Pages

Monday, January 2, 2023

Jal Jaral

Meray aziz, dost aur meray clients ko aksar muj say yeh shikaet rehti hai kay Ali bhai aap mukhfi alom par to aksar postings apnay blog par kartay rehtay hain lekin mukhfi makhlokat kay topic par kuch share nahi kartay, woh muj say aksar jinnat, humzad, arwah, parion aur jal parion kay mutalik sawalat pochtay rehtay hain aur mein onko humaisha yahi jawab deta aya hon kay bohat jald inkay topic par bhi bohat kuch share karon ga to aaj woh waqat agaya hai, aaj mein aik khas jinnat kay raaz ko aap sab say share karnay wala hon,

Jin arabic nam hai jiska matlab yeh hai kay aysi makhlok jo insani nazaron say ojhal chop kar rehti ho aur humari dunia kay andar he aysi kai duniae abad hain jo insani nazaron say ojhal hain aur in duniao ki makhlokat mein say koi makhlok achanak zahir hojati hai aur insan is makhlok ko dekh kay hayrat mein par jata hai kay akhir yeh hai kya chez jo na to janwar jesi hai na insan jesi aur yeh makhlok humari dunia ki nahi lagti, 

Aaj kay scientific dor kay insan ki soch bhi scientific hogai hai aur aysi jinnati makhlok ko Alien ya Extraterrestrial ka nam dia jata hai yehni dosri dunia ki makhlok, humari dunia mein aysi kai jinnati makhlokat morda halat mein mili hain jisay dekh kar baray baray scientist logon ka zehan chakra jata hai kay yeh akhir kya bala hai,

Qadeem alom wa mukhfiat ki books mein in jinnati makhlokat ki bari tafseel aur onko taskheer karnay kay amliyat likhay hotay hain, aik waqt tha jab in books ki bari qadar thi lekin aaj ka insan jab yeh batain books mein parhta hai to osay yeh sab mangharat kahani lagti hai jiski koi haqeqat nahi aur jinnati makhlok kay wajod par yakin karnay ko dil nahi karta,

Mukhfi alom ki nayab books mein aik nayab book Anwar e tilsimat hai jisay Alama Rafique zahid sahab nay likhi hai is book kay end kay pages mein aik ajeeb wa gareeb jinnat makhlok kay mutalik likha hai jo kisi aur book mein is makhlok ka zikar meinay kahin nahi parha,

Allama Rafique zahid sahab nay olma e mukhfiat hakim TamTam hindi kay Rasael mein likha aik jinnati makhlok ka wakia aur amal share kia hai jo yeh hai: 

Hakim Tamtam Hindi apnay Risael mein likhta hai kay hindustan aik aysa mulk hai jahan kay dariaon qudrati chashmon, jheelon aur konwon ka pani nehaet thanda aur meetha hota hai, os mulk kay log ziada tar konwon ka pani he istamal kartay hain jo qudrati tor par saaf wa shifaf har kisam ki alodgi say mehfoz aur sehat kay liay dosray panio ki nesbat ziada mufeed hota hai, Hakim likhtay hain kay woh hindustan kay aik bohat baray shehar calcatta mein kayam pazer tha kay aik din onka aik sathi onkay pas yeh aik ajeeb khabar lay kar aya kay osnay aik jaga par logon ka bara rash dekha to woh onki taraf chal nikla wahan pohanch kar dekha to log konway kay charon taraf jamah thay aur onkay darmian aik ajeeb balisht bhar lamba aik insan mojod tha jiskay mutalik logon nay bataya kay yeh is konway kay pani say nikla hai, hakim sahab nay jab yeh khabar apnay sathi say sunni to oskay hamrah foran oski batai jaga par pohanchay jahan onkay sathi ki bayan karda tadad say kahin ziada log mojod thay jo os insan noma ajeeb makhlok ko dekh dekh kar hayrat mein ghum hoay jarahai thay, hakim sahab kay mutabik onhonay is chotay qad kay pani kay insan ko jesay bhi onsay mumkin hoa on logon say hasil karlia aur wapis apni kayam gah par akar osko aik kholay muh kay sheshay kay bartan mein band kardia aur oskay khanay penay ki tadber mein lag ghae magar os bonay insan nay intahae koshish kay ba wajod bhi kuch bhi na khaya piya, yahan tak kay woh teen roz tak bay chan parayshan aur bhoka piasa rehnay kay baad jab bilkol marnay kay qareeb pohanch gaya to achanak osnay mujay mera nam laykar pukara aur bataya kay mera talok aabi makhlok say hai jisay Jal Jaral kay nam say pukara jata hai, khuda e pak nay mujay sar say pao tak muktalif kisam kay fawaid say nawaza hai, aur os aabi makhlok nay hakim tamtam hindi ko apnay sar say lekar pao tak sabi apnay fawaid batae aur Jinnati aabi makhlok Jal Jaral ko kistarah taskheer kia jae oskay mutalik bhi amal bataya jo hakim tamtam hindi nay apnay rasael mein likha,

 

Yeh sab parhnay kay baad zehan mein kai sawalat peda hotay hain kay yeh wakia jo hindustan mein pesh aya tha kya yeh sacha wakia hai ya aysay he jhoti kahani likh di gae hai, agar yeh sacha wakia hai to is makhlok ka hindustan ki tarikh mein kahin aur jaga zikar kuo nahi hai? aur yeh aabi jinnati makhlok aik he bar nazar ai calcutta ki city mein  dobara yeh makhlok kuo nazar nahi ai? aur agar is makhlok ka wajod hai to hindustan kay aur ilakon mein yeh kuo zahir nahi hoi? hindustan kay ilawa yeh makhlok aur dunia kay mumalik mein kuo zahir nahi hoi?

