur boray dono asrat rakhtay hain iska bara mein mazeed details mein agay share karon ga,
*Shajar e Hazrat Zakaria(a.s):
Kitab kasas al-anbia mein hazrat zakaria(a.s) ka wakia istarah likha hai:
Hazrat Ibn Abas(r) farmatay hain kay Huzoor(s.a.w) jab sayr kay liay tashref lay ghay asman par hazrat zakaria(a.s) say molakat hoi, inhai salam kia aur kaha, ay abu yehya mujay apnay katal kay baray mein khabar dejiay woh kesay hua aur bani israel nay kis waja say aap ko katal kia? onhonay farmaya: ay Muhammad(s.a.w) mein aap ko hazrat yehya(a.s) kay mutalik khabar deta hon kay woh apnay zamanay kay behtarin aadmi thay jo khobsorat aur roshan chehray walay thay woh Allah pak kay is farman kay mutabik sardar hoga aur aurat kay pas na jay ga, aap(a.s) ko aurat ki khuwaish na thi, bani israel kay badshah ki biwi on par farifata hoi woh aak fahisha aurat thi os nay aap ko paygam bheja, Allah nay onki hifazat ki aur hazrat yehya(a.s) nay inkar kardia to os nay hazrat yehya(a.s) kay katal ka irada kar lia, onka eid ka jis mein tamam log jamah hotay thay aur badshah ki aadat yeh thi kay woh wada khilafi nahi karta tha aur jhoot bhi na bolta tha, jab badshah eid kay liay nikla oski biwi othi aur osnay alwida kaha, badshah ko os par tehjob hua osnay pehlay kabhi aysa nahi kia tha, badshah nay oskay alwida say khush hokar kaha mago muj say kya magti ho, tu jo bhi cheez magay gi tujay don ga, osnay kaha mujay yehya bin zakaria(a.s) ka khoon chahehai, badshah nay kaha oskay ilawa kuch aur mang lay osnay kaha yahi chahehai, badshah man gaya, osnay apnay banday bhejay to hazrat yehya(a.s) apnay hajray mein nimaz parh rahai thay aur mein bhi onki aak janib nimaz parh raha tha, onhonay hazrat yehya(a.s) ko aak thal mein zibah kia aur onka khoon aur sar os aurat kay samnay pesh kia, Huzoor(s.a.w) nay pocha aap nay kis darjay tak sabar say kam lia, onhonay farmaya kay meinay apni nimaz nahi tori,
Hazrat zakaria(a.s) kehtay hain kay jab aap ka sar aurat kay samnay pesh kia gaya to sham kay waqat Allah pak nay badshah, oskay ahal wa ayal aur nokron ko zameen mein dhansa dia, jab subha hui to bani israel nay kaha: zakaria ka rab oski waja say naraz hogaya, chinachay aao kuon kay hum apnay badshah ki waja say naraz huay to zakaria ko katal kartay hain, woh mujay katal karnay kay liay meri talash mein niklay meray pas aak aadmi aya osnay halat say agha kia mein wahan say bhag gaya aur shaitan onkay agay agay onki rehnomai kar raha tha, jab mujay khof hua kay mein on say ziada bhag nahi sakta to aak Darakt khola os nay muj say kaha idhar meri taraf aao meri taraf, chinachay mein oski taraf gaya aur os mein dakhil hogaya, shaitan aya os nay meri chadar ka aak kona pakar lia, darakt apas mein mil gaya aur meri chadar ka aak kona bahir reh gaya, jab bani israel ay to shaitan nay on say kaha, kya tum nay dekha nahi kay woh apnay jaadu kay zariay is darakt mein chala gaya, onhonay kaha kay hum is darakt ko jala detay hain to shaitan nay kaha kay nahi balkay isko aaray kay sath cheer do, to mujay aur darakt ko aaray kay sath cheer dia gaya, Nabi(s.a.w) nay on say pocha kya aap ko koi dard ya takleef mehsos hoi? onhonay farmaya nahi balkay os darakt ko takleef hoi jis mein Allah pak nay meri rooh dal di. (ibn asakar fe muktasir tarikh damshak 9-50)
aur aak rawayat istarah hai:
*Shajar e Hazrat Essa(a.s):
Muqadas kitab e Anjel yehni Bible mein hazrat Essa(a.s) ka aak mashor wakia likha hai jis mein Hazrat Essa(a.s) nay aak darakt ko bad dua di thi woh wakia wikipedia site say copy paste mein yahan kar raha hon jo english mein hai:
"The next day as they were leaving Bethany, Jesus was hungry. Seeing in the distance a fig tree in leaf, he went to find out if it had any fruit. When he reached it, he found nothing but leaves, because it was not the season for figs. Then he said to the tree, “May no one ever eat fruit from you again.” And his disciples heard him say it.