In sawalat kay jawabat kisi kay pas nahi aur agar hotay to dunia mein koi na koi shaks is makhlok par tafseel say likhta lekin tarikh mein is makhlok ka zikar kahin nahi milta,

Tu kya hakim tamtam hindi nay apnay rasael mein is jinnati makhlok ka wakia likha hai woh mangharat jhoti kahani hai?

Is sawal ka jawab sirf meray pas hai aur jawab yeh hai kay hakim tamtam ka hindustani wakia 100% sacha hai aur is aabi jinnati makhlok jiska nam Jal Jaral hai iska wajod bay shak hai, yeh hakim tamtam hindi ka wakia kafi qadeem hai aur hakim sahab ka nayab rasael kis tarikh mein likha gaya aur yeh nayab rasael abhi kis kay pas hai yeh koi nahi janta,


Hayrat ki baat to yeh hai kay yeh aabi jinnati makhlok ka wakia dobara hindustan mein he pesh aya hai kuch saal pehlay, yeh aabi jinnati makhlok morda halat mein Bawadi village jodhpur Rajasthan mein puranay konway ko khudnay kay doran hasil hoi lekin afsos is makhlok ka kahin zikar nahi hai isliay osay nazar andaz kia gaya aur kai logon nay osay bandar ka bacha samaj lia to koi alien samaj raha hai, aab yeh malum nahi kay is nayab makhlok ko kahin bekar samaj kar phank dia gaya hai ya dafan kia gaya hai ya hosakta hai kisi nay chemical kay zariay isay preserved kar kay rakha ho, 

Meri yeh posting parhnay kay baad kai hindustani bhai jo alom e mukhfiat mein dil chaspi rakhtay hain is makhlok ko hasil karnay ki koshish karay ghay aur photo par nazar anay walay shaks say malumat hasil karay ghay kay is nayab makhlok ko kahan rakha gaya hai, mujay yeh news indian online channel say hasil hoi, agar kisi hindustani bhai ko is news kay mutalik mazed aur koi information milay to mein onsay guzarish karta hon kay muj say rabta kar kay share karain takay is aabi jinnati makhlok kay mutalik mazed research ki jasakay,


 

Yeh Jinnati aabi makhlok hindustan mein dosri martaba zahir hoi hai, pehlay hakim tamtam hindi kay dor mein zahir hoi pani kay konway mein say aur abhi bhi dobara pani kay konway mein say he hasil hoi hai, makhlok ka size bhi wahi same hai jo hakim tamtam hindi nay likha hai aik balisht kay size ka aur insani shape jesa, os dor mein zinda hasil hoa tha abhi kay dor mein morda hasil hoa hai, is makhlok ka basera pani kay konway mein hota hai,

Is type ki morda makhlok aur country mein say bhi hasil hoi hai lekin yeh malum nahi kay yeh makhlok bhi Jal Jaral hai ya koi aur makhlok hai?

Rab Al Aalmeen nay kai aalam banae hain jo insani nazaron say ojhal hain  aur on aalam ki makhlokat ka achanak zahir hona insani soch ko badal kar rakh deta hai aur aab science aur scientist on mukhfi aalam aur mukhfi jinnati makhlokat par research kar rahai hain Aliens, Aliens worlds ya extrateresstrial kay nam say aur kya pata kai aysay aalam khoj bhi liay hon jisay hum sab say chopaya jaraha ho?

Umeed hai kay aap ko meri yeh aabi jinnati makhlok Jal Jaral ki posting passand ai hogi, hazaron saalon purana wakia dobara repeat hona kuch oljhay sawalat ko janam deta hai jiskay jawabat mazed research say he hasil hosaktay hain,

Jal Jaral kay topic ko abhi yahin tak complete karta hon inshAllah bohat jald new topic kay sath hazir hon ga,

Apnay is Bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                            Ali.

Phone & Whatsapp: +923003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

 

Sunday, February 6, 2022

Camel Holed Bone Talisman


Din ba din barhti mehangai, karobar ki parayshani ya bayrozgari aur rozmara kay kharch par kharch say tang akar kuch log majbori mein apna ghar kirae par detay hain,onko is baat ka bilkol ilm nahi hota kay jisay woh apna ghar kirae par day rahae hain woh log aghay chal kar onkay liay kitnay khatarnak sabit hosaktay hain, woh isi soch mein hotay hain kay ghar kirae par denay say onki paison ki parayshani kafi had tak behtar hojae gi lekin jab woh kiraedar shiateen ki tarah onkay ghar par kabza kar kay beth jatay hain aur onki nahosat aur boray kamo aur bayhoda harkat say pura ghar aur iskay afrad disturb rehnay lagtay hain aur din ba din yeh masla barhta he chala jata hai aur koi aysa rasta nazar nahi ata kay onko ghar say nikala jae woh buray log bari source walay hotay hain aur woh kisi keemat par ghar khali kardenay par taiyar nahi hotay, onko malum hota hai kay malik makan onka kuch bigar nahi sakta, aysay boray kirae daron say ghar ko azaad karanay kay liay olma e rohaniat wa tilsimat nay kai tilsim aijad kiay hain on mein say aik nayab tilsim Shaikh Abdul Qadoos Jamali nay apnay malofozat mein likha hai jisay alama rafique zahid sahab nay apni kitab Qanon e tilsimat mein share kia hai jo mein yahan share kar raha hon,
Kamar dar aqrab (moon in scorpio) ya tayhat al sha(moon less night) kay okat mein yeh tilsim taiyar kia jata hai, kamar dar akrab yehni chand jab burj aqrab mein dakhil hota hai yeh astrology ka waqat easily jantari say malum kia ja sakta hai, tehat al sha yehni jab chand ki akhri tarikhay jab chand asman mein mojod na ho andheri raat ho os waqat tilsim aur wazaif e amal kiraedar kay nam aur oski walda kay nam kay sath red kapray par likha jata hai, agar kiraedar ki walda ka nam malum na hosakay to oski photo kay pechay wazaif e amal sirf oskay nam kay sath likha jata hai,
Oskay baad woh amal likha red kapra ya photo camel ki holed bone mein dal kar bone mein rai kay seeds bhar kar bone ko red candle say momjama yehni seal kia jata hai oskay baad is bone ko adhi raat kay waqat os kiraedar shaks kay zeer e kabza makan ya oskay guzarnay walay rastay jahan par woh aksar guzarta rehta hai wahan dafan kia jata hai, is amal par aik chila yehni 40 din bhi guzar na pae ghay kay is makan kay kiraedar afrad aik dosray say mokhalif hojae ghay, nafrat, adawat, fitna wa fasad wa shar, larai jhagray kay ilawa khof wa parayshani kay sabab tamam log jismani wa rohani amraz mein mobtila hojae ghay, onki khair wa barkat wa khushali badhali mein tabdeel hojae gi, gurbat wa aflas kay asar zahir honay lagay ghay, os makan kay kiraedar sabi afrad udaas, parayshan aur kisi anjanay khof kay zeer e asar pagal wa majnon ban jae ghay, aik aysi ajeeb kisam ki khatarnak surat e hal peda hojae gi kay jiskay natejay mein woh log is ghar ko jis kadar jaldi mumkin hosakay ga chor kar dosri jaga muntakil hojae ghay,