In the morning, as they went along, they saw the fig tree withered from the roots. Peter remembered and said to Jesus, “Rabbi, look! The fig tree you cursed has withered!” “Have faith in God,” Jesus answered. “Truly I tell you, if anyone says to this mountain, ‘Go, throw yourself into the sea,’ and does not doubt in their heart but believes that what they say will happen, it will be done for them. Therefore I tell you, whatever you ask for in prayer, believe that you have received it, and it will be yours. And when you stand praying, if you hold anything against anyone, forgive them, so that your Father in heaven may forgive you your sins.” (Mark 11:12-14 and 11:20-25)
aur dosri jaga istarah likha hai:
"Early in the morning, as Jesus was on his way back to the city, he was hungry. Seeing a fig tree by the road, he went up to it but found nothing on it except leaves. Then he said to it, “May you never bear fruit again!” Immediately the tree withered. When the disciples saw this, they were amazed. “How did the fig tree wither so quickly?” they asked. Jesus replied, “Truly I tell you, if you have faith and do not doubt, not only can you do what was done to the fig tree, but also you can say to this mountain, ‘Go, throw yourself into the sea,’ and it will be done. If you believe, you will receive whatever you ask for in prayer.” (Matthew 21:18-22).
Beri kay darakt mein bohat asrat hotay hain aur jo log gao(village) mein rehtay hain onko malum hota hai aur woh is darakt ko katnay mein ahtiat kartay hain kuo kay jo is darakt ko katta hai woh jinati asrat mein ajata hai ya aur kai parayshania aur masail mein ghir jata hai,
Beri kay darakt kay ilawa aur bhi kai ahadees aur rawayat hain darakton kay mutalik jesay khajor kay darakt ka Nabi pak(s.a.w) say juda honay par rona aur darakton ka aap(s.a.w) kay hokam par amal karna istarah ki kafi ahadees mojod hain.
The Blessed Tree(the only living sahabi)
Blessed tree woh khas sahabi darakt hai jo Nabi pak(s.a.w) kay zamanay say lekar aaj tak zinda aur salamat mojod hai, is darakt kay pas Nabi pak(s.a.w) nay safar kay doran aram farmaya tha, aur Nabi pak(s.a.w) nay is darakt ko dua di thi, aur aaj itnay taptay garam registan mein siwa is darakt kay koi bhi darakt nahi, yeh aak mojaza hai, is darakt par documentry film bhi bani hai jiskay trailer ka clip mein yahan share kar raha hon:
Blessed tree kay trailer clip dekhnay kay baad aap ko yakin agaya hoga kay darakton mein kafi asrat aur rohaniat mojod hoti hai aur in asrat aur rohaniat ko observe kar kay ilm al-limiya jannay walay in darakton ki rohaniat say kafi kam letay hain,
Sacred Trees:
Dunia mein kai aysi jagahon par sacred aur muqadas darakht hotay hain jo apnay mokhfi rohani asrat ki waja say mashor hotay hain yeh darakt khas kar muqadas jagahon par hotay hain jesay masjid ya mazaron par, jistarah opar blessed tree kay mutalik bataya gaya kay woh sahabi darakt hai isitarah sufi dervash ya aulia darakt bhi hotay hain jo insano ko apna rohani fayz detay hain jab koi insan aysay darakt kay pas beth kar murakba(meditattion) karta hai ya ghor wa fikar karta hai to darakt mein mojod rohaniat osay guide karnay lagti hai aur woh insan rohaniat ko samajnay lagta hai:
Gautam Buddha ko bhi rohaniat aak darakt kay neechay beth kar murakba karnay say mili aur os khas darakt ko "Buddhi Tree" kaha jata hai, isitarah kafi pir, fakir, sufion aur dervashon nay bhi rohaniat isitarah hasil ki thi, kuch olma e rohaniat kay mutabik puranay aur qadeem darakton mein Hazrat Khizar(a.s) ki hazari hoti hai aur wahi rohani ya batni oloom ki taleem detay hain jistarah hazrat musa(a.s) ko baatni oloom ki taleem di isitarah gautam buddha aur kai pir, fakir, sufi, dervashon ko bhi baatni oloom aur rohaniat ki taleem di,