Aap soch rahai hongay kay akhir aysa hai kya camel bone kay tilsim mein jiski waja say aysay khatarnak kisam kay asrat os say zahir hotay hain, iski waja mein yahan muktasir tafseel mein batata hon,
Camel aik jinnati janwar hai yeh ahadees e mubarka say sabit hai, Camel kay jo jinnat wa shiateen hain woh khatarnak kisam kay sifli asrat kay hamil hain, Nabi pak s.a.w nay camel kay baaray mein nimaz parhnay say mana farmaya hai kuo kay wahan shiateen jamah hotay hain, aur camel meat khanay kay baad wazu karnay ka farmaya hai,
Camel bone mein negative aur positive dono asrat hain, iski bone agar ghar mein dafan ki jae to kisi bhi kisam kay jadu kay asrat ghar ya ghar kay afrad par asar andaz nahi hotay lekin woh bone nahi jo kisi bimari ya hadsay ki waja say camel mara ho, os camel ki bone jo qurbani ki eid par zibah kia hoa ho, sirf qurbani walay camel ki bone mein he positive asrat pae jatay hain, logon ko iska ilm nahi hota woh kahin bhi maray hoay camel ki bone ko lekar ghar mein dafan kardetay hain jis say ghar mein shiateen ya jinnati asrat ajatay hain jiski waja say ghar mein sakt nahosat ajati hai,

Camel kay Jinnat wa Shiateen:
Camel kay jinnat wa shiateen kay sardar ka nam "Paiman" hai, english ki qadeem kitab jisay Hazrat sulaiman a.s say mansob kia jata hai, Lesser key of solomon is kitab mein sabi jinnat wa shiateen kay nam likhay hain os mein isay king paimon ka nam dia gaya hai aur muktasir see tafeel iskay mutalik likhi hai,
Arabic ki qadeem kitab jisay Hazrat sulaiman a.s say mansob kia jata hai os kitab mein har jinnat kay mutalik detail likhi hai jistarah microbiology ki kitab mein har virus aur bacteria ka likha hota hai kay yeh kistarah insano par attack kar kay osay bimar kartay hain same isitarah on jinnat wa shiateen ki details likhi hain kay yeh kistarah insano par hamla kartay hain, is kitab mein is shiateen ka holiya istarah likha hai kay yeh chiknahat jesa jelly ki tarah jo hadi ki nali mein hoti hai wesa rop aur holiya insano jesa hai woh mard aur aurat dono ka mixed shape jesa hota hai kabi woh mard jesa lagta hai kabi aurat jesa oska face aur jism melt hota rehta hai jesay garmi mein butter melt hota hai, is shiateen wa jinnat ki mazeed tafseel mein apni agli posting mein insha Allah share karon ga,

Ghar wa makan kay ilawa agar kisi shop ko kiraedar say khali karana ho oskay liay bhi is tilsim ko use kia jata hai, khayt wa baagat, plot ya zameen, farm ya maweshi baaray ya factory ko bhi kiraedaron say khali karanay kay liay is amal ko kia jata hai,
kabza group ya land mafia jesay khatarnak log jo kisi ki zameen na jaiz tarikay say kabza kar kay bethay hon onsay bhi zameen khali karanay kay liay yeh amal best mana jata hai, yeh amal meray rozmara kay mamlat mein say hai, is tilsim say kai logon ko fawaid hasil hoay hain barbad hotay ghar is amal say dobara abad hoay hain, mein iskay mukhfi sifli asrat ka moshaida kar choka hon, is tilsim ki mazeed tafseel aur malumat kay liay aap muj say rabta kar kay malum kar saktay hain,

Phone & Whatsapp: 03003799165
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Insha Allah jald new post kay sath dobara hazir honga,


                                           Ali.
My Other Articles:

Saturday, January 1, 2022

Amal Aqad Al-Tareek

 

Amal aqad al-tareek yehni aysa amal jis kay zariay kisi shaks ka rasta rokna ya oskay safar mein rikawat dalna ya bandish dalna kay woh maksos jaga ya maksos safar par na jasakay, aap nay aksar logon ki zibani yeh suna hoga kay kisi nay muj par ilm karwaya hai jiski waja say mein bahir mumalik nahi ja paraha, sab kam o.k hain phir bhi koi na koi rikawat par jati hai, ya mujay dosri city job ki offer mili hai lekin wahan janay mein koi na koi masla khara hojata hai,

Kisi say milnay jana ho, kisi say salah karnay jana ho ya rishtay kay liay jana ho, ilaj kay liay jana ho lekin woh shaks kisi an dekhi kowat ki waja say os maksos jaga na ja paraha ho, is andekhi kowat ko sirf woh he feel karta hai jis kay sath aqad al-tareek ka masla hota hai,