Hazrat khizar(a.s) ko jew aur christianity mein "Green man" kaha jata hai isliay kay jahan haryali aur subza ziada hota hai wahan Hazrat Khizar(a.s) ki hazari hoti hai, Hazrat Abu Hurayra(r) ki rawait hai kay Nabi pak(s.a.w) nay farmaya "Khizar ka nam khizar isliay rakha gaya kay jab woh kisi khushk ghas ya khali zameen par bethtay to onkay baad os par subza ogh aata".(bukhari sharif kitab al-anbia hadees 3402), olma e rohaniat kay mutabik qadeem muqadas darakton par hazrat Khizar(a.s) ki hazari hoti hai aur aap(a.s) he oloom e mokhfi ya baatni rohani oloom ki taleem detay hain jo wahan beth kar morakba karta hai ya rohaniat mein ghor wa fikar karta hai.
Haunted Trees:
Jistarah sacred trees hotay hain jo apnay achay asrat ki waja say mashor hotay hain isitarah dunia mein kuch aysay darakt bhi mojod hain jo apnay boray shaitani asrat ki waja say mashor hain, in darakton par jinat, asayb, churail wagayra ka basera hota hai jab koi insan aysay darakton kay nazdeek jata hai woh gaybi shaytani taqatay har kisam ki takleef os insan ko pohacha sakti hain mein yahan kuch mashor aysay darakhton kay mutalik aap say share karta hon,
Shajar e Wak Wak:
Shajar e wak wak aak asayb zada ya jinati darakt hota hai jo ziada tar jungle ya veeran jagaon mein hota hai, is darakt kay nazdeek jab koi jata hai to onko hoor ya pari ki tarah khobsurat larkia darakt par fruit ya phal ki tarah latki nazar aati hain jo apni taraf ishara karti ya bolati hain, jab koi insan onkay hosan kay sehar mein phas jata hai to woh ya to apna hosh kho kar pagal hojata hai ya khoff aur dar say mar jata hai, kafi purani arabic books mein in ajeeb darakt kay mutalik kafi kuch likha hota hai, arabic kitab "Hayat Al-Haywan" mein kamaludin al-damri likhtay hain kay "al-waq waq aak kisam ki makhlok hai jo kisi darakt aur kisi janwar say peda hui hai", is kitab mein likha hai kay waq waq al-salatah nam ki churail ki kisam mein say hai, yeh khabis shaitani churailon ka aak group hota hai jisay "al-ghol e bayabani" bhi kehtay hain, yeh churailay apna rop badal badal kar logon ko parayshan karti hain, wak wak darakt ko wak wak isliay kaha jata hai kay is darakt mein say awaz aati hai wak wak aur koi shaks is ajeeb awaz ko son kar os darakt kay pas pohanchta hai to osay darakt par bohat he khobsurat larkia phal ki tarah latki hoi nazar aati hain jo apas mein hasi mazak karti aur khelti rehti hain on mein itna hosan hota hai kay insan dekh kar apna hosh kho bethta hai aur onsay milnay ki chahat karta hai jab woh aysa karta hai to woh churail larkia osay pagal kar deti hain ya woh shaks coma mein chala jata hai ya mar dalti hain, yahan mein kuch images shajar e waq waq ki share kar raha hon jo muktalif qadeem arabic books ki hain, humaray muslim olma e rohaniat nay is ajeeb darakt kay mutalik kafi kuch likha hai,
Aur aab mein yahan world map ki image share kar raha hon yeh world map humaray muslim olmao nay banaya tha is map mein bataya gaya hai os island kay mutalik jahan shajar e waq waq bohat ziada pay jatay hain:
Meray mutabik shajar e wak wak ka island ya jazira jahan wak wak darakt bohat hotay hain woh Thailand mein mojod hai aur thailand kay log wak wak darakt kay mutalik khob jantay hain woh log wak wak darakt ko "Nareepol" kehtay hain mein yahan kuch images thai nareepol ki share kar raha hon:
Wak wak ka darakt jesay thailand kay log nareepol kehtay hain thai logon ki history is darakt kay mutalik mujay thailand ki aak site say mili jo mein yahan share kar raha hon:
" One of the greatest mysteries in Thailand surrounds the existence of Tree Women known as Naree Pon or Makalipon. Naree Pon are like fruit Faeries, females with perfect form and great beauty.
Legend has it that the God Indra ( Phra Indra or Phra-In in Thailand) created a magical forest as a safe abode for Prince Vessantara and his family to live. This forest he called the Himapan Forest. Prince Vessandara was the Lord Buddha in one of his previous lives. In the Himapan Forest, Indra planted 16 magical Nareepon trees. Lord Indra had two reasons for planting trees with fruits like gorgeous women. The first reason was to catch out the misbehaving Deities who had not been able to overcome their sexual lust. They would be tempted to make love to these tree Fairies and then would immediately fall into a coma. When they awoke they would find their magical powers had disappeared. The second reason was to protect the wife of Prince Vessandara from being pestered After the Nareepon flowers blossomed, bunches of Naree Pon would be formed. In 4 days they would drop from the tree and could talk, dance and sing. In just 7 days they would die and start to shrivel until eventually becoming about the size of a person’s hand. Legend states that Nareepon trees will exist until the World no longer has a single person following the teachings of the Lord Buddha.
Some Forest Monks have claimed the existence of Nareepon trees in some other parts of the World.Perhaps the 2 most famous Naree Pon are the ones kept by Luang Pho Jarun at Wat Ampawan In Singburi. These Nareepon tree women have undergone extensive tests showing that they contain the heart, lungs and other internal organs but no bones".
Thailand ki history kay mutabik nareepol darakt par larkia phal ki tarah ogti hain phir 7 dino baad woh sokh kar mar jati hai aur sokh kar doll ki tarah ban jati hai aur thailand kay log in dolls ko muqadas mantay hain apnay gharon mein rakhtay hain takay ghar mein khushali ho aur kuch log isay amliat mein bhi use kartay hain, in dolls ki images yeh hain:
Shajar e wak wak ki aak aur kisam bhi hai, pehli kisam mein opar bayan kar choka hon dosri kisam mein wak wak darakt mein sirf larkion kay sar phal ki tarah latkay nazar atay hain, on sar kay lambay baal darakt ki tehnio mein bandhay hotay hain, yeh larkio kay sar anay walay halat ya mostakbil kay mutalik peshangoi bhi kartay hain, arabic qadeem books mein likha hai sikandar e azam jab apni foj kay sath jang par niklay to onka samna bhi jungle mein wak wak darakt say hua os darakt mein larkio kay sar latkay hoay thay aur onhonay sikandar e azam ko anay walay halat kay mutalik bataya:
Qadeem arabic kitab "Ajaib Al-Makhlokat" mein is kisam kay wak wak darakt kay mutalik istarah likha hai:
"aak jazira waq waq ka hai yeh jazira rayah say mila hua hai, is jaziray ki hokmaran aak aurat hai, mubarak sayrafi nay likha hai kay meinay is jaziray ki hakma aurat ko dekha jo bina kapron kay takht par bethi thi sar par taj e zard rakhay thay aur oski khidmat gar 4000 auratay mahir, konwari aur bina libas kay hazir thi, is jaziray mein aak kisam ka darakt hai jis kay phal say awaz wak wak ki peda hoti hai aur yeh phal larkion kay sar ki tarah hain".