Aqad al-tareek amal ko kuch log negative view say dekhtay hain kuo kay yeh amal ziada tar dushmani ya hasad mein kia jata hai kay koi shaks apni zindagi mein kabhi kamiab na hosakay,

Aqad al-tareek amal kay bohat say positive fawaid bhi hain aur is amal say kisi ki zindagi tabha wa barbad honay say bach sakti hai, for example koi shaks ghar say bhag gaya ho oskay rastay band karna kay woh kahin dor na jasakay wapis apnay ghar ajae,

Har waldain apni aulad kay achay future kay liay din raat mehnat kartay hain takay oski aulad ka behtar say behtar future ban sakay lekin aulad ki soch kuch aur he hoti hai jo waldain ki soch say match nahi hopati, waldain apni aulad ki soch ko bachkana soch samaj kar nazar andaz kartay hain kay isnay abhi dunia nahi dekhi isay kuch malum nahi aur aulad yeh sochtay hain kay waldain puranay khayalat kay hain onko nai dunia ki kuch khabar nahi kay dunia kahan say kahan pohanch ghae hai, isi waja say nojawan aulad aur waldain kay darmian anban rehti hai aur ay din yeh masla barhta he chala jata hai aur aulad apnay he ghar mein qaidi jesa feel karnay lagti hai, waldain ki ghulami mein raho jesa woh kahain wesa he karna hoga humari khud ki koi zati life he nahi, isi waja say woh is gharilo qaid khanay say azadi chahatay hain aur aysay shaks ki talash mein rehtay hain jo onki feelings ko samaj sakay oska hamdard banay oska sath day aur woh shaks ba asani onko social media ya online games kay zariay mil jata hai aur yahin say tabahi ki chingari peda hokar bari aag ki surat akhtiar karleti hai jis mein hasta muskarata khushal ghar tabha wa barbad hokar reh jata hai,

Kitni he kam age ki larkia gharon say bhag jati hain love kay chakar mein aur apni age ziada bata kar court marriage karleti hain aur police ko bayan istarah deti hain jesay onkay waldain nay sari omar onpar bara zulam kia ho bara torture kar kay rakha ho woh apnay dil ki bharas khol kar batati hain jesay koi jani dushman kay liay kehta hai aur apnay he pyaray waldain ko dunia kay samnay shiateen bana deti hain aysay shiateen jinhonay sari omar onko aziat mein rakha ho aur aab khuda ka shukar hai on shiateen ki aziat say azad hokar aab husband kay sath khush hain, bicharay waldain kay dil par kya guzar rahi hogi jinhonay osko baray lad pyar say pal kar bara kia yeh wahi soch sakta hai jo aulad wala ho,

Jo waldain financially strong ya source walay hotay hain woh is maslay ko basani hal to karletay hain onki aulad bhi wapis ghar ajati hai lekin woh nafrat ka beech dil say kabhi khatam nahi hota woh phir ghar say azadi kay khoab dekhtay rehtay hain,

Jo bicharay gareeb hain woh to kuch bhi nahi kar patay yeh soch kar dil ko tasali detay hain kay humari aulad cancer ki bimari say mar ghae,

Larkia jisko apna humdard samaj kar oskay sath bhag jati hain woh kabhi apni life mein khush nahi rehti, waldain ki bad duain osko kabhi khushal nahi honay deti,

Bohat kam aysi larkia hoti hain jinko sahi humdard naseeb hota hai warna asal rang rop hamdard ka baad mein malum hota hai phir on larkio ko ehsas hota hai kay kitni bari galti onsay hogae apna ghar chor kar, yahan woh aysh ishrat nahi jo apnay ghar mein tha, yahan woh maa nahi jo khanay ki plate hath mein liay dorti phirti thi kay beta pehlay khana kha lo, yahan woh bap nahi jo har mu say kahi khuwaish puri kardeta har chez lekar deta hai,

Yeh to baat hoi ghar say bhagay hoay logon ki, amal aqad al-tarik aur bhi kai uljhay hoay masael ko hal kardeta hai,

Jesay koi shaks bahir mumalik mein job ka keh kar wahan dosri shadi karleta hai aur apni nai dulhan par khob pesay kharch karta hai aysa selfish shaks jesay sirf apni zaat say pyar hota hai osay apnay waldain, apni biwi  aur bachon ka koi khyal nahi hota, woh monthly kharch kam say kam send karnay lag jata hai aur bahana yeh banata hai kay yahan job ki problem chal rahi hai aur waldain biwi bachay osi kay asray bethay rehtay hain, aysay selfish shaks ka rasta roknay kay liay kay woh apni pakistan ki milkeyat, zameen wa jaidad sale kar kay humaisha kay bahir mumalik na jasakay pakistan mein he rahae ispar amal aqad al-tareek kia jata hai,

Kuch aurtain bhi aysi hoti hain jo apnay husband kay ghar ko qaid khana samajti hain aur apni maa kay ghar mein khud ko azad feel karti hain aur wahan khob ayashia karna dosray logon say phone par friendship karna onsay call par batain karnay ka moka wahan onko milta hai, osay support karnay wali oski bad kirdar behan hoti hai ya phir oski maa, onko sirf paison say matlab hota hai,

Aysi aurat ko ghar tak mehdod rakhnay aur apni maa kay ghar janay say roknay kay liay amal aqad al-tareek kia jata hai,

Kuch Husband aysay bhi hotay hain jo apni biwi bachon ko chor kar apnay doston kay ghar ziada waqat guzartay hain wahan khob ayashia kartay hain aur ghar akar doston ka ghusa biwi bachon par nikaltay hain mar peet kar kay, aysay logon ko amal aqad al-tareek say sahi rah par laya jata hai,

Aqad al-tareek yehni rasta roknay wala amal kai baray oljhay hoay masael ko hal kardeta hai in masael ki list bohat lambi hai jo is blog post par nahi likhi jasakti,

Amal aqad al-tareek kistarah kia jata hai oski details mein yahan share kar raha hon,

Amal Aqad Al-Tareek:

Yeh amal wednesday kay din kia jata hai, metal ki plate kay charon taraf aik maksos wazaif ko horofi tarikay say likha jata hai, jiska rasta rokna hai oska nam wazaif kay sath likha jata hai, center mein ramal ki woh figures likhi jati hain jo bandish say mansob hoti hain, center mein jahan black circle hai wahan photo ya used kapray ka piece rakha jata hai jispar amal aqad al-tareek karna hota hai,

Matti kay baray pot ya gamlay mein aag jalae jati hai lekin yeh aag suraj say li jati aik maksos magnifying glass kay zariay jispar suraj say mansob rohaniat ka wazaif engraved kia hota hai, suraj ki dhop os wazaif say par hokar aag jalati hai jis say aag mein aak khas rohani taseer peda hoti hai,



Aag jalanay kay baad jab lakria puri tarah say jal kar koila ban jae oskay baad plate ko gamlay par rakha jata hai aur os shaks ki photo ko saanp ki kenchali yehni skin say lapaeta jata hai, is say yeh taseer peda hogi kay woh aik he jaga mehdod rahae ga,


Photo par snake skin lapaetnay kay baad ispar rayt dali jati hai, rayt garam hoti rehti hai aur is say yeh taseer peda hoti hai kay os shaks ko shaded bechani peda hogi wapis apnay ghar anay kay liay, agar woh shaks bahir dhop mein hoga to aur had say ziada osay bechani peda hogi aur kisi kay ghar mein hoga to ajeeb ghutan sa osay feel hoga jesay rayt mein daba hoa ho, agar soay ga to aysa feel hoga jesay koi wazni chez oskay seenay par pari ho oska sukh wa chan kharab hoga aur woh foran apnay ghar bhagnay ki karay ga,



Rayt photo par dalnay kay baad ramal ki figure jamaet banai jati hai yeh figure bandish say mansob hai,


Rayt dalnay kay baad photo kay opar koi bhari pathar rakha jata hai, mein rough obsidian black stone use karta hon yeh stone saturn say mansob hai aur is amal kay liay best rehta hai,

Stone rayt par rakhnay kay baad aik maksos waqat tak rayt ko garam rakhna hota hai, jab woh shaks khair say ghar wapis ajata hai oskay baad aag ko rayt say bojhaya jata hai pani use nahi kia jata, photo ko kisi haray bharay darakht mein bandh dia jata hai,


Amal Aqad Al-Tareek ko aur bhi kai tarikon say kia jata hai lekin yeh tarika sab say best mana jata hai is say foran fawaid hasil hotay hain jo dosray kisi amal jaldi hasil nahi hotay,

Aap ko agar is amal kay mutalik mazed information chahehai ho ya yeh amal muj say karwana hoto aap muj say rabta kar saktay hain:

Phone & Whatsapp: 03003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Umeed hai aap ko meri yeh post pasand ai hogi aur aap kay ilm mein izafa hoa hoga, insha Allah jald he new post kay sath hazir hon ga,

Apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga,

Allah pak aap ko sada khush wa abad rakhay,


                                         Ali.

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Black Scorpion Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman




Thursday, October 21, 2021

The Black Scorpion Talisman

 

Allah pak hum sab ko dushmano kay shar wa fitna fasad say mehfoz rakhay(ameen), kuch dushman zahiri hotay hain jo khol kar apni dushmani zahiri dikhatay hain jis say oski haysiat, power aur source kay mutalik malum hojata hai aur banda apni os hisab say protection bhi kar leta hai lekin kuch dushman batni hotay hain jo andar he andar planing kartay rehtay hain fitna wa fasad peda karnay kay liay phir achanak zahir hotay hain jis say banda shocked sa hojata hai osay yakin nahi hota kay aik shaks oskay sath itna arsa thek raha yeh achanak dushman kuo hogaya, jis shaks kay dushman ziada tadad mein hojatay hain aur apas mein mil kar group bana letay hain to os banday ko onsay mehfoz reh pana moshkil hojata hai, os banday ki raaton ki nendain din ka sukh chain sab tabha hojata hai, os shaks ki zindagi dar wa khof aur ghotan mein basar hoti hai, osay malum hota hai kay woh kabhi bhi dushmano kay shar, fitna wa fasad ki lapaet mein asakta hai, woh apni taraf say har mumkin koshish karta hai kay dushmano say salah hojae woh dushmani ko chor dain lekin aysa mumkin nahi hota kuo kay woh bohat power mein aur peth pechay onki bari source hoti hai,

Do ya zaed dushmano ki apas mein grouping bohat khatarnak hoti hai, dushmani paison ko lekar hosakti hai, shadi ya rishton ki waja say hosakti hai, jaidad wa zameen ya shop ko lekar hosakti hai, mehbob ki waja say hosakti hai, qanoni masael ko lekar hosakti hai, job ya kam wali jaga mein hosakti hai, do doston kay darmian hosakti hai etc....

Jis banday kay dushman do ya zaed group mein hojatay hain to os banday ki yahi khuwaish hoti hai kay ya to yeh salah kar lain ya yeh do groups apas mein he aik dosray kay dushman ban jae aur mujay bhol jae......, olma e rohaniat wa tilsimat nay aysay khatarnak dushmano kay group kay fitnay fasad wa shar say mehfoz rakhnay kay liay nayab tilsimat aijad kiay jin mein say aik nayab tilsim mein yahan share kar raha hon jisay allama rafique zahid sahab nay apni kitab mein share kia hai,

Qadeem wa nayab kitab "Tohfa e Alam shahi" mein likha hai agar koi apnay dushmano kay shar wa fasad aur onkay makar wa jaal say khud ko mehfoz rakhnay kay liay onkay mabeen fitna wa fasad barpa karna chahai to oskay liay siah nar wa mada bicho yehni black scorpions ka male and female pair lekar ay aur onko kisi container mein dal kar chita ki raakh ya qadeem veeran tabha ibadatgah ki matti dal kar os container ko kisi mehfoz andheri jaga par rakh dain, yeh amal tab karna hai jab planet venus aur saturn kay darmian nazar e taslis ho oskay aik week pehlay yeh amal karna hai phir jab dobara yeh planetry time ay to os conatiner ko khol kar dekhain to woh scorpions sar kar matti ban chokay hongay, is matti ko zarorat kay waqt yeh khas wazifa 41 bar parh kar dam karnay kay baad is matti ko do hison mein kar kay dushmano kay makanat, onki guzargah ya mohalay kay raston mein dal dain takay onkay payr onpar paray, woh dushmano os banday say dushmani chor kar khud aik dosray kay dushman ban jae ghay, is amal ka khas wazifa meinay yahan share nahi kia takay koi kisi par najaiz amal na kar sakay,

The Dried Scorpion's Talisman:

Qadeem wa nayab tilsimat ki kitab "Tohfa e Alam Shahi" kay mutabik yeh amal do planets venus aur saturn ki apas mein nazar e taslis kay doran banaya jata hai lekin meinay yeh tilsim apnay alag maksos tarikay wa tajorbat say banaya aur isay kamar dar aqrab kay waqat par banaya aur iska result tohfa e alam shahi walay tarikay say kuch ziada powerful mila,

Kitab mein likha hai kay scorpions container mein sarh kar matti ban jatay hain lekin woh matti nahi bantay woh dried hojatay hain jinko pees kar powder jesa banaya jata hai,
Har mahinay chand borj e aqrab yehni constellation scorpio mein dakhil hota hai aur yeh arhae din tak os mein dakhil rehta hai is waqat ko "Kamar dar Aqrab" yehni "moon in scorpio" kaha jata hai, yeh woh waqat hota jis mein judai wa nafrat kay amliyat wa tilsimat banae jatay hain, yeh timing easily kisi bhi astrology ki jantari say malum hosakti hai,

Yeh image year 2021 astro jantari ki hai is mein bataya gaya hai kay thursday 4 november ki date ko qamar dar aqrab ka waqat shoro hoga jo saturday 6 date kay adhay din tak rahai ga, is khas waqat kay doran yeh tilsim banaya jasakta hai,

 

The Scorpion's Dust Talisman: 

Scorpion dust yehni bicho ki masan bhi same isitarah he banai jati hai jesay kitab tohfa e alam shahi mein likha hai lekin is mein container ko dafan ki jata hai aur opar aag jalai jati hai jis say scorpion sarh kar matti ban jatay hain, is tilsim mein kalay bakray kay seengh use kiay jatay hain woh kalay pahari bakray jo choti size kay hotay hain jisay Tapari nasal kaha jata hain sindh mein,

In bakaron kay seeng mein on do dushmano ki photos dali jati hain jin mein separation ya judai krwani ho takay aik dosray say nafrat wa bogaz karain,
 
Photos seengh mein dalnay kay baad container jis mein qadeem veeran ibadatgah ki matti ya chita ki rakh hoti hai os mein dal kar male black scorpion dalnay kay baad container ko dafan kia jata hai,

Container dafan karnay kay baad qamar dar aqrab kay arhae din tak aag jalae rakhni hoti hai,
Arhae din tak mosalsal aag say container mein mojod sab chezain sarh jati hain jisay easily dust ki tarah bana kar dushmano ki guzargah par phanka jata hai, is dust ko bicho ki masan aur bahir mumalik mein scorpion's goofer dust kaha jata hai,

 

Need Black Scorpion Talisman?

Black Scorpions yehni kalay pahari bicho zamana e qadeem say he judai wa bogaz kay amliyat mein istamal kiay jatay hain, in scorpions mein aik sifli power hota hai jo do logon ya do groups mein judai karwa deta hai, agar aap qadeem amliyat wa tilsimat ki books dekhay ghay to on mein judai wa bogaz kay amliyat ya tawezat ya tilsimat hotay hain on mein scorpion zaror bana hua humay milta hai, qudrat nay is mein yeh sifli taseer rakhi hai jisay olma e rohaniat wa tilsimat nay moshaida kia aur tilsimat aijad kiay,

Agar aap dushhmano ki waja say parayshan hain on mein judai karwana chahatay hain to aap muj say rabta kar kay yeh khas tilsim muj say banwa kar hasil kar saktay hain,

Rabtay kay liay:

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

Phone, Sms & Whatsap: 03003799165
 

                                               Ali.

My Other Articles:

Camel Bone Talisman

Black Dog Talisman

Black Cat Talisman

Black Snake Talisman

Black Horseshoe Talisman

Black Goat Talisman

Nailed Heart Talisman

Bandish Talisman

Aqad Al Tareek Talisman

Kila Talisman

Hoodoo Candle Talisman

Surah e Falaq Talisman

Bamboo Talisman

Voodoo Nail Talisman




 


 


 
 


 

Thursday, October 7, 2021

Reptiled Hathjori Talisman

 

Hatha jodi ya haath jori aik qudrati tilsim hai jis mein baray khas mukhfi asrat poshida hain, Gidar singhi aur billi ki nal kay baad jo sab say powerful tilsim mana jata hai taskher wa muhabat kay liay woh haath jori tilsim hai,

Haath jori 2 aksam ki hoti hai, aik limiyae aur dosri simiyae,

Limiyae yehni herbal hath jori jiska taluk ilm limiya say hota hai aur yeh rare jari boti hoti hai jiska milna asan nahi log fake bana kar high prices mein sale kartay hain,

Simiyae haath jori woh hoti hai jo reptiles mein say hasil hoti hai yeh goh ya saanp mein say hasil ki jati hai yeh easily saperon say mil jati hai,

Herbal hath jori dolat, ghar ki khushali aur luck kay liay use ki jati hai,

Reptiled haath jori taskher wa muhabat, attaraction ya kisi ko apni taraf mael krna ya kisi say koi kam nikalwanay jesay kamo mein use ki jati hai,

Meri yeh posting Reptiled haath jori kay mutalik hai, yeh khas haath jori reptiles jesay goh ya saanp mein say hasil ki jati hai aur is khas haath jori ki jo rohani mukhfi philosophy hai woh bohat gehri hai jisay na ahal logon say zamana e qadim say he poshida rakha jata raha hai aur aaj bhi isay poshida he rakhtay hain aur iska mukhfi ilm kisi say share nahi kia jata, jo ilm ki samaj bojh rakhta hai os par he iski hikmat kay israr ayan hojatay hain, mein yahan kuch muktasir raaz iskay share karta hon,

Amliyat ki dunia mein owl janwar bara mashor hai aur amliyat kay ilm ki thori bohat jankari rakhnay wala shaks janta hai kay owl ki har aik shay kam ki hai on mein bari hikmat poshida hai jesay owl ki eyes ka surma bana kar kisi ko bhi apni taraf attaract kia jasakta hai aur woh shaks aik tarah say hypnotize sa hojata hai, Allah pak nay yeh ability owl ki eyes mein di hoi hai, aap nay aksar national geographic channel ya animal planet channel mein dekha hoga kay owl kistarah pehlay apnay shikar ko apni bari ankhon say dekh kar hypnotize karta hai jis say janwar hil bhi nahi pata aur owl osay ba asani pakar leta hai, owl ki ankhon kay surmay mein bhi yahi ability hai agar koi is surmay ko laga kar kisi shaks ki taraf lagatar ghorta rehta hai to woh shaks hypnotize hojata hai aur oski har baat mannay ko taiyar hojata hai,

Owl kay baad saanp bhi amliyat ki dunia ka khas tool hai, iski bhi har chez amliyat mein kam aati hai aur yeh sabi ko malum hai kay ilm karnay wala shaks saanp kay zariay har kism ka ilm kar sakta hai,

Amliyat mein aik khas janwar jisay goh kehtay hain woh bhi use hota hai aur iskay mutalik bohat kam log jankari rakhtay hain, baray say bara aamil kamil shaks bhi goh janwar ki mukhfi hikmat say wakif nahi hota woh lakeer ka fakeer hota hai jo kitabon mein likha hota hai osi par amal karta hai aur goh jesay janwar kay mukhfi amliyat aur tilsimat kitabon mein aik ya do he likhay humay mil jatay hai, Allama rafique zahid sahab nay apni kitab rafique e tilsimat mein goh janwar kay tilsimat bari tafseel say batae hain jo muhabat aur taskheer kay mutalik hain,


Reptile aur Hikmat:

Reptiles jesay saanp, sanda, goh ya rayg mahi lizards zamana e qadeem say he hikmat kay kamo mein use hoti rahi hain, in reptiles kay khas oils banae jatay hain jo har kisam ki mardana azo e khas ki problems ko thek kardetay hain, in reptiles ka taluk sex say related problem say hai aur yeh sabi jantay hain jo hikmat ka ilm rakhtay hain,

Same isitarah jo amliyat, mukhfiat wa tilsimat ka ilm rakhtay hain woh bhi jantay hain kay reptile jesay saanp ya goh taskheer wa muhabat kay kamo mein use hotay hain, in janwaron kay khas organs say aysay nayab tilsim banae jatay hain jiskay fawaid beshumar hain, in khas tilsimat mein aik tilsim haath jori hai jo goh lizard mein say hasil hoti hai,

 

What is Reptiled Hathjori?

Haath jori aik natural qudrati tilsim hai jesay gidar singhi aur billi ka nafa ya nal hoti hai, gidar singhi gidar janwar kay sar mein say hasil hoti hai jo aik bimari ki waja say peda hoti hai, billi ki nal woh barik parday ki jheli hoti hai jis mein billi ka bacha pedaish kay waqat os mein packed hota hai aur haath jori goh lizard ka azo e khas (phallus) hota hai,

Hathjori ka ilm rakhnay walay tantric ya saperay yeh os waqat hasil kartay hain jab chand ki khas tarikhay hoti hain aur os doran goh lizards jab mating kartay hain os waqat jab phallus fully erected hota hai to os waqat osay kat kar maksos oils laga kar aag mein isay dried kia jata hai aur aik khas maksos amal kar kay iski rohaniat ko taskheer kia jata hai, yeh khas amal kia hua tilsim jiskay pas bhi hota hai oski sex say related problems khatam hoti hain, agar woh problems bad asrat, jadu ya bandish ki waja say hon to foran woh problems dor hojati hain, agar bandish, jadu ya kisi bhi bad asrat ki waja say shadi na hoti ho, ya koi oski taraf attaract na hota ho to yeh tilsim attaraction peda karta hai, agar wife ki waja say ghar mein problems hon to yeh tilsim os problems ko bhi thek karta hai aur bhi iskay fawaid beshumar hain jo sab ka sab is muktasir see posting mein share nahi kia jasakta...!,

Aap nay aksar purani indian movies mein dekha ya suna hoga kay tantric ya saperay log naag mani hasil krnay kay liay khas chand ki raat ko jungle mein jatay hain aur 2 saanp jab mating kartay hain to os doran naag apni mani stone zahir karta hai jisay saperay hasil krnay ki koshish kartay hain same isitarah goh ka yeh phallus jisay hathjori kehtay hain khas chand ki tarikhon mein hasil kia jata hai aur mating k doran yeh red flower ki tarah khilta hua zahir hota hai wesay bina mating kay yeh kabi lizard mein zahir nahi hota aur jo saperay zabardasti goh lizard ko mar kar yeh hasil kartay hain os hathjori mein koi fawaid nahi hotay aur os mein sakht nehas bad asrat peda hojatay hain jo faiday denay kay bajae olta noksan honay lagta hai, 

Kuch jali fake saperay jinkay pas koi ilm nahi hota woh goh lizard kay phallus ko colour ya sindoor laga kar aysay he sale kardetay hain jis say kisi kisam kay koi fawaid hasil nahi hotay aur lenay wala khud mazeed maslay masael mein phans jata hai, 

Hathjori osi banday say leni chahehai jo iska ilm rakhta ho, 

 

Haathjori Kay Fawaid: 

Hathjori tilsim kay mutalik koi maksos amal ya amliyat kisi bhi book mein humay nahi milta, do aysi qadeem nayab arabic books hain jis mein goh lizard ka phallus yehni hathjori ka muktasir sa hawala milta hai,

Kitab Hayat al Haiwan mein Goh lizard kay phallus kay fawaid istarah likhay hain:
 
Aur dosri nayab kitab Ajaib al Makhlokat mein bhi yahi same fawaid ka likha hai:


In do qadeem nayab kitabon mein goh lizard kay phallus kay fawaid same likhay hain kay jo isay apnay pas rakhay ga to oskay nokar yehni servants ya molazameen oski taraf attaract rahai ghay aur muhabat say paysh ay ghay yehni is tilsim mein aysay mukhfi fawaid hain jo aap kay under mein rehnay walay log chahai woh servants hon ya family members ya wife ya friends hon aap ki taraf attaract rahai ghay, iskay aur bhi bohat fawaid hain jiski tafseel yeh hai:

For Love:
Kisi ko apni taraf mael karnay ya kisi ko apni muhabat mein lanay kay liay use ki jati hai.

For Attaraction:

Koi shaks aap ki taraf attaract na hota ho ya koi shaks aap ka koi kam na kar raha ho ya aap ki baat na manta ho na aap ki taraf tawaja na deta ho ya aap ko haqeer samajta ho, osay apni taraf mael karnay kay liay use ki jati hai,

For Marriage:

Man passand shaadi ya rishtay mein atak par rahi ho ya bandish ka masla ho ya jadu ki waja say rishta na horaha ho, shadi say joray har maslay kay liay use ki jati hai,

For Husband & Wife:

Mia biwi mein muhabat, shohar ya biwi muhabat say paysh ay har baat manay, larai jhagray aur galat fehmia dor hon os maksad kay liay use ki jati hai,

Mukhfi Bimaria:

Sitaron kay bad asrat, rejat, sarh sati, jadu, hasad ya nazar e bad wagayra jesay bad asrat ki waja say mia biwi hum bistar na ho parahai hon ya in bad asrat ki waja say mukhfi mardana bimaria peda hogai hon onsay nejat hasil krnay kay liay use ki jati hai,

For Luck:

Har kisam ka kam jis mein jeet hasil krni ho aur hareef ya dushman ko harana ho istarah kay kamo mein bhi use hoti hai,

 

Hathjori kay Amliyat: 

Hathjori kay beshumar amliyat hain jo mukhfi rakhay jatay hain, jo muj say yeh tilsim letay hain aur apna maksad batatay hain os maksad say mansob amal kar kay hathjori ki rohaniat ko os shaks kay nam par taskher kar kay osay di jati hai jis say osay achay fawaid hasil hotay hain,

 

Hathjori ki Aksam:

Hathjori kai aksam ki hoti hain kuch in mein lucky aur kuch unlucky bhi hoti hain, jo unlucky wali hoti hain on mein baray sakht nahas bad asrat hotay hain, jis hathjori ki 2 shakhay aik dosray say juda hoti nazar ay woh judai aur nafrat wali hoti hai yeh aksar kalay jadu mein use ki jati hai, jis hathjori ki dono shakhay aik dosray say mili hoi hon woh muhabat wali best hoti hai, agar hathjori ki do shakhon kay darmian hole sa bana ho ya hathjori saanp jesi surat ki ho yeh dolat kay bohat lucky mani jati hai, agar hathjori safed rang mein hoto yeh dolat kay liay lucky mani jati hai, kalay rang wali hathjori bad asrat khatam karnay kay liay use ki jati hai,

Toti hoi hathjori mein bad asrat hotay hain, kisi kay istamal ki hoi ya used hathjori mein bhi bad asrat hotay hain, kuch bengali jadu tona karnay walay log hathjori saperon say lekar onpar koi totka kar kay wapis saperay ko day detay hain aur sapera woh hathjori agar dosray banday ko day ga to ospar bad asrat ajatay hain aur yeh bohat khatarnak type ki haunted hathjori kehlati hai, isliay mera aap sab ko mashora hai kay aysay banday say fresh hathjori lain jo kisi kay use mein na rahi ho aur woh banda iska ilm janta ho aur aap kay nam oski rohaniat ko taskher kar kay day phir yeh apna acha positive asar aap par dikhae gi,

 

Do you Need Reptiled Hatha Jori?

Agar aap ko sahi postive asrat wali fresh haath jori apnay masael hal karnay kay liay chahehai hoto aap muj say rabta kar kay hasil kar saktay hain, aap kay masael aur os say joray amliyat kar kay aap kay nam hathjori ki rohaniat ko taskher kar kay apko di jae gi jis say aap kay masael ba asani hal hosakay ghay, 

Rabtay kay liay aap mujay call, sms ya whatsapp par message kar saktay hain:

Phone & Whatsapp: 03003799165

E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

 

InshAllah bohat jald new posting kay sath hazir hon ga,

Apnay is bhai ko duaon mein yaad rakhiay ga,

 

                                           Ali.  

My Other Articles:

Gidar Singhi

Siyar Singhi

Bara Singhi

Sharkali Singhi

Jog Sagar