Japan mein bhi japanese logon ko bhi istarah kay darakt ka ilm hai woh is darakt ko "Jinmenju Tree" kehtay hain, aak japanese site say mujay iski history mili jo yahan share kar raha hon:
"The human-faced tree: According to Yokai Attack: The Japanese Monster Survival Guide by Hiroko Yoda and Matt Alt (published by Kodansha, 2008 pp. 114-117) this tree grows to a height of 6 to 35 feet. It is extremely rare and grows mainly in mountainous valleys. Its fruit takes the form of human heads which can speak either singly or as a chorus. If they aren't talking they giggle. The fruit is said to have a somewhat citric, tangy flavor, but as the authors of Yokai Attack muse "...we wonder what kind of person would bite into the head of a tiny human..." They offer no threat and actually are rather gentle. In fact, they are so easily amused that sometimes they laugh themselves right off the tree". Kafi kisay kahanio mein bhi wak wak kay darakton kay mutalik likha hota hai jesay hatim tai ki kahani mein bhi mojod hai, hatim tai ki kahani par aak indian film bhi bani hai os film mein bhi wak wak darakt ko bohat khobsorti say dikhaya gaya hai:
Indian movie jiska nam Hatim Tai hai is film mein Hatim tai 7 sawal pura karnay kay liay jatay hain jungle mein osay kuch log darakt par oltay latkay nazar atay hain jo wak wak darakt kay hosan kay jaadu mein phans jatay hain aur bar bar yahi kehtay jatay hain "aak bar dekha hai dosri bar dekhnay ki hawas hai", hatim bhi is wak wak kay darakt kay sehar kay jaal mein phans jata magar osay taweez nay bacha lia, yeh story aur film humay kafi kuch batati hai, aaj ka scientific dor bohat taraqi kar gaya hai abadi itni barh gai hai kay jungles wagayra khatam horahai hain, veeran jagahain aab abad hoti jarahi hain aur logon ka jungle mein jana kam hota hai mahol ka asar na sirf insan par hota hai balkay jinat aur shaitani taqaton par bhi hota hai woh bhi mahol ko dekh kar mahol mein he apnay aap ko dhal letay hain, jesay gol e bayabani jinat pehlay wak wak kay darakton kay rop mein ziada hotay thay aur aab wahi wak wak darakt nay computer ka rop apna lia hai, log is wak wak computer mein bhi shaitani jaal mein phans jatay hain aur behooda photos aur behooda porn movies dekhnay lagtay hain aur aak bar jisnay aysa kia osay aadat par jaati hai woh bar bar dekhnay lagta hai aur osi hatim tai film ki tarah oskay zehan mein yahi baat aati hai "aak bar dekha hai dosri bar dekhnay ki hawas hai", jab koi hatim tai ki tarah onko advise deta hai samjata hai to osay yahi jawab detay hain kay humay humaray hal par chor do hum aysay he oltay tangay rahai gay, aaj ki new generation kay young larkay wak wak computer ya wak wak mobile phone par sara din sms kartay aap ko nazar ay gay, jistarah wak wak ka darakt wak wak ki awaz nikal kar logon ki tawaja apni taraf karta tha isitarah computer aur sms ki tune bhi young larkon ko apni taraf mael karti hai, is say bachnay ka hal yahi hai kay hum nimaz parhain ibadat karain ya koi taweez ya dhaaga ya aysi koi sacred chez apnay pas rakhay takay in shaitani jaal say mehfoz reh sakain, meri dua hai Allah pak aap sub ko istarah kay behooda shaitani kamo say dor rakhay(Ameen).
Ilm Al-Limiya ka pehla part khatam hua, inshAllah kuch arsay baad iska dosra part post karon ga, apnay bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga.
Ali
+92 03003799165
My Other Articles: